shandar bhagUpdate 47
Aniket jab wapis hosh me aaya tab wo hospital me hi tha, suman aur siddharth ne aakar aniket ko sahise check kiyaaur fir suman hasi aur aniket se boli
Suman- chal ye nautanki uth kuch nahi hua hai tujhe, teri body bilkul sahi kaam kar rahi hai dmag ka pata nahi
Aniket- thank you suman
Aniket ke thank you bolte hi suman ne pat se sthethoscope kaan ko lagaya aur aniket ko check karne lagi
Suman- iski wapis se tabiyat kharab ho gayi hai lagta hai, isne mujhe sumi ji jagah suman kaha aur uper se thank you bhi bola
Aniket hasa aura age bola
Aniket- sab bate baad me pehle mujhe batao mujhe us container se baahar kisne nikala pehle mujhe use thank you bolne ka hai
Suman- tune just abhi abhi use thank you bola hai
Aniket- matlab tumne chudaya mujhe ?
Suman- haa!! Matlab atkaya bhi maine hi tha to chudaungi bhi main hi na
Aniket- kya… ??? ye sab tune kiya tha ?? par kyu ??
Suman- matlab directly nahi kiya tha karwaya tha.. tumhe excitement chahiye thin a, to ab jara sabra karo sab pata chalega
Fir suman siddharth se boli
Suman- chalo ab jab ye sudhar hi gaya hai to ise pura hi sudhar dete hai sid ise aur bhi logo ko thank you bolna hoga na, unhe bula lo
Siddharth suman ki baat pe muskuraya aur baahar jakar usne sab ko ander bulaya, to rajeshwar raman aur wo guard ander aaye unhe dekh ke aniket bola
Aniket- ye bhi tumhare plan me shamil the kya ? ye log to mujhe france bhej rahe the..
Rajeshwar- galat bilkul galat.. hamne bas tumhe bataya tha ke tumhe france bhej rahe hai par bheja nahi..
Aniket- jab bhejna hi nahi tha to fir ye sab kiya hi kyu ?
Rajeshwar- maine kaha than a tumhara mere uper ek upkar hai to ab suno wo kya hai, ha ye sach hai ki raman us din maar khane ke baad jab ghar aaya to uske baad wo hafta bhar ghar me hi tha par ek baat bahut achi huyi thi , raman us din se badal gaya tha, use uski galti samajh aa gayi thi apni galti ka ehsaas ho gaya tha usne sari galat sangat chhod di thi, saaf bhasa me kahu to uska paiso ka ghamand utar gaya tha, us ghatna ne use ander se jhakjhor diya tha aur wo sahi raste par aa gaya tha, usne gaon chhoda dusre shahar jakar padhne laga aura b to aage ki padhai ke liye wo videsh jane ka soch raha hai, komal ki wajah se aur tumhari wajah se mera beta sahi raste par aa gaya hai, tumhara ehsaan kaise mano samajh nahi aa raha.
Rajeshwar ki baat sunkar aniket ne sar par hath maar liya aur bola
Aniket- waah! Shabass! To aise mana hai aapne ehsaan, is sab me mujhe kuch ho jata to, jaan chali jati to ?
Jispar suman ne haskar kaha
Suman- aisa ho ti nahi sakta tha, aise kaise jaan chali jati ? ek docter humne tumhare liye waha rakh rakha than a to tumhe kuch kaise hota..
Wo guard muskura raha tha, suman fir uski pehchan karate huye boli
Suman- to ye jinhe tum guard samajh rahe ho ye hai docter rajesh, waise to docter hai par actor banne ka shauk hai, natak wagair me bhi kaam karte hai aur inki acting ka jalwa to tumne dekh hi liya hai, aur ha wo jo tumhe inhone ajeeb sa pani pilaya than a wo actually protein vitamin aur glucose ka mix tha, hame bas tumhara dimag sahi jagah lana tha aur sharir ki dekh bhal hum kar hi rahe the bas tumhe is bare me pata nahi tha aur jis hisab se tumhe bagair pata chale Ramesh ne tumhe injection diya hai tum ye bhi samajh gaye honge ki ye kitne badhiya docter hai..
Aniket- arey par mujhe itne din kaha lekar gaye the, aur mujhe to samundar ka bhi awaj aa raha tha..
Ab siddharth haste huye bola
Siddharth- itne din ? arey sirf do dino me tumhari ye haalat huyi hai aur tum sirf ek ghante ke liye behosh the aur tumhe yaha ke hi farm house par rakha gaya tha aur samundar ka awaj tape par baj raha tha taki tumhe lage ki ha ye sab sach me ho raha hai aur tum is natak ko na pakdo, Ramesh me jaan bujh kar tumhe sunai de aise bola tha ke tum do dino se behosh ho aur tumne wo maan liya
Aniket- kaamal karte ho tum log, aur ye jaroor us dus dimag wale tavan ke hi dimag ki upaj hogi, kidhar hai wo harami ?
