Update 242
( MEGA )
Chapter
Khonni Aatank 8
Sona ne haath jod ke kaha, "Itna gussa theek nahi hai ji."
Main mazaak karte hue muskuraaya, "Ji Devi ji, gussa nahi yeh toh humara pyaar hai."
Saloni hath jhatakte hue chhoti si naak sikod ke boli, "Shede! Kyun nahi keh dete ki nahi laa kar doge? Ruk, mai dad se kehti hoon!"
Maine aankh maarte hue kaha, "Arre baba, itni si baat pe dad ko laane ki kya zaroorat hai?"
Saloni haath kamar pe rakh ke tikhhi nazar se boli, "Mujhe tumhari baatein samajh nahi aati, kabhi kehte ho didi duniya ki sabse pyaari hai, aur jab kuch maangti hoon toh ghoorte ho jaise tumse tumhari jaan maang li ho!"
Maine haskar kandhe ucha diye, "Accha? Duniya ki sabse pyaari ho toh kya saari duniya tumhe red saari hi pehente dekhe?"
Saloni aankhein dikha ke boli, "Haan toh? Tumhe kya problem hai?"
Maine muskurate hue dheere se kaha, "Problem mujhe nahi hai, par tumhe red saari pehne dekh kar kahi ghar ki saari khoobsurati mujhse door na ho jaaye!"
Saloni (halki muskurahat ke saath) jhuk ke mere samne aayi aur dheere se boli, "Kyun? Tumhe kya dar lag raha hai ki meri khoobsurti tumhari biwiyon se jyada chamak jayegi?"
Maine ekdum halki si muskurahat ke saath aakhon me shaitani chamak laate hue kaha, "Tumhare saamne toh Chand bhi fail hai didi!"
Sona aur Devika phat se has padi!
Saloni ne mujhe ghoor ke dekhna shuru kar diya aur daant pis ke boli, "Dad! Aap iski baatein sun rahe hain?"
Dad akhbaar se nazar hata ke bole, "Arre arre, kya hua meri gudiya ko? Gussa kyun aaya?"
Saloni haath jod ke dad ke samne shikayat karne lagi, "Dekho na dad, maine red saari mangwayi thi Diwali me pehenne ke liye, yeh laa kar nahi de raha hai!"
Maine thoda muskurate hue kaha, "Maine kab mana kiya?"
Dad mujh par thodi naram daant lagate hue bole, "Dev, nahi beta, apni didi ko tang nahi karte, waise bhi kal hi bohot kuch galat hua hai, ab aise mat kar."
Maine chhoti si smirk ke saath kaha, "Par dad, red saari? Yeh kyun pehnegi? Shaadi toh meri hui hai, meri wife pehengi!"
Saloni haath jod ke taunt maarte hue boli, "Tumhare dimaag me har baat biwi aur shaadi tak hi kyun aati hai?"
Maine aankh maar ke mazaak me kaha, "Kya karoon, didi? Tum bhi toh sirf apne bhai se dikhawa karti ho, asal me jo tum chhupa rahi ho woh batao na?"
Saloni (mann me) andar hi andar sochne lagi, "Mera pati bohot chaalu hota jaa raha hai… Mere muh se nikalwana chahta hai ki mai uski didi nahi, biwi hoon…"
Saloni na-jane-ka natak karte hue boli, "Matlab?"
Maine halke se hasi dabaate hue kaha, "Yeh ki tumhe sirf red saari nahi chahiye, tumhe yeh bhi chahiye ki sab tumhe sabse sundar bhi bolein!"
Saloni thoda nakhre se boli, "Haan toh? Tumhi ne toh kaha tha ki tumhari didi sabse pyaari hai!"
Maine halke se uski naak dabate hue kaha, "Pyaari toh ho… par tum agar saari pehno toh bhi sexy lagti ho, aur agar na pehno toh bhi!"
Sona aur Devika phir se has padi!
Dad ne tez thappad mere kandhe par maara aur aankhein dikha ke bole, "Oye! Yeh baatein apni biwiyon se karna! Didi se nahi!"
Main hans pada aur Saloni ne sharm se mujhe zor se mukka maar diya!
Saloni ghusse me boli, "Dad, aap iski mat suno!"
