If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar gya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..
Guys Story ka 10th update post ho gya hai niche diye hue link se check karlo sab....
Bachchon mein khushur-phusur shuru ho gayi. Captain Manav ne haath uthaakar kaha…
Manav : "Chinta mat karein. Main yahaan aapke madadgar ke roop mein hun, lekin indiscipline bardaasht nahil kiya jayega. Har ek baccha apni baari aane tak shaant rahega…”
Ab aage…
Manav ne phir ki taraf dekha aur kaha..
Manav : “pehla naam Akshat aao aur apna test shuru karo…”
Akshat ne gehri saans li aur aage badha..
Captain Manav ne Akshat ko aate dekha aur kaha..
Manav : "Tumhare teen honge - Speed, Strength aur Mind Control isse ek khel mat samjho. Apni poori takat se prayas karo.."
Akshat ne sar hilaaya aur pehli machine ki aur badha. Hall mein sannata chha gaya tha, aur har nazar us par tikki thi…
Manav : "Taiyaar ho? To chalo, shuru karte hain..”
Captain Manav ne kaha, aur pehle test ko start kara..
Akshat ne confidence ke sath pehla kadam uthaya. Uske saamne pehli machine thi, jisse Speed Track Analyzer kaha jata tha. Yeh machine insaan ki speed aur feedback samay ko maapti thi…
Jaise hi Akshat ne apni jagah li, ek digital aawaaz gunji..
"Test start."
Akshat ne puri taakat se daudna shuru kiya. Uske kadam tezi se machine ke sensor par pad rahe the, aur screen par uski gati ka aankde badhta ja raha tha…
*24 meter per second..*
Captain Manav ne dhyaan se dekha…
Manav : "Bahut acche, lekin sudhaar ki gunjaish hai…”
Par Akshat issse bahut khush tha…
Agle test Strength Module tha. Ismein Akshat ko ek badi, gravity push plate ko apni poori taakat se dhakka dena tha…
Akshat ne plate ko dono haathon se pakda aur jor se dhakka diya. Machine ki screen par ek number show hua..
*100 kg pressure..*
Captain Manav ne note karte hue kaha..
Manav : "Average se upar, lekin abhi aur mehnat ki zaroorat hai.."
Third and last test Mind Control Simulator tha…
Ismein Akshat ko ek Virtual World mein enter karna tha, jahaan use mental challenges ka saamna karna pada…
Simulator ne uski tarakshakti, nirnay lene ki kshamta aur dhyaan kendrit karne ki taakat ko parakha…
Akshat ne shaant hokar pehli chunauti ka hal kiya ek bhoolbhulaiya ko paar karna. Phir usne tezi se doosra charan, jo ek strategic paheli thi usse hal kiya.
*98% accuracy..*
Manav : “Impressive..”
Teenon test khatam hone ke baad Akshat ne gehri saans li aur peeche hat gaya..
***Akshat ke score***
Speed : 24 meter per second
Strength : 100 kg pressure
Mind Control : 98%
Manav : "Akshat, tumhara pradarshan accha tha. Group mein tum ab tak sabse prabhavshali ho, lekin speed aur strength mein thoda sudhar karo. Agla Vineet!..”
Captain ne aaidesh diya…
Vineet ne thoda muskuraate hue apna kadam aage badhaaya. Uski chaal mein ek confidence jhalak raha tha, mano woh pehle se hi jaanta ho ki woh kya karne waala hai…
Pehla test Speed Track Analyzer tha. Vineet ne apni position li, aur signal ke saath daudna shuru kiya. Uski speed bahut tez thi, aur woh har kadam ke saath apni speed banaaye hue tha…
*22 meter per second*
Machine ne Vineet ka result show…
Manav : "Accha hai, Akshat se thoda kamtar..”
Captain Manav ne gambheerata se kaha…
Agle test Strength Module tha Vineet ne plate ke saamne khade hokar apna haath jamaaye aur gehri saans li. Usne plate ko jor se dhakka diya, aur screen par uska result show hua..
*92 kg pressure..*
Manav : "Vaah! Badhiya taakat.."
Captain Manav ne aage kaha..
