• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller DARK GIRL (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,212
43,131
354
Mumbai mein log kehte hain ke traffic jams din mein nahi raat ko lagne chahiye kyunki yahan ke log din mein kam, raat ko zyada ghar se bahar nikalte hain khaas taur se vo jo apni khud ki gaadi afford kar sakte hain yaani ke Mumbai ki night life. Main kaafi hadh tak is baat se sehmat tha. Raat ka andhera phelne par jahan logon ko apne apne gharon ki taraf chalna chahiye, kha pikar apne bistar ki taraf kadam badhane chahiye, vahin yahan ke log andhera hone par sajna savarna shuru karte hain, taiyyar hona shuru karte hain aur bajaay apne gharo ki taraf jaane ke sair sapate ke liye nikalte hain, night clubs ki taraf kadam badhate hain.
Iska ek namuna mujhe is waqt bhi dekhne ko mil raha tha. Geetanjali ke ghar ki taraf jaate hue mujhe raat ke 10 baje hone ke bavajood heavy traffic ka samna karna pada. Jo raasta mujhe aadhe ghante mein poora kar lena chahiye tha, use poora karne mein mujhe poora dedh ghanta lag gaya. Jab maine us raat finally Geetanjali ke ghar ke saamne gaadi roki toh raat ki 11 baj rahe the.
Ghanti baja kar main darwaze par khada intezaar karne laga par meri ummeed ke mutaabik mujhe is baar darwaze pra lage intercom par uski aawaz sunai nahi di. Maine phir ghanti bajayi par phir kuchh kuchh nahi. Apna cell nikal kar use phone karne ki koshish ki par situation phir vahi. Cell switched off tha aur landline par busy tone sunai de rahi thi. 5-10 minute vahin khade rehne ke baad aur baar baar ghanti bajane ke baad bhi jab koi jawab nahi aaya toh maine vaapis lautne ka faisla kiya. Shayad vo ghar par nahi thi aur jis tarah ke import export aur real estate ka uska business tha, uska toh office bhi khulta raat ko hi hoga.
main palat hi raha tha ke meri nazar ek aisi chiz par padi jo main pehle andhere ki vajah se dekh nahi paya tha . Geetanjali ke ghar ka darwaza automatic tha yaani vo ghar ke andar se button dabaati aur darwaza apne aap ek aur slide hota chala jata, theek Maruti omni van ke darwaze ki tarah aur phir 90 seconds baad apne aap band hone lagta , basarte ke ander se kisi ne kholne wale button ko daba na rakha ho.
Is waqt darwaza band toh tha par poori tarah nahi, Matlab ke jahan use jakar deewar se mil jana chahiye tha vahan neeche ek pepsi ki 500ml wali bottle zameen par padi thi jiski vajah se darwaza poora band nahi tha .
Mera matha thanka . Maine jhuk kar pepsi ki bottle ki taraf dekha aur haath laga kar darwaze ko khulne wali disha mein dhakela . Ek halke se zor ke saath hi darwaza phir phir poora khulta chala gaya. Maine neeche giri bottle uthayi aur ghar ke andar daakhil hua. Aur yahin mujhse meri sabse badi galti hi gayi.
Andar dekhne ke baad main thodi der vahin lawn mein andhere mein khada raha. Poora ghar andhere mein dooba hua tha par livin room ki lights jali hui thi. Dekhne se yun toh kuchh bhi galat nahi tha aur ye bhi mumkin tha ke vo bottle vahan galti se gir gayi ho par jaane kyun mujhe lag raha tha ke kuchh gadbad hai aur apne dil ki tasalli ke liye main uske living room ki taraf badha.
Bahar ke darwaje ki taraf hi Uske Ghar ka main door bhi khula hua tha . Living room mein har taraf roshni faili hui thi. main ek Baar geetanjali ka naam pukara aur jawab na aane par Apne Charon taraf dekhta living room mein use jagah tak pahuncha jahan aakhri baar tab baitha hua tha jab usse Milne aaya tha.
Samne table par ek wine bottle Rakhi hui thi, table par 2 glass the jinmein abhi bhi thodi wine bachi hui thi.
Ek glass par lipstick ke nishan the jinhe Dekh Kar Maine andaza lagaya ke glass jarur geethanjali ka hoga par dusra glass saaf tha. Jaahir tha ke yaha jarur Uske Kisi mehman ka raha hoga.
table par ek Ashtray Rakhi hui thi aur paas hi ek India kings cigarette ka packet aur match box rakha tha. main khud bhi ISI brand ke cigarette piya karta tha aur you samne cigarette dekh kar mujhe cigarette peene ki talab uthi. Main apni Jeb par hath mara Tu ehsaas hua ke Apne cigarette bahar gadi mein hi chhod aaya tha. Jhuk kar cigarette packet uthaya aur khola to usme ab Bhi Kai cigarette Rakhi hui thi .
