• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 123 [FINAL]

Sumit:- Mujhe kya pata hoga tumhare books mein kaunsa papers hai?

Kirti:- Tumhara love letter tha...Suru se le kar ant tak...Kya soch kar rakha tumne?

Kirti ki aawaj mein abhi bhi gussa tha.

Sumit:- Maine nahi rakha.

Kirti:- Abb to jhuth mat bolo.

Sumit:- Koi jarurat nahi hai mujhe jhuth bolne ki...Aur aisa mai karunga bhi kyu?
Pyaar ki baat tumhare saamne ki hai hamesha...Aisa peeth piche koi bhi cheej karne ki jarurat nahi hai mujhe.

Wo love letter to bas apne dil behlaane ke liye likhta tha...Aur apne paas hi rakhta tha.

Sumit ki baat khatm hote hi.

Megha:- Maine rakha tha wo love letter tere engagement ki din.

Megha ki iss baat par Sumit usse hairaani se aur Kirti gusse se dekhti hai.

Megha:- Tum dono hi nere dost thhe...Kirti...Tujhe to apna best friend maanti thi...Tour mein bhi tujhe hi sahi maanti thi.

Lekin dhire dhire sab kuch saaf dikhne laga...Sumit kitna sahi hai aur tu kitni galat...Sumit ko naa bolna tera faisla tha...Sahi bhi tha...Lekin galat bhi tu kar rahi thi...Sumit ko jaan bujh kar tadpa kar.

Pyaar nahi karti to saaf kehti ki tu usse pyaar nahi karti aur hamesha ke liye tera pichha chhod de.

Lekin tu itni acchi bhi nahi hai jitna dikhaati thi...Sirf mai jaanti hun ki tu har baar Sumit ko ek jhuthi ishaara deti thi indirectly ki abhi bhi shayad Sumit ke paas mauka hai...Aur ye khincha chala aata tha tere pichhe.

Bahut baar samjhaya tujhe...Lekin tujhe Sumit ko tadpaane mein hi majaa aa raha tha.

Jab bahut hua to maine ye love letters tere book mein rakh diya.

Ek baat to mujhe pata hai ki vakt har insaan ke liye accha nahi rehta...Jab tujhe apne bure vakt mein ye love letter milenge tab tujhe pata chalega tune kya galti ki hai? Tune Sumit ko nahi balki khud ko tadpaya hai...Jo tu Sumit par hans rahi thi wo anjaane mein khud ki bhavisya par hans rahi hai.

Aur aaj ye dikh bhi raha hai...Aur maaf karna Kirti...Tujhe dekh kar bilkul bhi bura nahi lag raha hai...Hamesha apna hi faaidaa dekhti thi...Dusro ki bhaawna ki to koi kadar hi nahi tha...Aur aaj tere saath ye ho raha hai to teri parwaah bhi kisi ko nahi hai.

Megha ki baat sun kar Kirti kuch der chup rehti hai...Fir kuch der baad.

Kirti:- Dr. Rahul ki baat sun kar Sumit ke prati mera bichaar badal gaya tha...Aur jab wo saari letter padha to samajh aaya Sumit mujhse kitna pyaar karta hai...Har ek shabd abb jaa kar mere dil ko chhuu raha tha...Usne jo shabd mere taarif mein likhe thhe usse ek baar fir apne aap ko samajhne lagi.

Ek baar fir puraane din yaad aa gaye...Mai kya hu aur kya kar sakti hun ye saari baatein samajh mein aa gayi...Jo itne vakt depression mein thi ek dum se ek nayi urja ka anubhav hua...Fir se taiyaar ho gayi puraane vakt ko waapas laane ke liye aur apna puraana Sumit bhi.

Har ek jor laga diyaa padhaayi mein aur fir padhaai mein pehle ki tarah kaafi accha kiya...Puraana Kirti to ban gayi par puraana Sumit naa mil saka...Abb wo badal chuka hai.

Shayad maine hi der kar di...Padhaai ke chakkar mein aur khud ko pehle ki tarah badalne mein itna der kar di ki abb tum (Sumit) kisi aur ke ho gaye.

Kirti ki baat sun kar Sumit kuch bolne hi wala tha ki.

