• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy "DEVANJALI" (Dard Ki Tasvir)

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159

Bahut hi Shandar aur lajawaab update bhai ekdum jhakaas.

Keep going
We will wait for next update
Thanks bro for liking and supporting
 

John Cena

Well-Known Member
5,404
7,026
188
Waiting next bhai
 
  • Like
Reactions: VIKRANT

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
""UPDATE""
*16*

Ab Tak.......

Dad ne mujhe kaha ki maya ka daakhila karwane ke baad usko uske in chaaro bhaiyo ko hamare us makaan me le jana, maine dad ko yes kaha...aur ham sab nikal gaye collage ke liye, rani apne school chali gayi thi, mujhe rani ke achanak se khamosh ho jane se man hi man hairaan bhi tha, kyo ki wo har wakt kuch na kuch bolti ih rahti thi, mujhe laga shayad mujhse kisi baat ke liye naraj ho...is liye maine use manane ke liye soch liya tha lekin usse pahle mujhe anjali ke paas jana tha,

Ham sab collage pahuche, maine raaste me maya ko bhi bata diya tha ki mujhe jana hai...is liye wo soniya di ke sath daakhila karwa le, mere paas samay anhi tha, kyo ki mujhe shaam tak vaapas lautna bhi jaruri tha,

Main un chaaro aadmiyo ko le kar apne naye makaan me le aaya...unko sab kuch samjha bujha kar maine car ko shahar se baahar jane wale raaste ki taraf dauda diya,

Tabhi mere man me kisi ki awaaj aayi...

Ab Aage.....

Main us awaaj ko sun kar muskura diya, ye Noori(Talwar) ki awaaj thi, wo kah rahi thi ki ab to aapki jaan milne wali hai dev...

Maine man me hi usse kaha jaan to tum chaaro bhi ho meri...bas uski baat zara alag hai..aur ye tum sab bhi janti ho, meri is baat se usne kaha bilkul janti hain ham chaaro...aur sach kahe to ye ham chaaro ka saubhagya hai jo aap hame is roop me mile hain,

Shahar se baahar bilkul sunsaan jagah par aa kar maine car ko road ke neeche utaar kar bagal se bane jangal ki taraf mod diya tha, yaha koi aata nahi tha jyadatar, maine dhyaan laga kar aas paas ki cheejo ko dekha...koi insaani jeev nahi dikha mujhe,

Maine car ko jangal ke ek taraf rok diya aur car se neeche utar aaya, fir maine apni shakti se car ko adrishya kar diya...jisse agar koi kisi vajah se yaha aaye bhi to kisi ko meri car nazar na aaye,

Main(Man me)- To khel shuru kiya jaye priye...
Noori- Bilkul...aap to jante hain mujhe aise khel khelne me bada maza aata hai...main har wakt dusto ko kaat kaat kar unke tukde tukde kar dene ke liye taiyaar hi rahti hu...bas aap hi aadesh dene me deri kar dete hain,

Main(Muskura kar)- Ohh to is baat ki shikayat bhi hai tumhe??
Noori- Haan ji shikayat hai...aur abhi bahut si shikayate kataar me bhi khadi hain,

Main- Achha aur kaun kaun si shikayate hain jo kataar me khadi hain...un shikayato ka bhi ijhaar kar do priye...mujhe bhi to gyaat ho ki meri jaane tamanna ko mujhse aur kya kya shikayate hain???

Noori- Sabse badi shikayat to yahi hai ki aapke is janam me jab se main aapse mili hu..aapne ek baar bhi mujhe apne seene se laga kar pyaar nahi kiya,

Main- Ohh to ye sabse badi shikayat hai tumhari??
Noori- Aur nahi to kya...Ek to itne varsho se main aapse milne aur aapke pyaar ke liye taras rahi thi..aur jab aapse mili to aapne mujhe ek baar apne gale bhi nahi lagaya...kya itni buri hu main??