Maine ek nikaal kar jalaye aur takat wapas wahi Rakh Diya.
"Geetanjali ma'm" Maine ek Baar zor se aawaz lagayi par koi jawab nahi aaya.
Main aaj aaj tak jitni baar bhi yahan aaya tha, Kabhi living room se aage Nahin gaya tha. Ek baar geetanjali ne mujhe offer jaroor kiya tha ke main Raat yahi ruk jaoon taki wo mere ehsaan ka kuch badla utar sake. main uska ishara samajhta tha ki woh kis Tarah se ehsaan utarne ki baat kar rahi thi aur main inkar Kar ke wapas chala gaya tha.
Maine nazar ghuma kar living room mein rakhe landline phone par nazar daali toh vo apni jagah par rakha hua tha . Receiver utha Kar kaan se lagaya toh dial tone Sunai nahi de rahi thi. Main janta tha ke uske is phone ki har kamre mein ek agal extension thi aur shayad unmein se hi koi ek ka receiver shayad apni jagah par dhang se rakha nahi gaya tha isliye busy tone sunai de rahi thi.
Sab kuchh apni jagah par tha. Mujhe laga ke shayad vo ghar par thi hi nahi aur Pepsi ki bottle galti se darwaze ke beech aa gayi. Cigarette ke kuchh kash laga kar maine ash tray mein bujhayi aur vaapis jaane ko mudha hi tha ke kuchh aisa nazar aaya jis se mere kadam jahan the vahin ruk gaye. Living room mein khade khade ghar ka ek aur darwaza nazar aata tha. Kyunki main kabhi isse aage nahi badha tha toh janta nahi tha ke vo darwaza kisi kamre ka hai, bathroom ka ya kitchen ka par is waqt vo darwaza bhi khula hua tha. Jis cheez ne meri nazar ko pakda tha vo tha us darwaze se behkar bahar aata ek taral padharth. Living room ki roshni halki halki us darwaze tak bhi pahunch rahi thi par itni nahi ke jahan main khada tha vahan se bataya ja sake ke vo taral padarth kya tha. Par phir bhi itna toh kaha ja sakta tha ke vo gaadha tha isliye pani nahi ho sakta tha aur rang mein ya toh gehra laal tha ya kala. Dhadakte dil ke saath maine kadam aage badhaye aur aur us darwaze tak pahuncha Vo darwaza kitchen ka tha aur uske saamne pahunchte hi mujhe mere sawal ka jawab mil gaya. Vo taral padarth khoon tha jo kitchen mein giri padi Geetanjali ke shareer se behkar nikal raha tha.
Maine zindagi mein isse pehle bhi kayi baar dead bodies dekhi thi par vo aksar ya toh morgue mein hoti thi, ya kisi hospital mein, ya kisi police station mein ya phir mauka-e-wardat par jahan mujhse pehle kayi policewale maujood hote the.
Ye pehli baar tha ke main akela khada tha aur mere saamne ek laash padi thi. Pehli baar aisa hua tha ke main mauka-e-wardat par pahunchne wala pehla insaan tha. Jaisa ke aisi situation mein pehli baar padne wale har insaan ke saath hota hai, mujhe bhi ek pal ko toh samajh nahi aaya ke kya karun. Par phir dimag waqti jhatke se fauran bahar nikla aur mujhe ehsaas hua ke main sidha is baat par pahunch gaya ke vo mar chuki hai. Ye bhi toh ho sakta hai ke vo zinda ho.
Vo karwat par giri padi thi aur chehra meri taraf tha. Maine fauran neeche beth kar uske kandho ko pakda aur halke se hilaya.
"Geetanjali"
Aur vo dheere se mere hilane ke karan poori tarah ulti ho gayi. Aur iske saath hi mujhe yakeen ho gaya ke vo mar chuki hai aur maut ki vajah, yaani ke uski kamar ke nichle hisse mein ghusa hua chaaku jo ab bhi aadha uske shareer mein aur aadha uske shareer se baar tha, saamne aa gayi.
