• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy "DEVANJALI" (Dard Ki Tasvir)

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
UPDATE~~~~~~ ((03))

Thappad ki awaaj sare vatavaran me gooji thi..Ek pal ke liye to Vikrant ko samajh hi na aaya ki ye kisne kiya?? Fir jaise hi uski nazar thappad maarne wale par padi to uski haalat kharaab ho gayi. Kyo ki thappad marne wala koi aur nahi balki khud uske dad comissioner of police anand shrivastav the.

Anand ji: Yahi padhaai karne aate ho tum collage me?? Suna to bahut tha ki gusse me kisi ke bhi hath pair tod dete ho tum magar aaj to apni aankho se dekh bhi liya aur ye sabit ho gaya ki jo log tumhare bare me ye sab mujhse batate the wo sahi the..

Vikrant: Dad wo wo mai....
Anand ji(Gusse se): Just shut up...Is bare me ab koi safaai dene ki kosis mat karna..sab kuch nazar aa raha hai mujhe ki tumne yaha kya kiya hai...mujhe nahi pata tha ki mere ghar me koi itna khatarnaak mujrim pal raha hai..

Tabhi bheed ke andar se soniya aayi aur vikrant ke samne apne dad ko dekh kar chauk padi.

Soniya: Dad aap yaha kaise???
Anand ji: Mujhe kisi ne phone kiya tha ki mera sapoot collage me ladaai jhagda kar raha hai to main aa gaya...aur yaha aakar dekha to pata chala ki isne kya kiya hai yaha.

Soniya ne aas paas dekha 4- 4 aadmi idhar udhar pade buri tarah dard se karaah rahe the. Use samajhte der na lagi ki kya hua hoga.

Soniya: Vicky kya hai ye sab???
Vikrant: Didi i'm sorry but isme meri koi galti nahi hai...ye sab baahar ke bulaye huwe gunde the jo yaha kisi ladke ko bevajah maar rahe the is liye main yaha aaya aur inse us ladke ko chhod dene ke liye bola..lekin ye sab log ulta mujhe hi maarne par utaaru ho gaye...is liye mujhe self-defence me ye karna pada..par mera irada inke hath pair todne ka nahi tha didi..

Anand ji: Tumhara irada to inki aarti utarne ka tha na...ye sab to pata nahi kaise ho gaya..hai na??

Vikrant sir jhuka kar khada ho gaya...bolta bhi kya??
Tabhi waha par collage ka principal aur baaki teachers bhi aa gaye..

Principal thoda naraz to hua fir usne kuch nahi kaha...kyo ki baat comissioner ke ladke ki thi. Anand ji ne police station phone karke ek inspecter ko bulaya aur un logo ko hospital bhejne ka bandobast karne ko kah kar nikal gaye...aur iske sath hi maamla rafa dafa ho gaya...
..........

Shaam ko Collage se dono bhai bahan ghar ke liye nikle.
Soniya: Vicky...itna gussa thik nahi hai. Tum khud ke gusse par kaabu rakhna seekho. Ham sab ko tum par naaz hai..lekin ham sab ye bhi chahte hain ki tum ye sab na karo..

Vikrant: Mujhe khud baad me apne aap par gussa aata hai didi. Pata nahi kya ho jata hai mujhe.? Kisi par annyaay hote dekh mera khoon khaulne lagta hai..fir mujhe ye nahi pata chalta ki main kya karne lagta hu??

Soniya: Vicky aaj to tujhe dad ne bhi dekh liya ki kis tarah tune un mawaliyo ke hath pair tode hain..wo tujhse bahut pyaar karte hain wo kabhi dikhate nahi hain lekin pyaar bahut karte hain ham sabse..khair chhod ye sab..ye bata ki parso to tera birthday hai..to tujhe kya chahiye gift me mujhse????

