• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,672
259
Saloni se baat karne ke baad main kitchen main kitchen mein pahuncha, ek cup chaai stove par rakhi aur Khan ko phone milaya.
Mera bukhar kal ke muqable mein kaafi kamtha par jism ab bhi dukh raha tha. Jaisa ke bukhar mein hota hai, mujhe aisa lag raha tha jaise meri taango mein jaan hi na bachi ho.
"Haan Bhai, tabiat kaisi hai ab?"
"Kal se thoda behtar hai" Maine jawab diya.
"Gud. Meri maan toh Doctor ko dikha le"
"Nahi filhal toh i am feeling a lot better. Agar phir hua bukhar toh chala jaoonga Dr. ke paas. Ek baat bata. Vo Sunil Chauhan wale number ke call records dekhe kya?"
"Kal hi toh kaha tha tune. Waqt de thoda." Khan bola.
"Theek hai. Ek kaam kar ek number aur likh le. Iske call records bhi dekh zara"
"Tujhe kya lagta hai mera baap telecom minister hai? Abe aise hi nahi nikal sakta koicall records without legal reasons"
Main janta tha ke vo aise hi kahani ghadh raha hai.
"Chal na, ban mat. I know tere contacts hainaur tu ye kar sakta hai"
"Ek baat bata, tu kya apni jasoosi ki dukaan mere bharose chala raha hai?"
Vo sahi keh raha tha. Mere aadhe se zyada kaam usi ke bharose hote the aur agar vo na hota, toh meri investigation kahin zyada mushkil hua karti.
"Ab apne Bhai ke sahare agar apni dukaan chalane ki koshish kar raha hoon toh kya galat hai ismein?" Maine haste hue jawab diya.
"Haan saale. Maar le senti. Janta hai ke main kabhi mana kar nahi sakta tujhe. Number bol"
Maine Saanwli ka number use likhvaya. Line par ek pal ke liye Khamoshi chha gayi.
"Likh liya?"
Koi jawab nahi aaya.
"Abe likh liya?"
Phir koi jawab nahi aaya. 2 second baad Khan ki aawaz sunai di.
"Haan ab bol"
"Abhi bola toh tha maine" Maine chidte hue kaha.
"Arrey main vo ek pen paper utha raha tha. Phir se bol"
Maine number ek baar phir bola.
"Got it" Khan ne kaha "Kiska number hai?"
"Saanwli"
"Ok. Dekhta hoon main"
"Koshish kar agar June 29th ke baad ke call records mile toh. Outgoing and incoming" Maine kaha.
"Theek hai"
Khan ka phone rakhne ke baad main chaai ka cup lekar betha hi tha ke phone phir baja.Call ek unknown number se thi.
"Hello?" Maine phone uthaya.
"Joshi bol raha hoon" Doosri taraf se aawaz aayi.
Inspector Joshi? Mera dimag ne ghanti bajayi.
"Kaun Joshi?" Maine confirm karne ke liye puchha.
"Inspector Joshi" Aawaz aayi toh confirmation mil gayi.
"Haan Joshi Sahab, kahiye. Gareeb ko kaise yaad kiya?"
"Mil sakta hai?" Usne puchha.
"Kis silsile mein?"
"Baat karni hai kuchh"
Ise mere se kya baat karni hai? Aaj tak ham dono ne jab bhi baat ki vo gaali se shuru hokar gaali par hi khatam hui.
"Haan toh kariye. Main sun raha hoon" Maine kaha.
"Phone par nahi"
"Theek hai main aata hoon time nikalke police station" Maine na chahte hue bhi uskibaat maan li.
Uske phone rakhte hue maine fauran Khan ko phone milaya.
"Ab kaun mar gaya?" Khan ne phone uthate hi kaha.
"Joshi"
"Kya baat kar raha hi. Sach?" Khushi uski aawaz mein saaf jhalak rahi thi.
"Abe nahi. Phone aaya tha uska abhi mere paas" Maine bataya.
"Kyun? Use tujhse kya kaam pad gaya?"
"Kuchh bataya nahi. Keh raha tha ke milkar baat karte hain. Tujhe koi idea ke kis baare mein baat kar raha hai?"
"Na bhai. Aur meri maan toh na hi miliyo usse. Aur agar mile toh zara sambhalke baat karna" Khan ne salah di.