Màin neeche ukdu betha hua tha aur uske shareer mein ghusa hua chaaku dekh kar thoda hadbada gaya. Pichhe ko hat-te hue mera pair neeche zameen par beh rahe khoon mein pad gaya aur main phisal
kar gir pada. Nateeja, mere pent, haath aur kohniyan uske khoon mein san gayi. Apne aapko sambhal kar main utha aur thoda pichhe hokar khada ho gaya. Mere haathon par laga uska khoon ab bhi halka halka garam tha yaani ke usko mare zyada waqt nahi hua tha. Kitchen mein deewar par ek phone laga hua tha jiska receiver neeche latak raha tha. Shayad vo marne se pehle kisi ko madad ke liye phone karna chah rahi thi par aisa kar nahi paayi. Aur yahi vajah thi ke mujhe baar baar uska phone busy mil raha tha.
Maine apna phone nikala aur police ka number milate hue vaapis living room mein aaya. Phone milne par pehli ghanti baji hi thi ke mujhe living room mein lage sheeshe mein apna aks dikhayi diya aur maine fauran call disconnect kar di. Main poora uske khoon mein sana hua tha, is waqt uske ghar par akela tha aur is waqt police ko bulane ka matlab tha ke sawal jawab ke ek aise bhanwar mein phasna jo jaane kab tak chalta rehta. Geetanjali Thakkar ek kaafi pahunchi hui aurat thi toh uska case kaafi uchhalne wala tha aur agar main is halat mein police walo ko yahan milta toh mere agle kuchh din sirf police station ke chakkar kaatne aur apni kahani baar baar unko sunane mein guzarne wale the. Maine faisla kiya ke uski maut ki soochna police ko bahar kisi phone se ek anjaan aadmi ban kar de doonga.
Ghar se bahar nikal kar main main‘gate par aaya toh mujhe apni galti ka ehsaas hua. Maine andar jaate hue us Pepsi ki bottle ko utha liya tha jiski vajah se ab darwaza poori tarah band tha.
"Damn it" Maine apne aap se Kaha.
Ye zaroor tha ke darwaza ghar ke andar hi kisi button se khulta tha par problem ye thi ke mujhe pata nahi tha ke iske controls kahan hain. Vo Button ghar ke kis hisse mein hai jo is darwaze ko kholta hai. Maine vahin darwaze ke dono taraf dhoondha ke shayad yahan bhi koi kholne ke liye control laga ho par kuchh nazar nahi aaya Ab ek hi tareeka tha ke ghar ke andar jakar darwaze ko khola jaaye par aisa main karna nahi chahta tha. Kaun jaane darwaze ke controls kholne mein mujhe kitna waqt lage aur filhal main jaldi se jaldi yahan se nikal jana chahta tha.
Darwaze ko do kadam pichhe hatkar dekha toh vo ooncha toh tha par bahut zyada nahi aur beech mein bars lage hue the jinko pakad kar aasani se uper chadha ja sakta tha. Maine apni shirt jeans se bahar tuck out kari, bars ko pakad kar darwaze ke uper chadha aur doosri taraf kood gaya Sadak par sannata tha. Maine ek nazar dono taraf ghumayi ke kisi ne mujhe dekha toh nahi aur aakar apni gaadi mein beth gaya. Ghadi par nazar daali toh raat ke 12 bajne wale the.
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,212
43,131
354
Tagda update bro... waiting for next
Next update next .
 
  • Like
Reactions: Hell Strom

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,212
43,131
354
Chapter 11
The Murder Suspect

Phone ki ghanti baji toh meri aankh khuli. Pehli nazar maine ghadi ki taraf daali. Subah ke 3 baj rahe the. Call Khan ki thi.
"Itni raat ko kya ho gaya?" Main phone uthate hue puchha.
"Kahan hai tu?" Doosri taraf se uski bahut dheemi aawaz aayi, jaise vo phone apne munh phone ke bahut kareeb karke neechi aawaz mein phusphusa raha ho.
"Ghar pe aur kahan. So raha tha" Maine jawab diya.
"Tera dimag kharab hua hai?" Nikal vahan se, abhi isi waqt" Doosri taraf se aawaz aayi.
"Niklun? Kahan ke liye niklun?"
"Kahin bhi ja jahan chhup sakta hai tu. Policewale tujhe arrest karne ke liye pahunchte hi honge"
"Arrest, mujhe? Kyun?" Meri neend achanak gayab ho gayi aur main bistar par tankar beth gaya.
"Achha ye bhi main hi bataoon? Ye jo tu yahan kaand karke gaya hai iske jurm mein"
"Kaand? Kaun sa kaand?"
"Ya toh tu ban raha hai ya tu bahut bada bevakoof hai. Geetanjali Thakkar ke ghar jokarke gaya hai vo Kaand" Usne phir dheemipar gusse se bhari aawaz aayi.
