Update 2
Payal apne ladle bete ko lekar school pahuch gyi hai, payal apne bete Karan se kehti hai.
”apna khyal rakhna,maan lagakar padai karna aur teacher ko pareshan mat karna,tiffin pura khatam karna”
Karan bhi jawab mai bolta hai
”Thik hai maa,aap bhi apna khyal rakhna,mujhe lene time par aa jana apka intezaar karunga maa”
aise bolkar Karan apni maa ko ek kiss deta hai school ke andar chala jata hai.Payal Karan ko tab tak dekhti hai jab tak Karan school ke andar chala nhi gya.Karan ke jane ke baad Payal bhi apne kaam ke liye nikal gyi
Aise hi maa bete ka pyaar tha dono ek dusre ka khub khyal rakhte hai,ek baar ki baat hai payal bahut bimar ho gyi thi doctor ne dawa dekar unhe bed rest karne ko kaha tha tab karan 7 saal ka hi tha.Payal so gyi thi wahi Karan puri raat jagkar apni maa ko dekh raha tha apne pyare pyare komal hathon se payal ka sar daba raha tha,Karan ke ankh mai anshu aa rahe the.Raat ke 4 baje jab payal ki ankh khuli toh usne dekha Karan puri raat jagah tha turant uthkar baith gyi puchne lagi
”puri raat aise hi jagte rahe soye nhi mai jaan sakti hun kyu nhi soya tumne?”
Karan muskurakar jawab deta hai,
”Apki tabiyat kharab thi apko kisi chiz ki zarurat padti mai apko lakar deta isliye jagta raha”
Payal jab apne bete se yeah sab sunti hai uski ankhen bhar ati hai aur kehti hai
”itna pyar karta hai merese mai jara bimar ho gyi tu puri raat jagkar meri seva karne lag gya”
Karan jawab mai kehta hai
“bahut karta hun’’ bolkar so gya chota sa bacha toh tha hi uska sharir jitna jhel sakti thi jheli woh bhi thak gya aur apne maa ke god mai so gya Payal muskurakar Karan ko puppy di aur Karan ko apne sine se lagakar so gyi .
Aise hi maa beto mai atut prem hai jo aj kal dekhne ko nhi milta
Chalo ab kahani mai ate hai
School ke prayer hone ke baad Karan class ke andar jata hai,Karan ke koi khaas dost nhi tha,ek do friends the woh bhi naam ke hi the Kyuki Karan Dimag se tez tha madat ki zarurat pade Karan se madat mang sake isliye dosti ki thi Apna kaam nikalne ke liye.
Lekin sab aise nhi the class ek pyari se bachi baithi thi jiska naam Shraddha goel hai yeah bhi bahut hoshiyar hai aur padai mai awal ati hai Karan uska crush hai,jab bhi Karan ata hai sharmane lagti hai baat karne se darr jati hai,phir bhi woh baat kar leti hai,bolte hai bachpan ka pyaar aise hi kuch hai.
Karan jaise hi uske pass ata hai,
“Good Morning Shraddha” humesha ki tarah Shraddha ko wish karta hai Shraddha bhi humesha ki tarah smile dekar pyar se”Good Morning Karan”karke wish karti hai.
Karan Shraddha ka smile dekhkar kho jata hai,jakar piche wale bench par baith jata hai sochne lagta hai
“Shraddha ki muskaan mai ajib sa jaadu hai humesha mai kho jata hun bhagwan se prathna karunga humesha aisi hasti reh iske chehre se muskaan kabhi gayab na ho” aise hi soch raha tha
Shraddha Jab use chup chupkar dekh rahi thi sharmane lag jati hai,jaise hi Karan uske pass dekhta hai apna garden aage kar deti hai.
Karan yeah sab se anjaan hi tha usko aisa kuch ehsaas nhi hua who toh bas apna ek acha dost manta hai uske ilava kuch nhi bas Shraddha ke muskurahat mai kho jata hai.
Shraddha ke kafi friends the school mai apko toh pata hai ladki dekhte hai sab ladke aage piche ghumne lagte hai.Shraaddha thi bhi hoshiyar aur sundar bhi thi isliye doubts puchne ke bahane use dosti kar rakhe the.
Shraddha Karan ke piche diwani thi wajah sirf ek hai Karan kabhi bhi aisa kuch nhi kiya dusra uske jaisa samajdaar hai,attitude ghamand bilkul nhi hai,Karan dusron ki madat karne mai kabhi piche nhi hatta.jabhi jisko jarurat ho woh madat karta hi hai,badon ko izzat dena,pyar se batein karna yeah sab qualities hi Shraddha ko Karan mai achi lagti thi.
Maine Introduction wale upate mai iska jikar nhi kiya ab kar deta hun
Shraddha Karan school ke ilava bahar bhi mil chuke kafi baar ek sath time spent kiya hai sath mai khela bhi hai iski wajah yeah hai ki uske papa Mahesh goel Payal Malhotra ke Accountant hai,isliye bahut baar payal jab Mahesh ke yahan ati hai toh dono khelne lag jate hai,isliye dono mai bonding bahut strong hai.
