• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy "DEVANJALI" (Dard Ki Tasvir)

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
बहुत ही खूबसूरत अपडेट था भाई,,

सारी बातों को बेहतरीन ढंग से दिखाया है आपने। आख़िर देव ने अंजलि को याकुम्बा की कैद से निकाल ही लिया लेकिन कदाचित् देर हो गई। अंजलि की साॅसें टूट चुकी हैं, तो क्या अंजलि मर जाएगी??? अगर ऐसा हुआ तो देव की शक्तियों पर नियंत्रण कौन रखेगा, वो तो उस सूरत में सब कुछ तबाह कर देगा।

याकुम्बा का खेल अभी बाॅकी है। कौन था वो जिसने उसके दिल को देव से छीन कर गायब हो गया?? मतलब साफ है याकुम्बा को अभी फिर से ज़िन्दा किया जाएगा और पहले से अधिक शक्तिशाली बनाया जाएगा। ये अच्छा ही हुआ वरना कहानी बिना खलनायक के कैसे आगे बढ़ती???

शेर सिंह और नूरी का कैरेक्टर बहुत बढ़िया है भाई। इन दोनो ने बहुत अच्छा कार्य किया।

देव की पाॅच प्रेमिकाओं में दो और प्रेमिकाएं शामिल होंगी जो खुद उसकी ही बहनें होंगी। ये बड़ी इन्टरेस्टिंग बात है भाई। हलाॅकि अभी उसकी दो प्रेमिकाएं अभी भी अज्ञात हैं हम सबके लिए।

देखते हैं आगे कहानी में और क्या होता है???
Thanks bro for liking and supporting

Continue your story bro..don't close plzzz
 
  • Like
Reactions: sonukale

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
Nice update bhai

Waiting.....
:smile::smile::hinthint::roflol:>:(:tongue::DD::hspin
Thanks bro for liking and supporting
 

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159

Raj

Well-Known Member
4,444
15,232
158
BAHUT HI SHAANDAAR AUR KHIIBSOORAT AUR INTERESTING UPDATES BHAI.
AAKHIR ANJALI AAZAAD HO HI GAYILEKIN YE KYA BHAI AAZAAD HOTE JINDAGI SE BHI AAZAAD KAR DIYA KYA AAPNE.
BHAI AISA MAT KARNA YAAR POORE STORY KA TEEYAA PAANCHAA HO JAYEGA.KHAIR DEKHATE HAIN AGLE UPDATE ME KYA HOTA HAI.AUR YE YAAKUMBA KA DIL KOUN LE GAYA BHAI .AB KOUN NAYA DUSHMAN PAIDA HO GAYA
 
  • Like
Reactions: VIKRANT

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
""UPDATE""
** 17 **

Ab Tak......

Thak haar hamne is bare me baad me sochne ka faisla liya, aur nikal gaye us taraf jaha anjali ko kaid kiya gaya tha, anjali ko yakumba ne apni kaali shaktiyo dwara banaye gaye andhere ki kaid me rakha tha, is liye jab andhera hi hat gaya to anjali ke hath pairo par jakdi huyi janjeere bhi apne aap hi khul gayi thi,

Ham teeno jab anjali ke paas pahuche to hamne dekha anjali ki haalat bahut kharaab thi, wo jameen par is tarah padi huyi thi jaise ab usme koi jaan hi na ho, use is haalat me dekh kar main jald hi uske paas pahucha aur use baaho me utha liya, anjali ki aankhe band thi, uske mukh se yahi shabd nikal rahe the....DEV.....DEV.....TUM....AA..GAYE...NA...DEV.....MERE DEV...

Iske sath hi anjali ki saanse toot gayi....main awaaak sa dekhta rah gaya use, wakt jaise thahar gaya wahi par, main patthar ki moorat bana use dekhta rah gaya, mere kaano me Sher singh aur noori ki zor zor se chillane ki awaaje goonj rahi, aisa lagta tha jaise ye dono kitni door se chilla rahe ho.....

Ab Aage.....

