• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Mrxr

Welcome to the misty's world...
699
911
93
So it's not coming today as well??
Chup chap bayth jao warna payal se bolke 2 thappad lagwa dunga....
Baatein karva lo bas review kahan hai :think:
Jo review diye hai unki ka kuch pata nahi abhi.....🙃🙃
Aaj aayega update! 🙂
Now I'm free.....i think 4 days I'm busy( 7am to 9pm)😴😴
Insted of working on update....Baatein to tum kiye ja rahi ho na Jane kitne sare fake account walo se 😑
Maybe you are right brother....
 
Last edited:

Gaurav1969

Nobody dies as Virgin. .... Life fucks us all.
591
1,140
123
Abhi hi update dene ka soch rahi ho kya misty.
Lagta hai aayush bhai ki mehnat rang laayi hai😆😁.
Waiting too eagerly
 
  • Like
Reactions: mistyvixen

Mrxr

Welcome to the misty's world...
699
911
93
You're also one of those fake account holders :normie:
Oye mera koi fake account nahi hai...aur dusha jo account banaya hai ushka bataya bhi tha aur dobara kabhi dekhi hai wo ID meri idhar,....🥱🥱
Aur main kayse maan lu ki tumhara koi fake acc nahi Ha🤨🤨
No Way Wow GIF
 
Last edited:
  • Like
Reactions: mistyvixen

mistyvixen

I’d agree with you, but then we’d both be wrong;
Prime
1,549
3,157
144
Chapter 25
forgotten


Saamne ghana jangal tha aur jaise jaise Karan aur Akansha aage badhte jaa rhe the, upar se pedon ke chaya unhe dhakte jaa rhe the. Hawa mein geele mitti aur sukhe patiyon ke mehak aa rhe the...lekin uss jagah ke bare mein kuch toh bhin tha.

Jaise hi woh gufa ko paar karke bahar ke taraf nikle, achanak se dhudh ke ek saaye ne unko dhak liya. Yeh bas Mausam ke kaaran toh nhi tha. Karan ne Meher ko apne haathon mein kaskar pakda aage kuch bhi khatra ho skta tha. Akashna bhi bagal mein chalte hue dabe dabe saanse le rhe the, bina kuch bole Karan ke peeche chal rhe the, usne bhi Karan ke baju ko kaskar pakad liya.

Achank se ek aakriti dhund mein se udti hue aaye, Karan satark ho gya aur fir aake wahan kate ped ke tane pe baith gaya.

Image-20250122-101839

Aur apne gol aapnkon se Karan aur Akanksha ke taraf dekha, bina bilkul kise bhay aur hile jaise ke usse ped ka hi woh ek hissa ho.

"Yeh jagah...aise koi jagah maine abhi tak Vanrajya mein toh nhi dekhe" Karan ne peeche chalte hue Akansha ko kaha.

"Yeh isliye kyuki yeh waqai mein Anantrajya ke sabse ahem sthano mein se ek hai" Akansha ne uske aur dekhte hue jawab diya.

Karan peeche muda, "Kya matlab Mausi aisa kya khaas baat hai iss jagah mein?"

Akashna jawab dene pe pehle ek pal ke liye ruke, "Main khud yahan kabhi nhi aaye Karan, naa hi Nandani yahan pe kabhi aaye hai...yahan pe antim baar tumhare pitaji aaye the, lekin itna main tumhe bata hi skti hoon ke yeh sthan Anantrajya ke liye bahut khaas hai"

"Aisa kyu Mausi?" Karan apna utejana koi chupa nhi ska.

"Kyuki yhi woh jagah hai jahan pe sabse pehle Anantrajya ke samrat, matlab Anantraaj dhafn hai"

Karan yeh sunke jam gya. Anantrajya ka aaj tak ka sabse shaktishaali vyqati ke kabr? Yahan aana unke liye vyarth toh nhi hone wala tha.

