Mujhe hosh aaya toh main ek chhote se kamre mein bed par pada tha. Mera sar dard ke maare phata ja raha tha. Main aankhen malta hua bed par uth betha aur apne sar par haath phera. jis jagah par mere sar pe kisi cheez se vaar kiya gaya tha, vahan soojkar ek gola sa ban gaya tha aur haath lagane bhar se hi ehsaas bhi ho gaya ke us jagah khoon sookh kar jam chuka hai. Maine ek nazar apne aas paas ghumayi aur phir jhatke ke saath ek ek karke saari baatein yaad aane lagin, vo sab jo mere behosh hone se pehle hua tha.
Mumbai port, Jetty, Boat, sharafat, table, khana, jhagda, Goli ki aawaz, Khan Khan"Jaise mere dimag ne zor se chilla kar kaha.
Main fauran bistar se uth khada hua par ekdam se chakkar aaye aur main phir bed ke kinare par beth gaya.
Khan ko goli lagi thi, kahan hai vo"Mere dimag mein sirf yahi ek khyaal chal raha tha. Maine phir bistar se uthne ki koshish ki ke tabhi darwaza khula aur sharafat apne 2 aad miyon ke saath kamre mein daakhil hua.
"Assalam Alaikum"Usne apne vahi purane andaaz mein müskurate hue poori sharafat ke saath salam kiya"Hosh aa Gaya janab ko?"
"Khan Kahan hai?"Maine sidha sawal kiya.
" Is baat ke 2 jawab hain"Kehta hua vo kamre mein rakhi ek kursi par beth gaya aur uske dono aadmi darwaze ke paas khade ho gaye"Agar aapka matlab Khan ke jism se hai toh vo samundar ki gehraiyon mein hai aur agar aapka matlab uski rooh se hai toh vo toh Allah Miyan ke paas hai"
Mera khoon khol utha. Aisa laga jaise kisi ne mere halaq mein haath daal kar mera dil bahar khinch liya ho. Dimag kundh sa padne laga aur mera dil chaha ke aage badhkar Sharafat ka girebaan pakad loon. Par main janta tha ke iska nateeja ya toh ye hoga ke majhe phir pakad kar bistar par betha diya jaayega, ya Sharafat aur uske aadmi milkar meri thukai karenge aur ye bhi mumkin hai ke saari takleef ganwara na karte hue vo sidha mujhe bhi goli hi maar de.
"Nahi koi baat nahi"Sharafat mera chehra padhte hue bola"Dil hi dil mein gaali dekar kyun zehar apne andar zabt kar rahe hain? Main samajh sakta
hoon. Gussa nikal lijiye par khyaal rahe ke istemaal sirf zubaan ka ho, haath paon ka nahi"
"Kyun?"Main sirf itna hi keh paya.
"Pata nahi?"Sharafat ka jawab tha.
"Kya matlab?"
"Matlab ke mujhe nahi pata"
"Tune mere Bhai ko maar diya meri aankhon ke saamne aur Tujhe pata nahi ke kyun?"
"Bhai?"Usne maathe par shikan padi"Oh aapka matlab aapke Bhai jaisa dost. Dekhiye janab maine toh aapki gardan pakdi thi. Khan Sahab ko ticket toh kisi aur ne kata"
"Kisne?"Maine fauran sawal kiya.
Iske jawab mein Sharafat sirf halke se haste hua apni jagah se utha aur mere paas aakar mera gaal aise thapthapane laga jaise main koi chhota bachcha hoon.
"Aap sawal bahut puchhte hai Sharma ji par koi baat nahi, sawal puchhna achhi baat hai aur phir ye toh aapka pesha bhi hai. Par aapko pata hona chahiye ke kaun sa sawal, kis waqt aur kisse puchhna chahiye"
"Yeh meri baat ka jawab nahi tha"
"Main aapki baat ka jawab de bhi nahi raha sirf kuchh samjhane ki koshish kar raha hoon. Afsos ki baat hai ke hamein bachpan se ye taaleem di jaati hai, sikhaya padhaya jata hai ke kab bolna hai, kya bolna hai, kaise bolna hai par ye nahi sikhaya jata ke kab chup ho jana hai. Yahi aapko seekhna hai. Sawal puchhiye par is baat ko dimag mein rakh kar ke waqt padne par apna munh band karke chuppi saadh leni chahiye. Seekhiye ke kab ghoor kar dekhna hai aur kab nazar pher leni hai. Isi mein aapki bhalai hai"
"Kisne mara use?"Maine phir apna sawal dohraya.
