Update 125
Unki baat sunkar me khada ho gaya aur abhi ke unke saamne khada tha ki tabhi unhone apne hath ko hawa me hi do baar ghumaya
Aur aisa karte hi hum jaha khade the woh jagah ek khali maidaan me badal gayi aur usike ke sath hawa me mere saamne ek kawach udta hua aane laga jo Guruji shika ke ishare se mere taraf aane laga
Shika :- ise pahan lo aur taiyar ho jao aage badhne ke liye unki baat sunkar me turant kawach ke aur badhne laga aur kere us kawach ko chute hi woh turant mere sharir par aa gaya aur jab woh kawach mere sharir par aa gaya toh mujhe is baat ka ehsaas hua ki is kawach ka wajan kisi bhi ausat kawach se 1000x jyada tha jaise hi mene use pahana me kisi ped ke patte ke bhati turant jamin par gur gaya aur let gaya me uthne ki koshish kar raha tha lekin kuch ho nahi paya me apni jagah par uthna toh door hil bhi nahi apaya me apni jaduyi shaktiyon ko bhi sakriya karne ka prayas kiya lekin woh vifal raha me baar baar koshish karte gaya lekin Kuch bhi nahi hua toh wahi meri prayason Ko dekhkar woh nere najdik aaye aur mere sar ke pass baith gaye
Shika :- tumhe pata hai is kawach ka wajan anant urja astra ke barabar hi hai ise pahan kar padhne ke liye tumhe utni hi urja ki jarurat hai jitni anant urja astra ko utane ke liye jaruri hai
Me :- tum jhoot bol rahe ho mene anant urja astra ko aasani se utha liya agar dono ka wajah Saman hai toh me ise utha kyu nahi pa raha hoon
Meri baat sunkar usne mere kaan pakad kar jor se khinch liye
Shika :- kitni baar kaha sarvnaam par dhyan do bolo mere saath sarvagyani guru maharaj shika Bolo
Me :- sarvagyani guru maharaj shika
Shika :- ha ab aage suno tumne kabhi bhi anant urja astra ko uthaya hi nahi tha balki anant urja astra ne tumhe khud use uthane diya lekin agar kisi kaaran se Kisi kshetra me anant urja astra ki shaktiya kaam karna band kar de toh tum use leke ladhna to door ki baad use hila bhi nahi sakoge samjhe
Me :- toh ab me kya karu
Shika :- apne ap par bharosa karo tum is waqt ek bahut bhayanak yuddh ke bich ho jo hai tumhare dil aur tumhare dimag ke bich dono bhi is waqt alag alag dishaon me aage badh rahe hai jis karan tum aage nahi badh pa rahe ho ab tumhe unke ek karke kisi ek disha me leke jana hoga aur jab tum ye kar loge toh is Kawach ka waja kisi aam kapd3 se bhi kam ho jayega aur agar tum nahi kar paoge toh
Itna bolkar woh kahi gayab ho gaye jisse me turant aaju baju dekhkar unhe dhoondhne laga lekin kuch nahi hua me kitna bhi dhoondh lu mujhe kuch bhi hasil nahi hota
jiske baad mene unhe dhoondhna chodhkar unki baaton me dhyan dene laga me unke kahe mutabik apne dil aur dimag par dhyan dene laga
Unke anusar me sochne laga jaise ki mere dil aur dimag ek hi hai lekin isse koi bhi farak nahi pada me jaha tha abhi bhi wahi hoon me baar baar khada hone ki koshish karta lekin har baar nakaam hota
Aise hi na jane Kitna samay bit gaya lekin kuch na hum hum jab is pahadi ki choti par pahunche the tab suraj humare sar ke uper aa gaya tha aur ab Suraj ki jagah chanda mama ne le li thi
Jiska arth tha aadha din bit gaya lekin me waise hi us jagah par pada raha aur aakhir kaar me waise hi pade pade so gaya is waqt mujhe atyadhik thakaan mahsoos ho rahi thi
jis karan me chowk gaya tha kyuki me jab se is duniya me aaya tha tab se mene lagataar kayi sari chije ki lekin kabhi bhi thakaan nahi mahsoos ki
lekin aaj aisa lag raha tha ki tab se leke ab tak ki sari thakawat abhi hi mere sharir me mahsoos ho rahi thi aur isi thakaan ke kaaran me kab nind ki wadiyon me kho gaya mujhe bhi pata nahi chala
meri nind tab khuli jab kuch panchiyon ne apne chonch se mere chehre par waar kiya jisse meri nind khul gayi
Aur jab mene apni aakhe kholi aur khud ki halat ka jayjha liye toh pata chala ki kuch bhi nahi badla tha me abhi bhi wahi tha jaha kal tha jamin par asahay pada hua tha
Jiske baad sabse pahle toh mene apne man ko puri tarah shant kiya jiske baad mene ek baar phir se apne dil aur dimag ko ek karne ka prayas kiya lekin woh vifal raha me lagataar prayas karte ja raha tha lekin kuch nahi hua
Toh wahi dusri taraf mrut ho chuke dharti lok me is waqt bhayanak aag lagi hui thi har jagah puri tarah se jal rahi thi aur is aag ka reason tha
dharti lok ki aisi factories jinme bahut hi adhik matra chamicals aur flamable objects the jinko har waqt servicing chahiye Hoti hai
aur woh na milne ke wajah se wahi hua jiski ummid thi blast chamical reaction aur bhari matra me poisoned gas ka attack hisse dekhte hi dekhte jo bhi kuch gine chune jagah par hariyali bachi thi woh bhi Puri tarah se nasht ho gayi
Aur jisse is jagah ka temperature bhi badhne laga aur dekhte hi dekhte itna polution na sahan karne ke wajah se ozone layers ke bhi chithde ud gaye aur surya ki hanikarak kirne turant dharti lok par padne lagi
jisse waha par salon se so rahe jwalamukhi ne bhi hulchul hone lagi ab swarg kahe jane wali dharti puri tarah se nark me badal gayi thi
aur ispar raj karte hue woh log jo khudko shaitaan ka wansaj bhi kahte hai woh kewal darshak bane dekh rahe the aur abhi raj ye sab dekh raha tha ki tabhi uske saamne vampire ki jodi prakat ho gayi ye wahi the jinhe shaitaan ne banaya tha
Vampire 1 :- maharaj aapne jaisa kaha tha waise hi is dharti par maujood sara sona hire moti sab humne ikattha kar liya hai aur sone ko pighlane ka karya bhi suru ho gaya hai aur hiro aur motiyon ko chote chote tukdon me tod kar pighle sone me daal diya hai
Vampire 2 :- aur mene bhi apni shaktiyon se jaisa aapne kaha tha is duniya ke sare robots aur aise machine jo humare sena ke hathiyar ban sakte hai un sabko pa liya hai ab aage ki yojna ke baare me bataye
Uske itna bolte hi raj ke chehre par hasi aa gayi aur usne phir apni yojna ka agla padav un dono ko samjhana shuru kar diya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~