Update 1
Aniket Narayanrao Rane, ek dildaar dilkhulas dilfek vyaktimatva, apne selmon bhoi ka dialogue hai na mere bare me jyada mat sochna main dil me aata hu samajh me nahi ha wo dialogue is bande pe puri tarah se fit baithta hai
Kya hai na apna hero jara ulti khopdi hai , matlab uske dimag me kab kya aa jaye wo kisko kya bol de kuch nahi keh sakte, ha par ek baat hai banda dil ka bada saaf hai munda dilda ni mada siddhu moosewala nai aniket rane
Aniket ko samajhna hai to uske janm se dekhna padega kyuki aksar aise namune jaldi samajh me nahi aate aur dimag se nahi dil se sochna dimag lagane lagoge to kuch palle nai padega maine khud itna jyada dimag nahi lagaya hai
Bujhe... To chalo fir chalte hai Aniket ke ghar uske janm se is kahani ki shuruwat karne
To once upon a time kisi ek gaon main Narayanrao Rane naam ke ek suprasiddh aur rahees vyapari rehte the , uperwale ka diya unke paas sabkuch tha daulat sohrat ijjat, aaju baju ke parisar me unke bas naam se hi kaam ho jaya karta tha, Narayanrao ko apne gaon se apni matrubhumi se bada prem tha isiliye wo apni patni ke sAth gaon me hi rehte the, unki ek badi dukan thi gaon me aur sath hi wo 80acre khet ke bhi malik the aur iske sath sath apne kshetra me unki raajneeti par bhi achi pakad thi, Narayanrao ko apni sari sampatti apne purvajo se mili thi aur unhone use apni mehnat se dugna kiya tha, unki patni kaushalya bhi ek samanjas stri thi, dono pati patni ka gaon me bahut maan samman tha, ghar me naukar chakar lage the uper se sab acha dikh raha tha par dono pati patni ke man me ek khalal thi, unki shaadi ko dus saal ho gaye the par abhi tak unke koi aulaad nahi huyi thi..
Waise dekha jaye to kaushalya ek dharmik mahila thi, riti rivaj, pooja archa wo sab kuch karti thi. Gaon me maruti ka ek jagrut mandir tha aur kaushalya ki unpar atut shraddha thi, wo roj mandir jati aur bhagwan se bas itna maangti ke uski kokh bhar de aur aakhir kaar bhagwan bhi kab tak apne bhakt ko taraste unhone kaushalya ki jholi bhar thi aur wo garbhvati huyi
Narayanrao aksar kaushalya ko maskhari me kehte ki
Narayanrao- kaushalya jara sambhal ke ha, maruti ko vardaan manga hai dekhna unhi ke jaisa hoga hamara baccha
Narayanrao ka bolna ek hisab se sahi bhi nikla, pet me hi us bacche se aisi dhoom machayi ke kaushalya hairan ho gayi
Maruti ke us vardan ne nau mahine bhi pet me raah nahi dekhi aur aathve mahine me hi baccha baahar,
Narayanrao aur kaushalya ko putraratna ki prapti huyi thi, shadi ke dus saal baad unke ghar me khushiyan aayi thi, unke harsh ka koi thikana hi nahi tha Narayanrao ne pure gain me mithaiyan batwayi wo ab baap jo ban gaye the
Narayanrao aur kaushalya ne bade prem se apne bacche ka naam aniket rakha, Aniket dikhne me bhi bada cute tha use dekhte hi koi bhi god me lele par ye baccha kisi ke paas nahi jata tha, Aniket ke kafi laadchav huye aur dekhte dekhte samay apni gati se chalta raha
Maruti ke vardaan se prapt huye is bacche ne ab apna pratap dikhana shuru kar diya tha, dekhte dekhte aniket school me pahucha aur waha to mano use ek naya vishwa mil gaya ho, ab ghar me udham machane wala aniket school me udham machane laga tha, pehle to wo ro ro ke school sar pe utha leta tha jisse teachers ko use chhodne ghar par aana padta tha, pehle jo masti aniket ghar me karta tha ab wo school me karne laga tha aur jaise jaise wo bada hota raha uski shararate bhi badhti rahi, kabhi kisi ladki ki chotiya bandh deta to kabhi kisi ke jute ki lace,
Ab aniket ki complaints ghar tak bhi aane lagi thi, aniket apni maa ka ladaka tha par Narayanrao kadak aadmi the fir kya tha jaise hi complaint aayi unhone aniket ko mast sut diya, aniket ek kone me baitha ro raha tha aur uski maa use samjhane ka prayas kar rahi thi
Kaushalya- anu bete rote nahi aise, tum bade ho gaye ho ab, ache bacche jaise rehna chahiye na...
