Chapter 2
Roz ki tarah ghar lock karke bahar nikla aur tabhi light chali gayi. Pure maholle mein andhera cha gaya. Light har jagah ki gayi hui thi isliye har taraf andhera tha piche se ati ek aad gadi ya bike scooter ki roshni kabhi kabhi mere piche se chamakti hui aage nikal jati varna uske alawa sirf andhera tha. Mein main road se kuch duri par tha tabhi piche se ati bike ki roshni mein mene sadak ke kinare khade ek admi ko dekha jo bori khinchne ki kosish kar raha tha par shayad usme itni takat nahi bachi thi ki use khinch sake. Mene ek pal use dekha aur aage badh gaya. Chaurahe par akar traffic rukne ka intezar kar raha tha taki rasta paar kar sakun. Intezar karte hue mene piche ki taraf dekha to ek bike vala tezi se us budhe ki taraf se nikla, ek pal mujhe laga ki usne us budhe ko uda dia par uske nikalne ke baad mein galat sabit hua. Vo budha vahin tha aur shayad abhi bhi bori khinchne ki kosish kar raha tha.
Na jane kyun par mere man mein uski madad karne ki ayi to mein uske pass pahunch gaya.
“ mein kuch madad kar dun ? “ mein uske chehre ko dekh sakta tha par chehre par bahut badhi hui dadhi thi isliye chehra samajh pana mushkil tha, sharir ko dekh kar aisa lag raha tha mano kafi waqt se kuch khaya na ho. Usne koi jawab nahi dia, ek pal socha vapis chala jaun par usko majbur dekh chhoda nahi gaya to uski madad karne ke liye mein us bori ko khinchne laga. Vakai vo bahut bhari thi, kuch time laga aur hum us chaurahe par aa gaye.
Meri sansein thodi ful gayi thi, man mein janne ki ichukta tha ki itna kaun sa bhari saman hai iske andar.
“ itna bhari saman koi akela kese le ja sakta hai bhala, aisa kya hai isme ? “ mera sawal jese usne suna hi nahi, vo chup khada raha. Phir usne bina jawab die hi bori khol kar ek kagaz mere hath mein thama dia. Vo koi magazine ka tukda tha, andhera tha isliye padna mumkin nahi tha. Mein kuch dhang se dekhta use pehle light green ho gayi, mene paper apne pocket mein dala aur bori khiskate hue chal pada.
Rasta cross karte hi vahan pahucha jahan aksar log pul ke niche kuda fenka karte the mujhe laga ise bhi yahi fenka hoga. “ yahi fenkna hai ? “ vo phir kuch nahi bola. Kuch bola nahi aur na hi usne mana kiya to mujhe laga ise bhi yahin fenkna hoga isliye mene use uthaya aur boundary par rakh kar mene ek jhatke mein niche dhakel dia.
“ ho gaya kaam “ itne mein uppar lagi street light jal padi. Mene apni nazar ghumai to vo budha wahan nahi tha, mene aage badh kar idhar udhar dekha to bhi vo mujhe kahin nahi dikha. Tabhi mujhe laga piche se koi awaz ayi hai par mene use nazar-andaz kia aur gym ke liye aage badh gaya.
“ iske dusre din hi police ne mujhe pakad kar andar kar dia. “
“ ye baat tumne pehle kyun nahi batai ? “
“ kya batata ? yahi ki mene kisi ki madad ki hai ? “
“ tum jante ho vo admi kaun hai jisne tumhe pehchana ? “
“ bar-bar wahi sawal, kitni baar kahun ki mein nahi janta “ mene chillate hue jawab dia.
“ vo wahi admi hai jisko tumne nazarandar kiya “
“ matlab ? mujhe kya pata saikdon log hote hain sadak par kaun kise kya bol raha hai mein kyun uspar dhayan dunga ? “
“ ye un sainkdon mein se ek vo tha jo tumhe hi bol raha tha aur ye insan wahan tha jahan tumne us bori ko fainka tha “
“ kya ? “
“ han, police ke sath us din jis admi ne tumhe pehchana vo vahi tha jisne tumhe bori fenkte hue dekha tha. Uske mutabik jab tumne bori fainki to agli subah jab usne us bori ko khali karna shuru kiya tab use jagdish ka kata hua sar aur baki sharir ke alag-alag tukde mile. “ usne apna chasma utar kar table par rakh dia. Meri nazar uske chasme par kyun gayi, mein nahi janta par us waqt aisa laga jese randi ki tarah mujhe kisi ne kharid kar bistar par ragad dia ho.