"Anantraj?" Karan ne woh naam dohraya, keval naam matr se uske andar ek kampan se daud gye.

"Haa Karan...Anantraaj saadiyon pehle chaaron rajya ek dusre ke kattar dusman the...fir unhone hi sabpar vijay pakar sabko Vanrajya ke adheen kiya tha lekin woh jaante the agar Vanrajya ko sabka upari rajya ghosit kiya jayega toh kuch salon baad whi sab aapasi dwandh fir se chalu ho jayenge...isliye unhone aapas mein meljaal bhadane le liye Anantrajya ka nirman kiya."

"Aur kuch-" Karan aage kuch puchne hi wala tha ke Meher uske haath mein kaanpne lage.

Karan bhi soch mein pad gaya, isse pehle woh Meher ke saath kitne baar abhayas kar chuka tha aur kitne hi baat ladai mein dono ek saath the lekin aaj tak Meher ke aise koi pratikriya toh nhi aaye.

Meher ko kasakar pakadte hue usne pucha, "Kya hua Meher?"

Meher ke dabe hue awaaz andar se uske kaano pe pade, "Mujhe....mujhe yeh jagah pasand nhi masster...chalo yahan se"

Karan ke reed ke haadi jakad ke seede ho gye, Meher...woh Meher jo aaj tak kise bhi cheez se bhaybheet nhi hote the? Woh kise ke dwandh ke waqt bhi jaydatar apne nidra mein rhete the...woh bhaybheet thi...aaj?

"Kyu Meher?" Usne aage usse puchne ke koshish ke, "Yeh sab Anantrajya ke wajah se hai naa?"

Kuch pal ke liye dono ke beech shanti rhe jismein koi kuch nhi bola.

"Mujhe nhi pata Masster lekin yeh Anantrajya se jude hue sthan toh nhi hai. Lekin mujhe yahan pe kise aur hi cheez ke ek parchichit se aabha (aura) aa rhe hai...jis se main saalon pehle parichit the."

Karan ke yeh sab sunke kaan khade ho gye, "Fir kya chupa hai iss jagah pe agar yeh Anantraj se jude nhi hai toh...? Meher tumne aakhri baar unhe kab dekha tha."

"Masster...antim baar maine unhe Anantrajya mein dekha tha lekin pata nhi kaise woh ek din jaise wahan se gayab hi ho gye aur kai saalon bad mujhe Raja Subhadra ne yahan Vanrajya mein bhijwa diya."

Karan ne ek baar apne daadi pe haath fera aur Akansha ke taraf mudke dekha, "Mausi yeh vedika jitne dikh rhe hai utne saaf nhi hai...har ek kadam humein yahan pe fuk fuk ke rkhna hoga."

Kawey ne shanti ko bhang karne wale ek theekhe cheekh nikale aur fir udate hue dhund mein oojhal ho gya.

***

Karan aur Akansha aage badhte jaa rhe the aur saamne se dhund bhi chati jaa rhe the. Saamne unko ek chota sa khula maidan dikh rha tha- unkil manzil whi thi. Upar se woh ghaas aur kaii se dhaka hua tha.

Image-20250122-092751

Akansha ne ek lambi saans le, Hum yahan pahuch gye Karan!" usne dheere se bola uska dhayan aage hi tika hua tha. Karan aage badha aur usne kaii ko apne haathon se hata uske neeche dekha toh uske upar kuch prachin chin aur nishaaniyaan bani hue thein.

Peeche se Akansha ke uske kandhe pe haath rkha, "Main yhi tak jaa skte hoon Karan....iske aage tumhe akele hi jana hoga."

Karan ne kaaran jaanne ke liye apne baajyoon se ishara kiya.

Akansha se ghambeerta se uske nazron mein dekha, "Yhi riwaaz hai Karan...bas Anantrajya ke rajasi vansh ke hi iske aage jane ke anumati hai. Iske siwa aur koi bhi aage nhi jaa skta."

