• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 181 83.0%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 15.1%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 29 13.3%

  • Total voters
    218

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
UPDATE - 17

Jao pehele jake warmp ke liye iss ground ke 100 chakkar lagao phir tumhari baaki training shuru karte hai.

Aabbb aaagggeee...........

Maine karib aadhe ghante me 100 chakkar laga liya wo bhi kaafi easily because jab mujhe power mili thi tab uske sath hi meri physical strength, skills , knowledge aur techniques normal insaan se 1000 guna jada ho gyi thi.
Ye dekh teacher ki aakhen fati ki fati reh gyi phir bhi unhone apne facial expressions ko control kiya aur bola.
Teacher : good ab tumhari body ko har tarh ka pain diya jayega taki tum extreme se extreme condition me bhi survive kar sako.

Uske baad 6 logo ne milke mijhe har possible torture dena shuru ka diya. Pain ho raha tha par wo kafi kam tha par body damage ho rhi thi. Uske baad mijhe poison ka small dose diya taki meri body har tarah ke poison se bhi immune ho jaye. Phir martial arts hua uske baad har present techniques silhayi gyi . Aise hi raat ho gyi body pe kaafi chot ke nishan the toh teacher ne mujhe near by hospital visit karne kaha mai bhi maan gaya kyuki mai apni power use nhi karne wala tha khudko heal karne ke liye.
Abhi karib raat ke 9 baj rahe the, mai bhi city hospital pohoch gya. Jab mai doctor ke cabin me pohocha to dekha waha ek female doctor thi jisne bukha pehena tha. Usme se sirf uski khubsurat aakhen hi dikh rahi thi.

Tumblr
Maine door ko baja ke kaha.
Mai : may I come in doctor.
Doctor : yes of course .

Mai unke samne wali chair pe baith gaya .
Ek pal ke liye wo mere chehre me jaise kho si gyi phir apne aap ko kabu kiya aur Phir unhone pucha.

Doctor : ji kahiye kya taklif hai aapko.
Mai : aap Indian hai achi baat hai. sunne se acha aap dekh lijiye.
Ye bol ke maine apni shirt utar di . jaise hi maine shirt utari wo to bas phir meri body hi ghure ja rhi thi par jaise phir unka dhyaan mere body ke zakhmo pe gaya to wo shock me boli.
Doctor : itni serious chote aayi hai kya kar rhe the tum jo itni chote hai?
Mai : maine kuch bhi galat ya jhagda nhi kiya hai aur agar aapko lagta hai ke ye police matter hai to aap unhe bula sakti hai.
Doctor : nahi abhi in sab ka wakt nhi hai tumhari injuries kafi serious hai iss liye abhi inhe treat karna zaruri hai.

Iss ke sath wo mera first aid karne lagi. Wo ek baat observe kar rhi thi ke reyansh ne use najr utha ke ek baar bhi nhi dekha tha kyuki jaha ladke uske bhurkhe me rehne ke bavjud uske piche pagal the wahi reyansh use dekh bhi nhi raha tha ye uske liye kaafi surprising tha. First aid hone ke baad wo boli.
Doctor : waise aap ka naam kya hai?
Mai : REYANSH. Waise ab aap adat dal lijiye ab hamara milna roj hoga.
Doctor : kyu??
Mai : kyuki mai ek martial arts student hu aur aisi chote ab lagbhag har roj hogi to ab ata rahunga .
Doctor : ji. Waise mera naam Noor siddiqui hai.
( Noor Siddiqui : inki age abhi 22 years hai. Ye apne ammi abbu ke sath russia ke city me rehti hai. Dil se badi komal hai untni hi tan se bhi hai. Ye itni khubsurat hai ki agar koi inhe bina bhurkhe ke dekh le to pagla hi jaye par bahar inhe aaj tak kisi ne bina burkhe ke nhi dekha tha. Ye kaafi Sanskari hai. Bas ye emotional jada hai.)

