- 1,026
- 2,032
- 144
Last edited:
Editing!!!
Updated. Max
Aaj main update padhne ke liye apn8 Bua ke ghar nahi gaya socha wanha padhne ko nahi milega but mujhe aaj chale Jana chahiye tha.
Kaise zoom out...acha chota kar doon...bahdiya suggestion hai dekhte hoonOne suggestion for you , jab new status dalti ho to old wali status picture ko zoom out Kar diya karo thoda ( accha lage toh sochna varna rahe Dena)
Aur answer Dena na bhulna (without spoil story
Tarasti hai nigahen teri takti hai rahen,
mujhe chahiye story update
Nic uChapter 19
Things Left Unsaid
Charon taraf se van hare bhare pedon se bhara hua tha. Hawa mein devdar ke khusbu aur jharne ke chatanon se takarne ke awaaz aa rhe the jinpe hare rang ke kaai jame hue the.
Nadi ka paani neeche gir ke chatanon se takara rha tha...jisse dekhe shayd kisi ka man bhi shaanti se bhar jaye.
Karan ko aisa laga ke uske body se saare wajan hi khtm ho gaya hai...aur usne chaaron taraf sir ghuma ke dekha paya toh khudko pure tarah se andhkar se dhaka hua paya...abhi toh woh wahan uss gufa mein tha yahan kaise pahuch gaya? Thodi der pehle agni ke lapton ne usse pure tarah dhak liya tha lekin abhi uske sharir mein usko ek sard ke anubhuti kyu ho rhe the?
Uske saanse saanse uthli hue the lekin fir bhi uss sanate mein uske awaaz gooz rhe the.
Usne ek baar palke japhkayein, "Koi hai...?"
Par koi jawab nhi aaya. Sirf Sanaata.
"Kya yahan pe koi hai?"
"Tum yahan pe akele nhi ho, Masster!" Thode dur se uske kaano mein ek jaane pehchane awaaz pade.
"Meher?" Usne chautke hue pucha...uske haathon ke ungliyon apne aap apne peth ke Meher ke moth (hilt) ko pakadne ke liye badhe lekin woh wahan pe nhi thi.
"Meher? Yeh kya ho rha hai...Aur hum kahan hai?"
"Hum aapke dimag ke andar hai... Masster...yeh pal hona pehle se tay tha. Aur ab waqt aa gya hai ke aap kise se milo abhi"
"Lekin Meher yeh sab tumne mujhe pehle kyu nhi bataya?"
"Kyuki Masster...hum dono ke bhitar ke ab anukulta badh chuke hai jab aapne KalJayi ko istemal kiya. Aap shayad iss baat se anjan honge ke jis din se aapne mujhe uss ghufa mein se nikala tha uss din se hi aapke nason, aur aapke pure sharir mein agni tatav sama chuka tha. Ab main aapke saath apne yaadast ke kuch pal saajha kar skte hoon"
Karan ke aanke bade ho gye, "tumahre yaadast ke pal? Lekin aisa kya hai jo tum dikhana chati ho?"
"Ha...Masster...mujhe lagta hai ke aapka woh sab dekha bahut jaruri hai"
Isse pehle ke Karan kuch aur aage bol paata...uske charoon taraf ka andhakaar maano jaise chatne laga aur usne apne aanke jayda rohsini ke wajah se apne haathon se dhak lee.
Jab thodi der baad usne apne ek aankh apne haathon ke peeche se khol kar dekhe, "yeh toh wahi jagah hai" toh apne aap ko use gufa mein paya jismein usse pehle baar Meher mile the.
"Yeh gufa...?!?...yeh toh wahi jagah hai jahan hum dono pehle baar mile the Meher" woh dheere se fusfusaya.
Saamne ka dirshya Karan ke aankon se saamne dhundla tha lekin shayad hi woh uss din ko apne zindagi mein toh nhi bhul skta tha.
Meher ke saamne ghufa ke beechon beech...ek aadmi neeche baitha hua tha jiska chera niraasha se neeche jhuka hua tha.
Uske sir pe Taj ko dekh ke Karan use ek dum se pehchan gya. Lekin Karan ka dhayan uske haathon ke taraf gaya jinhe woh ek dusre se pakadar kas ke dabaye baitha tha...jaise naa jane woh apne andar kitnon baaton ko dabaye baitha tha.
Karan ke use dekh ke dil ke dhadkane badh gye. Aur woh usne gale milne ke liye ke liye neeche jhuka par par uska sharir uss drishya ke paar nikal gaya.