Manav : “Lekin stability banaye rakhna seekho…”
Iske baad, Vineet ka Agility Tunnel mein le jaya gaya. Yeh ek aisa device tha jo tezi se badalti circumstances mein react aur lachilapan maapta tha…
Tunnel mein, Vineet ko achanak girne waale avrodhon aur chakachoundh karti lights ke beech daudna tha. Yeh sabhi test ek dam same nahi the unhein alag-alag circumstances se guzarna tha…
Vineet ne shuru mein kuch obstacles se bachne mein deri ki, lekin jaldi hi usne apni raftaar pakad li…
*Score: 90/100*
Manav : “ Impressive…”
Captain Manav ne sarahna ki…
Ant mein, *Mind Control Simulator mein Vineet ko ek virtual battle ground par bheja gaya, jahaan usse bahut jaldi react karna lena aur apni strategy soch ka pradarshan karna tha. Vineet ne battle ground se dushman ke har jaal ko maat diya aur chunauti ko apni accuracy ke saath pura kiya…
*Accuracy:92%*
Test khatam hote hi Vineet ne Captain ki taraf dekha…
***Vineet ke score***
Speed : 22 meter per second
Strength : 92 kg pressure
Agility : 90/100
Mind Control : 90%
Manav : "Tumhare stats mazboot hai, lekin tunnel test mein reaction speed sudharne ki zaroorat hai….
Next.."
Captain ne aawaaz lagai. Vineet thoda garvit hokar peeche hat gaya…
Phir aur kuch bacchon ke naam liye gaye. Unme se kuch ke test acche gaye aur kuch ke kharab. Par abhi tak sirf 1 hi ladke ne Vineet ke record ko toda tha. Par abhi tak koi bhi Akshat ke result tak pahunch nahi paya tha…
Phir Captain ne Vyom ka naam liya. Vyom ne hamesha ki tarah apni majakiya muskaan ke saath kadam aage badhaya. Lekin uske chehre par halki si seriousness bhi jhalak rahi thi, jo batati thi ki woh yeh test halke mein nahi le raha tha..
Pehla test *Speed Track Analyzer tha. Vyom ne apni position li aur signal milte hi bijli ki gati se daudna shuru kiya. Uske pair jameen ko itni tezi se touch rahe the ki aisa lag raha tha, mano woh hawa mein tair raha hai..
*23 meter per second..*
Machine ne result dikhaya…
Manav : "Vah! Yeh accha hai.."
Captain Manav ne muskurate hue kaha…
Next test Strength Module tha. Vyom ne gehri saans li aur plate ko dhakka diya. Screen par result show hua..
*94 kg pressure..*
Manav : "Strong performance. Lekin dhyan rakhein, taakat ke saath stability bhi zaroori hai…”
Captain ne comment kara..
Agility Tunnel mein Vyom ne apni lachili chaal aur tez reaction ka pradarshan kiya. Woh har obstacles ko itni aasaani se paar kar raha tha, mano usse pehle se hi sab kuch pata hai…
*Score: 92/100..*
Manav : “Bahut badhiya.."
End mai, Vyom ko Mind Control Simulator mein bheja gaya. Uska virtual world ki chunauti thodi mushkil thi, lekin Vyom ne apni strategy, soch aur tezi se nirdesh lene ki kshamta ka poora istemaal kiya..
*Accuracy: 91%..*
***Vyom ke score***
Speed : 23 meter per second
Strength : 94 kg pressure
Agility : 92/100
Mind Control Accuracy : 91%
Manav : “Yeh prabhavshali hai.."
Captain ne uski tareef ki.
Test khatam hone ke baad, Vyom ne Vineet ki taraf dekha aur chutki li..
Vyom : “Bhai, tumhein thodi aur mehnat karni padegi..”
Vineet ne muskurate hue jawaab diya..
Vineet : “Shaabash, lekin dhyan rakho, asli mukabla test ke baad shuru hota hai…"
Captain Manav ne sabhi ka dhyan aakarshit karte hue kaha..
Manav : "Vyom ka pradarshan shaandaar tha…
Next Ansh!!..”
Ansh ne apna naam suna to usne ek gehri saans li Akshat ne kaha..
Akshat : “ Ansh, all the best. Sabko dikha do ki Suryavanshi parivaar kya hai…"
Ansh ne haan mein sar hilaaya Akshita bhi boli..
Akshita : "Haan bhai, dikha do sabko hum kya hai..”
Usne yeh baat Vyom ki taraf dekh kar kahi thi…
Ansh ne haan kaha aur aage chala gaya. Sabhi ki nigahen Ansh par tik gayin kyunki Ansh Pure school mein ek devil ke naam se jana jata tha…
Kabhi kisi ne uski taakat to nahi dekhi thi, par sab log jaante the voh koi mamuli nahi tha…
Uska silent aur confident character ek ajeeb sa pressure paida kar raha tha. Jaise hi Captain Manav ne uska naam pukara, Ansh ne mask ko thik kiya aur bina koi react kare aage badh gya..
Ansh ne track par apni position li. Signal milte hi usne apni poori taakat aur speed ko show kiya…
Uska har step bijli ki gati se bharpur tha. Kuch hi der mai test khatam hua aur machine se awaz aayi..
*30 meter per second..*
Machine ne announced kara..
Hall mein halki si garmi phail gayi.
