• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
128
254
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇


And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

Dolar

Member
128
254
64
Nice update bro...
Ye test kaa concept thik se nahi samza mai
Yeh test isliye ha taaki yeh dekha ja sake ki kon es mission mai jane ke liye capable hai ya nahi...

Ab kisi ko bhi to nahi bhej sakte kyuki waha ka khatra pehle hi bahut zada hai normal insaan waha ek din bhi survive nahi kar sakta...
or ye union ke bare me kya achanak tapak ayi ye to😂
Yeh ek tarah ki army jinhe "Planets Union" Ke naam se jana jata hai..

Jese alag alag army ka alag naam hota hai wese hi iska naam Planets Union hai..

Aage ke updates mai aur pata chalega iske baare mai...
 

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
UPDATE-08
SCHOOL PHYSICAL TEST...

Ab tak..

Ansh “Bade dada ji, mai kisi ko apne niche dabana nahi chahta, mai bas taqatwar banna chahta hoon jisse main apnon ki raksha kar saku aur koi bhi mujhe dhamka na sake…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par ek smile aa gayi…

Adhiraj : "Theek hai, ab hum bahut time tak nahi milenge asha karta hoon tum apna khayal rakhoge….”


Ab aage:

Adhiraj ji aur Ansh ek kamre mein baat kar rahe the Adhiraj ji bole…

Adhiraj : “Ansh, ab mujhe nahi pata aage kya hone wala hai, par main chahta hoon tum apne parivaar ki raksha karo. Aur mere parivaar se matlab hai tumara naya parivaar. Bolo, karoge na…?"

Ansh : “Haan, main vaada karta hoon. Main hamesha sabhi ki raksha karunga. Aap chinta mat kijiye…."

Yeh sunkar Adhiraj ji ne kuch nahi kaha aur uth kar ek badi si window ke paas chale gaye. Adhiraj ji ne bina peeche mude kaha…

Adhiraj : "Aaj raat mein Nova Planet ja raha hoon. Aur shayad bahut jald Priya, Preetam aur Ranjit bhi wahan aayenge….

Yahan sirf tumhare saath Meera rukegi. Meera business mein bahut acchi hai. Usse powerful banne se zada psnd business badhana hai. Aur tumhe pata hai voh ek aur cheez mein bahut acchi hai…

Vese mai tumse puchhta hoon, agar tum business kar rahe ho to sabse zaroori cheez kya hai…?"

Adhiraj ji itna bol palte aur aur woh gaur se Ansh ko dekhne lage….

Ansh ne kuch der socha aur kaha…

Ansh : "Investment ya shayad marketing…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ne halki smile di aur kaha..

Adhiraj : "Haan, ye dono cheezein kisi bhi business ke liye bahut zaroori hain, par en cheezon ko paise se khareeda ja sakta hai Ansh, par ek cheez hai tumhara mindset..”

Kuch der rukkar Adhiraj ji aage bole..

Adhiraj : “Meera ko dekh kar kya lagta hai Ansh..?"

Ansh ne jawab diya..

Ansh : "Maine jaha tak unhein jaana hai, voh seedha bolne wali aur imandaar hai. Unka bartav bhi bahut soft hai…."

Yeh sunkar Adhiraj ji ne ek mysterious smile di aur kaha…

Adhiraj : "Log yahi maat kha jaate hain Ansh. Meera sirf apne parivaar ke liye acchi hai, varna voh hi hai jo hamare khandan ka poora business sambhal ti hai…

Ab tumhi socho, itna bada business sambhalne wali ek aurat itni aasan kaise ho sakti hai..?

Darasal, Meera jaisi dikh ti hai, vaisi nahi hai. Tum keh sakte ho uske 2 chehre hain - ek voh jo ghar par hoti hai tab aur doosra jab voh ghar se bahar nikalti hai, tab….

Meera ek bahut tez dimaag wali aurat hai. Ansh, uske paas takat bhale na ho, par voh kisi ke bhi mind se khel sakti hai. Voh shaant rehne wale insaan ko bhi gussa dilaa sakti hai. Voh kisi ke bhi expression dekh kar unka mind read kar sakti hai…

Yeh kabhi kabhi hi kaam nahi karta jab kisi ko apne expression aur mind par poora kaboo ho. Meera ka bolne ka tarika aur uski chalaaki ke baare mein main keh sakta hoon ki es poore ghar mein usey takkar koi nahin de sakta….

Voh bhale hi abhi bhi shuruaati Celestial hai, par uske insaan ko parakhne ki kala mein koi takkar nahi de sakta. Aur business mein yahi sabse zyada zaroori hai ki aap samne wale ke baare mein jaane aur uski kamzori khoje...

Main chahta hoon tum apni practice se jab bhi tumhein time mile, tum uske saath raho. Maine usse pehle hi baat kar li hai, voh tumhein yeh sab sikhayegi…”

Yeh sunkar Ansh ke chehre par khushi saaf dikhai de rahi thi….

Adhiraj : "Vese Ansh, main tumhein bata du, Meera ke alawa es ghar mein chalak Vanya bhi hai, usmein bilkul apni maa ke jaise lakshan hai, par ab es ghar mein ek aur hai jo utna hi tez dimaag rakhta hai. Bas usse kuch cheezein sikhane ki zaroorat hai…

Ab yeh tum par hai ki tum seekhna chahte ho ki nahi par tumhare haan ya naa bolne se pehle jaan lo, Meera bahut hi strict teacher hogi. Ab faisla tumhara hai…”

Ansh ne ek bhi waqt gavaye nahi aur kaha..

Ansh : "Mai taiyaar hoon, bade dada ji. Main zaroor seekhoonga, bhale hi yeh kitna bhi mushkil kyu na ho. Main zaroor seekhoonga aur aapko aur apni family ko kabhi bhi nirash nahi karunga..."

Adhiraj : “Thik hai, ab jao…*

Par tabhi Ansh bola…

Ansh : “Nahi, dada ji. Darasal, mujhe 1 hafte tak yahi rehna hai. Mai aaj raat ghar jaunga aur kal subeh yahan aaunga. Mujhe ab apni practice par dhyan dena hai aur main chahta hoon ki koi bhi mujhe pareshan na kare…”

Yeh sunkar Adhiraj ji ne sar hilaaya, fir unhone Ansh ko jaane ko kaha aur Karanveer ji ko unke paas bhejne ko kaha. Ansh ne vesa hi kiya aur voh kamre se bahar chala gaya aur Karanveer ji ko andar bhej diya…

Karanveer ji kuch der baad bahar nikle aur Ansh ke paas chale gaye….

Karanveer : "Chalo, Ansh, chalte hai.."

Fir Ansh aur Karanveer ji dono vahan se chale gaye…

Kuch der baad…

Ansh aur Angy ek kamre mein the Ansh bola…

Ansh : “Dekho Angy, main ab apni practice par dhyan dunga, par mai chahta hoon tum meri kuch baaton ka dhyan rakho…

Pehle, agar koi tumse dhamake ke baare mein puchhe, to kisi ko mat batana…

Doosra, tum kabhi bhi apni asli taakat kisi ko mat dikhaana. Last time tumne level 7 ki taakat dikhai thi, ab hamesha apni taakat par kaboo karna aur level 7 ki hi power dikhaana….

Teesra, tumhe kabhi bhi is locket ke baare mein kisi ko nahin batana hai. Kisi ka matlab kisi ka bhi hota hai…."

Angy ne haan kaha aur Ansh ke gal par haath rakha….

Angy : "Bhai, aapko apna khayal rakhna chahiye…”

Ansh ne apne jeb se ek blade nikali, to Angy ne kaha..

Angy : "Par bhai, isse aapko dard hoga…."

Ansh ne Angy ke sar par haath rakha aur kaha…

Ansh : "Koi baat nahi, yeh to bass chhota sa ghav hai. Agar kisi ko tumhari asliyat pata chal gayi to voh log tumhe mujh se duur kar denge. Voh jyada dard dega, usse yeh dard behtar hai…”

Itna bol, Ansh ne apne haath mein ek chhota sa cut kiya, jismein se khoon aane laga. Ansh ne apna haath aage kiya, to Angy ne dheere se us khoon ko apne mun mein girne diya aur har ek ghut ko voh pine lagi. Kuch der baad, Ansh ka khoon aana bandh ho gaya…

Fir Ansh ne ek aur blade nikala…

Ansh : "Dekho, Angy tumhe bilkul bhi dard nahi hoga. Shaant rehna..."

Itna bol, Ansh ne Angy ki chhoti ungli par ek chhota sa cut kiya. Usmein se laal khoon aane laga, jise dekh Ansh ne kaha..

Ansh : "Dekho Angy, ho gaya tumhara khoon vapas laal ho gaya hai…”

(Ansh ko har 3 saal mai ek baar Angy ka khoon laal karna hoga kyuki Angy ke khoon ka color green hai lekin abhi 3 saal nahi hue hai lekin Ansh ne fir bhi Angy ka khoon laal kar diya hai kyuki 1 saal ho gya tha aur Ansh isme koi risk nahi lena chahta tha..)

Ansh ne ek baar check karna theek samjha, kahi koi galti na ho jaaye, tabhi Ansh bola..

Ansh : "Angy, chahe kuch bhi ho jaaye, koi tumhare saath kitna bhi accha kyu na ho, tumhein kabhi bhi kisi ko tumhare baare mein kuch nahi batana hai…”

Angy : "Thik hai, samajh gayi bhai, hehe..”

Aur aap jyada pareshan ho rahe hain bhai,, mujhe aapko ek baat batani hai. Mujhe nahi pata kaise, par main jaha bhi jaati hoon, vahan par main kisi ke bhi emotion ko measure kar paati hoon. Mujhe nahi pata yeh kaise hota hai, par jab main kisi ke saath baat karti hoon, to mujhe andar se hi voh feeling measure hoti hai jo samne wala karta hai…

Aur maine yaha measure kiya hai bhai, yaha sab log bahut acche hain. Yaha sabhi hamaare yaha aane se khush hain…"

Ansh ne Angy ki baat dhyan se suni aur uske maathe par halki chinta ki lakiren ubhar aayin. Usne gehri saans lete hue kaha…

Ansh : “Angy, tumhare andar jo powers hai, voh normal nahi hai. Main jaanta hoon ki tumhein kai sawaal honge, lekin abhi mai tumhein itna hi keh sakta hoon ki yeh tumhara gift hai, aur issey sambhal kar rakhna bahut zaroori hai. Kisi ko bhi iske baare mein pata nahi chalna chahiye…”

Angu ne apna sar jhukaate hue kaha…

Angy : "Lekin bhai, main samajh nahi pa rahi ki yeh sab mere saath kyu ho raha hai. Mai ne kabhi kisi ko nuksaan nahin pahunchaaya. Phir bhi, mujhe aisa kyon lagta hai ki jaise yeh taakat mere liye koi bojh ban gayi hai..?"

Ansh ne muskuraane ki koshish ki aur Angy ke sar par haath rakhte hue bola..

Ansh : “Ansh, tumne kuch galat nahi kiya. Yeh taakat tumhare saath isliye hai kyuki tumhara ek maksad hai. Lekin voh maksad kya hai, yeh humein waqt ke saath samajh aayega, aur apni maa ko yaad karo unhone jaane se pehle kaha tha tumhi unki aakhri ummeed ho…”

Fir Ansh chup ho gaya, kuch der khamoshi chhayi rahi. Fir Ansh ne ek gehri saans leti hue kaha..

Ansh : "Ab tumhein vapas jaana hoga. Main ne jo kaha, usse yaad rakhna. Kisi ko bhi tumhari taakat ke baare mein pata nahi chalna chahiye…”

Angy : "Thik hai, bhai. Main aapki baat maanungi…”

Ansh ne ek pal ke liye uski aankhon mein dekha, fir darwaaze ki taraf ishaara kiya…

Ansh : "Thik hai, ab tum jao, aur dhyan rakhna apna. Main kuch waqt ke liye training karunga, is dauran main akela rehna chahta hoon…”

Angy ne dheere-dheere kadam badhaaye aur bahar nikal gayi. Jaate-jaate usne palat kar Ansh ki taraf dekha, lekin Ansh ne usse jaane ka ishaara kiya…

Angy ke jaane ke baad, Ansh ne gehri saans li aur khidki se bahar jhankte hue khud se badbadaya….

Ansh : "Yeh sab kitna uljha hua hai. Chalo chhodo, chahe kuch bhi ho jaaye, mujhe apni taakat badhaani hai.."

Angy ke jaane ke baad, Ansh ne ek gehri saans li. Wohh jaanta tha ki yeh samay usse apni limits ko paar kar khud ko aur majboot banana ka tha…

Ansh abhi apni soch mein hi tha ki tabhi uske kamre ka darwaaza dheere se khula aur 2 parchhayiyaan uske kamre mai daakhil hui…

Ansh jo sone ki taiyaari hi kar raha tha, voh kuch awaaz sun satark ho gaya, par voh kuch bhi kar pata usse pehle hi voh do parchhayiyaan uske upar kood gayi, jisse Ansh ki muh se ek dard bhari karaah nikal gayi…

Kyunki voh do log Ansh ke upar eedhe kude the..

Ansn abhi dard mein hi tha ki tabhi usse kisi ke hasne ki aawaaz aayi. Usne apne sad upar karke dekha to voh do log aur koi nahi, Akshat aur Vineet the…

Ansh ne apne upar se Akshat aur Vineet ko side mein dhakelte hue gehri saans li aur jhunjhlaate hue bola…

Ansh : "Tum dono ke dimaag mein aakhir chalta kya hai? Yeh konsa tarika hai kisi ke kamre mein aane ka aur us par hi koodne ka..?"

Ansh un dono ko jab mila tab se lekar un dono ko voh achhe se samajh gaya tha. Dono hi dil se jeene wale logo mein se hai aur Ansh bhi unka dost ban gaya tha….

Bhai to vese bhi ban hi gaya the, Ansh ko dost banana pasand nahi tha par un dono ne kal usse zidd hi pakad li thi aur un dono ne usse mall mein bhi khub pareshan kiya tha…

Vese Akshat usse bada tha par usne usse bhai ki jagha Akshat hi bolne ko kaha tha. Akshat ne betarteeb dhang se hanste hue kaha…

Akshat : "Arey tu, itna gussa kyu kar raha hai? Humne socha, tu akela bore ho raha hoga, to tera mood halka karne aa gaye. Vaise bhi, sone ke liye itna bada kamra mila hai, thoda share kar hi sakte hai…”

Vineet ne bhi hansi chhupate hue kaha…

Vineet : "Aur vaise bhi, tujhe dekhkar aisa lagta hai jaise tu ne aajkal hasna hi chhod diya hai. Hum tera saath dene aaye hain. Aakhir dost kis din kaam aayenge…?*

Ansn ne apni aankhon ko halke se michmichate hue kaha…

Ansh : "Dost? Mujhe to lagta hai ki tum dono meri zindagi ke sabse bade sar dard ho..."

Akshat aur Vineet ne es par aur jor se thahaka lagaya..