Kirti:- Sumit tumhara wo letter hi tha mere badlaaw ke kaaran...Shayad uss vakt mai letter padhne ke sahi haalaath mein thi warna koi aur vakt hota to letter dekhte hi faad ka fenk deti.

Jab se tumhare letter ko padha hai khud ko dobara se special feel karne lagi thi...Pyaar kya hota hai ye samajhne lagi thi...Mera subah tumhare letter padh kar suru hota aur shaam ka ant bhi.

Tumse bahut pyaar karne lagi thi...Issi ehsaas ko jeene mein itna vakt lag gaya ki pata hi nahi chala bahut der ho chuki hai...Tumse kitna pyaar karta hun...Kaash ek mauka milta ye bataane ke liye.

Kaash thoda jaldi kiya hota to aaj tum mere hote.

Ye kehte hue Kirti ki aankho mein aansu aa gaye.

Sumit jo bahut der se kuch kehne ke liye taiyaar tha mauka milte hi kehna chaalu kiya.

Sumit:- Kirti...Tumhari feelings ka respect karta hu...Ye sach hai ki maine tumse pyaar kiya tha...Bahut pyaar kiya tha...Tumhare piche paagal tha...Lekin ek sacchai aur bhi hai.

(To Megha) Yaad hai ek baar tumne mujhse ek sawaal puchha tha...Mai tumse jyaada pyaar karta hu ki Kirti se karta tha?

Sawaal ka jawaab bahut aashaan tha...Lekin jawaab dene ka sahi samay nahi tha.

Kirti tumhe ek tumhari hi kahani sunaata hun.

UPDATE 105



Sumit:- (In his mind) Kuch to baat hai Megha mein jo bahut saari baaton mein mujhe galat saabit kar deti hai :). Bahut cheejon ke liye mera najariya badal gaya.

Shayad inhi baaton ki vajah se uske itne karib aa gaya. :happy:

Apne inhi khayalon mein khoya hua Sumit chola bhatura khaa hi raha tha ki kuch dur aage baithe ladkiyon ki aawaj Sumit ke kaan mein pada.

Ladki 1:- Accha to ye bata...Kab propose kar rahi hai Sumit ko fir se.

Ladki 2:- Pata nahi...Abb to shayad wo mujhse naraaj ho gaya hoga.

Ye sunte hi Sumit ke man mein khayal aaya.

Sumit:- Har baar Sumit ka hi chutiya kat ta hai.

Muskuraate hue Sumit waha se utth gaya aur Megha ke liye bhi ek chola bhatura order kar ke waha se nikal gaya.

Apne hi dhun mein bike chala rahe Sumit jab Megha ki gaanw mein pravesh kiya to alag hi utsaah uske man mein bhar aaya.

Baad mein maine tumhara chehra dekh liya tha...Ek baat to confirm tha...Tum mujhe mil jaati aur Megha mujhse bahut naraaj thi...Usse manaane ke liye mujhe bahut mehnat karna padta aur uska na maanne ka dar alag se.

Lekin mai abb apne man se puri tarah se Megha ka ban chuka tha...Tumhara chapter wohi khatm kar diya ye soch kar ki aage kabhi mulakaat bhi nahi hoga...Aaj ki baat aur hai.

Tumhe uss vakt 2nd option bhi nahi rakha tha...Yaa to Megha ka yaa phit kisi se koi pyaar hi nahi...Bas gharwalo ki faisla se koi arranged marriage aur koshish karta ki ek accha husband ban paau.

Megha...Abb tum hi bataao mai kisse jyada pyaar karta hun.


Megha khushi mein koi jawaab hi nahi de paayi.

Kirti:- Kya mera galti itna bada tha?

Sumit:- Galti dekha jaaye to tumhara kuch khaas nahi tha...Faisla tumhe karna tha...Aur tumne naa kaha.

Bahut vakt laga ye jaanne mein ki pyaar mein vishwash bhi utna hi jaruri tha...Hamaare bich vishwash to kabhi tha hi nahi.