Mai : maine pucha nhi tha.
Noor : so rude. Kya aapke ammi abbu ne aap ko tamiz nhi sikhayi.
Mai : (usdaas hote hue) Agar hote to shayad sikha dete .
Noor : ( nazren niche karte hue) sorry mujhe pata nhi tha aap mujhe maaf kar dijiye.
Mai : ji isme aap ki koi galti nhi hai shayad aap ke khuda ne hi meri kismat me sukh nhi likha tha. Koi baat nhi ab mai chalta hu Noor ji.
Noor : phir kal milte hai.
Mai bina piche dekhe waha se nikal gaya. Aur room pe aa ke sone ki koshish karne laga.
Aaj mujhe saima maa ki bohot yaad aa rahi thi aaj lag raha tha ki mai sach me anath hu .
Jaise taise karke mai so gaya. Agle din se mujhe practice ke sath emotions ko khatam karne ki bhi training di jane lagi par mai emotions ko control kar rha tha khatam nhi kar rha tha. Phir raat ko mai city hospital nikal pada first aid ke liye. Waha poch ke mai seedha doctor Noor ke paas chala gya. Mai Noor ke samne wali chair par baith ke shirt nikal di. Noor bhi bina kuch bole pehle first aid karne lagi. Jab wo dawai laga rahi thi usne masoom sa chehra bana ke (jo mai bhurkhe ki wajah se dekh nhi pa rha tha) sweet tone me mujhse pucha
Noor : jada dard ho rha hai.

Maine naa ke gardan hila di. Maine abhi bhi noor ki taraf nhi dekha tha iss liye ab Noor ko lag raha tha ki mai use ignore kar rha hu.

Noor : kya aap humesha se aise hi behave karte hai.
Mai : haa mai bachpan se hi aisa hu.
Noor : (halka smile karte hue) par aap ki aakhen to kuch aur hi bata rahi hai. Mai logo ki akhon me dekh ke bata sakti hu ke aadmi jhut bol rha hai ya sach.
Mai : isse aapka koi lena dena nhi hai.
Jab mai ye baat keh rha tha tab noor meri aakhon me dekh rahi thi aur jaise dekh paa rahi thi ke kitna gum maine apne andar samete rakha hai. Mujhe aaisa lag raha tha wo meri aakhon ke zariye meri rooh me jhakn rahi hai iss liye mai turant waha se uth kar nikal gaya .
Aise hi din bit rhe the aur har bitte din ke sath meri training extremely tough hoti jaa rahi thi. Ab noor bhi meri friend ki tarh ho gyi thi ab mai unse thoda khul gaya tha par mai apni personal bate avoid karta tha. Aise hi 3 mahine bit gye the. Aise hi ek din Sir Michale mere paas aaye aur bole.
Michael : Reyansh tumhari learning abilities dusro ke mukable kaafi fast hai. Iss liye aaj mai tumhare liye ek mission laya hu.
Mai : kaisa mission??
Michael : west command ke durg market ko khatam karna hai.
Mai : ( cold smile ke sath) toh aap apne competitor ko hi khatam karna chahte hai.
Michael : ye kaam ke liye tumko pay bhi kiya jaye ga.
Mai : kitna.
Michael : 50,000 dollars.
Mai : done. Bataiye kab jana hai??
Michael : tum parso nikloge west command ke liye. Aur weapons and all necessary things will be provided you tomorrow.
Mai : hmmmm ~
___________________________________
Phir raat ko Noor ke paas hospital chala gaya.
Noor : to gye janab bataiye aaj konsi nayi chot lagwa lai hai.
Mai : (smiles)
Phir noor ne meri chot clean kar first aid kar diya.
Mai : tumhare ammi abbu kaise hai.
Noor : ji khairiyat se hai aap kal unhe milne kyu nhi aate.
Mai : abhi kuch din to nhi mil paunga out of city jaa rha hu.
Noor : (udasi aur desperation se) kyuuuu???
Mai : kuch zaroori kaam niptana hai.
Noor : kitne din lagenge.
Mai : are.. are sans to lele sidha rashan pani leke chadi ja rahi ho.
Noor : pehele bataiye kitne din lagenge??
Mai : shayad 15 din legenge.
Noor : itne din?
Mai : hmmmm~
Noor : (udasi se) thik hai. Par jane se pehele kal aap mujhse milke jayege.
Mai : 😊 ok.
Phir mai room pe wapas laut aya ye din bhi aise hi bit gaya .