Karan ne Akansha ke haath pakde, "Mausi? Par aapko yaha akela-"

Lekin Karan ke smjh mein aaya ke andar Akansha ko le jana uske purwajon ke riti riwaazon ke khilaf hoga. Usne ek baar uss Vedika ke taraf dekha aur fir Akansha ke taraf dekhkar apna sir hilaya,

"Theek hai...Mausi"

Jaise hi apna pehla kadam andar jaane ke liye rkha andar ka tapaan ek dum se gir gaya, uska sharir halka sa jakad gya.

***

Karan andar dusre taraf se nikla, aur khade hue pillars ke beech mein se aage chalta jaa rha tha.

Image-20250122-101425

Koi bhi dekh ke baat dega ke yeh jagah saalon se sunsaan padi hue the. Uske boots neeche pathrile raaste se takra rhe the aur woh ek ek kadam fuk fuk ke rkh rha tha.

Andar chalte chalte usne charon taraf dekha toh deewaron par woh gade hue nishaniyaan usko bewajah toh nhi lage uske peecha pakka koi kaaran tha...khair Karan ne apna dhayan aage lagaya usse apne purvaj tak pahucha tha sabse pehle.

Meher abhi bhi uske pakad mein hil rhe the, aur Karan ko abhi tak uske iss bartaav ka kaaran nhi pata tha, "Abhi bhi tumhe kuch mehsoos ho rha hai kya...Meher?"

Meher ke awaaz uske dimag mein kuch der baad goonji, "Haa Masster...iss shakti ko main saalon bad mehsoos kar rhe hoon...lekin abhi itne saalon baad meri yaadaast mein nhi aa paa rha ke aakhir woh kya cheez hai."

Karan aage badha toh usne dekha ke idhar udhar kuch pathar ke patliyaan (tablets) pade hue the jinpar kuch chin bane hue the. Unhe fir se neeche rakhte hue woh aage badha aur aakhir antim kashya mein pahuch gya jahan pehle purvaj ke kabr gade hue the.

Apne badhe hue dhakon ko kaabu karte hue woh aage badha aur uske paas jane laga.

Kabr ke iss tarah pathar aaj tak usne nhi dekhe the, shayd isse Obsidian jaise kise keemti pathar se tarasha gya tha. Neeche Anantraj ka naam ek prachin leepe mein gada hua tha...Karan ne aaj tak yeh bhasa aur lipi toh nhi padhe the lekin woh yeh sab kyu padh paa rha tha? Ab usko dhayan aaya ke iss duniya ke bhasa aur varta ke tareke bhi toh Prithivi se bhin honge lekin woh abhi tak yeh yahan pe sabki boli smjh paa rha tha...iske peeche kya Raaz tha...apne mom se agle baar milne par usne soch liya ke woh yeh jarur puchega.

Aage badhkar woh uske paas jake neeche jhuka toh toh usko ek azeeb alokik shkti mehsoos hone lage aur woh uska sir jaise dard se fatne laga.

Apna batha usne kaskar pakda. Uske dhakdne badh chuke the, aur uske saanse bhi kat rhe thein.
Aur fir uske drishti badal gye uske aanke safed pad gye.

Anantnetra!

Usne peeche mudke dekha toh toh peeche pade hue kuch pathar ke tablets halke alag alag rang ke roshini se prakashit hone lage.

Usne paas jake un charon ko dekha toh unke upar alag alag kism ke chin bane hue the- ek ke upar ek jawalamukhi ke, dusre ke upar ek jharne ke, tesre ke upar ek badi se chattan ke aur antim ke upar ek chakravaat.

"Masster...ho na ho yeh chaar tatvon ke jude hue hi kuch hai...aap inko ek ek kar kar pakdiye aur jo iss par chin hai uss tatav ke baare mein sochiye...yeh tarika mujhe Pehle Purvaj ke jaamne se yaad hai woh isse tarike se apne vastuyon ko gupt rkhte hai...agar yeh jagah unse kuch bhi jude hai toh yeh kaam avashya kaam karna chaiye."

