Zabardast updateUPDATE-34
Harday puri raftar se car bhagaye ja rha tha, avya uske barabar wali seat per baithi thi, aavya ke face per khushi aur josh saaf dikh rha tha, ye phela mission tha jisme aavya ko shamil kiya gaya tha,
Harday- tum thik ho na aavya
Aavya- ha mujhe kya hoga, main ek dum jhakas hu,
Harday- waha khatra ho sakta h, tumhe thoda samhal kr rhena hoga,
Aavya- khatre ki maa ki aankh, mere samne to aaye ek bar
Harday ko hasi aa gai,
Harday ne drashti ko sms kiya ki wo aa rha h, kuch hi ghanto me pahuch jayega,
Idhar chandigad me chiranjivi baba ka shor macha hua tha pura shahar saja diya gaya tha, cm khud pura intejaam dekh rha tha, nidhi pareshan si bhagi fir rhi thi,
Sham ho chuki thi, harday ek jungle ke bahar khada tha,
Aavya- yaha kyo bulaya usne
Harday- pata nhi ye to uske aane per hi pata chalega, tum yahi gadi me baitho main ander dekh kr aata hu,
Aavya- nhi main sath chalungi,
Harday- waha agar kuch khatra hua to tum aakr mujhe bacha to logi na,
Aavya-to apni live location mere phone per bhejo taki main tum tak pahuch saku,
Aavya kitni samjhdar h harday ko samjh aa gaya,
Harday- agar yaha kuch khatra ho to car ka horn baja dena main turnat wapas aa jaunga,
Harday ander ghus gaya, jungle jyada Ghana nhi tha fir bhi thik thak tha, ye sarkari van vibhag ki jagah thi to yaha kam hi log aate the,
Harday ne drashti ko call kiya usne phone nhi uthaya,
Kuch der intejar karne ke baad harday ko laga shayad drashti ne fir dhoka diya h, wo wapas muda tabhi drashti ki call aa gai,
Harday- mujhe yaha bula kar kaha gayab ho gai
Drashti- main apni location bhej rhi hu, isse aage main nhi aa paungi,
Harday drashti ki bheji location ki taraf chal diya jo jyada duri per nhi thi,
Harday waha pahucha to drashti apna muh apne dupatte se dhake hue khadi thi,
Harday- ab ye muh chupana pad rha h,
Drashti- main yaha tak chupte hue pahuchi hu, tumse muh nhi chupa rhi hu,
Harday- matlab puri besharam ho, mere sath dhokha dene ke baad bhi sharam nhi h,
Drashti- main jo kar rhi thi uske piche wajah thi, ye aur baat h ki wo wajah galat thi lekin main galat nhi thi, mujhe jo dikhaya gaya main waisi hi ban gai, mujhe pure sach ka nhi pata tha, waise to pura sach ab bhi nhi pata, bas dil kheta h tum per bharosa kr sakti hu isliye yaha aai hu,
Harday- kya janti ho tum unke bare me
Drashti- phele mujhe anjali aur soniya ke bare me sab kuch janna h,
Harday- soniya tumhari dadi h na, tumhe nhi pata us aurat ke bare me,
Drashti- mujhe bas itna btaya gaya tha, dhama mere pita hain aur soniya meri dadi, meri maa komal ki wajah se mar gai, anjali ek aayash aurat h, uske najayaj sambandh bahut logo se rhe hain, usne apni betiyo se bhi dhnadha karwaya, aur mere dada ko apne jaal me fasa kar sari property apne kabje me kar li, aur mere chachao sohan aur kamal ko tushar ke hatho marwa diya, meri bua versha ko bhi apne jaal me fasa kr tushar ke sath sex karwaya,
Alka ke sath bhi aisa hi kiya lekin wo dadi ke sath aa gai thi lekin anjali ne use gayab karwa diya apne hi bete ko marwa diya anjali ne,
Harday- tumne is sab per yakeen kr liya,
Drashti- mujhe soniya ne bachpan se pala h, aur maine use hi apni dadi ke roop me dekha h, jo usne btaya wahi mere liye sach tha, lekin ab kahani dushri trha se samne aa rhi h, to ab lagta h main galat thi,