"Theek hai. Main isliye hi phone kar raha thake shayad tujhe kuchh pata ho ke vo kis baare mein baat kar raha hai"
"Nahi yaar. Mujhe koi idea nahi hai. Dekh le milke. Bata dena mujhe bhi ke kya keh raha tha"
"Theek hai. Chal rakhta hoon"
Mere aaj ke agenda mein do kaam the. Ek toh Sharafat ke angrezi style bar mein jakarus ladki ke baare mein pata karna jo Chipku ke hisaab se vahan kaam karti thi aur Saanwli jaise dikhti thi. Doosra Saanwli ki room-mate Maya.
__________________________

Lo kallo baat ab Joshi se milne jaana hai, zaroor sab gadbad hoga ab
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,183
43,106
354
Thank you Bhai... you're rocks
Thanx Bhai . :dost:
Next update is next.
 
  • Like
Reactions: Hell Strom

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,183
43,106
354
Delicate update.
Kitna detailvse morgue ki laash ko describe kiya hai Vampire bhai ne wah.
Sahi Kaha casi Bhai . Vampire bhai ki writing skill Ka koi Tod nhi hai . Kal unki PAAP thread ki ek story post ki or padh BHI rha tha , NA JAANE KYUN.... Or fir Mai na jaane Kaha kho Gaya .
Btw thanx Bhai for your lovely support.:dost:
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,183
43,106
354
Sharafat ne apne ek Bar ka naam apne naam ke uper rakha hua tha, yaani ke Sharafat Bar. Toh main uske doosre Bar ka naam bhi kuchh aisa hi hone ki ummeed karraha tha. Ek aisa naam jise sunkar hi ye pata laga ke ye Bar ek mawali ka hai jise English ka E bhi nahi pata hoga. Par meri ummeed ke khilaff, uske doosre Bar ka naam bahut hi stylish nikla, Genie in a Bottle.
Vo ek Bar tha, Bar mein Bottles milti hain aur Bottles mein Genie, yaani ke sharab. Naam toh bada soch samajh kar rakha gayatha.
Bar mein daakhil hote hi mujhe sab kuchh vaisa hi mila jaise ke Chipku na bataya tha. Ek bada sa kamra jismein ek taraf deewar ke saath Bar bana hua tha jiske pichhe baneracks par sharab ki bottles rakhi hui thi aur Bar ke saamne hi bade bade stools rakhe hue the, bethkar sharab pine ke liye. Poore kamre mein stlyish tables aur aaramdeh kursiyan rakhi hui thi aur doosri taraf ek chhota sa dance floor bana hua tha jo is waqt khali tha par mere andaze raat ke waqt bhara hota hoga. Bar ke pichhe khade 2 bartenders drinks bana rahe the jinhein kuchh ladkiyan tables tak le jakar serve kar rahi thi. Lights kaafi dim thi jo ke shayad aisi jagahon par mahaul banane ke liye kiya jata hai.
Kuchh cheezen jo fauran maine notice ki unmein se ek toh ye thi ke ladkiyon ke kapde vaise hi the jaisa ke Chipku na batayatha. Thigh length tak ke short skirts jo ke actually itne tight the ke agar ladki ke aas paas khade hokar Blade shabd bhi bol do toh uska skirt phat jaaye. Hairat ki baat ye thi ke vo ladkiyan uper se aise dressed up thi jaisi kisi badi company mein kisi executive ka kaam karti hon, yaani ke uper se ek shirt aur Blazer with scarf aur neeche mini skirt jo ke agar thoda sa aur lamba hokar knee length tak hota toh batana mushkil tha ke ladki waitress hai ya koi executive.
Ye bhi shayad yahan aane wale bade bade business class logon ke mood ko dekh kar hi aisa kiya hoga, maine dil hi dil mein socha.
Doosri cheez jo maine notice ki vo ye thi ke us waqt bhi Bar takreeban 70% bhara hua tha. Ye koi saturday ya sunday shaam nahi thi, ek weekday tha aur filhal dopahar ke 2 bajne wale the par phir bhi Bar takreeban full hi tha. Bethe logon mein se har ek ki shakal par likha hua tha ke uske paas paisa itna hai ke use khud ko nahi pata ke kahan kharch kare. Ye sab vo log the jinhen bhagwan shayad duniya mein bhejta hi isliye hai ke ye yahan aakar aish kar saken. Born with a silver spooon, jaisa ke angrezi mein kaha jata hai.