Akshat : "Sahi pakda! Lekin es sar dard ke bina tera kaam bhi to nahi chalta, hai na..?"

Ansh ne haar mante hue lambi saans li aur bola…

Ansh : "Thik hai, tum dono sone aaye ho to chupchap so jao. Lekin agar phir se mujh par kude, to agle din ka suraj dekhne ki ummeed mat karna..."

Akshat aur Vineet ne mazak mein sar hilaaya aur turant bistar par let gaye. Lekin yeh shaanti jyada der tak tikne wali nahi thi. Jaise hi Ansh apni jagah par aaram se leta…


Akshat ne dheere se Vineet ki taraf ishaara kiya. Vineet muskuraate hue budbudaaya…

Vineet : "Aakhri baar! Phir se so jaayenge…”

Agle hi pal, dono ne pillow uthaaye aur Ansh par hamla kar diya….

Akshat : "Takiye ki jung shuru hoti hai!!!"

Akshat chillaya…

Ansh, jo es achaanak hamle se heraan tha, usne ek pal ke liye kuch nahi kaha. Lekin jab takie ka ek aur vaar uske chehre par pada to usse bhi gussa aagaya, usne jawabi karyawaahi shuru kar di….

Ansh : "Thik hai, ab bhugto!!!.."

Ansh ne kaha aur bistar par pada takiya uthakar dono par palatvaar kiya…

Kamre mein hansi aur takion ki dhop-dhop goojhne lagi. Teenon es khel mein bacchon jaise kho gaye…

Kuch minutes baad, jab sabhi thakkar bistar par geer padhe, to Vineet ne kaha…

Vineet : "Yaar, sach mein, es tarah ke palon ki humein bahut zaroorat hai. Kabhi-kabhi sab bhoolkar bas jeena chahiye…”

Ansh ne halki muskaan ke saath jawab diya…

Ansh : "Tum dono sirfire ho, lekin haan, ye pal yaadgaar rahega. Ab, agar tum dono shaant ho gaye ho, to so jao. Subah jaldi uthna hai…."

Akshat ne haste hue kaha…

Ansh : “Haan haan, subah jaldi uthne ki baatein to hum roz karte hain. Chal, aaj teri baat maan lete hain…”

Thodi der mein kamre mein sannata cha gaya. Teenon alag-alag pareshaniyon aur chintaon se bhale hi ghire hain, lekin is chhote se pal ne unke beech ke bandhan ko aur majboot kar diya tha...

Ansh apni aankhein band karte hue apne purane dinon mein kho gaya jaha voh Rajvansh parivaar mein rehta tha…

Usne kabhi bhi apne bhai-bahenon se theek se baat nahi ki thi. To unke saath mazak-masti to duur ki baat hai. Usne socha, shayad meri kismat itni bhi buri nahi hai. Ab shayad Suryavanshi parivaar mein mera naya safar shuru hoga. Par isse pehle mujhe bahut takatvar banna hai…

"Shayad, aise doston ke saath mera safar thoda aasan ho sakta hai…."

Phir Ansh ne bhi apni aankhein band kar li. Ansh Akshat aur Vineet ke beech mein soya tha…

Next day..

Agale din, subeh Ansh ne sabhi parivaar walo ke saath nashta kiya aur phir usne sabhi ko ek do hafte ke liye training ke baare mein bataya…

Priya ji to usse jaane hi nahi dena chahti thi, kyuki agle hafte unhein Arora Planet (Celestial Level Planet) jaana tha, phir vo mahino tak nahi mil paate. Par Karanveer ji ne unhein kaise bhi kar ke mana liya aur Ansh ko lekar vaha se chale gaye…

(Nova planet Demigod level planet hai..

Arora planet Celestial level planet hai..)

Ansh ne jaane se pehle kaha tha ki woh shayad jaldi vapas aayega…

Phir waha pahuchne ke baad Ansh ko Adhiraj ji kahi nahi mile, kyunki woh pehle hi vaha se ja chuke the. Phir Ansh us din Adhiraj ji ke dwara diye gaye room mein chala gaya…

Yeh kamra khaas taur par energy ko aur purify karne ke liye taiyar kiya gaya tha. Kamre ke andar gehri khamoshi thi….

Chaaron or bani divaron par ajeeb-si urja ki lehren mehsoos ho rahi thi. Pura kamra ek dam white marble se bana hua tha aur kuch black wood se bani chair aur tables thi. Khidkiyon ke parde light blue the aur aisa lag raha tha jaise yeh jagah jeevant hai…

Ansh ne ek chatai par bethkar apni saanso ko sthir kiya. Uski aankhein dheere-dheere band hone lagi, aur voh gehre dhyan mein chala gaya….

Jaise hi voh dhyan mein dooba, uske shareer mein behne wali urja ne gati pakadni shuru kar di. Blood ka pravah uske shareer mein goonjhne jaisa mehsoos ho raha tha. Uski urja ka har ansh ab "Blood Sutra" ke bataye gayi technique ke dwaara pravahit ho raha tha…

Kamre mein halki halchal mehsoos hui, aur phir achaanak teen tarah ki roshni uske chaaron or prakat hui - laal, kali aur safed…

Laal roshni garm aur ugr thi, jaise ki uske bheetar chhupi shaktiyon ko prajwalit kar rahi ho….

Kali roshni thandi aur rahasyamay thi, jo uske bheetar chhupi andhkaar aur bhay ko bahar kheenchne ki koshish kar rahi thi….

Aur safed roshni shaant, shuddh aur daivya thi, jo har ashuddhata ko samaapt kar rahi thi.

Dheere-dheere, yeh teen roshniyan uske shareer ke chaaron or ghoomne lagi, uski energy nerves aur meridian ko phir se jaagrit kar rahi thi. Es prakriya ne uske shareer mein chhupi har ashuddhata ko jala diya. Ansh ke janam se hui energy nerves mein jo nuksaan tha, isliye uske liye yeh prakriya aasan nahi thi.

Ansh ka poora shareer dard se kaamp raha tha. Uski muscles khinch rahi thi, jaise ve phatne wali hon…

Uski haddiyon se aawaazein aa rahi thi, aur uska har saans lene ek bhari patthar uthane jaisa mehsoos ho raha tha….

Phir bhi, Ansh ne haar nahi maani. Uski ichchha shakti usse girne nahi de rahi thi. Usne apni aankhein band rakhi aur dhyan mein dooba raha. Uske bheetar ek aawaaz goonj rahi thi…

"Dard asthaayi hai, lekin shakti sthaayi hogi. Utho, sahen karo, aur khud ko nikhaaro.. .”

Roshaniyon ne ab uski meridian aur sabhi dentitian ko firse create karna shuru kar diya…

Yeh prakriya Ansh ke shareer ko na keval pehle se jyada shaktishaali bana rahi thi, balki usse aatmik roop se bhi shuddh kar rahi thi….

Uske maathe se pasine ki boondein kisi jharne ki tarah jameen par gir rahi thi, aur uski saansein tez ho rahi thi. Lekin uski ichchhashakti ne usse tootne nahi diya. Woh har dard ko seh raha tha, har baadha ko paar kar raha tha…

Dheere-dheere uski destroyed energy nerves ka poorna nirman khatam hone ko aaya. Roshaniyan shaant honi lagi, aur Ansh ka shareer sthir ho gaya….

Jab yeh prakriya poori hui, to Ansh ne apni aankhein kholi. Uski aankhon mein ab ek nayi chamak thi, ek nayi shakti. Usne gehri saans li aur khud se budbudaaya….

Ansh : “Ab main pehle se jyada taiyaar hoon. Angy ko surakshit rakhne aur apne uddeshya ko poora karne ke liye…"

Lekin voh jaanta tha ki yeh sirf shuruaat thi. Asli chunauti abhi baaki thi. Iske baad Ansh achanak behosh ho gaya. Ansn ko apne shareer ke firse create hone mai kareeb 6 ghante lage the..

Ansh ke behosh hone ke baad, Ansh ko kareeb 3 ghante baad dheere-dheere vapas hosh aane laga…

Ansh ne dheere-dheere apni aankhein kholi. Usse apne shareer mein thakaavat ka anubhav ho raha tha, lekin uske andar kahin ek nayi urja paida ho chuki thi thi….

Haalaanki, woh abhi bhi apne body ko hilane mein asamarth tha. Uski saansen sthir thi, aur woh chhat ki or dekhaa hua sochne lage...

Woh jaanta tha ki yeh jagah poori tarah surakshit thi. Adhiraj ji ne usse yeh kamra khaas taur par diya tha taaki koi bhi bahari vyakti usse pareshan na kar sake. Usne mehsoos kiya ki usse chinta karne ki koi jarurat nahi thi…

Kareeb aadhe ghante ke andar, Ansh ne apne shareer mein halchal mehsoos ki. Dheere-dheere uski ungliyaan hilne lagi. Thodi der mein usne apne hatho aur pairon ko bhi hilana shuru kar diya..

Ansh ne apni aankhein kholi aur apne aas-paas dekha. Usne dekha ki woh ab ek naye aur shaktishaali shareer mein tha. Uske shareer par ek ajeeb chamak thi, jo samanya nahi ag rahi thi…

Ansh : "Mujhe jaldi se naha lena chahiye…"

Ansh ne khud se budbudaaya aur nahane chala gaya. Voh ladkhadaate hue kamre mein rakhe bathroom ki aur badha…

Garm paani ne uske shareer ki gandagi ko dho daala, aur uske man ko ek nayi taazgi ka ehsaas hua. Nahate samay, usne mehsoos kiya ki uski muscles ab pehle se kahin jyada majboot thi…

Nahane ke baad, woh mirror ke saamne khada hua. Usne dekha ki uski neeli aankhon mein ek ajeeb chamak thi. Uski skin ki banaavat mein bhi ek ajeeb badlaav aaya tha, jaise uske shareer mein kuch asaadhaaran parivartan hue hon…

Ansh ne dhyaan diya to usse apni energy mein kuch badlaav mehsoos hua, aur saath mein woh mehsoos kar pa raha tha ki uske khoon mein bhi kuch badlaav aaye hain..

Par voh samajh nahi pa raha tha voh badlaav kya hai. Uska aam taur par laal khoon thoda chamkeela sunahre rang ka ho aisa lag raha tha…

Ansh ne phir is par dhyaan dena bandh kiya aur room mein rakhi ek strength measuring machine ke paas chala gaya aur vahaan jakar usne apni poori taakat se us machine ke beech mein ek punch maara aur result dekh voh heraan reh gaya….

Uski strength ab level 5 tak pahunch chuki thi. Yeh level pehle uske liye keval ek sapna tha…

Usne mehsoos kiya ki uske andar ek nayi ability jaag chuki thi. Ansh jaldi hi ek sahi jagah dekhkar vahaan dhyaan ki mudra mein baith gaya aur usne apna dhyaan apne andar laga liya…

Usne dhyaan se dekha to uski jo bachpan se destroyed energy nerves thi woh ab theek hogai thi aur woh shayad pehle se bhi jyada behtar thi…

Ansh mehsoos kar sakta tha ki uske andar sabhi bones aur muscles mein kuch badlaav tha. Tabhi Ansh ko much dikhai diya jisse dekh woh chauk gaya. Uske dimaag mein dikhai dene wali ek adbhut drishya….

Ansh ke bheetar ab ek alag duniya ban chuki thi…

Ansh ne dhyaan se dekha to yeh uski locket ki duniya thi, par ajeeb baat yeh thi ki woh ab is duniya ka end nahi dekh pa raha tha aur vahaan par jo tree pehle tha voh aur bhi hara bhara ho gaya tha aur ab woh crystal jo jhanjiron se bandha tha voh bhi aur tej chamakne laga tha…

Usne apni aankhein band ki aur apne andar ki is duniya ko dekhne ki koshish ki. Usne dekha ki ek vishaal hare-bhare jungle jaisa area tha jahaan pehle waha sirf ek hari ghass ka maidan tha. Ab vahaan par kuch kuch doori par use kayi ped dikhayi de rahe the…

Par voh ped sirf ek rang ke nahi the. Sabhi ped alag-alag rang ke the. Ansh ne dhyaan diya ki woh sabhi ped ke neeche ek tablet thi jis par alag-alag elements ke naam likhe hue the..

Aur Ansh ne jo pehle ped dekha tha us par fire likha hua tha…

Fire, Water, Air, Earth, Current, aur bhi kai…

Ansh ne khud se pucha..

Ansh : “Yeh kya hai..?”

Jaise hi Ansh ne ek ped ke kareeb jaane ki koshish ki, to usse ek aawaaz sunayi di…

"Yeh ped abhi poori tarah evolve nahi hue hain. Jab in par fruits aayenge, tab tumhein vibhinn elements ki shaktiyaan milengi. Lekin dhyaan rakhna, har phal ko lene ke liye ek vishesh paristhiti ki aavashyakta hogi. Keval tabhi yeh tumhare liye upyogi honge…"

Aage tum khud jaan jaoge. Itna bol voh budhi aawaaz phir se gayab ho gayi. Ansh ko es baar bhi pata nahi chala ki voh aawaaz aa kahaa se rahi hai. Usne anumaan lagaya shayad yeh aawaaz us crystal se hi aa rahi hogi…

Ansn ne dheere-dheere apni aankhein kholi. Woh samajh gaya tha ki uski shakti ab keval bahari nahi thi. Voh ek aisi avastha mein pahunch chuka tha, jahaan usse apni inner aur outer energy ke beech santulan banana hoga…

Ansh : "Yeh sab abhi keval shuruaat hai..”

Usne gehri saans lete hue kaha…

"Mujhe har elements ki shakti ko sahi tarike se paane ka tareeka khojna hoga. Lekin sabse pehle, mujhe Angy ki suraksha puri karni hogi…"

Ansh ne kamre se bahar nikalne se pehle apni energy ko santulit kiya. Usne mehsoos kiya ki uske saamne ab ek bada uddeshya tha…

Angy ki suraksha, apni new powers ko samajhna, apne naye parivaar ki raksha aur dusri duniya mein jaakar unke secrets ka pata lagana…

“MERA SAFAR ABHI SHURU HUA HAI AUR MAIN ISE HAR HAAL MEIN POORA KARUNGA…”

Ansh ne khud ko santulit kiya aur do dinon tak woh apne mind ko shaant karta raha aur kuch buniyaadi takneekon aur martial art ki prakrtise ki. Do din baad voh vapas sabhi ke paas chala gaya. Jaane se pehle usne poora kamra phir se saaf kar diya tha…

Ansh ke ghar jaane ke baad usne 3 ya 4 din sabhi ghar walon ke saath bitaye…

Ansh in dinon bahut khush rehne laga tha, par phir bhi apne chehre par woh zada emotion nahi dikha paata tha. Shayad uske bachpan ke kaaran..

