parkas
Well-Known Member
- 26,831
- 59,923
- 303
Bahut hi shaandar update diya hai Lone survivor bhai....UPDATE-23Ek bahut purani building ke niche aakar ruthven ke pair ruke. Vo building etni jada old aur rusty thi ki america jaise desh me koe uske aas pass bhi jana pasand na kare unless vo drug addict ho
Kyuki vaha par aisi jagah par sirf drug addict hi milte the. Sehar ke bicho bich khadi es building par abhi tak sarkaar ne kyu dhayan nahi diya? Ye bada sawal tha lekin eska jawab pane ke liye to ruthven yaha aaya nahi tha
Ruthven ne apne charo taraf dekha aur sab kuch analysis karne laga. Vaha thodi hi door par rk flyover tha jiske niche koe badi nadi bah rahi thi aur us flyover ke dono taraf skyscraper bane hue the
Matlab agar yaha fasa to vo easily kisi bhi building me ja kar chhup sakta tha ya bach kar nikal sakta tha
To bahar se nikalne ka to plan ready tha aur vo easy bhi tha lekin es building ke ander kya mojud tha eska andaja use nahi tha
Aur uska dimag baar baar chhikh chhikh kar bol raha tha use ki abhi vo ander jane ke liye tayar nahi hai apne kadam vapas khech le lekin vo aaj vapas jane ke mood me nahi tha
Use pata tha ki vo bewakufi karne ja raha hai lekin jab dil aur dimag me ladae chalti hai to insaan khud chudta hi hai aur vohi ruthven ke sath hone wala tha
Shaam dhal aaye thi aur charo taraf alag alag light jagmagane lag gaye thi
Dimag ke lakh samjhane par bhi ruthven ke samjh me nahi aaya aur uske kadam ander ki taraf badhne lage
Use sense ho raha tha bahut kuch vaha par aur kitne bade khatre me vo ja raha hai eska bhi usko bahut jaldi andaja ho gaya tha kyuki usko vaha alag alag tarike ke log hone ki feelings aa gaye thi
Bahut tarah ke chemicals uske naak me ghum chuke the aur uski aankhon ke samne uska bachpan wala chehra flash ki tarah ghum kar nikal gaya
Bahut tej jhatke se usne apne sar ko hilaya aur fir vapas samne concentration karne laga
Vo siddiyo se upar ja raha tha bina koe aawaz kiye sath me kaha kya hai sab apne dimag me bathata ja raha tha
Bahar se jitni gandi aur purani ye building dikh rahi thi ander se bilkul uske opposite thi. Agar first floor ko chhod diya jaye to ye Ek dam saaf high tec building bilkul vaisi jaise ek research center ko honi chahiye dikh rahi thi
Ye sab to ruthven samjh gaya tha lekin ek chhij jo uske dimag me ghum rahi thi ki bahar koe guard kyu nahi tha?
Use koe camera bhi nahi dikha tha bahar aur na koe advance protection guard. Jo bahar se dikh raha tha vaisa ander kuch nahi tha fir bhi esko guard kyu nahi kar rakha?
Kya es building me aisa kaam ho raha hai jisko protection ki jarurat nahi hai ya fir koe aur vajah hai?
Bas ek yehi chhij thi jo ruthven abhi tak samjh nahi paya tha. Aur ese doubt ke chalte vo extra cautious ho gaya tha
Apne defence ko etna majbut karke chal raha tha ruthven ki agar koe bijli ki gati se bhi uske pass aayega to bhi apne defence ke karan kuch seconds jarur mil jayegi usko sambhalne ke liye
Aise hi chalte chalte vo third floor par pahuch gaya. Ek dhundli memory uski aankhon ke samne flash hue aur vo siddiyo ko chhod kar kamro ki taraf badh gaya
Ab tak ke mahool se vo kuch chhije samjh gaya tha. Building automation par chal rahi hai, bahut sare kamre bane hue hai jo high tech se secure hai, light aur temperature automatic hai aur sayad puri building sound proof hai
Ek kamre ke samne pahuch kar vo use kholne ki kosis karne laga lekin jor jabardasti karte hi bahut tej alarm bajne laga
Room bilkul closed tha kahi se bhi koe jagah nahi thi jisme vo ander kya hai vo dekh sake
Alarm bajte hi vo aur jada satark ho gaya aur stairs ke pass pahuch gaya jaha se uske pass jane ke char raste khul gaye upar niche room ki taraf aur khidki tood kar bahar khudne ka
Abhi bhi alarm tej baj rahi thi aur use ab tej tej kadmo ki aawaz bhi sunane de rahi thi jo uski taraf hi aa rahi thi
Usne turant hathiyaar ki khoj suru ki lekin vaha fire cylinder ke alava aur kuch nahi dikha to usne vohi tod liya. Ab tak vaha bahut sare log us floor par aa chuke the jinke hatho me automatic refiles thi
Use samjhte der nahi lagi ki vo unse abhi nahi lad sakta aur upar ki taraf bhaga to puri gang bhi uske piche bhag li
Agar gun ki jagah aur kuch hota to ruthven bina soche samjhte ab tak sabke sar faad chuka hota lekin etni sari guns aur vo bhi closed area me vo samna nahi kar sakta tha aur ye vo jaan gaya tha
Lekin upar jakar use ek aur jhatka laga jab do chehre uske samne aaye
Ek chehre ko dekh kar to vo samjh gaya ki ese vo janta hai. Bahut buddha admi tha chehre par jhuriya pad chuki thi aur baal safeed ho chuke the. Chehre par kaminapan tapak raha tha
Jitna vo use ghur kar dekh raha tha utna bhi vo chehra bhi use dekh raha tha. Shocked expression bhi dono side me mojud the
Samne wala koe aur nahi doctor hi tha aur uske sath thi lisa
“Ruthven… mera bacha” bas etna hi bola doctor ki ruthven ke dimag ne jhatka khaya aur vo uski taraf badhne laga. Doctor ke face par es waqt dar ka namonisaan bhi nahi tha balki ek chamak thi
Vahi lisa ki halat aisi thi ki dar ke mare uski chut se pani risne lag gaya tha. Vo ruthven se kabhi mili to nahi thi lekin jitna suna aur padha tha uske bare me uske pair kapne lag gaye the
Doctor- mujhe pata tha. Pata tha mujhe. Lisa maine kaha tha na ruthven meri ab tak ki sabse behtareen invention hai vo aise mar nahi sakta lekin kisi ne meri baato par yakeen nahi kiya. Hahahahaha. Main jeet gaya main jeet gaya
Doctor ko aise behave karte dekh ruthven ne to koe expression nahi diye lekin lisa ki halaat aur kharab hone lag gaye
Ab tak sare guards bhi vaha pahuch chuke the aur unhone ruthven par banduke taan di thi
Doctor- khabardar jo mere bache par kisi ne hathiyaar uthaye to. Dafa ho jao yaha se nahi to kacha chaba dalunga ek ek ko
Doctor guraya aur guards vaha se bhag liye
Ruthven- you did this to me?