"Wait a minute. Unhen lagta hai ke maine mara use? Abey maine hi toh phone karke police ko inform kiya tha"
"Baat karne ka waqt nahi hai. Nikal vahan se abhi isi waqt. Baad mein baat karunga main tujhse"
"Lekin main kyun bhaagun jab maine kuchhkiya hi nahi?" Maine kaha par tab tak main khud bhi uthkar apni almari se kapde baharnikalne laga tha, pehenkar bhaagne ke liye.
"Abe batane ka waqt nahi hai par itna jaan le ke yahan jitne saboot hamein aadhe ghante ke andar andar mil gaye hain unke rehte tu mar jaayega court mein ye saabit karte karte ke tune kuchh nahi kiya. Filhal nikal, kal baat karte hain" Kehkar usne phone kaat diya.
Maine jaldi se apna phone table par rakha aur ek jeans aur T-shirt daali. Apna wallet uthaya, dawaiyan uthayi, phone jeb mein daala aur ghar band karke sidhiyon se neeche utara.
Apne instincts ko follow karte hue main sidha bhaag kar apni gaadi mein beth gaya. Gaadi start karke gear mein daali hi thi ke khyaal aaya ke kal tak har police check post par is gaadi ka number aur model available kara diya jaayega. Gaadi band karke main bahar nikla aur paidal hi gali ke kone par jakar andhere mein khada ho gaya.
Khan sahi keh raha tha, mujhe zyada intezaar nahi karna pada. 15 minutes ke andar andar police ki 3 gaadiyan mere ghar ke bahar khadi thi, mere ghar ka darwaza toda ja chuka tha aur meri gaadi ke aas paas kam se kam 5 policewale khade the.
Main chup chap palta aur andhere mein paidal hi ek aur chal pada. Mujhe koi idea nahi tha ke main kahan ja raha hoon aur abkya karna chahiye. Yun toh kai policewalo se meri dushmani rahi thi jinmein se Joshi ek tha par kabhi aisa nahi hua ke mujhe police se bachkar bhaagna pad raha ho. Zindagi mein itna kuchh ek saath pehli baarho raha tha ke mujhse sambhalna mushkil ho raha tha.
Koi aadhe ghante tak main yun hi sadkon par bhatakta raha, sochte hue ke ab kya karna chahiye. Bukhar toh mujhe nahi tha par kamzori kaafi mehsoos ho rahi thi. Ek jagah sadak ke kinare mujhe ek bench dikhai di, jaisi ke aksar bus stand aur parks mein bani hoti hai. Us bench ke aas paas uswaqt poori tarah andhera tha. Maine apni chaaron taraf ek saavdhani bhari nigah phirayi aur jakar Bench par beth gaya.
Aur phir ek ek karke mujhe meri vo saari bevakoofiyan yaad aani shuru hui jo main us raat karke aaya tha. Koi hairat nahi thi ke Khan ne mujhe bhaagne ko kaha kyunki apne liye phaansi ka phanda toh maine khud taiyyar kiya tha.
Cigarette ka packet. Uspe mere finger prints.
Vo aadhi pi hui cigarette ka butt jo ash traymein milega, phir se mere finger prints.
Geetanjali ke khoon mein mere haathon aur jooton ke nishan.
Uske darwaze par mere khoon se sane finger prints.
Aur koi hairat ki baat nahi thi agar kisi ne mujhe darwaza kood kar paar karte dekha ho.
Aur meri sabse badi bevakoofi, police ko mere ghar par mere khoon mein sane mere kapde jo maine washing machine mein daal diye. Aur jo ke main jald-baazi mein uthana bhool gaya tha.
Khan sahi keh raha tha, in sab sabooton ke rehte meri umar beet jaayegi ye saabit karte karte ke main begunah hoon.
______________________________
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,673
259
Bijli se baat karne ke baad maine pehle socha ke ghar jakar aaram karun par phir khyaal aaya ke thodi der baad mujhe jakar apni medical reports collect karni thi. Irada badal kar main ghar jaane ke bajaay apne office ki taraf chal pada.
"Aaiye meharbaan, bethiye saaheban"Mere office mein daakhil hote hi Nisha mujhe dekh kar gaane lagi.
"Is gaane ke aage ki lines pata hai na?"Main apni seat par jakar beth-ta hua bola"Shauq se lijiye ji, ishq ke imhtehaan"
"Haan toh le lejiye. Aapke har imtehaan ke liye bandi haazir hai"Vo apni jagah se uthkar meri desk ke saamne wali chair par aa bethi.
"And what would your fiance think of that? Agar main tere ishq ke imtehaan lene betha toh?"
"Aap hukum kijiye sir, aapke uper aise hazaar fiance qurbaan"Vo bade hi naatkiye ada ke saath boli.
