Update-1 =Wapsi
Mai abhi buaa ke ghar ke samne khada tha aur meri himmat nhi ho rahi thi door bell bajane ki. Maine waise bataya hua tha ki bahar jaa raha hu but mujhe abb darr lag rha tha kahi buaa mujhse gussa na ho. Maine kaha tha kuch samay lag sakta hai. But mai lagbhag saal bhar ke baad aa raha tha. Woh kisi se sabse jayda pyaar karti hai toh mujhse. Mai waise hi khada tha ki kisi ne gate khola aur mujhe dekh ke turant lipat ke rone lagi. Yeh meri dusri maa yani meri buaa hi thi. Shaam ka samay tha iss samay lagbhag sab ghar par hi the. Buaa ke rone ki awaj sunke sab bahar aa gye aur mujhe dekh ke samjh gye ki buaa kyu ro rahi hai.
Buaa- ( rote hue) tu tu kaha chala gya tha apni maa ko chod ke. Bass itna hi pyaar tha apni iss maa se.
Mai- ( mai buaa ko aksar maa hi kahta hu) maa aapke pass hamesha rahne ke liye aisa kiya tha. Aap aise rona band karo, aap janti ho mujhse aapke aansu nhi dekhe jaate. Aap chahti ho mai fir se chala jau.
Buaa- iss baar jaa ke dikha tere pair tod dungi mai.
Mai- accha maa sorry. Aapka beta ek saal baad aya aur aap lagta hai mujhe bahar hi rakhna chahti ho.
Buaa- ruk ek minute bass. Karuna beta zara pooja ko thaali ko saza ke laa mera beta bahut dino baad ghar aaya hai.
Buaa ki baato se mera dhyaan sab ki traf gya karuna didi aur kavita didi ke aankhon me aansu the. Aur fufa ke chahre par muskan. Lekin kavita didi bahut hi kamjor lag rahi thi aur Karuna didi v waise hi thi. Thodi hi der me buaa ne aarti karke mujhe andar bulaya. Aur wahi puchne lage ek saal tak kaha tha.
Fufa ji- beta tum ek saal kaha the.
Mai- fufa ji sab batata hu. Pahle mai apni dono pyaari bahno se mil lu. Maine kavita didi ko gale lagya aur unka halchal pucha fir karuna didi se mila.
Buaa - haa abb batao kaha the.
Mai- mujhe ek ajib bimari thi usi ka ilaz dund raha tha.
Buaa - kyaa tumhe koi bimari thi aur tumne mujhe bataya nhi????
Haa yeh sach hai maine apni bimari ke baare me buaa aur Karuna didi ko nhi bataya tha sirf fufa ji ki hi malum thi but apna ilaz karane ke liye kavita didi ko batana pada.
Karuna- kyaa bhai tum bimar the aur hame pata hi nhi tha.
Buaa- yeh accha nhi kiya tune, mujhe maa sirf kahne ke liye hi khata hai. Aur rone lagi.
Mai- ( aansu phochte hue) buaa apko maa sirf kahta nhi hu manta hu isiliye toh nhi bataya warna aap pareshan ho jati joh mai kabhi nhi chahta. Aap mujhe sabse jayda pyaari ho, aap janti ho na.
Buaa ne haa me gardan hilaya aur gale laga liya. Thodi der rone diya jisse mann halka ho jaaye. Jab buaa shant hui toh khud se hi poochne lagi.
Buaa- accha abb bata tujhe kyaa hua tha.
Mai - mere se accha aapko kavita didi samjhayengi woh ek doctor hai.
Buaa- yani kavita ko pata tha.
Mai - nhi fufa ji ko v pata tha.
Buaa- ohh accha tab hi toh yeh itne shant the. Ek saal se. Accha aap milo aaj room me fir batati hu. Aisa kahne se fufa ji request wali najar se meri traf dekhne lage.
Mai- buaa maine hi mana kiya tha nhi batane ko.
Buaa - woh sab chod aur mujhe sab bata.
Mai- kavita didi batao.
Kavita- bhai ko ciabinalis ( apne hi imagine karke disease ka naam rakh diya.) naam ki bimari thi. Simple sabdo me kahe toh janwaro jaisa behave karna aur iska ilaz iss duniya me nhi hai. Bass 2 hi ilaz hai iske bandh ke rakho ya fir maar do. Lekin bhai tum thik kaise hue mujhe samjh nhi aa rhaa hai.
Mai- yeh bahut lambi kahani hai. Aap sabko acche se bataunga. Kyaa apko accha nhi laga mai thik hai???
Kavita didi - kaisi baat kar raha hai bhai tu mera jigar ka tukda hai tu janta hai na.
Mai- haa.
Kavita- jaa abb fresh ho ke aa mai nasta lagati hu. Aur aap sabko baad me bhai bata dega. Avi safar karke aya hai. Maa mai bhai ke liye kuch banati hu.
Karuna di bass tabhi se mujhe dekhe jaa rahi thi aur unhone jayda kuch nhi pucha. Fir mai room gya dekha room aaj v waisa hi hai. Sach me buaa aur dono dii mujse bahut pyaar karti hai. Aur fir fresh hoke niche aa gya.