"Ziddi ho bhai, bahut ziddi'Kehkar vo darwaze ki taraf badh chala"Aap jaane ke liye aazad hain. Jab chahen uth kar ja sakte hain"
"Bach nahi paoge, ek policewale ko mara hai tumne"
"Nahi'vo phir palta"Maine kisi ko nahi mara aur jo mara uski maut ko saabit bhi kaise karenge aap? Kaun sunega aapki, aap toh khud ek khoon ke ilzaam mein bachte phir rahe hain. Aur meri maaniye toh munh na hi kholiyega varna kahin aisa na ho ke ye bhi aapke hi sar pad jaaye. Phir 2 murder cases se bhaagte phirenge"
"Mujhe kyun chhod diya"
"Ek baar phir, na maine kisi ko mara aur na main kisi ko chhod raha hoon"Kehte hue usne darwaza khola.
"Mere saamne tumne ek policewale ko mara hai, main chashm-deed gawah hoon"
vo sirf meri taraf dekh kar hasa aur phir apni aadmiyon ki taraf muda.
"Jaane dena ise"Kehkar vo darwaza khol kar bahar nikal gaya.
Mujhe ek pal ke liye samajh nahi aaya ke kya karun. Bachpan se main Khan ko janta tha, saath saath pale badhe the, ek doosre ke har dukh dard mein shareeq the. Kareebi dost ki naam par ek vahi tha bas meri zindagi mein. Jab bhi koi museebat hoti, koi zaroorat padti ya koi khushi ka waqt hota toh mujhe sabse pehle usi ki yaad aati thi.
Is waqt bhi shayad main use hi phoon ghuma raha hota par aur ab vo nahi tha, ja chuka tha meri vajah se. "Yaar mujhe kuchh theek nahi lag raha. Aaj ghar se nikalte hue mera dil keh raha tha ke mujhe nahi jana chahiye"Mujhe uski kal raat ki kahi baat yaad Aayi. Kitna sach keh raha tha vo. Uski gut feeling theek thi. Agar vo ghar se na nikalta toh aaj zinda hota.
Mera sar ka dard kam hone ka naam nahi le raha tha. Main uthkar khada hua aur apne kapde sahi kiye toh ehsaas hua ke sar se khoon behkar pichhe se meri shirt ko bhi bhigo chuka tha. kismat se Maine kaale rang ki shirt pehni hui thi isliye khoon ka rang nazar nahi aa raha tha.
Ladkhadata hua main dheere dheere kamre se bahar nikla toh ehsaas hua ke main Sharafat Bar mein hoon Ye neeche basement mein bane vo kamre the jahan jism-faroshi ka dhandha hota tha. Mujhe kamre se bahar aaya dekh Sharafat ke aadmi meri taraf ek pal ke liye ghoome par phir mujhe andekha karke apni baaton mein lag gaye.
Sidhiyan chadhkar main Bar mein aaya. Bar poori tarah bhara hua tha aur tab mujhe waqt ka andaza hua. Confirmbkarne ke liye apna cell nikal kar time dekha toh sach mein raat ke 8 baj rahe the isi liye Bar poori tarah sharabiyon se bhara hua tha aur dance floor par Bar girls dance karne ka natak karti hui apna jism halke halke hila rahi thi. Yaani main aaj poora din hi behosh raha tha. Dheere dheere chalta hua main Bar se bahar nikla, ek auto ko haath dikha kar roka aur Dharavi ki taraf chalne ko kaha.
Samajh mein nahin araha baar baar Sharafat Adi ko chorr kyun deta hai?
Ab akela ho gaya khan k bina wo kia karega?