• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance EHESHAS

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,463
189
"EHESHAS"​


Ek muskurati chehera phir ek chikh phir ek ladki ka rote hue alvida kahte hue chali jana
; Bohot si dhundli yaden do band ankhon me tair ne lagti hai. Phir kucch dhundli yaden spast hone lagti hain.

Class room me enter karte hi KRISHNA ka dill joron se dhadkne laga. Aaj pata nahin kyun itne salon baad ya phir kahun 6 salon baad dusri baar aisa hua tha ki bina kisi baajah ke uska dill jor jor se dhadak raha tha han woh alag bat hai tab school me hua tha aab college me ho raha hai. Aksar woh apni class time ke pahale se hi class room me pahonch jaata janha first year bach ke students ki class ki akhri wakt chal rahi hoti.First year student ki sankhya kuch jyada nahin tha, unki ginti kuch 12 ya 13 hi tha. Class room me ghuste hi woh madam ko Pranam kar ke right side me pade hue khali benches me ek jagah beth jata hai. Class khatam hone me aur bhi samay thi.

Krishna apni ish ehesahs ki bajah ki talash me apni najar ko idhar udhar ghumata hai. Ye eheshas kuch alag sa tha lekin naye nahin tha uske liye. Woh bhale bhanti parichit tha ish eheshas ke saath. Ek alag si bechaini aaj uski dimag me chalte aa rahe kai baaton ko suljhane me lagi thi. Ek nayi umang uski dhadkanon ki tej ko aur bhi uska rahi thi shayad uska dil kisi dusre dil ki intejar me thi aur apne ash pash usko mehesoos karte hi chikh chikh kar ush anjani dil ko bulane lagi thi.

Aaj woh khudko akela ya phir kahun khudko adhura mehsoos kar raha tha mano uski rooh se judi koi chiij ush se alag ho gaya ho aur barshon intejar ke baad aaj ush se milne ki aas me chikh chikh ke bula raha ho. Ish eheshas ko aap jo bhi naam dedo lekin woh jald hi issh se chutkara pana chahta tha. Tabhi uski nigah kanhi pe atak jata hai. Sthiti aisa kuch tha mano "MAGIC'' . Mano uski ankoon ko sirf isiki hi talash thi. Ankhen ki bhasa dhadkan samjhne lagi thi aur dhadkan ankhon ke jariye kisi dusre dil me pahonchna chahti thi aur dil to mano ankhoon ki takdeel me hi kaid ho gayi ush sundar si chehere se jud kar apni itntejar ki har pida ko mitane chahta ho .

Uske ish eheshas ko aisa jadoo chhua tha mano sukhe banjar ko jaise barish mil gaya ho, patjhad ko jaise basant ki mehek mil gayi ho, shabab ko jaise ek adhuri umang mil gayi ho. Woh to ek nimitta matra tha jo in eheshason ko kaid karne ki dussahas kar raha tha magar ushe kya pata tha woh khud hi in eheshason ke bandishon me bandh jayega.

Nigah ek hi jagah atki hui thi lekin dil ush kaid khana se chut kar kanhi aur bandi ho gayi thi. Hawa ke leher bhi ish dilon ki khel me shamil hone lagi thi. Hawa ke leher jaise gun guna kar in madhos bhara eheshas ko sanjiwani de rahi thi. Dhire dhire bahti hawayen jaise uske kan me madhos kardene wale apni gungunayi me awaj kah raha ho



"Haannn... yahi woh ehesahs hai
Jiski tujhe pyas hai...... yahi woh pyas hai...
Jiski tujhe talas hai...."
​

Lafj ne jaise in madhos palon ko aur bhi rangin banana chahata ho. Apni bandisi ki halat se mukt ho kar sirf ek hi naam bola "MEERA". . Aisa nahin tha ki Krishna aaj pahli bar Meera ko dekh raha tha lekin aaj pahli baar Meera ko dekh kar ek alag hi feeling mehesoos kar raha tha jaise ek sundar chehere ke rup me woh pahli bar Meera ko dekh raha ho. Aur wakai me Meera ajj pahle se bhi jyada khubshurat dikh rahi thi.
 
  • Like
Reactions: Story Collector

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,463
189
Meera..... first year ki ladki thi. Sundar to thi hi lekin jitni shant swabhav ki thi utni hi chulbuli aur shararati bhi thi bilkul ek bachhi ki tarah, hamesha muskurati rahti aur dil ki bohot achhi thi. Saf sabdon me kahun to khud ki anjane me bhi woh kisiki akarsan ki pratichhabi ban jati.

Krishna bas madhos si Meera ko hi dekhe jaa raha tha. Woh bhul chuka tha ki kanha hai aas pas kon kon hai.
Meera ko bhi aaj kuch alag sa mehesoos ho rahi thi pata nahin kyun ushe bhi aaj bechaini sa lag rahi thi,Ek ajib si akarsan ushe apni taraf khinch rahi thi....tabhi ushe laga ki koi ushe dekh raha hai. Woh idhar udhar dekhne lagti hai ki tabhi uski ankhen Krishna ki ankhon se takrati hai.Uski dhadkan tej hone lagti hai ,Ankhe wanhi par jam sa jaati hai , chahati to woh bhi thi ki najar hatale lekin chah kar bhi najar nahin hata paa rahi thi. Ek alag hi khinchawat thi Krishna ki ankhoon me jo Meera ko najre jamaye rakhne ke liye majboor kar rahi thi.

Krishna ka to jaise pankh hi lag gaye the lekin dhadkan uska kya chahe aap ushe dar ka naam de do ya phir pyar ki pahli sangeet woh to bas apne tibra gati me hi apni sarthakata ka dhindora peet raha tha. Lafz ne phir saath chhod diya aur dil ki dastan ko honthon me jagah de di..........''MEERA" ................
Ish awaj ke saath Meera ki palken band ho gayi aur labon pe ek muskurahat chha gayi , aab uski bechain dill ko chandan si thandak mil gayi thi mano uski dill ki sari mannaten puri ho gayi ho , anjan si rahon pe chalte ushe manjil mil gayi ho. Ankhen kholti hai samne Krishna ko ankhen band kiye wohi muskan ke sath pati hai jaise woh kuch der pahale muskura rahi thi.

Tabhi woh Krisna ko thik se dekhti hai...White shirt , black jeans aur bigde hue bal, ankhen band aur honthon pe muskan bohot hi cute dikh raha tha. Meera ki muskan aur bhi gahri ho gayi.
Tabhi class over ki bell bajti hai. Lekin krishna tha ki ankhen band kiye Meera ki aur dekhe jaa raha tha, ushe kisika koi khabar na tha na kuch sunai deta tha aur na kuch mehesoos ho raha tha bas sunai deta to dill ki dhadkan aur mehesoos hota to ek sukun bhara EHESHAS.
Jab uski tandra tuti to paya ki sare first year student class room se bahar jaa rahe hain. Najar bas dhundti rah gayi Meera ko lekin tab tak sare first year ke sare students class room se bahar jaa chuke hote hain, aas pas najar ghumata hai to pata hai uske year ke sare students apni apni seat me beth chuke hote hain yani woh Meera me itna kho gaya tha ki ushe pata hi na chala ki kab uske year student aaye aur kab bethe. Woh tadap sa gaya pata nahin ye keisa bhav tha lekin woh bas ye chahata tha ki ek bar , sirf ek bar Meera uske ankhon ke samne aa jaye. Woh anman sa uth khada hua aur class room ki bahar ki aur doud lagadi. Pichhe se MAM ki awaj aati rahi lekin kise parwah tha. Doudti hue phurti se sidion se niche utarne laga aur iske saath woh kai students ko cross karta gaya. Ek dum se kadam ruk sa gaya kyunki abhi abhi jisko woh cross kar gaya woh aur koi nahin Meera hi tha.

Pichhe mud kar dekhta hai to Meera kitab le khadi ho ke ek tak ushe hi dekhe jaa rahi thi. Ek step upar chadhta hai aur Meera ke samne aa jata hai. Man me na koi dar aur na koi chinta bas chahat tha to ek dusre ki ankhon me sama jana. Lekin Meera se aur raha nahin gaya woh sharam se apni palken jhukali kyun . Krishna ko Meera ki ish aada par pyar aane laga. Woh tay kar liya ki meera se apni dil ki bat kah kar hi rahega.

Krishna..........(bohot pyar se) Merra....

Krishna ki ish tarah se bulane par Meera ne phirse Krishna ki taraf dekhne lagi lekin phir sharam se apni palken jhukali...Lekin Krishna ne nahin roka,

Krishna........ Merra Kya tum abhi free ho? Mujhe tumse kuch baat karni thi.

Krishna ki ish baat se Meera ghbra gayi. Uske juban se shabd hi nahin nikal rahe the. Krishna ne phirse puchha to Meera ne hakla kar jawab diya...

Meera....... Sir.. Woh..main woh main..

Meera ko ish tarah se haklate dekh Krishna samajh gaya ki Meera ush se baat karne se dar rahi hai.Krishna ka chehera murjha sa gaya, ushe dukh hua ki Meera ush se baat karne ke liye dar rahi hai. Ladkion ki feelings ke bare me ushe thodi na pata tha lekin jo bhi ho Ushne Meera ko akela chhod dena hi sahi samjha.
Thoda dukhi swar me " Koi baat nahin main chalta hun"... kah kar Krishna Shidhion se niche utarne laga. Aise me to koi rishta na tha in donon ke bich lekin Meera ko aisa laga mano agar abhi Krishna ko abhi nahin ruka to Woh hamesha ke liye ush se dur ho jayega. Achanaak uski munh se nikli.......Krishnaaaaa............
 
  • Like
Reactions: Story Collector
Top