Megha ko dekho...Jab mai kuch nahi tha yaha tak ki mai khud barbaadi ki taraf jaa raha tha uss vakt Megha ne mujh par vishwash kiya...Aur aaj tak karti hai...Megha se pyaar karne ka to bahut vajah hai...Bas itna hi bata do Jis ladki ne mera saath diya jab mai barbaad tha, jeene ka koi vajah nahi tha, bhavisya andhakaar tha uss ladki ko kaise chhod sakta hun...Itna bhi bewkoof nahi hun.

Maine kabhi pyaar ka compare nahi kiya...Lekin Megha ki case hi alag hai...Megha ko itna chaahta hu mai jita khud ko bhi nahi.

Sumit ki iss baat par Megha usse garv ke saath dekhti hai to Kirti kuch bol nahi paati...Kuch der baad himmat kar ke.

Kirti:- Iss janm mein to tum mere nahi ho sake? Kya agli janm mein?

Sumit:- 7 janm tak Megha ka hone ka kasam khaa chuka hun.

Kirti:- Uske baad?

Sumit:- Agar usse bhi jyaada janm le liya to bore ho ke kisi himalaya parvat par chala jaaunga moksh ke liye.

Kirti abb kuch nahi boli.

Sumit:- Itna aage ka kyu soch rahi ho...Enjoy karo...Issi jindagi ko...Aage ka kisne dekha hai?

Kirti:- Lekin kaise?

Sumit:- Mai chaahta to tumhare haalat par khush ho sakta tha...Ye samajh sakta tha ki jo tumhare saath hona chahiye tha wo ho raha hai.

Lekin mai Megha ke saath paa kar itna khush hun ki kisi ke liye koi galat soch bhi nahi rakhna chaahta.

Tumhara haalat abhi aisa hai jo mera uss vakt tha jab tum mujhe chhod kar gayi thi...Lekin jindagi yaha khatm nahi hoti.

Aise mein hum ye maanne ki haalaath mein nahi hote ki aage hamara bhavisya ujjwal bhi ho sakta hai...Mai bhi nahi maanta tha...Lekin bura vakt jyaada nahi tikta hai...Ek ummeed mil hi jaata hai...Jaise mere liye Megha.

Tumhe bhi milega bas jaruri hai to vishwash aur sahi vakt ka.

Iss baat par Kirti chup hi rahi.

Sumit:- Faisla tumhara hai...Jindagi ko aage le jaana chaahti ho yaa piche wohi depression mein jaana chaahti ho.

Kam se kam mera wohi letter ko yaad kar lo...Kitni strong ho tum?

Iss baat par Kirti kuch der ke baad boli.

Kirti:- Khush raho tum.

Sumit:- Tum bhi.

Kirti abb udaas chehra mai ek muskaan ke saath jaane lagi...Aaj usse pata chal gaya tha jindagi mai usne kya khoya hai.

Gate mein jaa kar usne Sumit se fir pucha.

Kirti:- Kya hum dost ban sakte hai?

Sumit:- Sir dost.

At Night

Sone ki saari taiyaari karne ke baad Sumit aur Megha bed par thhe.

Sumit Megha ki pet par haath ferta hai aur Megha sirf muskuraati hai.

Sumit:- Abb to bas yahi intejaar hai.

Bas fir dono apne apne khayalon ke saath soo jaate hai.

Megha sochti hai ki kaha se suru hua pyaar kaha tak chala aaya aur abhi bhi uske saath hi aage chal raha hai.

Wohi Sumit soch raha tha ki itne bhool karne ke baad bhi khush kismat hai wo ki abhi bhi itna hansi khushi apne jindagi jee raha hai...Megha ki uski jindagi mein aana uske jindagi ka sabse bada upahar tha.

THE END
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
WRITER'S NOTE

Friends sabse pehle to aap sabhi se maafi maangna chahunga ki story mein itna delay hua aur kaafi time lag gaya complete karne mein.

Aap sabhi ko story padhne aur reviews dene ke liye bahut bahut dhanyabaad...Abb story complete ho chuka hai...Overall story kaisa laga ye bhi jarur bataiye.

Aaj tak jitna bhi story likha hai sabhi ko complete kiya hai iss baat ka garv hai...Maine tab se hi socha tha jab story likhna suru kiya bhi nahi tha ki agar story likhunga to complete jarur karunga...Aise hi bich mein adhura chhod kar nahi bhagaunga...Lekin iss story ko complete karne mein bahut samay lag gaya iss baat ja thoda dukh hai.

