✪━━━✠ ༺❁༻✠━━━✪
Update -3 : Flashback of Avi's Journey-Pt.1
✪━━━✠ ༺❁༻✠━━━✪
Ab tak...
Last update mai mene aap sabhi ko avi ke pariwaar se introduce kiya tha aur unne sabhi ke baare mai aapko ek brief diya tha ab aage....
.
.
.
Ab aage...
Vaise toh Jindagi Ki Har avastha ya stage ka Apna Ek alag mahatva Hota Hai. Kyunki Agar Jindagi Ki Kisi avastha Ka mahatva Nahin Hota To Shayad Vo avastha jindagi mai hoti hi Nahin.
Balyavastha Se Lekar vridhavastha Ke Adbhut Safar ko Sansar ka Har Jeev pura karta hai.
Par ye aksar dekhne ko milta hai ki logo ko apne jeevan ke sabhi avasthao mai se yuvavastha se sabse jayada lagav hota hai. Wo aksar ye chahte hai ki vo humehsa yuvavastha mai hi rahe.
Is Baat ke Aadhar per yah Kahana galat Nahin hoga Ki Sansar Ka Har Jeev Apne yuvavastha se Prem karta hai per Jitna yah Satya hai utna hi ye satya hain ki Sansar ka Har Jeev Apne vridhavastha se Gharna karta hai.
Chahe vah yah gharna vyakt Karen ya na Karen par uske antar mann ka satya yahi hai ki...
"Es duniya ka har Mortal Immortal bannena chahta hai."
Yah Chahat Sansar ke har mortal mein hai Par iss Chahat ko pura karne ke liye is Disha Mein apna kadam badhane ki himmate bus khuch hi mortals mai hote hai.
Unne Mortals ki immortal bnn ne ki chahate ittni jayada hoti hai ki vo uske liye apna sab khuch daav par laga dete hai kyuki unke liye immortal bnne na hi unke jeevan ka ek maatra lakshya hai.
.
.
"Stop it you fucking system, mene tumhe sabhi ko mere baare mai batane ke liye kaha tha but tum toh pakane lage...lagta hai ye kaam mujhe hi karna hoga"
.
.
Hi everyone !!
Umeed karta hun aap sabhi mujhe bhule nahin ho mai hun avi, 1st update mai aap sabhi se mulakate ki thi yaad hai...agar yaad hai toh well and good aur agar nahin hai toh tab bhi kaha tha ab bhi kah raha hun
"Avi - Naam yaad karlo kaam aaega"
.
.
Aap sabhi soch rahe hoge ye upar ki bullshit kya hai aur aakhir kaar chal kya raha hai?
Toh fikr not abhi batata hun.
Last update mai fuadsuhaimi ne aap sabhi ko meri family se milwaya tha including me but vo kewal ek brief intro tha iss karan ussne aap sabhi ko mere baare mai detail mai nahin bataya.
.
.
.
Khuch baate hai jo aap sabhi ko pata honi chahiye kyuki usske bina aap iss safar mai confuse rahenge.
Toh ye confusion aapko na ho isse liye mene apne system se aap sabhi ko vo saari batane ke liye kaha tha but ussne pakana shuru kar diya...iss liye ab ye kaam mujhe hi karna hoga.
.
.
.
.
First update mai aap sabhi ne meri powers ka ek glimps dekha tha aur as usual aap sabhi ke mann mai ye khayal aaya hoga ki jab avi ke family mai sabhi normal lag rahe hai toh avi yaani mere pass ye powers kaha se aae?
.
.
Sunane Mein Thoda weird Hai Aur technically ise Samjhana thoda Mushkil Hai par fir bhi Main Apni Taraf Se Puri koshish karunga,
Jaisa ki aap sabhi ko abhi Mere system ne bataya ki is universe mein Har mortal immortal banna chahta hai Aur Main Bhi unmen se ek hun.
Agar mai ye kahu ki aaj ke modern Civilization mein sabse Jyada Saalo Tak Jeene wale mortal's mein se mai bhi ek mortal hun toh ye galath nahin hoga. Mene apni mortal boundaries ko push karke unhe kaafi hadh tak immortal bana diya.
Jaha tak mujhe yaad hai mene 2048 mai apni immortal bnn ne ki journey ko shuru kiya tha. Is journey ko Shuru karne Ke Piche mera ek belief tha mera Manana tha ki ancient civilaization mai log ek tarah se immortal the unke pass kaafi powers thi jo aaj ke so called modern civilization ke pass nahin hai.