"Oh really?"Maine bhi usi ke andaaz mein puchha.
"Aur nahi toh kya sir. Vo toh aapne ishara nahi kiya varna is fiance ka number toh aana hi nahi tha. Main toh bas vahan apni kursi par bethi aapka intezaar karti rahi par aapke karam ki nazar kabhi hamari taraf uthi hi nahi"Vo filmi style mein maathe par apna haath rakhte hue boli.
"Kya chahiye?"Main sidha matlab ki baat par aaya"Chhutti leni hai?"
"Dekha"Vo table par haath maarte hue boli"I rest my case. Main ishq mohabbat ki baat kar rahi hoon aur aap kaam ki. Isi liye toh meri aur aapki kahani adhuri reh gayi"
"Kab chahiye chhutti?"Main uski baat ko nazar andaaz karta hua bola"Assuming ke tu ye drama queen chhutti maangne ke liye hi bani hui hai"
"Kal"Vo bhi sidhi hokar bethte hue boli.
"Theek hai"Maine ek cigarette jalate hue kaha"Toh aise hi maang leti. Ye ishq ki maari Laila kyun bani hui thi"
"Arrey subah se bethi bore ho rahi thi. Aap aaye toh socha ke thoda hasi mazak ho jaaye par aap ho ke sidha kaam ki hi baat karte ho. Isi liye single ho aap"
"Kya matlab?"
"Matlab ke main ishq pyaar mohabbat ki baat kar rahi hoon aur aap kaise khadus ki tarah ignore kar rahe the. Isi liye koi ladki nahi phasti aapse"
"Ladki toh mujhse vaise hi koi nahi phasti, khadus or no khadus"
"Vaise sochne wali baat hai ye. Dikhne mein achhe bhale ho, kaafi adventurous sa work profile hai phir bhi single, aisa kyun?"
"Pata nahi yaar"
"Koi nazar mein ho toh batao, main baat chalati hoon"Vo aankh maarte hue boli.
"Nahi koi nahi hai yaar. Meri life mein ladki ke naam par bas ek tu hi hai aur tu shaadi karne wali hai"Maine bhi palat kar aankh maari.
"Aapne der kar di na, pehle ishara kar dete. Vaise abhi bhi zyada der nahi hui hai, ab bhi chaho toh main saath chalne ko taiyyar hoon"
"Aur tera mangetar?"
"Kaha na, aap par aise hazaar qurbaan"
"Phir shuru ho gayi? Chhutti ke liye haan bol diya maine, remember? Vaise kya plan hai kal ka?"
"Mangetar sahab lunch par kahin le jana chahte hain"Usne bataya"Vaise mere alawa bhi ek aur ladki hai filhal aapki life mein"
"Kaun?"
"Saloni"
"Shut up"
"Why?"
"She is a client"
"A client which is kind of hot. Shakat soorat ok types hai par baaki ka saman kaafi achha hai"
"Would you shut up?"Maine haste hue kaha"Main single hi theek hoon filhal"
"Kab tak. Shaadi kar lo. Umar ho rahi hai. Aise single bethe rahe toh kuchh time baad shaadi ke liye ladki milne wali hi nahi koi"Vo uthkar vaapis apni jagah par chali gayi.
Uski kahi baat ne jaise mere dimag mein tubelight jalane ka kaam kiya.
"Ek kaam kar"Maine sochte hue kaha.
"Baat chalaoon Saloni se?"Vo fauran palat kar phir meri desk par aa gayi.
"Nahi. Marriage beuro mein jo hamara contact tha, kya naam tha uska .... haan Ismail, vo ab bhi hai right?"
"Haan"
"Contact kar use. Usko bol ke Saanwli Mitra ke naam se zara check kare"
"You think she was married?"
"Could be. Vo apna saman kahin shift kar rahi thi and hamne ye assume kar liya tha ke vo kisi ladki ke saath live in relationship mein thi. Ye bhi toh ho sakta hai ke kuchh shaadi vaadi ka chakkar ho"Maine kaha.
"Ek shaadi jiske baare mein uske gharwalo tak ko nahi pata?"
"Hey i know its a long shot. Probably a false trail but worth trying, right? Check karne mein kya jata hai"
"Yeah i gues you are right. I will call him"
Nisha uthkar vaapis apni jagah par gayi hi thi ke mere phone ki ghanti baji. Call Khan ki thi.
