- 929
- 1,799
- 124
Last edited:
no bro aysa kuch nahi hi bas hm masti kar rahe haiIs it real so I should close this tab
Yes you should...or aaj hentai pard ke hila ke soja bhai.Is it real so I should close this tab
Yes you should...or aaj hentai pard ke hila ke soja bha
Story deep ja rhi hChapter 17
Twilight
Ek haveli ke bahar kal ke barish ke wajah se mitti mein mehak charon taraf faile hue the. Karan jahan woh ek hafte se Manik ke saath there hue the uss haweli ke bahar khada tha apne behan ka intezar karte hue.
"Dii....humein dopahar tak Nadi ke kinare panhucha hai...aur kitne der lagege aapko?"
"Haa bas aayi..." Payal ne ek aakhri baar apne baalon mein kangi fera aur bahar ke liye nikal pade.
Unka mission saaf tha KalJayi ke Rakshak se nishchit sthan jo ke VanRajya ke mukhya raaste pe Nadi ke kinare milna aur KalJayi ke saath vaapas lautna...lekin kya yeh itna hi saral hone wala tha?
Karan ne ek baar fir se Payal ke intezaar pe uss raste ke taraf dekha...ek hafta beeth chuka tha ab Karan ke ghav bhi jaydatar bhar chuke the.
"Karan, apna dhayan rkhna", Saamne khadi Nandani ke awaaz uske kaano pe pade. Usne Aaj ek Coral rang ke saare phene hue the jo aisa lag rha tha ke mano Nandani ke safed rang jitni ke aakarshit ho.
Karan pehle hi manta tha ke uske mom ke sundarta ka muqabla shayd ke koi aurat kar skti thi...lekin aaj woh aaj unke paas ke ek alag se aura ka bhi aabhaas ho rha tha.
Itne mein Payal chalte hue bahar aaye, "Karan humein der ho rhe hai...chalo bhi ab... KalJayi ko dhunda bahut aavashayak hai..."
"Ha shi hai main kya bol rha tha fir itne der se..." Karan ne man mein socha.
Payal ne Karan ke taraf bhaunhe sikodte hue dekha, "tumne kuch kaha kya Karan?"
"Nhi nhi di...main...", Karan ne apne aankhe chupakar Nandani ke taraf dekha jo yeh sab dekhar halki se has di. Nandini ne shayd hi apne dono bachon ko pehle baar ek saath aise hasi mazak karte hue dekha tha...kitne saalon tak woh bas aise hi pal ke baare mein sochte rhete the ke jab Payal aur Karan saath saath honge.
"Ek dusre ka khayal rkhna...tum dono...aap paas ke van mein khatra ho skta hai...lekin jab tak tum dono saath ho mujhe vishwas hai ke tum surakshit rahoge...aur hamesha satark rhena..."
Karan ne bas apne mom ke baat sune lekin kuch bola nhi.
"Hum KalJayi ke saath hi wapas lautenge ab maa...hum ab uske itne paas aa gye hai...ab hai vifal nhi ho skte..." Payal ne apna haath Nandani ke haathon pe rkha aur uske chinta bhari aankon mein dekha.
Lekin bagal mein se Harish aage badha, "Mujhe yeh bilkul shi nhi lag rha Maharani...aap YuvRaj aur Rajkumari ko akele kaise bhej skti hai...aur aap uss aadmi pe aise aankh band karke vishwas kaise kar skte hai?"
Nandani ne ek lambi saans le aur shant chere se Harish ke taraf mudi, "Harish, aagar woh aadmi in dono ko koi hani pahuchana chata toh abhi uss din Karan ko vaise nhi chordta...main bhi nhi chate ke mere bache aise akele jaye par tum jaante hi ho ke KalJayi ka VanRajya ke liye kitna avashyak hai.." Nandani ke awaaz drad thi.
Harish ne ek choti se aah bhari aur ahnicha ke saath apna sir hilaya.
Nandani ne dono ko ek saath apne gale se lagaya, "Apan dhayan rkhna aur tumahri maa tumhara jaldi lautne ka intezaar karege."
***
Suraj abhi bhi pure tarah se nikla nhi tha aur Payal, Karan ke bagal mein chal rhe the uske sandal mitti se takra rhe the.
Woh Karan ke taraf mudi uske ghere bahuhe soch mein dube hue, "hmmm....kya lagta hai tumhe Karan...KalJayi ke rakshak ne mujhe bhi kyu bulaya hoga?
