If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Tabhi sword ki awaaj fir se aayi.. Dariye mat dev...Ham paancho aapki jaan hi to hain, lekin is wakt aapko samhal jana chahiye kyo ki aapke samne gol gol bhoom raha ye bawandar loocus ka maayavi jaal hai...jo aapko shuru se hi apni taraf kheech raha tha, is liye aapko isse jald hi bachna hoga aur ise nast karna hoga, varna agar aap is bawandar me ek baar fas gaye to fir nikal nahi paayenge,
Mujhe bahut si cheeje ab achhi tarah yaad aa gayi thi....is liye ab main har cheej ke liye taiyaar tha, maine man me hi sword se kaha ki tum fikar mat karo Noori...ye ab mera kuch nahi bigaad sakte, chalo ab shuru karte hain khel,
Maine ye kah kar apna hath badhaya to sword yaani Noori mere hath me aa gayi, hall me gol gol ghoom raha bawandar ab mere paas hi aa raha tha, maine apni aankhe band kar ek baar bhagwaan aur gurudev ko yaad kar unhe pranaam kiya aur apni dono aankhe khol di, meri aankho se ek tez roshni nikli aur us bawandar se jaa takraayi, bawandar se ek cheekh ki awaaj aayi aur wo ek jhatke me tinka tinka ho kar bikhar gaya..
Uske baad main waha se vaapas seedhiyo ke dwara upar aa gaya, ab mujhe kisi prakaar ki koi ghabrahat nahi ho rahi thi, balki main ab full confidence ke sath aage abdh raha tha, upar main usi jagah par aa gaya jaha se chaar taraf jane ke liye raaste bane huye the, us jagah par ruk kar maine apni aankhe band kar dhyaan lagaya to mujhe jo dikha usne mere andar gusse ki aag bhadka di...meri aankhe laal surkh ho gayi...main paagal sa hone laga tha, main dusre raaste se badi tezi se aage badh gaya,
Ab Aage.....
Kuch der me baad jis room ke paas main pahucha us room ke darwaje par do daanav khade the, mujhe apni taraf aate dekh dono satark ho gaye, aur bina kuch kahe sune hi mujh par aasuri shaktiyo ka prayog karne lage...mere andar bhayankar gussa tha aur meri aankhe laal surkh ho gayi thi...jaise hi un do asuro ne mujh par prahaar kiya maine apni talwar se unke prahaar ko nisfal kiya aur usi talwaar se dono ki ek hi pal gardan uda di,
Maine dekha room ka darwaja band hai...maine darwaje par apni aankhe gada di, mere aisa karte hi darwaja jal kar raakh ho gaya...uske baad main darwaje ke andar daakhil ho gaya,
Room me daakhil hote hi maine dekha bade se room me chaaro taraf ek se ek bhayankar daanav apne apne hath kataar liye khade the...saamne bada sa bed bichha huwa tha, usi bed par meri dono bahno ko litaya gaya tha, un dono ke hath pair hil dul nahi rahe the jabki wo puri kosis kar rahi thi, hath pair me koi janjeer nahi thi shayad maaya dwara meri bahno ke hath pair baadhe gaye the,
Rani aur soniya di ke jism par sirf bra panty rah gayi thi, wo dono buri tarah roye jaa rahi thi...gidgida rahi thi..tadap rahi thi, raham ki bheekh maag rahi rahi thi dono, bed ke paas me hi loocus khada has raha tha, maine jab ye sab dekha to mere krodh ki koi seema nahi rahi, maine puri shakti se talwaar fenk kar loocus ko mara lekin ye kya...main ye dekh kar hairaan rah gaya ki ek hi pal me pure room me maujood daanav, loocus aur meri dono bahne sab ke sab gayab ho gaye,
Sab ke gayab ho jane par aur mere prahaar ke khaali hi jane par mujhe aur bhi tez krodh aa gaya...meri talwar laut kar vaapas mere hath me aa gayi...main samajh gaya tha ki ye loocus ki maaya hai, wo mere sath khel khel raha hai,
Tabhi mere man me noori ki awaaj aayi...wo kah rahi thi ki...dev apne krodh par niyantran rakho,agar niyantran nahi rakhoge to krodh ki vajah se aap apna vivek kho denge, us soorat me aap kuch nahi soch payenge, noori ki is awaaj par main kuch samhla lekin krodh me kami na aayi, khaali kamre me paaglo ki tarah idhar udhar dekh main cheekh raha tha, dekhte hi dekhte mere pure shareer me aag lag gayi...