Abhi aage koi bhi story ke baare mein socha nahi hai samay ki kami ki vajah se...Fir se aap sabhi ko itna intejaar karwana nahi chaahta...Agar kabhi story likhunga to pehle bahut saare updates likhne ke baad hi aur jab khud par vishwash ho ki regular updates de paaunga tab hi naya kahani suru karunga.

Aur Mentality se le kar Ek Bhool 2 tak 5 kahani likha hai...Itne vakt mein bahut kuch sikha hai...Bahut se readers mile hai reviews mile hai jisse kaafi prerana mila hai...Aage bhi kuch na kuch likhne mein madad milega...Kaafi accha vakt raha story likhne ka aap sabhi ki saath ki vajah se.

Bahut Bahut dhanyabaad.
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
UPDATE 123 [FINAL]

Sumit:- Mujhe kya pata hoga tumhare books mein kaunsa papers hai?

Kirti:- Tumhara love letter tha...Suru se le kar ant tak...Kya soch kar rakha tumne?

Kirti ki aawaj mein abhi bhi gussa tha.

Sumit:- Maine nahi rakha.

Kirti:- Abb to jhuth mat bolo.

Sumit:- Koi jarurat nahi hai mujhe jhuth bolne ki...Aur aisa mai karunga bhi kyu?
Pyaar ki baat tumhare saamne ki hai hamesha...Aisa peeth piche koi bhi cheej karne ki jarurat nahi hai mujhe.

Wo love letter to bas apne dil behlaane ke liye likhta tha...Aur apne paas hi rakhta tha.

Sumit ki baat khatm hote hi.

Megha:- Maine rakha tha wo love letter tere engagement ki din.

Megha ki iss baat par Sumit usse hairaani se aur Kirti gusse se dekhti hai.

Megha:- Tum dono hi nere dost thhe...Kirti...Tujhe to apna best friend maanti thi...Tour mein bhi tujhe hi sahi maanti thi.

Lekin dhire dhire sab kuch saaf dikhne laga...Sumit kitna sahi hai aur tu kitni galat...Sumit ko naa bolna tera faisla tha...Sahi bhi tha...Lekin galat bhi tu kar rahi thi...Sumit ko jaan bujh kar tadpa kar.

Pyaar nahi karti to saaf kehti ki tu usse pyaar nahi karti aur hamesha ke liye tera pichha chhod de.

Lekin tu itni acchi bhi nahi hai jitna dikhaati thi...Sirf mai jaanti hun ki tu har baar Sumit ko ek jhuthi ishaara deti thi indirectly ki abhi bhi shayad Sumit ke paas mauka hai...Aur ye khincha chala aata tha tere pichhe.

Bahut baar samjhaya tujhe...Lekin tujhe Sumit ko tadpaane mein hi majaa aa raha tha.

Jab bahut hua to maine ye love letters tere book mein rakh diya.

Ek baat to mujhe pata hai ki vakt har insaan ke liye accha nahi rehta...Jab tujhe apne bure vakt mein ye love letter milenge tab tujhe pata chalega tune kya galti ki hai? Tune Sumit ko nahi balki khud ko tadpaya hai...Jo tu Sumit par hans rahi thi wo anjaane mein khud ki bhavisya par hans rahi hai.

Aur aaj ye dikh bhi raha hai...Aur maaf karna Kirti...Tujhe dekh kar bilkul bhi bura nahi lag raha hai...Hamesha apna hi faaidaa dekhti thi...Dusro ki bhaawna ki to koi kadar hi nahi tha...Aur aaj tere saath ye ho raha hai to teri parwaah bhi kisi ko nahi hai.

Megha ki baat sun kar Kirti kuch der chup rehti hai...Fir kuch der baad.

Kirti:- Dr. Rahul ki baat sun kar Sumit ke prati mera bichaar badal gaya tha...Aur jab wo saari letter padha to samajh aaya Sumit mujhse kitna pyaar karta hai...Har ek shabd abb jaa kar mere dil ko chhuu raha tha...Usne jo shabd mere taarif mein likhe thhe usse ek baar fir apne aap ko samajhne lagi.