Harday- soniya ne apne karmo ko chupa kar anjali maa ki taraf mod diya, lekin main tumhe ye sab kyo batau, tumhara kya bharosa
Drashti- mujhe yaha komal ne bheja h, unhone mujhe bahut kuch btaya h lekin pura sach shayad wo nhi janti, unhe bas itna pata h anjali bahut achhi h, aur komal tushar ke pyar ke liye kuch bhi kr sakti h,
Harday- anjali maa wo to tyag ki devi hain, unhone jeevan me bas khoya hi khoya h, jab bhi khushiya unki taraf aai tab tab ye soniya naam ka graham unhe tabah karta rha,
Harday ne drashti ko anjali ke janam se lekar aaj tak ki kahani short me sunai, bas tushar aur anjali ke bich ke rishte ko chupa kar,
Drashti- tumhari kahani komal ki kahani se bilkul match karti h,
Harday- kyoki ye hi sach h,
Drashti- to aaj tak kisi ko nhi pata chala us raat kya hua tha, wo tino kaha gaye,
Harday- nhi lekin hume shak h, shak kya yakeen h isme soniya ka hi hath h,
Drashti- sahi kaha tume, isme soniya ka hi hath h, aur komal aunty bas unhi ki suraksha ke liye soniya ki kaid me h,
Harday- matlab?
Drashti- komal aunty ne btaya tha ki soniya ne tushar ruchi aur alka ko apne kabje me le liye tha, jab sabhi log unhe dhund rhe the to komal aunty bhi unhe dhundne nikli thi, aur unhe soniya mil gai thi, lekin soniya ne unhe pakad liya, soniya ne un tino ko marne ki dhamki di, isliye komal aunty khamosh reh gai, soniya ne komal aunty ko apne ghar ki nokrani bana kar rakha taki apne bete kamal ke sath kiye dhokhe ki saja de sake,
Harday- kya tum sach keh rhi ho, wo tino jinda hain, mere papa jinda hain, kaha h wo
Drashti- ye nhi pata ki wo kaha h lekin itna janti hu ki unhe pakdne me ek baba ne soniya ki madad ki thi,
Harday- baba kon baba
Drashti- hey koi chiranjivi baba
Harday- chiranjivi baba, uska soniya se kya rishta,
Drashti- soniya aur shakshi uski paltu kutiya hain is waqt, jo wo bolta h wahi karti hain, aur wo baba inki madad karta h, ab bhi wo log us baba ke aashram me hain,
Harday- wo baba bhi wahi h kya
Drashti- nhi wo yaha nhi h,
Harday- tum koi khel to nhi khel rhi na
Drashti- main khud apna sach dhund rhi hu tumhre sath kya khel khelungi,
Harday- sach kaisa sach
Drashti- dhama soniya ka beta nhi h, kyoki uske to sirf do hi bete the fir ye dhama kaha se aa gaye, aur agar dhama ka soniya se koi rishta h bhi to mujhe unke bich kewal nokar malik jaisa rishta hi dikhta h, maa bete ka to kabhi nhi dikhta, soniya bas unhe hukum deti h aur wo kuch bhi karne lagte hain,
Harday- tumhari maa
Drashti- maine unhe kabhi dekha hi nhi unki koi tasweer tak nhi h, mere papa ki shadi ka koi record tak nhi h,
Harday- tumhare papa hamehsa mask laga kr kyo rhete hain,
Drashti- pata nhi jaisa soniya bolti h wo karte hain
Harday- tumhare pas unki koi tasweer h
Drashti ne apne phone me se ek tasweer nikal kr harday ko dikhai,
Drashti- soniya kabhi unki tasweer khichne hi nhi deti ye to maine apni yaad ke liye khichi thi,
Harday bade gore se tasweer ko dekh rha tha,
Drashti- kya hua
Harday- aisa lag rha h jaise maine inhe kahi dekha ho,
Drashti- kaha
Harday- yaad nhi aa rha,
Drashti- ab kya karna h,
Harday- hume komal aunty ko waha se niklna hoga,
Drashti- nhi agar soniya ko pata chala to tushar ji alka aur ruchi ko khatra ho sakta h,