Karan ne Meher ke taraf dekha aur fir pehle pathar ke tablet ko uthaya jispar jawalamukhi ka chin bana hua tha aur apne aankhe band karke usne Agni ke baare mein dhyan kiya.

Lekin kuch samay baad kuch bhi pratikriya nhi mile. Karan ne aise karte hue dusre pathar ke tablet ko uthaya lekin usse bhi koi safalata nhi mile. Ant mein yeh tarika toh unka vifal rha.

"Ab kya Meher?" Karan ne gambheerta se bhare swar mein pucha.

Kuch der dono ke beech shanti rhe, "Nhi Meher...hain toh yeh char pathar lekin shayad yeh kisse kadi ke tarah hai...pehle hum inko alag alag leke chal rhe the. Humein shayad kise tarike se in sabko ek saath jodna hai!"

"Hmmm....masster ho skta hai... koshish karke dekhiye aapke dimag mein kya chal rha hai...mujhe toh abhi kuch smjh nhi aa rha...agar yeh Anantraaj ke samay se mujhe bahut kam hi cheeze yaad hai...aur yeh khandar bhi bahut purana hi lagta hai."

"Meher...yeh chaaron tatav jude hue hai...humein in sab mein santulan banana hoga...zara socho
Angi jalaati hai lekin usko Vayu ke awaysakta hoti hai
Jal jahan bhi behta hai nayi jameen ka nirman karta hai....mitti ko vayu apne saath uda ke ek sthan se dusre sthan pe le jate hai...ant mein Vayu jal ka hi ek hissa hai."

"Hmm...baat toh shi hai Masster koshish karke dekho"

Karan ne fir se ek baar jawalamukhi ke gade hue chin wale pathar ko uthaya aur iss baar vayu ke baare mein dhyan kiya. Fir usne neeche pade hue jharne wale pathar ko uthaya aur iss baar prithvi tatav ke baare mein socha...aisa karte karte usne charon pathar ek dusre ke upar rkh diye.

Chaaron pathar ke tablet uske haathon mein urja ke saath gol ghumne lag gye....Karan ne unko kaskar pakde rkha.

"Meheeer!!! Ab kya?!?"

"Master inko bas ek saath rkhe se nhi hoga...In sab ke beech mein santulan baaniye!"

Karan ne apne aankhe band karke chaaron tatav ke beech mein santulan ke baare mein socha. Kaise prakriti ke yeh vibhinn saktiyan hokar bhi ant mein ek saath rhete hai.

Achanak se pura jagah hilne lage aur woh chaar pathar ek dum se Karan ke haathon se chukar saamne ke deewar se takraye aur ek zor ka dhamaka hua.

Karan ne bachne ke liye apne haathon ke bal peeche chalang lagaye. Kuch der baad saamne se dhamake ke baad ka dhua hatne laga.

Andar tute hue deewar ke peeche ka kashya andhkaar mein duba hua tha jaise deewar ke peeche jo bhi tha usee saalon pehle bhula diya gya ho.

Karan ne pure satakarta se haath apna kadam aage badhaya, dusre haath mein Meher ko kaskar pakde hue. Uske nazar saamne pathar ke farsh par gade hue kashya ke beech mein ek vastu pe gye.

Image-20250123-225336

Ek sword? Fir se...yeh sab toh uske saath pehle ghatit ho chuka tha....lekin yeh Meher se alag thi.

Usne dhar laal rang ke roshini se prakashit thi. Aur uske andar se ek dhust kism ke skti bahar aa rhe the...jaise woh uske andar kaafi samay se band ho.

Achanak se Karan ne haathon mein Meher joron se kaanpe lage, "Yeh kaise ho skta hai?" Meher ne dabe hue awaaz mein kaha. Karan ne bhi aaj se pehle Meher ko itna bhaybheet kabhi nhi dekha tha.