"Tu aaj kal mujhe bada phone karne laga hai"Maine phone utha kar kaha"Pehle hafte mein kabhi ek baar phone karta tha aur aaj kal din mein 2-3 baar ghanti baja deta hai"
"Yeah i know"Doosri taraf se uski aawaz aayi"Kuchh na kuchh aisa hota rehta hai ke teri ghanti khadkani padti hai"
"Ab kya hua?"
"Guess kar ke Joshi ke baad uski jagah kaun aa raha hai"
"Kaun?"
"Main"
"Tu?"
"Haan. Mera transfer uske police station mein kar diya gaya hai. Uske baad ab main vahan ka charge le raha hoon"
"Matlab ab ....."
"Exactly"Usne meri baat poori kar di"Matlab ab Saanwli ka case officially mere paas hai
________________________

Ye Nisha aur Adi ki flirt ki andaz bara passand aya mujhe. Khan bhi keh raha tha Adi se uss din. To kyun Adi Nisha se hi shadi nahin kar leta. She is ready to leave her fiance....
To ab Khan joshi ko replace kar raha hai to sanvli ka case usske paas matlab ab Adi ka kaam asaan :yay:
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,673
259
"Nahi main vo nahi keh raha tha. Khair, par ye hua kaise?"Maine puchha
"I dunno. Mujhe abhi call aayi ke kal se mujhe Joshi ki jagah charge lena hai. Apparently Joshi Sahab ki desk par kaafi cases jama ho gaye the jinhen suljhane ke liye unhen kisi qabil officer ki zaroorat thi"Khan bola.
"And poore police department mein qabil officer ke naam par unhen ek tu hi mila bas?"
"Hey"Khan ne bura maanne ke andaaz mein kaha"Main kaam karta nahi iska matlab ye nahi ke main kaam kar nahi sakta'
"And ab tera irada kaam karne ka hai?"
"Haan. Joshi ke jama kiye cases ko main saaf karunga. Mera naam ooncha hoga aur Joshi ka neecha"
"You do know he is dead, right? Ek mare hue aadmi ka naam kharab karega?"
"Haan toh kya hua. Jab vo zinda tha toh vo mera aur tera naam kharab karne par tula hua tha. Main uske marne ke baad uska naam kharab karunga"
"Pagal hai tu saale. Achha vo numbers ke call records ka pata chala kuchh?"
"Nahi abhi toh nahi. Kuchh pata chalte hi phone karta hoon"
Joshi ki maut ka mujhe dil se afsos tha par uske baad ab Khan ke case ka charge lene se main ek sukoon ki saans bhi li. Joshi mere case ki investigation mein bahut badi rukavat tha aur main dil mein ye dua bhi kar raha tha ke ab jo koi bhi aaye, vo had darje ka kaamchor ho jise na Saanwli se matlab ho aur na uske gayab hone se. Vo bas chupchap thaane mein bethe aur mujhe apna kaam karne de.
Khan ke aane se mujhe munh maangi murad toh mili hi, saath hi Saanwli ke case ko jaise chaho investigate karo ka green signal bhi mil gaya tha.
Shaam ke waqt maine Lab se apni reports uthayi aur Doctor se milne pahuncha. Reports mein Typhoid ke symptons nikle. Doctor ne mujhe sakht salah di ke main kuchh din tak ghar par aaram karun, bahar ka na khaoon, apne aapko zyada exert na karun vagerah vagerah. Saath hi saath usne mujhe bahut saari hari peeli goliyan thama di. Clinic se nikal kar main sidha Saanwli ke hostel pahuncha.
Ek baar main paidal hostel ke saamne se guzra, guard ko aankh se ishara kiya aur shaam 5 baje ke thodi der baad hi vo mere saath meri gaadi mein betha baat kar raha tha.
"Aapko aaj phone karne hi wala tha, achha hua aap milne hi aa gaye"Vo jeb se ek paper nikalta hua bola.
"Kuchh mila?"
"Haan"Kehte hue usne mujhe vo paper ka tukda thama diya.
Paper par ek address likha hua tha. Maine padha toh vo Ahemdabad ka nikla.
"Ye kya laya hai yaar. Galat address le aaya tu. Mujhe toh pata chala tha ke vo Pune mein kahin rehti hai"
"Ham bahut dhoondhe saahib par kya kariyega, vo Maya ke naam par ektho yahi pata mila"
"Kahan mila ye?"
"Jab idhar par koi ladki rehne ke liye aati hai toh paper formalities vagerah thoda karna padta hai, matlab form vagerah bharna type. Usi par ye address tha"
"Kahan ka address hai kuchh aur likha tha form pe"
"Haan. Ahemdabad ka"
"Arrey vo toh mujhe bhi dikh raha hai. Matlab Ahemdabad mein kaun sa address hai ye, vo vahan se aayi thi, uske kisi rishtedaar ka ....."