Harday- sahi kaha,
Drashti- mere hisab se agar tumhe unhe dhundna h to is baba ke piche jana hoga, agar isne soniya ki help ki h to ho na ho uske pas sari janakri hogi,
Harday- main is soniya ko hi utha leta hu ye sara sach ugal degi,
Drashti- mujhe nhi lagta ye itna asan h, wo bahut jalim aurat h, gaon me use jalim dadi ke naam se jante the, aur itne saalo me aaj tak maine un tino ko nhi dekha, to usne aisi jagah chupaya hoga jaha koi asani se na pahuch sake, tumhe phele unka pata karna hoga, tab soniya ka kuch bigad sakte ho,
Harday- tumhara ye ahsaan main kabhi nhi bhulunga, tumhe jab bhi meri jarurat hogi btana main aa jaunga,
Drashti- bas ek request h
Harday- kya
Drashti- is ladai me mere papa ka kya role h mujhe nhi pata, soniya har bar unhe aage karke ladai ladti h, pls unhe kuch mat karna, wo apne aape me nhi h, unhe nhi pata hota wo kya kar rhe hain, wo hamehsa emostionless rhete hain, unhone aaj tak mujhe beti bhi nhi bola, humari kabhi baat hi nhi hoti, lekin fir bhi wo mere papa hain,
Harday- main koshish karunga unhe kuch na karu, lekin agar wo mere pariwar ke liye khatra bane to main majbur ho jaunga,
Drashti- unhe kaid kr do kahi taki wo kuch na kar sake,
Harday- unke pas bahut takat h, ek insan me itni takat hona namumkin sa h
Drashti- tumhare ander unse bhi jyada takat dikhai deti h, to namumkin to nhi h,
Harday- koi bhi takat aise nhi aa jati uske piche koi karan rhe hote hain, mere ander jo takat h wo mere pita tushar ki takat ki wajah se h aur meri maa ki takat ki wajah se, lekin tumahre papa ka koi pichla record nhi pata, unke ander ye takat kaise aai,
Drashti- main koshish karti hu pata karne ka, unke ateet ke bare me janakri nikalne ki koshish karti hu,
Harday- jis aashram me tum log ho waha sab dekh liya, wahi to nhi chupa rakha
Drashti- maine ab tak pura ashram nhi dekha, main apni taraf se bhi dhundne ki koshish karti hu,
Tabhi piche se aawaj aai- hum kyo nhi dhundte,
Harday- aavya tum yaha kyo aa gai,
Aavya- tumne kafi der laga di to mujhe chinta hui isliye main bhi aa gai,
Harday- hum aasram me ghusenge kaise
Drashti- main rasta bata ungi lekin tumhare sath nhi de paungi, agar kisi ne mujhe tumhare sath dekh liya to sab barbaad ho jayega,
Harday- koi baat nhi tum aashram ki location bhejna main raat me ghusunga,
Aavya- hum dono ghusenge,
Harday ne bas aavya ko dekha, aavya ne gusse me harday ko dekha,
Drashti- main chalti hu warna us soniya ko shak ho jayega,
Drashti waha se nikal gai harday aur aavya wapas car me aa gaye,
Aavya- kya kya btaya usne,
Harday- bahut kuch, main maa se baat karta hu ek bar
Harday ne anjali ko call milaya aur sab kuch btaya,
Anjali- tujhe yakeen h wo sach bol rhi h,
Harday- ha maa mujhe yakeen h is bar wo sach bol rhi h,
Anjali- to thik h tum log waha pata karo, main is baba ki kundali nikalti hu, aur kal iska program bhi h waha dekhti hu kya pata chalta h,
Harday- maa komal ji ko yaha se nikalna h, unhone bahut takleef sahi h
Anjali- abhi kuch mat badlna ek bar unka pata chal jaye, uske baad kuch karenge warna uska tyag barbaad ho jayega, kahi aisa na ho wo un tino ko kuch nuksaan pahucha de,
Harday- main aapko ek photo bhej rha hu iske bare me pata karo ye kon h,
Anjali- ok kiski tasweer h
