• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy "DEVANJALI" (Dard Ki Tasvir)

Raj

Well-Known Member
4,444
15,224
158
EAGERLY WAITING FOR NEXT UPDATE BHAI
 
  • Like
Reactions: VIKRANT

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
"UPDATE"
*05*

AB TAK.....

Vikrant: Jane dijiye mom?? Aaj baksh dijiye kyo ki aaj mera bday hai aur main nahi chahta ki koi rani ko bura bhala kahe..

Urmila: ek kaam karo tum sab chale jana...magar shaam ko jaldi aa bhi jana.

Soniya: Theek hai mom..
Iske baad sab ne shanti se breakfast kiya..

Shaam ko vikrant ka bday hai is loye sab ke man me khushi thi lekin aaj ki raat kuchh hone wala tha...kuchh aisa jiski vajah se halaat badal jane the. In sabke bare me kisi ko kuchh pata nahi tha...

Ab Aage....

VIKRANT KA BIRTHDAY...

Shaam ke aath baj rahe the..Pura ghar rang birangi electric jhaalro se jagmaga raha tha, Ye ghar vikrant ke pita ji ko sarkar ki taraf se mila tha kyo ki wo police comissioner the. Ghar ke baahar ka lamba chauda maidan bhi saja huwa tha, jaha par is wakt kafi log jama ho rakhe the.

Party yu to chhoti hi rakhi gayi thi lekin kyo ki Police comissioner ke bete ka janmdin tha is liye kuch khaas logo ko bhi majburan invite kiya gaya tha, Janmdin ke is mauke par Anand Shrivastav ki puri family bhi aayi huyi thi, jisme unke mata pita aur bade bhaiya bhabhi bhi the...in logo ke sath inke ladke ladkiya bhi the.

Friends mujhe lagta hai ki Vikrant ki baki family ka bhi intro de dena chahiye is liye un sabka intro de raha hu,

=>Anant Shrivastav & Sarita Shrivastav (Dada-Dadi)
Anant Shrivastav apne time me high coart ke judge rah chuke hain, ye ab 70 saal ke hain aur apni baki family ke sath jabalpur me sthit ek gaav me rahte hain, jaha par inki bahut sari jamin jaydaad hai aur hawelinuma bada sa ghar hai, inki patni Sarita Shrivastav 65 saal ki mahila hain jo moti hone ke kkran jyada chal fir nahi sakti,

=> Sharad shrivastav & Sarla Shrivastav (Bade papa & Badi maa)
Sharad Shrivastav ka apna khud ka realstate ka bussiness hai, ye 52 saal ke hain, aur inki mrs Sarla Shrivastav 48 saal ki housewife hain, inke 4 bachche hain, jinme teen betiya hain aur ek beta hai.


Saumya Shrivastav, Sharad aur sarla ki badi beti, ye 24 saal ki hai aur MBA kar rahi hai, Apni maa ki tarah hi gori aur khubsurat hai,

Navya Shrivastav, Sharad aur Sarla ki 2nd beti, 22 saal ki behad hi khubsoorat ladki hai, ye MSC kar rahi hai,

Kaavya Shrivastav, Sharad aur Sarla ki 3rd beti, ye 20 saal ki hai aur BSC kar rahi hai, Ye apni bahno ki tarah gori nahi hai lekin saavli colour ki bhi nahi hai, Chehre ki banawat aur figure perfect hone ki vajah se behad attractive lagti hai, ye jyada kisi se baat nahi karti,

Aman Shrivastav, Sharad aur Sarla ka beta, jo sabse chhota hone ki vajah se sabka ladla hai, ye 17 saal ka hai aur abhi ye 12th me padhta hai,

Susma Nigam & Mahesh Nigam(Bua-Fufa)
Susma Vikrant ki badi bua hai, jo 38 saal ki hain aur married hain, inke husband Mahesh Dr. Hain jabalpur me,

Natasha Nigam, Susma and Mahesh ki badi beti hai, ye 20 saal ki ek khubsoorat ladki hai aur BSC kar rahi hai,

Shilpa Nigam, Susma and Mahesh ki 2nd beti, ye 17 saal ki ek khubsoorat ladki hai, jo 12th me padhti hai,

Alok Nigam, Susma and Mahesh ka chhota beta, ye 15 saal ka hai aur school me padhta hai,


Friends ye to tha vikrant ki family ka full intro, abhi iske nana nani aur mama mami log baki hain lekin unka intro baad me jab unka kahi role ayega,

Baahar ground me music ka bhi intjaam tha jaha par sabhi ladke ladkiya music par dance kar rahe the, kuch der baad kisi ne kaha ki cake katne ke liye bday boy ko bulaya jaye bhai,

Udhar kamre Soniya vikrant ka naye shoot me taiyar kar rahi thi apne hatho...vikrant ne kai baar mana kiya ki wo khud taiyar ho jayega, lekin soniya na maani thi.