Dono ek dusre ko naraz hote nhi dekh sakte,Karan isko sirf dosti manta hai aur Shraddha kuch aur matlab pyaar bhale hi Shraddha ko iska matlab pata ho ya na ho lekin Karan uski jaan ban chuka hai,Karan ke bare mai koi ulta sulta bole toh Shraddha ko guss aa jata hai.
Ek saal ki baat hai,Class ka hi ek ladka Aman naam tha uska Karan ki burai karne mai laga hua tha bina matlab karan ki burai kar raha tha,Shraddha ko bahut tez gussa aa gya tha sabke samne ek tez chamata jad diya sabke samne use dho dala baat itni bigad gyi teacher ko ana pada inka jhagada shant karne.
Jab Karan ne yeah sab dekha usne Shraddha se puch liya
“itna gussa karne ki kya zarurat mere bare mai thori burai karta phir shant ho jata tum kyu bigarne lag gyi”
Shraddha muh fulake gusse mai karan se bolti hai
“koi bhi mere dost ke bare mai ulta sulta bolega mai bardasht nhi karungi,bina matlab woh kyu tumhe itna bura bhala bol raha tha,isliye suna diya”
Karan Jawab deta hai
“acha shant shant maa bolti hai jyada gussa karna acha nhi hota who hume hi nuksaan pahuchata hai isliye shanti se kaam lena chahiye,samajdhari se baat karni chahiye,Aman ne jab mujhe bura bola mai jawab de sakta tha par kyu nhi diya maine,uske bolne se mai bura thori na ho jaunga,jisko jo karna hai kare hume shant rehna chahiye”
Shraddha Karan ki baat samaj nhi ayi
“Mujhe tumhari baat samaj nhi ayi itna janti hun kisine mere dost ke bare mai ulta sulta bola mai uska muh tod dungi samjhe tum mujhe aur mat samjao mai tumpar bhadak jaungi”
Shraddha gusse muh fulakar boli jisko dekhkar Karan hansne laga Shraddha gusse mai bahut pyari choti si bachi lagti hai
Is tarah in dono ki dosti bahut strong hai
Shraddha ki maa Mrs Priya goel ek housewife hai,apne husband ad Shraddha se bahut pyaar karti hai,unka koi beta nhi hai,bahut manokamna thi unka ek beta ho,shraadha ko bhai mil jaye par kuch consequences ki wajih se priya maa nhi ban sakti hai.Isliye jab karan idhar ata hai use apne beta jaisa hi pyar deti hai aur khub manti hai.
Karan ka behaviour bhi aisa hai,logo ka saman dena madat karna iski wajih se bahut se log karan ko bahut pyar deta hai,sabki ankhon ka tara hai.Yeah sab Payal ki wajih se hua hai jo sanskaar payal ne karan ko diya usi ko apna dharam mankar chalta raha.
Chalo kafi introduction ho gyi ab wapas school mai ate hai
School ka 1st period chalu hone wale Teacher Jinka Naam Shriya Mehta hai ek bachi ko lekar ati hai woh itni pyari aur sundar thi jaisa asmaan se koi pari jameen par uttar ayi ho aj us bachi ka new admission tha.
Teacher Us ladki ka introduction dete hue
‘’Bachon aj hamare class mai new admission hai yeah aap sab ke samne apna introduction degi”
Toh beta apna introduction do
‘’Yes mam, mera naam Shriya batliwala hai mera aj new admission hai,maine 4th mai 69% percent aye hai malum hai kam hai par mai wada karti hun mai khub mehnat karungi yeah saal top karungi”
Sab Shriya ki batein sunkar taliyan bajane lagte hai,waise shriya sharaddha jitni sundar nhi thi bolte makeup ki dukaan thi aur Shraddha natural thi use makeup ki jarurat nhi padti.
Shriya ke bare mai bata dun bahut ghamandi hai apne baap ke paise ka ghamand hai use logon ko jhaleel karna logon ko apne age piche ghumana bahut pasand tha use,inke family ke bare mai introduction thoda aage pado mil jayegi filhall itna kafi hai.
Teacher shriya ko Shraddha ke bagal mai bitha dene ke baad padhane lag jati hai,yeah sab mai karan ne bilkul shriya ki taraf nhi dekha introduction ke time par dekha tha uske baad apne padai par dhyan dene lag gya.
Yeah sab Shraddha ek jhalak baar baar karan ko dekh rahi thi jaise sab ladke paglon ki tarah shriya ko dekh rahe the sharaddha ko laga Karan bhi use dekhta hoga lekin nhi dekh raha tha Shraddha ko andar hi andar khushi ho rahi thi.
Apna Likes aur reviews zarur de
mai intezaar karunga