• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Everyone has a story

big king

Active Member
621
1,053
123
UPDATE-32
You killed them all? Ek ghabrae aawaz ruth ke kano me padi jab vo sari bodies ko chhat se utha kar niche le ja raha tha

Right hand se thoda khoon bhi nikal raha tha lekin andhere ke karan ipsita ko khoon kaha se nikal raha hai ye pata nahi chal raha tha. Usne khoon ki mahak to samjh aa gaye thi lekin ye nahi socha tha usne ki ye ruth ke hatho se aa rahi hai

Ruthven ne unki jeb tatoli aur car keys nikal kar ipsita ki taraf fek di

Ruth- chorahe ke pass koe van khadi hogi. Bina koe aawaz kiye use yaha le aao

Ipsita- you killed them?
Usne ek baar aur pucha

Ruth- do it fast. We dont have much time
Thodi kathore aawaz me ruth bola to ipsita kaap gaye. Ye aura ye ruth vo pehle bhi dekh chuki thi esliye dobara kuch bolne ya puchne ki himmat nahi hue usme aur vo jaldi se bahar ki taraf bhag padi

Tab tak ruth ne pura ghar bilkul saaf kar diya. Kahi par bhi koe finger print mojud nahi tha, khoon bilkul saaf kar chuka tha, jo chhije toot gaye thi unko side me sahi jagah rakh diya tha

Agar koe subah es jagah aata to unko andaja hi nahi hota ki yaha raat ko hua kya tha

Jab tak usne sab sahi kiya tab tak ipsita bahar aa chuki thi

Ruth ne ek ek karke sabko utha kar van ke piche patak diya

Ruth- get your valuable things and yaad rahe yaha koe aisi chhij nahi bachni chahiye jis se humare tak pahucha ja sake

Ipsita ne sar hilaya aur tej kadmo se apna samaan samete lagi

Ruth- wear these
Usne gloves diye jo un aadmiyo ke hatho se nikale the. Main prints mita diye hai aur nahi chahiye esliye enko pahan kar kaam karo aur jaldi

Ruthven jo aura leke baat kar raha tha ipsita ki himmat hi nahi ho rahi thi ki vo uski baat ko kaate ya fir najarandaz kare

Jaldi hi usne sara samaan sameet liya aur dono bahar aa gaye

Ruth ne van start ki aur sehar se bahar nikalne lage

Ruthven- raste me jo flyover hai uske niche se ye samundar bahta hai. Hum enko vahi baha kar nikal jayenge

Ipsita- hmm

Ruthven- aur fir head quarter jayenge aur vaha ka kaam sameet kar ye sehar chhod denge

Ipsita- kya??? Nahi. Aise nahi ja sakte hum vaha. Guards bahut hai security bahut hai. Bina planning ke nahi ghus sakte

Ruthven- i have planned everything dont worry

Ipsita- hum kahi aur bhi to ruk sakte hai aaj? Kal uniform leke kar lenge

Ruthven- subah tak sehar ke har chorahe par agency ke log milenge. Fir hum na to safely yaha se nikal payenge aur na hi khud ko dunia ki aankhon se bacha payenge

Ipsita- how we are going to enter in the head quarter?

Ruthven- by kicking some people

Ipsita- we can’t do that ruth. Whats wrong with you???

Ruth- pehle enko thikane par laga de? Fir dekhna kaise kya karta hu main

Ipsita- tum enko phone se message bhi kar sakte ho ki mission pura ho gaya fir vo humare piche nahi aayenge

Ruth- tumhe agency se door hue kitna time ho gaya?

Ipsita- ho gaya thoda time

Ruthven- tabhi tum bhul gaye ho ki hume proof bhi bejhna padta hai. Aur tum THE RUTHVEN ki marne ki baat kar rahi ho. Jab tak do teen baar confirm nahi kar lenge, mere sareer ko kaat peet kar ander tak nahi dekh lenge tab tak vo manege nahi

Ipsita- eska matlab bhagna hi aakhiri rasta hai?

Ruthven- bilkul. Vaise maine enke phone aur documents nikal liye hai. Dekho kuch milta hai ya nahi enme se

Thodi hi der me vo pull ke pass pahuch gaye. Thodi doori par ruth ne van rok di aur dono bahar aa gaye

Ipsita- ab kya hua?

Ruthven- soch raha hu van ko nahi fekte hai. Agar van sath me gaye to bahut logo ke notice me aa jayegi. Aisa karte hai enko pathar ke sath band kar fek dete hai. Na upar aa payenge aur na kisi ko kuch pata chalega

Ipsita- why are you so calm in this shit?

Ruthven- help me in getting these bastards out
Ipsita ko pura ignore karte hue ruth bola

Ipsita- please jaldi karo yaha hume koe bhi dekh sakta hai

Ruthven ne jaldi jaldi hath chalne suru kiye aur fir ek ek bada pathar sabko sareer par band kar unko niche pani me fek diya aur vapas van me aake bath gaye

Ipsita- ab chalo jaldi se….ahhh… ye kya hai?
Galti se ipsita ka hath ruthven ke hath par lag gaya jaha se usko chhot aaye thi aur ab khoon nikal raha tha. Jaise hi khoon feel hua ipsita ek dam se ghabra gaye aur ruth ki taraf dekhne lagi

Ruthven- scar hai chhota sa. Jada kuch nahi hai

Ipsita- dekhno do mujhe

Ruthven- yaha se nikal le pehle?