Harday- drashti ke pita ki, jo soniya ki kathputli bana hua h,
Anjali- thik h bhej de main pata karti hu,
Avya- ab hum kaha intejar karenge,
Harday- yahi car me, bahar kisi ne dekh liya to problem ho sakti h,
Harday ne car ko ek sumsan jagah per khada kar liya, dono ek dum shant baithe the,
Aavya- meri maa jinda to hogi na
Harday- aisa kyo soch rhi ho, unhe kuch nhi hoga,
Aavya- agar unhe kuch hua na kasam se is soniya ko bich me se na chir diya mera naam bhi aavya nhi,
Harday- milega moka jarur milega, ek ek ko saja milegi, kisi ko nhi baksha jayega,
Aavya- ye soniya chahti kya h, aamne samne ki ladai kyo nhi ladti,
Harday- iske bare me jitna jana h ye itna chupne walo me se nhi h, fir ye aisa kyo kar rhi h, is sab me is baba ka jhol bahut bada h,
Avya- is baba ki to main gaaa
Harday- bas bas bas main samjh gaya
Avya- tum galiyo se itna kyo darte ho, lagta h kabhi mumbai nhi aaye,
Harday- main himachal se pheli bar bahar nikla hu, aur waha koi galiya nhi deta,
Avya- fir to tumhe kuch samay Mumbai, delhi, hariyan aur sabse khas uttar pardesh me bhejna padega fir tum sikhoge galiya kaise di jati hain,
Harday- mujhe kuch nhi sikhna,
Aavya- koi nhi hum khud sikha dengi, tumhare is masoom se chere ke piche ke natkhat ladke ko to bahar niklna hi hoga,
Harday- kafi der ho chuki h drashti ka sms nhi aaya,
Aavya- kahi usne dhoka to nhi diya
Harday- nhi aisa to nhi karegi,
Aavya- bada bharosa ho gaya h us per,
Harday- na jane kyo man kar rha h us per bharosa karne ka,
Aavya- tumhara man aaj kal har ladki ki taraf bhaga ja rha h,
Harday- main kahi nhi ja rha, wo sab mere pas aa rhi hain,
Aavya- ha ha tum to surajmukhi ho aur sai lakdiya bhawre ki trha tumhare charo taraf mandra rahi hain,
Harday- ye dekho drashti ka sms aa gaya,
Aavya- aise khush ho rhe ho jaise girl friend ne perpose kr diya ho,
Harday ne aavya ko dekha
Harday- tum itna gusse me kyo rheti ho, har time chidi chidi si rheti ho,
Aavya- tum nhi samjhoge, chalo location per chalte hain,
Harday- abhi time h, sab ko so jane do,
Udhar nidhi chinjivi ke aane ke intejaam to kr rhi thi lekin bahut ghabrai hui thi,
Nidhi ashok se- unhe project ke bare me mat batana warna ye project aapke hath se nikal jayega,
Ashok- nhi bataunga, lekin wo sab pata kar lete hain, unse kaise chupaunga,
Nidhi- jaise ab tak chupate aa rhe ho,
Ashok- thik h main dekh lunga tu teyari kr bas, wo khush ho jane chahiye,
Nidhi- teyari to puri h, lekin agar unhone kuch aisa mang liya jo main ab nhi de sakti to kya hoga,
Ashok soch me dub gaya,
Ashok- main samhal lunga,
Ashok chal diya uske face per kamini muskaan thi,
Idhar anjali ki team chiranjeevi baba ki kundali khangalne me lagi thi, uske bahut se ashram the wo kab kaha milta tha kisi ko nhi pata hota,
Anjali baba ke har aashram per aadmi laga diye, uske anuyaiyo se jankari nikalne lagi, lekin bahut kuch pata nhi chal paya, bas ek hi baat bar bar aati ki inki umar ka koi andaja nhi h, na jane kab se himalya per tapshya kar rhe the ye,
Anjali jitni ho sakti thi utni jankari nikal rhi thi, samay kam tha,
Wahi raat me harday aur avya ashram ke najdeek pahuch gaye, ye aashram shahar se bahut dur ek sumsaan ilake me bana hua tha, unchi unchi deeware aur un per lohe ke taar badhe the kanto wale,
Aavya- ander kaise jayenge.
