Update 1 (B
Lara ne bhi Arjun ke bat ka palat kar jabab diya.
~ Achha To fir kis tarah se tum apni saktiya badhaoge waise hi jaise pichhle teen sal se badha rahe ho.
Lara ke is bat kar Arjun ke pass koi jabab nahi tha Lara ne Raghvendra ke pass jakar unhe itminan se kaha.
~ Thik hai aap is Karismayi sarbat ko tohfe ke roop me nahi lena chahte hai to kya aap mujhe iske badale me kuchh de sakte hai.
Lara ke is bat pe Raghvendra ne bina kuchh soche samjhe bola.
~ Ha bilkul Kyu nhi ham tumse is Karismayi sarbat ko liye bina bhi tumhe jo chahiye wo de sakte hai mango tumhe kya chahiye.
Raghvendra ke bat sun kar Lara khus hote huye boli.
~ Hamare pariwar ke bade logo se salo pahle mera aur Arjun ka rista tay kiya tha mai use aaj todna chahti hu.
Lara ke muh se ye bat sun kar Arjun aur uske pita Raghvendra aur waha pe maujud sabhi logo ke pairo tale jamin khisak gayi ek pal ke liye waha sanata chha gaya kisi ko is bat par yakin nhi ho raha tha ki Lara ne apne aur Arjun ke riste ko todne ki bat ki thi agle hi pal Raghvendra ne apne narajagi jahir karte huye thode tez a awaj me bola.
~ Lara ye jante huye bhi ki ye rista tumhare aur hamare pariwar ke bade logo ne tay kiya hai.
Tum kaise is riste ko todne ki bat kar sakti ho tum janti ho na ki ye kitna galat mana jata hai.
Raghvendra ke narajagi ke jabab me Lara ne bada hi befikari se kaha.
~ Ye rista jarur pariwar ke bade logo ne tay kiya tha lekin tab aur ab me kafi fark aa chuka hai aaj mere aur mere pariwar ki saktiya kaha se kaha pahuch chuki hai jabki Arjun pichle teen salo se wahi ke wahi atka huya hai.
Lara ke muh se apne aur apne pariwar ke beijati hote dekh kar ab Arjun se raha nahi jaa raha tha use Lara par bahut gusa aa raha tha tabhi Lara ne apne bat ko aage badhate huye kaha.
~ Aur waise bhi sabhi jante hai ki mai abhi ambar dal ke leader banane wali hu aur iske liye jaruri hai ki mai apne se kamjor ke sath koi sambandh na rakhu isse behtar yahi hoga ki ye rista aage badhne se pahle yahi par tut jaye.
Ambar dal ke leader banane wali bat par gaur karte huye Raghvendra ne usse kaha.
~ To ye hai asali bat baki sab to tumhare liye ek bahana tha sirf ek bahana.
Tumhe pariwar ki koi fikra nahi hai tumhare sir par to sirf sabse saktisali banane ka bhut sawar hai aur isliye tum us riste ko todna chahte ho.
Is bar Lara ne besharmi se Raghvendra ke bat ka jabab diya.
~ To aap hi bataiye ki mai kaise us insan se rista jod lu jo pichle teen salo se apne saktiyo ko badha nhi saka.
Lara ke is bat ka waqai me kisi ke pass koi jabab nhi tha tab Lara ne dobara us Karismayi sarbat ki or dekhte huye kaha.
~ Ab apke liye yahi behtar hoga ki aap mere bat ko man le aur is Karismayi sarbat ko swikar karte huye is riste ko yahi tod de kyuki aap bhi jante hai ki ye sarbat kitni kimati hai aur Arjun ke liye kitna jaruri hai.
Ab Arjun ke bhi sabra ka bandh tut gaya tha wo Lara ke thik samne aa kar khada ho gaya aur uske aankho me aankhe dalte huye bola. Bhi
~Thik hai tumko is riste ko todna hai to ye tutega jarur tutega.