Mujhe kisi cheej ka ab hosh nahi tha...main krodh me sab kuch jalane laga....bhavan me har jagah aag lag gayi, noori baar baar mere man me awaaj dekh kar mujhe khud par niyantran rakhne ka bol rahi thi lekin mujhe ab kuch nahi sunaayi de raha tha,
Main kamre se nikal pure bhavan me idhar udhar loocus aur apni dono bahno ko dhoondhne laga magar unme se koi mujhe nahi dikh raha tha, yaha tak ki koi daanav bhi nahi dikh raha tha mujhe, mere man me noori ki awaaj fir se aayi...wo mujhe kah rahi thi...dev khud ko samhaalo, krodh par niyantran rakho...aur vivek se kaam lo, loocus aapko pareshan kar dena chaahta hai taaki aap is sabse thak haar jaao aur wo aapko bade araam se kaid kar sake, is liye dev kripaya apne krodh par niyantran rakho...warna sab kuch bigad jayega..aapko anjali ki saugandh hai dev...kripaya shaant ho jaiye,
Anjali ka naam aur uski saugandh ka sun kar mere andar ka krodh kam hone laga...main jaise but ban gaya tha, dekhte hi dekhte kuch hi pal me main shaant ho gaya..mere shareer par lagi huyi aag bujh gayi.
Jab sab shaant ho gaya to mujhe khud ka khayaal aaya..aur mera dimaag chalne laga. Main loocus ki maya ko samajh gaya...noori ko dhanyavaad diya ki usne samay rahte mujhe shaant karwa diya,
Maine sabse pahle loocus ki maya ko nast karne ka faisla liya, aur aankhe band kar li...mujhe dhyaan me apni shaktiyo ka poora abhaash ho gaya..un sabka gyaan ho gaya, maine turant hi apne dahine hath ko chaaro taraf ghumaya jisse mere hath se ek roshni nikli aur har jagah fail gayi, roshni ke failte hi bhavan me har koi mujhe dikhne laga jo ab tak adridhya the,
Maya ke hatte hi har jagah maujood daanav hairat se idhar udhar dekhne lage...maine noori ko ishara kiya...mera ushara milte hi noori ne kuch hi pal me sabhi daanvo ko maut ke ghaat utaar diya, raasta saaf hote hi main aage badh gaya..
Abhi main aage badha hi ja raha tha ki koi cheej mere seene se badi tezi se takraayi jisse main uchhal kar das kadam peechhe jaa kar gira..main seeghra hi utha..mere saamne ek bada hi vichitra sa daanav khada tha..uska shareer faulaad ki tarah kathor dikh raha tha, ek dam kala sa tha uske sur me maathe ke upar ek seeng thi aur maathe me hi ek badi si aankh thi...bada hi daravna tha wo...mujhe uthta dekh usne apne ek hath me liya huwa mota sa mugdar ghuma kar mujh par prahaar kiya..lekin is baar main satark tha, uska mugdar jab mere paas aaya to maine apne hath ke ishare se use hawa me hi rok diya..tabhi meri aankho se laal rang ki kiran nikli aur hawa me ruke us mugdar se ja takraayi...wo mugdar jal kar raakh ho gaya,
Ye sab dekh wo daanav krodh me dahada aur meri taraf daud pada...maine noori ko ushara kiya...noori mere hath se nikal kar seedha us bade se daanav ki gardan ko dhad se alag kar diya..itna hi nahi ek hi pal me us daanav ke shareer ko kaat kaat kar tukde tukde kar diye.