Karan ke bauhe tan gye, "Kya hua Meher?!?"

Meher ne turant jawab nhi diya aur uske hichkichat ne Karan ne uske upar uske pakad ko aur majboot kar diya.

"Yeh Talwaar massster...yeh koi aam hathiyar nhi hai...yeh Kaalandard ke pehle KaalAadiraj- Vasura ke hai!"

"Kya?!?" Karan ke pura sharir jaka gya. Uske sharir mein jaise ek aprakirtik bhay ke leher daud gyi.

"Yeh Vasura ke talwaar hai...jab woh isko apne samay mein dharan karte the...aah!" Meher ke ek halki se cheekh nikale...jisse Karan chintit ho gya.

"Kya hua Meher? Tum theek toh ho?"

"Haa masster bas yeh sab kaafi purani yaadein hai...isliye kabhi kabhi ek sab yaad karke mere sir fatne lagta hai...par jitna mujhe yaad hai Anantraj ne Vasura ko 400 saal pehle hara diya tha lekin...mujhe yeh nhi pata ke uske baad iska kya hua...?"

"Masster!!!"

"Ha Meher!"

"Mujhe yaad aaya ke maine kabhi bhi Anantraj ko marte hue toh dekha hi nhi...toh fir yeh kabr unke kaise ho skte hai?"

Karan ka dil jooron se dhadak rha tha ke uss talwar ke paas jaake uske jaanch kare...lekin uska dimag keh rha tha ke yahn se jaldi se jaldi nikal le. Yeh sab Anantrajya ke itihaas ka woh hissa tha jo sab abhi uske pare the. Lekin uske ek baat abhi tak smjh nhi aaye- aakhir Vasura ke talwaar yahan kyu gade hue the?"

Har uss talwar ke taraf badhte hue kadam ke saath jaise uski rooh kaanp rhe the. Uske paas hone maatr se jaise bagal ke vayu vikrit ho jaate thi aur andhkar mein jaate the.

Achanak se charmahat ke dhwani kashya mein goonjne lage.

Hawa aur thandi ho gye.

Karan ka sharir anayaash ke kaanp utha aur usko peeche se jaise ek shakti apne aur kheech rhe the.

Kabr dheere se apne aap khulne lage.

Meher aur Karan pe bhay ke leher daud gye jab unhone dekha ke kabr ekdum se tut gye aur kabr ka malba pure kashya mein ek jhatke se fail gya.

Karan, Meher ko ek haath mein pakadar neeche apne ghuton ne bal jhuka aur fir apne haathon se khud ko aage se dhak liya.

Peeche Karan ne mud ke dekha toh suke chere ko dekhar dang reh gya. Woh neeche dekhte hue bahar aaya aur...uska aadha chera kise aise cheez se jhulsa hua tha jo ke nasvar sharir ke samjh ke pare tha.

Image-20250122-105545


Uske har ek kadam ke saath Karan ka dam ghut rha tha.

Uss aakriti ne bagal mein kashya no nihara, lekin Karan yeh mehsoos kar skta tha ke woh uske taraf hi dekh rha hai.

"Kaun hai ab jisne mere varson ke nidra mein vighn dala!"

Uske sharir ke upar se urja ke leher pure kashya mein daud pade jisse Karan dhakke ke saath peeche gir pada.

"Yeh sab kaise ho skta hai?" Meher ne dheere se uske kaan mein kaha, uske awaaz avishwas se bhare hue the.

Karan ne nabaj tez ho gye, "Meher kya yeh...pehle purvaj Anantraj hai?"

"Nhi!!!" Meher ne turant bina der ke jawab diya.

Karan ka gala sukh gya, "Fir...kon-?"

"Yeh Kaalandard ke pehle Adiraaj hai"

Karan ka jaise sharir jakad gaya, uske sharir ka har ek hisaa uske bol rha tha ke yahan se bhag jaye. Lekin uska sharir jaise wahin par jam gya tha.