Dad halke se hans ke bole, "Baat toh sahi hai beta, tu kuch aur pehen le."
Devika jhat se beech me tapak padi, "Nahi pitaji, yeh sab ke liye hi kyun na laa de saadi? Aur koi zaroori nahi ki red saari sirf shaadi-shuda aurat hi pehne!"
Main Devika ko ghoor ke dekha, "Tumhe bolna zaroori tha?"
Devika halki si muskurahat ke saath boli, "Woh… main bas…"
Dad halki hasi ke saath bole, "Koi baat nahi, ab uska bhi haq hai tujh par."
"Itna toh main bhi samajh gaya hoon, tu jitni bhi ladkiyan yaha Saloni ya Komal ki friends bana kar laaya hai, unse teri khichdi pak chuki hai!"
"Baap hoon tera, samjha?"
Main hans pada aur woh dono waha se sharmaate hue nikal gayi.
Saloni door se palat kar boli, "Tumhe abhi bhi lagta hai ki main red saari me sexy nahi lagungi?"
Maine halki si shaitani smile di, "Didi! Tum kis angle se sexy nahi lagti?"
Dad ne fir se thappad maara!
Dad - "Oye chup!"
Dad - "Jaa Dev, dilwa de meri laado ko jo chaahiye, agar koi shikayat hui toh main kuch nahi jaanta, Bhau se keh dunga bas!"
Maine thoda nakhre se kaha, "Dad, aap bhi!"
Dad mazaak me bole, "Main bhi kya?"
"Ab tere dada ne mere saath bhi aisa kiya tha, toh mujhe bhi badla lena hai!"
"Sach me maza aayega!"
"Kyuki teri ek toh nahi beta! Biwi… aur biwi ki baatein toh Rab hi jaane!"
Mujhe yakeen nahi ho raha tha!
Dad Saloni ke saamne aise baat kar rahe the?!
Par jo bhi ho, sab khush hain, bas yahi kaafi hai!
Dad - "Kya soch raha hai?"
Main - "Dad, woh Roshni aur Giri…"
Dad - "Beta, abhi ek din hua jo unke saath hua hai, par main nahi chahta ki woh isme dub kar khud ko bimar kare."
"Tu apni shaktiyon ka istemaal kar ke kuch kar ki sab theek ho jaaye!"
"Musibat me aakhir yaad aata hai toh kaun?"
"Apna hi ansh! KDEV!"
"Wahi sahi karega ab!"
Dad wahaan se chale gaye, par Saloni wahin khadi mujhe ghoor rahi thi.
Main thoda irritate hote hue bola, "Aise kya dekh rahi ho?"
Saloni ne haath baandh kar jawab diya, "Dad ke saamne itna uddta kyun hai?"
Main mazaak me bola, "Aaj meri Saloni didi ka bhoot wapas aa gaya kya?"
Saloni ne aankhein taaki, "Haan, kyun? Dar lag raha hai?"
Main hasi dabaate hue bola, "Haan, kya karun? Tum toh hamesha mujhe tapaad rakhne ko betaab rehti ho!"
Saloni ne aankhein dikhaate hue kaha, "Ruko, abhi batati hoon!"
Jaise hi usne ek kadam badhaya, main turant uth kar bhaag liya. Woh bhi mere peeche bhaag rahi thi.
Maa ne dekh kar pucha, "Arey, kaha bhaag rahe ho tum dono?"
Main haste haste bola, "Baad mein aata hoon!"
Saloni zor se chilayi, "Main kehti hoon, ruk ja!"
Maa ne sir hila kar kaha, "Arey, isse kya ho gaya? Yeh kyun Chandni Devi bani ghoom rahi hai?"
Main bina kuch sune seedha bahar nikal gaya. Gate tak aate hi Saloni ruk gayi. Dheere se boli, "Nahi aa rahe andar?"
Main door se haath jod kar bola, "Naa baba! Naam hai chala, thoda ghoom kar aata hoon."
Saloni ne aankhein ghumai, "Wapas aao tab bataungi main!"
Main hansi dabate hue bola, "Dekh lunga jo hoga!"
Saloni ne bhaav khaate hue kaha, "Accha ji!"
Main sir hilaate hue bola, "Ji maharani ji!" Itna kehkar main bahar nikal gaya.