"Mujhe sach mein nhi pata di...lekin shayad hum dono hi Pitaji ke vaarish hai isliye? Aage toh wahan pahuchkar hi pata chalega..."
Jaise jaise woh aage badhe...ek dardnaak cheekh ne unke paas ke Shanti ko bhang kar diya, "Kya tumne woh suna?" Payal ne apne kamar ke peeche bandhe khanjar ko kaskar pakad ke daba liya.
Karan ne haa mein sir hilaya aur fir cheekon ke shankhya badh gye. Saath mein jamein mein se kiske se bhari kadmon ke awaaz bhi bhadti jaa rhe the. Dono ne jayda kuch soche bina hi uss shor ke taraf bhage.
Whahan pahuchkar Dono ne dekha ke pura ilaka narshanhar ka pratik bana hua hai...Sthaniya nivasi idhar udhar bhaag rhe the aur bhediyon ke shikar ban chuke logon ke shav neeche jameen ko laal kar kar rhe the.
Karan aur Payal ne jab yeh drishya dekha toh unka dil paseej gya. Bhediyon ke aankhon aadim krodh se peele chamak rhe the aur unke nukele daant aur panje abhi bhi khoon se sane hue the.
"NarBhediye?", Payal ke ek pal ke liye saanse thahem gye, "woh bhi Rajya ke itne andar...kaise aa skte hai? Haamari sena kya kar rhe hai...maine khud Ajay ko bola tha ke purva ke surkasha bada si jaye aur bahari ilakon ko khaali karva liya jae fir yeh itne andar aake kaise hamla kar rhe hai?"
Karan ka jabda kas gya aur usne Meher ke upar haath fera, "ab yeh sab sochne ka waqt nhi Di...yeh ab yahan hai aur hum bhi yaha hai...main inse nipatata hoon..."
"Lekin Karan tumhare chot abhi bhi pure tarah se theek nhi hue hai...mujhe-"
"Aapne khud hi mom se kaha tha Di...ke hum KalJayi ke saath lautenge...aur hum dono rukar yahan waqt bhi barbaad nhi kar skte...aapko aage chalkar KalJayi ke rakshak se pehle milna hi hoga..."
"Par Karan...main usko pehchanugi kaise?"
"Di usne hamein jis sthan le bola hai wahan aap jaldi se aage jayiye aap usse nhi jaante par usne hum par itne din se nazar rkhe hue the toh woh aapko jarur pehchan lega...aur agar kuch puche toh aap mere uss gupt nishaani ke baare mein bata dena..."
Payal ne thodi der sochne ke baad sir haa mein hilaya, "lekin apna dhyan rkhna Karan...main jaanti hoon tum inse lad skte ho...main tumhara aage intezaar karungi..."
Karan aur Payal ko nhi pata tha ke tabhi wahan se kuch duri par Sonali aur Akshaya wahan se guzar rhe the...unhone jab yeh sab tabhai ka nazara dekha toh unke man mein yeh vichaar jarur utha tha ke kya VanRajya itna kamjor ho gya hai yeh apne nivaasiyon ke bhi suraksha nhi kar paa rha.
Sonali jaise pure tabhai ko bina chinta ke dekh rhe the....lekin jab uske nazar Karan ke haath mein Meher pe padi toh uske aankon mein halki se uthsukta aa gye, aur woh paas mein ek kutiya ke kadmon mein jaa kar neeche baithkar Karan ke taraf dekhne lage.
"Yeh tum kya kar rhe ho, Sonali? Kya tumhe ab in logon ke parvah hone laga hai...inko apne aankon ke saamne dam todte dekh?" Akashaya ne thodi shanka se apni behan se pucha.
"Nhi Akashaya....lekin uss aadmi ko dekho...yahan kuch dilchasp dekhne ko milne wala hai..." Sonali ne apne ungli se Karan ke taraf ishara karte hue bola.
Akshaya ne ek lambi saans le aur uss taraf dekhne ke liye muda...woh bhi isse soch mein pada hua tha ke uske behan jisne aaj tak kisse bhi cheez ke parvah nhi ke usko aise kiss aadmi mein itne dilchaspi lage?