Vasura uske taraf aage badha aur apna haath uthaya...peeche se woh talwar jameen mein se ek jhatke ke saath nikle aur udte hue uske haathon mein chale gye.

Jaise hi uss talwar ko Vasura ke chua, ek teekhe dhwani kashya mein fail gye aur Karan ne apne kaan apne dono haathon se dhak liye.

Vasura ne uss talwar ko apne haathon mein kaskar pakada aur uske chaaron aur andhakar aur bhi ghana hone laga, kaali chaayein bhi uske aage jhuk rhe the.

Usne Karan ke taraf dekha aur apne sir ko halka sa jhukaya, "Toh tum uske vansaj ho?"

Usne karkash awaaz hi saamne wale ko apne ghutnon ke bal jhukne ke liye majboor karne ke liye kaafi thi.

Karan isspe pehle ke kuch smjh pata ke woh kiske baat kar kar rha. Vasura saamne se gayab hua aur agle hi pal Karan ke aage prakat ho gya.

Vasura ne apne talwar se upar se neeche uske taraf vaar kiya, Karan ke paas khudko bachane ke liye muskil se waqt tha lekin usne fir bhi Meher ko beech mein lake uske talwar se bhida diya.

Dono viprit shaktiyon ke talwaaron ke takarne ke wajah se ek visfot hua aur kashya ke deeware chatake lage. Karan peeche dhake se saath jake deewar se takraya.

Uske sir ke peeche se khoon behne laga, achanak se Meher ke awaaz beech mein aaye,
"Masster...yeh bas Vasura ke ek chavi hai...jo ke iss talwar ke saath bach gye hai...apne purane maaster ke isse judav ke kaaran...yeh abhi apne puri shakti mein nhi hai...kuch bhi karke humein isse harana hi hoga!"

Karan haafte hue ek pal ke liye Meher ke baat sunta aur fir saamne uske aur badh rhe Vasura ke taraf dekhta.

"Kamjoor" Vasura halki chidane wali awaaz mein budbudaya.

Karan ne apne daant kase aur apne pairon mein jor laga ke khada hua, Meher ko apne haathon mein usne ek baar ghumaya.

"Lekin Masster yeh bhi dhayan rkhna...is talwar ke shakti abhi tak aapni jis kise se bhi saamna kiya usse kaafi alag hai"

Karan ne ek lambi saans le. Usko iss baat par bilkul shak nhi tha ke uske saamne nark ka pehla KaalAadiraj toh nhi tha par ab usko woh sword khud ke liye chaiye the!

Karan ne apne saanso ko sthir kiya, Agni ke lapte uske haathon ke chaaron aur sarpon ke tarah ghumne lage. Agni ke lapton ne uske saamne ne andhakaar ko halka sa chatya, lekin saamne Vasura usse bilkul aprabhavit khada tha. Karan samjh gya ke uske khilaf use hi pehla vaar karna hoga...kyuki woh nhi jaanta ke uske paas kon kon se shakti ho.

Karan ke pairon ne neeche se agni jalne lage aur aamanviya gati se Vasura ke taraf dwada...jaise hi dono ke blade aapas mein takraye fir se pura kashya goonj utha.

*Clang*

Karan ne apne daant kaskar beechte hue apne dusre khali haath se uske pet mein kaskar do teen baar vaar kiya. Lekin saamne Vasura bina kise pratikriya ke khada rha apne ek haath se apne talwar ko kase.

Karan ne dekha ke aise rukne ka koi faida nhi hai toh woh unke takrav ke viprit ghuma, Meher ko dono haathon ke beech mein pakadte hue usne ek Reverse slash kiya, jo ke Vasura ke dhahini taang pe hote use use chati ko kaate hue nikal gya.

Uska kaale rang ka sukha khoon neeche jaamein par girne laga.

