• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

dhparikh

Well-Known Member
10,311
11,915
228
Chapter 21
Oste hai


Rajhmahal ke Watchtower par Chand ke roshini pad rhe the jiske wajah se uski ke parchayi Mahal ke beencho beech baramade mein uske lambe chaaya pad rhe the.

Raat ke saanate mein bas kabhi kabhi Paton ke sarsahat aur Ullu ke hoot ke awaaz aa rhe the.

1734437377127

Mahal ke konse mein ek watchtower pe ek kankaal apne haath mein danush kaskar pakde hue khada hua tha. Usne jab neeche van mein halchal dekhe toh uska dhyan uss taraf gaya. Neeche ke taraf dekhte hue uske chere pe muskan aa gye aur ek agochar nishane ke saath neeche apne teer ko chorda.

Neeche ek hiran paas mein hi khada ghas char rha tha, uske taraf badhte uske maut se bilkul anjaan, jo woh teer andere mein teeze se uske taraf aa rhe the.

Hiran ko teer jaise hi uske gardan mein dhase, woh ladkhate neeche gir gaya. Woh kankaal upar se neeche usko tadapte hue dekhta rha.

Kankaal anjaan tha ke uske uske peeche ek aakirti dheere dheere bina awaz kiye uske taraf badhi jaise ke woh apne parchiyaai ke tarah hi bina awaaz kiye hi chal rha tha. Kaankal abhi bhi neeche apne shikar ko dekh ke khush tha.

Shravas aage badha aur uske muh pe apna haath rkha, aur uss kaankal ke aankhon mein se naarenge ke roshini bahar aane lage. Shravas ne bina samay gavaye...usko mundi ko kaskar pakadar ghumaya aur dhakka marte hue usko Watchtower se neeche fenk diya.

"Aage ka raasta saaf hai", Shravas peeche muda aur uss watchtower pe pahuchte hue Karan aur Akashaya ko dekha.

Shravas ne Karan aur Akshaya ke taraf dekha, aur fir ek baar Rajmahal ke andar jhanka, "lekin behtar hai ke pehle hum kapde badal lein...baad mein pakadne jaane se behtar hai ke hum inki sena mein ghul mil jayein.

Akashaya aaj se pehle aise chori chupe kahin ghusa nhi tha isliye usko yeh sab thoda azeeb laga. Lekin Karan jaanta tha ke ab ek ek kadam funk funk kar rkhna kitna jaruri tha jab sab kuch daanv pe tha.

Shravas ne RajMahal ka ek naksha nikala aur wahan usko ek sapaat ke upar rkha, "Hum yaha se chup kar nikalenge...abhi maine neeche dekha toh idhar ka pehra dusre ilakon ke mamle mein kam hai...yaad rhe hai humein jaldi se saath yeh bhi dhyan rkhna hoga ke koi bhi awaaz na ho aur kise ke nazar hum par na pade."

Karan ne uske baat smjhe hue apna, uss nakshe ko dekha uske dimag mein pehle se hi bahut saare cheeze chal rhe thein...lekin iss waqt jaruri tha ke woh apna pura dhyan wahan pe de. RajMahal ka maidaan vishaal tha aur samay samay pe bahut saare gaste dal wahan pe pehra dene aate the.

"Yeh humare paas akhiri mauka hai..." Karan ne ghambeerta se unke taraf dekha, "ek baar hum andar ghus gye, fir dusra mauka shayad hi mil payega ...aaj humein apna maksad kaise bhi har haal mein pura karna hi hoga."

Shravas ne neeche andar ke taraf jhaankte hue ishara kiya, "Mere peeche rhena"

Jaise hi woh neeche Mahal mein utre unko Siphayon ke kadmon ke halke awaz unke taraf aate hue sunayi di. Shravas ke Akahsya ko haath se ishara kiya, "Akahsya jaldi humein yahan se nikalna hoga...tum uss taraf jaake uss jagah ke jaanch karo jiske baare mein humein pehle baat ke the...Karan aur main baadmein tumhe yahi milte hai...aur dhayan rkhna ke pehle apne kapde badal lo."

Akahsya ne ha mein sir hilaya aur fir woh aage badhte hue raat ke andhere mein gayab ho gya.

***

Jaise jaise Karan aur Shravas Mahal ke mukhya hall ke paas pahuche...unhon ne dekha ke woh hissa Rajal ka sabse kade pehre wala ilaka tha.

"Humein yahin pe intezaar karna hoga..." Shravas neeche jhukte hue fusfusaya, "Thodi der mein shayad yeh sipahi...yahan se kahi aur jayenge"

Jaise jaise woh wahan intezaar kar rhe the samay jaise dheema ho gya aur mintue jaise ghanton mein tabdeel ho gye.

Kuch deer baad unhon hall se kise ho bahar aate hue dekha aur Karan ke aanke vismay mein bade ho gye.

"Shravas ab humein andar jaane ke jarut nhi hai..."
Karan ne Shravas ke kandhe pe haath rkhte hue kaha.


***


1 ghante pehle

Ravisha kashya ke kone mein baithe hue the, hamesha ke aatmvishwas ke bhare hue. Uske lambe ghane baal uske kandhon mein bagal mein neeche gir hue the.

