Update 9
Swoosh!....meeting room ka darwaja khula.
Aur bhut sare oldaged aur middleaged aadmi room se bahar nikle. Aur sabse agge thi anjali woh jaise hi bahar nikli usne jor se sahil ka naam chilaeya.
Sahil hairaan tha, soch raha tha ki usne anh kiya aisa kar diya jo yeh itna chila rahi hai. "apna saamaan isne khud kho diya, aur mujhe iske kaaran yahaan le aaya gaya. yeh saubhaagy kee baat hai ki ke iske pita ek ache vyakti hain mujhe toh dar tha main iske haathon se mar jaoonga.
Jabaki any log meeting room se bahar niklate hue sahil ko paar kar rahe the, aur us par ajeeb nazar daalkar chale ja rahe the.
Phir Vijay Raichand Anjali ko vaapis school le gaya. Par use abhi v patah nhi tha ke woh apnni beti ko kaisi manaye ga.
Aur abh room mein sirf bache the do log aur woh the ek toh apna hero sahil toh dusre the elder anirudh.
Sahil ne elder ki tarah dekha aur poocha min aap ko kis nam se bula sakta hoon.
Oh acha mein …mera naam anirudh hai aur tum mujhe elder anirudh bula sakte ho. Aur tum mujhe kuch chintit dikh rahe ho.
"Bahut jyaada nahi," sahil ne uttar diya.
Elder anirudh ne abhi bhi sahil ko dekha, "abhi future mein tum kuch aur cheezon ka anubhav karoge."
"Acha?" sahil ne unke agge bolne ka intezar kiya.
"Tum lardki ke baare mein kya sohte ho..?" achaanak, elder anirudh ne vishay badal diya.
“Immature, unruly, willful, bad-mannered…” sahil ne jawwab diya.
Elder anirudh ne ek muskaan ke saath sahil ko tokate hue kaha, "vaastav mein, anjali ek bahut pyaari lardki hai."
"Main asahamat hoon..." sahil ne turant javaab diya.
"Aap bhavishy mein dheere-dheere pata laga lenge," elder anirudh ne shaanti se kaha.
"Bhavishy mein?" sahil ne se unki or dekh kar kaha.
"Haan. aap dono lambe samay tak saath rahenge.” eldar anirudh sahil ko dekh kar muskuraaye.
Sahil chintit tha, "kyon?"
"Hamaare boss aapki saraahana karte hain aur sochte hain ki aap unke daamaad ban ne ke yogay hain," elder anirudh ne sahil ko soochit kiya.
Is soochna se sahil ek dum heraan reh gya.
Kahin aap mazak toh nahi kar rahe hai, mein 21 sa ka hoon aur abhi study kar rahan hoon, aur anjali v abhi 12 mein hai aur abhi 18 ki huyi hi hai…….sahil ne elder anirudh ke baat par heran hote huye kaha.
Tumhe kiya lagta hai jo manka anjali ka tumne nigla hai woh koi aam manka tha, elder anirudh ne sahil ko kaha.
Fer woh kiya hai…?, sahil ne poocha
“Dragon core”, elder anirudh ne dherre se sahil ko kaha.
Sahil ne yeh baat sunkr elder ki tarah bhut heerani se dehkha aur man mein socha ke poora khandan hi lagta hai paagal hai.
Elder anirudh ne phir sahil se kaha kiya tumne suna hai dragon ke bare mein jo aasmaan mein udhte hai…..?
Sahil ne haan mein ser hilaeya.
Elder anirudh :Toh suna jo dragon core abh tumhare andr hai woh tumhari jaan le sakta hai.
Sahil ne elder ki baat ko mazak ke tor par liya aur haste huye bola.
Sahil : kuch b maat boleye elder asal zindagi mein aisa kuch nhi hota hai.
Sahil ke baartaav ko dekh kar elder ne apni akhein band ki aur agle hi pal unke haath par haree neele rang ka pani ka ek gola ban gya.
Sahil ke leye yeh ek jado jaisa tha woh pehli var aisa kuch apni akhon se dekh raha tha.
Elder ne sahil ke ascharye bhari nazar ko ignore kiya aur apne hatheli par baane gole ko aur varda kar diya. Aur bang! Pani ga gola phat gya aur pura pani sahil ke upar ja gira.
Sahil achhanak apne sahmne ek pani ke gole ke fatne ke karn kuch kadam peeche ho gya. Sahil ko abhi v kuch samaj mein nhi a raha tha ke uske sahmne ho kiya gya.
Elder anirudh : toh timne dekha na abhi kiya huya…..? Bilkul aisa hi hoga tumhare pet mein aur tum mar jayo ge .
Elder anirudh ki is baat se sahil dar v gya aur uske pet mein dard v hone lagi.
Lekin mere pass tumhare liye kuch cultivation technique hai. Agar tumne unhe ache se train kiya toh tum bach sakte ho marne se. Elder anirudh ne haawa mein hath ghumaeya aur unke hath mein ek purani kitaab a gyi. Unho ne us kitaab ko sahil ko de diya.
Sahil ne kitab ko le liya aur poocha aap asal mein hai kiya…?
Elder anirudh sahil ke pass aye aur bilkul uske kaan ke pass jaker bole……. “Hume hai DRAGONS”
Sahil yeh baat sunkar ek kadam aur peeche ho gya. Usek ke leye yeh sb kisi sapne ke jaisa tha .
Elder anirudh : koi baat nhi abhi tumhe je sab samjne mein time lage ga lekin tum samaj jayo ge. Aur jo abh tum hamare mein se ek ho toh tumhe in sab batton ko secret rakhna hoga.
Lekin itna sab dekhne ke baad v sahil ko yeh baat kisi sapne jaisi hi lag rahi thi woh bhi v herran tha aur uska chehre ka rang udha huya tha. Woh jahi soch raha tha ke aisa toh sirf superhero movies mein hota hai.
Elder anirudh ne jad sahil ke chehre ko dekha toh unho ne sahil ke hath se book lii aur usko sahil ke mathe par laga diya.
Book ke mathe par lagte hi sahil ki nazron ke sahmne kuch driishaye guzarne lag gaye. Isse pehle sahil aur kuch dekh pata elder ne apna hath hata liya.
Elder anirudh : yeh hai tumhari cultivation ka pehla chapter [ Spirit concentration scroll ] tumhe ise har raat adhere ghante ke liye practise karna hoga. Aur mein tumhari progress ko check v karoonga. Aur agar tumhara result khaarab aye ga toh tumhe saja v di jaye gi aur woh mein tumhe khud doonga.
Elder ke yeh baat sun kar sahil soch mein pardh gya ke abh mujhe punishment v mile gi.
Jab elder ne sahil ke chehre par panic hone ke bhaav dekhe toh woh bole. Daro nahi je technique itni v hard nhi hai aur isse tumhe faida hi hoga nuksaan nahi. Aur yeh lo mera card ispar mera no. hai agar kuch saamaj na aye mujhe call karna. Aur abh mein tumhara teacher hoon aur tum meri dekh rekh mein ho.
Sahil ne elder se unka card le liya. Parantu jab usne card par likhi unki information dekhi use aur ek jhatka laga uspar likha tha. Mr. Anirudh managing vice president of************* university.
Elder : aur haan abh tum ek aur baat yaad rakhna tum sirf *********university ke student nhi ho abh tum Dragon king ke daamaad v ho.
Milte hai next update mein…………