UPDATE 16
Ab mujhe pata tha woh kahan rehti hai
Aarohi kheto mein kaam kar rahi thi
Dhoop itni tez thi
Ki woh apne ek hath se apne chehre ko chippaye hui thi
Tabhi meri najar kuchh aadmiyo pe padi
Jo door khade aarohi ko Dekh rahe the
Matlab really
Tabhi woh teeno hawa mein udne lage
Aur phir neeche zameen pe gid gaye
Aisa do teen baar hua
Jis wajah se unki haddi pasli ek ho gayi
Ab woh the gaon ke hi
Isi liye bhoot bhoot karke bhaagne lage
Main aarohi ke saamne khada ho gaya
Jab aarohi ko mehsus hua
Toh woh apni Gardan uthake dekhi
Mujhe dekhte hi Woh jhat se khadi ho gayi
Aur Apne aapko simatne lagi
Jab uske sharir pe main zakhmo ke nishaan dekha
Meri aankho se aansu nikal gaye
Kyunki dikh toh woh mujhe bina kapdo ke hi rahi thi
Aarohi..aap kaun hain
Main..naam kya hai tumhara
Aarohi..mera naam àarohi hai
Lekin aap kyun puchh rahe hain
Main..bas aise hi
Aarohi ek baar mujhe dekhi
Aur phir se kaam karne lagi
Main..kyun karti ho yeh kaam
Aarohi.. pet paalne ke liye
Aur kis liye karungi
Main..tumhare mata pita nahi hain
Yeh sunke aarohi ka chehra udaasi se bhar gaya
Aarohi..unka hona na hona ek Barabar hai
Tabhi main ek hi mazdoor ko control kiya
Aur woh humare paas aagaya
Kisse baatein kar rahi ho beti
Aarohi..pata nahi kaun hai yeh
Mujhse sawal kar raha hai
Par beta yahan toh koi bhi ladka nahi dikh raha hai
Ab main aake àarohi se kehta
Ki main tumse shaadi karunga
Mere sath chalo
Aur woh maan jaati
Aisa toh hota nahi
Bharosa jeetna padta hai
Milta nahi
Us aadmi ki baatein sunke aarohi chaunk gayi
Àarohi..yeh ladka aapko nahi dikh raha
Nahi toh
Beti kaam karo warna pata hai na
Dheeraj kya karega
Dheeraj ka naam sunke aarohi kaanp gayi
Dheeraj mazduro se kaam karwata tha
Sudhir ne hi use kaha tha
Ki àarohi kabhi bhi khush nahi rehni chahiye
Aarohi kaam karne lagi
Phir woh aadmi chala gaya
Main..yeh Dheeraj kaun hai
Aarohi..yahan ka manager hai
Main..toh uska naam sunke tum dar kyun gayi
Aarohi..tum koi bhoot ho kya
Main..agar hoon toh
Àarohi..agar ho bhi
Toh mujhe koi faraq nahi padta
Kyunki tumse jyada khatarnaak yeh insaan hain
Main..achcha
Main uske hatho ko dekha
Jismein gaanthein pad gayi thi
Hasua chala chala ke
Bachpan se kar rahi thi woh yeh sab
Aarohi..agar tumhein kuchh Chahiye
Toh kisi sahukar ke ghar jaao
Main.. bhoot ko kya jarurat kisi cheez ki
Aarohi..haan baat toh tum sahi keh rahe ho
Par agar tum bhoot ho
Toh tumhein jaadu bhi aata hoga
Main.. shayad
Aarohi..mujhe ek jodi kapde laake de sakte ho
Main.. kyun
Àarohi..kyunki mere kapde fate hue hain
Dikh nahi raha hai kya
Main..haan dikh toh raha hai
Aarohi..badle mein main tumhein apni aaj ki mazdoori de dungi
Uski in baato ne mujhe andar tak hila diya
Aarohi.. woh kya hai
Kheto mein kaam karne waale mard mujhe dekhte rehte hain
Mujhe bilkul bhi achcha nahi lagta
Main..tumhein mazdoori karke jo paise mile
Usse kapde le aana
Aarohi..nahi la sakti
Mujhe yahan se bahar nahi jaane deta dheeraj
Main..toh phir un paiso ka kya ki