Ek baar fir puraane din yaad aa gaye...Mai kya hu aur kya kar sakti hun ye saari baatein samajh mein aa gayi...Jo itne vakt depression mein thi ek dum se ek nayi urja ka anubhav hua...Fir se taiyaar ho gayi puraane vakt ko waapas laane ke liye aur apna puraana Sumit bhi.

Har ek jor laga diyaa padhaayi mein aur fir padhaai mein pehle ki tarah kaafi accha kiya...Puraana Kirti to ban gayi par puraana Sumit naa mil saka...Abb wo badal chuka hai.

Shayad maine hi der kar di...Padhaai ke chakkar mein aur khud ko pehle ki tarah badalne mein itna der kar di ki abb tum (Sumit) kisi aur ke ho gaye.

Kirti ki baat sun kar Sumit kuch bolne hi wala tha ki.

Kirti:- Sumit tumhara wo letter hi tha mere badlaaw ke kaaran...Shayad uss vakt mai letter padhne ke sahi haalaath mein thi warna koi aur vakt hota to letter dekhte hi faad ka fenk deti.

Jab se tumhare letter ko padha hai khud ko dobara se special feel karne lagi thi...Pyaar kya hota hai ye samajhne lagi thi...Mera subah tumhare letter padh kar suru hota aur shaam ka ant bhi.

Tumse bahut pyaar karne lagi thi...Issi ehsaas ko jeene mein itna vakt lag gaya ki pata hi nahi chala bahut der ho chuki hai...Tumse kitna pyaar karta hun...Kaash ek mauka milta ye bataane ke liye.

Kaash thoda jaldi kiya hota to aaj tum mere hote.

Ye kehte hue Kirti ki aankho mein aansu aa gaye.

Sumit jo bahut der se kuch kehne ke liye taiyaar tha mauka milte hi kehna chaalu kiya.

Sumit:- Kirti...Tumhari feelings ka respect karta hu...Ye sach hai ki maine tumse pyaar kiya tha...Bahut pyaar kiya tha...Tumhare piche paagal tha...Lekin ek sacchai aur bhi hai.

(To Megha) Yaad hai ek baar tumne mujhse ek sawaal puchha tha...Mai tumse jyaada pyaar karta hu ki Kirti se karta tha?

Sawaal ka jawaab bahut aashaan tha...Lekin jawaab dene ka sahi samay nahi tha.

Kirti tumhe ek tumhari hi kahani sunaata hun.



Baad mein maine tumhara chehra dekh liya tha...Ek baat to confirm tha...Tum mujhe mil jaati aur Megha mujhse bahut naraaj thi...Usse manaane ke liye mujhe bahut mehnat karna padta aur uska na maanne ka dar alag se.

Lekin mai abb apne man se puri tarah se Megha ka ban chuka tha...Tumhara chapter wohi khatm kar diya ye soch kar ki aage kabhi mulakaat bhi nahi hoga...Aaj ki baat aur hai.

Tumhe uss vakt 2nd option bhi nahi rakha tha...Yaa to Megha ka yaa phit kisi se koi pyaar hi nahi...Bas gharwalo ki faisla se koi arranged marriage aur koshish karta ki ek accha husband ban paau.

Megha...Abb tum hi bataao mai kisse jyada pyaar karta hun.


Megha khushi mein koi jawaab hi nahi de paayi.

Kirti:- Kya mera galti itna bada tha?

Sumit:- Galti dekha jaaye to tumhara kuch khaas nahi tha...Faisla tumhe karna tha...Aur tumne naa kaha.

Bahut vakt laga ye jaanne mein ki pyaar mein vishwash bhi utna hi jaruri tha...Hamaare bich vishwash to kabhi tha hi nahi.

Megha ko dekho...Jab mai kuch nahi tha yaha tak ki mai khud barbaadi ki taraf jaa raha tha uss vakt Megha ne mujh par vishwash kiya...Aur aaj tak karti hai...Megha se pyaar karne ka to bahut vajah hai...Bas itna hi bata do Jis ladki ne mera saath diya jab mai barbaad tha, jeene ka koi vajah nahi tha, bhavisya andhakaar tha uss ladki ko kaise chhod sakta hun...Itna bhi bewkoof nahi hun.