Captain Manav ne kaha.
Manav : "Yeh to ab tak ka sabse tez score hai,"
..Strength Module..
Ansh ne gehri saans li aur plate ko pakda. Uski aankhon mein gehri ekagrata jhalak rahi thi. Jaise hi usne dhakka diya, machine ki screen par result tezi se badhne lage…
*120 kg pressure..*
Manav : “Excellent! Yeh level 6 ke liye mandatory standards se bhi upar hai..”
Captain Manav ne Ansh ki tareef jahir karte hue kaha..
..Agility Tunnel..
Ansh ne tunnel mein enter kiya. Uski chaal itni flexible aur stable thi ki woh har obstacles ko aise paar kar raha tha jaise woh sab pehle se hi dekh sakta hai. Uske har kadam mein efficiency aur control jhalak raha tha..
*Score: 99.70/100…*
“Kafi impressive hai es ladka ka score es batch ka sabse high score hai.."
Ek dusre instructor ne kaha…
..Mind Control Simulator..
Ansh ne simulator mein enter kiya. Jaise hi virtual battle ground start hua, usne ek ke baad ek enemies ko ineffective karna shuru kar diya…
Uski battle strategy mind, satik nishana aur tezi se nirdesh lene ki kshamta ne sabko chauka diya…
Captain Manav ne kaha jaise hi Ansh ne apne test complete kiye, hall taaliyon ki aawaaz se goonj utha…
Vyom ne mazak karte hue kaha…
Vyom : "Bhai, humein to kuch seekhne ka mauka hi nahi diya…”
Vineet ne muskuraate hue kaha..
Vineet : “Hamesha se pata tha ki tum alag ho, lekin yeh to ummeed se kahi zada tha…”
Captain Manav ne serious tone mai kaha..
Manav : “Ansh ka pradarshan extraordinary raha hai. Level 7 starting ka score is aayu mein ek rare achievement hai. Tum sabhi ko usse inspiration leni chahiye…”
Ansh ne sar hilate hue kaha..
Ansh : "Yeh abhi sirf shuruaat hai. Asli chunautiyan to aage hain…”
***Ansh ka result...***
Speed: 30 meter per second
Strength : 120 kg pressure
Agility : 99.70/100
Mind Control Accuracy :99.70%
Ansh ka har test baaki sabhi se behtar tha. Yeh saaf tha ki woh na keval is batch ka sabse majboot tha, balki ek extraordinary warrior banne ki kshamta bhi rakhta tha…
Ansh ka test khatam hua aur ab Akshita ki baari thi. Ansh ne usse dekha to woh thodi dari hui thi. To Ansh ne uske sar par haath rakha aur kaha..
Ansh : "Chinta mat karo, yeh bas ek test hai tum apni poori taakat laga dena. Tumhara result us Vineet aur Vyom ke bacche se achha hi hoga. Yeh to mai daave ke saath kah sakta hun. Isliye chinta mat karo… “
Akshita : "Ji bhai, main apni poori koshish karungi..”
Captain Manav ne jaise hi Akshita ka naam pukara, hall mein sannata chha gaya. Akshita ne confident se bhare kadam aage badhaya. Uski chaal mein shaaleenata aur dridh nishchay saaf jhalak raha tha…
Manav : "Taiyaar ho..?"
Captain ne pucha. Akshita ne halki muskaan ke saath sar hilaaya…
First test: Speed Track Analyzer
Akshita ne track par apni position li. Jaise hi signal hua, woh daud padhi. Uski chaal mein ek anokhi chaal thi, jo darsha rahi thi ki woh har kadam par soch-samajhkar apni energy ka istemaal kar rahi thi…
Akshita ne gehri saans li aur plate ke saamne khadi hui. Usne dono haathon se plate ko pakda aur apni poori taakat se dhakka diya. Screen par result show hue..
*94 kg pressure..*
Captain Manav ne kaha..
Manav : "Yeh shaandaar hai, tumhari taakat sthir hai, jo bahut important hai..”
Teesra test : Agility Tunnel
Akshita ne tunnel mein enter kiya. Jaise hi usne daudna shuru kiya, uske tezzi se badalte kadam aur uski efficiency dekhkar sab dang rahe gaye. Har avrodh ko woh itni asaani se paar kar rahi thi jaise yeh koi khel hai…
*Score: 93/100..*
Captain Manav ne kaha..
Manav : "Yeh test Vyom ke barabar hai. Tumne isey shaandaar tareeke se poora kiya."
