update-70
Abh Agge...
ravi karib 1 ghanta vaha betha reha , kuch sochte sochte usne bahut kuch soch liya tha , voh shetian jarur tha , par abhi jindgi me kuch karam adhure the , jinko pora karna tha ,
ravi vaha se uth kar sidha kabile me apne ghar pahunch gya , ghar ke ander akar , ravi ko ik skoon sa mehsus hua , lekin man pori trah shant nai hua tha ,
ghar ke hall me rimi or shurti bethi betian kar rehi thi , us ik saal ke narag bhare jevan ne , dono behano ko etna karib kar diya tha , ke abh ik pal ki doori bhi dono ko bechain sa kar deti thi ,
ravi un dono ke pas akar beth gya , khushi or rema apne apne room me thi , seema kitchen me khana bana rehi thi , voh apni es adat se mazbor thi , ghar ka har kam karna , uski adat ka hissa ban chuka tha ,
"kya batian ho rehi hain dono me..." ravi ne rimi or shurti ke muskrate chehre dekhte hue bola ,
"kuch nai bhyia , bus aise hi time pass kar rehi hain , app kaha the..." shurti ne rimi ki traf dekh muskra kar bola ,
"me shehar gya tha , baby a gai kya..." ravi bechain sa hota hua bola ,
"nai , bus ati hongi..." shurti ne behad naram awaz me bola ,
"hmm , rimi kya socha phir , me tumse puchna chahta tha , collage jaugi , ya shurti ke sath business sambalogi..." ravi ne rimi ke hasen chehre ko dekh bola ,
"bhyia me toh dedu ke sath rahugi , enke sath hi office me kam karugi , me dedu se door nai reh sakti..." rimi ne shurti ka hath apne hatho me lete hue bola ,
"ohh meri behan , me bhi tumse door nai reh sakti..." shurti bhi rimi ki akhon me zakte hue boli ,
ravi dono ke chehro me chupe aseem pyar ko mehsus karta gya , voh bahut kuch samaz chuka tha ,
phir ravi utha or kitchen me chala gya , yaha uski seema khana tyar kar rehi thi , ravi ne dhere se agge badh seema ko piche se apni bahu me bhar liya ,
"a gye mere janu..." seema ne kam karte karte ik hath se ravi ke gaal sehla kar bola ,
"meri suhana , i love uuu..." ravi ne seema ki gardan ko beintha chumte hue bola ,
"suhana , hmm , yeh jarur tumari koi nayi gf hogii , par mr. ravi , tumari yeh suhana , es seema ki jagah nai le sakti , samaze..." seema ne ik dam se ravi ki traf palat uski akhon me dekhte hue bola ,
ravi kuch nai bola , bus seema ki akhon me kho sa gya , seema bhi samaz gai , ravi ka man ashant hai , voh phir se apne kam karne lagi , lekin muskrate hue boli ,
"hmm , toh mr.ravi tumari yeh suhana , kam kya karti hai , kya muzse bhi khubsurat hai..."
"nai , lekin tumare jaisi hai , tumari jitni khubsurat , or muzse pyar bhi utna hi karti hai , jitna tum karti ho..." ravi ne seema ki kamar me bahe dal use apne karib karte hue bola ,
"acha , toh kya abh suhana ke liye muze chod doge app..." seema man me jalan ke bhav lati hui boli ,
"naii , suhana toh beet chuka kal hai , lekin meri seema mera ajj hai , seemaa , meri beti fari a rehi haii , hasssh , mera man bechain sa ho gya hai , ik khichav sa ho reha hai , dil karta hai , palak japakte hi , fari ko apni bahu me bhar lu ..." ravi ne seema ki gardan ko chumte dard bhari awaz me bola ,
"hota hai , ik maa se jayda , ik beti ke liye , uske baap me adhik prem panapta hai , tum bechain ho , me samazti hu , or tumari bechaini tab door hogi , jab tum fari se mil loge , varna tum bar bar , har bar , har pal , yu behki behki batian karte rehoge..." seema ne ravi ki traf ghum uski akhon me akhen dal bola ,
"han , tumne thik kaha , me ashant hu , meri beti ati hi hogi , acha voh sab bad me , ajj romance kare , najane kitna wakht beet gya , tumse pyar kiye hue , meri seema , ummaa , akhir tumne muze pa hi liya..." ravi ne seema ke naram gulabi hontho ko behad shidat se chum kar bola ,
"han , tume pana toh tha , meri jindgi ka akhiri maksad , tume pane ke liye , me pori jindgi akele gujar leti..." seema ne thoda nam akhon se bola ,
"par aisa kyu..."