Maine kabhi pyaar ka compare nahi kiya...Lekin Megha ki case hi alag hai...Megha ko itna chaahta hu mai jita khud ko bhi nahi.

Sumit ki iss baat par Megha usse garv ke saath dekhti hai to Kirti kuch bol nahi paati...Kuch der baad himmat kar ke.

Kirti:- Iss janm mein to tum mere nahi ho sake? Kya agli janm mein?

Sumit:- 7 janm tak Megha ka hone ka kasam khaa chuka hun.

Kirti:- Uske baad?

Sumit:- Agar usse bhi jyaada janm le liya to bore ho ke kisi himalaya parvat par chala jaaunga moksh ke liye.

Kirti abb kuch nahi boli.

Sumit:- Itna aage ka kyu soch rahi ho...Enjoy karo...Issi jindagi ko...Aage ka kisne dekha hai?

Kirti:- Lekin kaise?

Sumit:- Mai chaahta to tumhare haalat par khush ho sakta tha...Ye samajh sakta tha ki jo tumhare saath hona chahiye tha wo ho raha hai.

Lekin mai Megha ke saath paa kar itna khush hun ki kisi ke liye koi galat soch bhi nahi rakhna chaahta.

Tumhara haalat abhi aisa hai jo mera uss vakt tha jab tum mujhe chhod kar gayi thi...Lekin jindagi yaha khatm nahi hoti.

Aise mein hum ye maanne ki haalaath mein nahi hote ki aage hamara bhavisya ujjwal bhi ho sakta hai...Mai bhi nahi maanta tha...Lekin bura vakt jyaada nahi tikta hai...Ek ummeed mil hi jaata hai...Jaise mere liye Megha.

Tumhe bhi milega bas jaruri hai to vishwash aur sahi vakt ka.

Iss baat par Kirti chup hi rahi.

Sumit:- Faisla tumhara hai...Jindagi ko aage le jaana chaahti ho yaa piche wohi depression mein jaana chaahti ho.

Kam se kam mera wohi letter ko yaad kar lo...Kitni strong ho tum?

Iss baat par Kirti kuch der ke baad boli.

Kirti:- Khush raho tum.

Sumit:- Tum bhi.

Kirti abb udaas chehra mai ek muskaan ke saath jaane lagi...Aaj usse pata chal gaya tha jindagi mai usne kya khoya hai.

Gate mein jaa kar usne Sumit se fir pucha.

Kirti:- Kya hum dost ban sakte hai?

Sumit:- Sir dost.

At Night

Sone ki saari taiyaari karne ke baad Sumit aur Megha bed par thhe.

Sumit Megha ki pet par haath ferta hai aur Megha sirf muskuraati hai.

Sumit:- Abb to bas yahi intejaar hai.

Bas fir dono apne apne khayalon ke saath soo jaate hai.

Megha sochti hai ki kaha se suru hua pyaar kaha tak chala aaya aur abhi bhi uske saath hi aage chal raha hai.

Wohi Sumit soch raha tha ki itne bhool karne ke baad bhi khush kismat hai wo ki abhi bhi itna hansi khushi apne jindagi jee raha hai...Megha ki uski jindagi mein aana uske jindagi ka sabse bada upahar tha.



THE END
:reading:
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Bdiya update champ Bhoi :love:
Vse aap to kh rhe the 3 update bche h unko merge krunga last update me ,ye lg to nhi rhe 3 update :D

Sayad last me khani jldi nipta diye
Btw khani ye bhi phle ki khaniyo ki tarah best thi, jaisa ki Maine phle bhi kha tha romance genre me champ Bhai ka koi mukabla nhi h
Lekin is story me update gap itna jyada tha ki Kai baar yad hi nhi rhta tha piche kya hua :D
Halanki jo readers ab padenge,unka fayda h , complete story pdne ko milegi,hmari tarah waiting nhi karni padegi :D

Aur mere favourite character Rashmi ka conversation bhut Kam likha h story me champ Bhai :cry:

Btw agli story ka intezar rhega champ Bhai. :hug:

Aur khush rhiye , mast rhiye :pray:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,389
150,105
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top