Teesri baat jo maine notice ki vo ye thi ke vahan sirf 2 hi aadmi the jo Bar ke pichhe khade drinks bana rahe the, baaki shayad 5-6 ladkiyan hi thi jo drinks serve kar rahi thi aur customers ke orders le rahi thi.
Bar ke saath hi ek chhota sa darwaza bana hua tha jo shayad pichhe kitchen mein khulta tha kyunki usi darwaze se kuchh ladkiyan plates mein kuchh khaane ki cheezen lekar aa ja rahi thi.
"Can i take your order sir?" Ek ladki ki aawazaayi toh meri soch ka silsila toota.
Mere saamne ek khoobsurat si ladki haath mein pen paper liye khadi muskura rahi thi. Mera us waqt sharab pine ke bilkul mood nahi tha. Ek toh bukhar, doosra dopahar ke 2 baje aur teesra ke maine sharab pine khud hi bahut kam kar di thi.
"Yeah i would like to get something to eat please and a beer" Maine muskurate hue kaha aur table ki taraf dekhne laga ke shayad koi menu card mile par vahan kuchh nahi tha.
"Would you like veg or non-veg sir?" Ladki ne puchha toh mujhe yaad aaya ke main ek pub mein betha hoon, kisi restaurant mein nahi. Yahan sharab milti hai aur khane ko jo thoda bahut intezaam hai vo sirf vahi cheezen hongi jo sharab ke saath khaayi jaati hain.
Ladki saaf english mein bol rahi thi toh mujhe Chipku ki kahi baat yaad aayi ke yahan sirf un ladkiyon ko rakha jata hai jo dikhne mein achhi hon aur padhi likhi hon.
"You know what, get me a beer and a plate of kababs please" Maine ladki ki taraf dekhte hue kaha.
"Any brand of preference?" Usne mujhe puchha.
"Do you serve crude beer here?"
"Sure" Vo muskurati hui boli aur chali gayi.
Maine ek baar phir aas paas nazar daudayi. Vahan bethe logon mein sabse gareeb shayad main hi tha iska ehsaas mujhe ho raha tha. Sab raees-zaade jo ke khud yahan bethe sharab pi rahe the aur pichhe business koi aur chala raha tha. Inka kaam shayad sirf cheque sign karne ka aur yahan bethkar zindagi ke maze lootne ka hi hota tha.
Takreeban 10 min mein hi vo ladki ek tray mein kababs ki plate aur Beer ka mug le aayi aur mere saamne serve karne lagi.
"How long have you been working here?" Maine usse puchha.
"Quite some time sir" Usne meri baat ka golmol sa jawab diya.
"Can i ask you something?"
"Sure" Vo Beer aur kababs table par rakh kar mere saathi hi khadi ho gayi.
"Did this girl ever work here?" Maine use Saanwli ki tasveer dikhayi.
Usne tasveer ki taraf dekha aur meri taraf dekh kar inkaar mein gardan hila di.
"No sir, i have never seen her here"
Par us ek pal mein uske chehre aur uski aankhon ke badle bhaav mujhse chhup nahi paaye the. Tasveer par nazar daalte hi uske maathe par ek pal ke liye shikan aayi, aankhen chaunki jo ki usne agle hi pal sambhal liya par mere liye utha hi kaafi tha.
Main janta tha ke vo jhooth bol rahi hai.
_____________________________
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,680
354
wonderful update bhai
 
  • Like
Reactions: The Immortal

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,183
43,106
354
Badhiya update Bhai but itne se man kaha manega ...I want more
Posting Bhai .
 
  • Like
Reactions: Hell Strom

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,183
43,106
354
Vo ladki mujhe serve karne ke baad Bar ke paas bane us chhote se darwaze se andar chali gayi. Mera shaq yakeen mein tab tabdeel ho gaya jab thodi hi der baad vo us darwaze se ek aadmi ke saath vaapis aayi jo ke dekhne se us Bar ka manager lag raha tha. Vo dono mere paas toh nahi aaye aur door khade aise dikhane ki koshish kar rahe the jaise aapas mein baat kar rahe hon par unke haav bhaav se maine is baat ka andaza laga liya ke vo ladki us aadmi ko mere baare mein bata rahi hai aur vo meri nazar bacha kar mujhe dekhne ki koshish kar raha tha.