Mujhe kisi baat ka hosh nahi tha....Main to bas patthar ki bejaan si moorat ban gaya tha, bina palak jhapkaye ek tak apni baaho me anjali ko liye vahi baitha huwa tha, mujhe aisa mahsoos ho raha tha jaise koi bahut bada tufaan aaya aur sab kuch tabaah kar ke chala gaya...uske baad duniya me har jagah aisi shaanti chha gayi ki kahi agar suyi bhi gire to uski awaaj ko door se bhi suna ja sake, mujhe mere kandho se pakad kar jor jor se hilaya ja raha tha...kuchh awaaje mere kaano me door se aati huyi sunaayi to de rahi thi lekin un awaajo se mujh par koi fark nahi pad raha tha,

Sher singh aur noori mujhe is haal me dekh bahut hi jyada pareshaan aur dukhi ho gaye...unki aankho se jhar jhar kar ke aanshu bah rahe the, unhone socha nahi tha ki anjali is tarah hame chhod kar apne jeewan se mukt ho jayegi,

Tabhi achanak mere andar ej ajeeb si halchal hone lagi, mera pura jism hil gaya..main hosh me aaya, maine anjali ki taraf dekha...tabhi main chaunk bhi pada kyo ki mere baaho me padi anjali ke jism me ek halka sa jhatka laga tha, mujhe sher singh aur noori ka dhyaan hi nahi tha, anjali ke jism me lage halke jhatke se maine jald hi uske seene me baye taraf dil me hath rakha,

Meri khushi ki koi seema nahi thi...kyo ki uske dil ki dhadkan dhadak rahi thi...lekin bahut hi dheere dheere,

Anjali bahut hi kamjor ho chuki thi is liye wah behoshi ki us avastha me jane lagi thi jaha se vaapas aana fir sambhav nahi tha,

Mujhe is tarah achanak se khush hote dekh sher singh aur noori chaunke, un logo ne dhyaan se paas aa kar anjali ko dekha,

Main (Khushi me paagal hokar)- Meri anjali jeewit hai sher singh, noori...meri anjali abhi jeewit hai, iski dhadkane abhi chal rahi hain,

Sher singh & Noori- Kyaaa Sach me?? Ohh bhagvan ka shukar hai...hey bhagvan aapne hamari anjali ko bacha liya...warna bahut bada anarth ho jata,

Main- Meri shakti niyantra ko kuch ho hi nahi sakta tha noori...kyo ki bhagwan bhi jante hain ki aisa hone par kya hota?? Jis sampoorn bramhaand ki raksha ke liye bhagwan ne mujhe chuna tha usi bramhaand ko main apne hatho tabaah kar deta,

Sher singh- Tum dono ki hi vajah se bramhaand ka kallyaan hona hai dev, is liye tum dono ko hi kuch nahi ho sakta...khair chhodo is baat ko, pahle anjali ki haalat ko dekho dev, iski dhadkane bhale hi abhi chal rahi hain lekin jis tarah se chal rahi hain usse parinaam achha nahi hoga, is liye isko theek karne ke bare me socho,

Main- Isne apni samast shaktiyo ka balidaan kar diya hai mitra, warna ise theek hone me ek pal ka bhi wakt nahi lagta,lekin fikr ki koi baat nahi hai jab tak main jeewit hu ise kuch nahi hoga, main abhi apni shaktiyo ke dwara inhe theek kar deta hu,

Ye kah kar maine apna right hath anjali ke sir par rakh kar aankhe band kar li, anjali ke sur par hath rakhte hi mere hath se roshni nikal kar anjali ke sir se hote huye sampoorn jism me samane lagi, dekhte hi dekhte anjali ka jism badalne laga, iske pahle jaha wah kamjor aur buddhi dikh rahi thi wahi ab wah fir se jawaan aur khubsurat banti ja rahi thi,