Akahsya ne dekha ke ek aadmi kaale kapdon mein mein nidar haath mein talwaar liye un NarBhediyon ka saamna khada karna ke liye khada hai...
lekin jab uske nazar uss talwaar pe gye...tab woh bhi smjh gaya ke yeh koi aam yodha nhi tha aur uske chere pe halki muskurahat aa gye,
"Waqai Sonali...yeh sach mein dilchasp hoga..."
***
NarBhediye, Karan ke taraf dekhte hue ghuraaye, unke peele aankhein Karan pe tike hue the aur unka shor charon taraf goonz rha tha.
Karan ne gusse pe Meher ke mooth ko kasakar pakada aur Meher bhi jaise Karan ke un bhedion ke taraf khoon ke laalsa ko mehsoos karke halki chamkne lagi.
Pehla bhediyon bina koi chetavani ke apni paanjo se Karan ne gardan ke taraf vaar karne ke liye aage kuda...Karan ne drad aankhon se uske taraf dekha aur Meher ko pakate hue uske dono haathon ke aar paar nikal diya, bhediyon dar se cheekne laga lekin itne mein Karan ne Meher ko uske gardan mein ghop diya.
Dusre paas mein khade bhediyon ke beech apne saathi ke itne aasni se girta dekh ke dar ke leher daud gye.
Gusse mein teen ne ek saath Karan pe hamla kiya, Karan ne Meher ko dono haathon se pakda aur uspe agne ke lapte ujagar ho gye...jisse dekhar bhediyon ke aankhe badi ho gye.
Jaise hi teeno ne Karan ke paas aake usko ghera Karan neeche jhuka aur ek baar neeche gol ghuma, apne pair pure takat ke saath jameen mein kase aur unke taangon ko ek saath cheer dala.
Baake saare bhediye bhi ladai mein saamil hi gye jike shankya antheen se lag rhe the...lekin Karan ke movement iss baar pure dhayan se bhari hue the aur sabko apne teekhe garmi se kaatte jaa rhe thein.
Ek chote bhediye ne achanak se Karan ne pairon ko apne panjon mein jakad liya aur Karan ka halka sa khoon bhene laga, Karan ne apne daant gusse mein dabate hue uske jabde ko apne Khali haath se dabaya, aur ek shan baad uska pura jabda jal ke khaak ho gya, aur uska mrtiya sharir vahin neeche gir pada.
"Yeh koi sadharan Agni nhi hai..." Akshaya ne Sonali ke taraf dekhte hue bola.
" ...aur woh koi sadharan aadmi nhi hai...jaane mujhe aisa kyu lag rha hai abhi woh apni pure shakti pe nhi hai...jaise ke usne abhi hi yudhkala sheekhna chalu kiya hai..." Sonali ne apne haath apne gale pe rkhte hue bola.
"-par aisa kaise ho skta hai...yudhkala toh bachpan se hi sikhyae jate hai..." Akshaya ne yahan aane se pehle Vanrajya ke baare mein jankari iktha kari hue the.
Sonali ne apne hoth dabaye aur apne gardan tedi karte hue Karan ke taraf ishara karte hue boli, "udhar dekho Akshaya abhi yeh khtm nhi hua hai..."
Ant mein bas NarBhediyon ka mukhiya hi reh gaya tha jisne gusse mein apne nukele daant bahar nikale aur Karan ke khooni aankon se dekhte hue bhaga...Karan bhi yeh bhaanpa aur Meher ko ek baar ghumaya aur uske taraf bhaga...jaise hi woh Karan ko apne daanton mein dabochne ke liye neeche jhuka Karan ne upar kudte hue uske jabde ko apne ghutno se nisthnaabood kar diya aur Meher ko apne haath mein ghutmate hue uske gale mein daba diya jisse uska pura upari sharir aag ke lapton mein aa gaya.
***
Jab aag ke lapte bhuj gye aur bas rakh he Bach gye, Karan ne Meher ko vapas apne peenth se lagaya.
Sonali wahan se uthe aur Karan ke taraf aage badhi, "waqai dilchasp"
Karan ne uske taraf mudke dekha, dekhne mein toh woh sundar thi lekin abhi yeh sab sochne ka samaya nhi tha, "aur tum kon ho?"
"Bas itna samjh lo ke mujhe dilchasp logon pe nazar rkhna pasand hai..." Sonali ne Karan ne aankon mein dekhte hue bola.
"Yahan yeh sab chal rha tha aur tum yahan shanti se baith ke chup chap yeh sab dekh rhe the?"
