Update 1
Shimla Seher ek mahila jinka naam payal Malhotra hai scooter se apne bete Arjun ko school chorne ja rahi hai,jab tak payal apne bete ko school chor rahi hai inke bare mai jaan lete hai.
Payal Malhotra M.B.A in finance hai ,Khud ka café shop chalati hai jo apne bete ke naam se suru kiya hai “Arjun Café”,bahut ache se chal raha hai har mahine achi khasi kamai ho jati hai,jise payal apne bete ka palan poshan ache se karti hai,har maa ki tarah apne bete se bahut pyar karti unka jigar ka tukda hai Arjun.
Payal ek single mom hai,inka vyavahar bahut acha hai apne employees ki madat karna un logon ko jarurat padne par dil kholkar madat karti hai,isliye café mai kaam karne wale har employees inse bahut khush rehte hai.
Payal ka bahut izzat hai apne area mai,logon ka madat karna sabse pyar se baat karna sab logon ke dilon mai khaas jagah payal ke liye isliye log inse bahut khush rehte hai,Payal har mahina apne kamai ka adha hissa orphanage mai daan karti hai jo inke ghar ke bagal mai hai,isse payal ko bahut khushi hoti hai.
Payal ka ghar seher se thoda dur pahadon par hai bahut shaandaar ghar banwaya hai payal ne shant se jagah ,saaf vatavaran,jo bhi yahan ata hai uska dil khush ho jata hai payal ko yeah jagah bahut pasand ayi thi unhone yahan par ek jameen kharidkar ghar banwa liya,wahi neighbour mai who orphanage bhi hai.
Waise woh orphanage Raghubir Prasad Sharma aur unki pathni Priya sharma sambhalti hai unka koi bacha nhi hai isliye woh yeah child orphanage banwayi hai yahan par ane wale hai har bache ko apne bache jaisa samajte hai aur khub khyal rakhte hai.
Waise inko kisi ke samne hath jodne ki jarurat nhi padti inke pass bahut properties hai use inka orphanage bahut ache se chal jata hai,phir bhi payal har mahina apne khushi se idhar donate karti hai kyuki yahan ke bachon ko Payal dil kholkar apna pyar lutati hai,isse Raghubir aur Priya ko kabhi taklif nhi hoti who log humesha Payal ko apna beti jaisa samajte hai bahut pyar karte hai Payal aur Arjun ko.
//Waise payal ka bahut bada past hai jo aage chalkar aap sabko pata chal jayega filhaall ke liye itna introduction kafi hai//
Arjun abhi uska umar 10 saal hai 5th class mai padta hai bada hoshiyar hai padai mai humesha aage rehta hai,school mai humesha top karta hai apna jyada samaya apne maa ke sath yahan orphanage mai aakar bitata hai bahut khush rehta hai Arjun yahan ke bachon ke sath khelkar waise school mai uska ko khass dost nhi hai isliye jyada samay yahan ke orphanage mai bithata hai. Arjun apni maa se bahut pyaar karta hai unka kaha hua har baat manta hai kaha jaye Arjun ki duniya mai Uski Maa Payal or orphanage ke bache jinke sath khelta hai bas yahi uski duniya hai.
Waise Payal apne bete Arjun ko martial arts ki training de rahi hai wahi pahadon ke pass martial arts ka institution hai wahi Arjun ko humesha shaam ko bhejti hai training ke liye,Martial Arts Institution ka naam Shaolin Martial Arts hai.Aap Log soch rahe honge china naam hai yahan ke Guru Mr Chan china ke hai par unhe India itna pasand aya idhar hi bas gye yahan ke logon ko martial arts ki training dene lage inki training bahut kadi rehti hai halat kharab kar deti hai.
Mr Chan Arjun se bahut khush rehte hai Woh jaise bolte hai waise hi karta hai kabhi apni man ki nhi kiya haan kuch sawaal jarur puche honge martial arts ke related uske ilava jaise Mr Chan Bolte waisa hi karta.
In sab Mai Arjun Ke ek uncle hai Mr khan Mumbai mai job karte hai saal mai ek do baar hi Arjun se milne aate hai kabhi kabhi nhi aa pate.Na aa pane ki wajih Arjun Bahut naraz hota hai baad mai maan jata hai,unke sath khub has khelkar baat karta hai.
Mr chan ka pata payal ko Mr khan ne diya hai,Chan Khan ke bahut ache dost hai dono ek dusre kafi salon se jante hai.
//Mr Khan aur chan ki dosti aur woh Mumbai mai kya kaam karte kahani jaise hi aage padegi pata chal jayega//
Umeed karta hun aap log ko yahan tak Acha laga hoga
Apna Like and Review Jarur de……………….