update-53
Abh Agge...
ravi or khushi apni manzil ki traf badh rehe the , unke samne unki manzil thi , khushi ki akhen bahut door tak sab dekh rehi thi , eske piche bhi ik karan tha ,
pari log me bahut sadyian pehle , ik din dhupehar ke wakht tamas jungle me ghum rehi thi ,
uske pas uska jadui ghoda tha , tamas apne ghode se behad prem karti thi , uski jindgi jaise us ghode se hi judi hui thi ,
tamas ik aam si pari ki ladki thi , lekin apne janun , apni mehnat ke dam par , tamas ajj raj mehal ki sabse takatwar mehla ban chuki thi ,
tamas behad ache sehbhav ki thi , par uski madira pene ki adat buri thi , raj mehal ke ander tak pahunchna uska sapna tha ,
lekin es sapne ke piche bhi ik karan tha , voh karan tha , uski prince sonik ke prati chahat , voh beintha prem karti thi prince sonik se , tabhi toh kadi mehnat kar voh raj mehal pahunchi thi ,
prince sonik ka dil jeet liya tha , unki jaan bacha kar , pehle pehle tamas kabhi madira ka sevan nai karti thi , prince sonik ke sath rehte rehte jab tamas ko ehsas hua ke prince ruhi ke bina kisi ko prem nai karta , tab uska dil tut gya ,
jindgi bhar kuwari rehkar prince ke nam arpan kiya apna jism , tamas ne khatam karna chaha , kyu ki pora din sath rehne ke bavjod bhi , prince uski akhon me chupe bepanah prem ko mehsus nai kar pa reha tha ,
or dusri traf tamas ander hi ander marti ja rehi thi , madira ka sevan abh din ki suruat se leker sham dhalne tak hone laga tha ,
apne app ko khatam karne ki chah me tamas ne us andhere jungle me jane ka nirnye liya , voh bina kisi ko bataye akeli hi us andhkar se bhare jungle me chali gai , yaha pari log se kisi ko jane ki ijajat nai thi ,
kyu ki us khofnak jungle me keval jadugar rehte the , voh unki dunia thi , unki apni banai dunia , yaha sirf kala jadu hota tha ,
tamas madira me tun hoker ik din us andhere jungle me chali gai , use apni jaan deni thi ,
kuch din tamas ke raj mehal na anne se prince behad udas rehne lage , tabhi raja abun ne tamas ko dundne ke liye pore pari log ko chan mara ,
kai lamhe dundne ke bad bhi tamas ka kuch pata na chala , tamas ik rahasmayi tarike se gyab ho gai thi , prince ki udasi or badh gai thi ,
jis pyar ko voh prince ki akhon me dekhna chahti thi , mehsus karna chahti thi , voh pyar abh prince ki akhon me dikh reha tha ,
kyu kai hazar salo tak tamas har pal , har lamha , prince ke sath rehi thi , prince ne abh raj mehal se bahar nikalna band kar diya tha , kyu ki tamas ki judai unse bardasht nai ho rehi thi ,
dekhte hi dekhte yeh bat ruhi ke kanu tak bhi pahunch gai , ruhi jo apne bhai se bepanah pyar karti thi , usne tamas ka pata lagana suru kiya ,
ruhi jo bachpan se hi kudrat se judi hui thi , kudart ki har banai cheez se mohhbat karti thi , har cheez , har janwar ko mehsus kar sakti thi , unse batian kar sakti thi ,
tab ruhi ne pari log ke janwaro se tamas ka puchna suru kiya , janwar jo ruhi se pyar karte the , usse bat kar sakte the , un janwaro ne tamas ka pata lagva liya ,
lekin ruhi ko jab pata chala , ke tamas us khofnak jungle me gai hai , tab ruhi behad udas ho gai , ke voh yeh bat prince ko bataye ya na , kyu ki prince yeh bat jankar , vaha us jungle me jarur jate ,