Tabhi mera phone baja. Maine dekha aur receive kiya, "Haan hello, kya hua?"
Riccha ki awaaz aayi, "Woh maa aur Akash aa rahe hain, zara unhe station se le aao na."
Main surprise hote bola, "Kya? Akash yaha aa raha hai? Aur tumne abhi tak bataya nahi?"
Riccha thoda naraz hokar boli, "Aapko apni iss biwi ki yaad kab aati hai?"
Main hasi dabate hue bola, "Arey darling, aisa mat kaho, bas—"
Riccha ne baat kaat di, "Busy the, yahi na?"
Main jaldi se bola, "Nahi, aisa nahi! Bas kuch din aur, phir tum sabki shikayatein puri karunga!"
Riccha ne halki si hasi di, "Accha ji!"
Maine ek dum se pucha, "Ek minute, tumhare paas Devika hai kya?"
Riccha hairan hokar boli, "Nahi toh, kyun?"
Main mazaak me bola, "Usne sabka dimaag kharab kar rakha hai! Sab ‘Accha ji’ karti hai toh mujhe bada ajeeb lagta hai!"
Tabhi phone se Devika ki awaaz aayi, "Aisa kyun hai ji?"
Main hasi dabaate bola, "Tum... tum nahi maanogi na?"
Devika shararat bhari awaaz me boli, "Nahi ji, main nahi maanungi!"
Main thoda exasperated hote bola, "Accha ji! Uff, tum bhi na! Chalo, baad mein baat karta hoon, station jaana hai."
Maine phone cut kiya aur jeb me rakh liya. Abhi thodi door hi chala tha ki kisi ne mujhe awaaz lagayi...
Madan ne door se awaaz lagayi, "Kaa ho bhaiya, kaha chale?"
Maine mud kar dekha aur muskurate hue bola, "Arey Madan bhaiya, kya ho raha hai aaj kal?"
Madan haath jod kar bola, "Humara chhodo, nayi bahuriya le aaye aur bataya bhi nahi!"
(Yahan Komal ki baat ho rahi hai, thoda confusion ho sakta hai kyunki sabko pata hai ki Masoom Dev ki patni hai. Par ab baaki yaadon ke saath sab baatein Masoom ki Komal se jud gayi hain.)
Maine hasta hua kaha, "Arey, kaisi baat kar rahe ho! Dawat denge na, zaroor aana. Aur haan, aap apni bhabhi ji ke haathon ke besan ke laddoo zaroor lana, bada din ho gaya kuch accha khaye!"
Madan haath hila kar bola, "Jaa kaha rahe ho?"
Maine haste hue jawab diya, "Arey bhaiya, jara mehmaan aaye hain, station jaa raha hoon."
Madan muskuraya, "Accha, ee toh badhiya ba!"
Maine haath jod kar kaha, "Accha bhaiya, Ram Ram!"
Madan bhi haath jod kar bola, "Ram Ram!"
Main aage badh gaya. Itne saalon baad iss mitti ki khushboo mehsoos ki, ajeeb laga par achha bhi.
Gaon se bahar aane hi wala tha ki tabhi woh aa gayi, jiska maine sapne me bhi socha nahi tha...
Aditi ne car ka sheesha neeche kiya aur hansi dabate boli, "Dekh kya rahe ho? Andar aaiye na!"
Maine gate khola aur chup-chaap andar baith gaya.
Aditi ne pucha, "Kaha chalun?"
Maine dheere se kaha, "Station."
Car aage badh gayi, par meri nazar sirf Aditi par thi. Main use bade gaur se dekh raha tha.
Aditi ne aankhein jhuka kar kaha, "Aise mat dekhiye, mujhe sharam aa rahi hai!"
Main mazaak me bola, "Aur woh kyun?"
Aditi muskurate hue boli, "Pata nahi kyun!"
Maine thoda ghambeer hote pucha, "Par yahan kaise tum?"
Aditi ne mazaak bhari nazar se dekha, "Kyun? Galat kiya kya aakar?"
Main turant bola, "Arey nahi, aisa kuch nahi! Waise, ab tumhari tabiyat kaisi hai? Jab se tumse mila hoon, sahi se do pal bhi nahi bita paya..."