"Oh...maine kuch galat kiya kya?" Sonali ne apne hoth dabete hue apne bahuhe upar karte hue Karan se pucha.
Karan ke saanse thakavat se badhi hue the, lekin abhi bhi thodi der pehle ke yudh se uske ankon mein gussa bhara hua tha.
"Massster...abhi nhi...main bhaanp skti hoon ke yeh ladki koi aam nagrik nhi hai..."
Achanak se Meher ke awaaz sunke Karan hosh mein aaya, aur ek pal ke liye apne aanke band ke.
"Sonali ab bahut hogya...ab humein chalna chaiye..." Itne mein Akahsya bhi uthke unke paas aaya aur Karan ne taraf aage haath badhya.
"Main hoon Akahsya aur yeh meri choti behan Sonali...hum yahan dusre Rajya se aaye hai...tumhare jaise yodha se milkar humein behad khusi hue..."
Karan ne bhi dostona vayvahaar dekhkar haath aage Milne ke liye badhaya, "mujhe jayda khusi hote ke tum yahan baithkar yeh sab dekhne ke bajay in massum logon ke jaan bachane ke koshish karte..."
"VanRajya ke nagrikon se itne fikr? Itne toh shayd VanRajya ke Yuvraj ko bhi nhi hoge?"
Karan ne apna varnan sunte hi apna dusra haath apne sir pe fera.
Sonali aage badhe aur apne pair neeche se cross karte hue Karan ke aankon mein dekha, "agle baar se main jarur madad karungi...lekin aapko bhi apna naam batana hoga..."
"Theek hai. Main hoon K-"
Karan aage apna pura naam batane hi wala tha ke itne mein paas mein hi ek aadmi ke cheekh sunayi padi jisne unka dhyan uske taraf kheech liya.
Karan ne uss awaaz ke taraf mudkar dekha toh ek budha aadmi uske paas langta hua aaya, "meeeri betiiii! Meeri beetiii! Usko bhediye apne saath pakad ke le gye..." Aur Karan ke paas aaye neeche uske pairon pe gir gaya, "main tumse beekh maangta hoon tumhe usse bachana hi hoga..." Uss budhe aadmi ke aankon se aansu bahe jaa rhe the.
Karan uske taraf dekhar neeche jhuka, "Kaka tumhe yaad hai kya woh usko kis taraf lekar gye hai?...main vada karta hoon ke main apne aankhon ke saamne usko kuch nhi hone dunga."
Budhe aadmi ne apne ek haath se apne aanu pochte hue dusre kaanpte se ishara kiya, "uss taraf iss mukhya sadak se hote hue shayd paas wali Nadi ke kinare"
Karan ne apne muthi dabaye usse aur toh Payal di gye thein...ek baar akhri baar usne Sonali aur Akshaya ke taraf dekha aur Nadi ke taraf bhagne laga.
***
VanRajya ke chaaron taraf ka van nazdeek aata jaa rha tha...aur pedon ne jaise pure VanRajya ke seemaon ko chaya se dhak rhkha tha.
Jaise jaise Karan van ke andar bhagta jaa rha tha uske saansein aur pair bhi thakvat se jawab de rhe the.
"Masster aap bahut thak chuke hai...ab aapke thodi der ruk jana chaiye"
"Nhi....Meher...tum janti ho kisi ke jaan khatre mein hai toh main ruk ke kaise aaram kar skta hoon"
Jaisa hi woh...yeh sochne ke liye ruka ke ab aage kis aur dekha jaye aur charon taraf jaanchne laga.
Tabhi achanak se paas ke ped se upar se kisi ke awaaz aaye. "Aakhirkaar tum aa hi gye..."
Karan ne ekdum se upar ke taraf dekha toh ek aadmi kaale vastron mein ke ped ke tehne par baitha hua tha, jiske pure sharir belon se dhaka hua tha.
"Tuuuuum? Aur meri behan kahan hai...?"
Woh aadmi shaleenta se neecha utara aur apna hood hataya, uska chera saalon ke yudh se tarsa hua tha aur uske kaalon balon mein umar ke kaaran kuch safed baal bhi dikh rhe the.
"Woh surakhshit hai Karan, maine apne gupt sthan pe usko rukne ke liye bola hai..."