Fourth and last test: Mind Control Simulator
Akshita ne simulator ke andar enter kiya. Virtual world ne turant usse chunautipoorn paristhitiyon mein daal diya…
Uske mind ko tezzi se nirdesh lene ki zaroorat thi. Usne pehle dushman ko chakma diya, phir dusre jaal ko aasani se paar kiya. Har kadam ke saath uski strategy soch aur accuracy behtar dikhai de rahi thi…
*Accuracy: 93%..*
Screen ne show kara..
Manav : "Bahut accha tumne apni mental power aur dhairya ka behtareen pradarshan kiya…"
***Akshita ke score***
Speed : 23 meter per second
Strength : 94 kg pressure
Agility : 92/100
Mind Control Accuracy : 91%
Akshita ka pradarshan Vyom ke equal raha. Wah confidence se bharpur, santulit aur kushalta se usne sabhi test poora kare. Jaise hi test khatam hua, Vyom ne muskurate hue kaha…
Vyom : “Lagta hai, ab mere barabar ki koi aa gayi hai…”
Akshita ne muskuraakar jawab diya..
Akshita : "Sirf barabar ki nahi, agle test mein ho sakta hai, main tumhe peeche chhod dun.."
Captain Manav ne gambheerata se kaha..
Manav : "Akshita, tumhara pradarshan bahut accha raha hai. Tumne saabit kar diya ki ladkiyan bhi kisi se kam nahi hoti..."
Sabhi ne taaliyan bajakar Akshita ke shaandaar pradarshan ki sarahna ki….
Akshita ne apna test pira kiya aur woh halki muskaan ke saath wapas aayi. Vyom ne usse dekhte hi chutki li..
Vyom : "Waah, Akshita ji! Mujhe lagta tha ki aap mujhse thoda peeche rahengi, lekin aapne to lagbhag mere barabar kiya…”
Akshita ne tirchhi nazar se dekhte hue jawab diya..
Akshita : "Mujhe tumhari barabar karna mein maza hi nahi aata, Vyom agli baar seedhe haraungi…”
Vyom ne haste hue kaha..
Vyom : "Dekhte hain, sapna dekhna to free hai. Lekin maidan mein to mai hi baazi martaa hun..”
Akshita ne usse halka sa kandhe par dhakka dete hue kaha..
Akshita : "Baatein banana band karo, aur apni torn sudharne par dhyan do…”
Vyom ne naatakya andaz mein apne kandhe pakde aur kaha..
Vyom : "Oh! Ab tum hinsa par utar aayi? Sab dekh lo, Akshita apni haar swikaar nahi kar pa rahi!....*
Akshita ne muskurate hue tanz kiya..
Akshita : "Haar to tumhein hamesha yaad rahegi, jab main tumhein har baar peeche chhod dungi..."
Unki nok-jhonk dekhkar Vineet ne muskuraate hue kaha..
Vineet : "Tum dono mein hamesha yahi chalta rahega kya? Ya kabhi team banakar bhi kuch karoge..?
Akshita aur Vyom ne ek saath kaha..
"Team? Iske saath? Kabhi nahin!!!?”
Unki is reaction par sabhi ne hanste hue mahol ko halka kar diya. Ansh ke chehre ki voh halki smile ko uske mask ne chhupa liya tha…
Captain Manav ki gambheer aawaaz phir se goonji, jisse sabhi bacchon ka dhyan unki taraf keench liya... Unhone kehna shuru kiya..
Manav : "Dusri duniya keval difficult natural conditions aur anokhe resources se hi nahi bhari hai…
Vahan par aise aliens hain jo behad shaktishaali aur khatarnaak hain. Ye aliens na keval physically powerful hote hain, balki inki mental ability bhi asaadhaaran hoti hain. Aap inse seedhe mukabale ke liye abhi taiyaar nahi hain…”
Yeh sunkar hall mein khamoshi chha gai. Vyom ne fusfusaate hue Akshita se kaha..
Vyom : "Lagta hai, ab humein aliens se milne ka mauka milega. Vaise tum pehle dar jaaogi ya mai..?"
Akshita ne turant jawab diya..
Akshita : "Mujhe to koi chinta nahi. Lekin tumhe dekhkar aliens hi dar jayenge!!!*
Vineet ne unki baaton par haste hue kaha..
Vineet : “Aliens to baad mai aayenge. Pehle tum dono ko ek-dusre se bachaana padega…”
Captain Manav ne apni aawaaz ko aur gambheer karte hue kaha…
Manav : "Suno, dusri duniya mein hum yahan se kuch bhi apne saath le ja sakte par hamari modern technology vahan bekaar saabit hoti hai…
Aur dhyan rahe, vahan se bhi koi cheez vaapas yahaan nahi laa sakte..
Aur normal weapons hum ka istemaal hum waha kar sakte hai lekin unka asar aliens par na ke barabar hota hai isliye hum waha par sab log special material se bane weapons ko use karte hai..
