- 37,966
- 53,290
- 304
Bahut bahut shukriya bhaiSuppper fantastic updates bhai
Bahut bahut shukriya bhaiSuppper fantastic updates bhai
Waiting for next update
bas thodi der meWaiting next
superb updateUpdate 2
Shaam ko jab hamare Aniket Rane apne dosto ke sath udham macha kar khel kud kar apne ghar laute to unka swagat unki pujya matashri kaushalyadevi ne jhadu se kiya bas fir kya tha bechare aniket ko apni dophar ki maskhari ki saja sham ko maar kha kar chukani padi
Kaushalya aur Narayanrao ke beech ek alikhit karar tha aur wo ye tha ke dono me se koi bhi agar aniket ko daatega ya marega to dusra aniket ko samjhayega aur isike chalet to subah jab narayanrao ne aniket ko mara tha to kaushalya use samjhane ki koshish kar rahi thi par apni ulti khopdi ne kaushalya ko hi gussa dila diya tha aura b uska parinam bhi jhel chukka tha….
Raat ko jan narayanrao dukan se ghar aaye to unhone paya ke unke jo suputra hai wo ek kone me chupchap gumsum baithe huye hai aur kisi soch me dube hai, narayanrao ko samajhte jara bhi der nahi lagi ke ghar me kya hua hoga fir bhi unhone aankh ke ishare se kaushalya ko pucha to unhone bhi apne hath se ishara karke bataya ki unke chiranjiv ke maar khaya hai isiliye chupchap hai ab chuki in dono pati patni ke beech wo alikhit karar tha to narayanrao aniket ke paas jakar baithe aur use samjhane lage
Narayanrao- anu beta tum aise kaam hi kyu karte ho ki tumhe maar mile? Kabhi to ache bacche jaise raha karo, ye sabko is tarah satana achi baat nahi hai bet, hame bhi tumhe daat ke ya maar ke koi khushi thodehi milti hai, tum ye tumhari shararate kab band karoge..
Narayanrao aniket ko samjhato rahe the par anket ka to unki bato ki taraf koi dhyan hi nahi tha, wo to is waqt apni hi soch me tha aur narayanrao bhi samajh gaye ki ise samjhane ka koi fayda hi nahi hai jarur iske dimag me koi kurafati vichar ghum raha hoga aur Narayanrao ka andaja ilkul sahi nikla, kuch samay baad aniket bola
Aniket-papa, ek baat puchu aapse?
Narayanrao-ab agar main mana karunga to puche bagair to rahoge nahi, puch hi lo, ab hamne hi tumhe paida kiya hai to tumhare sawalo ke jawab bhi to ham hi denge na..pucho!
Aniket-papa, aap kabhi hamare padosi desh me gaye the kya?
Narayanrao-ab ye kaisa sawal hai, ye aajkal ke bacche bhi TV dekh ke kuch jyada hi hoshiyar ho gaye hai
Aniket-batao na papa aap kabhi hamare padosi dekh gaye ho kya
Narayanrao-nahi, main kabhi is desh se baahar nahi gaya hu
Aniket(apni maa ki taraf hath se ishara karte huye)- to fir aap ye aatankwadi kaha se laye ho, jab dekho tab mujhe maarti rehti hai….
Aniket ki baat sunkar Narayan ko hase ya roye samajh me nah aa raha tha, hasi to kafi aa rahi thi unhe, aur ye acha hua ki aniket ki ye baat kaushalya ne nahi suni nahi to fir s ek baar aniket ki ache se dhulai ho jati
Aisa nahi tha ke aniket sabko sirf satata hi tha, uski ye sab shararate to bas upper upper se thi par wo apne mata pita se behad prem karta tha, bas fark itna tha ke wo use jata nahi pata tha ya use apna pyaar jatana acha nahi lagta tha, aniket bhele hi maskhari me apne maa baap ko kuch bhi bol le par agar koi dusra aisa bole to ye use bilkul sehan nahi hota tha
Aniket ka ek baalmitra tha, Avinash Thorat urf avya, to ek baar hua yuk e avinash ne ek baar majak majak me kaushalya ke bare me bol diya “dekh anya teri buddi aa gayi”
Bas fir kya tha aniket ne ek ghuma ke di avinash ke kaan ke niche aur daat piste huye bola
Aniket-avya harami, ek baat dhyan me rakhiyo, meri maa hai main majak me kuch bhi bolu par mere alawa koi aur bole ye mujhe bilkul sehan nahi hoga, samjha
Ab aniket ne avi ko gariya to diya tha par tha to wo bhi aniket ka hi baalmitra usne bhi ek bharpur mukka aniket ki pith me jad diya
Avi-to sidhe sidhe bol na bhadkhau maarta kyu hai….