Main- Aisa kuch nahi hai dear, bas halaat hi aise the...aur abhi bhi hain...main chaahta hu ki jab main apni shakti niyantra aur apni praan priya ko us dust ki bhayankar peedayukt kaid se mukt kar ke le aauga tab main khushi khushi tum sabko pyaar karuga,...abhi to mere dil me sirf yahi hai ki main apni janm janmaantar ki praan priya ko jald se jald andhere ki kaid se chhuda loon, usko us haal me chhod kar main tum me se kisi ko bhi kaise pyaar kar sakta hu bhala???

Noori- Kshama kijiye dev...main jara swaarthi ho gayi thi, lekin mere man me aisi lesh maatra bhi bhaavna nahi thi ki main aapki praan priya ke liye koi dwesh rakhti hu, main to khud bhi chaahti hu aap unhe jald se jald andhere ki kaid se chhuda kar unke kasto ka nivaaran kar den, Aap to jante hain...main to khud bhi unki shaktiyo se hi nirmit ki gayi thi...ek tarah se main unka hi ek ang hu...aur ye mere liye bade saubhaagya ki baat hai,

Main- Main janta hu priye...main ye bhi janta hu ki tum chaaro me se koi bhi kabhi bhi ek pal ke liye bhi meri praan priya anjali ke liye lesh maatra bhi dwesh nahi rakhti ho, balki tum chaaro hi anjali ko dilo jaan se chaahti ho,

Noori- Lekin dev...ham do to aapko mil gayi hain..magar aapki do aur premikaaye baaki...jinka kahi kuch pata nahi hai,

Main- Tum chinta mat karo priye..Unka bhi pata lag jayega...wo dono bhi meri prateeksha me hain,
Noori- Lekin wo hain kaha dev..? Maine apni shaktiyo se unhe khojne ki badi kosis ki lekin mujhe unke bare me kuch pata nahi chal paya,

Main- Wo dono jaha bhi hain abhi sahi salamat hain dear,
Noori- Mujhe aapse ek baat batani hai dev...
Main- Achha aisi kya baat hai..bataao,

Noori- Maine aapki dono bahno ke man me jhaank kar dekha hai, wo dono aapse bahut pyaar karti hain, waisa hi pyaar jaisa ham sab aapse karti hain,

Main- Mujhe pata hai priye...Main ye bhi janta hu ki is dharti par aise bhai bahan ke rishte ko koi bhi insaan ya samaaj sweekaar nahi karta, meri bahno ko kadachit kisi prakaar ka aakarshan huwa lagta hai...wo dono hi jaan chuki hain ki main koi sadharan insaan nahi hu...balki wo hu jiske samne devta bhi jhuk jate hain,...par isme unka koi dosh nahi hai kyo ki vidhi ka yahi lekh hai...is liye jo ho raha hai use hone do,

Noori- Iska matlab to yahi huwa dev ki ham paanch ke alawa bhi aapki do aur premikaaye is janm se jud jayengi,
Main- Aisa Ho bhi sakta hai...aur vaise bhi wo meri bahne hain, mujhe bachpan se hi bahut pyaar karti aa rahi hain, ab us pyaar me rishte badal gaye hain, agar ishwar chaahta hai ki wo bhi meri premika bane to isme main kya kar sakuga? Main to pyaar ka bhookha hu...pyaar ka pujaari hu, jaha pyaar milta hai wahi mera kayaam ho jata hai,

Noori- Haan ye to aapne sahi kaha dev, prem se pavitra aur prem se sundar kuch bhi nahi hai...shayad yahi vajah hai ki ishwar bhi prem ko hi sabse uttam kahte hain...aur isi prem ke maarg par chal kar ishwar tak pahucha ja sakta hai,

Main- Chalo ab hame chalna chahiye priye....kyo ki ab mujhse ek pal bhi apni pran pyaari anjali ke bina raha nahi ja raha...jabki wo itni mahaan hai ki itne varsho se mere bina aur mere intjaar me kast jhel rahi hai,