Woh khush bhi hota, phir bhi uske chehre par jyada smile ya koi emotion nahi aata tha. Voh hamesha shaant rehta tha…

Phir 3-4 din baad Priya ji, Preetam ji, Ranjit ji aur Karanveer ji sabhi vapas dusre planet par chale gaye. Ab Karanveer ji bahut lambe samay tak yahaan vapas nahi aayenge. Jab ki baaki teeno 2-3 mahino mein vapas aa jayenge…

Ab aise hi aur 1 saal beet gaya. Ab Ansh ka rishta sabhi ghar walon se bahut jyada strong ho gaya tha….

Khaaskar Priya ji se woh har pal Ansh ki chinta karti thi. Is ek saal mein Ansh jyadatar Meera ji ke saath raha tha. Unke saath bhi Ansh ka ek alag bond ban gaya tha. Usne unse business aur insaanon ko pehchannne seekha….

Es dauran Ansh aur Angy ne Akshat, Vineet, Akshita aur Vaanya ke saath hi unke school mein admission le liya tha. Ansh Akshita aur Vaanya ko bhi apni chhoti behen ki tarah hi maanta tha. Ansh abhi bhi jyada tar chup rehta tha, par woh sabhi ki bahut parvaah karta tha.

Ansh school mein kisi se bhi baat nahin karta tha, sirf Angy, Akshita, Akshat, Vineet, Vaanya ko chhod kar. Ansh gussa bahut kam hota tha, par uska gussa bahut bura tha…

Aise samay beet gaye aur 7 saal guzar gaye…

7 YEARS LATER…

Ek shaant lekin anokhi shuruaat. Subeh ka samay tha. Halki thand ke saath suraj ki pehli kiran khidki ke pardon ko paar karti hui kamre mein phail rahi thi…

Ansh bistar par seedha leta hua tha, uske chehre par ek ajeeb si shaanti thi. Woh gehri neend mein tha, jaise uske andar ki saari energy khud ko phir se bhar rahi ho…

Kamre ke andar halka-sa andhera tha. Ansh ke bistar ke paas ek chhoti-si table thi, jis par uski books acche se rakhi hui thi….

Inmein se kuchh books normal schooli ki thi, jabki baki kuch mein woh purani kahaniyan aur martial arts se judi books ka padhta tha…

Achanak, bahar se halki-halki chidiyon ki chahchahaahat sunayi di. Yah aawaaz shaant vataavaran mein mithaas ghol rahi thi. Lekin is sukoon ko todte hue, Angy ne kamre ka darvaaza dhadam se khol diya..

Angy : "Ansh bhai! Kya aap kabhi time par uthoge..?"

Angy ne naaraazgi bhari aawaaz mein kaha. Woh haath mein ek takya laker khadi thi, jaise woh usse uthaane ke liye kisi bhi had tak ja sakti thi…

Ansh ne dheere-dheere aankhein kholi. Uske chehre par halki neend ka asar abhi bhi tha. Lekin uski neeli aankhon mein ek khaas chamak thi..

Ansh : "Main uth raha hoon.."

Ansh ne dheemi aawaaz mein kaha…

Angy : "Uth rahe ho? Yahi aap har din kehte ho! Chalo jaldi karo. Aaj school mein practical class hai, aur aapko hamesha der ho jaati hai.."

Angy ne gusse se kaha…

Ansh ne halke se muskuraate hue kaha..

Ansh : "Theek hai, main aa raha hoon…”

Angy ne thodi der usse dekha aur phir bhauhein chadhaate hue kaao..

Angy : "Main neeche intzaar kar rahi hoon. Jaldi aao!"

Angy ke jaane ke baad, Ansh dheere-dheere uthkar bistar par beth gaya. Usne gehri saans li…

Aur apni gardan ko halka sa ghumaaya, jaise apne shareer ko subeh ke liye taiyaar kar raha ho…

Phir voh apne bistar se uthkar room ki window ke paas gaya. Bahar ka nazara bahut khubsurat tha. Halki dhundh ke beech suraj ki sunhari roshni bagiche ke phoolon par chamak rahi thi…

"Yeh din shayad kuch alag hai, aaj bahut kuch karna hai…"

Usne khud se budbudate hue kaha. Phir voh bathroom ki taraf badha…

Thande paani se chehra dhote samay, usne khud ko mirror mein dekha. Uske chehre par halki si thakaavat thi, lekin uski aankhon mein ek alag hi confidence jhalak raha tha…

Kuch der baad, usne apni almaari se school ki uniform nikaali. White shirt aur blue pant woh uniform Ansh ka silent character ko aur bhi aache se dikha rahi thi…

Neeche dining table par pehle se hi halchal thi. Akshita aur Vaanya ek-dusre ke saath hansi-mazaak mein lagi hui thi.

Vaanya : "Akshita, tum hamesha mera juice khatam kar deti ho!.."


Vaanya ne naaraaz hokar kaha.

Akshita : "To kya hua? Main tumhari badi behen hoon, yeh mera hak hai.."

Akshita ne muskuraate hue jawab diya…

Vineet ne is sabko ansuna karte hue apna sar jhukaakar akhbaar padhne ka naatak kiya. Lekin uski halki muskaan bata rahi thi ki woh bhi es maahaul ka maza le raha tha…

Priya ji rasoi se bahar aayin. Unke haath mein taaze parathe aur achaar ki plate thi…

Priya : "Jaldi karo, sabko school jaana hai. Aur Ansh! Jaldi neeche aao!..”

Unhone rasoi se aawaaz lagayi…

Kuch hi palon mein, Ansh stairs se neeche aata dikhai diya. Woh hamesha ki tarah shaant tha..

Lekin Ansh ki silent personality ne sabka dhyan apni taraf kheench liya..

Ansh : "Good morning.."

Usne dheemi awaaz mein kaha Ansh ki good morning sunkar baki sab usse dekhne lagte hai aur Vineet kehta hai..

Vineet : “Good morning? Tumhare liye morning to tab hoti hai jab hum sab nikalne wale hote hain..”

Vineet ne haste hue kaha…

Ansh ne muskuraaye bina apni plate uthayi aur chupchaap khana shuru kar diya. Priya ji ne pyaar se uski taraf dekha…

Priya : “Ansh, beta, jyada mat socho. Apna khana achche se khatam karo. Tumhein taakat ki zaroorat hai…."

Ansh ne unki baat par sar hilaaya aur kaha…

Ansh : "Theek hai, maa…”

Ansh ke dhyaan na dene par baaki sab phir se apne kaamo mein lage gaye. Akshat, jo sabse bada tha, Vineet aur Vaanya ko lagataar chidha raha tha…

Akshat : "Vineet, tumne kal ke game mein kitni baar haar maani thi? Maine to ginti hi chhod di thi…”

Akshat ne muskuraate hue kaha…

Vineet jhunjhalkar bola..

Vineet : "Kam se kam main apni team ko haar ke liye nahi chhodta, jaise tumne kiya tha!.."

Akshat : "Vo meri strategy thi, chhoti buddhi ke Vineet. Tumhein samajhne mein abhi saalon lageinge..”

Akshat ne mazakiya dhang mai kaha..

Vaanya ne turant mazak mein kudte hue kaha..

Vaanya : "Haan, aur es beech mai to pehle hi tumhein hara chuki thi, Vineet bhaiya."

Vineet : “Tum log hamesha mere peechhe kyun pade rehte ho..?"

Vineet ne gussa hone ka naatak kiya.

Angy ne, jo sabke beech bethi muskura rahi thi, boli..

Angu : "Kyunki aap itne mazedaar ho, Vineet bhaiya.."

Karanveer ji, jo hamesha apne akhbaar mein doobe rehte the, ne akhbaar ko thoda modkar kaha..

Karanveer : "Kya baat hai, aaj nashte khane se jyada baatein ho rahi hain. Kya humein bhi hissa milega, ya tum log khud hi kha loge sab kuch..?"

Sab hanse lage. Vaanya ne ek toast uthakar kaha..

Vaanya : "Aapke liye yahi bacha hai, dada ji…"

Karanveer : “Bahut khub!!!"

Karanveer ji ne haste hue kaha..

Karanveer : "Thik hai dhyaan rakhna, sabse bade dada ji ke hisse mein kabhi kami nahi honi chahiye…”

Meera ji ne Ansh ki plate mein thoda aur nashta daalte hue kaha..

Meera : "Ansh beta, tumne kal jo Ranjit ko business ki nayi strategy samjhai thi, woh sachmuch kaabil-e-taarif tha…”

Ranjit ji ne bhi sahamati mein sar hilaate hue kaha..

Ranjit : “Haan, Ansh, tumhare idea ne cheezein bahut saral banadi hain. Tumhari samajhdaari kaabil-e-taarif hai…”

Ansh ne muskuraate hue jawab diya..

Ansh : "Dhanyavaad, chacha ji. Yah to bas mene aapki baaton ko dhyaan mein rakhkar kiya tha."

Preetam ji, jo poore samay muskura rahe the, ne josh mein kaha..

Preetam : "Dekho bhai, mera beta har maamle mein best hai. Aaj ke test mein bhi saabit ho jaayega. Ansh aur Angy, dono hamaari ummeedon par khare utarenge..”

Priya ji ne thoda serious hokar kaha…

Priya : "Bilkul, lekin bacchon ko dhyaan dena hoga ki aaj ka test sirf unki abilities ka nahi, unke patience aur ekjuttata ka bhi test hai. Tum sab samajh rahe ho na..?"

Akshat ne turant mazak mein kaha..

Akshat : "Chinta mat karo mom, mai to pehle hi pass ho chuka hoon. Vineet ko dekho, jo pehle hi dar ke maare kaamp raha hai…"

Vineet ne gusse mein kaha..

Vineet : "Mai darta nahi hoon, samjhe! Aur aaj main tumse behtar pradarshan karunga."

Vaanya ne khilkhilate hue kaha..

Vaanya : “Vineet bhaiya, tumne to kal kaha tha ki agar tum test mein fail ho gaye, to mere saare homework karo ge..”

Vineet : "Maine aisa kuch nahi kaha!.."

Vineet ne jhapatte hue jawab diya…

Angy ne Vaanya ja sath deta hue kaha..

Angy : " Vineet bhaiya aapne mujhse bhi kaha tha agar aap fail ho gaye to mujhe aap apni saari chocolate denge..."

Sabki hansi chhoot gayi. Karanveer ji ne sabhi ko shaant karte hue kaha..

Karanveer : "Theek hai, ab thoda serious ho jao, yeh test bas ek formality nahi hai, yeh test saabit karega ki tum kitne capable ho aur tumhe aur kitni training ki jarurat hai..”

Meera ji ne muskuraate hue kaha..

Meera : "Sab theek hoga. Mere bachche har haal mein accha karenge. Bas apna dhyaan aur balance banaaye rakhna..."

Ansh ne apna sar hilate hue kaha..

Ansh : "Hum sab milkar isse paas karenge. Main apna best dunga…”

Sabhi ne ek dusre ko encourage kiya es tarah, dining table par hansi-thitholi ke saath ekta aur josh ka mahaul ban gaya…

Nashte ke baad, sabhi bacche school ke liye taiyaar ho gaye. Akshat aur Vineet hamesha ki tarah sabse tej taiyaar the, jabki Angy aur Vaanya ko hamesha jaldi karni padti thi…

Ansh : “Angy, tumhara bag kahan hai..?"

Angy : "Mujhe yaad nahi! Shayad upar reh gaya hoga…”

Ansh : "Tum har baar aisa karti ho.."

Ansh ne halki naaraazgi se kaha aur uske liye bag laane upar chala gaya…

Ansh ne sabko school ke liye taiyaar dekha. Voh jaanta tha ki aaj ka din ek normal din nahi hoga. Uske andar kuch ajeeb si bechaini thi…

Priya : "Chalo, sab taiyaar ho..?"

"Haan, maa - badi maa!..”

Sabne ek saath jawab diya…

Jaise hi woh ghar se bahar nikle, Ansh ne aasmaan ki taraf dekha. Baadal chhant chuke the, aur suraj ki roshni poore aakaash mein faili hui thi.

"Aaj ka din shayad kuch naya laaye..”

Usne man hi man socha…

Aur phir sabhi school ke raaste par chal pade. Preetam ji aaj sabhi ko school le ja rahe the, kyunki aaj unka test tha aur woh kab tak unke saath hi rehne wale the…

School ka Main Door..

School ka mahaul hamesha ki tarah grand and disciplined tha…

Jaise hi Preetam ji aur bacche school pahunche Main dior par unhe ek ladka aur ek ladki unka intzaar kar te hue dikhai diye…

Ladka : “Arre bhai! Aakhirkaar tum log aa hi gaye mujhe laga tum log aaj nahi aao ge.."

Us ladke ne duur se chillate hue kaha aur Ansh ki taraf bhaaga…

Woh ladka Vyom tha Ansh ke school mein bana best friend..

Jab Ansh school mai naya naya aaya tha, tab koi bhi usse baat nahi karta tha, kyunki Ansh har kisi ko apne gusse se duur bhagaa deta tha…

Par Vyom alag tha, voh Ansh ke peeche hi pad gaya tha dostii karne ke liye…

Vyom aur woh ladki uska naam Radha hai Vyom ki chhoti behen..

Es duniya ke 5th sabse takatvar family Gupta family se aate hain. Gupta family aur Suryavanshi family bahut achhe dost maane ja sakte hain..

(Vaise bata du ye 1 se 10 ki families ki ranking bas ek dhoka hai, kyunki koi nahi jaanta ki kaunsi family kaunsi taakat apne andar chhupaye hue bethi hai..)

Chalo ab school chalte hain. Vyom hamesha se chanchal aur baatuni tha, jo har condition ko halka banane ki koshish karta tha…

Usne Ansh ke kandhe par haath rakhte hue kaha..

Vyom : “To, kya hamare mask wale gambheer yoddha aaj taiyaar hai…?”

Ansh school mai mask lagaye rehta tha aur koi bhi teacher Ansh ko rok nahi sakta tha arre bhai Suryavanshi family ka beta hai..

(Bata du abhi Ansh 16 saal ka hua nai hai isliye uska fire element fruit abhi tak puri tarah se paka nahi hai..)

Ansh ne uski baat par koi jawab nahi diya. Woh apni jagah par khada raha, uska chehra kaale mask se dhaka hua tha, aur uski neeli aankhon mai seriousness saaf jhalak rahi thi…

Vyom : "Oh ho, Ansh bhai, thodi muskaan to dikha do. Ye test hai koi duniya ka ant nahi hai…"

Vyom ne chutki li..

Ansh ne seedha jawab diya..

Ansh : “Yeh sirf ek test nahi hai. Yah decide karega ki hum iske liye taiyaar hain ya nahi. Isliye faltu baaton ka samay nahi hai..”

Angy ne muskura kar Vyom se kaha…

Angy : "Aap to hamesha se aise hi ho, har baat ko mazak mein lete rehte ho kabhi to serious ho jao..."

Vyom : "Aree, zindagi ka aanand lena bhi to zaroori hai, Angy. Vaise, tum sabse jyada taiyaar dikh rahi ho….

Radha dekho, hum sabke beech sabse confident yahi lag rahi hai..”