or us jungle ki khas bat yeh thi , ke us jungle se ajj tak koi vapis nai lot paya tha ,
aise me agar prince vaha jate , toh shyad hi vapis a pate , par prince ki udasi ne ruhi ko mazbor kar diya , sach kehne ke liye ,
prince yeh bat jante hi , ke tamas akeli us khofnak jungle me gai hai , voh uth khade hue , or ruhi ke lakh samazane ke bavjod bhi us jungle me chale gye ,
prince kai salo tak vapis na aye , bus usi wakht suhana ne kuvari ladkyion ki bali deni suru kar di ,
akhir jab prince tamas ke sath vapis aye , jiske umeed nai thi , tab unke sath , ik bala ki khubsurat ladki thi , jiske lal lal baal behad lambe the , or uska jism behad khubsurat tha , par kabhi kabhi uska jism kala padh jata tha , jab use gussa ata tha ,
tamas or suhana ki khukar ladai me , tamas ki jaan chali gai , or voh marte wakht hi apne pyar ka ijhar prince ko kar saki , or jab uske pas kuch akhri pal bache the , tab usne apni pavitar jism ko sakshi man kar , prince se yeh vachan liya ke agle janam me voh uska premi banega ,
bus yahi kahani thi tamas ki , jo ajj khushi ke roop me janam le chuki thi , or ravi uska pyar tha ,
tamas ke sath jo jadugarni ladki ayi thi , voh or koi nai rema thi , us jungle me , tamas , rema se mili thi , lekin rema yeh bat nai janti thi ke prince uska bhai hai ,
or marte dam tak use kabhi yeh pata na chala ke prince uska apna bhai hai , ruhi uski behan hai , voh bus tamas ke liye , prince ke sath us akhri yudh me ladti rehi ,
back to story...
ravi or khushi abh un do darvajo ke pas pahunch chuke the , lekin khushi ke pas ik anchahi shakti thi , voh janti thi , ke komal kaha kaid hai ,
lekin khushi ne ik bat ravi se chupa kar rakhi thi , ke komal ko us kaid se mukat karne ke liye , ravi ko ik kemat chukani thi , use apne paviter pyar ki priksha deni thi ,
jaise komal ne prikshi di thi , or agni uska jism jala nai pa rehi thi , kya ravi aisa kar pata , khair yeh toh anne wale wakht ki bat thi ,
"prince ham bus pahunchne hi wale hain , apko yad hai , jab ham us jungle me kho gye the , tab ik jadugar ladki ne hamari hifazat ki thi..." tamas ne thoda ghambir hoker bola , kyu ki rema or ravi ki ladai use abh bhi yad thi ,
"han yad hai , voh ladki hamari or suhana ki akhri ladai ke wakht hi ayi thi , lekin voh thi kon , ham usse puch hi na paye.. " prince ne us wakht ko yad kar bola ,
"voh apki behan thi , jo bachpan me apse bichad gai thi , apki us behan ko jadugarni utha kar le gai thi , kyu ki apke pita ne us jadugarni ke asihq ko mar diya tha , usne badla liya apki behan ko utha kar... " tamas ne us verian jagah par agge badhte hue bola ,
"kyaaa , voh meri behan thi , ohhhh , bina kuch jane , usne apni jaan kurban kar di.." ravi ne thoda nam akhon se bola ,
"han , lekin voh nai janti thi , ke voh apki behan hai , apke or ham sabke marne ke bad , usne hi suhana ka ant kiya tha , par es me uski khud ki jaan bhi chali gai , app ruhi ke marne se , es kadar gusse me a gye the , ke apne pore pari log ka vinash kar diya tha , suhana tab etni takatwar thi , ke apki pori takat use rok nai pa rehi thi , tab apki behan ne hi suhana ko khatam kiya tha..." khushi ne behad ghambir hoker bola ,
"usne kaise..."