Us daanav ke marte hi main aage badh gaya, kuch hi der me main loocus ke raaj darbaar me pahucha..jaga loocus ek bade se singhasan me aankhe band kiye baitha muskura raha tha,
Loocus- Aao dev, main tumhara hi intjaar kar raha tha, tumne mere jin daanvo ko mara wo sab to maamuli shaktiya rakhte the...lekin ab jin daanvo se tumhara mukabla hoga usse tumhe pata chalega ki shakti aur taakat kya cheej hoti hai,
Main- Apne pariwar ke sabhi logo se mil le loocus, kyo ki aaj ke baad tu fir kabhi apne pariwar se milne ke liye jeewit nahi rahega, tune chhal ke dwara meri bahno ka apharan kiya hai...uska dand tujhe jaroor milega, apne jis mitra ke liye tune ye sab kiya hai wo bhi aaj tujhe mere hatho se jeewit nahi bacha payega,
Loocus- Hahahahaha shayad tu bhool gaya hai moorkh ki mere hi mitra ne tujhe tere pichhle janm me maut di thi, mere usi mitra ne teri duniya ko tahas nahas kiya tha, aur teri wo premika...anjali ko bhi usne hi tujhse alag karke apne andhere ki kaid me rakh diya tha jo aaj bhi usi kaid me padi hai aur apni maut ka intjaar kar rahi hai,
Main- Main kuch bhi nahi bhoola loocus..mujhe sab kuch achhi tarah yaad hai, aur ab usi sabka dand dene ke liye maine fir se janm liya hai, us baar to chhal se tere mitra ne mujhe mara tha...lekin har baar aisa nahi hoga, is baar is bramhaand se yakumba aur loocus jaise dono namardo ka safaya karuga main,
Loocus- Namard kisko bolta hai..main chaahu to abhi apni mardaangi tujhe dikha sakta hu, teri dono bahne meri hi kaid me hain, jab chaahu tu un dono ko raund kar tujhe apni mardangi dikha sakta hu,
Main- Tu meri bahno ko us neeyat se chhu bhi nahi sakta loocus, jabki main chaahu to abhi teri gaand maar sakta hu aur tere pure khaandaan ki bhi,
Loocus- Tameej se baat kar saale warna abhi jala kar raakh kar dooga, tujhe andaja nahi hai ki tu is wakt kaha par khada hai, ye loocus ki duniya hai yaha mera hukum chalta hai,
Main- Tera hukum nahi loocus..tere baap ka hukum bol...yakumba tera baap hi hai na...is liye apne baap ka bol saale,
Loocus- Jubaan samhaal kar baat kar ladke warna tere liye achha nahi hoga, tu yaha aa to gaya hai lekin yaha se jeewit vaapas nahi ja sakega, aaj ki ye raat tere liye ye antim raat hai, mere mitra ke aate hi tera kriya karm karege ham..aur teri dono bahno ke sath ham dono mitra suhaagraat manayege,
Loocus ki is baat ne mujhe fir se krodh me laa diya...lekin is baar mera mere dimaag par control tha, maine apni aankhe band ki...mere andar bheeshan tarange uthne lagi, maine jaise hi aankhe kholi...meri aankho se tezi se sunahri kiran nikli aur seedha loocus se jaa takraayi, loocus ko to kuch nahi huwa lekin loocus ke ek hath ke faasle par bada tez visfot huwa, ye dekh loocus hairaan rah gaya, uske chehre par ek pal ke liye dar ke bhaav aaye, wah ek dam se satark ho gaya tha,
Loocus- Mere suraksha kavach ko tod kar tum ye mat samajhna ki isi tarah tum mujhe bhi tod sakte ho, Main- Ye to tujhe bhi pata chal hi gaya hoga loocus..ki main tujhe tere sueaksha kavach ki tarah tod sakta hu ki nahi, tu to yahi samajhta tha na ki tere suraksha kavach ko koi tod hi nahi sakta..jabki maine ek pal me hi tod diya,...ab tu ye batayega ki meri bahne kaha hain...varna tere suraksha kavach ki tarah tujhe bhi tod doonga,