Ipsita- let me drive then

Ruthven- theek hu main. Aur usne van aage badha di
Ipsita baar baar stress me uske hatho ko dekhe ja rahi thi aur kuch km baad jabardasti usne car rukva hi di aur light on karke uske jhakam ko dekhne lagi

Sayad kisi ne chaku maara tha lucifer ke hatho par esliye vaha par thoda jhakam ban gaya tha. Unke pass koe first aid bhi nahi tha ki us se hi vo kuch kar paye

Fir bhi ipsita ne kisi tarah kapde se uske jhakmo ko saaf kiya aur fir baand diya ye bol kar ki aage agar medical dikhe to first aid le lenge

Aise hi vo headquarter ki taraf badhne lage****


Ek bahut bade hall me bahut sare log bathe hue the. Kuch ko to dekh kar hi lag raha tha ki kitni badi post par honge vo aur sath me kafi media wale bhi vaha mojud the

Enhi beech ek bahut sundar ladki bhi bathi hue thi jo thodi nervous lag rahi thi aur baar baar apne nakhono ko chaba rahi thi

Hath me ek paper tha jisme bahut sare sawal likhe hue the aur vo baar baar us paper par najar doda kar yaad karne ki kosis karne lagti fir vapas samne dekhne lagti

Nervousness ke karan pairo bhi teji se hil rahe the uske lekin vo apne aap ko kabu karne ki bahut kosis kar rahi thi tabhi uski saase aur jada tej ho gaye kyuki samne usne us insaan ko aata dekh liya jiske intezaar me vo vaha bathi hue thi. DOCTOR

Aur vo ladki thi emma jisko aaj mokka mil gaya tha doctor ka interview lene ka

Jab se ruthven bina bataye uski jindagi se chala gaya tha tab se vo har vo chhoti chhoti baat yaad karne ki kosis karti rahti jo ruth ne us se kabhi kahi thi aur un sab ke notes bana kar usne apni khud ki research karne suru ki aur aakhir me es natije par pahuchi ki doctor ne hi uske sath kuch galat kiya hai

Fir jab vo bahut deep me chali gaye tab use thode bahut aur secrets pata chale. Jaise project inhuman ke bare me

Vo usi field se thi to usko kisi tarah ye jankari mil gaye thi nahi to bahari dunia ke liye aisa kuch tha hi nahi. Na to bahar ki dunia ne ye project ka naam pehle kabhi suna tha aur na hi unko andasha tha ki desh dunia me kya chal raha hai

Humanity gutter ke kitne ander ghus chuki hai ye hum logo ko maloom hi nahi chala. Hum to chhote chhote jhagdo me, jealousy me , ek dusre ko nicha dikhane me hi lage rah gaye aur dunia bahut aage nikal gaye

Doctor ka yaha jis tarike se sawagat ho raha tha uski vajah se emma aur jada nervous ho gaye. Etna bhavav tarike se doctor ko swagat ho raha tha ki kisi ka bhi self confidence dagmaga jaye

Log use kisi bhagwan ki tarah pooj rahe the. Taliyo ki aawaz khatam hi nahi ho rahi thi aur na hi log apni jagah par bathe the

Sab doctor ke samaan me apne pairo par hi khade hue the aur doctor ne jo nakaab pahan rakha tha use dekh kar to koe bata bhi nahi sakta ki es muskaan ke piche kis havaan ka chehra chhupa hua hai

Bahut der tak uska swagat hua fir doctor ne apne speech dene suru ki

Desh dunia ki tamaam baatein hue aur uske baad vo science ki dunia me kho gaya. Na jane kaha tak pahuch gaya tha vo aur rukne ka naam hi nahi le raha tha. Vaha bathe log bhi sayad nahi chahte the ki vo ruke tabhi to sab shanti se bade dhayan se uske muh se nikale har ek sabad ko sun rahe the, samjhne ki kosis kar rahe the aur use kaise apni jindagi me lagu kar sake ye bhi dekh rahe the

Doctor ke piche hi ek bright smile liye one piece dress pahane lisa bhi bathi hue thi jo bahut hi jada damak rahi thi aaj vahi emma ka chehra laal pad chuka tha

Ghabrahat apne charam par aa chuki thi aur ab vo pal bhi aa gaya tha jab uska naam mic par pukara ja chuka tha. Vo hi pehli ladki thi jiski charcha doctor ke sath honi thi

Kisi tarah apne aapko normal rakhne ki kosis karte hue emma dheere dheere stage par ja pahuchi. Uske just samne doctor ek gandi muskaan liye khada hua tha jo emma ki khubsurati par fida ho chuka tha lekin etne logo ke samne usne apne aapko par bahut acha niyataran kar rakha tha. Vaise bhi apne puri life juth ke saye me rahne wale ko etni problem bhi nahi ho sakti thi apni asliyat chhupane me

Emma aur doctor ne ek dusre ko wish kiye aur dono sofe par jake bath gaye

Doctor jo bahut tarujbe wala tha usne pehli najar me hi pakad liya tha ki emma abhi bahut nervous hai aur vo ye mokka chhodne wala nahi tha

Doctor- jab bhi kabhi mere samne young talent aate hai meri khushi ki koe seema nahi rahti so I request you all to give a big round of applause for miss emma. This is our future seating right in front of us. So please a big round of applause for her and for all young talent out there

Doctor ne etna bola aur pura area taliyo ki gadgadahat se gunj utha. Emma bhi thodi aur normal hone lagi aur fir suru hua sawalo ka aadan pradaan….
Maja to bahot aaya dost par dil bol raha tha ki aur action khatarnaak wala ho jaay to maja dugna ho jaay 😏😏😊😊. Bahot jabardast update tha bhai. Next update ka intajaar rahegaa bhai 👌👌👌👌👌👌👍👍👍👍👍👍
 
  • Like
Reactions: RAAZ
Top