Ab tak mujhe us bar mein Bartenders aur abmanager ke alawa koi aur aadmi dikhai nahi diya tha. Sab ladkiyan hi thi jo serve kar rahi thi par jab maine apni Beer khatamki toh mera bill lekar jaane kahan se ek 6 ft ka hatta katta mustanda aaya.
"Your bill sir" Usne mera bill table par rakhte hue kaha. Mujhse ye tak nahi puchha gaya ke kya main kuchh aur lena pasand karunga.
"Thank you" Maine ishara samajhte hue bill utha kar dekha aur meri aankhen khuli ki khuli reh gayi.
Zindai mein na toh maine isse mehengi Beer kabhi pi thi aur na hi isse mehenge kabab kabhi khaaye the. Meri jeb mein itna cash tha nahi toh maine apna credit card nikal kar uski taraf badhaya.
"Here you go"
Vo mera credit card lekar vaapis Bar ki tarafchala gaya aur maine ek baar phir apne chaaron taraf nazar daudayi. Jis ladki se maine Saanwli ke baare mein puchha tha vo ab mujhe kahin dikhai nahi de rahi thi par Bar ka manager vahin darwaze ke paas khada mujhe dekh raha tha. Vo khada is tareeke se tha jaise yun hi khada laparwahi se khada ho par baar baar nazar bacha kar mujhe aise dekh raha tha jaise Sherlock Holmes ho.
"Thank you for visiting Sir" Mustanda mera credit card charge karne ke baad slip lekar aaya aur sidha hi thank you bol diya.
"You are welcome" Main uska ishara samajh gaya ke ab mujhe yahan se chale jana chahiye. Credit card ki ek slip sign karke maine use di aur doosri apne wallet mein rakhte hue Bar se bahar aa gaya.
Chipku ne jab mujhe is Bar mein kaam karnewali ladki ke baare mein bataya tha toh mujhe poora yakeen tha ke use koi dhokha hua hai aur main is baat ki bahut hi kam ummeed kar raha tha ke mujhe yahan aakar kuchh haasil hoga. Par jis tarike se us ladki ne Saanwli ki tasveer ko dekh kar react kiya tha usse ye baat toh saaf ho gayi thi ke ya toh Saanwli yahan kaam karti thi ya koi aisi ladki thi jo uske jaisi dikhti thi. Agar koi aur ladki thi toh ye bahut hi ajeeb baat hogi kyunki vo already 2 judwa behne thi aur ek aur ladki ka hona matlab ek hi shakal ke 3 log jiske chances bahut hi kam the.
Bar se bahar dhoop mein aate hi mujhe achanak chakkar se aa gaye aur main ek palke liye vahin chhaon mein ek deewar ka sahara lekar khada ho gaya. Maathe par haath laga kar dekha toh bukhar toh nahi tha par kamzori bahut mehsoos ho rahi thi.
"Meri baat maan toh kisi Doctor ko dikha hi le" Mujhe Khan ki kahi baat yaad aayi.
Ghadi par nazar daali toh dopahar ke 3 bajne wale the. Main apna haath uper karke, aankhon ko dhoop se bachata apni gaadi tak aaya aur andar aakar beth gaya. Thodi der tak main vahin betha sochta raha ke iske baad Saanwli ke hostel ki taraf chalun ya Joshi se milne jaoon. Aakhir mein faisla maine Hostel ki taraf jaane ka kiya kyunki Joshi se milne mein na toh mujhe koidilchaspi thi aur na hi usse milne ki koi jaldi.
Hostel tak pahunchne mein traffic ki vajah se mujhe takreeban ek ghanta lag gaya. Maine gaadi bahar main road par hi chhodi aur galiyon se hota Saanwli ke hostel tak pahuncha. Jis watchman se maine pehle baat ki thi, vo ab bhi vahin gate par hi bethahua tha. Main apna sar jhukaye Hostel ke saamne se aise guzra jaise yun hi vahan se guzar raha hoon. Gate ke paas meri nazar bahar bethe watchman se mili, maine nazarse use phir paan ki dukaan tak aane ka ishara kiya aur khamoshi se sidha nikal gaya. Joshi se yahan hui mulaqat aur hostel ki maalkin us moti aurat ke ravaiyye ko dekhne ke baad main nahi chahta tha ke unhen pata chale ke main phir yahan aaya tha. Chalta hua main main-road tak aaya aur apni gaadi mein beth kar watchman ka intezaar karne laga.