"nai janti , bus jab tume bechpan me pehli bar dekha , tab dil me ik dard sa utha , aisa laga , jaise mera janam tumare liye hua hai , tumse mera kai janamo ka rishta ho , bus tabhi mane soch liya , jindgi gujarugi toh tumare sath , or jab tumne muze ganne ke khet me , pehli bar chuma tha , uff ravi tum nai samaz sakuge , us pal bhar ke kiss ne meri atma tak ko tript kar diya , tumare sath do pal pyar karne se meri atma tak tript ho jati hai..." seema ne behad nam akhon se apne man ki sachai ravi ko batate hue bola ,
"ohhh meri seema ...." ravi ne seema ko kas kar apni bahu me bhar liya ,
"ufff seema tum hi suhana ho , jo galti mane piche janam me ki , voh galti es janam me kabhi nai karuga , tume bepanah mohhabat karuga , jindgi bhar tumara sath dunga , meri suhana..." ravi ne man hi man khud se bola ,
"ravi , tum komal ke pas jao , or rat ko mere pas sona..." seema ne ravi ke hontho ko chum kar bola ,
"thik hai..." ravi muskrate hue bola , or kitchen se bahar a gya , ravi ne kitchen se bahar akar dekha , or voh dekhta hi reha ,
shurti or rimi ik dusre se chipak kar bethi hui thi , rimi ne shurti ke kande par apna saar rakha hua tha , or shurti uske baalo ko sehla rehi thi , dono ke bech panap rehe , aseem pyar ko dekh , ravi man hi man muskra diya , or sedyian chad uper komal ke pas chala gya ,
ravi ne room me ghus kar dekha , komal khidki ke pas khadi , door tak phaile hare-bhare jungle ko nihar rehi thi , usne ik black top or short black lehnga pehan rakha tha , black kapdo me komal ka dudh jaisa safad jism , behad akarshik or khubsurat lagta tha ,
uske kale lambe baal , use behad preshan kar rehe the , jab bhi hawa ka zoka uske jism par padhta , uske baal bhikar kar uddne lagte , ravi kuch pal , vahi khada komal ko dekhta reha ,
komal ke man me uthti dard bhari bhavnayion ko , ravi mehsus kar reha tha , voh pyar chahti thi , beintha pyar , sadyion se bhuki thi pyar ki , uska pyar uske pas tha , par voh pyar nai kar sakti thi , kitni badkismat thi uski komal ,
ravi se or sehan na hua , usne tezi se agge badh komal ko piche se bahu me bhar liya , uff abh uske man ko ik skoon sa mehsus hua ,
"bhyiaaa..." komal behad dard bhari awaz me boli , uski awaz ne ravi ke dil ko gehrai tak cheer diya ,
"muze yad kar rehi thi , mere bare me soch rehi thi , komal , abh hame ladna hai , ik bar or , ham sath sath ladege..." ravi ne komal ki gardan ko chumte hue bola ,
"hmm , bhyiaaa me apke sath hu , akhir tak , mera deewanapan etna jayda hai , me akhri sans tak , apse pyar karugi , or har janam me , jab tak apko apna nai bana leti..." komal ne apne bhai ki traf palat uski akhon me akhen dal bola ,
"komal ajj mere man me khyal aya , ke me ik shetian hu , or khud ko shetian samazna , ufff ik alag hi ehsas tha , lekin wakht rehte , muze khud ki pehchan ho gai..." ravi ne komal ki gehri neli akhon me zakte hue bola ,
"bhyia ik bat puchu..."
"han , kyu nai..."
