- 118
- 1,385
- 139
|
Last edited:
|
Nice updateUPDATE 44
Komal ko jaise hi malum hua ki phir se bulaya ja rha hai to vah pahale to jane ke liye mana karne lagi lekin maa ne jab gusse me uski traf dekha to vah bina kuchh bhi kahe maa ki gadi me baith gayi. Pichhe se Anika didi or maa bhi ayi or gadi me baith gayi to maa ne dekha ki komal bina wajah ke gusse me hai to vah boli
Maa - " Komal ek baat samajh lo ki ab tum koi chhoti bachhi nahi ho jo baat baat par gussa hone lagti ho or dusari baat jab baat puri trah se malum na ho to bhi bina vajah gussa nahi karna chahiye pahle chal kar dekho baat kya hai or upar se is baar bulahat Viraaj ki traf se nahi balki Mamta ne bulaya hai isliye bina kisi tension ke chalo samjhi. "
Komal jo ab tak gusse me muh fulaye dusari traf baithi hui thi vah maa ki traf dekh kar boli
Komal - " Maa kya boli aap didi ab tak vahi par hai par unko to ek Urgent meeting me jana tha phir ab tak vah kya kar rahi hai. "
Anika didi jo abhi tak bilkul shant thi vah dhimi awaj me boli
Anika didi - " Khamoshi se sath chalo or khud hi dekh lena ki kya baat hai ki jo vah bula rahi hai. "
Vaise to Anika di ne ab tak vanha par lagaye hue khufiye camera se sab kuchh dekh or sun chuki thi or yah baat jankr unko bhi ek jhatka laga ki unki ek or bhi bahan hai jiske baare me maa tak ko malum nhi hai or aise me agar abhi bata diya to maa kaise riact karengi yah baat malum nhi thi isliye Anika didi ne abhi batana thik nahi samjha or idhar maa ne bhi Anika di ke face aa rahe badlaav ko dekh chuki thi or vah jaan chuki thi ki maat gambhir hua hai.
Kuchh hi wakt me sabhi log mere college ke samne aa pahuche un logi ko wapas aya dekh kar phir sab apas me baate karnene lage lekin Payal ka rudra roop dekh kar ab kisi ko pass ane ki himmat nahi ho rahi thi. Jab vah teeno log andar aye to dekha ki ek tebale par dono log ko bitha rakha hai or aas pass didi ke bodyguard the jo bahut hi mustaid hokar khade the tab Anika didi ne un sabase ham log ke baare me puchha to usne upar ki traf ishara kar diya. Iske baad maa Anika di or Payal teeno hi upar ki traf chal di. Upar mere bed par ek traf Mamta didi or dusari traf Renu baithi hui thi or Nisha pass me hi ek sofe par baithi hui thi. Tabhi mai upar bane kichan se ek kadha bana kar laya to Komal gusse me meri traf dekha or phir bina kuchh kahe vah ek traf khadi ho gyi. Idhar mai abhi uski traf dhyaan na dekar Kadha lejakar maine Mamta didi ko diya to Mamta di ne jo Sonal ko ab tak hosh aa chuka tha usko utha kar dhire se bithaya or phir usko kadha pilane lagi yah sab dekh kar maa or baki dono bahano ko kuchh bhi samjh me nahi aa rha tha ki akhir yanha par ho kya rha hai to Komal se jab yah bardaasht nahi hua to vah gusse me boli
Komal - didi aap yah kya kar rhi ho or isne itna sab kiya or uske baad bhi aap isko saja dene ke bajaay iski sewa kar rahi ho....
Komal ke gusse ko dekh kar Mamta didi uske dil me chal rahi bahvna ko samjh sakti thi lekin unke karib jo ladki thi akhir vah bhi to unki hi sagi bahan thi ab chahe usne kuchh bhi kiya or jab se didi ko yah malum hua ki Sonal unki chhoti bahan hai tabse lekar unke dil me koi mail nahi tha balki Renu ne jo kuchh bataya usko sunkar unka khun khoul rha tha or khud ke baap par gussa bhi aa rha tha. Iske baad Mamta didi ne Komal ko pass bulaya or phir usko pass bitha kar boli
Mamta didi - chhoti mai samjh nahi pa rahi hu ki hamaare sath aaj jo hua uski khushi manaye ya phir jo dard aaj tak meri bahan ne jhela hai uske liye dukhi ho.
