6 saal pehle janardan mumbai me ek government bank me security guard ki post pe kaam karta tha.Tab bank robary hui thi.. Police ne us robary mai usko choro ko help ki aisa bol ke fir mai uska naam dala tha.. Usko 2 mahine ki jail bhi hui thi.. Tab se aab tak har mahine peshe mai use jana padata tha.. Usse janardan kafi pareshan ho gaya tha.. Aab jab shyam ko uske wife ne use call karke pucha kaha ho to usne bataya mumbai ke bahar hu aur 3-4 din nahi aa paunga.. Tan uske wife ne pucha.. Itane din kya kar rahe ho Tab usne bataya ki mai partiksha madam ke rally mai hu.. Unke saath.. Aur aaj mere car mai hi maine une unke rest house ko chora tab uski wife bahut khush hui.. Aur boli selfi bhej do.. Tab use yaad aaya ki itani badi neta uski car mai baithi aur usne koi photo nahi nikala.. Waise hi usne uske wife ko bataya to usne bahut khari khote janardan ko sunaye aur boli.. Aap kuch kaam ke nahi ho.. Tab janardan bola kal lunga… tab usne kaha.. Kal bhi tumare car mai pratiksha tai baithege kya.. Tab usne kaha.. Agale 3 din mai unke saath mai hi hu.. Tab uske wife ne kaha.. Kal pakka unke saath photo nikalana.. Nahi to ghar pai mat aao.. Phir achanak use uske case ki yaad aati hai.. Tab usne janardan ko kaha..
Aap ke case ke bare mai tai sahab se baat karo na…
Usse kya hoga
Kya hoga matlab? Aap ka dimak kya ghas charane gaya hai kya? Aap janate nahi ho kya tai sahab kitani badi leader hai.. Wo minister rah chuki hai. ..
Haan par wo aab satta mai nahi hai na.
Nahi hai par Unka kitana bada rutaba hai politics mai.. Unka har ek morcha media mai rahta hai.. Aur ek police wala unki nahi sunega kya.. Wo ek do minister ko call lagake aap ka matter solve kar dege.. Waise to unki koi baat police officer tal nahi sakata unko kisi minister ko phone lagane ki jarurat nahi hai..
To mai jake baat karu
Haan baat karo
Thik hai mai jake baat karta hu..
Haan..
Tabhi uski wife bolate hai
Ruko
Aab kya hua
Aapni pi hai kya
Nahi to
Pakaa
Pakka darling..
Darling kah rahe ho to pakka pi hai..
Nahi pi hai.. Mai aise bhi tume darling kahta hu na..
Kahte ho.. Par pi hai to mat jao.. Aap gaye aur unko aap ke moo se baas aaya to bananewala kaam bigad jayega.. Kahte hai bahut tikhi mirch hai wo.. Matlab bahut gussel hai..
Tuje kaise pata
Pata rahta hai.. Aap tv nahi dekhte.. Dekhte to pata rahta..
Aab mai kya karu
Pi hai ya nahi
Aare baba nahi pi hai.. Pillu ki kasam ..
Phir jake milo use
Haan jake milata hu usse.. Aaj uska mood bhi achha hai. .. Rally bahut success hui thi.. Bahut response mila tha longo ka..
Fir jake pakka milo.. Respect deke baat karo.. Aise tu tu karke baat mat karo.. Bade longo ko respect deke baat karana padta hai..
Haan karta hu.. Pahle uske manager se baat karni padege…
Manager.. Kon hai manager
Hai koi shalini bol ke.. Pahle unko batana padta hai.. Wo ready ho gayi to wo tai sahab ko bolege aur fir mulakat ho payega.. Kahte hai shalini maan gaye to meeting jald hi ho jati hai..
Phir jake milo..
Jaunga par itane late shalini milane dege ya nahi kuch pata nahi
Try karo.. Usko janate ho kya..
Aaj wo bhi thi na rally mai.. Tai sahab ke saath mere gade mai wo bhi thi na…
Thik hai jake milo phir..
Jata hu..
Pike mat jao aur bahut respect deke baat karo.. Tai sahab aur unke manager ko bhi..
Achha meri maa.. Jau mai abhi
Haan.. Best of luck..
Thank you darling..
Darling kahte hi dar lag raha hai
Haaahaaa.. Dar mat..
Aisa kahke janardan phone kat kar deta hai..