808094721181470151

Paas mein hi uska Salahkaar Ajay khada hue tha, apne haath apne peeth ke peeche baandhe hue. Uske chehre pe ek azeeb se Shanti the jaise ke saamne wala koi vayakti nhi bata skta ke uske man mein kya chal rha hai.

"Aaj toh bahut chup ho, Ajay?", Ravisha ne uske chuppi dekhte hue pucha, "tumahre dimag mein kya chal rha hai"

Ajay ke pal ke liye hichkichya...woh jaanta tha ke Ravisha ko halke mein naapne sahi nhi hai...uske man mein sau khayal chalte rhete the...lekin KaalRaani ka hukum bhi tha ke dono ka Ravisha aur Akansha ka kissa Kaljayi mitle hi khtm kar dena....aur woh pal ab kuch hi dur tha.

"Main yeh soch rha tha Maharani...ke aapne jo kadam Vanrajya ke surkasha ke liye uthaye hai...woh toh kaafi had tak shi hai...aapne iss Rajya ke surakhsa ke liye...Kaljayi...Kaalraani ko saupne ka faisala kar liya aur badle mein woh iss Rajya ko baksha denge- lekin isliye badlme mein aapko Yuvraj ko unhe saupna hoga...kya aapki praja kabhi yeh baat manege? Kya woh itne bade badlaav ke liye taiyaar hoge?"

Ravisha ke hoth ek halki muskurat mein badal gye, "Badlaav? Iss shristi ka niyam hai...Ajay. Akansha bhi jaante hai ke uske paas aur koi chara nhi hai ab isliye woh in sab ke raazi ho gye."

Ajay man mein soch rha tha ke inn logon ko bewakoof banana aur unka istemaal karna kitna aasan tha...pehle toh woh Akansha jo iss baat ko leke Maan gye ke Kaljayi agar woh KaalRaani ko sonp dege toh Vanrajya baksh diya jayega aur fir woh Karan ko sonpne ke baat ko leke raazi nhi hue toh...Kaalraani ke kehne par Ravisha unke baat manane ko taiyaar ho gye. Sab apne apne lalach mein lage hue hai.

Ravisha ne Ajay ke ankhon mein dekha, "sach sach batao Ajay tumne mere aur Akansha ke sarir ke saath kya kiya hai...tumahre jadu ke baad bhi mere andar Akansha se yaadne abhi bhi kyu bachi hue hai?"

Ajay ke uske ankhon se milaye, woh jaanta tha ke iska parinaam bhanayak ho skta hai...usko pehle baar laga tha ke uske jinda kiye gye koi Mrt jeev apne aap baat kar skta hai...woh uska apne sarir par pure tarah se niyantran tha.

"Sach bataun toh, Ravisha....maine Akansha ke yaadein tumhare andar Jaan boon ke chorde hai...woh tumhare upar ek rodh ka kaam karte hai..."

"Mujhe jitne umeed the...tum usse bahut jayda adhik ban chuke ho...uska parnimaan main tumhe dikhta hoon...tumahre andar yeh jo abhi takat beh rhe hai...har cheez ke liye ek keemat chukane hote hai...jo tumne aur Akansha ne chukaye bhi hai...lekin mudde ke baat yeh hai ke ek baar tum dono ne yeh kadam utha liya hai toh ab iske peeche jana ka koi raasta nhi hai.

Ravisha ke chere par ek darvaani muskan chaa gye, jaise ko woh apne nason ke andar behte hue nargani skti ho mehsoos kar skte the. Uske andar ke shakti uske sharir ko andar se ashaniya peeda pahucha rhe the lekin...aur saath hi saath uske dimag mein ek alag hi ksim ke sukoon ke anubhuti bhi kara rhe the.

"Taayag? Main hamesha se iss baat ko smjhte the ke skti praapt karne ke liye taayag karna hi padta hai. Tumhe mujhe yaad dilane ke koi jarurat nhi hai jo ke Akansha ne kiya.

"Lekin yeh skti....mujhe aisa lagta hai ke main saare sansaar ko apne andar sama lungi...phir bhi meri bhi shaant nhi hogi." Uske sabd dwesh se bhare hue the jaise ke uske saamne koi bhi aa jaye woh apne kadam, peeche nhi hatane wali thi.

Ajay ne uske taraf dekha, toh uske vishwas ho gya ke shayad ke uske sabse anokhi sarrachna hi thi...usko dar tha bas iss baat ka ek kab tak woh usko apne bas mein rkh skta tha.

"Tum Kaal ke skti ho bahut halke mein le rhe ho, Ravisha...maine bhi pehle aur logon ko iss mein apne aap ko khote hue dekha hai..."

Ravisha ke aankhe andhere padh gye, "Main ispe kabu karungi Ajay, aur jab yeh pura ho jayega toh iss sansaar mein aisa koi nhi hoga ho mere saamne khada ho ske.."

Ravisha ne itna kehkar woh pal yaad kiye jab woh Akansha ke saath kush the....lekin fir achanak se uske dimag mein Aakansha ke apne haath mein ek chote bache ko khilane ke chavi aa gye,

"Ugghh...." Ravisha ne apne haath se apne sir ko pakad liya.