Mamta didi ki baat sunkar maa or Komal dono hi na samjh pane wale bhavna se Mamta di ki traf dekha to Mamta di bina kuchh bole Sonal ki traf mudi or boli
Mamta didi - jaisa ki tum ham teeno bahano ko to pahale se hi janti ho or ab apni maa or bhai se mil lo. Yah ladka jisko aaj tumne chot pahuchai thi vah tumhara bada bhai hai or (maa ki traf ishara karte hue) yah hai hamaari maa Rupali Mehta...
Mamta didi ki baat sunkar maa socked hokar kabhi Mamta di ko dekhati to kabhi samne baithi Komal ki hamshakl ladki ko phir kanpti hui awaj me boli
Maa - yah kya bol rahi ho Mamta yah tumhari bahan kaise hai..
Mamta didi maa ki ankho me dekh kar boli
Mamta di - haa maa yah bilkul sach hai ki yah samne baithi hui ladki koi or nahi balki Komal ki judwa badi bahan Sonal hai or yah apki hi beti hai jisko janm lete hi papa ne isko niche baithe hue admi ko de diya tha
abhi vah kuchh or bolti iske pahale maa ki kanpti hui awaj ayi
Maa - or uski mari hui beti ko meri beti bata diya par unhone aisa kyu kiya akhir kar maine unka kya bigada tha.
Anika di jinko pahale se mardo ke naam se bhi nafrat ho chuki thi ab vah siway apne bhai ke kisi bhi mard par bharosha nahi karti thi vah gusse me age badhi bolane ko to Mamta di unke manobhav ko samjh gayi or unko rokane ki koshish ki toh Anika di mamta di ki traf dekhi or boli
Anika di - nahi didi ab nahi mai yah nahi dekh sakti ki maa us kamine dhokhebaaz ko ab bhi itni izzat de akhir inko bhi malum ho ki akhir inko kis kisse or kitna dhokha mila hai.
Anika di ki baat sunkar maa ke kaan khade ho gaye or vah gusse me Anika di ko ghur kar dekha or boli
Maa - kya bol rahi hai tu.
Anika di - maa jisko aaj bhi aap dilo jaan se pyaar karti hai uski najar me aap or ham sabka koi mol nahi hai or na hi apke pyaar ka. Aap yanha uski yado ko saza kar rakhi hai or udhar vah kamina ab bhi jinda hai or uski dusari biwi hai jiske sath vah ab bhi maje ki life ji rha hai or isme sabse bada hath apki bhabhiyon ka hai.
.
itna bol kar Anika di us din ki recording chala di or maa apni dono bhabhiyon ki baate sunkar guase me pagal ho gayi. Vah to unki dimaag pahale ki tulna me ab kafi majboot ho chuka tha jiski wajah se vah yah sab baate sunkar bhi khud ko sambhal liya. Maa ke liye yah sab kisi sadme se kam nahi tha. Shadi ke itne salo baad bhi unhone khud ko bahakne nahi diya tha halanki is wakt unka dil meri traf ek khichav mahsoos kar rha tha par ab bhi vah kuchh confirm nahi thi isliye ab tak kuchh kiya nahi tha ab to unka pati bhi jinda nahi tha isliye unka ab jo halat the usme kisi mard ka sath jaruri ho chuka tha. Ab jabki ek baar phir se jawan ho rahi thi sirf bahar se dikhane me hi nahi balki anadr se bhi kisi jawan ladkiyon ki trah josh or umanag tha to aise me bahakna tay tha lekin phir bhi khud ko kisi trah se rok rahi thi or yahi karan tha ki apne dil ke bhavnao ke khilaf jakar ab tak kuchh bhi nahi kiya tha or ab unko pata chal rha hai ki vah sab jhooth or dikhava matr tho or upar se usne uski hi beti ko dusare ke hawale kar diya or ek baar bhi bataya nahi or ab maloom hua ki vah jinda hai to isase unka gussa fut padha or vah Mamta di ki taraf dekh kar boli
Maa - Mamta tumhare pass matr 24 ghante hai kuchh bhi karke usko mere samne lekar ao warna phir kabhi mere samane mat ana samjh gayi baat ko ya nahi...