Jo mazdoori karke milte hain
Àarohi..woh paise main dhèeraj ko de deti hoon
Uske badle mein mujhe raat ka khana
Aur ek bottle paani milta hai
Jise main poore din chalati hoon
Main..agar mujhe paise de dogi
Toh khaogi kaise
Àarohi..bhukh se jyada mujhe apni izzat pyari hai
Kya pata yahan kisi niyat kharab ho jaaye
Aur woh mere sath
Yeh bolke woh rone lagi
Main..tumne kisi se madad nahi maangi
Àarohi..yahan sab gareeb log hain
Sabko apni aur apne bachcho ki chinta hai
Ek baar ek aadmi ne mujhe bhagane mein madad ki thi
Lekin hum pakde gaye
Us aadmi ke hath pair tod diye gaye
Aur dheeraj ne mere kapde faad diye
Aur mujhse yeh bola
Ki agar dobara Aisi koshish ki
Toh woh meri izzat loot lega
Yeh bolke woh apne aansu pochhne lagi
Jo mera dimaag fata
Jo fata
Wahan maujood har shakhs ke sar mein sard hone laga
Yahan tak ki aarohi ke sar mein bhi
Lekin phir mujhe ehsaas hua
Ki aarohi ko takleef ho rahi hai
Isi liye main normal ho gaya
Aarohi..tum kyun ro rahe ho
Main..agar main tumhein yahan se azaad karwa doon toh
Aarohi..main Zindagi bhar tumhari ghulami karungi
Main..toh phir kya fayda
Yahan bhi toh tum ghulami kar rahi ho
Aarohi..par yahan mujhe apni jaan ka dar rehta hai
Apni izzat lutne ka dar rehta hai
Aaj tak kabhi main sukun se nahi so paayi
Zara si aahat se meri aankh khul jaati
Aur main dar ke ek kone mein baith jaati
Mera man kar raha tha
Ki main cheekh cheekh ke rone lagu
Meri àarohi ke sath yeh sab ho raha tha
Aur mujhe Pata hi nahi chala
Main.. theek hai main tumhein azad karunga
Lekin badle mein tumhein mere sath hi rehna hoga
Zindagi bhar
Jo bolunga woh karogi
Aarohi..man mein..yeh toh bhoot hai
Jyada se jyada apni ghulami karwayega
Kam se kam meri izzat ko toh koi khatra nahi hoga
Pata nahi woh kya soch rahi thi
Aarohi.. mujhe sweekaar hai
Mujhe sweekaar hai
Bas mujhe yahan se azaad kara do
Main..apni aankhein band karo
Aur jab tak nahi bolu
Tab tak mat kholna
Kuch bhi ho jaaye apni aankhein mat kholna
Agar tumne apni aankhein kholi
Toh yaad rakhna
Main tumhein azaad nahi karaunga
Azaad hone ki baat sunke aarohi ka masum chehra khil pada
Woh jhat se apni ankhein band kar li
Main uska hath pakad liya
Uska hath itna kathor tha
Ki mere hath usse jyada komal lag rahe the
Main use leke wahan se aage badhne laga
Wohin paas mein ek aadmi aur aurat kaam kar rahe the
Dono ne jab humein dekha
Toh aurat boli
Dekhiye toh aarohi kisi ladke ke sath ja rahi hai
Shayad bhagwaan ne sun li aarohi ki
Tumhein yaad nahi hai
Ki aarohi humesha kehti thi
Ki ek din mere sapno ka Rajkumar aayega
Aur mujhe yahan se leke jaayega
Kaash yeh baat soch ho jaaye
Bahut zulm hota hai uspe
Lekin agar iska bhi haal kamal ke jaisa hua toh
Aurat boli
Dekhte hain
Aur phir main aage badhta ja raha tha
Sab ki najar humpe Tik gayi
Tabhi saamne se kareeb 10 pehelwaan humari taraf aane lage
Aur aage chal raha tha Dheeraj
Main kisi ko jaan se nahi maar sakta
Lekin Zindagi maut se badtar jarur bana sakta hoon
Main pehelwaano ke mind mein ghus gaya