Karan ne peeche mud ke dhayan se uske taraf dekha toh uska chera-mohra usse bahut had tak milta julta tha uske mukh pe dhariyon aur lakeeron ke bawajud.
"Iss aadmi se woh itne din tak nafrat karta tha?" Karan ke aanko mein aansuon ke nami aa gye.
"Dad..."
Uss aadmi ne apna sir halka sa upar kiya aur Karan ke chere pe halki muskan aa gye jaise ke unhone uske awaaz sun le.
Par jab Karan ne dekha ke unhone uske taraf nhi dekh rhe lekin unke aankon mein kise se bichande ka dard saaf tha, "Karan...mere bachche...kaise ho tum?"
Karan jaise wahin pe ek dum se jam gaya, usko nhi pata tha iska woh kya jawab de.
"Main jaanta hoon Karan ke tumhe mujpar gussa karne ka pura hak hai...aur agar mein shayd tumhare jagah hota toh shayad hota toh apne Pita se ab tak nafrat tak karne lagta.
Main tum sabki ke suraksha karne mein vifal ho gya. Main kamjor tha, Karan."
"Main apne parivar ko bhi ek saath nhi rkh skaa..."
"Mere chote bhai ne bhi dhola de diya...aur mujhe chup kar rhene pe majboor kar diya. Lekin apne nirvaasn mein bhi ek bhi din aisa nhi gaya jab maine tumhe yaad nhi kiya ho. Kara-" uske kandhe aur neeche jhukne lage aur use awaaz katne lage, "Karan kaash mein tumhe ek baar apne kandhe pe baitha ke fir se ghuma pata"
Karan ka gala rundh gaya aur uske khud ke andar ke bhavnayein uspe abhibhut hone lage.
"Main janta hoon ke tum mujhe har ek us kal ke liye koste hoge jab mujhe tumhe bade hote dekhna chaiye tha. Lekin main aisa karne mein vifal rha. Kyuki mein ek main kayar tha...ke main tumhe yahan rkh ke tumhe hamesha ke liye kho na doon."
"Agar tum yeh sab dekh rhe ho, Karan toh iska matlab hai yeh tumne Anantnetra jagrit kar lie hai. Humare Rajya ke chaar Kalakritiyaan woh bas suraksha ke liye nhi hai..unke upar pracheen mantr gade hue hai woh ke hamare pehle Vansaj ne swaym likhe the..."
"Apna khyaal rkhna Karan, aur Payal, Nishaant aur Vaani ka bhi...aur mujhe pura vishwas hai ke woh bhi tumse milke bahut khush honge"
Saamne ka drishya oojhal hone laga aur uss aadmi ke apne dahina haath aage badhaya jo ke Karan ke gal pe fir gaya, "lekin sabse upar yaar rkhna ke tumhare yeh tumhare Pita, maanfi ke layak nhi hai...par agar tum unhe maanf kar paaye toh unko bhi acha lagega"
Itna bol ke woh wahan se uth gye, aur ek baar ant mein Meher ke taraf dekha, "ab main chalta hoon, Karan...maine yeh sab isliye kaha kyuki ab mujhe khud nhi pata ke main yahan lautunga ya nhi..."
***
Karan wahan bina halchal ke khada hua tha, "Meher? Tumahre asliyat kya hai aur Pitaji tumse yeh sab baat kyu kar rhe the?"
"Main AnantRajya ke sabse pehle Maharaj ke talwaar hoon...jo kareeb 90,000 saal pehle ke baat hai...itne saalon se main nishkriya padi hue the...kisi ka intezaar karte hue jo mere kshmta ka jagrit kar paaye. Jab tumhare Pita tumhe yahan bachpan mein mere paas laaye aur tumne mujhe pehle baar chua. Aur mere andar se agni ke lapte nikalne lage...tabhi se Raja Subhadra ko ehsaas ko gaya ke AnantRajya ko tum uske purani takat pe le jaa skte ho"
"Lekin...unhe bhi ek baat nhi pata tha...ke Pehla Vansaj ko main uske naam se pukarte the...aaj tak mera sirf ek hi Masster hua hai...jo ke tum ho!"
"Lekin mujhe bilkul acha nhi lagta jab mere Masster ke ankhon mein aansu aate hai....!!"
Karan halka sa mushkuraya aur apne baju se apne aankhe poche, "Meher tum bhi naa..."