"Yeh Karan....ke yaadon se mera sir fat jayega...yeh Akansha sochte hai ke uska Karan abhi bhi bachcha hi hoga...aur woh apni Mausi ke sharir ko lekar hi utejit ho rha tha...main usse kabhi uske mausi se nhi Milne dungi...Akansha ko sirf meri liye jeena hoga."

Ajay ne mushkil se apna thuk nigal liya, waqai Ravisha ka gussa din pe din badhta jaa rha tha...woh bhi majboor tha Karan aur Akansha ke purani yaadein Ravisha pe ek rok ka kaam karte. Toh usko kabu mein rkhne ke liye...unhein wahan chordna uske liye bhi jaruri tha.

Akansha khadi hue aur bahar ke saamne wale mukhya dwar ke taraf chalne lage.

Kuch dur chalne ke baad usne bagal mein khade uske kaankal sipayon ko dekha,

1734326673125

"Main tumahre aankon mein dar dekh sakti hoon, Dhanyavad Ajay tumne mujhe ek naye bhavishya banane ke liye takat diye hai...lekin ek baat ka dhayan rkhna hai iss naye bhavishya mein kamjoori ke liye koi jagah nhi hai. Yaa toh tum mere peeche khade rhoge yaa fir auron ko tarah samay ke saath vileen ho jaoge."

Itna bol ke Akansha kashya se baahar chale gye, Ajay sirf whan stn khada rha. Iske baad ab wapas jaane ka shi mein koi maarg nhi tha.

***

Vartmaan

Karan aur Shravas dheere dheere chal rhe the.

"Humein Mausi ko dhudna hi hoga...woh yaa toh Shinghasan grah mein yaa fir apne kashya mein hi honge."

Shravas ne ek baar chaaron taraf andhere mein dekha, "Main yeh Rajmahal ko ache se janta hoon maine yahan saalon bitaye hai...agar Akansha yahan hai toh hum jald hi use dhund lenge"

Jaise hi woh Singhaghasan kashya ke paas pahuche, unhe darwaje ke khulne ke awaaz sunayi padi aur andar se bahar nikale hue Ravisha ke upar unke nazar padi.

Shravas ne haath aage badha ke Karan ko roka, "Woh rhe..."

"Woh bahut jaldi mein lagte hai... Karan...abhi ke liye hum bas uska peecha karenge...jab koi aas paas na ho tab mauka dekhna"

Karan ne halka sa sahmati mein sir hilaya. Aur woh milke chupke se Ravisha ka peecha karne lage. Jaise jaise woh aage badhe, Karan ko ehsaas hua ke inn Mahal ke iss hisse pe aajtak woh kabhi nhi aaya...yeh ilaka uske liye bilkul hi naya tha.

"Woh kisi mahtav prun karya ke liye Jaa rhe hai" Karan ne dabe hue awaaz mein khud se bola.

Woh ek vishaal darwaaje ke saamne pahuch gye jispe jatil nakashi bane hue the...jo Karan ke kuch bhi samaj nhi aaye. Ravisha bina hichkichat ke andar ghuse aur uske aakriti andar parchayion mein gayab ho gye.

"Karan, main yahin pe rukta hoon...tum andar jao..agar kuch bhi iss taraf aata hai toh uska dhyan bhatkane ke liye koi na koi toh bahar hona hi chaiye."

Karan hichkichya lekin fir usne shemati bhar di. Karan ne jaise hi andar pravesh kiya toh andar ke vaatavaran alag tha-bhari aur bhari aur bahar se jayda thanda.

Chaand ke rohsini neeche corridor mein gir rhe the...aur uske daraaron ke beech usko prakashit kar rhe the.

1734428876658


Karan jaise jaise Ravisha ke halke kadmon ke awaaz ka peecha kar rha tha uske dil ke dhadkne tez ho gye.

Aage kuch dur chalne pe Corridor ACHANAK se sampat ho gya...aur Karan ne dekha ke Ravisha ne ek kashya mein pravesh kiya. Peeche se chup ke andar jhanke pe Karan ne jo dekha usse vishmay mein uske aankhe bade ho gye.

Pura kashya andhar se bahara hua tha bas halki se Chand ke rohsini se prakashit...aur andar ek aakriti apne pairon ko mod ke baithe hue the, jo ke chains mein jakde hue the. Uske chamdi jaise sadiyon se iss halat mein rhene ke wajah se beech beech mein kaali pad gye ho. Uske safed aanke bina jhijhak ke Vanrajya ke Maharaani ko ghoor rhe the.

1734405185161

"Aaj tum yahan pe kyu aaye ho Ravisha?" Usne apne teekhe aur sukhe patton jaise karkash awaaz mein pucha.

Ravisha ka chera tiraskar se timtima utha, "Tumhara Karan se itna lagav kyu tha, Akansha?" Usne kadvi awaaz mein pucha.