Ancient civilization mein Logon ne apni physical boundaries ko Kafi had Tak Badha diya tha vah hajaron Saalo Tak Yuva avastha Mein Rah sakte hain par aaj ke modern civilization mai log 100 years tak bhi mushkil se ya kahu toh rarely survive Karte Hain.
Jab aaj ka Modern era ancient Era se lakh Guna Jyada developed Hai... Jaisi Lifestyle vah log Soch Bhi Nahin Sakte the waise Lifestyle Ham sab jite Hain. Hamare pass Mein Sab Kuchh Hai par Fir Bhi Hamara lifespan unse kam hai..Aakhir kyu?
Yah Sawal mere mann mai humesha raha aur ye khaas tor par tab mere mann mai aaya jab 2019 me pandemic aaya. Ek microorganism ne puri human civilization ko ya u kahun ki Modern era ko Apne ghutno par lakar Rakh Diya Hamari so called modern technology sab dhari ki dhari rah gae.
Sabhi humans bebas Ho Gaye the usse time koe bhi chaha Kar Bhi Kuchh Bhi Nahin kar pa rahe the aur Majburi Mein Sabhi Ko Apne Ghar Mein Band Hona Pada, iss hope ke saath ki vo sab bach sake Kisi Tarah survive kar sake.
Waqt Guzarta Gaya aur fir 2022 Tak Sab Kuchh ek hadh tak Wapas normal ho gaya tha. Par ye Waqt mere man mein Ek Sawal Chhod gaya tha Ki Aakhir Kyon modern era ke humans ka lifespan ancient era ke humans ke lifespan ke compare mai ittna kam kyu hai?
Is Sawal Ka Jawab pane ki maine bahut koshish ki par logo ke hypothetical myths ke alava mujhe kuchh khas mila nahin.
Logo ka manana tha ki ancient era Mein Logon ki Lifestyle Itni hard Thi jesse unki body ko Itni tough bann jaati thi ki vah hajaron Saalo Tak aaram se survive kar lete the. But logo ki ye baat mujhe sirf ek hypothetical myth lagti hai kyuki agar keval Lifestyle Hi Ek Karan hota unke long lifespan ka toh ancient era mai earth par alag alag jagah rahne waale alag alag log jab alag alag type ki lifestyle jeete the toh unn sab ka average lifespan alag alag kyu nahin the...un sabhi ka average lifespan eksa kyu tha. ( Ye ek fact hai jese International archaeologist,LLC ne accept kiya hai...Google karke dekh sakte ho).
Jab Kisi Aur Se Mujhe is question ka koi Valid jawab nahin mila to Main Khud apne aap se iska jawab find karne ki thani.
Main ancient civilization par research Kiya aur yah Paya ki ancient era mai kuchh log ancient mysterious arts ko jaante the. Inn arts ko mysterious isliye Kaha jata hai Kyunki Modern era Mein inn arts ke bare mein hamare pass mein koi Jyada Jankari Nahin Hai.
Mujhe yaad hai jab 2035 me meri reaserch ek dead end par pahunch gai thi tab mujhe samjh hi nahin aa raha tha ki me kya karu? Mujhe Koi ancient mysterious arts mil hi nahin rahi thi.
Mujhe Apni research Mein Pata Chala Ki most of sabhi ancient mysterious art ko invanders ne war ke time jala diya tha ya fir kisi aur tarike se unhe destory kar diya tha... aur Modern era mein ancient mysterious arts ka koi bhi scripture exist nahin karta.( Ye fact bhi real hai u can google it.)
Ye jaante huwe ki mai ab ek dead end par hun mene apni reaserch jaari rakhi aur karib 4 saal baade yani 2039 tak mujhe koe khaas improvment nahin dekhi. Mere research aage badh hi nahin rahi thi.
Aur mene ye decide kiya tha ki agar 2040 tak mujhe koe lead nahin milti hai toh mai apni research bnnde kar dunga.
Par tabhi kuch esa huva tha jesne mujhe ummed ki ek kiran dikhae. Wo huva ye tha ki france mai 2 mystetious logo ke fight hue thi. Mysterious ess liye kyuki undono ki strength inhumanic thi. Dono kabhi hawa me fight karte toh kabhi paani par. Bade bade trucks ek dusre ke upar ese fek rahe the mano kankar pathar.