Vyom ne mazak karte hue kaha…

Radha, jo Vyom ki chhoti behen thi, aur Vaanya ke saath thi, hanste hue boli..

Radha : "Main to abhi test ke liye bahut chhoti hun, lekin tum sabko dekh kar lagta hai ki mai bhi jald hi ismein shamil ho jaungi..."

Ussi samay, Akshat aur Vineet bhi paas aa gaye. Akshat hamesha ki tarah sabse shaant aur confident dikh raha tha. Usne Vyom ki taraf dekhate hue mazak mein kaha…

Akshat : "Vyom, tumhare mazak test se pehle hi khatam ho jaane chahiye. Vaise bhi, tum jaante ho ki sabse behtar kaun hai…"

Vineet ne jhat se kaha..

Vineet : "Akshat bhaiya, aapki strategy kaam nahi aayegi. Aaj ka din mera hai..."

Vyom ne dono ko dekhte hue kaha…

Vyom : “Tum dono bhai hamesha ek-dusre se mukabla karne mein lage rehte ho. Mazaa to tab aayega, jab main tum dono ko peeche chhod dunga..."

Akshat ne muskuraate hue jawab diya…

Akshat : "Tumhare sapne kabhi khatm nahin hote Vyom, lekin hakikat kuch aur hoti hai..."

Vineet ne bhi haste hue kaha..

Vineet : "Haan, aur woh hakikat yeh hai ki tumhare paas hamaare jesa confidence nahi hai..”

Vo sab hasne lage aur Vyom ka chehra ban gaya. Tabhi vahaan kuch teachers aa gaye. Sab ne vahaan khade Preetam ji ko greet kiya, jo bacchon ki nok-jhok dekh man hi man hass rahe the…

Sabhi teachers ne sabhi ko apne peeche aane ko kaha..

Preetam : "Vaanya, Radha, tumhari class dusri building mein hai. Vahaan jao aur dhyaan se padhai karo. Tumhein abhi in test ki chinta karne ki zaroorat nahin hai.."


Preetam ji ne un dono ko samjhate hue kaha..

Vaanya : "Ji, bade papa..”

Vaanya ne kaha aur Angy ko gale lagaakar Radha ke saath nikal gayi. Radha ne jaate-jaate kaha…

Radha : “Sabhi ko all the best! Khaaskar Vyom bhaiya, kyunki aapko iski sabse jyadi zaroorat hai!..”

Vyom ne haste hue jawab diya..

Vyom : "Bahut mazakiya ho, Radha. Dekhna, main sabse aage rahunga…”

Tabhi Angy boli..

Angy : "Akshita di aapko bhi good luck..."

Tabhi sab ne Akshita ko dekha jo vahi chup-chhap khadi thi. Voh thodi gabrayi hui thi. Yeh dekhkar Ansh bola…

Ansh : "Akshita darne ki koi zaroorat nahi hai. Yeh waisa hi hai jaise hum apne ghar mai test dete hain. Bas ismein farq itna hi hai ki yeh og sabhi machines ki gravity badha denge…

Iisliye chinta mat karo. Tum jaise ghar mein test deti thi, waise hi yahan dena…”

Ye sun kar Akshita ko confidence aaya aur usne kaha..

Akshita : “Ji bhai.. “

Jaise hi Vaanya aur Radha vahan se chale gaye, sabhi bacchon ko ek bade hall ki taraf le jaya gaya. Akshat, Vineet, Ansn, Akshita aur Vyom ne line mein khade hokar apne naam register karvaye…

Akshat ne dheere se kaha..

Akshat : "Aaj ka din bada khaas hai..”

Vineet : "Bilkul, aur mazedaar bhi..”

Vineet ne Akshat ki baat ki aage badhate hue kaha..

Ansh : "Ya phir challenging.."

Ansh ne kaha…

Vyom : “Ya phir aasan, agar aap mere jaise ho..”

Vyom ne muskuraate hue kaha…

Test ke 1st stage ki announcement hote hi sabhi bacche gambheer mudra mein aa gaye aur Ansh ne gehri saans lekar khud ko taiyaar kiya…

Ansh aur baaki sab ne jaise hi vishal hall mein kadam rakha, unke charon aur ki bhavyata ne unhein ek pal ke liye rok diya…

Yeh hall kisi modern world ka hissa lagta tha. Walls par chamchamati lighting aur saikdon tarah ki machines lagi hui thi. Har machine ka aakar, banavat, aur uski energy kisi mysterious takneek ka aabhas deti thi…

Vahaan badi-badk screen lage the, jin par alag alag test ki information flash ho rahi thi yeh dekhkar Vyom bola..

Vyom : "Yaar, mujhe nahi pata tha hamaare school mein aisa kuch bhi tha…”

Ye sun kar Ansh aur baaki kisi ne bhi koi jawab nahi diya. Vo sab bhi apne aas-paas ke nazaare ko dekh rahe the…

Hall mein lagbhag 50 se zada bacche aur khade the…

Sabhi apne-apne groups mein baat kar rahe the, lekin unke chehron par excitement aur thodi ghabraahat saaf jhalak rahi thi…

Har corner mein, army uniform pahne kuch log khade the. Ve alag-alag planets ki army ko lead karte the. Unki uniform army officer se alag thi. Unhone ek white uniform pehni thi, par unke upar bahut acche se army ka design acche se banaya gya tha..

Ansh ne un soldiers ki taraf dekha, jo shaant khade the. Unki presence kisi badi jimmedari ka sanket de rahi thi. Unki aankhon mein ek kathorata thi..

Vineet ne fusfusate hue pucha…

Vineet : "Yeh log yahaan kyu hai..?”

Ansh ne serious awaaz mai kaha.

Ansh : “Shayad yeh dekhne ke liye ki kaun sabse behtar hai. Ye keval darshak nahi hain, ve humein parakh rahe hai.."


Sabhi bachche ye sab dekh aapas mein kaana-phoosii karne lage, jisse vahaan shor badh gaya…

Jaise hi bachchon ka shor badhne laga, ek gehri aur kadak aawaaz ne poore hall ko shaant kar diya…

"Sabhi chup ho jaayein..."

Sabhi bachche turant shaant ho gaye aur unki nazarain hall ke ek kone ki aur mud gayin. Vahaan se ek prabhavshaali vyaktitva wale insaan ne pravesh kiya. Unki uniform saadharan nahi thi..

Yeh ek chamchamati black aur silver color ki uniform thi, jiske kandhon par golden eagle chamak rahe the…

Unki chhati par ek pratik tha, jo "PLANETS UNION” (Planetary Alliance) ka chihhn tha. Unki aawaaz mein ek kathorata aur confident jhalak raha tha… ..

Officer : "Mera naam Captain Aryaan hai, aur mai es test ka chief inspector hun. Aap sabhi yahaan keval apna kaushal dikhane ke liye nahi, balki yeh siddh karne ke liye aaye hain ki aap mai se kau asaadharan hai….

Yeh sirf ek test nahi hai, yeh aapki shakti, maansik dridhata aur bhavishya ki pehchaan ka nirdharan karega…”

Captain Manav ne apni teji nazarain charon aur doudaayin. Har bachcha unki baat sunkar thoda aur satark ho gaya..

Manav : "Yeh hall ek normal jagah nahi hai. Yeh jagah us takneek se lais hai jo aapke har ek ability ki jaanch karegi..

Aapki taakat, aapki speed, aapki mental power aur aapki endurance. Aur yaad rakhein, yeh test sirf aapke pradarshan par aadharit nahi hoga, balki yeh aapke andar ki sacchai ko bhi ujaagar karegi…"

Unhone ek bada digital tablet nikaala, jisse unhone hawa mein activate kiya. Screen par sabhi bachchon ke naam aur unk potential test dikhayi diye…

Manav : "Yahaan har baccha apne number ke anusaar bulaaya jayega. Aap sabko apni poori taakat aur kaushal ka pradarshan karna hai. Jo bhi ismein asafal hoga, usse phir se es prakriya mein bhag lene ke liye kam se kam teen saal ka intzaar karna padega…”

Bachchon mein khushur-phusur shuru ho gayi. Captain Manav ne haath uthaakar kaha…

Manav : "Chinta mat karein. Main yahaan aapke madadgar ke roop mein hun, lekin indiscipline bardaasht nahil kiya jayega. Har ek baccha apni baari aane tak shaant rahega…”


Continue~~
[6.9k+ words ka update tha and family conversation en sab mai thoda time le liya..

test ka mene shuru mai nahi socha tha yeh abhi decide hua hai normal logo ki wajah se jo kisi bhi badi family se belong nahi karte unhe select karne ke liye yeh test hai lekin baki family ke bacchon ko bhi yeh test dena padta hai taaki baaki logo ko unki taakat ka andaaza lag jaye aur yeh bhi ki unki new generation kesi hai..

Next update ke baad KYRIOS ka shuru kar dunga like aur comments kar lena.. ]
  UPDATE-08
Adhiraj ji Ansh ko business sikha rahe hai vo bhi Meera ji se:think:....aage chal ye uske liye bahut kaam aayega sayad vo apna khud ka bhi start kar sake:approve:....isse usko pase ke liye kisi par bhi depend nahi rahana padega muskil samay me.:declare:

Ansh Suryavanshi family se abb pura ghul-mil gaya hai aur sab use Parivar ka hissa hi maante hai😇....Ye dekh ke achcha laga yaha tak ki jo bachche hai unhe bhi Ansh ko bhai man liya hai:grouphug:....Naki uske khud ke family[Rajvansh] ke bachchoo ki Tarah jaha uski khud ki sagi bahen ne use baat bhi nahi kati thi.😔😞

Ansh ne Angy ko kisi ko bhi locket ke bare me batane se mana kia hai....par ab to locket uske paas khud bhi nahi:declare: matlab jo locket ke bich me jo crystal tha vo to ab uske brain me hai:approve:....Ab to kisi ko vaise hi nahi pata chalna hai.🧐

Ansh,Akshat aur Vineet ki pillow fight nok-jhok mast tha.😂:eyes2::eyes2:

To Ansh ne first ne first stage clear kar liya ab uski body normal hai aur bachcho ki Tarah....Dekhte hoga ki Ansh 7 saal bad kitna powerful[level??] hua ha.🧐

Ansh jis school me padh raha hai kya usi me [Aditya,Aarush,Vishakha.....] bhi padhte hai jis vajah se usne mask laga rajha tha??🤔

Vese bhai Captain Aryaan aur Captain Manav alag log the ya fir same??:think:🤔

Ansh SCHOOL PHYSICAL Test me kya dhamal 💀machaye ga🧐 ye to agle update me hi pata chale ga:eyes2:....
Vese uske baad 2-3 saal ka aur story forward karo ge ya fir abhi jaha hai vahi se chalegi.

Agla 🆙DATE WEDNESDAY ko de dena taaki Saturday se KYROS journey with action suru ho sake.😬

Eagerly waiting for next update:approve:.....:eyes2:

Thanks for amazing story....:flybye:✨
 
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
128
254
64
  UPDATE-08
Adhiraj ji Ansh ko business sikha rahe hai vo bhi Meera ji se:think:....
Woh har bacche ke hisab se dekhte hai jese vaanya ko research karna psnd hai to unhone usse bachpan se ussi field se joda rakha hai..

Meera ji ko powers badhana zada psnd nahi hai unhe business mai zada interest hai aur adhiraj ji chahte hai ansh har ek chij mai perfect bane isliye 8 saal ki age mai unhone business, martial arts es sabka khaas dhyan rakha tha..

Ansh ka dimag bachpan se bahut tez tha isliye usse business mai involve kara hai agar rajvansh family bhi ansh ko uske power level se judge na karke brain se judge karte to woh unka business mai bhi sath deta...

Adhiraj ji yeh nahi dekhte ki bas power se sab kuch hai alag alag field se bhi power haasil kari ja sakti hai..

And es update mai mene mention bhi kara tha koi yeh nahi janta ki en 10 family mai se sabse zada powerful kon hai..
aage chal ye uske liye bahut kaam aayega sayad vo apna khud ka bhi start kar sake:approve:....
Han mene yeh soch kar yeh rakha tha aage dekhte hai Ansh kis field mai karta hai aur Suryavanshi family ka business to woh thoda bahut sambhal hi raha hai..
isse usko pase ke liye kisi par bhi depend nahi rahana padega muskil samay me.:declare:
Woh chahe to devil souls, alien ke gean point ya unka soul crystal bechkar bhi paise kama sakta hai...
Ansh Suryavanshi family se abb pura ghul-mil gaya hai aur sab use Parivar ka hissa hi maante hai😇....
Angy ki power se usse iska pata chal gya tha..
Ye dekh ke achcha laga yaha tak ki jo bachche hai unhe bhi Ansh ko bhai man liya hai:grouphug:....
Bhai se zada woh dost hai..
Naki uske khud ke family[Rajvansh] ke bachchoo ki Tarah jaha uski khud ki sagi bahen ne use baat bhi nahi kati thi.😔😞
Waha ke baccho ko bachpan se ansh se duur rakha gya tha isliye un sabne bade hokar ansh ko apne pass nahi aane diya agar bachpan mai Rakesh unhone ansh se duur nahi rakhta to woh bhi ansh ke sath acche se rehte..
Ansh ne Angy ko kisi ko bhi locket ke bare me batane se mana kia hai....par ab to locket uske paas khud bhi nahi:declare: matlab jo locket ke bich me jo crystal tha vo to ab uske brain me hai:approve:....Ab to kisi ko vaise hi nahi pata chalna hai.🧐
Han lekin koi risk nahi le sakte..
Ansh,Akshat aur Vineet ki pillow fight nok-jhok mast tha.😂:eyes2::eyes2:
Woh to maza maza mai likh liya tha
To Ansh ne first ne first stage clear kar liya ab uski body normal hai aur bachcho ki Tarah....
Uski body baaki baccho se thodi powerful hai and ansh ki es duniya ko level up kara ja sakta hai fire fruit khane ke baad ansh ko pata chalega ki es duniya ko level up kese karenge..
Dekhte hoga ki Ansh 7 saal bad kitna powerful[level??] hua ha.🧐
Un machines ki gravity zada hai to ansh ka jo level hoga woh uske real level se thoda kam hoga kyuki en machines ko kyrios ki gravity ke hisaab se set kara gya hai..
Ansh jis school me padh raha hai kya usi me [Aditya,Aarush,Vishakha.....] bhi padhte hai jis vajah se usne mask laga rajha tha??🤔
Ansh abhi delhi mai hai aur rajvansh family mumbai mai rehti hai..

Dono school alag hai..

Aur usne isliye mask lagaya hai kyuki rajvansh family ne uska gayab hone par jo notice jaari kara tha koi usse pehchan na jaaye..
Vese bhai Captain Aryaan aur Captain Manav alag log the ya fir same??:think:🤔
Bhai mene shuru mai naam Aryaan rakha tha fir monika ke bhai aryan ka naam yaad aa gya dono mai confusion na ho jaaye isliye Manav kar diya shyd kuch jagah sahi karna reh gya tha...

