Update-2
Harendar dhire se jakar Sunny ke baju mein baith gye par sunny ko khabar bhi na hui to Harendar ne dhire se sunny ke balon mein hath firane lage to Sunny bhi kam nhi tha use eik pal bhi nhi laga samjhne mein ki kon aisa kar sakta h kyunki Harendar pahle se hi Sunny ko isi tarah pamper karta aya h. Khair sunny apni soch se bahar aata h, kahne ko to sunny sirf 10 saal ka tha but pichle 1 saal mein wo bahot kuch seekh chuka tha kyunki na sirf usne apni maa ko khoya tha balki uske daddy jo uski aankh mein eik ansoo nhi aane dete the wo usse dur ja rahe the, sunny ko to ye bhi yaad nhi ki last time karamveer ne sunny ko kab pamper kiya tha aur wo nayi maa kitna khush hua tha sunny jab use pata chala tha ki uski nayi maa aane wali h, wo apni khoyi hui maa ki chavi apni nayi maa mein dhund raha tha pr uska bhram jald hi tut gya kyunki uski so called nayi maa usko sabke samne na sahi akele mein sotela vyavhaar karti thi, ik baar priya aur sunny khel rahe the aur priya sunny ko apne naye khilone dikha rahi thi, harendar aur karamveer dono kisi panchayat mein bahar gaye hue the, sunita tv dekhne mein busy thi, ab bache to masoom hi hote h isliye priya aur sunny ka apas mein koi bair na tha, to dono khel rahe the tabhi sunita ki najar dono pr pad jati h to wo priya ko dant deti h ki aise apne khilone kisi ko bhi degi to khilona tut jayega blah blah ab use kon samjhaye ki kisi ki khushi ke aage khilono ki kya bisat, par kahte h na jisne kabhi sukh suvidha dekhi na ho aur achanak se itna kuch mil jaye to hajam nhi hota kisi kisi ko aisa hi kuch hua tha sunita ke sath kaha uska mayka jisme mushkil se 2 kamre aur chota sa ghar, kuch bigha jameen usme parivar ka bharanposhan aur kaha pushtaini haveli aur kayi naukar chakar, croro ka bank balance 1000-2000 bigha khet. Khair sunny sunita ki bat sunke man hi man muskuraya bhale hi 10 saal ka tha wo pr wo batien aur taunt ko achi bhati samjhta tha, gayatri ne usko choti si umar se hi din duniya ki samjh deni shuru kar di thi, wo apne daddy karamveer aur harendar ke sath panchayat mein jata tha har cheej ko dhyan se sunta tha halaki kuch batein uski samjh se pare hote the pr ghar aakar wo un baton ko apne dada ya daddy se puch liya krta tha, wo apne daddy aur dada se pucha karta tha ki unhone ye faisla kyu kiya blah blah. Khair sunita ki bat pr wo muskuraya aur priya ko bola ki " Nayi maa thik kahti h naye khilone kharab ho jayenge ap mere khilono se khel lo" Ye kahkar wo apni almirah khol deta h almirah ke ander dekh kr priya ki hi nhi sunita ki bhi ankh badi ho jati h kyunki us badi si almirah mein rakhe kayi so khilone aur kuch mitti ki gullak, sunny ko aaj tak mili sone aur platinum ki chain, rings, aur kuch note ke bundle. Kul mila kr Ye chand saman hi sunny ke status ko dikhane ke liye kafi tha, aisa nhi tha ki sunny show off karta tha, bus sunny ko shuru se hi aadat thi ki jo bhi gift, ashirwad ke rup mein mile kuch khilone ya uske pariwar ke sneh mein mile aabhushan ya kapde ya fir paise wo sab ik yaad ki tarah sanjo kar rakhta tha wo aj bhi bta sakta tha ki usko platinum ki chain kisne, kab aur kyu di thi. Yahi batien thi jo sunny ko sabse alag banati thi. Khair sunny ka collection