Vikrant: Jo aapka dil kare de dijiyega..
Soniya: Fir bhi tu bata kya chahiye?
Vikrant: Kya bataau didi?? Mujhe kuch samajh me nahi aa raha..bas aapko jo achha lage aap de dena..

Soniya: How sweet...chal koi baat nahi...

Vikrant: Hmmm...

Aise hi baate karte huye ye dono ghar pahuch gaye...jaha par pahle se hi mahaul tanaav me lagta nazar aa raha tha..

Urmila: Ye main kya sun rahi hu vicky?? Tumne collage me ladaai ki aur logo ke hath pair tod diya??

Vikrant: Sorry mom...
Rani: Dekha mom...sorry kahne se sab theek ho gaya jaise..
Urmila: Oye tu chup kar...
Soniya: Ab jane bhi dijiye mom...vaise bhi dad vicky ko collage me bahut kuch suna diye hain and ab aap bhi na shuru ho jana..

Urmila: Tujhe kya huwa..aaj bhai ki badi tarafdaari kar rahi hai???
Soniya: Haan to..bhai hai mera....
Urmila: Are haan main to ye kahna chaah rahi thi ki vicky ne achha hi kiya jo aise gundo mawaliyo ka hath pair tod diya..main hoti to goli hi maar deti.

Sab ek sath: KYAAAAA??????
Urmila: Sunaai nahi diya kya tum sabko??? Chalo jaao sab log fresh hokar aao.....
..........

Aise hi aaj aur kal ka din nikal gaya...fir shaam hui. Kal Vikrant ka birthday hai..is liye sab log abhi se taiyariyo me lage the...har saal ki tarah anand ji ko ek chhoti si parti ka ayojan karna tha. Jisme unke kuchh relatives aur unke mahkame ke kuch log aane wale the.

Shaam ke baad raat huyi...us wakt raat ke 1:30 ka time tha lagbhag,,

Har taraf ujala hi ujala tha...safed prakaash charo taraf faila huwa tha, tez roshni ke siva kuch bhi nahi tha waha. Roshni itni tez thi ki us ko dekhne ke liye ye aankhe saksham nahi thi. Kuch der baad usi tez roshni me koi chhota sa bindu nazar aaya,

Dheere dheere wo bindu bada hota gaya aur kuch hi samay me wo bindu ek insaani roop me nazar aane laga. Safed kapde pahne wo koi insaan hi tha jiski daadhi moochh aur sir ke baal bhi safed the jo kaafi lambe the. Wo koi mahapurush jaisa lag raha tha. Uske chehre par ek alag hi tarah ka tez tha..

Us mahapurush ke right hath me ek kamandal tha..dheere dheere wo mahapurush ek dam aankho ke samne aa gaya,

Mahapurush: Ab samay aa gaya hai putra..vidhi ke vidhaan ke hisaab se ab tumhe khud ko pahchaanna hoga. Shadiyo se andhere me kaid apni premika ko tumhe azaad karana hoga..use pahchano putra, wo tumhari adbhut apaar shaktiyo aur tumhare bhayankar krodh par niyantran rakhne wali tumhari chhaya hai...

Wo mahapurush kuchh pal ke liye khamosh huwa fir bola

Mahapurush: Tumhe fir se wo sab nirmaan karna hoga jo khud tumhare hi krodh se nast ho gaya tha. Tumhare jane ke baad tumhara rajy andhere ke aadhin hai..aur usne apni kaali shaktiyo se pure bramhaand ko kaale andhere me leta ja raha hai. Lekin usse pahle is dharti par wah andhere ka samraajy kayam karega...aur yaha wah tumhe dhoondh lega. Isse pahle ki ye sab ho jaye tumhe khud ko pahchanna hoha putra aur apni apaar shaktiyo ko jagana hoga. tumhare ashtr shashtr jo tumhe khud devtaao dwara vardan me prapt huye the unhe dhoondhna hoga tumhe...ab ham chalte hain putra tumhara kalyaan ho,,

Mahapurush ye kahne ke baad dheere dheere fir bindu me parivartit hone lage aur fir gayab ho gaye...wo tez roshni bhi dheere dheere kam hone lagi aur fir sab kuch andhere me kho gaya,,

Vikrant hadbada kar uth baitha. Usne idhar udhar dekha kamre me magar koi nazar na aaya. Kamre me zero walt ke bulb ka prakash tha. Uski samajh me na aaya ki abhi ye sab kuch need me wo jo dekh raha tha wo sab kya hai???