Noori- Aap sach kah rahe hain dev, Anjali jitna mahaan dusra koi nahi hai...uski mahaanta to isi baat se jaahir ho jati hai ki usne aapka koi bhed nahi bataya...bhale hi usko itne varsho ki kastdaayi yaatna ko sahna pada...usne apni samast shaktiyo ka balidaan bhi kar diya, sach much dev isse bada balidaan kaun kar sakta tha...yakumba ki kaid me jane wah kabse yaatna sah rahi hai, andhera uski shaktiyo ko aur uske tez ko itne varsho se nigalta ja raha hai, jane kaise uski saanse abhi bhi atki huyi hain dev....shayad is liye kyo ki uska dil aur uska aapke liye prem bada sachcha aur pavitra hai,

Main- Tum sach kahti ho priye... Unka prem to aisa hai ki ishwar bhi unke prem ko pranam karte hain, main aur mera prem to unke samne kuch bhi nahi hai...main khush kismat hu ki mera naam unke naam se juda huwa hai, tum nahi janti ho priye main to janm janmaantar se unke prem ka rini hu...

Itna kahte kahte hi meri awaaj bhaari ho gayi aur meri aankho me aanshu aa gaye...mere dil me ek tez dard utha,

Main- Ab chalo yaha se priye..mujhe jald unke paas jana hai,
Noori- Jo aagya dev...

Iske baad main aur noori waha se gayab ho gaye aur fir kuch hi samay baad ham andhere ki duniya me pahuch gaye...noori ko maine fir se apni baaju par taitoo ke roop me isthaapit kar liya tha...

Ye yakumba ki duniya thi...har taraf kaali shaktiyo ka andhera faila huwa tha...kuch bhi dekh pana maano asambhav tha yaha...lekin mere liye nahi kyo ki mere liye koi andhera itni jurrat nahi kar sakta tha ki meri aankho ke saamne kisi cheej ko is tarah dhak de ki fir wo mujhe dikhaayi hi na de,

Maine dhyaan ke dwara dekh liya tha ki anjali ko yakumba ne kaha kaid kar rakha hai...aur uske chaaro taraf kaise kaise pahra bitha rakha hai, koi bhi devta ya gandharv uske kaidkhane me nahi pahuch sakte the kyo ki kaid khane me yakumba ne apni shaktiyo se bada hi khatarnaak kavach banaya huwa tha,

Maine dekha ki kaidkhane me anjali abhi bhi lohe ki moti moti janjeero me jakdi ek kone me baithi huyi hai diwaar par apni peeth ko tikaye huye, mujhe uski is haalat par bada dukh huwa aur mujh par krodh haavi hone laga...maine dhyaan me hi anjali ko dekhte huye usko aur uske pavitra prem ko pranaam kiya, mere aisa karte hi anjali jo abhi tak diwaar se peeth tikaye aur apni gardan ko ek taraf kiye aankhe band kiye ashaay avastha me baithi thi usme ek dam se halchal huyi...uske nistez aur kamjor se shareer me jaise kahi se badi oorja aa gayi thi, usne jhat se khud ko diwaar se alag kiya aur idhar udhar dekhne lagi...uske murjhaye huye chehre par eka ek hi jaise taajgi aa gayi thi, wo ek dam boodhi ho gayi thi...uska tez aur uski shaktiya andhera nigal chuka tha..jiski vajah se wah jawaan se boodhi ho gayi thi,

Usko is tarah byaakul ho kar idhar udhar dekhte dekh mere seene me ek tees si uthi...mujhe laga main abhi uske paas pahuch jaau aur use apne seene se laga lu....nahi nahi..pahle to main uske charno me apna maatha rakhuga...us mahaan divy ladki ka jisne sirf mere liye apni ye dasha bana li thi,