Maa ka yah roop to aaj tak kisi ne nahi dekha tha or iske baad vah turant age badhi or Sonal ko gale se laga liya or phir unke ankho se anshu bah nikale. Aaj unko vah beti mili thi jiske baare me unko malum tak nahi tha ki vah bhi is duniya me hai. Idhar komal ko kuchh bhi samjh me nahi aa rha tha ki vah kya kare achanak hi ek ladki uski hi judwa badi bahan nikal jati hai jo ki kuchh samay pahale tak uske naam ka galat upyog kar rahi thi. Sonal kuchh wakt tak maa ke gale lagi roti rahi phir khud ko sambhala or Komal ki traf dekha or boli
Sonal - bahan kya ab bhi tum apni is badnaseeb badi bahan ko maff nahi karogi jo ab tak dur ho mere agar bolo to ab bhi mai hath jod kar or pair pakad kar mafi magane ko taiyaar hu or agar chaho toh ab bhi saja de sakti ho.
Is wakt sabki najar Komal ki traf hi thi kunki ab komal ka kya reaction hoga yah sabhi dekhana chahte the kuchh der tak Komal shant khadi rahi or phir dhire se chalkar Sonal ke pass jate hue boli
Komal - sach kahu to mujhe samjh me nahi aa rha hai ki mai kya karu lekin mere dil me ek baat hai agar aap usko maan le to mai apko maaf kar sakti hu.
Sonal - kya baat hai tere dil me bol tu jo bhi bolegi mai vah baat ankh band karke maan lungi.
kuchh der sochane ke baad Komal Sonal ke bilkul kareeb chali gayi or uske hatho ko apne hath me lekar boli
Komal - sach kahu to mujhe is duniya ki har khushi mili hai. Meri koi bhi khawahish juban par ane se pahale hi meri dono badi bahane or bhai pura kar dete hai lekin iske baad bhi mere life me kuchh adhura sa hai jo ki itna sab ke baad bhi pura nahi ho saka agar tum usko pura kar sako to mai tumhe dil se maff kar sakti hu.
Komal ki baat ko sunkar Mamta di Anika di or Maa teeno hi chounk gaye kyunki yah sab wakt Komal ka gala bharaya hua tha or vah bahut mushkil se khud ko rone se roki hui thi to Sonal boli
Sonal - aisi kya khawish hai jo tumhari puri na ho saki hai or usko bhala jab didi log pura na kar saki to mai kaise kar sakti hu. Mere pass to apni jaan ke siwa or kuchh nahi hai.
Komal - mujhe apki jaan nahi chahiye or har khushi paise se nahi kharidi ja sakti hai. Kuchh aise rishte hai jinke bina jeena adhura hai. Mujhe sab mila hai maa hai mere pass jo maa kam dost jyada hai meri yahi meri bahanon ka bhi haal hai kahane ko to meri badi bahane par kabhi bhi meri har khushi ke liye sab kuchh kiya jo inke bas me hua or ab bhai ke rup me mujhe vah khushi mili jiski maine kalpana tak nahi ki thi lekin is sabke baad bhi meri life me ek friend ki kami hamesha se rahi hai jiske sath mai apna samy bita saku. Kahane ko to aaj mai bahut amir hu or sab kuchh hai par life me ek sache dost ki kami akharti hai mujhe or agar tum meri dost banogi to maaf kiya maine apko.