Loocus meri baat sun kar bade jor se hasa aur fir apne dono hatho ko gol gol ghuma kar meri taraf kiya..jusse uske dono hatheli se aag ke gole nikal kar meri taraf aane lage... ye dekh main muskuraya aur jaise hi aag ke dono gole mere paas aaye maine un dono ko apni talwaar se cricket match ki tarah sixer laga diya, loocus ye dekh kar tilmila gaya, usne fir se apne ek hath ko aashirvaad ki shakal di..jisse uski hatheli se ek chamakta huwa farsa nikla aur meri taraf aane laga, jab wah farsa mere paas aaya to use bhi maine apni talwaar se sixer laga diya..ye dekh loocus buri tarah bhinna gaya, fir to jaise ye khel hi ban gaya...wo kuch na kuch fenkta jata aur maine kabhi apni talwar se to kabhi aapni aankh se nikli huyi kirno dwara uske har vaar ko nast kar deta,
Loocus apne har vaar ko nast hote dekh pareshan ho gaya,
Loocus- Tumne mere sabhi astro ko vifal kar diya lekin ab saavdhaan ho ja ladke....kyo ki ab main jis astra ko prayog karuga usse teri maut nishchit hai,
Main- Use bhi aajma ke dekh le loocus, aur agar tere wo astra bhi mere dwara vifal ho gaya to fir tu jeewit nahi bachega mujhse,
Loocus ne meri baat ka koi jawaab nahi diya, usne apni aankhe band kar li thi, hotho se pata nahi kya budbuda raha tha, kuch hi der baad vatavaran me baadlo aur bijli ki garaj aur chamak hone lagi, tabhi loocus ke saamne ek bhayankar astra prakat huwa,
Apne saamne is aag ugalte astra ko dekhte hi loocus bade jor se hasne laga,
Loocus- Ab astra se tum nahi bach sakte dev, ye maha bhayankar astra hai....iske vaar se koi nahi bach sakta, hahahaha...
Loocus haste huye us astra ki taraf dekha aur bila....Jaao aur mere us shatru dev ka ant kar do..hahahaha
Loocus ke itna kahte hi wo bhayankar hawa me hi meri taraf palta aur badi tezi se meri taraf aane laga...
Maine turant hi noori ko ishara kiya, mere hath se nikal kar noori ne turant hi apna roop pahle wali talwar se badal kar ek maha shaktishaali talwaar me badal liya..
Apna roop badalte hi noori us bhayankar aag ugalti talwar ki taraf badi rezi se badhi....
Loocus- Hahahaha tum apni talwaar se mere is bhayankar astra ko vifal karke apni maut se bachna chaahte ho moorkh, hahahaha koi fayda nahi hoga dev, maine jo astra tum par chalaya hai na wo astra mujhe mere guru shukrachaarya ne diya tha, aur mere guru shukrachaarya ko ye astra swayam param pita bramha ne diya tha, ye astra amogh hai moorkh...isse tum nahi bachoge, hahahahaha,
Main loocus ki baat par muskuraya, use kya pata tha ki noori vaastav me hai kaun????
Kuch hi pal me loocus ka astra noori se takraya...dono ke takrane se bhayankar garjna huyi aur sath hi aag ki bheeshan lapte nikal kar door door tak failne lagi, aisa lag raha tha jaise pralay aa gayi ho, loocus hase ja raha tha...lekin kuch hi der me loocus ki hasi us wakt band ho gayi jab uske astra ka aag ugalna aur uska tez kam hone laga...wah ye dekh kar chakit tha, use yakeen nahi ho raha tha ki uska wo astra meri noori ke saamne kaise tez heen hone laga hai, jabki uska astra swayam bramha dwara prapt uske guru dwara use mila tha,
Dekhte hi dekhte noori ne loocus ke astra ko tez heen karke nast kar diya....noori abhi bhi hawa me hi thi. Usse bhayankar roshni nikal rahi thi, uska aav bhaav dekh kar aisa lag raha tha jaise wah bhayankar gusse me ho...aur mere ishare ka intjaar kar rahi ho..ki main use ishara karu ki jaao aur loocus ka khaatma kar do,
Main- Main tujhse antim baar poochh raha hu loocus ki meri dono bahne kaha hai...halaaki main unhe dhoondh loonga..lekin agar tu bata dega to teri maut itni kast daayi anhi hogi,
Loocus meri baat sun kar buri tarah ghabra gaya...darbaar me chaaro taraf khade bahut se daanvo ki taraf dekha.