Unki strength aur stability kisi normal weapon se kayi guna zada hoti hai aur woh aliens par kaam bhi karte hai lekin un material bane ek chhote se arrow ki keemat bhi croro mai hoti hai..
Aur hum sab us material ko Black Orb kehte hai..”
Unhone samjhate hue aage kaha..
Manav : "Lekin es weapons ka istemaal bhi bas limit mai hi kiya ja sakta hai. Ye keval kamjor aliens ke khilaaf kaam aate hain…
Taaqatwar aliens ko harane ke liye aapko apni physical aur mental ability par hi bharosa karna hoga. Ye weapons tabhi kaam ke honge, jab aapki strength aur skills paryapt hon.. “
Yeh sunkar Vineet ne halki awaaz mein kaha..
Vineet : "Matlab, agar kisi ki taakat kam ho, to ye weapons bhi bekaar ho jayenge….?"
Captain ne uski or dekhkar kaha…
Manav : "Bilkul isliye yeh sochkar na betho ki ye weapons tumhari har problem ka hal hain. Aapki asli takat aapki khud ki kshamata hogi…”
Vyom ne Akshita ki taraf dekhte hue fusfusaaya..
Ansh : "To Black Orb Weapons hi mere liye fit hain. Tumhare liye shayad ek kitchen ka chaku le jaana behtar rahega..."
Akshita ne palatkar kaha…
Akshita : "Tumhare liye shayad lakdi ka ek danda hi kaafi hoga. Vaise bhi tum dar kar bhagane wale ho…"
Unki nok-jhonk par Vineet ne haste hue kaha…
Vineet : "Tum dono ko vahan le jaane se pehle alag-alag bhejna chahiye. Varana ek-dusre se ladte-ladte aliens ka kaam aasan kar doge…”
Captain Manav ne sabki hasi rokte hue kaha…
Manav : "Dusri duniya mein na keval khatarnaak aliens se nipatna hoga, balki jeevan ka har pehlu behad kathin hoga. Vahan koi modern environment nahi hoga aur aap sabhi ko purane zamane ki tarah jeena hoga…"
Unhone vistar se samjhaiye..
Manav : "Vahan na to koi taiyaar khana milega, na hi khaana banaane ke liye modern chijen…
Aapko khud lakdiyaan ikattha karni hongi, aag jalani hogi, aur khana pakana hoga. Har kaam ke liye aapko apne resources khud dhundne aur istemal karne honge. Yeh aisa hoga jaise hum hazaaron saal pehle ke samay mein laut gaye hon..”
Yeh sunkar sabhi bacche bahut zada heraan ho gaye kyuki unhe iske baare mai zada nahi pata tha..
Ansh ne shaant awaaz mein pucha..
Ansh : "To humein apni zaroorat ki har cheez khud hi taiyaar karni hogi…?"
Captain ne apna sar hilaate hue jawab diya..
Manav : "Haan, bilkul aur tum yaha se kuch bhi apne sath lekar ja sakte ho lekin waha baaki sab tumhe khud karna hoga aur kisi din tumhari woh chijen khatam ho jaaye to tumhe wahi ki chijon se apna guzara karna hoga....
Aur vahan par bahut saare base hain jahaan kamron mein bahut si suvidhaayein hai par vo modern nahi hain. Vahan base mein koi bhi insaan dusre insaan ki permission ke bina uske room ke andar nahi ghus sakta…
Isliye aapko apne saamaan ke chori ho jaane ki chinta nahi karni chahiye aur dusra vahan par jakar sabse pehle aapko ek Soul Storage kharidna hoga…
Agar aap Soul Storage nahi khareed sakte to aap kisi bhi alien ko maar kar usse Soul Crystal haasil kar sakte hai….
Aur han soul crystal bhi alag alag elements ke hote hai aur usse aap apne elements ko powerful karne mai istemaal kar sakte hai..
Har level ke soul crystal mai bhi antar hota hai..
Par Soul Crystal bahut mushkil se milte hain. Aisa samjhiye agar aap 100 aliens ko marte hain to unme se shayad 1 me aapko Soul Crystal mil jaaye par iski sambhavna bhi 60 ya 70 hi hoti hai….
Un Soul Crystals se aap ek Soul Storage banwa sakte hain jisme aapko bas utna kharch karna padega jitna aapko ek Soul Storage kharidne me hota hai…
Aap apne sath soul crystal aur soul storage yaha lekr aa sakte hai lekin dusri duniya ki aur koi bhi chij teleportation se yaha nahi aa pati iska jawaab kisi ke pass nahi hai ki hum dusri duniya ki chijen apne sath lekr kyu nahi aa pate…
Jabki hum soul crystal lekar aa sakte hai..”