Harday ne drashti ko call kiya, aur sabse safe area pucha, drashti ne use bata diya,
Aavya- ander kaise ghusenge ye socho, inlogo ne aas pas ke paid bhi kaat rakhe hain, bilkul khali jagah h yaha,
Harday- main akela hota to ek hi baar me ander ghus jata lekin tumhe lekar ghusne me thodi mhenat lagegi,
Aavya- kaise
Harday ne ek bada sa padhtar uthaya aur deewar ke pas me rakh diya, fir Harday ne aavya ka hath pakda aur deewar se dur le gaya, avya ki samjh me kuch nhi aa rha tha,
Harday- apne muh per hath rakh lo, ghabrana mat aur aawaj mat karna,
Aavya kuch samjh pati, usse phele harday ne aavya ko apne kandhe per uthaya aur deewar ki taraf dod laga di, aavya shocked si thi, harday ne us pathar per pair mara aur hawa me upper uchal gaya, aur 8 fit ki deewar aur 2 fit ke lohe taro ke bhi upper ko kud gaya,
Dusri taraf andhera tha to harday jameen ka andaja nhi laga paya aur uska balance bigad gaya, lekin girte hue usne khud ko niche kr liya aavya uske upper aa gai,
Aavya harday ki baho me thi, wo usse kas kr chipak gai,
Harday dheere se- utho hum ander aa gaye,
Aavya jhepti hui uthi,
Aavya- ye tumne kaise kiya, aisa karna namumkin sa h
Harday- main na jane aise kitne kaam kar sakta hu jo nanmumkin se hote hain, is sab ke bare me baad me baat karenge phele apni khoj karte hain,
Harday ne drashti ko sms kr diya ki wo ander aa chukka h,
Drashti unke pas hi aa gai,
Tino dheere dheere ashram ko chek karne lage,
Harday- phele mujhe komal mosi se milna h
Drashti harday ko komal ke room tak le gai,
Aashram me darwaje nhi lage the kuch hi kamro me the baki sab me bas parda hota tha, tino ander gaye to dekha komal ek kone me fati hui saree me leti hui thi jameen per chadar bicha kr,
Harday komal ke pas pahcuha aur uske pair chu liye , komal ki aankh khul gai,
Komal hadbada kr uth gai, drashti ne uske muh per hath rakh diya,
Drashti- sab thik h shant rhena,
Komal- tum log yaha kya kar rhe ho, bachhe tum yaha kyo aaye, tumhe yaha nhi aana chahiye tha,
Harday- mosi drashti ne mujhe sab bata diya h, aap chinta mat kijiye main unhe dhund lunga aur aapko yaha se bahar nikalunga,
Komal- ab sab tere hi bharose h beta, tere papa ne in dushmano ko haraya tha, hraya kya puri trha tahasnahas kar diya tha, lekin is soniya naam ki nagin ko chod diya, tu aisa mat karna is nagin ko khatam kar dena,
Aavya- wo mera kaam h, jis din wo mere samne aai uska akhri din hoga,
Komal- ye bachhi kon h
Harday- ye aavya h alka mosi ki beti
Komal ki anakho me aansu aa gaye
Komal- alka ki beti kitni pyari h kitni badi ho gai h, ab to sare bachhiya badi ho gayi hongi,
Aavya- ha mosi, jaldi hi aapki mulakat sabse hogi aur aapki beti kamya se bhi
Komal- kamya meri bachhi
Harday- pura pariwar ek sath h mosi anjali maa ke pas, aur sab aapke intejar me hain,
Komal- phele tu apne pita aur ruchi aur alka ko dhund
Harday- aapko kya lagta h wo kaha ho sakte hain,