Maa ki baat sunkar aniket ne sar uthakar uper ki taraf apni maa ko dekha aur kaushalya ko bhi samajhte der nahi lagi ke aniket maar ko bhulkar wapis se pehle wale mood me aa gaya hai
Aniket- maa main bada ho gaya hu?
Kaushalya- Ha to! Ab bade ho gaye ho tum..
Aniket-kitna bada?
Fir kaushalya ne use hath se ishara karke bataya
Kaushalya-itna bada!
Aniket- Maa main bada ho gaya hu to tum to fir buddhi huyi na...
Kaushalya ne jaise hi aniket ke muh se apne liye buddhi suna uske ek jordar mukka uski peeth pe jad diya
Kaushalya- nalayak apni maa ko buddhi bolta hai, ruk abhi batati hu tujhe
Par kaushalya jab tak jhadu lekar aniket ko maarti ye bhaisaab wo waha se bhag liye the
Kaushalya(upar bhagwan ki taraf dekhte huye)- hey bhagwan ek baccha manga tha ye to aapne bander de diya
Kaushalya ne jhadu rakha aur kitchen ki taraf jane lagi itne ne fir se aniket ka awaj aaya
Aniket- aye buddhi
Kaushalya wapis use pakadti tab tak to aniket waha se gayab ho gaya tha aur kaushalya bechari piche chillati rahi
Narayanrao ka dukan ghar se thodi hi dur tha to aniket bhagte huye waha pahuch gaya aur dukan me pahuchte hi uske dimag me ek nayi shararat ne janm le liya aur wo ekdum bhola chehra bana ke Narayanrao se bola
Aniket- papa wo maa ne ghar bulaya hai aapko wo koi buddhi aayi hai jaldi bulaya hai
Ab isse pehle hi Narayanrao usse kuch puchte ye bhaisab bhag liye dosto ke sath khelne aur Narayanrao ghar aaye aur aate hi unhone kaushalya ko awaj lagayi to kaushalya bhi kitchen se apne hath poochte huye bahar aayi
Narayanrao- kya hua hai kaun buddhi aayi hai?
Narayanrao ki baat sun kar kaushalya ne apna matha pit liya
Narayanrao- arey kya hua hai kaun aaya hai? Aniket bata raha tha
Kaushalya apne hath ki chudiya uper karti huyi boli
Kaushalya-aaj to aane do use ghar, aaj tumhare bete ki khair nahi, mujhe buddhi bolega, aaj to bas aane do use...
Ab tak Narayanrao ke samajh me pura ghatna kram aa chuka tha aur wo has rahe the jise dekh kar kaushalya aur bhi jyada chid gayi
Kaushalya- aapko hasne ko kya hua, aap kyu has rahe hai, jaisa baap waisa beta, aapko bhi samajh nahi hai usne kaha aur aap dukan chhod kar aa gaye
Narayanrao(haste huye)- kamaal hai na ye ladka bhi, subah itna maar khaya aur ab ye wapis se nayi shararat
Narayanrao ander aakar sofe par baith gaye aur kaushalya wapis se apne kaam me lag gayi....
Ghar me karib karib ghanta bhar kafi shanti thi kaushalya ne Narayanrao ke liye chai banayi aur Narayanrao chai pite huye bole
Narayanrao- subah use mara ti tha par mujhe hi acha nahi lag raha tha, ab wo is umra me shararat nahi karega to kab karega
Narayanrao ki baat sunkar kaushalya ne unki taraf aankhen badi karke dekha par wo apne hi khayalo me bole ja rahe the
Narayanrao-nalayak ek minute shanti se nahi rehta hai par wo na ho na to ye ghar bhi khane ko daudta hai
Kaushalya- ha ha kyu nahi apako kya hai bol ke aap to dukan nikal jate ho sardard to mera hota hai na
Narayanrao ne kaushalya ki baat ka koi jawab nahi diya ab wo bhi jaante the biwi thodi gusse me ho to usse ulajhna nahi chahiye wo haste huye wapis dukan ki or nikal gaye.......
To Be Continued........