Tabhi kamre me sabhi ladke ladkiya aa gayi,

Rani: Bhai aaj to aapko aise sajaya ja raha hai jaise kisi dulhan ko sajaya jata hai,
Saumya: Oye mere pyare se bhai ka majaak mat uda samjhi,
Vikrant: Saumya di, jis din ise sajaya jayega na fir main bhi aise hi boluga,

Natasha: Bhai tab to ye dulhan hi hogi na to bolne ka kya fayda??

Soniya: Ab chup bhi ho jaao, koi mere vicky ke bare me ulta sidha nahi bolega,
Kaavya: Di bhai ko baahar cake kaatne ke liye bula rahe hain,

Soniya: Chal vicky jaldi, nahi to dad gussa karenge.

Sab log kamre se nikal kar baahar ki taraf chal diye, vikrant apni sabhi bahno se ghira baahar ground me aa gaya,

Kuch hi der me sab log Vikrant ke chaaro taraf khade ho gaye, ek do camra man bhi the jo sirf photo khichne ke liye bulaye gaye the, hala ki sabke paas kimti mobile phone the jisse wo sab apne apne mobile se photo click kar rahe the,

Sharad: Chal beta jaldi se ab cake kaat, kab se wait kar rahe hain ye sab tumhara.

Vikrant ne jhuk kar cake ke chaaro taraf lagi candles ko foonk maar kar bujhaya aur fir apne ek hath se plastic ke chaaku se cake kaata,

*HAPPY BDAY TO YOU....HAPPY BDAY TO YOU*

Vatavaran me sabke mukh se ye sab kahne ki aawaaj gooj uthi, Vikrant ne cake ka pahla nivala apni maa urmila ko khilaya jawaab me urmila ne bhi apne bete ko bade pyaar se khilaya, fir sabhi bahno ne apne apne hath se vikrant ko khilaya bhi aur uske chehre par lagaya bhi, uske baad sabhi mahmano ko bhi cake diya gaya, sabne vikrant ko dher sare gift diye,

Camra man sabki photo kheech raha tha,

Ground me raunak to bahut thi lekin sabse jyada raunak vikrant ki sabhi bahno ki vajah se bhi thi, wo sab bala ki khubsoorat thi bilkul aasmaan se utri pariyo ki tarah,

Sab log apne apne me hi busy the, tabhi vatavaran me thandi thandi hawa tezi se chalne lagi, ground me lage idhar udhar pedh paudhe buri tarah hilne dulne lage, aur kuch hi palo me dekhte hi dekhte aasmaan me bijliya kadakne lagi, logo ne aasmaan ki taraf dekha to chaunk gaye, kyo ki aasmaan me kahi bhi taare nahi dikh rahe the balki dharti se lagbhag 30 ya 35 fit uchaayi par bhayankar kaali dhundh chhaayi nazar aayi usi me bijliya chamak rahi thi,

Ye dekh kar log thoda bhaybheet ho gaye, sab log chakit bhi the ki ye kya cheej hai, itni kam uchaayi par bijliya chamakti huyi dikh rahi thi, aisa lagta tha ki in bijliyo ki chapet me koi bhi aadmi kisi bhi samay aa sakta tha, sab idhar udhar bhaagne lage, jisko jidhar samajh aaya wo udhar hi bhaag liya, jo log baahri mehmaan the wo sab bina bataye hi apni apni gaadiyo ki taraf bhaag liye, hawa ka bahaav pratipal tez hota ja raha tha, ground me padi cheeje idhar se udhar udti nazar aa rahi thi, dekhte hi dekhte hawa ke tez bahaav me aadmi bhi ladkhada kar girne lage, wo gir kar uthte aur fir lahra kar gir jate, kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ye achanak kya hone laga hai,

Anand ji aur unke bade bhai ji ne badi mushkil se logo ko surachhit jagah par le jane ki kosis kar rahe the,

Urmila(Chilla kar): Bachche kaha hain?
Anand ji: Wo sab music stage ki taraf the, ruko ham dekhte hain unhe,

Sharad: Tum sab log ghar ke andar jaao ham un sabko bhi yahi lekar aate hain,
Sarla: Pata nahi ye kya ho raha hai, aisa toofan aur aisa manjar pahle kabhi nahi dekha, aap jaldi se jaaiye aur sab bachcho ko lekar aaiye plz,

