Update 103
ज़िंदगी की राहों में
जब उम्मीदें टूट जाएं,
अंधेरा छा जाए चारों ओर,
नज़र आये बस विफलताएं,
तब डरना नहीं, है ज़रूर कोई और।
एक नई उम्मीद का बीज बोया है,
जिसके बारे में सोचा नहीं किसी ने,
अंधेरे में चमकेगा यह दीया,
नई राहें दिखाएगी ये बिना किसी के।
ये उम्मीद है ताकत का सोता,
ये उम्मीद है जीत का रास्ता,
ये उम्मीद है सपनों का कोटा,
तो हार मत मानो, चलते रहो लगन से।
Halki madhur dhun ke saath yahi shabd lagaataar mere kanon me pad rahe the aisa lag raha tha jaise koi shakhs piano bajate hue ye gana mere liye hi ga raha hai aur jab woh gana band hua toh mujhe halka halka hosh aane laga me is waqt kaha hoon ye me nahi jaanta tha
Lekin ye bahut ajib jagah thi aas pass door door tak bilkul sannata jamin par ajib sa dhua faila hua tha sari ke uper na koi chat aur na hi koi deewaar aisa lag raha tha jaise me dhue se bhare maidaan me khada hu aur abhi me apne pairon par khada hone ka try kar raha tha ki tabhi mere kano me ek aadmi ki aawaj aane lagi ye wahi tha jo kuch der pahle gana ga raha tha
Aadmi :- tum aakhir yaha aa hi gaye kab se me tumhara intezaar kar raha tha
Me (karahate hue) :- me ka..
Aadmi :- (bich me tokte hue) me kaun hoon kaha hoon ye sare ghise pite sawal hai ye puch kar tum apna aur mera time waste kar rahe ho isiliye me hi tumhe sab bata deta hoon
Me hoon God Of Death mera kaam hai mare hue jivon ko unke karmon ke anusaar inaam ya dand dena aur tum yaha isiliye ho kyunki tum mar gaye ho waise toh tumhari jeevan leela bahut samay pahle hi khatam ho gayi thi Lekin divyamani ke kaaran tum apne hi sharir me kaid hokar rah gaye aur uske baad tumne kya kya kiya ye tum khud dekho
Itna bolte hi us God of death ne apne hatho aage kiya aur uske aisa karte hi meri puri life Kisi movie ki tarah mere saamne chalne lagi jisme mere pariwaar ke saath bitaye haseen lamhe mera apni shaktiya badhate hue sangharsh karna sab kuch me dekh raha tha lekin dheere sab aage badhne laga aur jald hi woh waqt bhi aa gaya jab shaitan ne mujhe mere pariwaar ko meri puri duniya ko khatam kar diya
God of death:- toh viraj ab tumhe ye pata chal gaya ki tum kon ho aur kaha ho ab ye jaan lo ki tum yaha isiliye ho kyunki tum shaitan ke vessel ho mera matlab the aur jab tum the tab tumhare andar bhi wahi taakte samayi hai ab aksar yaha jo bhi aata hai uske pass Koi choice nahi hoti unhe unke paapon anusaar dand ya punya ke anusaar inaam ko swikaar karna hi hota hai lekin me tumhe ek choice deta hoon ya toh tum apne karmon ke fal bhugto ya phir tum us shaitan ko maarkar ek acchi maut pao
Me :- achi maut pao isse kya matlab hai tumhara me toh pahle hi mar chuka hoon toh kya tum mujhe ek baar phir punarjanam dene wale ho
God of death :- nahi me tumhe kewal ek sharir dunga ek aisa sharir jiske andar janam se hi jaduyi shaktiya aur uska gyan daud raha hai jo bilkul tumhare tarah hi samay se pahle mar gaya tha bimari ke kaaran me tumhari aatma ko uske sharir me bhejunga jiske baad tumhe kewal ek kaam karna shaitan morning star ko khatam karna hai
Me :- tum bhagwaan ho tumhe meri kya jarurat tum khud maar girao use
God of death :- ye sahi baat kahi tumne mujhe tumhari koi jarurat nhi lekin kya karu me dil ka acha hoon isiliye me tumhe ek mauka de raha tha ki tum apni maa aur bahano ka badla le sako waise agar dekha jaye toh unke jaan lene wale tum khud hi the tumne apne fayde ke liye shaitan se sauda kiya uski har baar baat mani aur uski haryana tumhare pariwaar ko chukana pada toh ab tum maut ke baad ki after life me jakar aaram karo aur waha jab apne pariwaar se milo toh ek achi jindagi jaroor jina woh tumhe maaf kar chuke honge shayad nahi unhone tumhe maaf kar diya hai mene suna tha jab us shaitan ne unko maarne se pahle pucha tha ki woh viraj se yani tumse kitna pyar karte hai tab unhone jawab me kya kaha tha yaad hai na tumhe ab agar tum unki maut ka badla bhi na le pao toh unke us pyaar aur bhavnaon ka matlab hi kya shaitan ka marna toh tay hai bas use maarne wale ke hath badal jayenge
Itna bolte hi woh mujhe pith dikha kar jane laga lekin uski kahi ek ek baat mere sharir me kisi angaron ke tarah chot pahuncha rahi thi jitna dard us shaitan se maar khate hue nahi hua utna dard mujhe is bhagwaan ki baate sunkar ho raha tha aur us waqt mera na sharir mere saath tha na man na dimaag aur na dil Sab mere khilaaf the ssb chahte the badla aur Isiliye
Me :- me tumhari baat manne ke liye taiyar hoon kaho kya karna hoga mujhe jisse me us shaitan ko maar pau
God of death :- me tumhe abhi us sharir me bhej raha hoon lekin yaad rakhna tumhare pass na tumhare apne honge na tumhari yaade na ghar na pariwaar na koi saga na koi sambandhi tumhe us sharir me kuch yaad hoga toh bas ek baat ki tumhe shaitan ko maar girana hai tumhare pass kewal 1 varsh hai uske baad shaitan apne asli sharir me lautega jaha use maarna toh door chuna bhi kisi ke bas me nahi hoga sliye agar mujhe laga ki tum apne pad se bhatak gaye ho toh me tumhe usi waqt wapas yaha bula lunga samjhe
Mere kuch bolne se pahle hi mera sharir ek safed aag me jalne laga aur mere aankhon ke saamne andhera chane laga toh wahi dharti par use dharti bhi ab kya hi kahna ab toh woh bas ek banzar aur nirasha se bhara grah tha
Usi grah viraj ke gaon me jo ghar viraj ne banvaya tha use woh shaitan apne rajamahal ki tarah istemaal kar raha tha is waqt uske saamne uske hi banaye hue woh 2 vampire the jo ab tak sabhi plans me uska saath de rahe the satpal Aur sunil ko unke pariwaar samet usne bali prakriya ke dauraan hi maar diya tha
abhi woh aage ke plan ke baare me discuss kar rahe the ki tabhi waha achanak 7 alag alag rang ke dhue jama hone lage jise dekhkar shaitan ke chehre par muskurahat aane lagi
Shautaan :- aao mere bacchon itne sadiyon baad tum sabhi pahle se bhi jyada shaktishali ban gaye ho
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~