Acha means 2 chaku Lage peeth p , goliya lagi Jo ki arun air nitin n hi maari phir b bhagwan ka bacha kishan bilkul aahi salamat pitu Ritu esha k sath city Chala gaya.. Mara ni samajh aata h ki powers ki wajah s but behosh b ni hua khoon behne s..
Kishan ki powers ka Jo show off hua h sabke samne ye to samajh s pare h...
Aur Jahan tk baat rahi Arun ka thakur ka asli pota hone ka , mujhe to pura scene hi samajh ni aaya ki ye Sab aaya hi kyu . I mean pehli baar gaon aake thakur s Mile. Wo thakur Jo bht kamina h .. usko use pote s milwaya aur jinda b chod dia.. agar dayavaan hi dikhana tha to Rakesh ar kallan k hath paer tod dete unko jaan s Marne ki jarurat ni..
Mana ki nitin ka marna jayaz na hota but Arun maara jata to jayaz lagta kyiki kishna n khud bola ki uski gandi nazar thi pihu pr ...iske bawjud ek thappad tk ni Mara. Ab ye dosti ka saboot dia h to bht betuka h kyuki baat agar sirf apne tk hoti to maaf Kar sakte h but baat jab apno ki ho to Puri galti maaf karna bewkufi h..
Aur iski b Kya gurantee ki thakur aur Arun wapas ni aaenge kyuki kayde s thakur ka koi loss to hua ni..
Jo Mara tha means rakesh wo actual m thakur ka kch tha hi Ni aur kallan ki maut s thakur ko Kya nuksan bhala ..wo to aur pehalwan ki fauj khadi krlega aage.
Bhau tumhari first story s sath h to hame pata h ki Kya level h tumhara .. to jaldbazi na karke time leke story p kaam Karo..
All d best..