Sharad ground ki taraf bhaaga, lekin kuch door jate hi hawa ke tez bahaav me ladkhada kar gir gaya, ye dekh Sarla ki cheekh nikal gayi,

Udhar anand ji kisi tarah music stage ki taraf pahuche, lekin waha par koi nazar na aaya, music stage ast byast huwa pada tha, bade bade sound ludhke pade the, stage par bachcho ko na dekh kar anand ji ghabra gaye, idhar udhar dekha bhaag bhaag kar,

Mausam aur bhi kharaab hota ja raha tha, har taraf dhool hi dhool vatavaran me faili huyi thi, saans lena mushkil ho raha tha, anand ji ne pura ground chhaan mara lekin bachcho ka kahi pata nahi tha,

Tabhi anand ji ki nazar gairaaj ki taraf gayi, waha par sabhi bachche ek dusre se dubke huye khade dikhaayi diye, anand ji ne raahat ki saans li aur us taraf badh gaye,

Anand ji(Bachcho se): Tum sab log theek to ho na??
Saumya: Ham sab theek hain uncle ji, lekin...

Anandji: Lekin kya saumya beta?
Saumya: Wo Vicky, soniya ko dhoondhne gaya hai, pata nahi wo kidhar chali gayi hai,

Anand ji: Achha theek hai tum log ghabraao mat ham dekhte hain unhe,

Itna kah anand ji ground ki taraf badh gaye,

Udhar Soniya ki haalat kharaab thi, wah ground ke peechhe ek pedh ke peechhe pedh ko pakde khadi thi, usse kuchh hi doori par abhi abhi ek dusra pedh jad se ukhad kar gira tha, apne aas paas kisi aadmi ko na dekh wah ek dam se dar gayi thi, har taraf chhaye bhayanak andhere aur sir ke upar kadakti bijliyo ne uski haalat kharaab kar rakhi, wo sabhi ladke ladkiyo ke sath hi thi lekin hawa ke tez bahaav me use samajh hi nahi aaya tha ki wo kidhar aa gayi hai, ground ki light to pahle hi jaa chuki thi, ye jo kuch ujala tha wo bhi aasmaan me chamakti bijliyo ka tha, jo pal me ujala kar deta aur pal me andhera,

Tabhi ekaek tez barish shuru ho gayi, thand mausam me thanda thanda pani jism par girte hi uski rahi sahi haalat aur kharaab kar di, use dar ke mare samajh hi nahi aa raha tha ki kidhar jaye, use lag raha tha ki kahi koi aur pedh na gir pade jiske niche wah dab kar mar jaye,

Thand aur barish se wah buri tarah kaamp rahi thi, pura shareer bheeng chuka tha uska, bhay ki jyadati ke kaaran uski aankho se aanshu bahne lage aur wah foot foot kar rone lagi,

Soniya(Rote huye): Vicky mere bhai...mujhe bacha le...mom dad kaha ho aap???

Abhi wah ro hi rahi thi aasmaan me ek bheeshan garjana huyi aur ek tez bijli chamki, aisa laga jaise upar aasmaan se koi tez roshni jameen se takraayi ho, ye dekh soniya ke gale se cheekh nikal gayi, tez roshni se uski aankhe band ho gayi,

Kuchh pal baad jab usne apni aankhe kholi to saamne drishy dekh kar wah buri tarah dar gayi aur cheekh gale me hi fas gayi,

Soniya ke saamne ajeeb sa daanav type ka aadmi khada tha, uski hight kisi bhi tarah 12 ya 15 fit se kam rahi hogi, uske sir dono taraf kisi bail ki tarah seeng ke khoonte jaise uge nazar aa rahe the, aankhe badi badi aur laal laal thi, kahne ka matlab ki wo koi pret ya jinn jaisa lag raha tha, uske hath me ek ajeeb si dikhne waali khadag thi, wah apni laal laal aankho se nirantar soniya ko hi ghoore ja raha tha,

Jinn: Hahahaha bahut khubsoorat ho tum, main tumhe apni rani banaauga, andhere ke raja ki rani hahaha,

Soniya(Rote huye): Nahiiiii
Jinn: Mujhe nahi pata tha ki dharti par itni sundar aurat paayi jaati hain warna bahut pahle dharti par aa jata, lekin koi baat nahi ab aa gaya hu na, ab yaha ki sabhi sundar aurto ka main akela bhog karuga hahahaha,