Komal- is waqt wo is soniya ke pas to nhi h, aur iska ek hi sahara h ye baba,
Harday- hmmmm main is baba ki sare jade ukhad dunga,
Komal- bas khayal rakhna usme koi apna na kho jaye,
Harday- aapne us din kaha tha apno ko sahi raste per lana,
Komal- wo is bachhi ke liye tha drashti ke liye, ise galat rasta dikhaya gaya tha, lekin ab ye sab samjh chuki h,
Harday- aur aap mujhe us aadmi se ladne ke liye kyo rok rhi thi,
Komal ne drashti ki taraf dekha,
Komal- tum aur aavya bahar nigrani rakho jara koi idhar na aa jaye,
Drashti aur aavya bahar jhakne lagi, tabhi komal ne harday ko kuch btaya, jise sun kr harday shocked sa baitha reh gaya, uski aankho me aansu the,
Harday- ise chupana kyo
Komal- iska sahi samay nhi aaya h, ye baat soniya ko bhi nhi pata h,
Harday- aise kaise, fir aapko kaise pata chala,
Komal- ye sab batane ka abhi sahi samay nhi h, kafi samay ho gaya h tumhe yaha se niklna chahiye, bas ek baat ka khayal rakhna tumhare hatho wo na mara jaye, aur us baba ke bahut se adde hain, aise adde ko dhundo jaha wo sabse jyada samay bitata ho, koi aisi jagah jaha koi pahuch na sake,
Harday- aap fikar mat kijiye,
Drashti aur aavya wapas aa gai,
Drashti- sab safe h,
Komal- ab tumhe niklna chahiye, kisi ko shak na ho, ye jagah bas ayashi ke liye h, yaha kuch nhi milega,
Harday- samjh gaya, aap bas himmat rakhna main aaunga aapko lene, aur kasam maa ke charno ki is sabki garden na ukhad di to khena,
Komal- maa chod dena in sabki,
Komal ki gali per drashti surprised si ho gai, harday jhep sa gaya aur aavya ki hasi chhut gai,
Komal- tu kyo hasi
Aavya- mosi ise galiya dena pasand nhi h
Komal- sab sikh jayega, jab main aaungi na to sab sikha dungi,
Drashti- chalo ab yaha se,
Harday aur aavya komal ke gale lage aur bahar nikal gaye,
Drashti- yaha aane ka koi khas fayda nhi hua, bas tum log komal aunty se mil liye,
Harday- bahut fayda hua h drashti, bahut jyada fayda hua h yaha aane se,
Harday ne drashti ko gale se laga liya,
Harday- tum ghabrana mat main sab thik kr dunga, sab kuch thik kr dunga,
Harday ke gale lagte hi drashti ka pura badan sansana gaya, uske pure badan me thituran si dod gai, rongate khade ho gaye,
Aavya bhi shocked thi, ek dum se ye kya hua,
Kuch pal baad harday alag hua,
Harday- main jaldi hi wapas aaunga,
Harday aur aavya aage badhe drashti wahi ek pal ke liye khadi reh gai,
Jaise hi drashti ko hosh aaya wo jaldi se harday ke pas badhi tabhi samne se ek aurat aa gai,
Wahi chandigad me chiranjeevi baba shahar me pahuch chukka tha,
Uske sath uske bahut se anuyayi bhi the, sabhi ko program ki jagah per rukne ka intejam kiya hua tha, lekin chiranjeevi ke liye cm ne alag se ek farmhouse per intejaam kiya hua tha,
Chiranjeevi baba ek aasan per baitha hua tha, aur uske barabar me ek aadmi khada tha, dekh kr hi lag rha tha ki usme bahut takat hogi, uske samne cm aur shahar ke kuch nami business man kursiyo per baithe hue the, jinme se ke ashok kapoor bhi tha,