Uss chudail ke aankhe uss naam ko sunke bade ho gye aur uske chere pe ek halki se manviyi narmi aa gye..."Karan"

Apne muh se naa jane kitne saalon baad usne uss naam ko bola, "Woh mere iss shaapit Raajya mein ekmaatr roshini tha. Jab pure Anantrajya andhkaar mein duba hua tha...usne hi mujhe jeene ke ek sab kuch sehne ke sakti de"

Ravisha ke andar ka jwalamukhi gusse se bhadak utha, aur gusse mein uske bagal mein dono taraf usne apne mutthe kas le, "Kya tum mujhse pyaar nhi karte the, Aakansha?" Woh chillayi.

"Kya Karan hi tumhare liye sab kuch tha? Kya main tumhare liye kuch maaniye nhi rkhti the?"

Akansha ne nazare Ravisha se mile, "Yeh dono cheeze alag the, Ravisha. Tum bhi yeh sab jaante ho. Hum dono ka pyaar alag tha. Lekin jab bhi main Karan ko apne haathon mein lete the...mujhe kuch alag hi anubhuti hote the. Uss cheez ke anubhuti jo main kabhi mehsoos nhi kar paaye- woh mere khud ke bete se kam nhi tha."

Woh ruke uske awaaz halki se tut rhe the, "Iss baat ko tum aur main dono ache se jaante hai ke hum dono ke koi santaan nhi ho skte"

Jab Ravisha ke yeh sab suna toh uske andar kuch tut saa gya, aur uska sharir gusse se kaanp utha, "Yeh sab alag lagta tha Aakansha...magar tum jis Karan ko apne bete ke taraf dekhte ho woh mere taraf vasna se dekhta tha, apni Mausi ke taraf vaasna se dekhta tha. Ab hum mein kya fark reh gya hai Akansha? Kya jo bhi aaj tak hum ne saha hai...woh sab bewajah hi tha?"

Akansha apne janjeeron mein halki se hile, "Yeh sab tum kya bol rhe ho?" Akansha ke awaaz ladkhada gye, "Kya Karan laut aaya hai? Kahan hai woh?" Uske bandhe hue haath, jaise kise ko andhere mein dhudne ka prayash kar rhe hoon.

Ravisha ka chera, par ekdum se ek durt muskan aagye aur woh wahan se uth ke bahar jaane ke liye badhi...bina Akansha ke baat ka jawab diye. Lekin isse pehle ke woh Kashya se bahar Jaa paati, kisse ke haath ne uske gale ko jakda aur takat ke saath usko deewar se sata ke patak diya.

"Jawab do uska" Karan ne gusse mein gurate hue pucha. Uske Ravisha ke gardan ke upar pakad aur tez ho gye, "Tumne Mausi ke saath kya kiya hai?"

Akansha ke safed aankhe ek pal ke liye Karan se mile aur usko hothon ne jaise agle se hi pal ek halki se aah chord de,

"Tum?!?" Usne fusfusate hue kaha.

"Tum bilkul unki tarah dikhte ho!"

Karan ke pakad Ravisha ke gardan pe se dheele hue aur usne pucha, "Kaun ho tum?"

Kise tarah Karan ne haathon ke neeche se dabe hue awaaz mein Ravisha bole, "Tum yahan par kya kar rhe ho?"

Uske baat ko ansuna karte hue, Karan, Aakansha ke taraf muda aur usse pucha, "Agar tum mere baare mein itna sab kuch jaante ho toh, mujhe ek cheez batao?" Usne thande swar mein kaha, "Kya tum mere baayn taang ke upar ke chin ke baare mein jaante ho?"

Akansha ke hoth chauk kar chaude ho gye, aur uske chere pe ek halki se mushkurahat aa gye, "Karaaan...tum sach mein Karan hi ho!"


***

Upar se padhte hue chandini Aakansha ke fate hue chere pe pad rhe the aur uske safed aankhon mein se aansu behne lage. Uske kaanpte hue haat aage badhe aur Karan ke ek baanh ko aaschairya janak takat se saath pakad liya.

Uske awaaz tanaavpurn thi par khusi aur rahaat se garm bhi the, "Main aaj sach mein khush hoon" usne Karan ke baaju ko kaskar pakad liya jaise ke maano woh agle ke pal uske aankon se saamne se oujhal nhi ho jaye kahin, "Itne saalon baad tumhe firse dekhna- maine socha nhi tha ke aisa bhi mere zindagi mein aayega."

Lekin jaise hi usne Ravisha ke taraf mudke dekha toh uske chere par se woh narmta gayab ho gye

Karan bas jhijhak skta tha. Usko smjh nhi aa rha tha ke woh kya kahe. Akansha ke bhavnayon ne usse abhibhut kar diya. Woh bas wahan khade chup dekh skta tha ke upar se ek chudail jaise dikhne wale koi...aaj aise roh rahi ho...ke ek ma varson baad apne bichde hue bete se mil rhe ho.

Lekin jaise hi Akansha ke Ravisha ko mudkar dekha toh uske chere par se woh narmata gayab ho gye, "Kyu Ravisha? Kyu tumne mujhse Karan ke vaapas lautne ke baath chupaye?"

Ravisha ka muh ek patle rekha mein sikud gaya aur woh bina kuch bole wahin khade rhe.