Eka ek mujhe wo sab yaad aata gaya jo mere pichhle janm me yaani dev ke roop me mere aur anjali ke sath huwa tha...har baat har lamha aur wo sab kuch mujhe kisi film ki tarah yaad aata gaya, kaise yakumba ne chhal se mujhe mara tha...mujhe bachane ke chakkar me anjali ne jaan boojh kar yakumba ke banaye us jaal me fas gayi thi jisme aaj tak wo fasi hi rah gayi, sab kuch yaad aate hi mere andar krodh ki jwala bhadak uthi...meri aankho me angaare dahakne lage, tabhi mere man me noori ki awaaj aayi...dev aap khud par kaabu rakhiye, aapka krodh bahut jyada badh raha hai, aur agar ye had se jyada badh gaya to aap khud ko hi nuksaan pahuchane lagenge...is liye aap krodh mat kijiye, shaant ho jaiye aur vivek se kaam lijiye,

Noori ke is prakaar kahne par maine khud par kaabu rakhne ki jald hi kosis ki...kuch hi pal me main normal ho gaya, tabhi chaaro taraf se bada bhayankar shor sunaayi diya mujhe...

Maine apne chaaro taraf dekha...har taraf bade bade bhayankar daanav apne apne hath me ajeeb ajeeb se astra shastra liye meri hi taraf aa rahe the, un sabki sankhya bahut jyada thi.

Maine man me hi noori se kaha ki iska matlab yakumba ko pata tha ki aaj main anjali ko uski kaid se nikaalne ke liye aane wala hu..isi liye usne pahle se hi mere sath jang ka soch rakha tha.

Noori ne meri is baat ka samarthan kiya...aur kaha ki itna asaan nahi hai yakumba ki kaid se anjali ko chhuda pana, is liye ab ek bheeshan jang ke liye taiyaar ho jaaiye, main uski is baat se muskuraya....aur is baar maine kisi aur ko bhi kaha...ab aa bhi jaao pyaare kab tak roothe rahoge mujhse????

Mere itna kahte hi meri dusri baaju me jo sher ka taitoo bana tha wo chamakne laga...aur ek tez roshni ke sath mere baaju se nikal kar mere saamne aa gaya, mere saamne ek tez roshni thi...us roshni ne apna roop badla aur dekhte hi dekhte roshni ek sher ke roop me aa gayi,

(Friends Aap sab bhi is sher ko pahchaan gaye honge na?? Ye wahi sher hai jo first time mujhe tab mila tha jab main gurudev se milne jangal gaya tha...aur dusri time tab jab main SNEEPHELL ja raha tha..tab yakumba se mukaable ke dauraan jab main apni hi shaktiyo ko na samhaal pane ki vajah se behosh ho gaya tha tab isi sher ne mujhe meri bahno sahit bacha kar surakshit ek aise pahaad hi gufa me le gaya tha jo usi ke dwara banaayi huyi thi)

Sher Singh- Shukar hai tumne mujhe pahchaan to liya...
Main(Muskura kar)- Main to tumhe pahle hi din pahchaan gaya tha sher singh...bas tumse maje le raha tha,

Sher Singh- Ab jhooth to na bolo yaar....tum us wakt bhi mujhe nahi pahchane the,
Main(Has kar)- Achha ye kaise kah sakte ho tum??

Sher Singh- Gurudev Jhooth nahi bolte hain, unhone khud kaha tha ki abhi tum khud ko nahi pahchaante ho, is liye jab tum khud ko hi nahi pahchaante to fir apne se jude un sab logo ko kaise pahchaan loge jo tumhari hi shaktiyo ke ang hain??

Main- Sahi kaha sher singh, us wakt mujhe sach me kuch pata nahi tha,
Sher singh- To fir abhi ye kyo kaha ki tum mujhe pahle din hi pahchaan gaye the aur mujhse maje le rahe the???

Main(Muskura kar)- Bas aise hi tumhe tang karne ke liye...
Sher Singh- Achha to tum mujhe tang kar ke maja lene ka kaam is janm me bhi band nahi karoge???

Main- Kya karu yaar, ek tum hi to mere dost ho...mere sakha ho...tum se hi to aisi nok jhok kar sakta hu na main...aur fir tum bhi kaha mujhe chhodte ho tang karne se...bhool gaye kya sab???