"bhyia apko pichle janam ka , kya kya yad hai , matlab prince ke roop me apko kya kya yad hai..." komal ne rahasmayi tarike se ravi ke chehre ko ghurte hue bola ,
"hashhh (ik lambi sans leker) , kuch bhi nai , muze bus etna yad hai , me prince hu , tum ruhi ho , seema , suhana hai , khushi meri bodyguard tamas hai , baby , kaviya thi , or , or kuch yad nai..." ravi ne dimag par jor dalte hue bola ,
"hmm , bhyia man ki gehrai tak sochna , apko yad ayega , app prince bhi the , or kuch or bhi..." komal ne ik raz ki bat bolte hue kaha ,
"komal (haste hue) , me prince tha , par es me sochna kya , ohhh , tumara matlab , tabhi , han tabhi , komal muze ajeeb sa mehsus hota hai , me samaz gya , par me , me kaise , or mera tumse voh rishta , kaise , yeh asambhav tha , tum paviter thi or me , yeh nai ho sakta , nai ho sakta..." ravi ne behad jajbato me behkar dard bhari awaz me bola ,
"han , app kon ho , kon the , yeh me janti thi , or bhyia , app phir se vahi ban jauge , dhere dhere , apko rokna hoga khud ko , es bar voh sab nai hoga , bhyiaaa vada karo , kabhi ateet me nai jauge , jaise ho vaise hi rahuge , me apse pyar karti hu , beintha pyar karti hu , par es bar , voh sab mat karna..." komal ne behad nam akhon se bola ,
"thik hai , me khud par control rakhuga , kyu ki me tumse pyar karta hu , me vada nai karuga , kyu ki vade hote hi tutne ke liye hain , me tumse kabhi alag nai ho sakta , par shetian or pari , kabhi ik nai ho sakte .." ravi ne komal ko bahu me bhar uske hontho ko chumte hue bola ,
"bhyiaa , ham ik honge , kabhi na kabhi , ik din unko bhi hamare pyar ka ehsas hoga..." komal ne nam akhon se muskrate hue bola ,
"ham kya hain , ham jante hain , ham khud se bhag nai sakte , lekin hame aisa banaya kisne , hamare pita ji ne , pita ji ne hame pari log se nikal diya , ik choti si galti ke karan , or hamari maa , komal hamari maa ne hamara sath tak nai diya , pita ji se ik bar bhi bat nai ki , hame nafrat hai maa se , beintha nafrat , koi etni badi saza kaise de sakta hai , apne bacho ko..." ravi ne behad nam akhon se bola , uski akhen gusse me behad lal ho chuki thi , or jab ravi ka man shant hua , tab uski akhen behad kali ho gai , ik dam andhkar se bhare andhere jaisi ,
"shhh bhyiaa shant ho jao , apko saza mili , matlab hame bhi saza mili , apse door rehna padha , ik pari or devil kabhi ik nai ho sakte , lekin ham ik honge , app devil jarur ho , par ache devil .." komal muskrate hue boli , uski muskrahat me ik shararat thi ,
"devil , devil hota hai , voh acha kaise hua..."
"acha ji (haste hue) , lekin mera devil acha hai , yeh me janti hu , lekin chor jarur hai , usne mera dhadkata hua dil chura liya , muze apna bana kar , bhyiaa ring ki takat apko apke asli roop me la rehi hai , app khud par control rakhna..." komal ne behad chinta me bola ,
"ham jante hain , pichle kuch dino se hamara man ashant hai , hamare ander kisi ko saza dene ki bhuk si jag uthi hai , ham badal rehe hain , har beet rehe pal ke sath..." ravi bhi behad chinta me bola ,
"me samazti hu , apke bolne ka lehja badal gya hai , dhere dhere app pori trah se devil ban jauge , par bhyia yeh prithvi hai , yaha khud ko sambal kar rakhna hoga , acha , abh jao , muze kuch wakht akele bitana hai..." komal ne apne bhai ke gaalo ko chum kar bola ,
"tum bhi badal rehi ho , tum bhi ruhi ban rehi ho , jo akele rehti thi , janwaro , panchyion ke bech , tum kudrat ki maa ho , or ham narag ke rakhwale , ahhh pita ji ne kitna ghatiya kam diya hame , narag (hell) me kon rehna chahta hai , hmm , abh muze samaz aya , kyu narag ki agg muze jala na payi , jab me tume bachane gya tha , or kyu un danvi pehredaro ne muz par hamla nai kiya , sab saar zuka kar beth gye , kyu ki..." ravi abhi bol hi reha tha ke komal bech me hi bol padhi ,
"kyu ki app ik devil ho , yeh bat me bahut pehle se janti thi , lekin apko bata na payi , me apko preshan nai karna chahti thi , app dunia ke liye devil ho , par mere liye , app mere hamsafar ho , mere premi ho , or mere bhai bhi , or bhai app prince jarur ho , par narag (hell) ke ..." komal ne behad ghambir hoker bola ,
"komal , me jalad hi apne asli roop me a jauga , mera ik naya janam hoga , muze insano ke bech rehna sikhna hoga , ravi toh mar gya , abh me hell ka prince hu , or tum bhi ruhi ban jaugi..."