Akansha ka gussa har guzarte pal ke saath badhta jaa rha tha, "Tum janti thi ke Karan vaapas laut aaya hai" uski awaaz pure kaid pe goonz rhe the, "Acha ab smjhi main tumhare suruhat se hi yeh sab karne ke baare mein soch liya tha...uss din hi tumne mujhe dhoka dena ke baare mein tay kar liya tha."

Itna sab kuch sunne ke baad bhi Ravisha wahan chup khadi rhe.

Akansha ka haath teze se aage badha aur Ravisha ke gardan ko jakad liya, "Main yahan itne dino tak sadte rhe...kisske liye? Tumhare liye Ravisha...aur tumne badale mein mere se itne din tak jhooth bola? Mere saath kshal kiya?!?"

Ravisha ka muh yeh sab sunke kathor pad gaya. Akansha ke awaaz vishali ho gye, "Agar Karan ke yaadon ne tumhe itne pareshan kar rkha hai" usne srp ke tarah hishisate hue kaha, "Toh kyu na main unhein vapas he le loon. Tumhein unhein apne paas rkhne ka koi bhi hak nhi vaise bhi."

Ravisha ke ankhe vismay mein bade ho gye, "Yeh tum kya bol rhe ho?" usne aakhirkaar apne chuppi todi.

Tej gate ke saath Akansha ne apni hatheli Ravisha ke maathe par rkh de. Ravisha ke aanhke bhay se bade ho gye, aur Akansha se haath se neeli roshini nikalne lage jo dheere dheere Ravisha ke maathe ko dhak liya.

"Nhiiii...aisa nhi ho skta! Tum aisa nhi kar skte Akanhsa...humein aisa karne se Sharnita ne mana kiya tha.

Lekin woh neele roshini ne pure kamare ko prakashit kar diya. Ravisha ka chera kaala padne laga...uske ek baar ek bedaag chera...vikrat hone laga. Usse samay Akansha ke chere par se uske daag aur daraarein fike padne lage. Uske taucha jaise saadiyon ke kaid ke kaaran sad chuke the upar se apna kaala rang chord diya aur neeche se neela alokik rang saamne aane laga.

Karan bas wahan apne saamne stabd khada hokar dekhta rha jab Ravisha ke cheekhe...halki karahon mein badal gye.

Jab woh neele rohsini mand padne lage toh ek antim jhatke ke saath Ravisha behosh hoke neeche gir pade.

Akashna, ab Karan ke saamne khade the uske sarir pure tarah se neela padh chuka tha...aur uske fate hue kapde uske badan se latak rhe the.

808089743314281475-1

Uske pehle ke safed aankhe ab jeevan se chamak rhe thein.

Karan ne apne palke jhapkayein, apne saamne usne jo dekha usse woh dang reh gaya tha. Saamne khadi Akansha ke sundarta ko woh nakaar nhi sakta tha. Usse pata nhi kyu uski mausi pehle se bhi jayda sundar prateet ho rhe thein.

Lekin usse pehle ke woh kuch keh pata Akansha aage badhe aur Karan ko apne baanho mein bhar liya. Usne kaskar Karan ko apne bahaoon mein pakad liya.

Karan ne uske mausi ke nagn stan jab apne se chipte hue mehsoos kiye toh uske gaalon pe ek laali chaa gyi....aur uska shareer jakad gaya, "Um...aapko pehle khud ko dhak lena chaiye?!?" Karan ne bagal mein dekhte hue haklate hue kaha.

Akanhsa sharma ke peeche hate aur usko apne kapdon ke haalat ka ehsaas ho hua, "Oh" usne dheere se kaha, apne fate hue labade se apne aage ko dhaka, "iske liye maanfi chati hoon"

"Um...aapki...ka sharir ab neela-" Karan ne Akansha ke haathon ke taraf ishara karte hue pucha.

Aakansha ne apne haathon ko do baar ferk kar dekha, "main woh-" usne apne chere par haath fera aur neeche nishchal pade hue Ravisha ke chere ke taraf dekha, "kya mujhe ab aise jeena padega? Ek jooth ke jaal mein fase hue Rakshash ke tarah?"

Karan ne apna sir naa mein hilaya aur Akansha ke haath pakadte hue bola, "Aap koi Rakshas nhi ho mausi- ab aap...mujhe pehle se bhi jayda..."

Akashna ke nazar Karan par pade, aur uske man mein jo Akansha ne Karan ke liye baat kahi thi woh daud gye, "hmmm...kya tumhe sach mein aisa lagta?"

Karan ne shmati mein sir hilaya, "lekin mausi hum yahan pe Jayda der nhi ruk skte...kabhi bhi Ravisha ke sainik yahan aate hi honge agar woh jayda der tak gayab rhe toh."

"Tum shi yeh rhe ho...Karan...humein jaldi se yahan se nikalna chaiye..."

Akansha ne ek aakhri baar neeche behoshi mein pade hue Ravisha ko dekha, "Usne apne zindagi mein faisle le liye hai ab waqt aa gya hai yeh ab bhi apne faisle khud loon."


***

Jaise hi Ajay aage badha uske nazar galiyaarey ke bahar khade sipahi pe pade. Usse uske baare mein kuch toh gadbad lage- uska vayvahaar, uska Rukh aur jis tarah se usne apne peeche talwaar ko laga rkha tha.