dekh kr sunita khud ko chota feel karne lagi thi but sunita to sunita h usne ye bhi mauka nhi chora sunny ko nicha dikhane ka, halaki tab wo jhuti muskurahat se priya ko boli ki dekho tumhare bhaiya ke pass kitne ache toys h chalo inse khel lo par rat ko jab wo apne karamveer ke sath thi tab usne sunny ke is behavior ko dusri tarah represent krke ki sunny mein ghamand aa gya h usne priya ko apna rutba dikhaya ki uspe khilono ki kami nhi h wo in chote khilono se nhi khelta blah blah. Kya chal chali thi usne, priya ko victim banake priya ke liye wahi sab cheeje pane ke liye make sure kr diya tha for future but usne ye bhi make sure kar diya tha ki sunny ko aise mehnge toys aur pocket money aage na mile but karamveer ne sunita ki baton ko jyada seriously nhi liya and baat aayi gyi ho gyi. Aise bhot se incident ho chuke the ab tak jaha sunny koi kasar nhi chor raha tha apne naye pariwar ke close jane ki wahi sunita koi kasar nhi chor rahi thi sunny ko sirf naye pariwar hi nhi sunny ke purane pariwar ko bhi usse dur karne ki, yahi sab sochte hue sunny ki fake smile hote hue bhi sunny ki ankhon se ik ansoon tapak gya. Jise uske dada ne dekh bhi liya aur samjh bhi liya. To harendar ne sunny ko apni gaud mein le liya aur apne seene se laga liya, sunny ko yahi to chahiye tha sunny apne dada ka sneh pate hi tut sa gaya aur pahle dil bhar ke ro liya aur fir aj ka incident kah sunaya uske dada bhi bade gaur se sab sunte rahe aur apne tajurbe se cheejo ko analyze karte rahe. Ye pahla mauka nhi tha ki jab sunny apne dil ki bat, apne incidents apne dada ke sath share kr raha ho, sunita ko bhale hi na pta ho but jab se sunny chalne ke kabil hua h, jab se usne school jana shuru kiya tha tab se har sham ko wo 1 ghanta apne dada ke sath bitata tha aur har bat share karta tha, ye bat sirf gayatri janti thi shayad yun kahe ki ye aadat gayatri ne hi sunny ko di thi taki wo apne dada ke tajurbe aur sanskar ko ache se samjh aur apna sake. Khair jab sunny ne apna dukhra kahi sunaya to harendar ne bade sneh se pucha
Harendar: kya tumhe gussa nhi aata apni maa pr
Sunny : Aata to h par hai to meri nayi maa na aur apno par kaisa gussa, haan unki soch galat h pr agar main bhi wahi soch rakhu to unmein aur mujhe mein anter kya.
Kitni achi bat boli thi sunny ne shayad yahi sanskar the, yahi maturity thi jo gayatri ne bhare the sunny mei, itni gehri soch kisi 10 saal ke bache mein milna bahot rare chance hote h jise harendar ne bhi samjha fir bat ko continue krte hue bola
Harendar: apni sadness ko apni kamjori nhi apni takat banao, apne gusse ko palo, apne gusse ko apne sharir pr lagao, itna majboot ban jao ki tumhe unki nhi balki unhe tumhari jarurat ho, bahot se log hote h jinhe hum importance dete h but unhe humari qadar nhi hoti aur jab hum majboot ho jate h apne mein saksham hote h tab wo humari importance ko samjhte h isliye apne ap ko banao.
Sunny: par wo sab kaise hoga?
Harendar: kasrat se, ache khane pine se aur achi yog sadhna se.
Sunny: par mujhe to insab mein se kuch nhi ata.
Harendar: koi bat nhi beta main hu na, main karta hu vyavastha.
To naya aghaj ho chuka tha sunny ko ab ik goal mil chuka tha jo shayad uske liye jaruri bhi tha.
To be continued.