- 940
- 1,806
- 124
Last edited:
Sorry but those are my OCs (original characters), I can't disclose their facial features prompt.Can you share the prompt and when will be next update??
Sir Which ai are you using to generate these pictures?Sorry but those are my OCs (original characters), I can't disclose their facial features prompt.
Btw you can make any other females you want...simple.
Next about, I'll try my best to do it by tonight.
I've stable diffusion installed on my pc.Sir Which ai are you using to generate these pictures?
"Your" hota hai wo and ....Love you more.
Thanksss.
(Can I just say you're feedbacks bring a smile on my face everytime )
Fantastic update ab vaani bhi Karan ki life mai aayegi.. Aur karan apni sword ke baare mai jab apni behen ko batayega to uska reaction kya hoga sochne wali baat hai..
Enough teasing give us the update already and who is Sonia.?
Chapter 3: Fucckkkk that was a great cliffhanger.....Chapter 3
Karan ke aankhe khule...phele toh uske uss white roshini ke wajah se kuch dikhaye nhi de rha tha...usko pata nhi laga ke bahut time beet chuka hai..usne jaise taise apne bache hue takat se khada hua aur apne aankhe kholne ke koshish ke.
Usne jo dekha woh uske soch ke pare tha...usko toh ache se yaad tha ke woh apne mom ke room mein tha shayad thodi der...pata nhi kitne der pehle.
Usne time dekhe ke liye apna phone dekha ke pocket mein hai ke nhi...shukr hai woh tha wahan tha...usne phone nikala aur password dala lekin usne jo dekha woh dang reh gaya...phone ke clock 3:34 am pe ruke hue the...isse time ke aas paas hi toh woh mom ke room mein gaya tha!
"Yeh sab bahut azeeb hai" usne khud ko bola...fir itne mein usko mom ka dhayan aaya, ke kaise unke bejan body uske god mein the...usko woh kahin Nazar nhi aa rhe thein...woh utha idhar udhar bhag ke dekhne laga ke kahin se uske mom ke koi awaz aa jaye...ab tak jo ho rha tha woh bhi toh Jadu jaisa hi tha.
Lekin ek ghante tak dhunde ke baad bhi saare prayas vayarth the..."mom, aap mujhe sach mein chord ke chale gye kyu..." Karan abhi bhi uss sadme se bahar nhi nikal paya tha.
Kuch der aise hi rhene ke baad thoda andhera bhi hi gaya tha....usne dekha toh uske phone mein bas 24 percent hi battery bache the..."usne socha pehle yahan se bahar nikla Jaye...pata nhi Kahan hi hoon main"
***
Torch on kar ke woh aage badha toh dekhta hai ke aage ke bahut ghere gufa the...lekin door kahin pe se ek halki se roshini chamak the...ab bhala andhere pe toh keede bhi roshini ke taraf aakarshit hote hai...Karan toh ek aadmi tha.
Woh dheere dheere aage bada dhyan se...yahan saanp aur bichu jaise pranyani ke koi kami nhi hote aise jagah.
Thode dur chalne mein gufa mein usse ek talab jaisa kuch dikha...usse payas bhi lag rhe the...lekin aise hi kuch bhi peena khatarnak ho skta tha. Usne fir socha chalo muh hi dho leta loon...baad mein kuch nhi mila toh dekhenge kya karna hai.
Paas Jake apne haath mein pane leke apna muh dhone laga. Karan ko laga ke jaise woh Pani duniya ka sabse thanda paani ho.
Idhar woh muh dhone pe laga tha... ACHANAK usko paane ke andar se kuch chalne jasa feel hua...dhayan se usne dekha toh...do aankhe chuke se paane ke andar se uske taraf badh the the. Karan dar ke jaldi se khada hua.
Woh janwar bhi smjh gaya tha ke uske shikar ne uske upasthiti bhaanp le hai fir woh fir ek jhatke se bahar nikal aaya...
Karan ne jo dekha usko vishwas nhi hua...uska muh crocodile jaisa tha lekin uske pair nhi the...body kise python jaise the...koi kamjor dil wala toh usse dekhte hi khtm ho jaye.
Karan ne jaise taise apne pair peeche kiye aur bhag liya...lekin agar koi aam crocodile hota toh uska peecha nhi kar pata woh ghufa mein...lekin woh toh nhi tha!