Karan ne Meher ke upar se haath hataya, "Mai...tumhara vishwaas kar rha hoon... Kyuki uss din tum mujhe haani panhuchane ka awsar nhi gawate..."
Uss aadmi ne swakrti mein sir hilaya, "Mera naam Sharvas hai...aur tum nhi jaante Karan maine tumhara kitne saalon se intezaar kiya hai...aur main tumhare pitaji ka shayd aakhri jivit saathi hoon..."
Karan bachpan se hi sochta tha yeh uske dad uske saath baake bachon ke jaise uske saath hote lekin...pata nhi kyu uss aadmi mein uske pita ke chavi dikhe jisse woh kabhi nhi mil paya tha.
Tabhi Karan ko uss budhe aadmi ke yaad aayi, "Sharvas...yahan se NarBhediye ek aurat ko bandi bana ke le gye hai...tumhe kuch pata hai kya iss baare mein kuch?"
Sharavas ka matha sikud gaya, "hmm...maine thodi dur pe yahan se bhediyon ka shor toh suna tha lekin tumhe ek baat mein bata doon. Agar unhone kisi ko bandi banaya hai toh woh bas apne jaan bachane ke liye Rajya ke bahar tak hi rkha hoga. Ab tak shayd woh jeevit hi nhi bache ho."
"Jeevit ya mrit...mujhe ek baar usse dhudna hi hoga..."
"Theek hai mere peeche aao...abhi bhi paas mein unke pairon ke nishan hone chaiye..."
***
Karan aur Sharvas van mein teze se aage badhte jaa rhe the. Jaise hi unhone chaand ke roshini mein aage halchal mehsoos ke...toh unhone dekha ke bhediye raat ke andhere mein wahan neeche baithe hue the. Karan ne sir ghumkar chaaron taraf dekha toh paya ke ek ladki ko ek ped se bandhkar rkha hua tha.
Karan ne rahat se ek lambi saans le aur fir agle shan gusse se unke taraf aage badha lekin Shravas ne uska haath pakad kar rok liya,
"Ruko"
Karan ne aaschairya mein uske taraf dekha, "woh hamare saamne hai...humein usse bachana hoga ab kyu?"
Sharavas ne ek baar saare bhediyon ke taraf dekha, "tumhe kya lagta hai Karan...kya ek ladki ko bachane se saare samsya hal ho jayege? Agar kal yeh kisi aur ko yahan bandhi bana ke le aaye toh uska kya karoge?"
Karan ne ek lambi saans le aur fir thodi der sochne ke baad bola, "toh main iss van ke saare NarBhediyon ko hi sampat kar dunga aaj?"
Sharavas ke aanke chauk kar badi ho gye, "itnon se ladna sambhav nhi hai...hum dono ke milkar bhi... Karan-"
"Ladne ke baarein mein keh bhi kon rha hai...ek baat batao Sharvas kya tum chupkar pedon se apne belon ko bandhkar inko kaid karta kar skte ho? Dhyan rhe ke ek bhi bach ke bahar nhi bhag paye..."
Sharavas uske yojna samjha gya aur mushkuraya, "Lekin agar Agni bahar pure van mein fail gye toh?"
"Nhi...maine mehsoos kiya hai...main bas jiz cheez ko jalana chata hoon whi jalti hai...toh tumhare belon ke bahare agni nhi jayege.."
"Meher dhayan rkhna...." Karan ne man mein Meher ko bola.
"Kaam ho jayega...masster...hehe"
"Tum fir der kis baat ke pehle uss lakdi woh bachaya jaye?" Sharavas khada hua aur uske haath se belein bahar nikalne lage.
Karan ne uske taraf dekhte hue haan mein sir hilaya.
***
6 ghante baad
Ravisha gusse mein apne balcony mein bahar niklne, uske aankhein gusse se laal ho rhe thein. Usne railing ko kaskar pakda aur saamne Van mein beech beech mein KalRaani ke sena ke tabahi ko dekha.
Uske muh se jasie zeher nikal rha tha, "Jisne bhi yeh kiya hai main uske zinda chamdi uder dungi....dheere....dheere..."
Paas mein khade Ajay ke taraf usne dekha, "Pata lagao kiss ka itna sahas ho hogya...aur mujhe woh mere saamne chaiye zinda ya murda. Murda hai toh woh uski khushkismati hogi aur agar zinda mil gaya toh toh pura VanRajya uske maut yaad rkhega."