Ye to use samajh me aa gaya ki ye ek sapna hi tha jo wah need me dekh raha tha,, lekin is sabka ka kya matlab hai?? Aaj pahli baar hi aisa sapna dikha tha use..iske pahle to wah kisi anjali ke sapne dekhta tha..

Vikrant kuch der is sabke ke bare me sochta raha fir jab kuch samajh na aaya to usne dimaag se in sab baato ko jhatak kar fir se bistar par let gaya...aur thodi hi der me wah need ke aagosh me pahuch gaya..

Vikrant need me fir se sapna dekhne laga...

Anjali: Main janti hu Dev tum mujhe dekh aur sun sakte ho..magar fir kya baat hai jo mujhe mahsoos nahi kar sakte?? Mujhe mahsoos karo Dev...main tumhari anjali hu...janmo janmo ka rishta hai mera tumse. Tum jaha bhi dubara janm loge tumhe mere liye waha se vapas aana hi padega. Kyo ki is srasti me ek main hi hu jo tumhe samhaal sakti hu...fir chaahe wo tumhari shaktiya ho ya fir tumhara tez. Dusra koi tumhare kaabil ho hi nahi sakta...yahi Vardaan mila hai hame ishwar se. Is liye dev...ab aa jaao mere paas. Dekho tumhari anjali tumhari baaho me aane ke liye tadap rahi hai..

Vikrant ne sapne me dekha ki kaise anjali ye sab kahte huye aanshu baha rahi thi..

Anjali: Ye andhera ab mujhe kisi sarp ki bhaati dasne laga hai dev. Ab mujhme aur shakti nahi hai ki main is dard ko sah paau. Tumse jo shaktiya mujhe mujhe mili thi wo sab ye andhera nigal raha hai...mujhe apne marne ka dukh nahi hoga dev...dukh to is baat ka hoga ki main tumhari baaho me apni antim saase na le sakugi....marne se pahle tumhe dekh na sakugi.

Anjali ne itna kahne ke baad kuch door apne dono hath hawa me ghumate huye chal kar gayi fir janjiro ke khichaav se wahi gir padi. Sath hi foot foot kar rone lagi.

Anjali: Tum itne kathor to nahi the dev. Tumne vachan diya tha ki tum vapas aaoge. Fir kyo apne vachan ko nibhate huye mere paas nahi aaye?? Tum nahi jante main is andhere me kab se kaid hu...yaha koi nahi aata...maine shadiyo se kisi jeev tak ko nahi dekha. Ab aur kitni mere prem ki pariksha loge dev?? Kis aas par jeewit rahu main bataao??? Ab aur nahi dev....ab aur nahi....ab mujhme dhary anhi bacha...ab mujhme ye dukh sahne ki shakti nahi rahi....main mar jaaugi dev....ab jeewit nahi rahna mujhe....Alvida dev.....Alvida,,

Vikrant: Naahhiiiiiiii...anjali nahi...main aa raha hu tumhare paas...main aa raha hu...kuch der aur ruk jaao anjali....main aa raha hu....Aaaahhhhhhhlelele

Tabhi kisi ne vikrant ke upar pani daal diya...jab tak wah hadbadate huye aur cheekhte huye uthta tab tak pani dalne wala kamre se bhaag chuka tha...Bechara idhar udhar dekhta rah gaya,,

 
Last edited:
Top