Woh crocodile-ajgar pata nhi kya bole use...Karan ke peeche pad gaya...Karan ne peeche dekha toh uska dimag ne kaam karna band kar diya...bas ek roshini se hi dikhaye de rhe the ghufa mein...usse ke taraf bhag rha tha woh...shayad koi bahar jane ka marg mil jaye wahan se...andhere mein usko yeh bhi nhi paata tha ke woh aaya kahan se tha andar!
***
Uske saanse ful the the bhagte bhagte fir...woh finally iss jagah pahuch gaya jahan se woh roshini aa rhe the wahan jake usne dekha woh bhi kisi ko chauka skta tha...lekin ab chaukne ka waqt tha hi nhi
Mitti mein ke Sword thi jo andar dhasi hue the...lekin pure andhere mein jaise woh sab ko roshan kar rhe ho,
Karan ne kuch Jayda socha hi nhi aur uske taraf bhaga jaldi se...woh Rakshas bhi uske kaafi kareeb aa chuka tha...ek jhatke se usne pure Jaan Laga ke uss talwar ko kheecha bahar...ek baar mein kahan hi nikalne wale the woh bahar...
Fir unse dusri baar pure koshish ke apne, "mom, lagta hai main bhi aapke paas aa rha hoon Aaj" Karan ne ek lambi saans le aur fir woh
Sword bahar aa gye...uske haath mein...pure ghufa ek dum se hili mano...jaise koi bhukamp aa gya ho...Karan ab kahin bhaag toh skta nhi tha.
Usne uss talwar ko kaskar pakda aur fir dheere dheere apne kadam bhada ke uss rakshak ke taraf bhaga...uss dil ke dhadkne ek dum se saatevein aasman pe the... Rakshash ne apne shikar ko jahptne ke liye apna muh khola aur Karan pe hamla kiya...Karan neeche jhuka aur bagal mein ho gya...
"haah haah haa" Karne ke saanse phul rhe the..usne bina kuch soche uss talwar se uske peeche jor se hamla kiya aur uske peeth ke aar paar ho gye talwar.
Koi aam talwar se itna bhayank rakshas ek baar mein kaise marta...lekin woh shayad ek anokhe talwar the...jahan pe Karan ne vaar kiya...ek dum se aar paar ho gyi...jaise duniya mein koi cheez uss talwar ke dhaar se paine naa ho.
Rakshas jhatpata kar neeche gir gaya aur uska Hara khoon peeth mein se bahar aane...laga...
Karan ne uske khoon ko dekha, "kisi cheez ka khoon Hara kaise ho skta hai" lekin kya ab tak jo rha tha woh sab normal tha kya?
"Mujhe jaldi se yahan se nikalna hoga...yeh jo bhi jagah hai"
***
Karan ghufa mein aage badha toh usse ek upar Jane ka ek rashta dikhaye de rha tha...lekin upar Jaye kaise samasya toh yahi thi.
Chaaron taraf dekhne pe par suke kuch lambi lambi ped ke vine jaise dikhaye di...woh smjh gaya tha usse kya karna hai.
Usne talwar aage ke aur ek jhatke mein ek vine kaat di...aur fir usse mod ke rassi jaisa kuch bana liya, "iss sword ko kaise yahan chord skta hoo..."
Usne fir apne ke chaaron aur uss rassi ko bandh liya aur sword ko peeth ke peeche fasa diya.
"Yeh sab toh aajtak bas games aur movies mein hi dekha tha..." Karan man hi man pehle baar hasa.
Aage badhkar usne fir ek vine ko keech ke check kiya ke yeh ek aadmi ka wajan jhel toh skti hai na...dekha toh usne paya ke woh toh aise lag rhe the jaise steel ke bane ho. Uss sword ne kitne aasne se use kaat diya...pakka kuch toh tha khaas iss sword ke baaarein mein.
Dheere dheere usne chadna chalu kar diya...apne bache hue takat ke saat..."pata nhi main K
kahan hi hoon...par kuch kar bhi nhi skte upar chal ke dekhte hai" usne man mein socha.
***
Bahar nikal ke usne dekha toh chaaron taraf jangal hi jangal tha...jaise ke uska ant hi na ho koi.
"Lagta hai abhi bahut dur chalna padega bahar jane ke liye yahan se"
Karan ab pure tarah se chaukana tha...woh pehle bhi yahan woh sab dekh chuka tha jo woh soch bhi nhi skta tha...