Soniya uski baat sun kar buri tarah dar gayi thi, jis pedh ko pakde wah khadi thi use chhod kar wah ek taraf ko bhaagi hi thi ki kisi se takra gayi aur pichhe ki taraf peeth ke bal gir gayi, andhere me kuch dukha bhi nahi ki wah kisse takrayi thi, tabhi bijli chamki, aur uski nazar us shakhs par padi jisse wah takrayi thi, nazar padte hi wah tezi se uthi aur daud kar usse lipat gayi,

Soniya(Rote huye): V Vicky, kaha chala gaya tha tu mujhe akela chhod kar?? Dekh ye dust mujhe kya bol raha hai,

Vikrant ne us taraf dekha jis taraf soniya ne ungli uthaayi thi, us jinn par nazar padte hi vikrat uchhal pada aur usse bhi jyada uchhla tha wo jinn vikrant ko dekh kar, uske chehre par ek pal ke liye dar ke bhaav aaye fir wah saamany ho kar jor se hasa,

Jinn: Achha to tum yaha ho Dev, is dharti par janm liya hai tumne, chalo achha huwa ki tum mil gaye mujhe, paaglo ki tarah sare graho par dhoondh raha tha main tumhe,

Jinn ki ye baat sun kar Vikrant aur soniya dono hi buri tarah chaunke, Jinn ke mukh se apne liye Dev naam sun kar vikrant ko jhatka sa laga tha, yahi haal soniya ka bhi tha,

Jinn: Socha nahi tha ki tumse yaha mulakaat hogi, magar is baar bachoge nahi mujhse,

Vikrant: Kaun ho tum aur mujhe dev naam se kyo sambodhit kar rahe ho??
Jinn: Tumhare is sawaal se jaahir hai ki abhi tumhe kuch yaad nahi hai, aur ye mere liye khushi ki baat hai, main tumhe badi asaani se maar sakta hu lekin maaruga nahi, kyo ki tumse mujhe abhi wo cheej haasil karna hai jiske bal boote par tum sabse jyada taakatvar aur shaktishaali ban gaye ho,uski vajah se tumhe na to koi hara sakta hai aur na hi maar sakta hai,

Vikrant: Dekho main nahi janta ki tum kis cheej ki baat kar rahe ho...main to sirf itna janta hu ki main wo nahi hu jo tum samajh rahe ho, is liye behtar hoga ki tum jaha se aaye ho wahi vapas chale jaao,

Jinn: Abhi tumhe kuch yaad nahi hai is liye aisa kah rahe ho, aur main yaha se ab jane wala nahi hu kyo ki ab yaha dharti par mera raaj hoga, is dharti par andhere ka raaj hoga,

Vikrant: Aisa kuch nahi hoga,
Jinn: Hoga nahi dev, balki ho chuka hai, aur ab main is ladki ko bhi apni rani banaauga is dharti par,

Vikrant: Aisa sochna bhi mat varna tumhare liye achha nahi hoga,
Jinn: Achha to chalo aisa hi karke dikhata hu,

Jii ne kaha aur apni khadag ko vikrant ki taraf kiya, jisse khadag se ek bijl nikar kar tezi se vikrant ki taraf badhi, soniya ko pata nahi kya sujha ki wo turant vikrant ke samne dhaal ki tarah khadi ho gayi, jisse jinn ki khadag se nikli bijli soniya se aa kar takra gayi, soniya ko tez jhatka laga aur uske gale se dard bhari cheekh nikal gayi, soniya bijli ke is jhatke ko bardast na kar paayi aur wah wahi par behosh ho kar gir padi, vikrant ye dekh kar turant hi cheekhte huye neeche jhuka aur soniya ko baaho me le liya, uske chehre ko apne hatho se thapthapate huye soniya pukarne laga, magar soniya beawaaj chup uski baaho me padi rahi,

Ye dekh vikrant pata nahi kya huwa ki wah jor se cheekhte huye apne sir ko aasmaan ki taraf utha liya, uske is tarah karne se aasmaan me chamakne wali bijliya achanak hi uske shareer se takrane lagi, aisa lag raha tha jaise vikrant un bijliyo ko nigal raha hai,

Jinn ye sab dekh kar buri tarah chaunka, wah aankhe faade vikrant ke shareer se takra kar bijliyo ko uske shareer ke andar jate dekhe ja raha tha, uske chehre par ghabrahat nazar aane lagi,

Kuch hi der me achanak hi virant ne jinn ki taraf dekha to is baar uski aankhe laal laal thi aur aankho me koi shola sa jalne laga tha,

Achanak hi vikrant ko ek tez jhatka laga aur wah wahi behosh ho gaya,
 
Last edited:
Top