Arjun ke itna kahte hi sabhi hairani se un dono ke chehre ke taraf dekhne lage tabhi Arjun me apne bat ko aage badhaya.
~ Lekin is riste ko todne se pahle hamari sadi hogi aur fir talak dekar is riste ko hamesa hamesa ke liye tod dunga Batao hai manjur....
Lara ne Arjun ke is bat par guse se tapak se jhakate huye boli.
~ Ye kya bakwas kar rahe ho tum.
Tunhe Malum bhi hai isse mere pariwar ki kitni badnami hogi.
Tab Arjun ne bade hi itminan se jabab dete huye kaha.
~ Aur jo tum kar rahi ho usse hamari pariwar ki badnami nahi hogi.
Aur jab badnami honi hi hai to kyu na dono pariwar ki hi ho.
Is jabab par Lara ne tevar dikhate huye kaha.
~ mujhe akin nahi aa raha hai ki mai usi Arjun se bat kar rahi hu jise mai kuchh salo pahle mili thi.
Arjun ne bina waqt gawaye apne usi andaj ko barkarar rakhte huye bola.
~ mujhe bhi yakin nhi ho raha hai ki kaise tum is Karismayi sarbat ke aad me is riste ko khatam karne ke liye bina koi soche samjhe yaha chali aayi.
Itni bate karte huye Arjun aur Lara dono ke chehre ek dusre ke najdik aa gaye the un dono ke aankhe ek dusre ko ghure jaa rahi thi.
mahol farmata huya dekh kar lara ke bodyguard apne jagah se aage badhe lekin agle hi pal Lara ke ek isara milte hi usn sabhi ne apne aap ko rok liya fir Lara ne apne bat ko aage badhate huye kaha.
~ mere pass ek tarika hai jisse ham is riste ka faisla kar sakte hai.
Arjun ne usse puchha.
~ aur wo kya hai.
Lara ne kaha.
~ 3 sal bad ham dono ke bich ek mukabla hoga agar us mukable me mai jit gayi to tumhe is riste ko todna hoga aur agar tum jit jate ho to wahi hoga jo tum chahoge.
Lara ki ye bat sunte hi Sourya mahal me ek sanata chha gaya tha ab sabhi ke najare Arjun ke jabab ka intjar kar rahi thi.
Arjun ne apne mangetar Lara ke aankho me aankhe dal kar kade sabdo me bola.
~ Thik hai mujhe manjur hai... Mujhe ye tumhari shart manjur hai
usne 3 sal bad hone wale mukable ke liye Lara ko hami bhar di.
Lara Arjun ke ye bat sun kar akhari bar use dekhte huye Sourya mahal se bahar ki or nikal gayi abhi wo galiyare se bahar hi nikali thi ki tabhi use ek ladki ki awaj sunayi di.
~ Ruk jao Lara
jaise hi Lara ghum kar dekhi to use gulabi gaun me ERRA dikhayi di.
ERRA dikhne me bahut hi khubsurat thi aur kisi bhi tarah se wo Lara se kam sundar nahi thi ERRA ne Lara ko dekhte huye kaha.
~ Mai janti hu ki tumne aaj jo kuchh bhi kiya hai uspe tumhe thoda bhi pachhtawa nahi ho raha hoga kyuki ab to tumhe Arjun ke samna karna hi hoga lekin ha ek bat aur kabhi ye mat sochna ki tum ambar dal ki leader ban gayi to hamlog dar jayenge kyuki Sourya dal me tumse takatwar log bhi maujud hai.
Erra ke is dhamki ko Lara ne bada dhyan se suna lekin wo bina kuchh kahe waha se chali gayi.
Dusri taraf sabhi ke jane ke bad Arjun ne apne pita Raghvendra ko pure bharose ke sath kaha.
~ Baba mai apse wada karta hu ki aaj se thik 3 sal bad Lara Jayan aur uske pure khandan ki apne kiye par pachhtawa hoga ab mai Jayan pariwar ke samne hi Lara ko mukable me haraunga.