Vasura yeh sab dekha ke hasne laga, aur bina furti se aage haath badhate hue Karan ko apne baany haath se uthaya, Karan ko laga ke jaise uske sharir se koi uske praan hi kheench rha ho.

"Maassster!! Kaise bhi peeche hato yahan se"

Karan ne pure Jaan Laga ke uske haath se khudko chudane ke koshish ke, uske chati pe apne dono pairon se usne kick kie....jiske dhakke ke woh uske pakad se chuta aur apne haathon ke bal ek baar backflip leke seedha ho gya.

Karan aage dekh rha tha itne pe deewar ke peeche se ek shadow nikle, aur isse pehle ke Karan kuch smjh pata uske kamar ke paas se apne paine panjo se slash karte hue chale gye.

Peeche se dusre shadow ne uske peeth pe kick kiya aur woh ek jor ke jhatke ke saath jaake jameen par pet ke bal gir gaya.

WHAM!

Karan jor se khansa, uska pura shareer dard se cheekh rha tha, apne daanth jakdete hue usne upar uthne ke koshish ke.

"Bas itna hi?" Vasura ne apna blade uthaya jo ab hare rang se liquid poison neeche tapak rha tha. Uske bagal mein do shadow ke form mein dark wraiths deewar ke peeche se nikal kar Vasura ke peeche aakar khade ho gye.

Ek wraith ne uske upar apne panje se hamla kiya, Karan ne apna sir bachane ne liye neeche kiya. Wraith ke nukele panje paas ke ek khambe ko slash karte hue chale gye jiske upar daraar padne lage. Bina waqt gavaye, dusre wraith ne apne nukele daantho se Karan se taango pe apne muh se vaar kiya. Karan ke khambe pe jor se apne pairon par kick ke aur peeche Baal Baal bachte hue kudte hue uss wraith ke chere par ek punch kiya...lekin ek pal baad uska chera fir se ussi roop mein aa gya

"Masster inko maara nhi jaa skta...abhi toh yeh keval Vasura ke shakti ke roop hai...humein kaise bhi inse bachte hue us tak pachuchna hoga!"

"Meher! Aur kis kis baat ka dhyan rkhna hoga-?" Isse pehle ke Karan apne baat ko pura kar pata saamne se Vasura fir gayab ho gya, Karan agal bagal pure kashya mein usko dhundhne laga.

"Masster upar!!!"

Karan ne Meher ke awaaz sunte hi teeze se bagal mein roll kiya. Vasura ka blade uske gale ko halka sa slash karte hue nikal gya.

Neeche jameen pe jahan Vasura ka blade katate hue nikala wahan ek kaale rang ke daraar pad gye. Andar se dark energy jaise jameen ko apne andar keech rhe the aur ab wahan se jameen hi gayab ho chuke the.

Fir Vasura ne side se ek baar baar teze ss horizontal slash kiya.


fda2af708b438b1ae6d6e8cf145670ce

Karan ne uske vaar ko pehle hi bhaanp liya tha neeche bagal mein ek tute hue khambe par haath rkhe hue woh hawa mein kuda. Mid-air usne neeche apna sir fira ke deewar ke taraf dekha.

"Void?!?" Karan ke yeh soch ke saanse ek pal ke liye ruk gaye.

***

Vanrajya ke ghane jangalon ke beech base hue ek shelter mein. Veleys ne apne aankhe khole aur neeche jaamein par baichane se kudne laga. Neeche ek ladke ke crate ke paas Prachi jhuki hue baithi thi, usne Veleys ke baichane ko dekha.

"Shaant ho jao, Veleys? Kya hua tumhein?" Usne uske peenth ke upar haath fira kar kaha. Lekin Veleys par iska koi asar nhi pada aur baichne se idhar udhar ghumta rha.

Thodi der baad andar shelter ke parde khule aur usmein ek koi bahar nikla.

Neele rang ke saari pahne Nandani baahar aaye aur uske nazare baichain Veleys par pade.