Samay apni gati se daud raha tha aur dekhte hi dekhte hamare aniket rane ab dasvi kaksha me pahuch gaye, ab yaha tak pahuchne me aniket ne koi parakram nahi kiya tha, wo kya hai na sarkar ka niyam hai 8vi tak kisi bhi bacche ko fail nahi kia jata aur 9th me school wale waise fail nhi hone dete bas isiliye ye mahashay ab dasvi me the warna apna hero to kabhi 5th bhi paas nahi kar pata,
Dekho aisa nahi hai ke aniket ekdum hi murkh tha, uska swabhavhi aisa tha ke wo kisi chiz ko seriously nahi leta tha, bas haso hasao ye ekmatra kaam tha uska ha par uske majak se kisi ko thes na pahuche is baat ka wo dhyan rakhta tha,
Bhaisab ne pehli baar dasvi ki pariksha di thi aur aaj result ka din tha, aniket ki result dekhne hi himmat hi nahi ho rahi thi isiliye usne result dekhne avinash ko bheja aur khud ghar par ruk gayaaur avinash ko sakht hidayat thi ke sabke saamne result na bataye bas itna dhyan rakhe ke agar ek subject gaya to namaskar bolna hai, do subject gaye to ram ram air teen subject me fail huye to jai shri ram bolna hai, avinash puri baat ache se samajh gaya aur result dekhne chala gaya
Kaushalya ne dekha ki unka ye putraranta to ghar par hi hai, waise unhe aniket ke paas hone ki khas umeed bhi nahi thi unki to bas itni icha thi ke aniket apne pita ka kaam sambhale, narayanrao bhi dophar me khana khane ghar aaye huye the aur aniket avinash ki raah dekh raha tha itne me avinash ander aaya aur ek jordar jaikara lagaya
‘bola pundlik varde hari vitthal shri gyandev tukaram pandharinath maharaj ki jai’
Aniket ne apne sar ko hath laga liya, use samajh me aaya gaya tha ki wo har subject me fail ho gaya hai, fir kya dusri baar koshish ki teesri bar koshish ki par natija wahi, ab padhega to paas hoga na, ek din kaushalya chidh kar boli
Kaushalya-anu sharam nahi aati na tumhe, kitni baar fail hoge, bas karo tumhare bas ka nahi hai ye
Ab aniket ne apni ab tak ki jindagi me kabhi sharam laaj lajja ke bare me socha hi nahi tha jo use is baat ka fark padta, wo natki bhav me bola
Aniket-maa papa, mere guujano se mujhe sikhaya hai ki failure is first step to success apyash ye yash ki pehli payri hai
Narayanrao-ha wo sahi baat hai par tumne us ek payri ki seedhi bana di hai uska kya gadhe
Aniket-papa aap hi bolte ho na 10th education ka base hai to bas main apna base majboot kar raha hu ‘slow education pragati ka lakshan ’
Nayaranrao-nalayak agar tu ek aur baar fail hua na to apni dukan me majdur bana dunga tujhe
Aniket-sach batau papa main na aapki wajah se paas nahi ho raha
Narayanrao-arey waah! Aur wo kaise bête
Aniket-dekho maa papa, main agar paas hua to college jaunga, fir aage naukri ke liye jaunga kisi dusre gaon ya fir main desh ke baahar bhi ja sakta hu, tab aap dono Buddha buddhi ko kaun sambhalega
Aur jaise hi aniket ne buddhi bola kaushalya chidh gayi
Kaushalya-nalayak, halkat, khud se paas nahi hua jar aha hai aur ham dono ko dosh de raha hai tum niklo beta ham sambhal lenge khudko
Aniket-maa challenge mat karo ha
Kaushalya-kiya challenge agar tum hare to tum wo karoge jo ham kahe aur jeete to jo chaho wo milega
Aniket collor tight karte huye bola
Aniket-ab to tum bas dekho maa main kaise paas hota hu fir mast shadi karke tumhare liye bahu launga aur fir tum dono ko char dham yatra pe ravana karunga
Aniket itna bol ke ja hi raha tha ke kaushalya piche se chilayi
Kaushalya-aur agar fail hua to Himalaya pe jane ki tayari rakhna
Narayanrao-ab ye kyat ha, hamare eklaute bacche ko tum Himalaya ke bhejogi
Kaushalya-arey nahi ji main ache se jaanti hu ise ab aap dekhna ye kaise paas hoke dikhata hai
Narayanrao-to fir itne din kiski raah dekh rahi thi 2 saal barbad ho gaye
Kaushalya- har chiz ka sahi samay hota hai
Narayanrao-aur agar hua paas to? Chale char dham yatra pe
Kaushalya-aapko lagta hai wo aisa karega, wo mujhe mere bhai ke yaha nahi jane deta aur yatra pe bhejega, wo batana nahi hai par hamare bagair nahi reh sakta wo aur na ham uske bina
Har maa apne bacche ko barabar pehchanti hai, kaushalya ne aniket ki sahi nas dabayi aur banda ek jhatke main sabhi subjects me paas aur annket paas aur avinash bhi paas…
Jald hi aniket ab college me jane wala tha aur uski jindagi me kuch anokhe badlav kuch anokhe mod aane wale the iski use khabar hi nahi thi….