Done brother aage se lagta hai apne update ko 2 ya 3 baar se zada padhna padega 😭
Ansh SCHOOL PHYSICAL Test me kya dhamal 💀machaye ga🧐 ye to agle update me hi pata chale ga:eyes2:....
Agle update ke baad new level and challenges shuru ho jayenge and may he mai AI pics use karu taaki imagination mai thodi aur aasani ho..

And alians ki AI ka bhi try karunga..
Vese uske baad 2-3 saal ka aur story forward karo ge ya fir abhi jaha hai vahi se chalegi.
Abhi yeh decide nahi kara...

Abhi to school test ka pura likha hai and 16 ke hone pe ansh ka fire element unlock hoga and aur elements ko unlock karne ke liye usse apne world ka level badhana hoga..

Har level pe ek naya elements nahi milega..
Agla 🆙DATE WEDNESDAY ko de dena taaki Saturday se KYROS journey with action suru ho sake.😬
Wednesday ko next update dunga and sunday ko next kyrios wale mai thoda time lagega..
Eagerly waiting for next update:approve:.....:eyes2:
Next update likhna aaj se shuru kar diya hai ab isse acche se end karna hai..
Thanks for amazing story....:flybye:✨
Thanks for read my story..

And abhi tak 4 planets samne aa gaye hai..

Kyrios
Arora
Nova
Divine valley..
 
Last edited:
  • Love
Reactions: A users

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
Woh har bacche ke hisab se dekhte hai jese vaanya ko research karna psnd hai to unhone usse bachpan se ussi field se joda rakha hai..

Meera ji ko powers badhana zada psnd nahi hai unhe business mai zada interest hai aur adhiraj ji chahte hai ansh har ek chij mai perfect bane isliye 8 saal ki age mai unhone business, martial arts es sabka khaas dhyan rakha tha..
OK👌
Ansh ka dimag bachpan se bahut tez tha isliye usse business mai involve kara hai agar rajvansh family bhi ansh ko uske power level se judge na karke brain se judge karte to woh unka business mai bhi sath deta...
Vo to hai hi....Aaage chal kar vese bhi unlogo ko pachtava ke alava aur kuch nahi rah jaayega jab Ansh dimak ke saath-saath unlogo se adhik powerful ban ke dikhaye ga.....Khash kar Rakesh aur Sunena ko.
And es update mai mene mention bhi kara tha koi yeh nahi janta ki en 10 family mai se sabse zada powerful kon hai..
Yeah.

Waha ke baccho ko bachpan se ansh se duur rakha gya tha isliye un sabne bade hokar ansh ko apne pass nahi aane diya agar bachpan mai Rakesh unhone ansh se duur nahi rakhta to woh bhi ansh ke sath acche se rehte..
Tab to baad me jab vo log(bacche) samajhdaar honge tab unhe jarur samajh aa jana chahiye ki unhonne bevajaha hi usse baat nahi ki.
ansh ki es duniya ko level up kara ja sakta hai fire fruit khane ke baad ansh ko pata chalega ki es duniya ko level up kese karenge..
aur elements ko unlock karne ke liye usse apne world ka level badhana hoga..
Bhai ek alag se spoiler de do 1ST page par.....level up kaise kaise hota thoda kam samajh me aa raha hai.
Ansh abhi delhi mai hai aur rajvansh family mumbai mai rehti hai..
rajvansh family mumbai mai rehti hai......Sayad ye update me nahi bataya tha...mujhe yaad nahi aa raha hai. 🤔
Aur usne isliye mask lagaya hai kyuki rajvansh family ne uska gayab hone par jo notice jaari kara tha koi usse pehchan na jaaye..
Accha ab samajha mujhe laga tha sayad vo log khush ho gaye honge Ansh ke ghar se jaane ke baad , unhe vese bhi koi matalab bhi nahi hona chahiye .
Bhai mene shuru mai naam Aryaan rakha tha fir monika ke bhai ka naam yaad aa gya dono mai confusion na ho jaaye isliye Manav kar diya shyd kuch jagah sahi karna reh gya tha...
Haa 😅Pehli baar naam aryan hi likha hai baad me manav.
Done brother aage se lagta hai apne update ko 2 ya 3 baar se zada padhna padega 😭
Aaaram se padhoge to galti jarur mil jayegi...nahi to lagta hai sab sahi likha hai.
Agle update ke baad new level and challenges shuru ho jayenge and may he mai AI pics use karu taaki imagination mai thodi aur aasani ho..
Intajaar rahega😄😄........
And alians ki AI ka bhi try karunga..
Good 👍👍✌️
 
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
128
254
64
Vo to hai hi....Aaage chal kar vese bhi unlogo ko pachtava ke alava aur kuch nahi rah jaayega jab Ansh dimak ke saath-saath unlogo se adhik powerful ban ke dikhaye ga.....Khash kar Rakesh aur Sunena ko.
Sunena ne apne pyar ke liye apne bacche ko chhod diya tha..
Bhai ek alag se spoiler de do 1ST page par.....level up kaise kaise hota thoda kam samajh me aa raha hai.
Han mujhe spoiler banana nahi aata 😅..

Isliye character wala bhi ajeeb se bana hua hai mene fir bhi 1st ko uske liye hi bachaya hua hai spoiler wala banana sikh jau to waha mention kar dunga..

Aur abhi world ka level up kese karna hai woh nahi bataya gya next update mai woh pata chal jayega and na hi kyrios ke level ke baare mai bataya gya hai..
rajvansh family mumbai mai rehti hai......Sayad ye update me nahi bataya tha...mujhe yaad nahi aa raha hai. 🤔
Han next update mai mention kara hai es baar ko😅...
Accha ab samajha mujhe laga tha sayad vo log khush ho gaye honge Ansh ke ghar se jaane ke baad , unhe vese bhi koi matalab bhi nahi hona chahiye .
Han bas Ansh ki dadi ko ansh ke hone ya na hone se farak padta hai aur kisi ko bhi nahi...
Haa 😅Pehli baar naam aryan hi likha hai baad me manav.
Mene aryaan naam socha tha captain ka lekin update pura karne ke baad yaad aaya ki monika ka bhai ka naam aryan hai isliye yaha jo jo aryaan dikhe unhe manav kar diya ek miss reh gya tha baad mai usse sahi kar diya..
Aaaram se padhoge to galti jarur mil jayegi...nahi to lagta hai sab sahi likha hai.
Aage se pehele update ka ek overview likhunga and fir uske andar chijen add karta jaunga..
Intajaar rahega😄😄........

Good 👍👍✌️
Next update abhi bas 20 se 25% complete hua hai isme bahut si chijen hai jo show karni hai...

And bahut si information hai isliye update ko aaram se karna pad raha hai..

wese tumhe pata hai spoiler kese create karte hai 😅
 
Last edited:

Avir

Well-Known Member
2,104
4,781
158
UPDATE-08
SCHOOL PHYSICAL TEST...

Ab tak..

Ansh “Bade dada ji, mai kisi ko apne niche dabana nahi chahta, mai bas taqatwar banna chahta hoon jisse main apnon ki raksha kar saku aur koi bhi mujhe dhamka na sake…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par ek smile aa gayi…

Adhiraj : "Theek hai, ab hum bahut time tak nahi milenge asha karta hoon tum apna khayal rakhoge….”


Ab aage:

Adhiraj ji aur Ansh ek kamre mein baat kar rahe the Adhiraj ji bole…

Adhiraj : “Ansh, ab mujhe nahi pata aage kya hone wala hai, par main chahta hoon tum apne parivaar ki raksha karo. Aur mere parivaar se matlab hai tumara naya parivaar. Bolo, karoge na…?"

Ansh : “Haan, main vaada karta hoon. Main hamesha sabhi ki raksha karunga. Aap chinta mat kijiye…."

Yeh sunkar Adhiraj ji ne kuch nahi kaha aur uth kar ek badi si window ke paas chale gaye. Adhiraj ji ne bina peeche mude kaha…

Adhiraj : "Aaj raat mein Nova Planet ja raha hoon. Aur shayad bahut jald Priya, Preetam aur Ranjit bhi wahan aayenge….

Yahan sirf tumhare saath Meera rukegi. Meera business mein bahut acchi hai. Usse powerful banne se zada psnd business badhana hai. Aur tumhe pata hai voh ek aur cheez mein bahut acchi hai…

Vese mai tumse puchhta hoon, agar tum business kar rahe ho to sabse zaroori cheez kya hai…?"

Adhiraj ji itna bol palte aur aur woh gaur se Ansh ko dekhne lage….

Ansh ne kuch der socha aur kaha…

Ansh : "Investment ya shayad marketing…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ne halki smile di aur kaha..

Adhiraj : "Haan, ye dono cheezein kisi bhi business ke liye bahut zaroori hain, par en cheezon ko paise se khareeda ja sakta hai Ansh, par ek cheez hai tumhara mindset..”

Kuch der rukkar Adhiraj ji aage bole..

Adhiraj : “Meera ko dekh kar kya lagta hai Ansh..?"

Ansh ne jawab diya..

Ansh : "Maine jaha tak unhein jaana hai, voh seedha bolne wali aur imandaar hai. Unka bartav bhi bahut soft hai…."

Yeh sunkar Adhiraj ji ne ek mysterious smile di aur kaha…

Adhiraj : "Log yahi maat kha jaate hain Ansh. Meera sirf apne parivaar ke liye acchi hai, varna voh hi hai jo hamare khandan ka poora business sambhal ti hai…

Ab tumhi socho, itna bada business sambhalne wali ek aurat itni aasan kaise ho sakti hai..?

Darasal, Meera jaisi dikh ti hai, vaisi nahi hai. Tum keh sakte ho uske 2 chehre hain - ek voh jo ghar par hoti hai tab aur doosra jab voh ghar se bahar nikalti hai, tab….

Meera ek bahut tez dimaag wali aurat hai. Ansh, uske paas takat bhale na ho, par voh kisi ke bhi mind se khel sakti hai. Voh shaant rehne wale insaan ko bhi gussa dilaa sakti hai. Voh kisi ke bhi expression dekh kar unka mind read kar sakti hai…

Yeh kabhi kabhi hi kaam nahi karta jab kisi ko apne expression aur mind par poora kaboo ho. Meera ka bolne ka tarika aur uski chalaaki ke baare mein main keh sakta hoon ki es poore ghar mein usey takkar koi nahin de sakta….

Voh bhale hi abhi bhi shuruaati Celestial hai, par uske insaan ko parakhne ki kala mein koi takkar nahi de sakta. Aur business mein yahi sabse zyada zaroori hai ki aap samne wale ke baare mein jaane aur uski kamzori khoje...

Main chahta hoon tum apni practice se jab bhi tumhein time mile, tum uske saath raho. Maine usse pehle hi baat kar li hai, voh tumhein yeh sab sikhayegi…”

Yeh sunkar Ansh ke chehre par khushi saaf dikhai de rahi thi….

Adhiraj : "Vese Ansh, main tumhein bata du, Meera ke alawa es ghar mein chalak Vanya bhi hai, usmein bilkul apni maa ke jaise lakshan hai, par ab es ghar mein ek aur hai jo utna hi tez dimaag rakhta hai. Bas usse kuch cheezein sikhane ki zaroorat hai…

Ab yeh tum par hai ki tum seekhna chahte ho ki nahi par tumhare haan ya naa bolne se pehle jaan lo, Meera bahut hi strict teacher hogi. Ab faisla tumhara hai…”

Ansh ne ek bhi waqt gavaye nahi aur kaha..

Ansh : "Mai taiyaar hoon, bade dada ji. Main zaroor seekhoonga, bhale hi yeh kitna bhi mushkil kyu na ho. Main zaroor seekhoonga aur aapko aur apni family ko kabhi bhi nirash nahi karunga..."

Adhiraj : “Thik hai, ab jao…*

Par tabhi Ansh bola…

Ansh : “Nahi, dada ji. Darasal, mujhe 1 hafte tak yahi rehna hai. Mai aaj raat ghar jaunga aur kal subeh yahan aaunga. Mujhe ab apni practice par dhyan dena hai aur main chahta hoon ki koi bhi mujhe pareshan na kare…”

Yeh sunkar Adhiraj ji ne sar hilaaya, fir unhone Ansh ko jaane ko kaha aur Karanveer ji ko unke paas bhejne ko kaha. Ansh ne vesa hi kiya aur voh kamre se bahar chala gaya aur Karanveer ji ko andar bhej diya…

Karanveer ji kuch der baad bahar nikle aur Ansh ke paas chale gaye….

Karanveer : "Chalo, Ansh, chalte hai.."

Fir Ansh aur Karanveer ji dono vahan se chale gaye…

Kuch der baad…

Ansh aur Angy ek kamre mein the Ansh bola…

Ansh : “Dekho Angy, main ab apni practice par dhyan dunga, par mai chahta hoon tum meri kuch baaton ka dhyan rakho…

Pehle, agar koi tumse dhamake ke baare mein puchhe, to kisi ko mat batana…

Doosra, tum kabhi bhi apni asli taakat kisi ko mat dikhaana. Last time tumne level 7 ki taakat dikhai thi, ab hamesha apni taakat par kaboo karna aur level 7 ki hi power dikhaana….

Teesra, tumhe kabhi bhi is locket ke baare mein kisi ko nahin batana hai. Kisi ka matlab kisi ka bhi hota hai…."

Angy ne haan kaha aur Ansh ke gal par haath rakha….

Angy : "Bhai, aapko apna khayal rakhna chahiye…”

Ansh ne apne jeb se ek blade nikali, to Angy ne kaha..

Angy : "Par bhai, isse aapko dard hoga…."

Ansh ne Angy ke sar par haath rakha aur kaha…

Ansh : "Koi baat nahi, yeh to bass chhota sa ghav hai. Agar kisi ko tumhari asliyat pata chal gayi to voh log tumhe mujh se duur kar denge. Voh jyada dard dega, usse yeh dard behtar hai…”

Itna bol, Ansh ne apne haath mein ek chhota sa cut kiya, jismein se khoon aane laga. Ansh ne apna haath aage kiya, to Angy ne dheere se us khoon ko apne mun mein girne diya aur har ek ghut ko voh pine lagi. Kuch der baad, Ansh ka khoon aana bandh ho gaya…

Fir Ansh ne ek aur blade nikala…

Ansh : "Dekho, Angy tumhe bilkul bhi dard nahi hoga. Shaant rehna..."

Itna bol, Ansh ne Angy ki chhoti ungli par ek chhota sa cut kiya. Usmein se laal khoon aane laga, jise dekh Ansh ne kaha..

Ansh : "Dekho Angy, ho gaya tumhara khoon vapas laal ho gaya hai…”

(Ansh ko har 3 saal mai ek baar Angy ka khoon laal karna hoga kyuki Angy ke khoon ka color green hai lekin abhi 3 saal nahi hue hai lekin Ansh ne fir bhi Angy ka khoon laal kar diya hai kyuki 1 saal ho gya tha aur Ansh isme koi risk nahi lena chahta tha..)