IMG-20250123-223942

"Kya hua isse Prachi? Har din toh yeh bahut shaant rhenta hai"

Prachi ne ek pal ke baad jawab diya, "Pata nhi Maharani aaj yeh shaant hi nhi ho rha hai"

Nadnani ne neeche jhuk ke Veleys ke garam maathe ko apne thande aur narm ungliyon se chua. Sparsh se Veleys sirha utha.

Nandani ne apne aankhe ek pal ke liye band ke, uske haathon se ek hare rang ke liquid tapakne lage.

Karan aur uske beech abhi bhi woh connection bhaanp skti thi. Lekin unke agle hi pal woh Veleys ke vyatha smjh gye.

Nadnani ke saanse agle hi kshan ne liye dheeme pad gye, "Kaaaran!" Woh chilayi.

Prachi, Nandani ke bhav ko ghambeerta se dekh rhe the, "Kya woh-....mera matlab ke Yuvraj theek toh hai?"

Nadnani lambe kshn ke liye chup rhe, fir apne thodi upar kar ke uske Prachi ke aankhon mein dekha, "Woh abhi lad rha hai!"

Prachi ke chere par chinta aa gye, "Lad rhe hain? Kisse?!?"

***

Jaalraaj ka Rajmahal shanate mein khada tha, uske deewaron par torchlights neeche Mahal ke unche deewaron par roshini daal rhe thein.

Mesaka apne kashya mein akele khadi thi...aur woh aage ke apne masubon ke pure hone ke khusi apne man mein pehle hi mana rhe the.

Aage badhkar usne apne shinghasan ke armrest par haath fera- jald hi pura Vanrajya uske kabje mein hoga. Vanrajya ka saath bas usko kuch saalon ke liye dena padega lekin jab ek baar uske sainikon ko wahan bina kisi rok tok ke bhraman karne ke anumati mil jayege. Toh woh apni chal ke agle pehlu par jaa skti hai. Woh apne sunhere bahvisya ko saaf saaf dekh skti thi.

Achanak se kashya mein faila hua shanata tuta. Viyali ke bhagne me kadmon ke awaaz pura kashya mein goonjhne lage.

Viyali dabe hue saanse le rhe the aur use maathe par se pasine ke boondein tapak rhe thein. Uska daayn bhuja par ek cut ka nishan tha jaise ke abhi hi woh kise khatarnak sthithi se bach ke nikle ho.

Mesaka ne apne bauhe sikod ke Viyali ke iss awastha ko dekha, "Kya hua?!!" Apne drad awaaz mein pucha.

Viyali jo abhi bhi khudko sambhal rhe the, "Maharani....Rajmahal pe hamla hua hai!!"

Kuch pal ke liye waqt jaise tham gya, Mesaka ko apne kaano par vishwas nhi ho rha tha.

Mesaka ka chera gusse se lal ho gya, "Kiske itne himmat?!?"

"Maharani woh Mutant Jalyak...unhone bahari deewaron ko tod diya hai!"

Mesaka ka chera avishwas mein dub gaya, yeh sab toh uske yoojnaayon mein nhi tha. Mahal ke deeware jo itne varson se unke yahan basne se khade hue thein, bhala unhein koi kaise tod ke andar ghus skta hai.

Mesaka ne gusse mein peeche rkhe shinghasan ko laat mari jisse woh neeche gir gaya

"Kaise?"
.
.
.
.
.

Aaj ke liye itna hi guys...shayd 1 chapter aur badhana pad jayega iss season mein lekin ismein bhi bahut kuch aage se related milega also iske aage kaafi fight hai I try to describe all the moves imagination se saath padhoge toh aur jayda maza aayega aage😋...plans ke hisab se sab kuch nhi chalta. Target apna whi 35...jitna jaldi pura hoga ultni jaldi main likhna chalu kar skti ho.
 
Last edited:
Top