Ye video dekh kar sabhi hairan the par baadme issw vfx samjhe kar sabhi bhul gae par mene uss video ko 4 baar check kiya tha uss video mai tempering nahin hue thi...jeska mtlab tha ki vo video bilkul original thi.
Ye baat jaankar mujhe kaafi khushi hue thi kyuki ye video proof tha ki meri research sahi thi.
Mene apne waqt ko jaya nahi kiya aur sidha europe pahuch gaya unn dono logo ki khoj me. Par ye assan nahin tha mujhe lagbhag 5 saal beet gae the par mujhe kuch bhi nahin mila. Unn dono logo ka koe trace nahin tha. Par mujhe ek pattern dekha ki earth par alag alag jagah kuch mysterious chize ho rahi hai par mars par sab normal tha.
Jab mene research ko aur futher aage badhaya toh pata chala earth par ek group hai the mysterious six aka sinister six ka aur wo hi earth par ye ajeebo garib cheeje kar rahe hai.
Mene unn groups ke logo ko dhudhna shuru kiya kyuki mujhe laga jin ancient mysterious arts ko mai dhundh raha hun un logon ka usse Koi Na Koi connection Jarur hai... Kyunki vah Jis mysterious way mein lade rahe the use way Mein ladna Modern era mein kisi bhi normal human ke liye possible nahin tha.
Main use group ke members ko dhundhne ki bahut koshish ki par Mujhe kuchh video clips se jyada Kuchh bhi nahin mila. Mujhe yah clips alag alag social media platform se mili thi Kyunki in clips mein se 2-3 clips viral ho gai thi... aur un donon clips Ko Dekhkar main social media par is type ki clip ko search kiya... search karne par mujhe a around 9347 clips Mili thi Par unme se Jyada tar clips fake thi kyuki unn clips ko VFX and CGI ki madad Se taiyar Kiya gaya tha. Fir Bhi Mujhe unmen se 23 clips aisi mili jinki Sath Koi chhedchhad Nahin Ki Gai Thi iska matlab jo bhi unme tha vah real tha.
Ine Sabhi videos ko alag alag source se alag time par upload kiya gaya tha par fir bhi inn mein Kuchh chijen thi jo common thi ya u kahu ki ajeeb thi.
Inn 23 video clips me har video mai 2 logo ki pair mai fight thi. Inn sabhi videos me jo log the vo sab alag alag the aur unka koe common connection nahin tha. Shivay iss baat ke ki vo sabhi mystetious way me fight kar rahe the with some kind of supernatural power.
Par kewal ye ek chizz common nahin thi balki kuch aur bhi baate thi jo common thi.
First toh ye ki starting ke 11 videos me jo bui log fight kar rahe the unki body blue color me glow kar rahi thi.
Aur jo next 11 videos thi unn mein jo bhi log fight kar rahe the unki body yellow color mai glow kar rahi thi.
Aur jo last waali video thi unme jo log fight kar rahe the unn ki body white color mein glow kar rahi thi.
Ek baat thi jo ki ajeeb thi aur jesne mera dhyaan apni aur khicha ki har video mai fight ke baade jo winner tha vo weird body posture banata tha aur uss same posture me dance karta tha. Ye baat starting mein mene note nahin ki thi par kae baar same clip dekhene par mujhe ye baat ajeeb lagi.
Issliye mene unn sabhi body postures ko paper par draw kiya aur unhe decode karne ki kosis karne laga.
Thanks two Sherlock Homes Webseries and Robert Downey Jr. Unki webseries me mujhe ek technique ka pata chala tha jeska naam tha
"Dancing Men Cipher".
Iss technique ko sherlock homes ne develop kiya tha communication ke liye and secret message deliver karne ke liye.
Mene unn clips me jo weird posture dekhe the aur unhe decode karne ke liye unhe paper par draw kiya tha wo ye the,
Main andhere Mein Teer chalaya tha iss baat ke 0.001% chances ki mein sahi hun. Par phir bhi mene try kiya...and bingo!!
Iss ko decode kar mujhe jo answer mela vo tha ye
"Pangaea Centre at 1 Jan 2045"
.
.
.
Aaj ke liye itna hi dosto! Apna kimti Waqt dene ke liye aapka Aabhar!
.
.
Aapka dost..... Atharva