"voh behad takatwar thi , apki mout se voh tut gai thi , apse milne ki chahat me voh us khofnak dunia se vapis ayi thi , chup chup kar apko dekhti thi , apse darti kabhi apke samne nai ati thi , voh ik jadugarni thi , or kisi bhi jadugar ka pari log me anne par pratibandh laga hua tha..." tamas ne nam akhon se bola , abh uske hath me madira ka pyala tha , jab se voh tamas bani thi , tab se lagatar voh madira ka sevan kar rehi thi ,
"tum yeh madira ka sevan kab band karugi , agar tume chad gai , tum mera jeena haram kar dogi..." ravi ne thoda muskra kar bola , par ander se voh dukhi tha , kyu ki voh jan chuka tha , voh ladki or koi nai rema thi ,
"prince mere or meri madira ke bech ayuge , toh acha nai hoga , jab apko muzse pyar nai , toh muze akhir es somras ka sahara lena padha..." khushi ne muskra kar bola ,
"hmm , lekin ham tume pyar karte hain..."
"han , han , janti hu apka pyar , acha app eski ghut pe lo , meri khatir..." khushi ne ik apna khali hath agge kiya toh , ik chota sa piyala uske hatho me a gya ,
"tumari khatir ..." ravi ne etna bola or us piyale ko ik hi sans me khali kar diya .." bahut kadva hai , par yeh hai kya..." ravi ne apne honth apne hath se saf karte hue bola ,
"bus kuch pal ruko..." khushi ne muskrate hue bola , tabhi ravi ka saar ghumne laga , usne apna saar pakad liya or ghutno ke bal niche beth gya ,
"ahhhhh , kk...kkk...khushiiiiii....yy...yeehhh...kk...kyaaa....hh...haaaiii..." ravi ne dard se tadafte hue bola ,
"hai kuch , abh app prince nai ho , abh app ravi ho , jo prithvi par rehne wala ik aam sa insan tha , jo ik chota sa mazdor kisan tha , abh apki komal , apki ruhi hai , me tamas apki khushi hu , or ik apki dushman jo abh apki har behan ko apse door kar rehi hai , jante ho kon hai voh..." khushi ne thoda ghambir or udas hoker bola ,
"suhana , suhana , han yad aya , voh abh seema hai , me sab samaz gya , seema khud hi suhana hai , lekin kaise , voh bahut achi thi ..." ravi ne behad sochte hue bola ,
"ravi , kaal ne jo tume ring di thi , usme pari log ki sari burai kaid thi , tume yad hai , jab pehli bar seema ne voh ring tumare hath me dekhi thi , tab uski akhon me ik ajeeb si chamak thi , or kaal ke kehne par , jab seema ne voh ring khud apni icha se pehan li , tab ring ki burai ne seema ke jism ko pehchan liya , or abh ring nasht hoker pori trah seema ke badan me sama gai , esi liye uske hath me koi ring nai thi..." khushi ne pori sachai batate hue kaha ,
"ohhh , par pita ji ne kyu seema ko voh ring di , manta hu , prince ke roop me mane suhana ko koi pyar nai diya , lekin seema ke roop me use hi apna sab kuch man liya tha , use apni patni ka darza diya , har khushi di , bepanah pyar diya , abh kyu voh yeh sab kar rehi hai..." ravi ne nam akhon se bola ,
"eska jawab nai mere pas , kyu ki jab suhana ki mout hui , tab me mar chuki thi , es liye me nai janti , ring ka janam kaise hua , eska jawab tume dundna hai , ya komal ke pas hoga , ham pahunch gye..." khushi ne samne ki traf dekh kar bola , yaha ik bada da darvaja agg me jalta hua dikh reha tha , jis par shatian khud virajman tha..
vahi dusri traf suhana ghar me ehder ohder chakar kat rehi thi , voh abh akhri ladai ki tyari kar rehi thi , use abh ladna tha , ravi se , komal se , or khushi se ,
uske sath bus rema thi , or joker tha , or ik anchaha dushman , jiska nam tha dyana ,
komal ke azad hote hi dyana bhi azad ho jati , lekin suhana ne kuch or hi soch rakha tha ,
to be counited...