Loocus- Khade kya ho tum sab..jaao aur khatm kar do ise...
Loocus ke itia kahte hi waha par khade ek se ek bhayankar daanav meri taraf daud pade, ye dekh kar mujhe krodh aa gaya, abhi main kuch karne hi ja raha tha ki, hawa me latki noori badi tezi se palti..aur bijli ki si speed se ek ek karke sabhi bhayankar daanvo ke shareero ko tukde tukde kaat kar loocus ke pure darbaar me bikher diya,
Ye sab kuch hi pal me ho gaya tha, loocus ye sab dekh akr thar thar kaampne laga tha, tabhi jaise use kuch yaad aaya, usne turant hi apni aankhe band kar hotho se kuch budbudane laga, main samajh gaya ki ye bhaagne wala hai yaha se, maine seeghra hi noori ko ishara kiya..noori to jaise yahi chaahti thi, wo bijli ki speed se loocus ki taraf badhi aur ek hi pal me loocus ke tukde tukde kar diye usne,
Har taraf daanvo ke shareero ke tukde pade the, chaaro taraf khoob hi khoon ho gaya tha,...udhar loocus ka kaam tamaam kar ke noori mere paas aa gayi, aur fir se pahle wali talwaar me badal gayi,
Main- Ab to sab khatam ho gaye priye...ab tum insaani room me aa sakti ho, uske baad ham dono meri bahno ko dhoondhenge,
Mere itna kahte hi noori talwaar se insaani roop me aa gayi,
Yakinan wo bahut khubsurat thi, meri paanch paanch premikaao me noori ka isthaan dusre number par tha, sabse pahle par anjali thi, halaaki anjali ki tulna kisi se ki hi nahi jaa sakti thi kyo ki wo meri shakti niyantra thi, uske bina dev adhura tha, uske bina dev ka kahi koi vajood nahi tha, anjali janm janmaantar se meri premika thi, lekin baaki chaar adbhut ladkiya baad me meri premikaaye bani thi, main to janm janmaantar se sirf anjali ka tha, uske alava kisi ke liye bhi mere dil me koi jagah nahi thi, lekin fir aisa kuch huwa jiske kaaran anjali ke hi kahne par mujhe in chaar adbhut ladkiyo ke prem ko sweekar karna hi pada, ye kissa bhi aap sabko sunaauga, lekin usse pahle abhi mujhe apni bahno ko dhoondhna hai,
Main- Tum aaj bhi ustni hi khubsurat ho noori..jitni tab thi jab tumse meri pahli mulakaat huyi thi, Noori- Jise aapke jeewan me aur dil me jagah mil jaye dev, usme koi pariwartan kaise ho jayega bhala??
Main- Ye to tumhara prem bol raha hai noori, jab ki hakikat ye hai ki tum paancho ko swayam bhagwaan ne chiryauvna rahne ka vardan diya hai, is liye bhagwaan ke us vardaan ke prabhaav se tum paancho har yug aur kaal me hamesha jawaan aur khubsurat hi bani rahogi,
Noori- Ye to mera saubhaagya tha dev, ki ishwar ne mere bhaagya em aapka prem likha tha, aur usi ki vajah se ishwar ne mujhe aapke laayak banaya tha,
Main- Chalo chhodo ye sab, hame abhi rani aur soniya di ko bhi dhoondhna hai, uske baad mujhe dharti par apne ghar bhi jana hai, dharti me mere mata pita ham teeno ko na paa kar bechain ho jayege..pareshaan ho jayege, yaha to raat ka samay hai...pata nahi dharti me din hogi ya raat,
Ye sab kahte huye main bhavan me har jagah apni bahno ko dhoondhne laga, bhavan me har jagah astro ke dwara aag lag gayi thi is liye har jagah aag hi aag failti jaa rahi thi, maine sabse pahle apni shakti ke dwara is aag ko bujhaya,
Noori- Ham kaha aapki bahno ko dhoondhenge dev, pata nahi loocus ne unhe kaha rakha raha hoga, kahi aisa to nahi ki usne aapki dono bahno ko yakumba tak pahucha diya ho, agar usne aisa kiya hoga to samajh lijiye bahut badi samasya ho jayegi, unki jaan ko bahut khatra hoga us dust daanav yakumba se,
Main- Mera khayaal hai meri bahne abhi yahi kahi hain, mujhe us baat ka abhaas ho raha hai, ruko ainm dhyaan ke dwara dekhta hu ki wo kaha hain,
Maine ye kah kar apni aankhe band kar li..aur dhyaan dwara dekhne laga...kuch hi pal me mujhe meri dono hi bahne dikh gayi, lekin wo dono jis avastha me thi, usse main ghabra gaya....