Ansh ne ek baar check karna theek samjha, kahi koi galti na ho jaaye, tabhi Ansh bola..

Ansh : "Angy, chahe kuch bhi ho jaaye, koi tumhare saath kitna bhi accha kyu na ho, tumhein kabhi bhi kisi ko tumhare baare mein kuch nahi batana hai…”

Angy : "Thik hai, samajh gayi bhai, hehe..”

Aur aap jyada pareshan ho rahe hain bhai,, mujhe aapko ek baat batani hai. Mujhe nahi pata kaise, par main jaha bhi jaati hoon, vahan par main kisi ke bhi emotion ko measure kar paati hoon. Mujhe nahi pata yeh kaise hota hai, par jab main kisi ke saath baat karti hoon, to mujhe andar se hi voh feeling measure hoti hai jo samne wala karta hai…

Aur maine yaha measure kiya hai bhai, yaha sab log bahut acche hain. Yaha sabhi hamaare yaha aane se khush hain…"

Ansh ne Angy ki baat dhyan se suni aur uske maathe par halki chinta ki lakiren ubhar aayin. Usne gehri saans lete hue kaha…

Ansh : “Angy, tumhare andar jo powers hai, voh normal nahi hai. Main jaanta hoon ki tumhein kai sawaal honge, lekin abhi mai tumhein itna hi keh sakta hoon ki yeh tumhara gift hai, aur issey sambhal kar rakhna bahut zaroori hai. Kisi ko bhi iske baare mein pata nahi chalna chahiye…”

Angu ne apna sar jhukaate hue kaha…

Angy : "Lekin bhai, main samajh nahi pa rahi ki yeh sab mere saath kyu ho raha hai. Mai ne kabhi kisi ko nuksaan nahin pahunchaaya. Phir bhi, mujhe aisa kyon lagta hai ki jaise yeh taakat mere liye koi bojh ban gayi hai..?"

Ansh ne muskuraane ki koshish ki aur Angy ke sar par haath rakhte hue bola..

Ansh : “Ansh, tumne kuch galat nahi kiya. Yeh taakat tumhare saath isliye hai kyuki tumhara ek maksad hai. Lekin voh maksad kya hai, yeh humein waqt ke saath samajh aayega, aur apni maa ko yaad karo unhone jaane se pehle kaha tha tumhi unki aakhri ummeed ho…”

Fir Ansh chup ho gaya, kuch der khamoshi chhayi rahi. Fir Ansh ne ek gehri saans leti hue kaha..

Ansh : "Ab tumhein vapas jaana hoga. Main ne jo kaha, usse yaad rakhna. Kisi ko bhi tumhari taakat ke baare mein pata nahi chalna chahiye…”

Angy : "Thik hai, bhai. Main aapki baat maanungi…”

Ansh ne ek pal ke liye uski aankhon mein dekha, fir darwaaze ki taraf ishaara kiya…

Ansh : "Thik hai, ab tum jao, aur dhyan rakhna apna. Main kuch waqt ke liye training karunga, is dauran main akela rehna chahta hoon…”

Angy ne dheere-dheere kadam badhaaye aur bahar nikal gayi. Jaate-jaate usne palat kar Ansh ki taraf dekha, lekin Ansh ne usse jaane ka ishaara kiya…

Angy ke jaane ke baad, Ansh ne gehri saans li aur khidki se bahar jhankte hue khud se badbadaya….

Ansh : "Yeh sab kitna uljha hua hai. Chalo chhodo, chahe kuch bhi ho jaaye, mujhe apni taakat badhaani hai.."

Angy ke jaane ke baad, Ansh ne ek gehri saans li. Wohh jaanta tha ki yeh samay usse apni limits ko paar kar khud ko aur majboot banana ka tha…

Ansh abhi apni soch mein hi tha ki tabhi uske kamre ka darwaaza dheere se khula aur 2 parchhayiyaan uske kamre mai daakhil hui…

Ansh jo sone ki taiyaari hi kar raha tha, voh kuch awaaz sun satark ho gaya, par voh kuch bhi kar pata usse pehle hi voh do parchhayiyaan uske upar kood gayi, jisse Ansh ki muh se ek dard bhari karaah nikal gayi…

Kyunki voh do log Ansh ke upar eedhe kude the..

Ansn abhi dard mein hi tha ki tabhi usse kisi ke hasne ki aawaaz aayi. Usne apne sad upar karke dekha to voh do log aur koi nahi, Akshat aur Vineet the…

Ansh ne apne upar se Akshat aur Vineet ko side mein dhakelte hue gehri saans li aur jhunjhlaate hue bola…

Ansh : "Tum dono ke dimaag mein aakhir chalta kya hai? Yeh konsa tarika hai kisi ke kamre mein aane ka aur us par hi koodne ka..?"

Ansh un dono ko jab mila tab se lekar un dono ko voh achhe se samajh gaya tha. Dono hi dil se jeene wale logo mein se hai aur Ansh bhi unka dost ban gaya tha….

Bhai to vese bhi ban hi gaya the, Ansh ko dost banana pasand nahi tha par un dono ne kal usse zidd hi pakad li thi aur un dono ne usse mall mein bhi khub pareshan kiya tha…

Vese Akshat usse bada tha par usne usse bhai ki jagha Akshat hi bolne ko kaha tha. Akshat ne betarteeb dhang se hanste hue kaha…

Akshat : "Arey tu, itna gussa kyu kar raha hai? Humne socha, tu akela bore ho raha hoga, to tera mood halka karne aa gaye. Vaise bhi, sone ke liye itna bada kamra mila hai, thoda share kar hi sakte hai…”

Vineet ne bhi hansi chhupate hue kaha…

Vineet : "Aur vaise bhi, tujhe dekhkar aisa lagta hai jaise tu ne aajkal hasna hi chhod diya hai. Hum tera saath dene aaye hain. Aakhir dost kis din kaam aayenge…?*

Ansn ne apni aankhon ko halke se michmichate hue kaha…

Ansh : "Dost? Mujhe to lagta hai ki tum dono meri zindagi ke sabse bade sar dard ho..."

Akshat aur Vineet ne es par aur jor se thahaka lagaya..

Akshat : "Sahi pakda! Lekin es sar dard ke bina tera kaam bhi to nahi chalta, hai na..?"

Ansh ne haar mante hue lambi saans li aur bola…

Ansh : "Thik hai, tum dono sone aaye ho to chupchap so jao. Lekin agar phir se mujh par kude, to agle din ka suraj dekhne ki ummeed mat karna..."

Akshat aur Vineet ne mazak mein sar hilaaya aur turant bistar par let gaye. Lekin yeh shaanti jyada der tak tikne wali nahi thi. Jaise hi Ansh apni jagah par aaram se leta…


Akshat ne dheere se Vineet ki taraf ishaara kiya. Vineet muskuraate hue budbudaaya…

Vineet : "Aakhri baar! Phir se so jaayenge…”

Agle hi pal, dono ne pillow uthaaye aur Ansh par hamla kar diya….

Akshat : "Takiye ki jung shuru hoti hai!!!"

Akshat chillaya…

Ansh, jo es achaanak hamle se heraan tha, usne ek pal ke liye kuch nahi kaha. Lekin jab takie ka ek aur vaar uske chehre par pada to usse bhi gussa aagaya, usne jawabi karyawaahi shuru kar di….

Ansh : "Thik hai, ab bhugto!!!.."

Ansh ne kaha aur bistar par pada takiya uthakar dono par palatvaar kiya…

Kamre mein hansi aur takion ki dhop-dhop goojhne lagi. Teenon es khel mein bacchon jaise kho gaye…

Kuch minutes baad, jab sabhi thakkar bistar par geer padhe, to Vineet ne kaha…

Vineet : "Yaar, sach mein, es tarah ke palon ki humein bahut zaroorat hai. Kabhi-kabhi sab bhoolkar bas jeena chahiye…”

Ansh ne halki muskaan ke saath jawab diya…

Ansh : "Tum dono sirfire ho, lekin haan, ye pal yaadgaar rahega. Ab, agar tum dono shaant ho gaye ho, to so jao. Subah jaldi uthna hai…."

Akshat ne haste hue kaha…

Ansh : “Haan haan, subah jaldi uthne ki baatein to hum roz karte hain. Chal, aaj teri baat maan lete hain…”

Thodi der mein kamre mein sannata cha gaya. Teenon alag-alag pareshaniyon aur chintaon se bhale hi ghire hain, lekin is chhote se pal ne unke beech ke bandhan ko aur majboot kar diya tha...

Ansh apni aankhein band karte hue apne purane dinon mein kho gaya jaha voh Rajvansh parivaar mein rehta tha…

Usne kabhi bhi apne bhai-bahenon se theek se baat nahi ki thi. To unke saath mazak-masti to duur ki baat hai. Usne socha, shayad meri kismat itni bhi buri nahi hai. Ab shayad Suryavanshi parivaar mein mera naya safar shuru hoga. Par isse pehle mujhe bahut takatvar banna hai…

"Shayad, aise doston ke saath mera safar thoda aasan ho sakta hai…."

Phir Ansh ne bhi apni aankhein band kar li. Ansh Akshat aur Vineet ke beech mein soya tha…

Next day..

Agale din, subeh Ansh ne sabhi parivaar walo ke saath nashta kiya aur phir usne sabhi ko ek do hafte ke liye training ke baare mein bataya…

Priya ji to usse jaane hi nahi dena chahti thi, kyuki agle hafte unhein Arora Planet (Celestial Level Planet) jaana tha, phir vo mahino tak nahi mil paate. Par Karanveer ji ne unhein kaise bhi kar ke mana liya aur Ansh ko lekar vaha se chale gaye…

(Nova planet Demigod level planet hai..

Arora planet Celestial level planet hai..)

Ansh ne jaane se pehle kaha tha ki woh shayad jaldi vapas aayega…

Phir waha pahuchne ke baad Ansh ko Adhiraj ji kahi nahi mile, kyunki woh pehle hi vaha se ja chuke the. Phir Ansh us din Adhiraj ji ke dwara diye gaye room mein chala gaya…

Yeh kamra khaas taur par energy ko aur purify karne ke liye taiyar kiya gaya tha. Kamre ke andar gehri khamoshi thi….

Chaaron or bani divaron par ajeeb-si urja ki lehren mehsoos ho rahi thi. Pura kamra ek dam white marble se bana hua tha aur kuch black wood se bani chair aur tables thi. Khidkiyon ke parde light blue the aur aisa lag raha tha jaise yeh jagah jeevant hai…

Ansh ne ek chatai par bethkar apni saanso ko sthir kiya. Uski aankhein dheere-dheere band hone lagi, aur voh gehre dhyan mein chala gaya….

Jaise hi voh dhyan mein dooba, uske shareer mein behne wali urja ne gati pakadni shuru kar di. Blood ka pravah uske shareer mein goonjhne jaisa mehsoos ho raha tha. Uski urja ka har ansh ab "Blood Sutra" ke bataye gayi technique ke dwaara pravahit ho raha tha…

Kamre mein halki halchal mehsoos hui, aur phir achaanak teen tarah ki roshni uske chaaron or prakat hui - laal, kali aur safed…

Laal roshni garm aur ugr thi, jaise ki uske bheetar chhupi shaktiyon ko prajwalit kar rahi ho….

Kali roshni thandi aur rahasyamay thi, jo uske bheetar chhupi andhkaar aur bhay ko bahar kheenchne ki koshish kar rahi thi….

Aur safed roshni shaant, shuddh aur daivya thi, jo har ashuddhata ko samaapt kar rahi thi.

Dheere-dheere, yeh teen roshniyan uske shareer ke chaaron or ghoomne lagi, uski energy nerves aur meridian ko phir se jaagrit kar rahi thi. Es prakriya ne uske shareer mein chhupi har ashuddhata ko jala diya. Ansh ke janam se hui energy nerves mein jo nuksaan tha, isliye uske liye yeh prakriya aasan nahi thi.

Ansh ka poora shareer dard se kaamp raha tha. Uski muscles khinch rahi thi, jaise ve phatne wali hon…

Uski haddiyon se aawaazein aa rahi thi, aur uska har saans lene ek bhari patthar uthane jaisa mehsoos ho raha tha….

Phir bhi, Ansh ne haar nahi maani. Uski ichchha shakti usse girne nahi de rahi thi. Usne apni aankhein band rakhi aur dhyan mein dooba raha. Uske bheetar ek aawaaz goonj rahi thi…

"Dard asthaayi hai, lekin shakti sthaayi hogi. Utho, sahen karo, aur khud ko nikhaaro.. .”

Roshaniyon ne ab uski meridian aur sabhi dentitian ko firse create karna shuru kar diya…

Yeh prakriya Ansh ke shareer ko na keval pehle se jyada shaktishaali bana rahi thi, balki usse aatmik roop se bhi shuddh kar rahi thi….

Uske maathe se pasine ki boondein kisi jharne ki tarah jameen par gir rahi thi, aur uski saansein tez ho rahi thi. Lekin uski ichchhashakti ne usse tootne nahi diya. Woh har dard ko seh raha tha, har baadha ko paar kar raha tha…

Dheere-dheere uski destroyed energy nerves ka poorna nirman khatam hone ko aaya. Roshaniyan shaant honi lagi, aur Ansh ka shareer sthir ho gaya….

Jab yeh prakriya poori hui, to Ansh ne apni aankhein kholi. Uski aankhon mein ab ek nayi chamak thi, ek nayi shakti. Usne gehri saans li aur khud se budbudaaya….

Ansh : “Ab main pehle se jyada taiyaar hoon. Angy ko surakshit rakhne aur apne uddeshya ko poora karne ke liye…"

Lekin voh jaanta tha ki yeh sirf shuruaat thi. Asli chunauti abhi baaki thi. Iske baad Ansh achanak behosh ho gaya. Ansn ko apne shareer ke firse create hone mai kareeb 6 ghante lage the..

Ansh ke behosh hone ke baad, Ansh ko kareeb 3 ghante baad dheere-dheere vapas hosh aane laga…

Ansh ne dheere-dheere apni aankhein kholi. Usse apne shareer mein thakaavat ka anubhav ho raha tha, lekin uske andar kahin ek nayi urja paida ho chuki thi thi….

Haalaanki, woh abhi bhi apne body ko hilane mein asamarth tha. Uski saansen sthir thi, aur woh chhat ki or dekhaa hua sochne lage...

Woh jaanta tha ki yeh jagah poori tarah surakshit thi. Adhiraj ji ne usse yeh kamra khaas taur par diya tha taaki koi bhi bahari vyakti usse pareshan na kar sake. Usne mehsoos kiya ki usse chinta karne ki koi jarurat nahi thi…

Kareeb aadhe ghante ke andar, Ansh ne apne shareer mein halchal mehsoos ki. Dheere-dheere uski ungliyaan hilne lagi. Thodi der mein usne apne hatho aur pairon ko bhi hilana shuru kar diya..