Aditi ki aankhon me halka sa dukh tha. Shayad woh kuch chhupa rahi thi.
Maine uska chehra dekha aur thoda pareshaan hote bola, "Bolo, chup kyun ho?"
Aditi dheere se boli, "Kya bolun main?"
Maine uski aankhon me aansu chamakte dekhe aur ghabra kar bola, "Arey tum ro kyun rahi ho? Gaadi roko!"
Aditi ne haath se ishaara kiya, "Nahi, main thik hoon..."
Uski awaaz me jo dard tha, woh mujhe andar tak mehsoos ho raha tha...
Main uski aankhon ki nami dekh kar dheere se bola, "Phir itni dukhi kyun ho?"
Aditi ne thoda samhalte hue kaha, "Main sach kahun toh maine jo chaaha, sab uska ulta ho gaya..."
Maine chhinta bhari nazar se dekha, "Aisa kya ho gaya tumhare saath? Kahin maine kuch galat toh nahi kar diya?"
Aditi ne meri taraf dekha aur ek pal ke liye chup rahi, phir dheere se bola, "Haan, aapne hi kiya hai."
Mera mann ghabra gaya. "Maine? Maine kya kiya?"
Aditi ki awaaz me ek dukh tha, "Maine socha tha, jab main aapse milungi toh aapke saath ghoomungi, aap mera dhyaan rakhoge, meri fikr karoge, meri achhi-buri aadaton par mujhe ched doge... par aapne toh shaadi karke mujhe ek taraf fenk diya, jaise main koi samaan hoon!"
Maine thoda hansi dabate hue kaha, "Arey arey, tum na bilkul paagalon ki tarah sochti ho! Gaadi roko, side mein!"
Aditi ne gaadi ek taraf roki. Maine turant AJ ko yaad kiya.
AJ ki awaaz aayi, "Maalik, aapne yaad kiya mujhe?"
Maine dheere se kaha, "Haan, ek kaam karo. Zara iss gaadi ko thoda change kar do, kuch classy dikhe!"
AJ ne bas ek chutki bajayi, aur purani gaadi ek shandaar luxury car me badal gayi.
Maine muskurate hue kaha, "Chalo, station le chalo!"
Aditi mujhe hairani se dekh rahi thi. Maine uska haath pakda aur dheere se kaha, "Ab batao, aisa kyun sochti ho?"
Aditi ne ek gehri saans li aur dheere se boli, "Kyun? Kya galat socha maine? Bachpan se suna tha, mera rakshak aisa hoga, waisa hoga... mera bohot dhyaan rakhega. Par kisi ne yeh nahi bataya ki main uss rakshak ki wife ban jaungi, aur phir bhi woh mujhse baat tak nahi karega!"
Main uski baat sun kar thoda hasa, "Arey Aditi, tum bhi na! Yeh ekdum bachon wali baatein kar rahi ho!"
Aditi ne gusse se aankhein taaki, "Dekhiyega, hasiye mat! Main koi bachi nahi hoon!"
Maine haath utha kar maafi maangi, "Accha baba, sorry sorry! Bolo, kya khaogi? Aaj humhari Phoenix biwi ko kuch accha khila deta hoon!"
Maine abhi apni baat puri bhi nahi ki thi ki Aditi ne ek jhatke me apne hotho ko mere hothon se mila diya.
Meri saansein ek pal ke liye ruk gayi. Maine turant uska sir peeche se pakad liya aur uske hothon ko chusne laga. Wah! Kya meethe hoth the! Jaise gulkand se bhare hue, gulab ki khushboo se mahakte...
Aditi bhi apna pura dam lagakar mujhe mehsoos kar rahi thi. Uske haath mere seene par aaye, aur ek halka sa dabav banaya. Maine dheere se usse chhoda.
Aditi ne saans lete hue kaha, "Hhhuuhhh...
fffuuuhhh... huhh..." Jaise 4 km bhaag kar aayi ho!
Maine uski haalat dekh kar ek mischievous smile di, "Batao na, kya khaogi?"
Aditi ne aankhein ghumai, "Aapke hoth khane ka socha tha, par aap toh mujhe hi chusne ko utaavle ho gaye!"
Meri hasi chhut gayi... "Arey tum bhi na!"