"Hehe buddu"
***
Aaditya apne kursi pe baitha hua tha saamne mez pe ek lifafa tha aur uske haath pe kalam thi.
Usne bagal mein pathar ke sapaat pe baithe hue Nandani hue ko dekha aur pucha,
"Maharani khat mein kya likhna hai aap boliye main woh likhkar Maharani Akansha ko bhijwa deta hoon"
Nandini ke soche ne ke liye bagal mein dekha, "aisa chalu karna...Maharaani Anaksha, Vanrajya ke saasak ko unke badi behan ka pranam"
Aditya ne hami mein sir hilaya aur apne kalam se khat pe jaldi jaldi likhna chalu kar diya.
"Mujhe tumhe yeh batate hue khusi ho rhe hai ke Kaljayi wapas Vanrajya laut chuke hai"
Aditya ke aanke ek baar yeh sun ke chauk gye aur kuch sochne ke baad usne fir se likhna chalu kar diya.
"Main jald hi Payal aur Karan ke saath Rajmahal lautungi...aur main tumse itne saalon baad dekhne ke liye bahut utsuk hoon.
"Kya main ek chota sa samaapan tippani(closing note) bhi jodu, Maharani?"
Nandani ke ek lambi saans le aur bola, "haa...Aasha aur Pyaar ke saath tumahre badi behan, Nandani"
Pure kashya mein fir se sanata cha gya jaise hi Nandani ne bolna band kiya.
"Kya isse abhi pahucha hai?"
Nandani ne halka sa muskurate hue haa mein sir hilaya.
***
Agle din shaam ke waqt Ravisha balcony mein khade hue the uske man mein jaise sau khayal chal rhe the. Uske sharir ko chute hue thandi hawa ka ek jhoka nikla lekin woh bhi uske man ke andar uth rhe tufaan ko shaant nhi kar paya.
Achanak se kise ke kadmon ke awaaz ne uske dhayan ko toda aur Ravisha ne apne palke utha ke aate hue ek chavi ko dekha.
Sahi Salahkaar, Ajay uske tarah dheere dheere chalte hue aaya, uske chere pe ek azeeb se pransta the.
"Kya koi aise cheez hai jo aapko pareshan kar rhe hai? Maharaani Ravisha..."
"Sssssh! Maine tumne mujhe iss naam se bulane ke liye kitne baar mana kiya hai...Ajay!!!"
"Acha theek hai...lekin par bahut jayda soch mein dube hue lag rhe hai?" Ajay ne apne sir ke peeche haath firate hue pucha.
Ravisha uske taraf mude lekin ek pal ke liye kuch nhi bole jaise woh apne man ke andar uth rhe tufaan ko kaabu nhi kar paa rhe the.
"Mere yaadein....kitne saale ho gye jab se maine Akansha ke sarir ke kabja kiya hai...aur ab maine jab kuch din pehle tak uske sarir pe pure tarah niyantran kar liya tha tabhi-"
"Tabhi kya Maharaani?" Ajay ne utsukta ke saath pucha.
"Uske kuch yaadein hai...woh aisa lagta hai ke seedhe uske aatma se jude hue hai...mujhe nhi pata tha ke woh ab itne saalon baad fir se ujagar ho jayenge"
Ajay ke bahunhe sikud gye, "kaunse yaadein...Maharaani?"
Ravisha ke chere par kadvahat aur udaasheenta cha gye, "Karan ke yaadein" usne jawab diya. "Itne saalon baad bhi jab mujhe vihswaas hone laga tha ke maine pure tarah se uske sharir mein se uske yaadon ko mita diya hai...yeh ek aise ghaav ke tarah hai jo bharne ka naam hi nhi le rha. Jab Karan usse chord ke itne saalon pehle gaya tha toh usko yeh bhi nhi pata tha ke woh kabhi lautega ya bhi nhi. Aur usse abhi tak yeh bhi nhi pata-"
"Kya nhi pata...Maharaani"
"Ke Karan laut chuka hai..." Usne dabi hue awaaz mein kaha..."Agar usse iss baat ke bhanak bhi lag gye toh main nhi jaanti kya hoga"
Ajay ka jabda yeh sab sunke jakad gya, "tab humein yeh sunnischit karna hoga ye usko jaldi hi iss duniya se Vida kar diya jaye..." Usne ek shaitaani muskan ke saath kaha.
