- 1,423
- 16,534
- 144
Update 76
Is waqt america me apne bungalow me baithkar pihu apni hi sochon me gum thi use abhi bhi raka ke maut ko lekar doubt tha use ye encounter accident ya gangwaar nahi balki ek pre planed murder lag raha tha uske pass raka ki location ki report aa gayi thi
jisse ye saaf ho gaya tha ki jab raka ne pihu ko call kiya toh uski location alag thi jo dekhkar woh lagataar sare kadiyon ko aapas me jodne lagi sabse pahle toh raka ne uske maut ke kuch minutes pagle hi pihu ko call kiya tha
Lekin uski location uske murder spot se bahut door thi jaha pahunchne ke liye kam se kam 30 se 45 minutes jaroor lagte jisse pihu ka shaq ab yakin me badalte ja raha tha bas ab use ye samajhme nahi aa raha tha ki use mara kisne aur kyun
jiske baare me sochkar hi pihu ka dimaag kaam karna band kar diya tha aur jab use koi idea nahi laga tab usne apna phone uthaya aur turant ek number pe call mila diya
Pihu :- hello peter i have a work for you
Saamne se :- .....
Pihu :- you have toh go India and investigate one murder case I'll send you the details and advance but i want each and every details about this
Saamne se :- .....
Pihu :- okay bye
Itna bolke pihu ne call cut kar diya toh wahi dusri taraf vira abhi santosh ke office ke bahar khada tha ki tabhi waha par bhika bhi aa gaya aur uske hathon me ek file thi jiske baad woh dono turant santosh se milne chale gaye jaha is waqt santosh apne P. A se aage ke orders ke baare me hi baate kar raha tha ki tabhi cabin ka darwaja khula aur viraj bhika ke saath cabin me enter karta hai jise dekhkar santosh shocked ho jata hai
Santosh :- kya baat hai viraj tum is waqt yaha kaise
Viraj :- kyun nahi aa sakta kya me
Santosh :- nahi aisi baat nahi hai lekin tum subah hi milke gaye the aur abhi phir se aisa kabhi hua nahi isiliye shocked ho gaya tha
Viraj :- waise toh humare orders ko store karne wale godawn me bhi kabhi aag nahi lagi thi
Santosh :- kahna kya chahte ho tum
Viraj :- yahi ki duniya me har chij pahli baar hoti hai chahe woh janam ho ya mruty punya ho ya paap yuddh ho ya shanti dosti ho ya gaddari har chij ki shurwaat ek baar ae hi hoti hai
Santosh :- ye baton ko ghumao mat saaf saaf kaho kya baat hai
Santosh ki baat sunkar viraj ne bhika ko ishara kiya jiske baad usne apne hathon me pakdi ek file ko sanosh ko pakda diya jise padhte huye lagataar santosh ke expression badalte ja rahe the toh wahi viraj is waqt me chalte huye dheere dheere santosh ke P.A pass pahunch gaya aur waha jakar woh uske piche khada ho gaya
Viraj :- kaha tha na santosh chahe dosti ho ya gaddari uski shurwaat ek baar se hi hoti hai lekin agar hum dhyaan na de ya use na roke toh woh ek baar kab dus baar aur phir kab lagataar ban jaye pata nahi chalta kyun P.A sahab
P.A :- (haklate huye) aap sab kya baate kar rahe hai sir mujhe hi samajh nahi aa raha hai
Viraj :- arey aap toh kahani ke hero ho aur aapko hi samajh nahi aa raha hai
P.A :- matlab
Santosh (file uske muh par maarte hue) ye hai matlab tujhe sharam nahi aayi mujhe dhokha dete huye kya nahi kiya tha mene tum sabko ek achhi zindagi dene ke liye khud kangal ho gaya tha lekin phir bhi tumhari salary nahi roki thi aur tumne mujhe hi dhoka diya
Bhika :- ye aaj se nahi balki pichle 2 salon se us kritika ke saath milkar aapko dhokha de raha hai sabke saboot us file me hai
Jo file bhika lekar aaya tha usme us P.A ke khilaf saboot the jisse ye saabit ho jaye ki P.A kritika se mila hua tha ye sab pata lagane ke liye bhika ne apne magic ka istemaal kiya tha isi wajah se uske galat hone ka toh sawal hi nahi uthata