Main- Jaldi chalo... Noori- Kya huwa dev, sab kushal to hai na?? Main- Kuch bhi kushal nahi hai noori, us loocus ne meri dono bahno ko sabse natim kamre me bane tahkhane ke neeche kaid kiya tha, jaha par ghor andhkaar hai, waha par bahut se khatarnaak jeev hain, wo sab meri bahno ko noch noch kar kha jayenge noori, yaha jab tum aur loocus ka wo bhankar astra dono takraye the tab dharti hil gayi thi, aur tahkhane ke niche ki jameen fat gayi thi, usi jameen ke niche bhayankar jeev the, jo ab tahkhane me bandhi meri bahno ki taraf badh rahe hain,
Meri baat sun kar noori bhi ghabra gayi....ham dono tezi se us antim kamre ki taraf daude...kuch der baad ham us kamre me pahuche to dekha chaar daanav meri bahno ko pakad kar is taraf hi laa rahe the,
Noori- Ye daanav kaha se aaye?? Main- Ye daanav jaroor aihn lekin inka man saaf hai, Noori- Aisa aap kaise kah sakte aihn dev?? Main- Wo is liye kyo ki ye daanav meri bahno sa kushal tahkhane se baahar laa rahe hain, agar ye chaahte to meri bahno ko tahkhane me hi jaan se maarne ki kosis karte,
Meri si baat se noori kuch na boli, kuch hi pal me wo chaaro daanav meri ahbno ko le aaye...
Daanav1- Ham aapki bahno ko sa kushal tahkhane se le aaye hain maharaj dev, agar thodi bhi der ho jati to tahkhane ki jameen ke neeche se nikalne wale laakho khatarnaak jeev in dono ko kha jate,
Main- Bhaut abhut shukriya aap sabka, lekin aap logo ne ye sab kyo kiya?? Mera matlab hai ki aap log daanav hain aur loocus ke hi sevak hain...apne swami ki maut ke baad aap log chaahte to apne swami ki maut ka badla meri bahno ko jaan se maar kar bhi le sakte the,
Daanav2- Maharaj dev, ham janm se danaav nahi the...ham to dharti ke hi maamuli insaan the, lekin yakumba ki vajah se ham yaha aa gaye aur daanav bana diye gaye, ham kuch na kar sake maharaj,
Daanav3- Jab hamne dekha ki aap us loocus ko khatam kar rahe hain, to ham chhip gaye..aur tabhi aapke mukh dwara hi suna ki loocus ne aapki do bahno ko yaha kahi rakha hai jinke baare me aap loocus se puchh rahe the to ham samajh gaye ki aap unhi do ladkiyo ke bare me baat kar rahe ahin jinhe aaj hi dharti se yaha laya hu gaya tha,
Daanav4- Maharaj, ham to bada khush huye ki aap loocus ko khatam kar denge...jisse hame bhi ajaadi mil jayegi is daanavi duniya se aur is daanav jaise shareer se, isi liye jab hamne dekha ki aapne loocus ko khatam kar diya hai to usi samay ham aapki odno bahno ki khoj karne lage jo ki hame yaha tahkhane me mili..aur ham inhe aapke paas le aaye,
Daanav1- Mahaaraj, Hamari aapse vinti hai ki aap hame bhi is daanav shareer se mukti de dijiye...yaha in logo ne hamse bahut paap karwaye hain, ab is jeewan ka koi arth nahi rah gaya, ham ab is jeewan se mukti chaahte hain,
Main un chaaro ki baate sun kar khush ho gaya...aur ye bhi socha ki inhe mukti milni ih chahiye...is liye maine apni aankhe band kar ishwar ko aur apne gurudev ko yaad kiya.