"Main Maharaani se milna chata hoon...bagal mein hato" usne paas jake Shravas se drad awaaz mein kaha.

Shravas ne apna vesh banaya rkhne ke liye waha tatasth kadha rha, "Maharaani ne yahan se kisi ko bhi andar jaane ke izzazt nhi de hai" usne bina dare laheje mein jawab diya.

Ajay ke aankhe sakh se chote ho gye, "Kya kaha tumne? Ravisha ne isse pehle aaj tak yahan ke surkasha ke liye khada nhi kiya...aur hi kise ne mujhe yahan aane se aaj tak roka ka dushsahas kiya hai. Kaun ho tum?"

Shravas ne koi jawab nhi diya. Uske chuppi se Ajay ka shak aur badh gaya, "Maine tumhe aaj se pehle toh yahan kabhi Mahal mein nhi dekha...sach sach batao kaun ho tum?"

Shravas smjh gaya ke ab natak karne ka samay samapt ho chuka hai. Itne mein uske haath se nukele bele nikle aur Ajay ke gardan pe biljli ke teze se hamla kiya. Lekin Ajay taiyaar tha..aur usne jaldi se apna upri sharir peeche ke taraf kheench liya.

Ajay ke chere pe par ek kroor muskan aa gye aur uska sharirik roop badalne laga. Usne chamdi andar peeche ke aur keechne lage jisse uske Shravas ke saamne ek kaankal jaise aakriti bahar aane lage aur uske sarir ke kuch hisse assavbhvik roop se khichne lage aur uske vastr fatne lage. Uske peeche narangi roshini fail gye aur uske ke ungliyon ke jagah nukele panje ujagar hone lage.

1734428146630

"Tumne yahan aake bahut badi galti kar de hai" Ajay ke awaaz ek dheem karkash gadgadhat mein badal gye.

Shravas ne apne muthi band ke aur uske hathele par se aur belon se khudko saamne se belon ke ek kavach se dhak liya, "Mujhe ab kise naukar ko kuch bhi samjhane ke jarurt nhi hai"

Ajay ke panje hawa ko cherte hue baanye aur se daany aur badhe lekin Shravas itne mein neeche jamin mein ghoomte hue neeche uske peeche dusre taraf pahuch gaya aur apne belon se furti se uski ek pair ko jakadne ke koshish ke, lekin Ajay ne unko apne nukele panjon se asani se ek baar mein hi kaat diya.

Shravas smjh gya ke aaj uske saamne uska sabse khatarnak dushman khada hai...aur aaj ke ladai uske liye bilkul asaan nhi hone wale the.

Ajay shaitani awaaz ke saath hasa, "In sab se aaj tumhara bachna mushkil hai..."

Wahan sor sunke ek sainikon ke tukde bhaagte hue aayi. Ajay ne unko Ravisha ke peeche jana ke peeche andar jaane ka ishara kiya.

Ajay Shravas ke taraf teze se bhaga, Shravas ne apne pair neeche jameen par gadaye apne belon ke kavach ko aage kiya.

Jaise hi woh dono aapas mein takraaye. Shravas ka aadha kavach beech mein se tut chuka tha...aur Ajay uske aankon mein aakhe daal ke khada tha.

Shravas ke maathe se pasine ke boonde neeche gir rhe the. Uske kadam Ajay ke dawab se peeche hone lage aur kuch der baad woh ek kone mein aa gye.

Lekin Shravas itne jaldi haar maane walon mein se nhi tha. Jaise hi uske peeth peeche dewar se sate, deewar pe pade hue bele...Hari roshini se saath ujagwar hone lage aur Ajay ke chaaron taraf fail gye aur uske chaaron aur ek majboot cacoon jaise aakriti bana le. Ajay ne apne pure takat ke saath wahan se bahar niklne ka prayash kiya lekin andar belen adig rhe.

***

Hadiyon ke khat khat se pura corridor goonj utha. Usse waqt Karan wahan se baahar aaya, uske haath mein Meher the aur Akansha uske peeche hi chal rhe the.

IMG-20241219-220905

Akansha ne Karan ne baju ko kaskar pakda, "Karan yahan pe bahut saare hai hai...tum itnon-"

"Hamare paas koi aur chara nhi hai, Mausi" Karan ne ek baar Meher ko apne haath mein ghumaya aur apne sir se Akansha ko apne peeche hone ke liye ishara kiya.

Jaise hi pehel sainik hamla karne ke liye aage badha aur apne talwaar se hamla karne ke liye aage badha...Karan uske vaar se bachne ke liye neech jhuka aur Meher ke moth (hilt) se uske pasliyon pe kaskar vaar kiya. Hamle ke wajah se uske chaate ke hadiyon tutne lage. Karan ne ek maarkar usko neeche gira diya.

Usne upar dekha toh saamne bahar sainikon ke jaise anant sena khadi ho chuke the. Iton se ladna uske liye abhi sambhav nhi tha....lekin apni Mausi ko wahan se bahar bhi nikalna tha.


Usne Meher ko kasakar apne haathon mein pakda aur Meher aur uske pairon ke neeche se agni niklne lage.
.
.
.
.
.