Sher Singh- Kaise bhool sakta hu Dev...Tum nahi jante ki tumhare bina kitna akela ho gaya tha main, itne varsh apne yaar ke bina kaise gujare hain maine ye main hi janta hu...

Itna kahte hi Sher singh insaani roop me aa gaya...aur mere gale se lag gaya, maine bhi use kas ke gale se laga liya, dil ko ek sukoon sa mila use gale laga ke,

Noori- Agar bharat milaap ho gaya ho to aage ka kaary shuru kiya jaye??
Sher Singh- Chinta mat karo meri pyaari bahan...tumhe jald hi in daanvo ko gaajar mooli ki tarah kaatne ka avsar milega...jisme tumhe khushi milti hai,

Noori(Has kar)- Kya karu bhai...mujhe ishwar ne banaya hi isi liye hai ki main dev ke dushmano aur paapiyo ko kaat kaat kar unke tukde tukde karu, Aur aap khud ko bhi to dekhiye...jo apne sakha ke dushmano ko ek jhatke me cheer faad daalte hain...kya usme aapko aanand nahi milta..bataaiye??

Sher Singh- Beshak milta hai noori, Mere yaar ki taraf koi buri nazar se dekho to sahi fir dekho kya anjaam karta hu uska....

Main- Chalo ab ho gaya na...dekho chaaro taraf se kitni badi sankhya me daanav hamari taraf hi aa gaye hain, Is liye ab khel shuru karo,,

Mere itna kahne par sher singh jald hi sher ke roop me aa gaya...uski peeth par bade bade pankh the,
1171661_large.jpg

Use is roop me aaj main jane kitne hi varsho baad dekh raha tha, halaaki main usse jab pahli baar mila tha tab wo sadharan hi dikha tha...lekin aaj lag raha tha ki ye wahi Sher hai jise khud ishwar ne meri seva aur raksha ke liye racha tha, baad me maine ise apna ghanishth mitra bana liya...ise khud ishwar ne khaas roop se banaya tha is liye isme bhi divy shaktiya thi...duniya me koi bhi iska mukaabla nahi kar sakta tha mere siva,, yakumba jaise daanvo ko ye jab chaahe mauth de sakta tha..lekin kyo ki yaakumba ko bramha ka vardaan tha ki wo mere hi hatho marega....iske peeche bhi badi kahani hai...is liye ise fir kabhi bataauga,

Chaaro taraf se anginat sankhya me ek se badh kar ek daanav dal hamari taraf aa chuka tha....main janta tha ki isi daanav dal me kahi yakumba bhi maujood hoga, wo raakshas tha is liye wah hamesha hi adharm aur chhal se hi apne pratidwandi se yuddh karta tha,

Mere ishare par noori ne bhi apna roop do tejasvi talwaaro me badal liya...
ca1629af4c05a05a74a238f4f5d6ebe6.gif

8c399e2093f1b98e193d780884d4445c--concept-weapons-fantasy-weapons.jpg

Ek talwaar jo niche hai use maine le li apne hath me, jabki upar wali jo aag aur roshni me nahaayi huyi thi wo khud noori hi thi...jo ab daanav dal par toot padne ke liye taiyaar thi,

Mera ishara milte hi Sher Singh aur noori bijli ki si speed se daanav dal par toot pade....Sher singh bahut bade sher ke roop me tha...wo muh se aag ugalta huwa daanavo ke bich pahuch gaya...idhar noori bijli ki si speed se jane kaha se kaha ghoomti huyi daanvo ko kaate jaa rahi thi...