Aaaggeee dekhte hai kya hota hai
excellent fantastic update
 
  • Like
Reactions: Ajay and Bilal jan

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
UPDATE - 18

Noor : (udasi se) thik hai. Par jane se pehele kal aap mujhse milke jayege.
Mai : 😊 ok.

Phir mai room pe wapas laut aya ye din bhi aise hi bit gaya .

Aabbbb aagggggeeeee.......

Agle din Michael ne Reyansh Ko weapons aur sari zaruri chize provide kar di. Reyansh ne sab sahi se set kar liya kyuki kal subah hi Reyansh Ko nikal na tha . Sab saman set karne ke baad Reyansh ready hone laga noor ke ghar jane ke liye kyuki kal Reyansh Ne noor ko promise kiya tha ki wo jane se pehele usse mil ke jaye ga aur use uske ammi abbu se bhi milna tha.
Aaj Reyansh ka 20th birthday tha jo use yaad nhi tha par noor ko pta tha usne jab reyansh ko hospital ka form fill up karne kaha tha tab Reyansh ne uspe birth date bhi likhi thi jo noor ne dekh li thi. Iss liye noor Reyansh ko aaj birthday surprise dene ka plan kar liya tha jisse Reyansh anjan tha.
Reyansh phir nikal pada Noor ke ghar ki aur. Karib 18 min baad wo Noor ke ghar ke saamne khada tha. Reyansh aage badha aur doorbell bajayi tab Noor ne hi darwaja khola par aaj usne burkha nhi pehna tha . Aaj pehli baar reyansh ne noor ko bina burkhe ke dekha tha aur jab reyansh ne use dekha to ek pal ke liye use ghurne hi laga kyuki wo lag bhi asi hi rahi thi.

Meyra-stil-on-Instagram-36-44-beden-aral-Abaya-i-lik-290-TL-kargo-dahil-G-m-ve-bak-r-renk-se-enekler
rudolf nureyev photos
Image-in-flowers-collection-by-on-We-Heart-It
Uski wo kali aakhen bina makeup wala chera uake laal honth. Wo Reyansh ko aaise ghurta dekh sharmaa gyi aur boli.
Noor : ab aise hi dekhte rahenge yaa andar bhi aayenge.
Reyansh : wo.. Wo.. Haa chalo

( ab Reyansh Ke perspective se)
Ham hall me aa gye aur usne mujhe sofe baithne ka bol ke apne ammi abbu ko bula ne chali gayi.
( Aadil Siddiqui : Noor ke abbu. 56 saal ke hai. Ye bhi peshe se doctor hai. Khush mijaz insaan hai. Apni beti se bohot pyaar karte hai.
Farha Siddiqui : Noor ki ammi. Ye 50 saal ki hai. Noor ko apni sundarta apni ammi se hi mili hai. Ye ek housewife hai. Ye bhi aone shauhar aur beti se bohot pyaar karti hai. )

Thodi der me noor apne ammi abbu ke sath hall me aagyi wo log mere saamne wale sofe par baith gye.
( noor ke dad = N dad
noir ki mom = N mom)
N dad : haan to beta tum ho Reyansh.
Mai : ji haan uncle.
N mom : Noor hamesha tumhari baate batati rehti hai.
Noor ye baat sunke sharma rahi thi.
Noor : ( dhire se) kya ammi aap bhi.

Noor reyansh ko uske birthday pe use uski pasand ki mithayi khilana chahti thi iss liye usne reyansh se poocha .
Noor : Reyansh bachpan me konsi mithayi tumhe sabse jada pasand thi.
Mai : (hichkichate hue) mujhe nhi pata
[ kyuki reyansh ne bachpan me kabhi
Mithayi nahi khayi thi to ise kaise pata
Hoga ki kausi mithayi acchi hoti hai]
Noor : are aise kaise nahi pata bachapan me to sabko alag alag mithayi pansand hoti hai.
Mai : bachapan wo kya hota hai.
Ye sab noor ke parents dhyaan se sun rhe the.
Mai : Noor ek baat puchu.
Noor : haan pocho.
Mai : tum jab choti thi tab tumhare ghar me kamata kaun tha aur khana kaun banata tha.
N mom : beta ye to sidhi baat hai iske abbu kamate tge aur mai khana banati thi.
Mai : par mere saath aisa nahi tha na mere paas mere liye kamane wala koi tha, na khana banane wala aur na hi khilane wala. Aakhir anath jo thehra. Pet ki aag shant karne ke liye kaam karta tha par itne paise nhi hote the ke kabhi mithayi kharid sako to kaise batau ki bachpan me mujhe konsi mithayi pasand thi.