Chiranjeevi- ha ashok kaisa chal rha h sab,
Ashok- aapka aashirwaad h guru ji,
Chiranjeevi- ab ye ravi tumhara kaam karega, iska mukabla koi nhi kar sakta, yaha aisa koi nhi h jo iska mukabla kar sake,
Ashok- wo ladka
Chiranjeevi- use hum dekhenge, uski takat ko hum khud parkhenge, humne ise itni takat di h ki iska samna bas ek hi insan kr sakta h,
Ashok- kon guru ji
Chiranjeevi- ansh rana, tum to mil chuke ho usse 20 saal phele, usi ne tumhare bete ko coma me pahuchaya tha,
Ashok ke dandt bhich gaye, gusse me muthiya band ho gai,
Chiranjeevi- jo ho gaya so ho gaya, ab aage ki socho,
Ashok ke man me bahut kuch chal rha tha,
Ashok- ravi meri baat to sunega na,
Chiranjeevi- main kahunga to jarur sunega
Chiranjeevi ne ravi ki taraf ishara kiya- ravi jaisa ashok bole waisa hi karna h,
Ravi- ji
Chiranjeevi- nidhi kaha h ashok
Ashok- ji wo aapke program ki teyari kr rahi h,
Chiranjeevi- aur tumhari poti kaha h, humse mulakat nhi karwaoge kya
Ashok- guru ji wo kal aapko wahi program me milegi,
Chiranjeevi- bahut achha,
Cm sahab anjali ke pariwar per thodi si lagam lagao, suna h wo wapas aa gai h,
CM- guru ji wo bahut powerful h, uski pahuch bahut upper tak h,
Chiranjeevi gusse me - humse bhi upper tak h kya,
CM- mera wo matlab nhi tha guru ji,
Chiranjeevi- suna h uske pariwar ki raksha wo ladka kar rha h,kya naam h uska harday, kya rishta h uska
Ashok- wo anjali ki beti ki beti ko pyar karta h, ya yu kahe wo ladkiya uske piche pagal hain,
Chiranjeevi- hmmmm ye pyar hahahahahha, waise ashok aaj bhi kisi ke bare me tum puri jankari nikalna nhi sikhe,
Ashok- pakki khabar h guru ji, wo himachal se aaya h,
Chiranjeevi- wo kahi se bhi aaya ho, lekin wo isi ghar ka beta h,
Agla update aaj aayegaBesabari se intezaar kar rahe hai next update ka riya singh ji....
Aaj pata chal jayega wo aadmi kon hSahi hai paka vo admi tushar hai or Dristi tushar ki hi beti hai
Bahut bahut dhanyawad jiKuch raj khule he lagta he ye dama hi tusar he jiska bren bash kiya gaya he aur dtasti jarur ruchi ki beti he
Ye chiranjibi baba kon hr anokha me bhi iska nam nahi he lekin ye ansh aur family ko janta he
Komal ne dama ka raj hi bataya lagta he drasti ka use bhi sahi pata nahi he
Ashok kapur ko aur ravi ko sabse pehale saja milni jaturi he
Dhanyawad jiIsi tarah nitya ka bap kon he kya iska rista bhi tusar ya ans se judta he
Chiranjibi baba ke liye sombar ko ek megha update to banta he plz
Komal ne kya btaya ye agale update me pata chalegaKomal na kya kya bataya hai harday dekhta hai kahi drashti bhi toshu ki beti toh nahi....baba toh sach main bahut chalak hai harday k baare main turant samjh gaya..
Thanku jiSuper update
Ye dhama tushar ho sakta hai aur dristi Ruchi ki beti ho sakti hai
intezaar rahega....Agla update aaj aayega