Dheere dheere jangal ke neeche gire hue sukhe pedon ke paate pe woh aage badh rha tha...phone mein dekha toh...uske battery toh down chuke the...usne vapas use pocket mein rkh liya.
***
Kuch door chalne pe...usse jhadiyon mein se koi halchal pehchan mein aaye aur woh jaldi se ped mein chad gya....
Lekin usne jo dekha woh shayad neeche dekha woh abtak ke sabse Jayda chaukane wale cheez the...kuch rakshash jinka muh bhediya jaisa tha aur sharir chimpanzee jaisa....
Shayd inhe hi english movies mein Trolls khete the.
Karan ka toh jaise Dil hi tham Gaya ho...uss rakshak ne chaaron taraf rashta sunga aur fir bola, "saab theeeek haaai...aaage baadho"
Karan ko vishwas nhi ho rha tha ke woh unke boli kaise smjh skta hai...woh ek rakshak tha. Thodi der woh whi pe baitha rha aur usse pata chal chuka tha ke isske aur bhi saathi hai...koi bhi samjdar aadmi hamesha sthithi ko baanp ke koi bhi action leta hai.
Usne aage Jo dekha woh kisse bhi normal aadmi ke hosh uda de...7-8 trolls ek aurat ko ek ladki se band ke le jaa rhe the...aurat ka aadha face ek parde se dhaka hua tha aur lag rha tha ke woh hosh mein nhi hai dur se.
Karan janta tha ke wahan se usko nikalna chaiye chup chap inke chale jane ke baad...aakhir koi bhi aadmi hamesha apni jaan ke fikar hi karta hai pehle...lekin Karan woh aurat ke bina madat kiye...apne man ko kaise smjha skta tha.
Trolls fir aage badh gye...aur Karan ne bhi bina awaz kiye neeche utar kar unka peecha karna chalu kar diya..
***
Thodi der main aisa karte karte raat ho gye...aur woh trolls ne uss lakdi ke poll ko jamin pe gaad diya...aur apne dusre shikar ko aag ke aage paka ke khane lage. Uss ladki ke paas bas do trolls hi the ab.
Karan bas shi time ka wait kar rha tha...woh nhi janta tha ek troll kitna takatwar ho...thode...der baad un dono ek bhi aankh lag gye...koi bhi guard duty pe sota toh hai hi? Yeh aadmiyon aur unmein common hi tha.
Karan dheere se uss aurat ke paas gaya...dekha toh usne ek Green color ke salwar suit jaisa kuch pehan rkha...tha...uska muh dakha hua tha lekin Karan dekh ke hi bata skta tha ke...woh kitni sundar hoge andar.
Usne paas jake uske face pe dheere se touch kiya, "Umpfg...unpf..." Uss aurat ke ekdum se aankhe khule.
"Sssh...ghabro mat main tumhe yahan se chudane aaya hoon...tum mere baat smjh skte ho na? Bilkul awaaz mat karna" Karan ne apne finger uske face pe rkhe bole.
Woh aurat Karan ko dekh ke chauk gye...lekin fir sthiti smjte hue usne uske baat maan li.
Karan dheere dheere apne talwar se uske rasiyan kholne laga...lekin yeh sab itna simple kahan hone wala tha...yeh duniya starting se normal the hi nhi...
Jaise hi woh last rasse kholne wala tha...uss ladki ne jor jor se apna sir naa mein hilana chalu kar diya...Karan smjh gaya kuch gadbad ha...
"Woh uhdhar mera chadi hai... uss troll ke peeche...mujhe bas kaise bhi woh laa ke de do tum...aur iss raasi mein Jadu laga hua hai...jaise hi last rassi khulege...zor ke awaaz hoge.."
Karan ke toh jaan baal baal baal bache the..Jadu? Lekin ab tak jo hua tha woh koi jaadu se kam tha kya... jaise usne kaha tha...uss ladki ke chadi dhudne laga...usse thode der mein woh mil bhi gye ..."yhi hai na" usne bina kuch bole uss ladki ke taraf isara karte hue kaha.
Ladki ne bhi apna muh haan mein hilaya.
***
Karan vapas chadi laa ke ladki ke haathon mein de deta hai..."ab batao aage kya karna hai humein..."