"Unka asli ghar ka address hai"Vo meri baat beech mein kaat-te hue bola"Permanent address wali jagah par likha hua tha ye address. Aur vo Maya madam vahin Ahemdabad se thi ye hamko bhi malum hai"
"Ab uske ghar ke address ka kya karun? Barat lekar jaoon ya ....."Main achanak bolta bolta ruk gaya. Dimag ki tubelight ek baar phir jali"Kaam ho gaya. Thanks yaar. Chal jaayega isse kaam"
Maine uske kandha thapthapaya toh vo badi ummeed bhari nazron se meri taraf dekhne laga. Un nazron ka matlab main bakhubi samajhta tha. Jeb se ek 100 ka note nikal kar maine uski taraf badha diya.
Vaapis apne ghar pahunchte pahunchte mujhe shaam ke 7 baj gaye. Bijli se milne maine 8 baje jana tha yaani ab bhi ek ghante ka waqt tha. Maine Nisha ko phone milaya.
"Ghar pahunch gayi?"
"Kya baat hai, meri itni fikar? Ab main theek thaak pahunch gayi ya nahi is baat ka bhi pata kiya ja raha hai? Haaye, kahan tha ye Aditya Sharma aaj se 1 mahina pehle"
"Phir shuru ho gayi tu? Subah subah bhaang laga kar ghar se nikli thi kya jo ab tak asar hai?"
"Arrey sir nasha bhaang ka nahi aapke pyaar ka hai"
Mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha ke subah se uske sar par ye kaun sa naya bhoot sawar ho gaya tha.
"Ab teri nautanki khatam ho gayi ho toh kaam ki baat kar lein kuchh?"
"Haan haan karo kaam ki baat Kaamdev. Kya hua?"
"Vo Maya ka address mil gaya"Maine bataya."
"Pune wala?"
"Nahi Ahemdabad ka address hai"
"Par vo shaadi karne Pune nahi gayi thi?"
"Haan shayad par ye uska original address hai jo ke even better hai. Ab tujhe ek kaam karna hai"
"Uske ghar par phone karke kuchh bahana bana kar uska Pune wala address lena hai"
"Exactly. Smart hoti ja rahi hai tu"
"Theek hai. Number forward karo. Main karti hoon phone"
"Ye ek doosri problem hai. Sirf address hai, phone number nahi hai"
"Very nice. Koi nahi, aap address forward karo mujhe. Main directory vagerah kahin check karke number nikalti hoon"
____________________________

Nisha phir flirt kar rahi hai...
Adib
ko typhoid hua hai aur wo itne logon se mil raha hai. Typhoid contagious hai nah, to Nisha, Khan vagaira sab ko typhoid ho sakta hai, haan Saloni ko bhi :laugh:
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,673
259
Chapter 10 - The Girl Who Knew Too Much

Shaam ke theek 8 baje main Bijli ko bataye restaurant mein betha uska wait kar raha tha.
"Can i take your order sir?"Ek waiter meri table par aakar bola.
Yun toh doctor ne mujhe bahar khane se bilkul mana kiya hua tha par aisi jagah par aakar khaali bhi toh nahi betha ja sakta tha.
"Actually i am still waiting for someone to arrive"Maine muskurate hue kaha"Meanwhile, why dont you just me get me something to drink?"
"And what would you like sir?"Waiter ne mere sawal ka jawab dete hue puchha. Main janta tha ke is jagah vo sharab serve nahi karte the aur vaise bhi bimari ki vajah se mera pine ka dil bhi nahi tha.
"An orange juice would do just fine"
"I wil be back in a minute with your juice"Kehkar vo laut gaya.
Takreeban 5 min baad hi vo haath mein ek juice ka glass liye vaapis aa gaya.
"Agar kisi ko dinner par bulaya jaaye toh uska intezaar kiya jata hai Mr. Sharma"Maine Juice ka glass apne hontho ki taraf badhaya hi tha ke mere pichhe se Bijli ki aawaz aayi"Aap toh mere bina hi shuru ho gaye"
"Aur jab koi dinner par bulaye toh mezbaan ko intezaar karana bhi buri baat hai"Maine uthkar uski taraf palta aur muskurata hua bola.