Ye sunke noor aur uski mom ki aakhe bhar aayi . Use abbu bole.
N dad : he upar wale iss bachche ko itni si umer me ye sab kyu jhelna pada.
Noor : aap sab bhi kyaa baat lekar baith gaye. Aur reyansh tum apni aakhen band karo surprise hai
Mai : kaisa surprise.
N mom : are beta bol rahi hai to kar lo na.

Phir maine apni aakhen band karli. Thodi der baad noor ne mujhe aakhen kholne ko kaha.
Jaise hi maine aakhen kholi.

Sab ek sath : Happy birthday to you..... Happy birthday to you....

Sab birthday song ga rahe the sammne table pe cake rakha hua tha. Tab jakr mujhe yaad aya ki aaj mera birthday hai. Tabhi cake dekh ke mujhe kuch yaad aane laga.

FLASHBACK

Ye baat karib 9 saal pehele ki hai jab Janvi didi ka birthday tha toh ghar me bohot badi party rakhi hui thi. Mujhe us party me ana allowed nahi tha papa ne mujhe sakt kaha tha ki party me nhi ana. Mai bhi apne room me chup chap baitha tha par jab gana bajne laga mujhe bohot utsukta hone lagi ke niche kya ho raha hai ( bache to aap jante hi hai ki kaise hote hai ) is liye mai chupke se sidiyo ke paas se parde ke piche chup ke sab dekh raha tha.
Waha janvi didi ka birthday celebration ho raha tha. Mom dad unke saath cake cut karke unhe khila rahe the phir wo apne dosto se baat kar rahi thi.
Tabhi pata nhi kaise mai unhe dikh gaya aur ubke chehre ke bhav badal gye. Usne gusse ke sath meri taraf dekha aur jor se chillayi.
Janvi : ye haram ki aulad yaha kya kar rha hai. Maine kaha tha ki aaj mujhe ye dikhna nhi chahiye .
Ye bolke janvi didi mera hath pakad ke mujhe bahar nikalne lagi aur khich tan me mera hath waiter ke hath ke rakhe tray se takra gya jis karan ek juice ka glass niche gir gya aur juice fail gaya. Jiss karan janvi aur gussa ho gyi aur aag me ghi dalne ka kaam ek ladke ne kar diya janvi ko impress karne ke liye jo janvi ka dost tha.
Ladka : are are ye kya kar diya isne sara floor kharab kar diya.
Janvi : ye kya kar diya iss kutte ne sara mood kharab kar diya. Chal ab jaldi se floor saaf kar nahi to mujhse bura koi nhi hoga.

Mujhe rona aagya tha ye sab sunke mai subak raha tha par phir bhi kisi ne daya ke bhav tak na dikhaye. Maine ek baar Mummy aur papa ki taraf dekha jo shant khade the. Jab maine unhe dekha to unhone muh fer liya.
Janvi : ab dekh kya raha hai apni shirt utar aur ye sab saaf kar.

Maine rote rote apni shirt utari aur sab saaf karne laga. Sab mujhe dekh ke bas hass rahe the. Ye sab us din mere atmsamman par thes kar gaya tha.

FLASHBACK END

Noor mere samne hath ghumate hue
Noor : kya soch rahe ho.
Mai : (haklate hue) k... Kuch n.. Naahhii.
( Reyansh ko bachpan se ek problem thi jab bhi wo bura feel karta ya sad hota to wo haklata tha . Ye baat kisi ko pata nhi thi.)
Noor ne mujh ko aise haklate dekh mere kandhe pe hath rakhke puch liye.
Noor : kya hua reyansh aise hakla kyu rahe ho ?