Kuch hi der me anjali ka huliya badal gaya, matlab ab wo pahle jaisi ho gayi, wahi khubsurati...wahi saadgi...wahi tez...aur wahi jawaani ke ras se bhara huwa yauwan, is sansaar me uske jaisa koi nahi tha,
1981015-bigthumbnail.jpg

Anjali ko pahle ki hi tarah is roop me dekh kar sher singh aur noori behad khush huye, unki aankho me khushi ke maare aanshu aa gaye,

Main to usi ko dekhe ja raha tha ek tak...usi me khoya huwa tha main, udhar jaise hi anjali ka huliya aur uski haalat pahle jaisi huwi vaise hi usne apni aankhe khol li, wah abhi bhi meri gond me thi,

Anjali ki nazar jaise hi mujh par padi...uske gulaab ki pankhudiyo jaise hotho par muskaan fail gayi, aankhe chhalak padi uski, meri gond se uth gayi wah...ghutno ke bal mere saamne baithi kuch pal mujhe dekhti rahi fir ek jhatke se mujhse lipat gayi,
images

Maine bhi use kas ke apne seene se laga liya, use apne seene se lagate hi mujhe ek aatmik trapti ka abhaas huwa, jaise varsho ki pyaas aur tadap use seene se laga kar mit gayi ho,

Tabhi ek tez hawa ka jhonka aaya aur ham dono se takraya....aur sath hi ek tez roshni fail gayi, roshni ke lupt hote hi do khubsurat ladkiya hamare samne prakat ho gayi,

Riddhi-Shiddhi
1714815-bigthumbnail.jpg

Ye dono bahne thi...dono hi prem ki moortiya thi, ye dono prem aur pyaar hi karna janti hain, ye bhi meri premikaaye hain,

Riddhi Shiddhi aate hi seedha anjali se lipat gayi...un dono ki aankho me aanshu the, anjali se milne ke baad unhone meri taraf dekha, fir dusri taraf muh mod noor ki taraf chali gayi, noori se gale mili dono aur wahi khadi ho gayi, dono ke chehre par narajgi thi, ye dekh main muskura utha,

Maine sher singh ki taraf dekha..wo mujhe dekh kar bade hi ajeeb andaaj se has pada,

Main- Kya huwa has kyo rahe ho tum??
Sher singh- Dev, koi insaan chaahe jitna shaktishaali ho jaye lekin apni premikaao aur biwiyo ke samne bhigi billi ban jata hai,

Main(Chaunk kar)- Kya matlab hai tumhara??
Sher singh- Matlab na hi puchho to achha hai...vaise samajh to gaye hi hoge tum,

Maine Riddhi shiddhi ki taraf dekha to wo meri taraf hi dekh rahi thi...chehre par narajgi abhi bhi thi,

Main- Kya huwa tum dono ko? Mujhse gale milne ki jagah tum dono mujhse door is tarah naraaj si kyo khadi ho gayi??

Riddhi- Ham dono aapse baat nahi karna chahte bas,
Main(Hairani se)- Aree lekin aisa kyo...Baat kya hai???

Shiddhi- Aapne sabko yaad karke bula liya...aur hamara aapne khayaal tak nahi kiya, jaise hamari koi ahmiyat hi nahi hai aapke jeewan me,

Main- Ye tum kaise kah sakti ho maine tum dono ka khayaal tak nahi kiya, jab ki jabse maine khud ko paahncha hai tabse tum sabko hi maine yaad kiya, mere yaad karne par bhi tum dono nahi aayi to isme meri kya galti hai...naraj to mujhe hona chahiye ki tum dono aayi nahi,

Noori- Dev sahi kah rahe hain Riddhi Shiddhi...aur maine tumhe pata karne ki bahut kosis ki par tum dono tak meri dhyaan shakti jaa hi nahi pa rahi thi,

Riddhi- Isme hamari koi galti nahi hai di, Pari lok me andhere ka raaj tha, yakumba ne maa pita ji ko kaid kar liya tha, pita ji ne hame ek gupt jahag par bhej diya tha taaki yakumba hame khoj na le, ham dono jis jagah par the waha par yakumba nahi ja sakta tha kyo ki waha par khud bhagwan ne ek abhedya kawach banaya huwa tha, isi liye aapki dhyaan shakti ham tak nahi pahuch paayi thi,

Noori- Achha to ye baat hai, lekin ab tum dono kaise aa gayi waha se?? Aur pari lok me andhere ka raajya kya khatm ho gaya??