Main apni jagah par khada yakumba ka wait kar raha tha...lekin main puri tarah satark tha..kyo ki main janta tha ki yakumba chhal se yuddh karta hai...pichhle janm me usne mujhe chhal se hi mara tha, yakumba bahut mayaavi tha...kab kaha se aa jaye kuch pata nahi tha uska,

Tabhi upar antriksh se yakumba ke jor jor se hasne ki awaaj aane lagi...maine awaaj ki dish me dekha lekin kahi bhi wo nazar nahi aaya, main samajh gaya ki ye ab mayaavi yuddh karega....aur huwa bhi wahi,

Wo khud kahi nahi dikh raha tha, lekin upar se uske dwara fenka huwa uska ek ashtr sansanata huwa meri taraf aata dikha...jaise hi uska astra mere paas aaya maine apni talwar uske astra par chhuwa di...kuch hi pal me uska astra nast ho gaya, usne fir se ek astra fenka meri taraf maine fir se apni talwaar uske astra par chhuwa di..uska astra fir se nast ho gaya, aisa kayi baar huwa...wo upar se koi na koi astra fenkta aur main apni talwaar uske astra par chhuwa kar use nast kar deta,

Main- Aree kaayar chhup chhup ke door se kya vaar karta hai...agar asal baap ki aulaad hai to saamne aa kar mukaabla kar mujhse,

Yakumba ki awaaj- Yuddh to yuddh hi hota hai moorkh...fir chaahe jaise bhi kiya jaye, tumne mere do teen astra nast kya kar diye khud ko shaktishaali samajh kar badi badi deenge maarne lage....shayad bhool gaye ho ki do do baar mere hatho is janm me marte marte bache ho tum. Pichhle janm me to maine tumhe maar hi diya tha,

Main- Apna vaakya sahi kar dust asur...tune mujhe is janm me do baar maarne ki kosis ki thi...mujhe maut dene me kaamyaab nahi huye..kyo ki tere jaise kaayar me itna dam kaha ki mujhe maut de sake...rahi baat pichhle janm ki to ye tu bhi janta hai ki kis tarah chhal se tune mujhe mara tha....par usme bhi sirf mera durbhaagya hi tha kyo ki usi tarah marna meri niyati me likha tha..jo ki kisi ke shraap ke kaaran tha, is liye use tu ye nahi kah sakta ki tune mujhe maut di thi,

Yakumba ki awaaj- Kisi bhi tarah se hi sahi...lekin teri maut to mere hi dwara huyi thi na, aur is janm me bhi teri maut mere hatho hi likhi hai, lekin usse pahle main tujhse us talwaar ko haasil karuga jiski vajah se tu sare sansaar me ajey bana huwa hai...

Main- Ye tujhse kisne kaha ki main us talwaar ki vajah se ajey bana huwa hu??? Are moorkh tu janta hi kya hai mere bare me....jaan jayega na to tera sab kuch chhoot jayega,

Yakumba ki awaaj- Ab yu deenge maarna chhod aur yuddh kar mujhse....yuddh hi faisla karega ki kisme kitna dam hai??

Main- Achhi baat hai...ab yuddh hi faisla karega is baat ka, tu apni samast kaali shaktiyo aur ishwari shaktiyo ka prayog kar le...lekin aaj tujhe mere hatho marno se koi bacha nahi payega, aaj har cheej ka hisaab teri maut se hi chukta hoga,

Yakumba ne koi jawaab hi na diya, balki upar se fir se usne koi astra fenka meri tarf....maine uske astra ko fir se apni talwar se nast kar diya....yakumba buri tarah itlmila gaya, wah ab saamne aa gaya tha, behad gusse me tha wah,

Yakumba- Yahi wo talwaar hai na jiske bal par ajey bana huwa hai tu...agar ye mere paas hoti to main batata tujhe,

Main(Has Kar)- Achha aisi baat hai...to chalo main is talwaar ko gayab kar deta hu, aur tere samne khaali haath khada ho jata hu, ab tu jaise chaahe aur jin astro se chaahe waar kar sakta hai mujh par main apni jagah se hiluga bhi nahi,

Yakumba- Lagta hai is janm me marne ki badi jaldi hai tujhe, chal teri ye ichchha abhi puri kar deta hu,

Yakumba ne ek se badh kar ek astra shashtra chalye magar uske sabhi ashtra mere paas aate aur bina kuch kiye hi gayab ho jate....ye dekh yakumba hairaan rah gaya...use yakeen nahi ho raha tha ki uske koi bhi ashtra mujhe chhu kyo nahi rahe hain,

Yakumba- Mere un ashtro se to tu bach gaya lekin ab main jo ashtra tujh par chhoduga usse tujhe bhagwan bhi nahi bacha payege...