Ansh ne apni aankhein kholi aur apne aas-paas dekha. Usne dekha ki woh ab ek naye aur shaktishaali shareer mein tha. Uske shareer par ek ajeeb chamak thi, jo samanya nahi ag rahi thi…

Ansh : "Mujhe jaldi se naha lena chahiye…"

Ansh ne khud se budbudaaya aur nahane chala gaya. Voh ladkhadaate hue kamre mein rakhe bathroom ki aur badha…

Garm paani ne uske shareer ki gandagi ko dho daala, aur uske man ko ek nayi taazgi ka ehsaas hua. Nahate samay, usne mehsoos kiya ki uski muscles ab pehle se kahin jyada majboot thi…

Nahane ke baad, woh mirror ke saamne khada hua. Usne dekha ki uski neeli aankhon mein ek ajeeb chamak thi. Uski skin ki banaavat mein bhi ek ajeeb badlaav aaya tha, jaise uske shareer mein kuch asaadhaaran parivartan hue hon…

Ansh ne dhyaan diya to usse apni energy mein kuch badlaav mehsoos hua, aur saath mein woh mehsoos kar pa raha tha ki uske khoon mein bhi kuch badlaav aaye hain..

Par voh samajh nahi pa raha tha voh badlaav kya hai. Uska aam taur par laal khoon thoda chamkeela sunahre rang ka ho aisa lag raha tha…

Ansh ne phir is par dhyaan dena bandh kiya aur room mein rakhi ek strength measuring machine ke paas chala gaya aur vahaan jakar usne apni poori taakat se us machine ke beech mein ek punch maara aur result dekh voh heraan reh gaya….

Uski strength ab level 5 tak pahunch chuki thi. Yeh level pehle uske liye keval ek sapna tha…

Usne mehsoos kiya ki uske andar ek nayi ability jaag chuki thi. Ansh jaldi hi ek sahi jagah dekhkar vahaan dhyaan ki mudra mein baith gaya aur usne apna dhyaan apne andar laga liya…

Usne dhyaan se dekha to uski jo bachpan se destroyed energy nerves thi woh ab theek hogai thi aur woh shayad pehle se bhi jyada behtar thi…

Ansh mehsoos kar sakta tha ki uske andar sabhi bones aur muscles mein kuch badlaav tha. Tabhi Ansh ko much dikhai diya jisse dekh woh chauk gaya. Uske dimaag mein dikhai dene wali ek adbhut drishya….

Ansh ke bheetar ab ek alag duniya ban chuki thi…

Ansh ne dhyaan se dekha to yeh uski locket ki duniya thi, par ajeeb baat yeh thi ki woh ab is duniya ka end nahi dekh pa raha tha aur vahaan par jo tree pehle tha voh aur bhi hara bhara ho gaya tha aur ab woh crystal jo jhanjiron se bandha tha voh bhi aur tej chamakne laga tha…

Usne apni aankhein band ki aur apne andar ki is duniya ko dekhne ki koshish ki. Usne dekha ki ek vishaal hare-bhare jungle jaisa area tha jahaan pehle waha sirf ek hari ghass ka maidan tha. Ab vahaan par kuch kuch doori par use kayi ped dikhayi de rahe the…

Par voh ped sirf ek rang ke nahi the. Sabhi ped alag-alag rang ke the. Ansh ne dhyaan diya ki woh sabhi ped ke neeche ek tablet thi jis par alag-alag elements ke naam likhe hue the..

Aur Ansh ne jo pehle ped dekha tha us par fire likha hua tha…

Fire, Water, Air, Earth, Current, aur bhi kai…

Ansh ne khud se pucha..

Ansh : “Yeh kya hai..?”

Jaise hi Ansh ne ek ped ke kareeb jaane ki koshish ki, to usse ek aawaaz sunayi di…

"Yeh ped abhi poori tarah evolve nahi hue hain. Jab in par fruits aayenge, tab tumhein vibhinn elements ki shaktiyaan milengi. Lekin dhyaan rakhna, har phal ko lene ke liye ek vishesh paristhiti ki aavashyakta hogi. Keval tabhi yeh tumhare liye upyogi honge…"

Aage tum khud jaan jaoge. Itna bol voh budhi aawaaz phir se gayab ho gayi. Ansh ko es baar bhi pata nahi chala ki voh aawaaz aa kahaa se rahi hai. Usne anumaan lagaya shayad yeh aawaaz us crystal se hi aa rahi hogi…

Ansn ne dheere-dheere apni aankhein kholi. Woh samajh gaya tha ki uski shakti ab keval bahari nahi thi. Voh ek aisi avastha mein pahunch chuka tha, jahaan usse apni inner aur outer energy ke beech santulan banana hoga…

Ansh : "Yeh sab abhi keval shuruaat hai..”

Usne gehri saans lete hue kaha…

"Mujhe har elements ki shakti ko sahi tarike se paane ka tareeka khojna hoga. Lekin sabse pehle, mujhe Angy ki suraksha puri karni hogi…"

Ansh ne kamre se bahar nikalne se pehle apni energy ko santulit kiya. Usne mehsoos kiya ki uske saamne ab ek bada uddeshya tha…

Angy ki suraksha, apni new powers ko samajhna, apne naye parivaar ki raksha aur dusri duniya mein jaakar unke secrets ka pata lagana…

“MERA SAFAR ABHI SHURU HUA HAI AUR MAIN ISE HAR HAAL MEIN POORA KARUNGA…”

Ansh ne khud ko santulit kiya aur do dinon tak woh apne mind ko shaant karta raha aur kuch buniyaadi takneekon aur martial art ki prakrtise ki. Do din baad voh vapas sabhi ke paas chala gaya. Jaane se pehle usne poora kamra phir se saaf kar diya tha…

Ansh ke ghar jaane ke baad usne 3 ya 4 din sabhi ghar walon ke saath bitaye…

Ansh in dinon bahut khush rehne laga tha, par phir bhi apne chehre par woh zada emotion nahi dikha paata tha. Shayad uske bachpan ke kaaran..

Woh khush bhi hota, phir bhi uske chehre par jyada smile ya koi emotion nahi aata tha. Voh hamesha shaant rehta tha…

Phir 3-4 din baad Priya ji, Preetam ji, Ranjit ji aur Karanveer ji sabhi vapas dusre planet par chale gaye. Ab Karanveer ji bahut lambe samay tak yahaan vapas nahi aayenge. Jab ki baaki teeno 2-3 mahino mein vapas aa jayenge…

Ab aise hi aur 1 saal beet gaya. Ab Ansh ka rishta sabhi ghar walon se bahut jyada strong ho gaya tha….

Khaaskar Priya ji se woh har pal Ansh ki chinta karti thi. Is ek saal mein Ansh jyadatar Meera ji ke saath raha tha. Unke saath bhi Ansh ka ek alag bond ban gaya tha. Usne unse business aur insaanon ko pehchannne seekha….

Es dauran Ansh aur Angy ne Akshat, Vineet, Akshita aur Vaanya ke saath hi unke school mein admission le liya tha. Ansh Akshita aur Vaanya ko bhi apni chhoti behen ki tarah hi maanta tha. Ansh abhi bhi jyada tar chup rehta tha, par woh sabhi ki bahut parvaah karta tha.

Ansh school mein kisi se bhi baat nahin karta tha, sirf Angy, Akshita, Akshat, Vineet, Vaanya ko chhod kar. Ansh gussa bahut kam hota tha, par uska gussa bahut bura tha…

Aise samay beet gaye aur 7 saal guzar gaye…

7 YEARS LATER…

Ek shaant lekin anokhi shuruaat. Subeh ka samay tha. Halki thand ke saath suraj ki pehli kiran khidki ke pardon ko paar karti hui kamre mein phail rahi thi…

Ansh bistar par seedha leta hua tha, uske chehre par ek ajeeb si shaanti thi. Woh gehri neend mein tha, jaise uske andar ki saari energy khud ko phir se bhar rahi ho…

Kamre ke andar halka-sa andhera tha. Ansh ke bistar ke paas ek chhoti-si table thi, jis par uski books acche se rakhi hui thi….

Inmein se kuchh books normal schooli ki thi, jabki baki kuch mein woh purani kahaniyan aur martial arts se judi books ka padhta tha…

Achanak, bahar se halki-halki chidiyon ki chahchahaahat sunayi di. Yah aawaaz shaant vataavaran mein mithaas ghol rahi thi. Lekin is sukoon ko todte hue, Angy ne kamre ka darvaaza dhadam se khol diya..

Angy : "Ansh bhai! Kya aap kabhi time par uthoge..?"

Angy ne naaraazgi bhari aawaaz mein kaha. Woh haath mein ek takya laker khadi thi, jaise woh usse uthaane ke liye kisi bhi had tak ja sakti thi…

Ansh ne dheere-dheere aankhein kholi. Uske chehre par halki neend ka asar abhi bhi tha. Lekin uski neeli aankhon mein ek khaas chamak thi..

Ansh : "Main uth raha hoon.."

Ansh ne dheemi aawaaz mein kaha…

Angy : "Uth rahe ho? Yahi aap har din kehte ho! Chalo jaldi karo. Aaj school mein practical class hai, aur aapko hamesha der ho jaati hai.."

Angy ne gusse se kaha…

Ansh ne halke se muskuraate hue kaha..

Ansh : "Theek hai, main aa raha hoon…”

Angy ne thodi der usse dekha aur phir bhauhein chadhaate hue kaao..

Angy : "Main neeche intzaar kar rahi hoon. Jaldi aao!"

Angy ke jaane ke baad, Ansh dheere-dheere uthkar bistar par beth gaya. Usne gehri saans li…

Aur apni gardan ko halka sa ghumaaya, jaise apne shareer ko subeh ke liye taiyaar kar raha ho…

Phir voh apne bistar se uthkar room ki window ke paas gaya. Bahar ka nazara bahut khubsurat tha. Halki dhundh ke beech suraj ki sunhari roshni bagiche ke phoolon par chamak rahi thi…

"Yeh din shayad kuch alag hai, aaj bahut kuch karna hai…"

Usne khud se budbudate hue kaha. Phir voh bathroom ki taraf badha…

Thande paani se chehra dhote samay, usne khud ko mirror mein dekha. Uske chehre par halki si thakaavat thi, lekin uski aankhon mein ek alag hi confidence jhalak raha tha…

Kuch der baad, usne apni almaari se school ki uniform nikaali. White shirt aur blue pant woh uniform Ansh ka silent character ko aur bhi aache se dikha rahi thi…

Neeche dining table par pehle se hi halchal thi. Akshita aur Vaanya ek-dusre ke saath hansi-mazaak mein lagi hui thi.

Vaanya : "Akshita, tum hamesha mera juice khatam kar deti ho!.."


Vaanya ne naaraaz hokar kaha.

Akshita : "To kya hua? Main tumhari badi behen hoon, yeh mera hak hai.."

Akshita ne muskuraate hue jawab diya…

Vineet ne is sabko ansuna karte hue apna sar jhukaakar akhbaar padhne ka naatak kiya. Lekin uski halki muskaan bata rahi thi ki woh bhi es maahaul ka maza le raha tha…

Priya ji rasoi se bahar aayin. Unke haath mein taaze parathe aur achaar ki plate thi…

Priya : "Jaldi karo, sabko school jaana hai. Aur Ansh! Jaldi neeche aao!..”

Unhone rasoi se aawaaz lagayi…

Kuch hi palon mein, Ansh stairs se neeche aata dikhai diya. Woh hamesha ki tarah shaant tha..

Lekin Ansh ki silent personality ne sabka dhyan apni taraf kheench liya..

Ansh : "Good morning.."

Usne dheemi awaaz mein kaha Ansh ki good morning sunkar baki sab usse dekhne lagte hai aur Vineet kehta hai..

Vineet : “Good morning? Tumhare liye morning to tab hoti hai jab hum sab nikalne wale hote hain..”

Vineet ne haste hue kaha…

Ansh ne muskuraaye bina apni plate uthayi aur chupchaap khana shuru kar diya. Priya ji ne pyaar se uski taraf dekha…

Priya : “Ansh, beta, jyada mat socho. Apna khana achche se khatam karo. Tumhein taakat ki zaroorat hai…."

Ansh ne unki baat par sar hilaaya aur kaha…

Ansh : "Theek hai, maa…”

Ansh ke dhyaan na dene par baaki sab phir se apne kaamo mein lage gaye. Akshat, jo sabse bada tha, Vineet aur Vaanya ko lagataar chidha raha tha…

Akshat : "Vineet, tumne kal ke game mein kitni baar haar maani thi? Maine to ginti hi chhod di thi…”

Akshat ne muskuraate hue kaha…

Vineet jhunjhalkar bola..

Vineet : "Kam se kam main apni team ko haar ke liye nahi chhodta, jaise tumne kiya tha!.."

Akshat : "Vo meri strategy thi, chhoti buddhi ke Vineet. Tumhein samajhne mein abhi saalon lageinge..”

Akshat ne mazakiya dhang mai kaha..

Vaanya ne turant mazak mein kudte hue kaha..

Vaanya : "Haan, aur es beech mai to pehle hi tumhein hara chuki thi, Vineet bhaiya."

Vineet : “Tum log hamesha mere peechhe kyun pade rehte ho..?"

Vineet ne gussa hone ka naatak kiya.

Angy ne, jo sabke beech bethi muskura rahi thi, boli..

Angu : "Kyunki aap itne mazedaar ho, Vineet bhaiya.."

Karanveer ji, jo hamesha apne akhbaar mein doobe rehte the, ne akhbaar ko thoda modkar kaha..

Karanveer : "Kya baat hai, aaj nashte khane se jyada baatein ho rahi hain. Kya humein bhi hissa milega, ya tum log khud hi kha loge sab kuch..?"

Sab hanse lage. Vaanya ne ek toast uthakar kaha..

Vaanya : "Aapke liye yahi bacha hai, dada ji…"

Karanveer : “Bahut khub!!!"

Karanveer ji ne haste hue kaha..

Karanveer : "Thik hai dhyaan rakhna, sabse bade dada ji ke hisse mein kabhi kami nahi honi chahiye…”

Meera ji ne Ansh ki plate mein thoda aur nashta daalte hue kaha..

Meera : "Ansh beta, tumne kal jo Ranjit ko business ki nayi strategy samjhai thi, woh sachmuch kaabil-e-taarif tha…”

Ranjit ji ne bhi sahamati mein sar hilaate hue kaha..

Ranjit : “Haan, Ansh, tumhare idea ne cheezein bahut saral banadi hain. Tumhari samajhdaari kaabil-e-taarif hai…”

Ansh ne muskuraate hue jawab diya..

Ansh : "Dhanyavaad, chacha ji. Yah to bas mene aapki baaton ko dhyaan mein rakhkar kiya tha."

Preetam ji, jo poore samay muskura rahe the, ne josh mein kaha..

Preetam : "Dekho bhai, mera beta har maamle mein best hai. Aaj ke test mein bhi saabit ho jaayega. Ansh aur Angy, dono hamaari ummeedon par khare utarenge..”