Aaj ke liye itna hi guys! Aur bhi likhna chati thi lekin yhi update abhi tak ka sabse bada ho gya shayad....aage next mein! Target apna whi 35.
Nice update....
 
  • Love
Reactions: mistyvixen

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,552
3,171
144
तर्कस साम्राज्य के राजकुमार और राजकुमारी को वनराज्य अधिकारिक यात्रा पर आना चाहिए था ।
Hmm...aisa ho skta tha...maine socha nhi...lekin jaruri nhi ke dusre Rajaya hamesha Rajkumar aadhikarik yaatra pe jaayein...sach bataun toh Agar Dravaya VanRajya aata toh mere man mein yeh khayaal aata. Aapne agar Lord of the Rings dekhe ho toh Aragon toh king hoke bhi bina aadhikarik yaatra ke Middle Kingdom mein ghumta rheta hai. :idk1:
एक राजसी परिवार के संतान को इस तरह चुपके चुपके , वगैर कोई सूचना के अन्य प्रदेश जाना शोभा नही देता और वह भी तब जब दोनो प्रदेश मित्र देश हैं ।
Mitr desh the...jab Nandani the ab woh bhi pichle yud ke baat hai jab Tamaysa ne Vanrajya pe hamla kiya tha...aur AnantRajya mein time Earth se lamba chalta hai. Interstellar ke tarah :pepeez:
वैसे यह अच्छी बात है कि वनराज्य ने इस मुद्दे को बहुत बड़ा तूल नही बनने दिया और सब कुछ ठीक ठाक रहा ।
Hmm...ab Akansha ko pata chala hai kya iss baat kya? Nhi. 👀
तर्कस प्रदेश की राजकुमारी सोनाली का यहां आने का एक मकसद राजकुमार करण के साथ अपने वैवाहिक सम्बन्ध की सम्भावनाएं तलाशना भी था । पर दो मुलाकात के बाद भी इनके बीच किसी तरह की सुगबुगाहट दिखाई नही दी ।
Sonali is independent. Woh apne faisle khud lege...apne Pitaji ke ichaanusar nhi. Woh bas wahan unke kahane pe aayi hai...but she will judge Karan herself!
एक अच्छी खबर यह भी है कि करण साहब को अपनी मौसी आकांक्षा के साथ कुछ न कुछ अहित होने की सम्भावना लगने लगी है , और आपरेशन सेविंग आकांक्षा की शुरुआत भी हो चुकी है ।
Lol. Operation Aakansha 😂😂
Acha title hota agar story modern world mein set hote toh.
करण का प्यारा नया दोस्त वेलिस , एक नन्हा ड्रेगन वास्तव मे बहुत प्यारा है ।
💙💙💙
कई साल पूर्व एक जादूगर के शो मे मैने ड्रेगन को लाइव देखा था ।
Yeh konsa show hai 🤔
Live dragons 🙌 wow!!
बहुत ही डरावना और खुंखार लगा था वह मुझे । लम्बा मुंह , बड़ी बड़ी दांते , पुरे शरीर पर नुकीले तीर के समान रोएं और मुंह से नाॅन स्टाप निकलती हुई आग की लपटें उसे अत्यंत ही भयावह बनाती थी ।
Kya baat hai...aise show ke ticket nikle toh mujhe agle baar jaruri inform karna Sirji
एक बात कहता हूं वह जादूगर पी सी सरकार जूनियर साहब थे ।
Noted. Lemme Google it. Sorry main aaj tak ek bho aise shows mein nhi gye 😑
एक और खुबसूरत अपडेट मिस्टी डियर ।
हमेशा की तरह आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग ।
Thanks a lot Sanju sir 💙❤️

Oops maine shayad aapne latest review ka reply pehle de diya 😑

Usska bhi likhti hoon ...aaj kuch time hai.
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,552
3,171
144
Update 19
Anantnetra: Iske meaning ko samjha jaye to having infinite number of eyes ya phir wo aankh jo wo dekh sakti hai jo ek normal eye nahi dekh sakti hai??
It's like Infinite Vision...aur ek baat notice ke yeh AnantRajaya se kitna milta hai naam👀

It's like a kind of legacy...which get's carried in the blood.
Well iska matlab yahi hai ki iske hone ke karan hi *Karan* ki aankhen x-ray ke jaisa kaam kar raha hai.
Yup...he basically...ab koi Karan ke aage guise mein nhi aa payega.
Well Kaljayi ki help se Karan ko ek dragon Mila kya Karan dragon ko train kar payega apni Savari ke liye kyonki
Lol.😂😂😂 I can't stop laughing.
Yes, it will go in that direction lekin bas Savari ke liye nhi hai Veleys! Aage dekhna kaise tabahai machata hai
ek movie hai how to train your dragon to definitely use pahle train karna padega sayad!!!
Awesome movie!
Vikings aur Dragons ka mast combo banaya hai
Akansha ke soul mein itne dino ke baad Karan ki yaaden wapas kaise jinda ho gayi,
Body Aakansha ke the...aur koi bhi jadu kabhi bhi pure tarah complete nhi hota...jab Ravisha Karan se mile itne saalon baad toh...woh andar dabe hue feelings baahar aa gye.
kya Akansha Karan se itna pyar karti hogi ki Karan ke samip hone ka use feel ho raha ho???
Aakansha loves Karan a lot. Uska reason shayd maine latest update mein de diya hai.
Karan was like a child to her which se could have never had!