Ravisha ke yeh sunke aankhe bade ho gye, "Tum jaante ho naa Ajay jab tak Kaljayi aur Karan dono humein nhi mil jaate tab tak hum aisa kuch bhi nhi kar skte"
"Maharaani shayad kuch ache khabar aapke iss udaas chere ko pransta mein badal dege..."
"Khushkhabri?" Ravisha ne ek baunh utsukta mein uthaye.
"Haa..." Ajay ke awaaz jaise khusi se chamak rhe the..."Nandani ne Kaljayi ko dhund liya hai aur woh jald ke Yuvraj Karan ke saath wapas Rajmahal lautenge.
Ravisha ke chere par ye sunke ek durth muskan aa gye, "Aakhirkaar maine jis pal ka itne saalon se intezaar kiya woh aa hi gaya hai...main jaanti hoon ke Kaalraani ke bhediyon ke sena bhi Nandani ke kise saathi ne hi tabah ke hoge...lekin usko shayd yeh nhi malum ke woh hakikat mein asli sena thi bhi nhi."
Woh woh zor zor se hasne lage, "kyuki asli sena toh Vanrajya mein din raat ghumte rhete hai"...usne Ajay ke taraf dekha.
"Bilkul Maharaani" Ajay ne apne haathon se apne chere ke chamdi noche jisse uske chere ke hadiyan bahar aa gye, "itne din se yeh natak karte karte toh ab main bhi thak chuka hoon...ab kuch din bas...uske baad mein khulkar saans le paunga.."
***
Agle din subah
Karan ke aankhe jab khule toh usne dekha upar se jharne ke saath halki kirne bhi neech gufa mein gir rhe thein. Neeche girte hue jal aur uske bahdte hue dhaknon ka mila jula swar uske kaano pe pada jaise jaise dhang se hosh aane laga.
Jaise hi usne neeche haath ke bal khud ko baithane ke koshish ke, usne dekha ke andhere mein ek aadmi kadha hai...ghere soch mein dube hue.
Ek pal ke baad Karan, Shravas ko pehchan gaya, pata nhi kyu usne uske chere ke daadi pe pehle dhayan nhi gaya?
"Shravas?", Karan ne pukara uske awaaj karkash lekin sthir the.
Shravas uske awaaz sunke jadli se muda, aur apne budi lekin tez aankhon se Karan ke taraf dekha, "aakhirkaar tum uth hi gye"
"Ab tumnhe kaisa lag rha hai...Karan?"
"Pata nhi mujhe sharir mein kuch alag se anubhuti ho rhe hai..." Aur woh apne aankhe saaf karne ke liye unhe jor jor ke japhkane laga, "Di... kahan hai?"
Shravas ne use aaswath karne ke liye uske taraf aage badhkar neeche jhuka aur Sahara diya, "Fikr mat karo Karan...Payal paas mein hi fal ikatha karne gye hai...aur tum yahan pe do din se behosh the..."
Karan ne ek lambi saans le aur apne aankhein fir se ragde, usse laga ke jaise uske drishti badh gye ho, jaise ke koi chota sishu pehle baar apne aanke kholta hai paida hone ke baad.
Usne Shravas ke taraf dhayan se dekha toh usse vishwaas nhi hua ke woh Shravas ke andar chupke hue belon ko ek X-ray ke tarah dekh paa rha tha. Karan ko aisa mehsoos hua ke Shravas ab purush aur manusuyon ke seemaon se bahut aage badh chuka hai.
Isspe pehle ke Karan aur uske aage soch pata usko kise ke kadmon ke bhagne ke awaaz aaye.
Payal uske taraf daud ke aaye uske haath se ikathe kiye gye fal ke tokri wahin jameein par gir gye....aur usne apne dono haathon se Karan ke chere ko chere pakad liya.
"Karan ab tum theek ho???"
Karan halka sa muskuraya Payal ke chere pe apne liye itna chinta dekhar, "Haa...Diii...lekin aap itna kaskar pakadogi toh lagta hai ke shayad fir se ghayal ho jaunga..."
Payal bhi halki se hasi, aur uske ek kaan ho halka sa mod diya, "Acha...dekhte hai chaloo"
"Aaah...di main toh bas mazak kar rha tha!"
Payal ne apna haath uske kaan pe se hataya aur apne muh par rkhar hasne lage, "tum nhi sudhroge Karan...maza aaya?"