Itna bolkar captain Manav chup ho gaye taaki saare bacche es jankari ko acche se samajh le…
Vyom ne mazakiya lahzey mai kaha..
Vyom : "To ab hum sab 'praacheen kaal ke yoddha' banne ja rahe hain…”
Captain ne usse ghurte hue kaha…
Manav : "Agar tumhe yeh mazak lag raha hai, to yaad rakhe ki vahan ka har din aap sab ke liye ek pareeksha hoga…
Isliye aap sabko ek camp par le jaya jayega jaha par aapko sab kuch sikhaya jayega….
Yeh sab kuch aapko isiliye sikhaya jayega taki jab aap vahan jayen, to kisi bhi condition ka saamna kar sakein..
Do din baad aap sabhi ko ek special training area mein le jaya jayega. Vahan ki circumstances dusri duniya ki tarah hongi, aur aapko yeh seekhna hoga ki kaise limited resources mein jeevit raha jaye. Vahan na koi guide hoga, na koi madad. Sab kuch aapko apne dum par karna hoga..."
Captain ki gambhir baatein sunkar hall mein phir se sannata chha gaya. Sabhi bacchon ne mehsoos kiya ki aane wale din unke liye na keval physical balki mental roop se bhi challenging honge…
Phir kuch der baad sabhi vahan se chale gaye. Jaise hi Captain Manav aur anya adhikaari vahan se chale gaye, Ansh aur uski toli ne raahat ki saans li.mm
Din ka aadha hissa in hard aur challenging test mein guzar chuka tha. Sabne socha ki ghar lautkar thodi shanti milegi, lekin yeh din abhi khatam nahi hua tha…
Ansh aur uski toli ne apni-aapni caron ki taraf kadam badhaaye. Vaanya, Angy, aur Radha ka school bhi khatam ho chuka tha, aur woh bhi apni-apni caron mein bethkar ghar jaane ke liye taiyaar the…
Teen caron ke kaafiley mein sabse aage wali gaadi mein Ansh aur Angy bethe the..
Jaise hi car chali Angy ne excitement mai apne bhai ki aur dekha aur sawalon ki bauchhaar shuru kar di…
Angy : "Bhai! aapka aaj ka test kaisa tha..? Aapne Captain ko kaise impress kiya? Kya sach mein aapne sabse jyada score kiya hai..?”
Ansh halki muskaan ke saath Angy ki excitement ko dekh raha tha. Usne shaant awaaz mein kaha..
Ansh : “ Angy, saans to le lo, haan test acche tha maine bas apna best diya..."
Angy ne bhi excited hokar kaha…
Angy : "Lekin aapne speed, strength aur mind control sab mein top kiya na? Ye kaise kiya? Mujhe bhi sikhaoge na..?"
Ansh ne uski taraf dekh kar kaha..
Ansh : "Sikhaunga, lekin pehle tum khud mehnat karo har cheez ka jawab tumhare andar chupa hota hai bas sahi disha mein dekhna hota hai…"
Angy ne sar hilaaya, lekin uski excitement kam nahi hui…
Ansh : "Phir bhi, aapko dekhkar lagta hai jaise ye sab aapke liye bahut aasan hai. Kya aap kabhi nervous nahi hote..?"
Ansh ne thoda serious tone mai jawab diya..
Ansh : "Nervous hona natural hai, Angy lekin nervous hokar haar maan lena kamzori hai. Khud ko majboot banana sabse zaroori hai…"
Phir Angy koi aur sawal bolne hi wali thi ki Ansh ne uske dono honto ko pakad liya aur uska muh ko band kar diya apne haathon se..
Ansh : “Angy baccha ab aur koi sawal nahi, mai bahut thak gaya hun aaj ab jo bhi sawal hain, hamaare ghar jaakar puchna..”
Ye sun kar Angy phir chup ho gayi. Ansh ne bhi apna haath wapas le liya aur aankhein band karke apna sar peeche seat se tikaa liya. Thodi der mein sabhi ki car ghar ke aage ruk gayi.
Jaise hi sabhi caron se utre aur ghar ke andar kadam rakha, unka swagat roshni aur sajaavat se hua. .
Pure ghar ko sundar tareeke se sajaya gaya tha. Jagah-jagah phoolon ki maalaayein aur rang-birangi roshni har kone ko bahut khubsurat bana rahi thi…
Adhiraj ji, jo ghar ke sabse bade aur sammanit sadasya hai, darwaze par khade muskura rahe the. Unhone aage badhkar Ansh aur baaki bach
chon ko badhai di….
