Update 32
Mujhy laga ab tak us say mar or sakhti say bat ki hy ab thora aaram say bhi bat kar k dakhta hon shayad sudher jay yahi soch kr main ali k room mai chala gaya jahan wo betha kuch soch raha tha mujhy wahan dakh k wo thora sambhal k beth gaya main bhi us k pass ja k beth gaya
Main.kia hova kia soch raha hy
Ali.kuch nhi
Main.dakh main janta hon main tery sath boht sakhti kar raha hon per tu khud soch kia tuny aj tak jo bhi kia wo thek tha
Ali.main smjha nhi
Main.aj tak bua ny teri har zid puri ki hy hy na
Ali.han aj tak unhon ny meri har bat mani hy har zid puri ki hy nana g ny bhi
Main.or aj tak unhon ny tujhy kuch kaha bhi nhi
Ali.aj tak mujh per kisi ny hath tak nhi uthaya yahan aany k bad mainy boht mar khai hy or mujhy waja bhi nhi pata
Main.to sun aj tak teri har zid har bat puri hovi jis ki waja say tu itna bigar gaya k bary choty ka lihaz bhi nhi karta yahan tak k apni maa say bhi batmizi say bat karta hy khud soch kia tery is trhan karny say un ko acha lagta hy
Main.un ko bhi taklef hoti hy per wo kuch kehty nhi Q k tum un k bety ho per is ka ya matlab bhi to nhi tum un ki hi insult karo
Main.tujhy kia lagta hy tujhy aisy bar bar marna mujhy acha lagta hy nhi mujhy bhi acha nhi lagta per tu khud soch k main ya sab Q kar raha hon sirf isi lia k tu khud ko shudary baron ki izat kary choton say pyar say bat kary mery aisa karny per tujhy taklef hoti hy main smjh sakta hon ya sab bhi main sirf tery lia hi kar raha hon
Main.agr ab bhi tujhy lagta hy k mainy kuch ghlat kaha hy to tu jo marzi kar tujhy koi nhi roky ga or aj k bad koi bhi tujh per hath nhi uthay ga
Main wahan say uth k jany laga gate per jany k bad main wapis us k pass gaya usy aik card nikal k dia
Main.ya ly mera atm hy jo bhi lena ho is say paisy nikal lena aj tak mainy tujhy kuch bhi nhi dia sirf yahi soch kar k ab tak tu bigar chuka tha mujhy umed hy k tu ab paison ka ghlat use nhi kry ga aj say ya card tera hy meri taraf say apny bhai k lia aik gift ok
Main wahan say bahir aa gaya main jo usy smjha sakta tha usy us ki ghalti ka ehsas karwa sakta tha mainy karwa dia ab dakhna ya tha k wo kia karta hy ab bhi agr wo na smbhla to us ka kuch nhi ho sakta per mujhy puri umed thi k wo meri bat smjhy ga kam say kam aik bar sochy ga lazmi
Main waham say apny room mai aa gaya thori dair rest kia thora ofc ka kaam dakha ya din aisy hi nikal gaya agly din ham colg jany k lia ready ho gaye to ali bhi wahin aa gaya or us ny jo kaha usy sun k mujhy boht kushi hovi
Wait 4 next