Toh wahi jab us P.A ne woh file uthakar dekhi toh uske pairon tale jamin hi khisak gayi kyunki in sabhi sabooton ko usne badi hushiyaari se chupaya tha unka aise sabke saamne aana use hazam hi nahi ho raha tha
Woh abhi is sab ko process kar hi raha tha ki tabhi uske pith par ek laat padi jo viraj ne hi mari thi usne abhi tak apni puri taakat nahi lagayi thi isiliye woh P.A kewal jamin par hi gira tha lekin jinda tha toh wahi file dekhne ke baad P.A itna toh samajh chuka tha ki ab uska jhuth bolne ka toh kuch fayda nahi hai
Isiliye usne victim card play karne ka socha lekin uska asar na viraj par ho raha tha aur na hi santosh par abhi woh P.A kuch aur natak karta ki tabhi viraj ne bhika ko ishara kiya aur viraj ka ishara pate hi bhika us P.A ko uthake waha se chala gaya
jiske baad viraj ne santosh se kuch der baat karke wapas apne ghar ko aa gaya aaj ka din uske liye bahut lamba aur mahatvapurn gaya tha
Toh wahi aur bhi koi tha jiske liye ye din bada lamba tha aur woh tha kritika ka pati kal raat se woh apni patni kritika ke liye pareshaan tha uske aur kritika ke bich me jhagde ke dauraan kritika ne use kuch aisi baate bol de thi jo uske male ego ko hurt kar gayi thi
jis kaaran usne bhi kritika ko kuch aisi baate bol di thi jisse unke bich ki normal tu tu me me bade jhagde me badal gayi aur parinaam swarup krodh ke aavwsh me usne kritika ko ghar se jane ke liye bol diya tha lekin jab akele raat bhar rahne ke baad uaka gussa shant hua
toh use uski galti ka ehsaas hua toh usne kritika ko call lagakar usse maafi mangne ka try kiya lekin kritika uska call recieve nahi kar rahi thi jis karan use laga ki woh usse abhi tak naraj hai jab uska mood halka ho jaye tab call kare yahi sochkar usne bhi phone karna band karke apne office ke liye nikal gaya
Woh office ke liye toh nikal gaya tha lekin pura din woh sirf apne phone ko ghoore ja raha tha use call karne ka try kar raha tha uske call ya sirf ek msg ka hi intezaar kar raha tha usne ab tak kritika ko 50 se jyada calls aur 80 se bhi jyada sorry ke msg kar diye the
Lekin saamne se use koi bhi response nahi mila tha aise hi aaj ka din nikal gaya aur raat ho gayi lekin kritika na toh ghar wapas aayi thi aur na hi usne uske calls aur massages ka kuch jawab diya tha jisse uski tension badhti ja rahi thi
Jiske baad usne aakhir kaar uske sasur yani sunil ko phone lagaya lekin sunil ne ye bol diya ki kritika dupahar ko hi apne ghar ke liye nikal gayi thi jo sunne ke baad Ramesh(kritika ka pati) ki tension pahle se bhi kayi guna badh chuki thi jis kaaran woh turant apne najdiki police station jakar complaint likhane ka try kiya
lekin unhone bhi ye kahkar uski madad karne se inkaar kar diya ki uski patni gaav se gayab hui hai toh wahi jakar complaint likhaye jiskaaran ramesh ne apne contacts ke ministers ko call karke sari pareshani unhe batayi
toh unhone turant us police station me call karke kaaryavahi shuru karne ka order de diya jiske baad raat bhar sahar me petroling karne ke baad bhi jab police ko kuch nahi mila toh woh subah karib 8 baje tahkihaat ke liye gaav ke liye nikal pade
Toh wahi raat ko ghar pahunchne ke baad jab viraj ko kritika ke gum hone ki khabar mili toh usne sabse pahle apne magic se uske baare me check kiya aur jab use sab pata chala toh usne aage ki planning me kuch changes karte hue bhika ko uske baare me taiyariya karne ke liye bol diya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi