Hayaan
●Naam to Suna Hi Hoga●
- 6,280
- 13,930
- 144
Sorry Janu Bhai...Late Read karne ke liye...
Busy hu to Read nahi kar pa raha..
upar se apne thread par daily Update dene ka wada kar baitha hu...
Superr Fantastic Update Bro...
Har Update kw sath Kahani naye mod par ja rahi...Waiting for next....
Mind blowing...
Busy hu to Read nahi kar pa raha..
upar se apne thread par daily Update dene ka wada kar baitha hu...
Superr Fantastic Update Bro...
Har Update kw sath Kahani naye mod par ja rahi...Waiting for next....
Mind blowing...
Update
Ab tak....
choti choti baaton per 'utar niche tujhe dekh lunga' jaise vakya hamare khoon mein garmi ka ehsaas karwate rahe.
bus mein fanse khade logo ki hansi aur kehkaho se andaza lagana muskil tha ki log DUKH sehte hue hans rahe h ya HANSTE hue dukh seh rahe h.
Ab aage...
Manzil jyada dur nahi thi. Wo apne bus stop per utra aur chal pada.
Ab kuch pal he beete honge ki usja phone dobara apni upasthithi darz karwa gaya.
'Tumhe kya laga, tum bachkar bhag jaoge?.....'
'Dekh mere pass philhaal teri bakwas sunne je liye time nahi h.
Sidha mudde ki baat per aa...'
'Hahaaaaa, mudde ki baat.
To sun.. Jis thakur se tune panga liya h, ab wohi teri barbadi ka sidha sidha kaaran banega...'
'Dekh main phir se bata raha hun, mere pass time nahi h abhi teri bakwaas sunne ke liye.
Aur haan tujhse jo ban padta h kar, anzaam tu janta h.'
'Itni akad sahi nahi hoti mere dost. Maine tujhe phone to kisi aur wajah se kiya tha. Per ab ek salaah maan aur apne aapko chokana kar le.
Chal main tujhe ek free advise, are kya kehta hai tu...
Haaan yaad aaya maswara, to main tujhe maswara deta hun.
Sirf 47 ghante h tere pass apne bhot khass ko bachane ke liye.'
'Khel suru ho chuka h.'
ABHI ka ab dimag garam hota ja raha tha. Usne phone kaatkar apni jeb mein dala aur wapas apni manzil ki aur dhayan lagaya.
Aakhirkaar ABHI apne gantavya pahuch he gaya.
Wo wahan pahucha aur apna sook prakat kar wapas ho liya.
Lekin abki baar uske saath AK bhi tha.
'Main chala jata, teri jarurat abhi wahan per hai.'
'Main to sirf tujhe chhodne aaya tha.
Yeh kehkar AK portal khol sidha ABHI ke ghar ke piche le aata h use.
'Abe yahan quon laya, meri bike to bus stand per he hai.'
'Wo bhi aa jayegi kal tak.'
'Ab chalta hun. Per ek baat puchni thi.' AK prasanwachak ke taur per dekhte hue ABHI se bola.
'Main janta hun. Lekin Abhi samay nahi h in baaton ka. Kal free hoja fhir baat karte hai.'
'Thik h to kal main he aa jata hun. Gudiya se mile bhi kafi time ho gaya hai.'
Bas ek baar phir portal khula aur ab wahan keval ABHI reh gaya tha, jo wahan se ghum kar samne wale gate se ander entry leta h.