Ab komal aur avinash ander aaye…
Avinash- ye dekh main pehle hi bol raha hu main sirf shamil tha aur teko uthana aur farm house par chhodna itna hi kaam tha mera bas..
Aniket-nalayak aadmi meri kya halat huyi malum hai kya ?
Avinash- shukar mana main waha nai tha agar main raman ki jagah hota na to aisa fodta teko, tera naseeb ke ye role mujhe nahi mila, telo excitement ke kutte ne kata than a, tu kisi ki koi baat sunne ko tayar hi nahi tha..
Aniket- avi tu hi mera saccha dost hai re, meri excitement puri karne ke liye kiya na tune ye
Avinash- nahi, kaisa hai na tu ekdum bhayankar hushar hai hamara koi bhi plan tu jaldi pehchan leta isiliye mian jab is bare me soch raha tha tab FB me meko raman dikha aur mere dimag me idea aaya, raman ke paas solid reason tha teko maarne ka aur tere ye kabhi dhyan me bhi nahi aata ki ye hamara plan hai par isme risk tha, teko kuch ho jata to isiliye suman aur sid ko bhi shamil kiya isme aur ab baki ka plan teko hamare director sahab batayenge..
Aniket ab ye soch hi raha tha ke ab ye director kaun aa gaya itne me yash aur priya haste huye ander aaye
Yash-teko kya laga tu akela hi game kar sakta hai, abe thoda dimag bhagwan ne hame bhi diya hai..
Aniket-teri hi kami thi bhai, ek to teri shadi karwayi aur tune meri hi game kar di
Yash-ab kya kare wo kahawat hai na, lato ke bhut bato se nahi maante yas wo bhut hai tu, avi ne sab sari baat batayi tab maine aur priya ne ye sab planning kiya
Fir priya bolne lagi
Priya-tumhe lag raha hoga ki ye sab humne tumhari excitement ke liye kiya hai to tum murkh ho, hamne ye sab tumhe ye samjhane ke liye kiya hai ki jindagi me masti maja jaruri hai par usse kisi ko takleef nahi honi chahiye, aur jab khushiya darwaje par fdastak de to unka aanand lena chahiye na ki unhe taal kar murkhta ka pradarshan karna chahiye, kyuki kal kya hoga koi nahi jaanta, kal kal karte huye life kab hath se nikal jayegi pata bhi nahi chalega, isiliye life ki taraf hoda seriously dekhna tuhme sikhana ha, shadi yani koi maja masti nahi hai, do pariwaro ka aatmao ka Milan hai, ye koi event nahi hai jo dhamakedar hona chahiye, shadi ek jimedari hai ekdusre ko sambhalne ki, sirf apne such ki chinta na karke apne jivansathi ke man aur iccha ka samman karne ki, shadi baccho ka khel nahi hai na hi koi dikhawa hai samaj ko dikhane ke liye, kya kuch samajh aa raha hai ? ya bheje tumhe france?
Aniket hath jodte huye bola
Aniket-nahi mata samajh gaya main, ye baat jindagi bhar yaad rahegi ab, maa bapu kidhar hai unko bolo agar wo bole to main abhi ke abhi shadi karne ko tayar hu
Ab narayanrao kaushalya aur sayajirao ander aaye
Narayanrao- pakka na palte ga to nahi ?
Aniket-bilkul nahi aur tumne shadi na karwayi to kal isko bhaga ke mandir main shadi kar lunga..
Ab sayajirao haste huye bole
Sayajirao- ye sach hai ke sahdi to kal hi hogi par mandir me nahi yahi hogi, in baccho ne sari tayari kar li hai, marriage hall book hai cards bat gaye haipar ek problem hai, dulhe ke kapde reh gaye bas..
Aniket- aniket ekdum khush ho gaya, matlab use yakin nahi ho raha tha ke ye sab ho gaya hai fir bhi wo komal se bola
Aniket-kammo mere se shadi karni hai ke kapdo se, nahi ab ek pal bhi waste nahi karna hai, jarurat padi to lungi baniyan pe shadi kar lunga main to ab
Priya- uski koi jarurat nahi hai hame pata tha isiliye hamne sari kharidari kar li hai
Suman-aur hatele ani ki baarat hospital se hi niklegi…
Vishesh amantran
Bhagwan maruti ki kripa se hamare vaanar ki shadi uske shobhe aise sunder kanya se kal hone wali hai aur is vaanar ki baarat kal hospital se hi niklegi to aap sabhi se nivedan hai ke kal 7 baje shadi ke liye padhare
Swagatotsuk
Narayanrao rane
Kaushalya rane
Sayajirao patil
Aur jisse in logo ne bulaya nahi hai fir bhi sabse pehle aane wala
Adirshi