"bhyia me ruhi ban bhi jau , par me komal hi rahugi , apki komal , or komal toh komal hai , sab jante hain , or komal kabhi ruhi nai ho sakti , or ruhi kabhi komal nai ho sakti , komal ik hai , jo apne devil bhai se pyar karti hai , lakho logo ko chod kar..." komal ne apne bhai se lipat kar nam akhon se bola ,
ravi bhi komal ko bahu me bhar kar , use mehsus karta reha , lekin uski akhen bar bar , lal roshni me chamak rehi thi , or man me kai khawaishyian janam le rehi thi , or uska manna tha , man ki har khawish pori karna chahyie , chahe voh achi ho ya buri...
"are jeju , tham jao , baby dedi a gai hain..." suzi darvaje ke pas khadi muskrate hue boli ,
"suzi ki bachi , bhyia app jao.." komal suzi ko kuch bolne hi ja rehi thi , ke usne apna man badal liya ,
"ohh meri beti fari ayi hai , me jata hu..." ravi etna bol behad khushi me room se bahar nikal gya ,
"farii , han , yahi voh ik matar ladki hai , jo bhyia ko control me rakhegi , fari , devil ki beti hai , devil apne bachu se behad pyar karta hai , toh jarur bhyia ke dil me apni beti ke liye sabse jayda prem hoga , lekin agar fari ne apne papa ka voh byank roop dekh liya toh..." komal apne man me hi yeh sab sochte hue boli ,
ravi behad khushi me sedyian utar ghar ke hall me aya , vaha pahunch usne dekha , baby , kat or fari , baki sab se mil rehi thi , ravi ki akhen toh fari par jam si gai , use fari par pehle se jayda pyar a reha tha , pata nai kyu ,
"betu , voh dekho papa , jao papa se milo..." baby ne fari ka chehra ravi ki traf ghumate hue bola ,
"papa..." fari etna bolte hue bhag kar ravi ke pas gai , ravi ghunto ke bal beth gya or bhag kar a rehi fari ko apne gale se laga liya ,
uff abh uske man ko ik skoon sa mila , jo skoon use na seema se mila , na komal se mila , voh skoon bus use fari se mil paya ,
"meri bachiii , meri betii..." ravi , fari ka chehra chumte hue bola , voh pagal sa ho gya tha , uski akhon me ik kassih si thi , ik bhuk thi pyar ki ,
"papa app kaha the..." fari ne phir se ravi ke gale lag bola ,
"sorry beta , me tume wakht na de paya , lekin abh se leker hamesha , me tumare pas rahuga , kyu ki tum meri beti hoo , or me apni pyari beti se , abh door nai reh sakta..." ravi behad dard bhari awaz me bola ,
"promise papa..." fari behad khush hote hue boli ,
"han promise , me tumare pas rahuga , tume school chodne bhi jauga or lene bhi jauga , tum papa ki pyari beti ho , chalo ham ghum kar ate hain..." ravi , fari ko god me utha ghar se bahar nikalta hua bola ,
"papa muze tiger dekhna hai..." fari muskrate hue boli ,
"ohh meri beti , ham tiger dekhne jayege..." ravi pyar se fari ke gaal chum kar bola , phir voh jungle ki traf badhne laga , uski akhan lal roshni me chamak rehi thi , kyu ki devil ko uski beti mil gai thi , jo ravi ki kamzori bhi thi....
ravi ke jane ke bad sab shocked se ho gye the , or akhen khol ik dusre ki traf dekh rehe the , baby ki akhen nam thi , uska premi , uski beti ko etna chahta hai , yeh usne kabhi sapne me bhi nai socha tha , baby ke dil me ravi ke liye pyar or badh gya tha ,
lekin baby ik bat nai janti thi , pita banne ka ehsas jo ravi ne sadyion tak mehsus nai kiya tha , voh ehsas use fari dila rehi thi , es liye ravi abh fari ke behad karib a chuka tha , voh ik pita tha , ik devil pita....
agar koi galti se bhi fari ko nuksan pahunchne ke bare me sochta , toh ravi tabah kar deta use , fari abh apne pita ka pyar thi , uski iklauti beti thi , ravi ko pita banne ka ehsas , ik alag hi skoon de reha tha , yeh skoon usne sadyion tak mehsus nai kiya tha , voh bus apni beti fari ke pas rehna chahta tha , use dunia ki har khushi dena chahta tha , abh yeh naya rishta , kis traf agge badhta , yeh toh anne wale wakht me chupa tha....
to be counited....[Note-: friends hamari ik pyari reader , Sona ka ajj happy wala bday hai , sabhi usko dil se wish karna , ham sab dil se dua karege , Sona dear ki jindgi khushyion se bhari rehe , unke dukh , taklefe , kabhi unki jindgi ka rasta na roke , or unki health hamesha achi rehe .. happy birthday Sona jii...]