Mere man me turant hi gurudev ki awaaj aayi...putra dev, in chaaro ko tum apne sath hi dahrti par le jaao, ye dharti par pahuchte hi insaan ban jayenge,...gurudev ki ye baat sun kar main khush ho gaya, aur unko pranam akr aankhe khol di,
Fir maine un chaaro se apne sath hi chalne ko kaha, udhar meri odno bahne behosh thi, jinhe noori ne samhala huwa tha, noori un dono ke chehro ko bade gaur se dekh rahi thi,
Noori- Dev ab hame yaha se chalna chahiye...kyo ki yaha jo kuch bhi abhi huwa hai uska pata yakumba ko lag gaya hoga aur wo is sabka badla lene ke liye jarur aayega,
Main- Tum sahi kah rahi ho noori, main yakumba se mukabla to karna chahta hu lekin usse pahle main apni bahno ko surakshit ghar pahuchana chaahta hu, uske baad hi sochuga ki ab kya karna hai mujhe??
Ye kah kar main un sabko lekar bhavan se baahar ki taraf chala hi tha ki mujhe yaad aaya ki yaha ke state ka jo asli king tha loocus ne use bhi kaid kiya huwa tha, to wo sab kaha hain?? Maine is bare me un chaaro daanvo se puchha to un logo ne bataya ki wo kisi dusri jagah kaid kiye gaye hain...maine dhyaan laga kar dekha to chakun gaya....is grah se door ek aur grah hai waha ke state me bhi yakumba ka ek mitra tha..usi jagah sbkoa kaid kiya gaya hai, maine socha ki chalo un sabko baad me chhudaauga,
Iske baad ham sab bhavan se baahar aa gaye...state ki seema par maya adrishya room me abhi bhi mera intjaar kar rahi thi, maya ne jab noori ko dekha to khushi se jhoom uthi, yahi haal noori ka bhi tha, dono ek dusre ke gale mili,
Maya- To aakhir dev mil hi gaye tumhe bhi, Noori- Mujhe to pahle hi mil gaye the...main to pahle hi inke baaju me apne talwar roop me aa kar sama gayi thi, dharti me jab dev naav par the tab tum bhi aa gayi inke saamne, tab main wahi thi,
Maya- To tum us wakt saamne kyo nahi aayi?? Noori- Main dev ke samne aane ka koi achha sa avsar dekh rahi thi, aur jaise hi mere samne aane ka avsar aaya to main turant hi dev ke samne aa gayi,
Main- Ab ye bharat milaap band karo...hame jald se jald dharti par pahuchna hai, kyo ki mujhe ghar bhi jana hai, waha mere aur meri in dono bahno ko shaam es pahle pahle na aata dekh mree mata pita pareshan ho jayenge,
Maya- Theek hai chaliye fir, lekin ye baaki kaun aihn aapke sath?? Main- Ye bhi dharti ke hi aam insaan the...yakumba ne in logo ko yaha la kar daanav bana diya tha,
Maya- To kya ye daanav roop me hi dharti par jayenge?? Main- Haan, lekin dharti par pahuchte hi ye chaaro fir se insaan anb jayenge, aisa gurudev ne kaha hai mujhse,
Noori- Aapki in bahno ka kya karu dev, kya inhe hosh me lane ka prayatn karu main? Main- Abhi nahi, dharti par pahuchte hi ham inhe hosh me le aayege, abhi inhe aise hi rahne do,
Iske baad maine maya se kaha ki wo meri bahno ko lekar dharti par jaye..jabki main noori aur baaki wo chaaro daanav ek sath aayenge, mere kahne par maya meri bahno ko lekar chali gayi,