"Kya baat hai?"Vo table ke doosri taraf rakhi chair par jakar bethte hue boli"Aaj sooraj kis taraf dooba hai. Aaj toh Mr. Sharma mujhe dekh kar muskura rahe hain"
"Exactly"Maine bhi apni chair par vaapis beth gaya"Kis taraf dooba hai sooraj aaj jo tumne ye Mr. Sharma Mr. Sharma ki ratt laga rakhi hai"
"Ab aapko izzatdaar aadmi banne ka shauk hai, ham jaiso ke aap munh lagte nahi toh maine socha ke sidha naam lekar bulana shayad aapko kahin bura na lag jaaye. Isliye izzat aur adab se bula rahi thi"
"Itni izzat mat do mujhe, aadat nahi hai. Kya lena pasand karogi?"Maien menu uski taraf badhaya.
"Pasand toh ye na-cheez aapko karti hai par afsos aap menu mein hain nahi"Vo aankh maarti hui boli.
Maine usi waiter ko dobara ishara kiya aur ham dono ne apni apno pasand se khana order kiya.
"You are looking good. Kaafi achhi lag rahi ho"Waiter ke jaane ke baad main Bijli ki taraf dekhta hua bola.
Aur ye baat haqeeqat bhi thi. Aaj tak maine use hamesha Sharafat Bar mein hi dekha tha aur hamesha usi behuda libaas mein jise pehen kar vahan ladkiyan naachti thi.Naabhi ke bahut neeche bandha hua ghaghra, hadh se zyada tight aur low neck blouse jispar pichhe ki side sirf baandhne ke liye doriyan hoti thi yaani kamar poori khuli hui aur gale se dupatta gayab. Aaj pehli baar maine use dhang ke kapdo mein dekha tha. Uske ek halke hare rang ka salwar kameez pehen rakha tha aur maine pehli baar is baat ka ehsaas kiya ke vo asal mein kitni khoobsurat thi.
Mujhe is baat ka ehsaas hi nahi hua ke main chup chap bina kuchh kahe ektuk use ghoore ja raha tha.
"Aise mat dekhiye Sharma ji"Vo mujhe yun ghoorta pakar boli"Thodi bahut sharam bananewale ne ham jaisi ladkiyon ko bhi bakhshi hai"
"I am sorry, i didnt mean to stare"Main baukhla sa utha"Par seriously, kaafi khoobsurat lag rahi ho"
"Thank you"Usne muskura kar jawab diya aur mujhe laga jaise mere saamne vo Bar mein nachne wali Bijli nahi balki koi aur hi ladki bethi hai.
"Naam kya hai tumhara?"Maine sawal kiya.
"Kyun aapne kisko bulaya tha yahan?"
"Come on, tumhein lagta hai ke main yakeen kar loonga ke tumhara naam asal mein Bijli hi hai?"
"Haan bilkul hai"Vo haste hue boli"Mere uper toh ek kahawat bhi bana di thi aas pados walo ne. Ke maan marr gayi andhere mein aur beti ka naam rakh gayi Bijli"
"Not funny"Maine chup chap bina hase use dekhta raha.
"Chhodiye na Sharma ji ...."
"Aditya"Maine uski baat kaat-te hue kaha.
"Theek hai, jaisa aap kahen. Chhodiye na Aditya Ji ...."
"Sirf Aditya"Maine phir baat kaati.
"Chaliye ye bhi sahi. Chhodiye ne Aditya. Naam kya ho kya farak padta hai. Farak toh sirf is baat se padta hai ke duniya aapko kya kehkar bulati hai aur mujhe duniya wale Bijli kehte hain"
"Yakeen toh mujhe ab bhi nahi hua par theek hai"Maine baat ko jaane dena hi behtar samjha.
"Arrey sach mein. Bijli hi hai. Chhukar dekho, current bhi maarti hoon"
Uski is baat par meri bhi hasi chhut gayi.
"Darr nahi lag raha?"Vo meri taraf dekhti hui boli.
"Kis baat se?"
"Yahan is public place mein mujh jaisi ladki ke saath khana kha rahe ho? Tumhare kisi pehchan wale ne dekh liya aur mujhe bhi pehchan liya toh?"
"Toh main us pehchan wale se utla ye puchhunga ke vo khud tumhein kaise pehchanta hai?"
"Baat mein dam hai"Vo muskurati hui boli.
"Vaise ek vajah se bulaya hai maine"Maine apni jeb se Saanwli ki photo nikali"Is ladki ko dekha hai kabhi kahin?"
______________________________

Yeh bijli sach mein bijli ki tarah kadak rahi hai. Kaafi pohchi hui chiz lagti hai. Iss se zaroor Adi ko achi news milegi lagta hai
 
  • Like
Reactions: Hell Strom

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,212
43,131
354
Baaki raat ko padhing Immo bhai tab tak aur 1, 2 post kar dena :D
Kar dunga sir ji but thoda late ho jayega 12 se 12:30 ke bich m
 
Top