Shiddhi- Ham to abhi pari lok gaye hi nahi, is liye hame nahi pata ki waha andhere ka raajya khatm ho gaya hai ki nahi, hame to ye abhaas huwa anjali di andhere ki kaid se chhoot gayi hain aur ab sahi salamat pahle jaisi ho gayi hain to ham seedha us abhedya kavach se nikal kar yaha aa gaye,

Noori- Haan tum dono ko ye abhaas hona to swabhaavik hi hai kyo ki tum dono bhi to anjali ka ek ang hi ho, lekin ab dev se tumhe ye narajgi nahi rakhni chahiye, tumhe to khush hona chahiye ki Dev hame vaapas mil gaye,

Riddhi- Wo to ham khush hi hain di,
Noori- Fir is tarah naraj kyo ho dev se???
Shiddhi- Wo to ham aise hi hain, aur aap to janti hain ki apne premi se is tarah naraj aur rooth jana bhi to prem hi hota hai, dusri baat ham aap sabse chhoti bhi hain is liye itna to hamara hak banta hai na,

Main- Aree mujh par pura hak banta hai tum dono ka yaar, ab jaldi se aao aur mere gale lag jaao, kitne baras beet gaye tum logo se mila nahi tha,

Meri is baat se riddhi shiddhi bhaag kar aayi aur mujhse lipat gayi, uske baad noori bhi mujhse gale mili, Anjali aur sher singh khade muskura rahe the, kaafi der tak isi tarah milna milana chalta raha, wo sab sher singh se bhi mil, sher singh ko sab apna bhai maanti thi, sher singh khud un sabko apni bahane maanta tha aur wo bahut khush bhi tha ki sansaar ki sabse khubsurat aur shaktishaali divya ladkiya uski bahan ban gayi thi,

Main sabke mil jane par bahut khush tha, khaas kar anjali ke sahi salamat ho jane par, wo meri aatma thi, uska prem shadiyo purana tha, jo ganga ki tarah pavitra tha, usi ki aagya se maine baaki chaaro ke prem ko swikaar kiya tha, usne mere liye khud ka aur apni shaktiyo ka balidaan kar diya tha, main uska har tarah se rini tha,

Abhi main uske khayaalo me hi khoya tha ki wo mere paas aa gayi...aur mere seene se chhupak gayi, maine bhi usko khud se laga liya,

Sher singh- Dev aaj varsho baad ham sab ek dusre se mile hain aur itna khush huye hain, anjali ko sahi salamat dekh kar yakinan sare devta bhi khush honge,

Main- Tumne sach kaha sher singh, lekin mujhe is baat ka khed bhi hai ki maine apni anjali ko itna dukh aur kast diya, maine inko chhudane me itna vilamb kar diya, jiski vajah se itnhe kitna bhayankar kast sahna pada,

Anjali- Nahi dev, Apko iske liye khed prakat karne ki koi jarurat nahi hai kyo ki aapke bas me kuch nahi tha us wakt, aap khud ko pahchante hi nahi the, is liye aisi surat me bhala aap kya kar sakte the? Aur fir kahte hain na ant bhala to sab bhala...is liye is sab ko apne dimaag se nikaal dijiye, ham sab ek ho gaye yahi sabse badi baat hai,

Sher singh- Anjali theek kah rahi hai dev, ab ham fir se naye sire se shuruaat karenge, aur sare daanvo ka sanghaar kar is duniya ki raksha karenge,

Noori- Main bhai ki baat se sahmat hu dev, ham sabne bahut kast saha...lekin ab ham sab fir se ek ho gaye hain,