Vo kambakht poore ek ghante baad aaya. Yaani shaam ko 5 baje apni shift khatam karne ke baad.
"Itna time?" Vo gaadi mein aakar betha toh maine puchha.
"Abhi ham bhi kya karega saahib? Udhar ham gate par nahin rahenge toh maalkin koshaq ho jaayega ke ham duty ke waqt gayab rehte hain. Vo toh vaise hi is taak mein hai ke hamari compalint kare"
"Yeah yeah i know. Bata chuke ho tum" Maine lambi saans chhodte hue kaha.
"Haan bataiye. Konho kaam pad gaya?"
"Haan" Maine kaha "Vo Saanwli ke saath jo ladki rehti thi na Maya, vo jo kuchh time pehle chhod kar chali gayi, dekho agar uska hostel mein koi forwarding address hai toh"
"Kaun sa address?"
"Forwarding address. Matlab agar koi kahin rehta ho aur phir vahan se kahin aur shift kare toh log usually apna agla address bata kar jaate hain taaki agar koi chitthi vagerahya koi milne aaye toh unhen bataya ja sake ke ab vo kahan rehte hain"
"Accha accha" Vo samajhta hua bola "Agla pata"
"Haan vahi"
"Vo toh mushkil hai saahib. Vo kahan se nikalenge?"
"Iske liye tumhein us moti ke office mein jakar files vagerah dekhni padengi, rent slips vagerah. Dekho agar kuchh milta hai toh. Ya hostel ki doosri ladkiyon se baat karke dekho agar kisi ko kuchh pata hai toh" Maine kaha.
"Aajkal kahan kagaz vagaz par koi kuchh likhta hai saahib. Ab toh sab kaam sasura computerva mein hota hai na"
"Yeah i know par phir bhi koshish karke dekho"
"Risky kaam hai saahib"
Vo bola toh main samajh gaya ke agli baat vo paiso ko lekar karne wala tha ke is baar maal zyada lagega.
___________________________
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,672
259
Sharafat ne apne ek Bar ka naam apne naam ke uper rakha hua tha, yaani ke Sharafat Bar. Toh main uske doosre Bar ka naam bhi kuchh aisa hi hone ki ummeed karraha tha. Ek aisa naam jise sunkar hi ye pata laga ke ye Bar ek mawali ka hai jise English ka E bhi nahi pata hoga. Par meri ummeed ke khilaff, uske doosre Bar ka naam bahut hi stylish nikla, Genie in a Bottle.
Vo ek Bar tha, Bar mein Bottles milti hain aur Bottles mein Genie, yaani ke sharab. Naam toh bada soch samajh kar rakha gayatha.
Bar mein daakhil hote hi mujhe sab kuchh vaisa hi mila jaise ke Chipku na bataya tha. Ek bada sa kamra jismein ek taraf deewar ke saath Bar bana hua tha jiske pichhe baneracks par sharab ki bottles rakhi hui thi aur Bar ke saamne hi bade bade stools rakhe hue the, bethkar sharab pine ke liye. Poore kamre mein stlyish tables aur aaramdeh kursiyan rakhi hui thi aur doosri taraf ek chhota sa dance floor bana hua tha jo is waqt khali tha par mere andaze raat ke waqt bhara hota hoga. Bar ke pichhe khade 2 bartenders drinks bana rahe the jinhein kuchh ladkiyan tables tak le jakar serve kar rahi thi. Lights kaafi dim thi jo ke shayad aisi jagahon par mahaul banane ke liye kiya jata hai.
Kuchh cheezen jo fauran maine notice ki unmein se ek toh ye thi ke ladkiyon ke kapde vaise hi the jaisa ke Chipku na batayatha. Thigh length tak ke short skirts jo ke actually itne tight the ke agar ladki ke aas paas khade hokar Blade shabd bhi bol do toh uska skirt phat jaaye. Hairat ki baat ye thi ke vo ladkiyan uper se aise dressed up thi jaisi kisi badi company mein kisi executive ka kaam karti hon, yaani ke uper se ek shirt aur Blazer with scarf aur neeche mini skirt jo ke agar thoda sa aur lamba hokar knee length tak hota toh batana mushkil tha ke ladki waitress hai ya koi executive.
Ye bhi shayad yahan aane wale bade bade business class logon ke mood ko dekh kar hi aisa kiya hoga, maine dil hi dil mein socha.