Raghvendra apne bete ko bebaki ke sath bat karte huye dekh kar khus ho rahe the kyuki pichle 3 salo se wo bilkul chupchap hi rahta tha lekin aaj uske mangetar ne yaha aa kar jo kuchh bhi kiya usse uske andar ka wahi Arjun jag gaya jo 3 salo se soya huya tha.
lekin sachai se muh bhi nahi phera jaa sakta tha aur is waqt sabse badi sachai ye thi ki Arjun Apne saktiyo ke tisre star par hi tha jabki Lara ki saktiya 9 sitare tak pahunch chuki thi.
Idhar Sourya mahal se nikal ka Arjun abhi bhi Lara ke bare me hi soch raha tha ki kis tarah se Lara ne bato bato me hi uski beijati ki thi aur kaise uske pita par riste todne ke liye dabav banaya tha.
In bato ko sochte huye Arjun teji se apne maa ki kabra ki taraf jane ke liye apne kadmo ko badha raha tha.
Arjun ko is tarah se gahri soch me aage badhte huye dekh kar erra bhi uske pichhe pichhe aa gayi taki wo uska hosla badha sake lekin Arjun ne erra ko uska pichha karte huye dekh kar kaha.
~ Mai ye chahta hu ki kuchh der ke liye mujhe akela chhod do
apne sabse achhe dost se aisa sunne ke bad erra ne kuchh der ke liye Arjun ko akele hi rahne diya kuchh der me Arjun Apne maa ke samadhi sthal par pahuch gaya.
wo apne maa ke samadhi par gire ped ke pati aur dhul ko saf karne laga uske bad Arjun apni maa ko yad karte huye bate karne laga.
~ Maa aisa kyu ho raha hai mere sath meri saktiya akhir kyu nahi badh rahi hai is tarah to mai 3 sal bad bhi Lara se mukabla nahi kar paunga aur agar kar bhi liya to use haraunga kaise.. akhir kaise...
Itna kahte huye Arjun ne hatas hokar apna sir apne maa ke samadhi par rakh diya aur apne aankhe band karte huye kaha.
~ 3 sal bad sab kuchh khatm ho jayega Maa agar mai apne saktiyo ko wapas hasil nhi kar saka to baba ko pure MESODORIYA Sahar ke samne sarminda hona padega.
Apni maa se bate karte karte Arjun me gala sukh gaya tha usne apne aap ko sambhala aur kaha.
~ Ab to maa aisa lagta hai ki mai apke duniya me aaunga to apko apna chehra kaise dekhaunga kyuki maine to aisa koi kam kiya hi nahi jisse mai apka name roshan kar saku kyu... Akhir kyu.. akhir kyu maa... Akhir meri saktiya kyu nhi badh rahi hai.
ye bol kar Arjun jor jor se rone lagta hai aur apna hath wahi jamin par jor jor se pitne lagta hai wo lagatar jamin par apna hath mar raha tha kuchh der thak kar usne kaha.
~ maa ab to koi chamatkar koi Karisma hi meri saktiya wapas dila sakta hai.
Tabhi uske kano me ek awaj gunji.
~ Arjun kya tum mujhe sun paa rahe ho
Kahani mere liye Bilkul fresh hai, kyoki Mai kahi or se nhi padhta na sunta, isliye bhai aap jo bhi likhoge Mere liye to fresh hi hogi...
Arjun ko kisne aavaj di ye MA ke smarak pr...
Vaise ye sabse accha tarika hai Apne gam ko batne ka, Isse hmara man bhi sant ho jata hai or sath hi sant vatavaran me sochne ka mauka bhi...
Arjun ki mangetar isliye rista todne ka kah gyi kyoki arjun 3 varsho se takatvar nhi ho pa rha tha vahi usne indirectly hi arjun ke pure parivar ko nicha dikhane ki kosis ki, Lekin arjun ne chalange accept karke abhi ke liye filhal is bla ko taal diya hai or ab dekhte hai Vo avaj kiski thi jo arjun ne suni...
Superb update bhai sandar jabarjast