“ yani ? “
“ yani us budhe jese dikhne wale admi ne tumhara chutia kaat dia, samjhe ? “
“ par kyun ? vo aisa kyun karega mere sath ? “ mein khud se sawal kar raha tha ya samne baithe admi se mein khud nahi samajh paa raha tha. Ajeeb hadsa hua tha mere sath, itna ajeeb jese mujhe hi iske liye chuna gaya ho. Sahi bola vakeel ne sala mera sahi mein chutia kata hai aur itna bada ki ab meri gand lagne wali hai.
" ye to vahi insan bata sakta hai, kya tumne kabhi use dekha hai ? "
“ ye kesa sawal hai ? “ mein apna sar pakad kar baith chukka tha.
“ bahut hi simple sa sawal hai, kya tumne kabhi use pehle kahin dekha hai matlab us raat ke alawa ? “
" dekha hota to us raat pehchan nahi leta ? "
“ han ya na ? “
“ nahi, nahi dekha tha “
“ acha matlab pehli baar mila aur pehli hi baar mein chutia bana dia tumhe “
“ bar-bar bolna jaruri hai ? han mein ban gaya chutia ab khush aap ? “ meri awaz shayad bahar tak gayi hogi.
“ shant, gussa kyu ho rahe ho lo biscuit khao ? “ usne biscuit ka packet aage badha dia.
“ nahi khana mujhe “
“ theek hai mat khao, mein kha leta hun “ usne biscuit ke packet se ek biscuit nikal kar muh mein dala aur chabane laga. Sach us waqt vo awaz mujhe itni irritate karne lagi ki man kiya abhi vakeel ke muh mein ye sabhi bisuit khused kar muh sil dun phir na ye awaz hogi na mujhe irritation.
" tum mujhe uss budhe ka huliya batao , kaisa dikhta tha vo " khate sath vo bola.
" nahi janta "
" tum uske sath the kafi waqt tak, tumhe nahi pata ki vo dikhta kesa tha ? "
“ pata hai par chehra uski dadhi ke niche dhaka tha, chehra bhi itna saaf nahi tha ki vo mein yaad rakh sakun to kese bataun ki vo kesa dikhta tha, han samne aa jaye to shayad pehchan lu “ mene isliye kaha kyun ki mujhe laga ki vo us admi ko dhundne ki kosish karenge lekin mein ye nahi janta tha ki ye sab soch kar mein apna hi chutia kaat raha hun.
“ yani tum insan ka hulia nahi bata sakte, to jese ki mene pehle hi kaha jaruri nahi ki vo insan budha hi ho ? kya pata koi jawan admi ho aur budha ban-kar natak kar raha ho ? “
“ ho sakta hai, mene uski dadhi khinch kar dekhi hoti to bata pata ? “ meri baat sun kar vo hans pada. Vo hans meri baat par raha tha ya mera itna bada chutia katne par, us waqt bata pana mushkil tha.
“ tum use nahi jante, par kya pata vo tumhe janta ho isliye vo tumse takraya ? “
“ kya usne khoon kiya hoga ? “
“ ho sakta hai aur nahi bhi, par sawal ye hai ki usne tumhe hi kyun chuna ? “
“ tumne use koi baat nahi ki ? koi sawal jawab kuch bhi “
“ nahi, ek do baar mene use pucha par usne koi jawab nahi dia “
“ hmm, badi hi ajeeb baat hai, na tum us insan ko jante ho, na uska hulia tumhe pata hai, na hi kisi aur ne tumhe uske sath dekha. Dekha to sirf tumhe us kude wale ne aur vo bhi akele, ab tum batao agar tum ye kahani sunte to tumhe kya lagta ? “ mein samajh raha tha ki uske kehne ka matlab kya hai.
“ apko lagta hai ki mein juth bol raha hun, koi kahani bana raha hun “ mein apni jagah se khada ho gaya, “ mein yahan muth marne ke liye nahi aya hun, jaiye kisi aur ko chutia banne se rokiye, mein apna khud dekh lunga “ gussa mujhe itna aa raha tha ki bar-bar us budhe ka chehra aur vo raat yaad aa rahi thi aur bas yahi sawal aa raha tha man mein, akhir kaun tha vo jisne madad ke bahane mere lode laga diye the.
“ shant, baitho “ usne bade aram se kaha. “ mujhe agar tumhara lund katna hota to tumhari gand bachane nahi ata “ na jane kyun uski baat ek dum sahi lagi. Mein vapis baith gaya.