Main uski is baat par muskura kar rah gaya...jabki yakumba ne apne dono hath jod aur aankhe band karke muh se kuch budbudane laga, kuch hi der me har jagah vatavaran me bheeshan garjna aur bijliya chamakne lagi....jaha par ham sab the us jagah ki jameen hilne lagi,

Tabhi yakumba ke samne bramhaashtra prakat huwa....
mqdefault.jpg

Yakumba- Jaao brahmaastra aur mere is shatru ka ant kar do....hahahahaha

Yakumba ke aadesh dete hi bramhaastra meri taraf badhne laga...maine yakumba ko vachan diya tha ki khaali hath khada rahuga...warna is astra ko thikane lagane ke liye mere paas sudarshan chakra tha...
main-qimg-2009b65ef1f489eb58abf0c4678735e2-c

Lekin main apne vachan ki vajah se khada raha....bramhastra aaya aur mere paas aa kar ruk gaya...maine us ashtra ko pranaam kiya, mere pranaam karte ke baad hi bramhaastra gayab ho gaya, ye dekh yakumba asharyachakit rah gaya..

Yakumba- Ye kaise ho sakta hai?? Mera bramhastra tumhe khatm kiye bina kaise gayab ho sakta hai?? Ye asambhav hai....

Main- Bhagwan ki tapasya kar ke tumne bramhastra jaise maha vinaashkaari ashtra ko to pa liya lekin tum ye bhool agye ki aise maha ashtra ka prayog tabhi kiya jata hai jab uske prayog se sansaar ka kallyaan ho na ki vinaash ho, khair tum jaise adharmi paapi aur durachaari ko in baato se kya matlab...lekin ab tumhara samay pura ho chuka hai, tumne apni samast shaktiyo ka prayog kar liya, ab meri baari hai....ab tujhe mujhse koi nahi bacha sakega,,,

Yakumba ye sun kar ghabra gaya, kyo ki maine tabhi sudarshan chakra ko apne samne prakat kar liya tha, sudarshan chakra ko dekhte hi yakumba ki naani mar gayi, abhi main sudarshan chakra ko aadesh dene hi wala tha ki mere man me gurudev ki awaaj aayi,

Gurudev- Ruk jaao putra...apne is sudarshan chakra ko rok lo, kyo ki ye daanav is wakt is astr se mara nahi ja sakta, uski vajah ye hai ki iski maut sudarshan chakra se nahi balki tumhare dwara iske seene se iska dil nikaalne se hogi, isne aisa hi bramha se vardaan maaga tha, is liye agar tum ise sudarshan chakra ke dwara maroge to bramha ji ka vardan asatya ho jayega,

Main(Man Me)- Dhanyawaad gurudev aapne mere dwara bramha ji ke vardaan ko asatya ho jane se bacha liya,

Gurudev mujhe ashirvaad de kar gayab ho gaye...unke jate hi maine sudarshan chakra ko vapas apne isthaan par chale jane ke liye kah diya, uske baad maine jald hi apni shakti se yakumba ko bandhano me baandh diya, wah bandhano me bandha huwa chatpatane laga...jabki main uske paas pahucha....

Main- Maine kaha tha na ki mere hatho teri maut hai...aur tujhe koi nahi bacha sakta,

Yakumba ki haalat kharaab ho gayi....maine apni shakti se apne naakhuno ko bada kar liya aur ek jhatke me yaakumba ke seene me ghused diya....vatavaran me yakumba ki bhayankar cheekh goonj uthi,....uske seene ke andar mera hath ghus gaya tha...aur mere hath me uska dil tha maine ek jhatke me hi apna hath vaapas kheench liya...