Main- Ye sab to theek hai lekin mujhe lagta hai ki wo dust yakumba bach gaya hai, gurudev ke nirdeshaanusaar maine yakumba ke seene se dil nikaal liya tha, aur uske dil ko nast karne hi wala tha ki tabhi jane kaun aaya aur mere hath se yakumba ka dil chheen kar gayab ho gaya,

Anjali- Wo yakinan asuro ke guru shukrachaary honge dev, unhone hi aapke hath se yakumba ka dil chheena hoga, unke alava dusra koi ye kaam aur dussahas kar hi nahi sakta,

Sher singh- Fir to samasya abhi khatm nahi huyi hai, shukrachaary nishchay hi yakumba ko fir se jeewit kar denge, ye unke liye koi mushkil kaam nahi hai,

Anjali- Haan bhai, aur sambhav hai ki is baar wo dust pahle se bhi jyada shaktishaali ban kar aaye aur sare bramhaand ko andhere se achhaadit kar de, is liye hame jald se jald shukrachaary ko dhoondhna hoga, taaki ham unke paas maujood yakumba ke dil ko nast kar sake, warna aane wale samay me fir se waisi hi samasya khadi ho jayegi,

Main- Shukrachaary ko dhoondhna itna saral nahi hai anjali, unke paas ek se badh kar ek shiddhiya hain, unhone kathor tap ke dwara bahut si shaktiya haasil ki huyi hain, wo bhi jante honge ki ham yakumba ke dil ko nast karne ke liye unhe jarur talaash karenge, is liye unhone apne aur yakumba ke chaaro taraf aisa shaktishali kavach bana diya hoga ki ham un tak pahuch hi nahi payenge,

Sher singh- To kya ham ab hath par hath rakhe baithe rah jayenge, aur shukrachaary ko yakumba ko fir se jeewit karne ke liye avsar de dege???

Noori- Hame prayaas to karna hi chahiye iske liye, kya pata ham apne is prayaas me safal hi ho jaye,

Riddhi- Maya di bata sakti hain ki shukrachaary kaha honge, kyo ki unhone pahle bhi shukrachaary ke thikano ke bare me hame bataya tha,

Anjali- Haan lekin koi jaruri nahi har baar maya ye bata hi paye, kyo ki is baar ka maamla sabse alag hai, aur ye baat shukrachaary bhi jante honge ki ham sab maya ke dwara unko khojne ki kosis karenge, is liye is baar unhone koi aisa intjaam kar liya hoga ki is baar maya bhi unka pata na laga sake,

Main- Mujhe lagta hai ki ek baar hame gurudev se bhi is bare me poochh lena chahiye, shayad unhe is baat ki jaankaari ho ki shukrachaary kaha gaye hain yakumba ka dil lekar???

Sher singh- Tum sahi kah rahe ho dev, gurudev ko nishchay hi is bare me pata hoga,

Maine apni aankhe band karke guru brihaspati ko yaad kiya aur unse darshan dene ki praarthna ki, kuch hi der me gurudev ham sabke samne pragat ho gaye,
02_16532.jpg

Ham sabne guru brihaspati ko hath jod kar pranaam kiya...

Guru Brihaspati- Tum sabka kallyaan ho putro, tum sabko aaj fir se ek sath sahi salamat dekh kar hame badi prasannata huyi, kaho kaise yaad kiya hame??

Main- Gurudev, aap to sab jante hain, maine aapke hi kahe anusaar yakumba ko khatm karne ke liye uske seene se uska dil nikaal liya tha, lekin jaise hi maine uske dil ko nast karne ka socha vaise hi kisi ne mere hath se dil chheen liya aur gayab ho gaya, hamne dhyaan dwara pata karne ki kosis ki magar pata nahi kar sake, is liye ab aap hi bataaiye ki ham kya kare??