Doctor- ohh. Matlab door se bhi mera subject meri baat maan gaya?
Ruthven ne aankh badi karke matlab samjhne ki kosis ki
Doctor- tumhe sab samjh me aa jayega. Main hu na tumhre liye tumhre pass? Sab samjha dunga
Lisa- he came to kill you
Lisa ne jaise ruthven ki man ki baat pad li thi. Vo shasha jitni intelligent to nahi thi lekin apni field me uski pakad bahut achi thi. Etne samay se doctor ke sath rah kar vo sare subjects ke behaviour analysis bhi karti thi to vo samjh gaye ki ruthven yaha kya karne aaya hai
Doctor- ye mera bacha hai mujhe kabhi hurt nahi kar sakta. Maine hi to esko kichad se utha kar naye jindagi di thi. Etna capable kiya tha ki aaj ye apne pahchan ke liye apne hak ke liye dunia se lad sake. Hai na mera bacha??
Ruthven ke dimag me uthap puthal machni suru ho gaye thi doctor ki baate sunte sunte. Aaj tak aisa uske sath kabhi nahi hua tha. Humesha focused rahne wala ruthven bahut buri tarah divert ho raha tha aur apne aapko kabu me karne ke liye bahut kosis kar raha tha lekin safal ho nahi pa raha tha bechara
Doctor- kya tumhe yaad nahi ruthven ki kaise maine tumhe us jalim dunia se bachaya tha? Kaise us narak se nikal kar apne yaha laya tha? Apne bache se badh kar tujhe pyaar kiya tha? Yaha tak ki shasha ko bhi nochavar kar diya tha tum par?
Doctor bolte ja raha tha vahi lisa confused khadi bas sab samjhne ki kosis kar rahi thi. Aaj ruthven samne khada tha to doctor kuch aur hi behave kar raha tha aur etne saalo se kuch aur hi tha doctor
Doctor- koe baat nahi beta agar tumhe kuch yaad nahi hai to. Jaisa maine pehle tujhe sare dukh dard se door kiya tha vaise hi ab bhi tumhri madad main hi kar sakta hu. Aao mere pass aao i can help
Ruthven- sttooppp ittt. Stoooppp ittt
Ruthven apna sar pakad kar bahut jor se chilaya aur vahi jamin par bath gaya
Doctor- na my child nahi pareshan nahi hote. Tum apne pitaji ke pass aa chuke ho ab tumhe koe dard nahi de sakta
Ruthven- i said stop it
Ek baar fir ruthven bahut jor se chhilaya. Uski aawaz me etna dard tha ki lisa jaise self centered ladki bhi thodi bhauk ho gaye thi lekin doctor ke chehre par muskaan aa gaye thi
Vo khud ab dheere dheere aage badhne laga
Lisa- nahi doctor he is not stable. Abhi uske pass jana safe nahi hai
Doctor- he is my child lisa vo mujhe hurt nahi karega
Lisa- vo abhi kar sakta hai. At least call…
Doctor- shut up
Aur doctoe bilkul ruthven ke pass pahuch gaya. Jaise hi uska hath ruthven ke sar ko chhuva ek current dod gaya ruthven ke pure sareer me aur vo jhatke se khada hokar doctor ka galla pakad kar use hava me utha diya
Ruthven- i said stoppppp
Aankhon me angare liye ruthven jor se dahada
Lisa jo door khadi thi vo bhi apne aap do kadam piche ho gaye
Doctor- i know you are hurt let me help you. Let pa help you my child
Ruthven ko fir kuch feel hua uske dimag me aur usne doctor ko door fek ke mara jo sidha lisa ke pairo ke pass ja gira
Doctor- release Adam. I want him alive.
Khaste hue doctor khada hua aur lisa ko bola jisne apne hath me liye tab me kuch ungliya mari aur bahut sare kamro me se ek kamra khula aur usme se nikla ek danaav…
Nice and lovely update....