Woh bas yahan se jaldi se bhagna chata tha.
"Ab humein...bas inse ladna hai"...uss ladki ne apne garadan thode se tedi karke kaha..
"Kyaa...fir...yeh chadi kyu mangaye...agar yeh raasi kholne hi nhi the tumhe the"
"Yeh, rasiyan kabhi khulne wale hi nhi the...yeh bas jab khulti hai jab inko banane wala khole yaa fir woh mara jaye" uss ladki ke aankhon mein ek azeeb sa confidence tha.
"Lekin..."
"Lekin vekin kuch nahi" yeh keh kar usne apne chadi ko Jamin pe ek baar tap Kiya....
Aur bada sa dhamaka hua.
***
Ek baar mein hi teen troll jaise uss dhamake ke chapet mein aa chuke the..."Karan ko vishwas nhi ho rha tha yeh koi yeh sab kaise kar skta hai...aur agar woh itni takatwar thi toh pakde hi kyu gye..."
"Inn neech rakshon nee mere pe peeche se hamla kiya...mere paas mere chadi bhi nhi thi USS time...aur maine kaafi waqt se kuch khaya bhi nhi tha.
"Aapne mere jan ek baar bachaye hai...ab baaki mere pe chord do..."
***
Trolls ko toh jaise kuch smjh hi nhi aa rha tha...ek ek baad ek unke saathe neeche girte jaa rhe the...unhone aapne maut ko bandi banane ke koshish ke the. Aakhir mein last troll bhi neeche gir jata hai...aur woh ladki apne bediyon se bahar nikal aate hai.
"Toh..." Karan ne kuch pucha chaha
"Toh...kya" woh ladki kuch haskar boli..."tumhe laga tum hero banke aaoge aur musibat mein fase ek ladki ko bacha loge?..."
Karan sir ke peeche haath rkhe bola, "aisa nhi hai...bas mere mom bolte hai ke musibat mein fase loge ke help karne chaiye.."
Woh ladki thode se muskukare, "Tumare mom ko tumhare jaise bete pe bahut garv hoga..."
***
Dono fir wahan se saath mein chalne lagte hai...
"Acha...humne apna introduction toh de hi nhi" Karan ne bola
"Ha...woh toh nhi hue.." lakdi thodi hasti hue bole.
"Mera naam Karan hai...main...aage kuch nhi janta" Karan aage bolta bhi kya.
Ladki apne pehchan jane kyu chupana chate the ksi bhi...aadmi se...isliye toh usne pehle se parda pehan rkha tha...
"Mera naam se Jayda tumhare yeh help karega ke tum mere saath chalo.. uss ladki ne bola...pehchan mein aise bina kisi pe pure tarah vishwas kiye bina nhi bata skti..."
"Theek hai...koi dikkat nhi hai" Karan smjh rha tha ke koi itni takatwar ladki...koi aam Aadmi thodi hi hoge.
***
Dono thodi dur chalne ke baad thak jate hai, "tum fish khate ho?" Uss ladki ne Karan se pucha.
"Ha kabhi kabhi...mere mom...bahut acha..." Karan yeh sab bolte bolte ruk gaya..."chordo kuch nhi".
"Kya hua tum apne mom se naaraz ho jo unke baat nhi karna chate?"
"Nhi bas...jab mein unke baat karta hoon toh mujhe unke last moments yaad aa jate hai...woh ab shayad mujhe akela chord ke chale gye hai."
Woh ladki thoda udaas ho jate hai, "aisa nhi hai...koi bhi mom apne bache ko akela nhi chordte..."
"Mere mom ne bhi nhi chorda tha...woh mere wajah se...maine hi time pe unko medicines nhi di..." Yeh sab keh kar Karan ke aankhon mein aasu aa jate hai..."mere hi wajah se mom..."
Woh ladki ka dil pure tarah se dukhe ho gaya tha yeh sab dekhar...woh neeche baithe uske bagal mein aur apna mask chere ke upar se hataya.
Karan ne jo dekha woh shayad aajtak ke sabse Jadui cheez the...
Woh aurat uske taraf mude aur bole, "Kyu nhi chordna na maine tumhe akela..?"
Aur fir Karan ke Khushi aansu choot gye..
*Damn that...half crocodile was really scary
She's from Lite_end story's...Enough teasing give us the update already and who is Sonia.?