Guru brihaspati- Putra honi badi prabal hoti hai isi liye tumhare hath me aaya huwa yakumba ka dil uske nast hone se pahle hi asuro ke guru shukrachaary ji ke dwara chheen liya gaya, anjali ka anumaan bilkul sahi tha ki ye kaam shukrachaary ka hi hai, is liye putro ab der ho chuki hai, arthaat tum me se koi bhi ab kuch bhi nahi kar sakta, shukrachaary ko ye achhi tarah gyaat hai ki tum log yakumba ke dil ko praapt karne ke liye kuch bhi karoge, is liye shukrachaary ne apne aur yakumba ke chaaro taraf abhedya suraksha kavach bana liya, jisko nast karna asambhav hai,

Anjali- Iska matlab ab yakumba ko shakrachaary ke dwara fir se jeewit kar diya jayega aur aane wale samay me fir se vaisi hi samasya khadi ho jayegi jaisi ab tak thi???

Guru brihaspati- Ab to aisa hi hoga putri anjali aur isse bhi jyada bhayankar hoga, is liye usse nipatne ke liye tum sabko bhi taiyaar rahna padega,

Main- Is baar us dust ka ant jarur hoga gurudev, guru shukrachaary ki vajah se kab tak jeewit rahega wo??

Guru brihaspati- Har paap aur buraayi ka ek din ant hona nishchit hota hi hai putra lekin us nishchit samay se pahle iske peechhe kitno ke sukh dukh aur jeewan ki bali chadh jati hai ye badi dukhad baat hoti hai,

Main- Gurudev, kya aap bhi guru shukrachaary ka pata aur unke us suraksha kavach ka pata nahi laga sakte hain?

Guru Brihaspati- Bhagwan ke siva koi nahi iska pata laga sakta putra, kyo ki asuro ke guru shukrachaary ji ko unke kathor tap dwara bhagwaan se hi vardaan swaroop aisi alaukik shaktiya aur shiddhiya mili huyi hain,

Main- Ohh fir to sach me ham kuch nahi kar sakte gruudev,
Guru Brihaspati- Haan putra, ab to bas samay ki pratiksha karo,

Ye kah kar aur ham sabko ashirvaad de kar gyrudev gayab ho gaye, ab kuch nahi ho sakta tha,

Sher singh- Ab kya kare dev, ye to samasya ho gayi ab,
Main- Is samasya ko baad me dekhenge sher singh, kyo ki itna jaldi shukrachaary bhi yakumba ko jeewit kar yse shaktishali nahi bana payenge, is liye usse pahle abhi hame pari lok jaa kar ye dekhna hai ki riddhi shiddhi ke mata pita kis haal me hain aur pari lok me andhere ka hi raajya hai ya nahi??

Anjali- Ye aapne theek kaha dev, hame jald hi pari lok chalna chahiye,

Ham sabne faisla le liya tha is liye ham sab pari lok jane ke liye ek sath gayab ho gaye,

Kuchh hi pal me ham sab pari lok me prakat huye, waha par ye dekh kar ham sab khush ho gaye ki pari lok ka vatavaran andhere ki chaadar me lipta huwa nahi tha, lekin ab tak pari lok andhere ke aadheen tha is liye waha ki sundarta me grahan laga huwa tha,

Maine dhyaan ke dwara riddhi shiddhi ke mata pita yaani pari lok ke raja rani ka pata kiya, dhyaan me mujhe wo abhi bhi mahal ke tahkhane me behosh pade huye dikhe,

Main- Pari lok ke raja rani yaani mahal ke tahkhane me behoshi ki avastha me hain, bahut kamjor dikh rahe hain,
Riddhi- Mujhe jald hi unse milna hai dev,

Anjali- Ab chinta ki koi baat anhi hai riddhi, yakumba ka mayajaal uske is tarah khatm hote hi khatm ho gaya hai, is liye jaha jaha usne apne kale andhere ka saamraajya kaayam kiya tha, waha se ab kala andhera samaapt ho chuka hai,

Main- Chalo sabse pahle maharaj aur maharani ko tahkhane se nikaalte hain,

Ham sab jald hi mahal ke andar pahuch gaye aur andar tahkhane me ja kar maharaj aur maharani ko waha se nikaal liya, sher singh ne apni shakti se unhe theek kar diya, ab wo bilkul theek the,