Priya ji ne thoda serious hokar kaha…

Priya : "Bilkul, lekin bacchon ko dhyaan dena hoga ki aaj ka test sirf unki abilities ka nahi, unke patience aur ekjuttata ka bhi test hai. Tum sab samajh rahe ho na..?"

Akshat ne turant mazak mein kaha..

Akshat : "Chinta mat karo mom, mai to pehle hi pass ho chuka hoon. Vineet ko dekho, jo pehle hi dar ke maare kaamp raha hai…"

Vineet ne gusse mein kaha..

Vineet : "Mai darta nahi hoon, samjhe! Aur aaj main tumse behtar pradarshan karunga."

Vaanya ne khilkhilate hue kaha..

Vaanya : “Vineet bhaiya, tumne to kal kaha tha ki agar tum test mein fail ho gaye, to mere saare homework karo ge..”

Vineet : "Maine aisa kuch nahi kaha!.."

Vineet ne jhapatte hue jawab diya…

Angy ne Vaanya ja sath deta hue kaha..

Angy : " Vineet bhaiya aapne mujhse bhi kaha tha agar aap fail ho gaye to mujhe aap apni saari chocolate denge..."

Sabki hansi chhoot gayi. Karanveer ji ne sabhi ko shaant karte hue kaha..

Karanveer : "Theek hai, ab thoda serious ho jao, yeh test bas ek formality nahi hai, yeh test saabit karega ki tum kitne capable ho aur tumhe aur kitni training ki jarurat hai..”

Meera ji ne muskuraate hue kaha..

Meera : "Sab theek hoga. Mere bachche har haal mein accha karenge. Bas apna dhyaan aur balance banaaye rakhna..."

Ansh ne apna sar hilate hue kaha..

Ansh : "Hum sab milkar isse paas karenge. Main apna best dunga…”

Sabhi ne ek dusre ko encourage kiya es tarah, dining table par hansi-thitholi ke saath ekta aur josh ka mahaul ban gaya…

Nashte ke baad, sabhi bacche school ke liye taiyaar ho gaye. Akshat aur Vineet hamesha ki tarah sabse tej taiyaar the, jabki Angy aur Vaanya ko hamesha jaldi karni padti thi…

Ansh : “Angy, tumhara bag kahan hai..?"

Angy : "Mujhe yaad nahi! Shayad upar reh gaya hoga…”

Ansh : "Tum har baar aisa karti ho.."

Ansh ne halki naaraazgi se kaha aur uske liye bag laane upar chala gaya…

Ansh ne sabko school ke liye taiyaar dekha. Voh jaanta tha ki aaj ka din ek normal din nahi hoga. Uske andar kuch ajeeb si bechaini thi…

Priya : "Chalo, sab taiyaar ho..?"

"Haan, maa - badi maa!..”

Sabne ek saath jawab diya…

Jaise hi woh ghar se bahar nikle, Ansh ne aasmaan ki taraf dekha. Baadal chhant chuke the, aur suraj ki roshni poore aakaash mein faili hui thi.

"Aaj ka din shayad kuch naya laaye..”

Usne man hi man socha…

Aur phir sabhi school ke raaste par chal pade. Preetam ji aaj sabhi ko school le ja rahe the, kyunki aaj unka test tha aur woh kab tak unke saath hi rehne wale the…

School ka Main Door..

School ka mahaul hamesha ki tarah grand and disciplined tha…

Jaise hi Preetam ji aur bacche school pahunche Main dior par unhe ek ladka aur ek ladki unka intzaar kar te hue dikhai diye…

Ladka : “Arre bhai! Aakhirkaar tum log aa hi gaye mujhe laga tum log aaj nahi aao ge.."

Us ladke ne duur se chillate hue kaha aur Ansh ki taraf bhaaga…

Woh ladka Vyom tha Ansh ke school mein bana best friend..

Jab Ansh school mai naya naya aaya tha, tab koi bhi usse baat nahi karta tha, kyunki Ansh har kisi ko apne gusse se duur bhagaa deta tha…

Par Vyom alag tha, voh Ansh ke peeche hi pad gaya tha dostii karne ke liye…

Vyom aur woh ladki uska naam Radha hai Vyom ki chhoti behen..

Es duniya ke 5th sabse takatvar family Gupta family se aate hain. Gupta family aur Suryavanshi family bahut achhe dost maane ja sakte hain..

(Vaise bata du ye 1 se 10 ki families ki ranking bas ek dhoka hai, kyunki koi nahi jaanta ki kaunsi family kaunsi taakat apne andar chhupaye hue bethi hai..)

Chalo ab school chalte hain. Vyom hamesha se chanchal aur baatuni tha, jo har condition ko halka banane ki koshish karta tha…

Usne Ansh ke kandhe par haath rakhte hue kaha..

Vyom : “To, kya hamare mask wale gambheer yoddha aaj taiyaar hai…?”

Ansh school mai mask lagaye rehta tha aur koi bhi teacher Ansh ko rok nahi sakta tha arre bhai Suryavanshi family ka beta hai..

(Bata du abhi Ansh 16 saal ka hua nai hai isliye uska fire element fruit abhi tak puri tarah se paka nahi hai..)

Ansh ne uski baat par koi jawab nahi diya. Woh apni jagah par khada raha, uska chehra kaale mask se dhaka hua tha, aur uski neeli aankhon mai seriousness saaf jhalak rahi thi…

Vyom : "Oh ho, Ansh bhai, thodi muskaan to dikha do. Ye test hai koi duniya ka ant nahi hai…"

Vyom ne chutki li..

Ansh ne seedha jawab diya..

Ansh : “Yeh sirf ek test nahi hai. Yah decide karega ki hum iske liye taiyaar hain ya nahi. Isliye faltu baaton ka samay nahi hai..”

Angy ne muskura kar Vyom se kaha…

Angy : "Aap to hamesha se aise hi ho, har baat ko mazak mein lete rehte ho kabhi to serious ho jao..."

Vyom : "Aree, zindagi ka aanand lena bhi to zaroori hai, Angy. Vaise, tum sabse jyada taiyaar dikh rahi ho….

Radha dekho, hum sabke beech sabse confident yahi lag rahi hai..”

Vyom ne mazak karte hue kaha…

Radha, jo Vyom ki chhoti behen thi, aur Vaanya ke saath thi, hanste hue boli..

Radha : "Main to abhi test ke liye bahut chhoti hun, lekin tum sabko dekh kar lagta hai ki mai bhi jald hi ismein shamil ho jaungi..."

Ussi samay, Akshat aur Vineet bhi paas aa gaye. Akshat hamesha ki tarah sabse shaant aur confident dikh raha tha. Usne Vyom ki taraf dekhate hue mazak mein kaha…

Akshat : "Vyom, tumhare mazak test se pehle hi khatam ho jaane chahiye. Vaise bhi, tum jaante ho ki sabse behtar kaun hai…"

Vineet ne jhat se kaha..

Vineet : "Akshat bhaiya, aapki strategy kaam nahi aayegi. Aaj ka din mera hai..."

Vyom ne dono ko dekhte hue kaha…

Vyom : “Tum dono bhai hamesha ek-dusre se mukabla karne mein lage rehte ho. Mazaa to tab aayega, jab main tum dono ko peeche chhod dunga..."

Akshat ne muskuraate hue jawab diya…

Akshat : "Tumhare sapne kabhi khatm nahin hote Vyom, lekin hakikat kuch aur hoti hai..."

Vineet ne bhi haste hue kaha..

Vineet : "Haan, aur woh hakikat yeh hai ki tumhare paas hamaare jesa confidence nahi hai..”

Vo sab hasne lage aur Vyom ka chehra ban gaya. Tabhi vahaan kuch teachers aa gaye. Sab ne vahaan khade Preetam ji ko greet kiya, jo bacchon ki nok-jhok dekh man hi man hass rahe the…

Sabhi teachers ne sabhi ko apne peeche aane ko kaha..

Preetam : "Vaanya, Radha, tumhari class dusri building mein hai. Vahaan jao aur dhyaan se padhai karo. Tumhein abhi in test ki chinta karne ki zaroorat nahin hai.."


Preetam ji ne un dono ko samjhate hue kaha..

Vaanya : "Ji, bade papa..”

Vaanya ne kaha aur Angy ko gale lagaakar Radha ke saath nikal gayi. Radha ne jaate-jaate kaha…

Radha : “Sabhi ko all the best! Khaaskar Vyom bhaiya, kyunki aapko iski sabse jyadi zaroorat hai!..”

Vyom ne haste hue jawab diya..

Vyom : "Bahut mazakiya ho, Radha. Dekhna, main sabse aage rahunga…”

Tabhi Angy boli..

Angy : "Akshita di aapko bhi good luck..."

Tabhi sab ne Akshita ko dekha jo vahi chup-chhap khadi thi. Voh thodi gabrayi hui thi. Yeh dekhkar Ansh bola…

Ansh : "Akshita darne ki koi zaroorat nahi hai. Yeh waisa hi hai jaise hum apne ghar mai test dete hain. Bas ismein farq itna hi hai ki yeh og sabhi machines ki gravity badha denge…

Iisliye chinta mat karo. Tum jaise ghar mein test deti thi, waise hi yahan dena…”

Ye sun kar Akshita ko confidence aaya aur usne kaha..

Akshita : “Ji bhai.. “

Jaise hi Vaanya aur Radha vahan se chale gaye, sabhi bacchon ko ek bade hall ki taraf le jaya gaya. Akshat, Vineet, Ansn, Akshita aur Vyom ne line mein khade hokar apne naam register karvaye…

Akshat ne dheere se kaha..

Akshat : "Aaj ka din bada khaas hai..”

Vineet : "Bilkul, aur mazedaar bhi..”

Vineet ne Akshat ki baat ki aage badhate hue kaha..

Ansh : "Ya phir challenging.."

Ansh ne kaha…

Vyom : “Ya phir aasan, agar aap mere jaise ho..”

Vyom ne muskuraate hue kaha…

Test ke 1st stage ki announcement hote hi sabhi bacche gambheer mudra mein aa gaye aur Ansh ne gehri saans lekar khud ko taiyaar kiya…

Ansh aur baaki sab ne jaise hi vishal hall mein kadam rakha, unke charon aur ki bhavyata ne unhein ek pal ke liye rok diya…

Yeh hall kisi modern world ka hissa lagta tha. Walls par chamchamati lighting aur saikdon tarah ki machines lagi hui thi. Har machine ka aakar, banavat, aur uski energy kisi mysterious takneek ka aabhas deti thi…

Vahaan badi-badk screen lage the, jin par alag alag test ki information flash ho rahi thi yeh dekhkar Vyom bola..

Vyom : "Yaar, mujhe nahi pata tha hamaare school mein aisa kuch bhi tha…”

Ye sun kar Ansh aur baaki kisi ne bhi koi jawab nahi diya. Vo sab bhi apne aas-paas ke nazaare ko dekh rahe the…

Hall mein lagbhag 50 se zada bacche aur khade the…

Sabhi apne-apne groups mein baat kar rahe the, lekin unke chehron par excitement aur thodi ghabraahat saaf jhalak rahi thi…

Har corner mein, army uniform pahne kuch log khade the. Ve alag-alag planets ki army ko lead karte the. Unki uniform army officer se alag thi. Unhone ek white uniform pehni thi, par unke upar bahut acche se army ka design acche se banaya gya tha..

Ansh ne un soldiers ki taraf dekha, jo shaant khade the. Unki presence kisi badi jimmedari ka sanket de rahi thi. Unki aankhon mein ek kathorata thi..

Vineet ne fusfusate hue pucha…

Vineet : "Yeh log yahaan kyu hai..?”

Ansh ne serious awaaz mai kaha.

Ansh : “Shayad yeh dekhne ke liye ki kaun sabse behtar hai. Ye keval darshak nahi hain, ve humein parakh rahe hai.."


Sabhi bachche ye sab dekh aapas mein kaana-phoosii karne lage, jisse vahaan shor badh gaya…

Jaise hi bachchon ka shor badhne laga, ek gehri aur kadak aawaaz ne poore hall ko shaant kar diya…

"Sabhi chup ho jaayein..."

Sabhi bachche turant shaant ho gaye aur unki nazarain hall ke ek kone ki aur mud gayin. Vahaan se ek prabhavshaali vyaktitva wale insaan ne pravesh kiya. Unki uniform saadharan nahi thi..

Yeh ek chamchamati black aur silver color ki uniform thi, jiske kandhon par golden eagle chamak rahe the…

Unki chhati par ek pratik tha, jo "PLANETS UNION” (Planetary Alliance) ka chihhn tha. Unki aawaaz mein ek kathorata aur confident jhalak raha tha… ..

Officer : "Mera naam Captain Manav hai, aur mai es test ka chief inspector hun. Aap sabhi yahaan keval apna kaushal dikhane ke liye nahi, balki yeh siddh karne ke liye aaye hain ki aap mai se kau asaadharan hai….

Yeh sirf ek test nahi hai, yeh aapki shakti, maansik dridhata aur bhavishya ki pehchaan ka nirdharan karega…”

Captain Manav ne apni teji nazarain charon aur doudaayin. Har bachcha unki baat sunkar thoda aur satark ho gaya..

Manav : "Yeh hall ek normal jagah nahi hai. Yeh jagah us takneek se lais hai jo aapke har ek ability ki jaanch karegi..

Aapki taakat, aapki speed, aapki mental power aur aapki endurance. Aur yaad rakhein, yeh test sirf aapke pradarshan par aadharit nahi hoga, balki yeh aapke andar ki sacchai ko bhi ujaagar karegi…"

Unhone ek bada digital tablet nikaala, jisse unhone hawa mein activate kiya. Screen par sabhi bachchon ke naam aur unk potential test dikhayi diye…

Manav : "Yahaan har baccha apne number ke anusaar bulaaya jayega. Aap sabko apni poori taakat aur kaushal ka pradarshan karna hai. Jo bhi ismein asafal hoga, usse phir se es prakriya mein bhag lene ke liye kam se kam teen saal ka intzaar karna padega…”

Bachchon mein khushur-phusur shuru ho gayi. Captain Manav ne haath uthaakar kaha…

Manav : "Chinta mat karein. Main yahaan aapke madadgar ke roop mein hun, lekin indiscipline bardaasht nahil kiya jayega. Har ek baccha apni baari aane tak shaant rahega…”


Continue~~
[6.9k+ words ka update tha and family conversation en sab mai thoda time le liya..

test ka mene shuru mai nahi socha tha yeh abhi decide hua hai normal logo ki wajah se jo kisi bhi badi family se belong nahi karte unhe select karne ke liye yeh test hai lekin baki family ke bacchon ko bhi yeh test dena padta hai taaki baaki logo ko unki taakat ka andaaza lag jaye aur yeh bhi ki unki new generation kesi hai..

Next update ke baad KYRIOS ka shuru kar dunga like aur comments kar lena.. ]
Behtarin jari hai story,
Plot bhi acha hai
Aese hi Jane do to likes or reader bathte rahenge...
 
  • Like
Reactions: Dolar
Top