Adhiraj : "Aaj ka din hamare parivaar ke liye garv ka hai. Tum sabne sabit kar diya ki mehnat aur lagan se kuch bhi haasil kiya ja sakta hai…”
Unhone garv se kaha…
Karanveer ji, Adhiraj ji ke bade bete, ne muskurate hue kaha…
Karanveer : "Tum sabne jo mehnat ki hai, woh is parivaar ka naam roshan karegi. Hum sabko tum par garv hai…”
Unke peeche Preetam ji aur Ranjeet ji khade muskura rahe the. Priya ji aur Meera ji, unki patniyan, mithai ki thaaliyan lekar sabhi ka swagat karne ke liye taiyaar thi…
Andar ka mahaul:
Jaise hi bacche andar pahunche, mahaul aur bhi khushnuma ho gaya. Har koi ek-dusre se baat kar rahe tha aur bachchon ko unki mehnat ke liye badhaiyan de rahe the…
Bacchon ke liye khaas surprise:
Thodi der baad, Karanveer ji ne bacchon ko drawing room mein bulaya. Vahan ek badi si table par dher saare gifts rakhe hue the. Adhiraj ji ne muskurate hue kaha…
Adhiraj : "Yeh sab tumhari mehnat aur safalta ka chhota sa inaam hai. Lekin yaad rakhein, yeh sirf shuruaat hai. Tumhein abhi aur unchaiyon par pahuchana hai…”
Andh ne apna sar jhukakar thanks kaha. Akshita ne vinamrata se kaha…
Akshita : "Dadaji, yeh sab aapki prerana aur aashirvaad ke bina possible nahi hota. Hum aap sabke bharose ko kabhi tootne nahi denge…”
Vineet ne mazakiya andaz mein kaha..
Vineet : “To gifts kholne ki ijazat hai ya koi aur bhashan sunna baaki hai…?"
Yeh sunkar sabhi hans pade, aur bacchon ne gifts kholne shuru kar diye…
Khaas pal:
Raat ka khana bade hi shaandaar tareeke se parosa gaya. Khana parosne se pehle, Adhiraj ji ne sabke sath bethkar kaha..
Adhiraj : “Hamaari is safalta ka jashn manane ke liye yeh parivaar saath mein bhojan karega. Aaj se, har chhoti-badi khushi ka jashn isi tarah manaya jayega…"
Is tarah, parivaar ne es khaas din ko khushi aur garv ke saath manaya. Adhiraj ji ne sabko mehnat aur ekta ka mahatva samjhayaa, aur sabhi ne ise dil se sweekar kiya…
Raat ke khane ke baad sahi family members drawing room mein bethe hue the. Mauhol thoda gambhir ho gaya tha, jab Adhiraj ji ne apni gehri aawaaz mein bolna shuru kiya…
Adhiraj : "Bacchon…”
Unhone kehna shuru kiya…
Adhiraj : "Ab tumhein jo jaankari dunga, woh tumhare bhavishya ke liye behad mahatvapoorn hai….
Woh tumhein na keval taiyaari karne mein madad karegi balki yeh bhi samjhayegi ki disri duniya mein kis tarah ki chunautiyan tumhara intzaar kar rahi hain…
Pehla grah, jahaan tum sabko bheja jayega, woh KYRIOS hai…”
Ansh en sab ke baare mein pehle se hi sab jaanta tha, baaki sab bhi jante hi the, phir bhi sab vahan Adhiraj ji ki baat ek dam shaant ho kar sun rahe the. Adhiraj ji ne bataya…
Adhiraj : "KYRIOS ek Vishal grah hai. Yeh Prithvi se teleportation dwara juda hua hai aur vahan par insanon ne kai base sthapit kiye hain.m.
In bases ko unki suraksha aur resources ke anusar rank di gayi hai. In base ki kul sankhya 30 hai. Lekin dhyan rakhein, har base ek jaisi suraksha aur suvidhaayein pradaan nahi karta..
Yahaan 1 se 30 tak ke base hai, jinhein safety aur resources ke aadhar par rank kiya gaya hai...
1 to 5th base (High Safety Level):
Ye base sabse safe aur aaramdayak maane jaate hain. Inmein acche resources available hote hain. Yahaan par keval high family ke vanshaj, important army officer, aur higher place par bethe log bheje jaate hain…
6 to 15th base (Medium Safety Level):
Yahaan safety aur resources medium hote hain. Medium level ki family, officers, aur warriors ko yahaan bheja jaata hai…
16 to 20th base (Low Safety Level):
Yahaan safety kaafi weak hoti hai. In base mein normal soldier, normal civilian, aur woh log rehte hai jo kisi kaaranvash adhik rank wale base mein nahi ja sakte…
21 to 30th base(Dangerous):
Ye sabse dangerous base hain. In base mein weak soldiers, normal civilians, aur un logon ko bheja jaata hai jinke paas anya vikalp nahin hote…
En basees mein aliens ka ghusna aam baat hai, aur yahan rehne wale logon ko har samay apni jaan ka khatra rehta hai…
En base par aksar resources ki bhi kami hoti hai, jisse vahan jeevit rehna aur bhi mushkil ho jata hai…”
Adhiraj ji ki gambhir baatein sunne ke baad, sabhi bachche dheere-dheere apne-apne kamron mein chale gaye. Din bhar ki charcha aur jaankari ne har kisi ko gehri soch mein daal diya tha…
Ansh, jo hamesha shaant aur apni soch mein dooba rehta tha, apne kamre mein akela betha tha. Usne kuch der chupchap khidki se bahar jhankte hue gehri saans li…
Uske man mein vichaaron ka ek toofan chal raha tha. Phir usne khud se ek thos faisla kiya, lekin bina kisi se kuch kahe, bistar par jakar so gaya…
Akshita Room..