Aaj ke liye itna hi peeps! Thoda late ho gaya...woh mera blame hai completely! Abse koi like target nhi hai but still so like and comment kyuki they're any authors turbo!
Wow.!! The big reveal
That's a big twist. Thought I was anticipating that there is something wrong with Akansha but I never expected this!
I also stand corrected about Karan's character. Now it seems that he is very observant and he is thinking it through.
Also, I am not sure why but I think there is something going on in Nandini's head too. Prachi too seems to be just a pawn following someone's order to me!
A small request, the spelling of कक्ष has been consistently wrong, this is the first time I felt something bothering me.
However, a wonderful update. I can't wait for the next one. Bring it on soon!
Till then, stay horny and write greatest scenes of all time!
Wow Sonali ke sath uska bhai bhi a raha hai kya hoga jab Akshay payal ko dekhe ga aur Karan ka kya reaction hog ?
Aur ye akansha nahi hai ye ravisha hai. Asli akansha ek chudail hai aur ye salahkar bhi Mila hua hai .
Aur rakshak ne Karan aur payal ko hi kyon bulaya kya koi raaz hai jo bataya Jayga ya fir kuch aur dekhna padega
BTW update padhke intezar ka fal milgaya . Lekin payal ko gayab rakha lagta hai jail me hi hai abhi choti nahi hai jaldi nikalo nahi to aap se katti meri payalllll......
Nice update
Nice and fantastic update
Shaandar jabardast shocking update
Sonali apne bhai ko bhi la rahi hai idhar wo payal ke pichhe gaya to kya karega karan
Prachi aur karam ke khoob maze hai
Akanksha chudail hai
Super amazing update
Nice and superb update....
Nice update....
Kya bhyanak twist hay karan kee Mousi Akansha aak chrail hay or uss kee jgah us kee aak doodh koo Mahrani bunaya huwa hay lakin Karan kee maa apni bahan koo kun naa pahchan saki or pher kuran kee bahan bhi kya asal may asli Akansha kee turha chrail hay or apni kisi doodh koo Karan kay sath keya huway hay or sub say bura sawal Karan kee chita apni maa kay jawab pay ager uss kee maa koo uss paydaish neshan kaa nahi puta tuu uss kee Mousi Akansha koo kasay pata kahani bohut buri turha say chukaroo may ouljhty jaa rahi hay any way good update
Bahut hi shaandar update diya hai mistyvixen ji....
Nice and lovely update....
Nice update....
Update 16(Review)Tarkash kingdom 4 humungous snakes ke karan impenetrable lag raha hai magar itihaas gawah hai koi bhi kingdom puri tarah se abhed nahi ho sakta hai.
Aisa lagta hai jaise Akshay khud apne bahan ki beauty ke jaal mein phas gaya hai.
Ye *Varutha* kaun hai par aisa lagta hai jaise koi ahanakari king hoga jo sirf apne takat ke chalte logo mein darr paida karta hoga.
Badi strange baat hai Karan ke dad ne apni wife ko hi kingdom ke uttradhikari ke mark ke bare mein nahi pata hai aur Ravisha ko pata hai jo pahle kabhi Nandini ki bahan Akansha ki mate rahi hai.
Akansha ye chudail kaise ban gayi ya phir pahle se hi chudail rahi ho, par aisa hota to Nandini ko pata hona chahiye tha.
At the end Vikram ko uski Jeet ka phal mil gaya maut ke roop mein.
Bahut sare sawal hain jo unanswered hain??
Akansha wahan andhere kamre mein kya kar rahi hai aur matlab jo pahle Akansha ke roop mein Ravisha ne kaha tha ki koi tumhe dhokha de to tum kya karoge???
Karan ka surprise hona relevant hai ki uski mausi(Akansha) ko kaise pata chala us bird ke mark ke bare mein jab uski mom ko hi nahi pata hai??
Amazing update with some mysteries to unfold.
mistyvixen
Itna chhota review thik hai ya phir aur bada chahiye par ek baar mere bare mein bhi soch lena mujhe bahut sare reviews dene padte hain aur khud ki story bhi likhni hoti hai.
Nice story
Ekdum mast update
Update please Bhai
nice starting
Update ka Intezar
Waiting
Dhang se baat kar leYes you should...or aaj hentai pard ke hila ke soja bhai.
Shaandar jabardast updateChapter 17