Karan ne Payal ke chere pe itne din baad muskan dekhe toh jaise ke uska aadha dard wahin khtm ho gaya, uske didi usse kitna pyaar karte the aur woh apni hi behan ke baare mein aise khayal soch ke baitha tha...usne bhi than liya ke abse woh unke beech ke bhai behan ke maryaada ka samaan karega aur udeyshya pe apna pura dhyan lagayega.
Shravas un dono ke bicholi ko chup chap dekh rha tha aur uske man mein bhi halki se khushi the ke dono bhai behan ke beech sab kuch theek hota nazar aa rha tha...aakhir woh nhi chahega hi usske dost ke bachche jayda din tak aapas mein naaraz rhe.
Karan ne apna gala saaf karte hue Shravas ke taraf dekha, "Kya tum Kaljayi ko idhar mere paas laa skte ho? Mujhe nhi lagta ke mere pair abhi uthne layak hai..."
Shravas aur Payal ne uske maang par ek dusre pe taraf asmanjas mein dekha. Lekin Karan na nishchaya dard tha usko apne Pita ji ke aakhri icha pure karne hi the...aur esaa mehsoos ho rha tha ke koi shaktishaali jeev bhi usko apne taraf kheench rha hai...jaise woh bhi sadiyon baad apne need se apne neend se uthne se liye uthsuk behad uthsuk tha.
"Masster aapko yeh sab isliye mehsoos ho rha hai kyuki aap ab Kaljayi se Jud chuke ho....aapke Pitaji ne jaise kaha tha bas vaisa kijye..." Meher ke apne halki chinta bhari awaaz mein usse kaha.
"Karan...aakhir tum ab karna kya chate ho?" Payal ne Karan se pucha.
"Bas thoda sa intezaar karo Di..." Karan ne uske bagal mein rkhe hue Kaljayi ko dekha, jise Shravas ne laake ab tak uske bagal mein rkh diya tha.
Shravas aur Payal ne dekha ke jaise hi Karan ne usse chua, "toh usske paano ke order pe se halki se santri rang ke roshini ke saath chamakne lage"
Shravas ne vishmaya mein apne bahunhe utha le lekin kuch bola nhi aur Payal ka hath pakadar usko bhi peeche hone ka ishara kiya.
Jaise hi usne Kaljayi ko chua, Karan ke aankhon fir se pure tarah se safed pad gye. Aur mano ke jaise woh gufa halki se hilne lagi.
Payal chinta mein Karan ke taraf aage badhi, lekin Shravas ne uska haath kaskar pakadkar peeche kheencha, "Aage mat badhna, Payal...mujhe aisa lagta hai yeh abhi Karan ka dhayan bhang karna bahut jayda khatarnak saabit ho skta hai..."
Payal ne bina kuch bole Karan ke taraf dekha jo Kaljayi ko khol ke abhi koi pracheen mantr saa padh rha tha.
Uske har ek sabd ke saath jaise unke chaaron aur le hawa bhari hote jaa rhe the aur dhuan failta jaa rha tha. Dheere dheere bas pure gufa mein rohsini ke ek halki se bas chamak reh gye.
Aur jab sabko laga ke sabkuch andhkaar mein dhak chuka hai...tabhi kise ke pairon ke halki chalne ke awaaz aaye.
Jaise jaise thodi der baad unke saamne se dhund saaf hone lage unhe ek chaar parion wale jeev ke parchayi dikhne lagi....jiske gardan ke neeche santri rang ke nashein faile hue thein.
Jaise jaise woh aage badha Karan ko uske kaale paankh bhi saaf saaf dikhne lage aur uske muh mein se agni ka dhuna nikalta hua paya.
Payal ne usse dekhe se aascharya mein apne muh haath se dhak liya.
Usne aapne santri aur kaali ankon se ek baar teeno ke taraf dekha, aur fir uske nazar Karan pe ruk gye, jaise ussne usse pehchan liya ho.
Usne apne jeeb ko bahar nikala aur Karan ke taraf dauda.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys...socha tha ke naye style mein smexy scene rhkun lekin plot jayda fast ho jate. Like target apna whi 35. Jitna jaldi target pura hoga next update bhi utna hi jaldi aayega! Aur haan ek aur baat abse har chapter ke best comment ko 1st page pe mention Kiya jaega...next update se pehle!
Nic update kaljai se karan ka paltu dragon bhej diya hai jo ab youfh me karan ka sath dega and Jo vision karan ko mile hi vo use mahal me rehne wale bhadiyo ko maregaChapter 19