Aur unhein order diya
Ki dheeraj ki tab tak gaand maaro
Jab tak Woh behosh nahi ho jaata
Aur jab woh hosh mein aajaye
Toh phirse uski gand maarne lag jaao
Use din mein ek bottle paani peene do
Aur ek time khaana do
Khane ke liye
Bas phir kya tha
Pehelwaano ne dheera ko pakad liya
Woh bolta reh gaya
Aur uske hi pehelwaano ne use nanga kar diya
Aur phir jo cheekhein nikli
Dheeraj ki
Aarohi..yeh kiski cheekhein hain
Main.. Dheeraj ki
Bas àarohi ruk gayi wohin
Aarohi..bas kuchh pal aur mujhe uski cheekhein sun lene do
Main kuchh nahi bola
Aarohi ki band aankho se aansu beh rahe the
Aur phir hum wahan se nikal gaye
Ab main use car mein bithata
Toh use pata chal jaata
Isi liye main use apni god mein utha liya
Aarohi..yeh kya kar rahe ho
Main..ab jahan le ja raha hoon
Wahan chalke thodi jaayenge
Udke jaayenge
Aarohi kuchh nahi boli
Main use god mein uthake chalta raha
Par super strength ka kya matlab hai
Kya main super man jitna powerful hoon
Tabhi mujhe nawaz bhai ka woh dialogue yaad aagaya
Aukaat mein reh
Aarohi..hum kab pahunchenge
Main.. jab pahunchenge
Tab bata dunga
Aarohi..theek hai
Toh mere paas hain
All kind of mental powers
Bas empathy ko chhodke
Empathy Matlab main bina kisi ke.mind mein ghuse uski feelings feel nahi kar sakta
Toh ab apne paas
Mind powers hai
Jismein telepathy
Telekinesis
Psionic
Super strength
Healing factor hai
Ab aarohi se mujhe kya milega
Toh kareeb 6 ghante chalne ke baad
Main pahunch gaya
Ek ghar ke saamne
Yeh ghar nana jee ne meri maa ko gift diya tha yeh ghar
Mujhe dekhte guard mujhe ghurne laga
Main use gate kholne ko bola
Usne gate khol diya
Phir main aarohi ko le jaake sofe pe bitha diya
Aarohi..ab khol loon aankhein
Main..abhi nahi
Phir main market mein ek shop waale ke mind ko control kiya
Woh sab kuchh ek gaadi mein bharke
Yahan aane ke liye nikal gaya
Use ek ghante lagne waale the yahan aane ke liye
Main paani ka bottle liya
Aur aarohi ke honto se laga diya
Àarohi jhat se apna munh khol di
Aur gat gat paani peene lagi
Aur poora paani pee gayi
Main..aur peeyogi
Aarohi..nahi
Ek ghante baad
Woh aadmi aagaya
woh aadmi aur do aadmi ke sath aaya tha
Main un sabke mind ko control kiye hua tha
Woh sab chup chaap saara saman rakhkhe chale gaye
Ab rahe unke paise
Toh main papa ke mind mein ghusa
Aur unhone us aadmi ke account mein itne paise daal diye
Jitne daalne the
Behenchod lagta hai ab apne liye paise bhi kamane padenge
10 biwiyo ka kharcha
Baap re baap
Uske baad main saara saaman aarohi ke saamne rakh diya
Har tarah ke kapde the
Itne kapde the
Ki roz din aarohi naye kapde pehen sakti thi
Uske liye har tarah ki dish mangwaya tha main
Har tarah ki Jewellery
Main..ab tum apni aankhein khol sakti ho
Aarohi ne apni aankhein kholi
Aur usne jo sab dekha
Shocked ho gayi
Aarohi..yeh sab kis liye
Main..tumne kya kaha tha
Ki ab main jo.bolunga
Tum wohi karogi
Toh main keh raha hoon
Tumhein jo kapde pehenne hain
Pehno
Jo khaana hai khaao
Aarohi ki ankho se aansu behne lage...