Doosri cheez jo maine notice ki vo ye thi ke us waqt bhi Bar takreeban 70% bhara hua tha. Ye koi saturday ya sunday shaam nahi thi, ek weekday tha aur filhal dopahar ke 2 bajne wale the par phir bhi Bar takreeban full hi tha. Bethe logon mein se har ek ki shakal par likha hua tha ke uske paas paisa itna hai ke use khud ko nahi pata ke kahan kharch kare. Ye sab vo log the jinhen bhagwan shayad duniya mein bhejta hi isliye hai ke ye yahan aakar aish kar saken. Born with a silver spooon, jaisa ke angrezi mein kaha jata hai.
Teesri baat jo maine notice ki vo ye thi ke vahan sirf 2 hi aadmi the jo Bar ke pichhe khade drinks bana rahe the, baaki shayad 5-6 ladkiyan hi thi jo drinks serve kar rahi thi aur customers ke orders le rahi thi.
Bar ke saath hi ek chhota sa darwaza bana hua tha jo shayad pichhe kitchen mein khulta tha kyunki usi darwaze se kuchh ladkiyan plates mein kuchh khaane ki cheezen lekar aa ja rahi thi.
"Can i take your order sir?" Ek ladki ki aawazaayi toh meri soch ka silsila toota.
Mere saamne ek khoobsurat si ladki haath mein pen paper liye khadi muskura rahi thi. Mera us waqt sharab pine ke bilkul mood nahi tha. Ek toh bukhar, doosra dopahar ke 2 baje aur teesra ke maine sharab pine khud hi bahut kam kar di thi.
"Yeah i would like to get something to eat please and a beer" Maine muskurate hue kaha aur table ki taraf dekhne laga ke shayad koi menu card mile par vahan kuchh nahi tha.
"Would you like veg or non-veg sir?" Ladki ne puchha toh mujhe yaad aaya ke main ek pub mein betha hoon, kisi restaurant mein nahi. Yahan sharab milti hai aur khane ko jo thoda bahut intezaam hai vo sirf vahi cheezen hongi jo sharab ke saath khaayi jaati hain.
Ladki saaf english mein bol rahi thi toh mujhe Chipku ki kahi baat yaad aayi ke yahan sirf un ladkiyon ko rakha jata hai jo dikhne mein achhi hon aur padhi likhi hon.
"You know what, get me a beer and a plate of kababs please" Maine ladki ki taraf dekhte hue kaha.
"Any brand of preference?" Usne mujhe puchha.
"Do you serve crude beer here?"
"Sure" Vo muskurati hui boli aur chali gayi.
Maine ek baar phir aas paas nazar daudayi. Vahan bethe logon mein sabse gareeb shayad main hi tha iska ehsaas mujhe ho raha tha. Sab raees-zaade jo ke khud yahan bethe sharab pi rahe the aur pichhe business koi aur chala raha tha. Inka kaam shayad sirf cheque sign karne ka aur yahan bethkar zindagi ke maze lootne ka hi hota tha.
Takreeban 10 min mein hi vo ladki ek tray mein kababs ki plate aur Beer ka mug le aayi aur mere saamne serve karne lagi.
"How long have you been working here?" Maine usse puchha.
"Quite some time sir" Usne meri baat ka golmol sa jawab diya.
"Can i ask you something?"
"Sure" Vo Beer aur kababs table par rakh kar mere saathi hi khadi ho gayi.
"Did this girl ever work here?" Maine use Saanwli ki tasveer dikhayi.
Usne tasveer ki taraf dekha aur meri taraf dekh kar inkaar mein gardan hila di.
"No sir, i have never seen her here"
Par us ek pal mein uske chehre aur uski aankhon ke badle bhaav mujhse chhup nahi paaye the. Tasveer par nazar daalte hi uske maathe par ek pal ke liye shikan aayi, aankhen chaunki jo ki usne agle hi pal sambhal liya par mere liye utha hi kaafi tha.
Main janta tha ke vo jhooth bol rahi hai.
_____________________________

Hmmm sach hai koyi jhoot bolta hai to chehre par nazar ata hai wo bhi agar ek spy se jhoot bolo to chehra dekh kar pata chal jata hai. Bar ko bahut hi acha describe kiya hai bhai ne :thumbup:
 
  • Like
Reactions: Hell Strom
Top