Mere hath me khoon se sana huwa yakumba ka dil tha...yakumba ke seene se dil nikalte hi, chaaro taraf faila huwa andhera hatne laga...uske sabhi daanav sainik to pahle hi Sher singh aur noori ke dwara maare ja chuke the...jo bache the abhi wo sab khud hi jameen par girne lage aur kaale dhuye me badal kar gayab hone lage...idhar yakumba dhadaam se jameen par gir gaya,

Tabhi achanak hi hawa tez ho gayi...chaaro taraf bade bade bawandar dikhne lage...main unhi ki taraf dekh raha tha ki ek tez hawa ka jhonka aaya aur mere hath se yakumba ka dil chheen kar gayab ho gaya,

Meri samajh me na aaya ki ye ek pal me kya ho gaya...maine palat kar yakumba ki taraf dekha to uska shareer kaale dhuye me badal kar gayab ho raha tha, kuch hi der me chaaro taraf faila andhera gayab ho gaya. Sher singh aur noori bhi mere paas aa gaye...

Sher singh- To aakhir sansaar ke sabse bade paapi daanav ka aaj tumne vadh kar diya dev, main tumhare is paraakram se bahut khush hu,

Main- Sher singh...iski maut iske seene se dil nikaalne se honi thi, wahi maine kiya....lekin abhi kuch der pahle mere hath se kisi ne iska wo dil chheen kar kahi gayab ho gaya,

Meri is baat se Sher singh aur noori buri tarah chaunke....

Noori- Aisa kisne kiya hoga aur kyo?
Sher singh- Is daanav ke us dil ko nast karna bahut jaruri tha dev, jisne bhi yakumba ke us dil ko tumhare hath se chheena hai wah jarur us dil ke dwara ek naya yakumba taiyaar karega...

Main- Tum sahi kah rahe sher singh, lekin ye kisne kiya hoga???
Noori- Aap dhyaan ke dwara pata kijiye dev...sambhav hai us byakti ka pata chal hi jaye,

Noori ke kahne par maine dhyaan lagaya...magar kaafi der baad bhi kuch
nahi dikha mujhe, mera dhyaan us byakti tak pahuch hi nahi raha tha, ham teeno ne is bare me kafi der tak vichaar vimarsh kiya...magar koi nateeja na nikla,

Thak haar hamne is bare me baad me sochne ka faisla liya, aur nikal gaye us taraf jaha anjali ko kaid kiya gaya tha, anjali ko yakumba ne apni kaali shaktiyo dwara banaye gaye andhere ki kaid me rakha tha, is liye jab andhera hi hat gaya to anjali ke hath pairo par jakdi huyi janjeere bhi apne aap hi khul gayi thi,

Ham teeno jab anjali ke paas pahuche to hamne dekha anjali ki haalat bahut kharaab thi, wo jameen par is tarah padi huyi thi jaise ab usme koi jaan hi na ho, use is haalat me dekh kar main jald hi uske paas pahucha aur use baaho me utha liya, anjali ki aankhe band thi, uske mukh se yahi shabd nikal rahe the....DEV.....DEV.....TUM....AA..GAYE...NA...DEV.....MERE DEV...

Iske sath hi anjali ki saanse toot gayi....main awaaak sa dekhta rah gaya use, wakt jaise thahar gaya wahi par, main patthar ki moorat bana use dekhta rah gaya, mere kaano me Sher singh aur noori ki zor zor se chillane ki awaaje goonj rahi, aisa lagta tha jaise ye dono kitni door se chilla rahe ho.....
 
Last edited:

Viraj Raj

Active Member
509
950
93
Shandar , V Nice update Bhai

Pic mast h

Waiting...
 
  • Like
Reactions: VIKRANT

Vickey1211

Well-Known Member
7,541
16,040
188
Mast update h bhai maza aa gya
 
  • Like
Reactions: VIKRANT
Top