Noori vaapas meri baaju me sama gayi...main apni haskti se un chaaro daanvo ko lekar gayab ho gaya, maine maya ko bata diya tha ki dharti par use kaha rukna hai, main dharti par pahuch kar SNEEPHELL ki usi jagah par pragat huwa jaha par meri car khadi thi, maine dekha ki dharti par shaam hone hi wali thi, mujhe achanak hi apne left hand par bandhi ghadi ka khayaal aaya, maine dekha ghadi me shaam ke 5:33pm Ho rakhe the, date bhi aaj ki hi thi, ye dekh maine raahat ki saans li,
Jaise hi main chaaro daanvo ko liye dharti par aaya aur jameen par kadam rakha viase hi wo chaaro daanav insaani roop me badal gaye, ye dekh wo chaaro bada khush huye, khushi ke amre rone lage wo..aur mere pairo me gir kar mera shukriya ada karne lage,
Main- Ab tum log apne anpe ghar jaa sakte ho yaha se,
Mere aisa kahne par wo chaaro fir rone lage...maine kaaran puchha to bole ham chaaro bhai bhai hain, yakumba ne unke pariwar walo ko khatam kar diya tha, is liye ab unka is duniya me koi nahi hai, wo chaaro mujhse kahne lage ki aap apne hi sath hame rakh lijiye...ham pure man se aapki seva karenge, maine socha ki chalo yaar isme bura kya hai??
Abhi ham log baat hi kar rahe the ki maya bhi aa gayi meri bahno ko lekar...usne mere sath jab chaaro ko dekha to samajh gayi ki ye chaaro wahi daanav hain jo dharti me aate hi insaan me badal gaye hain,
Main apni bahno ko hosh me laya...hosh me aane par pahle to unhe kuch samajh hi na ayaa ki wo kaha aa gayi hain, fir jab unko saari baate yaad aayi to dono hi mujhse lipat kar rone lagi...maine unhe badi mushkil se shaant karaya,
Mere sath chaar aadmi aur ek khubsurat ladki maya ko dekh wo chaunk gayi ki ye sab kaun hain..to maine use sab bataya,...bas ye nahi bataya ki maya vaastav me ek dragon hai,
Maya- Dev, ab to aap apni bahno aur in chaaro ko lekar chale jayege, lekin mere liye aapka kya hukum hai?? Rani- Aap bhi hamare sath chaliye, ham sab ek sath rahenge...maine theek kaha na bhai??
Main- Agar tum yahi chahti ho to theek hai..lekin ghar me mom dad ko kya batayenge?? Soniya di- Wo sab tu mujh par chhod de vicky, main sab samhaal loongi,
Soniya di ke mukh se mera naam vicky sun kar maya chaunki, to maine use bataya ki is janam me mera naam Vikrant hai...Vikrant Shrivastav, is liye ab se wo bhi mujhe sabke samne Vikrant ya vicky hi kahegi, yahi aabt maine un chaaro aadmiyo ko bhi samjha diya, maine maya ko ye bhi samjha diya ki wo yaha ki bhasha, pahnava, aur rahan sahan samajh le..taaki baad me koi dikkat na ho jaye jisse hamari poll khul jaye,
Maya ne apni haskti ke prabhaav se yaha ki sari bhashaaye...rahan sahan aur kapdo ka pahnava sab kuch seekh liya, iske baad usne apna huliya bhi rani aur soniya di ki hi tarah badal liya, ab wah dharti ki aam ladki ki hi tarah lag rahi thi, bala ki khubsurat to wo thi hi lekin aam insaano se jyada usme tez abhi bhi dikh raha tha, is liye maine use apna tez thoda uar kam kar lene ke liye kah diya,
Iske baad maine idhar udhar dekha ki koi hai to nahi...jab dekha ki koi nahi hai to apni shakti se ek car prakat ki...ye dekh rani aur soniya di meri taraf hairat se dekhne lagi, khair ek car me wo chaaro baith gaye...unme se ek se car chalana aata tha, idhar main rani soniya di aur maya meri car me baithe aur uske baad maine car ko aage badha diya...mere piche piche wo car bhi chal di jisme wo chaaro aadmi baithe the,