Maine jaldi se apne aap ko control kiya aur bola.
Mai : kuch nahi.
Noor : chalo phir cake cut karte hai.
Mai : hmmm....
Phir mai cake katne hi wala tha ke noor ki ammi boli.
N mom: are beta pehle candles to bujha lo.
Mai : hmm~ wo mijhe pata nhi tha pehele kabhi birthday nhi manaya hai .

Ye sunke Noor ka chehra fika ho gya wo soch rhi thi ke
(Noor( man me) : reyansh ki mental state abhi puri tarah se sahi nhi hai usne apne life bohot bad experiences dekhe hai shayad ise ke karan ye itna shant rehta hai zada baat nhi karta)
Phir maine candles bujha ke cake cut kiya sabse pehele noor ne mujhe cake khilaya phir noor ki mom khilane lagi to meri akhon me nami si aa gyi kyuki unko dekh ke mujhe saima maa ki yaad aa gyi wo bhi mujhe aise hi apne hatho se khilati thi.
Aaj noor ke abbu air ammi noor ki harkate dekh ke thoda shock the kyuki noor kabhi ladko se jada baat nhi karti thi.
Phir ham sab ne dinner kiya phir sabko bye bol ke nikal raha tha to noor mujhe bahar tak chodne aayi. Gate ke paas aake wo boli.
Noor : aap wapas kab tak aayenge??
Mai : shayad 15 din lag sakte hai.
Noor : hhhmmmm~ koshish kijiyega jaldi aane ki.
Mai : hmmm.. Aaj ke liye shukriya.
Noor : shukriya ki jarurat nhi hai aap to waise bhi apne hai.
Mai : matlab?

Ispe wo kuch bhi nhi boli aur blush karte hue wapas andar bhag gyi. Mai iss baat pe jada dhyaan na dete hue car me baith ke nikal gaya room ki taraf .

Wahi usi din subah Mr. Raghuveer Rajput ke Yaha

Sab log breakfast ke liye baithe the dinning table pe sivaye swara ke wo iss wakt Reyansh ke room me baithi thi. Swara dinner, lunch yaha tak breakfast bhi reyansh ke room me hi karti thi.
Sabhi breakfast kar rahe the tabhi mr. Raghuveer ka phone baja. Unhone call uthaya.
Raghuveer : hello.
Samne se : Sir ek aadmi ka pata laga hai jo reyansh ke bare me janta hai
Raghuveer : wah kya khabar sunayi hai. Jald se jald us aadmi ko lekar mere mansion me aa jao .
Samne se : jii sir.

Aaagggeeee dekhte hai kyaaa hotaa haaiiii....
zabardast dhanso update
 
Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158

Nice Update Bhai

Waiting for New Update Bhai
 
Abhimanyu Roy

New Member
85
214
33
Plz Explain me pyaar kya hota hai?
Aap apni story ka hi example dekh lo bhai. Jo Swara Reyansh se karti hai wahi Pyaar hai, uski yaadon mein khoye rehti hai aur har waqt bas usse hi yaad karti rehti hai.

Avni, joki kabhi Reyansh se mili hi nahi wo bas uski tasveer dekh kar hi usse apna pati maan baithi hai. Wahin Noor jo Reyansh se Pyaar karti hai chaahe use bata naa paaye par fir bhi uski care karti hai!!
 
1,238
4,499
144
Plz Explain me pyaar kya hota hai?
Pyaar : kisi ko sache dil se chahna , uski care krna , usko khush krne ki koshish krna, uski problem me help krna ,hamesha support krna ,
Sab se brh kr apne mehboob ki khushi me khush hona phir chahe uski khushi kisi aur ke saath hi kyun na ho hamesa uski respect krna ,uski khushi ke liye jeena .
Basically PYAR sacrifice ka name hai apne MEHBOOB ke liye khudko bhool kr uske liye sochna (mtlb ke uske liye sochna.ye nahi ke ap usko pana chaho kyunke pyaar hamesha paa lena ka name nahi hai agr ap sirf usko paana hi chahte ho to ye pyaar nahi balke eak attraction hai eak zidd hai).
 
  • Like
Reactions: Bilal jan and Vipul
Top