Komal ki baat sunkar janha pahale sab emotional the vahi uski baate puri hote hi Anika di ne pichhe se uske sar par baja diya or pyaar bhare gusse me boli
Anika di - kamini kanhi ki itna sab bol kar sab ko emotional kiya or last me lakar yah sab bol rahi hai.... Kya boli tu ki teri life me friend ki kami hai ( Sonal ki traf dekhkar) iske baato me mat aana tum kabhi abhi nayi ayi ho na isliye tujhe iske baare me malum nahi hai yah aise hi baate karke tumhaari hamesha hi pateshan karti rahegi or emotional karke apna kaam nikal legi mai pakka bol rhi hu jarur iska koi kaam hoga jo tumse karwana chahti hai isliye itna bildup bana rahi hai pakka bach kar rahana tum. Ham to kaise bhi karke bach jati thi par tera kya hoga mai to yahi soch rahi hu ki karega koi or bharega koi. Tune iski shakl lekar bahut badi galti ki hai ab to iski karni ki saja tujhe hi milegi hamesha.....
Anika di ki baato ko sunkar sabhi hasne lage or phir Maa ko is bich sab baate Mamta di ne bata diya tha or Renu se bhi milvaya to maa Renu ke pass gayi
Maa - beti tum bhi aaj se hi meri hi beti ho isliye kabhi bhi khud ko akela mat samjhana or mai janti hun ki tum Sonal ko bahut pyaar karti ho or usase dur rahana tumhare liye bahut muskil hoga isliye agar tum bhi chaho to hamaare sath rah sakti ho .
Renu - mai samjh nahi pa rahi hu ki apko kya bolu aap Sonal ki maa hai is nate meri bhi maa hui lekin apko dekh kar yahi lagata hai hamse matr do ya teen shal hi badi dikh rahi hai aise me mai apko aunty bolu ya maa dono me hi ockward lagega....
Renu ki sidhi baat sunkar maa ko hasi aa gayi or phir vah age badhkar Renu ko gale se laga liya or boli
Maa - tumko jo achha lage vah bula sakti ho vaise yanha par jo bhi dikh rahe hai sab mujhe maa hi bolte hai or ab isme Sonal bhi shamil hai to agar tum chaho to tum bhi maa hi bol sakti ho. Vaise tum is wakt kya kar rahi ho..
Renu ne ek company me CEO KI PA ka kaam karti thi to usne bata diya jisko sun kar Didi chouk gayi kunki ek samay me vah bhi is company me hi kaam karti thi to didi boli
Mamta didi - vaise tum chaho to mere Personal accistent ka kaam kar sakti ho or tum ko vanha par jo bhi sailary mil rahi hai usase jyada hi milegi tumko...
Ab baat yah hai ki Mamta didi ki PA se lekar bodyguard tak sab robo hi hai or vah usme safe to rahti hai or kaam bhi teji se ho jata hai lekin ab robo me koi bhavna to hoti nahi hai isliye vah kabhi kabhi bahut akela mahshus karti hai. Ab Renu bahut hi simple or saff dil ki ladki hai or vah yah bhi janti hai ki us company ka jo new CEO bana hai pahale wale ka beta vah bahut kamina hai or iska fayda uthane ki koshish jarur karega or yah jaisi hai uske hisaab se bach nahi payegi... Idhar yah baat sunkar vah khus to bahut hui par usne purane company me ek contract sign kar li hai uske hisaab se samay se pahale chhodane par company ko fine dena hoga to usne yah baat Mamta didi ko bata di to mamta didi boli
Mamta didi - tum is baat ki chinta mat karo yah sab mai dekh lungi samjh gayi ab tum Sonal or payal ke sath ghar jao ham log thodi hi der me wapas ate hai.
0
Outstanding mind blowing update bhai maza aa gaya ab dekhte hai age kya hota hai.UPDATE 44

| Position | Benifits |
|---|---|
| Winner | 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories) |
| 1st Runner-Up | 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories) |
| 2nd Runner-UP | 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) |
| 3rd Runner-UP | 750 Rupees + 1000 Likes |
| Best Supporting Reader | 750 Rupees Award + 1000 Likes |
| Members reporting CnP Stories with Valid Proof | 200 Likes for each report |