Raja Ayushman....
images

Rani Padma
shaiya-hd-wallpapers-hd-69823-9949545.png

Maharaj aur maharani dono haem dekh kar behad khush huye...unki aankho se aanshu chhalak pade, riddhi shiddhi apne mata pita ke gale lag gayi..unki bhi aankhe bheengi huyi thi, kafi der tak ham sab isi tarah unse milte rahe,

Pari lok me ab andhere ka naamo nishaan nahi tha, is liye har koi swatantra tha, sab apne raja rani ko sahi salamat dekh kar khush ho gaye the, ham sabne maharaj Ayushmaan ko fir se raaj singhaasan par bithaya uar unka raj mukut unke sir par rakh unhe shubhkamanaayen di, is beech pata chala ki yakumba ne pari lok ke rajguru ko bhi kahi kaid kiya huwa tha, is liye maine sher singh ko ishare es unhe dhoondhne ka kah diya tha, kuch hi der me sher singh rajguru ko dhoondh kar le aaya, is sab me kafi samay gujar gaya, mujhe khayaal ayaa ki mujhe vaapas bhi lautna hai, is liye maine maharaj aur maharani se jane ki aagya maagi, unhone mujhe rokne ki kosis ki fir jab maine unhe asri baate bataayi tab unhe asmajh aaya ki asal baat kya aih,

Maharaj ayushmaan ki anumati le kar ham pari lok se chal diye, riddhi shiddhi kuch samay ke liye apne mata pita ke sath hi rahne ki ichchha jataayi thi is liye wo hamare sath nahi aayi,

Raaste me maine in sabse kaha ki dharti par anjali ko main kaise apne sath ghar par le jaauga?? Kyo ki waha par mere mom dad ye nahi jante ki main unke bete ke alawa aur kya hu...maine anjali se maya ke bare me bhi bataya ki wo dharti par hi hai lekin uske rahne ka intjaam mujhe apne dusre makaan me karna pada, kyo ki mom dad ne aisa kaha tha, ab agar main kuch aur kahta to sawaal khade ho jate, sher singh aur noori ki samasya nahi thi kyo ki wo dono emri baajuo me taitoo ke roop me chhip jate the,

Meri is baat se Anjali muskuraayi...usne kaha ki main kisi prakaar ki chinta naa karu, wah mere sath mere ghar me nahi rah sakti to koi baat nahi, wo iska aisa prabandh karegi ki us prabandh se ham sab khush ho jayege, maine jab puchha to usne kaha ki samay aane par pata lag jayega,

Ham chaaro jab dharti par pahuche to raat ho gayi thi, aur ye mere liye pareshani wali baat ban gayi thi, kyo ki mom dad mere na aane par ab tak behad pareshan ho gaye honge, mom ne to rani aur soniya di ka jeena haraam kar rakha hoga, mujhe soniya di par bada taras aa raha tha, bechari ne kya bahana banaya hoga mere ghar na aane ka??

Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main is sab ko samhaalne ke liye aisa kya bahana taiyaar karu?? Aakhir kya jawaab doonga mom dad ko ki main kaha tha ab tak????
 

VIKRANT

Active Member
1,486
3,377
159
BAHUT HI SHAANDAAR AUR KHIIBSOORAT AUR INTERESTING UPDATES BHAI.
AAKHIR ANJALI AAZAAD HO HI GAYILEKIN YE KYA BHAI AAZAAD HOTE JINDAGI SE BHI AAZAAD KAR DIYA KYA AAPNE.
BHAI AISA MAT KARNA YAAR POORE STORY KA TEEYAA PAANCHAA HO JAYEGA.KHAIR DEKHATE HAIN AGLE UPDATE ME KYA HOTA HAI.AUR YE YAAKUMBA KA DIL KOUN LE GAYA BHAI .AB KOUN NAYA DUSHMAN PAIDA HO GAYA
Thanks bro for liking and supporting
 
Top