Ajay ne jaisa khud ko dikhaya hai matlab wo dead army jaisa lagta hai jiske pass sirf kankal(skull) hai??
Yup. Bone Reaper jaise. Aur bhi bahut saare monsters hote hai fantasy mein. Jaise ke Agrahak ke is kind of a Wendigo.
Well jald hi Nandini rajmahal jane wali hai .
😅Ab shayad Kahani yahan se bahut aage badh chuke hai.
It will be very interesting to see that Nandini could recognise Ravisha or not??
Fir se kya bolun ab...iske jarurt hi nhi padege.
Yadi Karan abhi fire element par kaam kar raha hai aur fire ko apne muh se nikalne wala use dragon mil gaya kya baki ke elements ke sath bhi aisa hi hoga??
Hmmm...dragon toh Veleys hi special hoga baaki aur saare fanatsy ke elements honge? Kuch living kuch non living...but it is like he will gains powers with each of the three remaining artefacts...and second Artifacts ke peeche bahut bade backstory hai...aur woh kya hai...yeh abhi spoil nhi kar skte😊
Well nice 👍 and wonderful 🌹 update mistyvixen.
Thanks a lot. I mean a LOT. DHAL💙💕
 

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,552
3,171
144
Great start to the adventure
Thanks a lot. Neal 💙
The ride at the end? Absolutely dope—loved it.
*Vroom* Get in?
And Aditi? She’s hot for real. Tbh it would’ve been wild if Karan had banged her right then and there but hey we gotta stick to the morals...I guess.
Lol. 😂
Itne fast story bhi nhi likhne hai. Yeah...morals bitch😑
*In Jessie Pinkman's voice*
ngl I don’t usually read stories in Hindi so hearing the sex felt a bit weird at first but I’ll manage—it’s growing on me.
Ikr? I manage to write xxx scenes in Hindi somehow. Detailing is very tough in it! But we never stop learning right?
Also peeked ahead, and I see you swapped the XL models. Nice move. The later ones are way more detailed. I can tell you’ve leveled up. Not saying much about the starting ones since I know you can do way better.
Haha..funny yours are the TOP. Feels like you're mocking me here. But thanks anyway

And hats off for nailing the Indian clothes—it’s definitely no easy feat
Sarees😑 they're really tough!
Just give us everything girl. We’re ready for it
Aye aye sir. Keep checking in!💙

Thanks a lot ❤️💙
 

Rudra Roy

Active Member
502
571
94
Ravisha's death felt little rushed..was hoping to see her in final climax as main antagonist or beside kalrani in final battle in this season...or at least a good fight between akansha vs ravisha or ravisha vs payel or even better if it was sister vs sister means Nandani vs Akansha (ravish) and then death with some magical powers showdown
 
Last edited:
  • Like
Reactions: mistyvixen

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,552
3,171
144
Ravisha's death felt little rushed..was hoping to see her in final climax as main antagonist or beside kalrani in final battle in this season...or at least a good fight between akansha vs ravisha or ravisha vs payel or even better if it was sister vs sister means Nandani vs Akansha (ravish) and then death with some magical powers showdown

Is she dead? Mujhe yaad hai maine abhi tak behosh hi likha tha 🤔

And her stopper has been pulled out...little humanity that was left in her is now gone...ab kya hoga... 👀
 
Last edited:

Rudra Roy

Active Member
502
571
94
Is she dead? Mujhe yaad hai maine abhi tak behosh hi likha tha 🤔

And her stopper has been pulled out...little humanity that was left in her is now gone...ab kya hoga... 👀
Virat Kohli Wow GIF by U Mumba
then keep her in final climax
 
  • Like
Reactions: mistyvixen and Mrxr

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,552
3,171
144
Virat Kohli Wow GIF by U Mumba
then keep her in final climax

Hmm...😂
Abhi Ravisha ke peeche ke backstory
pe pura second season depend karta hai toh 😴
Bahut sochke likhna padega ek ek sentence.
 
Last edited:
  • Wow
  • Like
Reactions: Mrxr and Rudra Roy

Mrxr

Welcome to the misty's world...
701
911
93
One humble suggestion for you,
A best comment you pinned in first page 3rd or 4th thread section.a best commentator only seen by new readers, it will be not seen by others who reading this story long times.
I think, you can pinned this in first thread, so everyone see.🤔🤔
mistyvixen.....what you think sister....​
 
  • Like
Reactions: mistyvixen

Mrxr

Welcome to the misty's world...
701
911
93
Hmm...😂
Abhi Ravisha ke peeche ke backstory
pe pura second season depend karta hai toh 😴
Bahut sochke likhna padega ek ek sentence.
I am to excited about to know ,what will happened with ravisha and akansha in past
And one thing , give any name to these skeleton
 
Last edited:
  • Like
Reactions: mistyvixen
Top