Teenon ladkiyan aaj Akshita ke kamre mein sone wali thi. Jaise hi teenon apne kamre mein aayin, Vaanya ne bistar par kudte hue kaha..
Vaanya : "Arre vah! Ye bistar to aisa aaramdayak hai jaise kisi raja-rani ka ho…”
Akshita ne chutki lete hue kaha….
Akshita : "Bas, ab yeh mai khhna ki tumne apne sapne mai yeh dekha ki tum pichle janam mai ek raani thi..."
Vaanya ne khud ko takiye mein lapet liya aur naatakya andaz mein kaha…
Vaanya : "Pichhle janam ki baat chhodo, es janam mein bhi main alien queen banne wali hun. Bas kisi alien se shaadi karni hai…”
Angy jo apni razai ke andar se jhank rahi thi, bol padi…
Akshita : "Agar koi alien sach mein tumhare peeche aa gaya to..?"
Vaanya ne badi shaanti se jawab diya…
Vaanya : "Aane do! pehle uzse bata dunga ki main kitni demanding hun. Woh khud hi kahenga, 'Madam, humse na ho paayega!..”
Akshita thahaka lagakar hasi padi aur usne kaha..
Akshita : "Nahi, woh kahenga, 'Tumhein to Prithvi waale bhi nahi sambhal pa rahe, hamein kyon phansaya ja raha hai…?”
Angy ne achanak gambhirata se kaha..
Angy : "Agar alien sach mein tumhare baal pakadkar le jaane laga to..?"
Vaanya ne bina soche-samjhe jawab diya..
Vaanya : "To mai kahungi, 'Bhai, please dheere se pakadna, baal toot gaye to mera look kharab ho jayega…"
Akshita itni zor se hasi ki bistar par gir padi usne Angy ki taraf ishara karte hue kaha…
Akshita : "Angy ye ladki to alien ke saath makeup tips discuss karegi!.."
Phir Vaanya ne palatkar pucha..
Vaanya : "Achha, tum kya karogi agar koi alien tumhare peeche pad jaye..?"
Akshita ne shararat bhari muskan ke saath kaha..
Akshita : "Main usse daudakar thaka dungi phir bolungi, 'Sorry bhai, galat insaan ko chuna, ab jaker aaraam kar…”
Vaanya ne thahaka lagate hue kaha…
Vaanya : "Aur agar vo tumhein pakad le to…?"
Akshita ne turant jawab diya..
Akshita : "To kahungi, 'Pakad liya? Ab tumhaari baari hai bhagne ki chal dekhte hain kaun jeetta hai..."
Unki in baaton par Angy ne razai se sar bahar nikaalkar kaha…
Angy : “Tum dono itni paagal ho, aliens aayenge to pehle tumhaari nautanki dekhkar hans-hanskar mar jayenge…
Phir humein maarne ki zaroorat hi nahi padegi…"
Hansi-mazaak ke baad, Vaanya ne halki si seriousness ke sath kaha..
Vaanya : "Lekin sach mein, jab tum log camp chale jaoge, to main aur Angy yahaan akela kaise rahenge? Sab kuch kitna badal jayega..."
Akshita ne uske sar par pyar se haath ferate hue kaha..
Akshita : "Arrey, itni chinta mat karo. Tumhein akela thodi chhod denge. Har din call karenge, aur tumhare bina kuch mazedaar ho bhi nahi sakta. Vaise bhi, tum boss ho, tumhein kaun bhool sakta hai..?"
Vaanya ne muskurate hue kaha..
Vaanya : "Theek hai lekin promise karo, aliens se ladai ki kahaniyan sabse pehle mujhe sunaoge. Aur meri photo mat dikhana. Kahin aliens mujhe lene na aa jaye…”
In mazedaar baaton ke baad, teenon ne takye lekar ek-dusre par hamla kiya. Thahakon aur khilkhilahat ke beech, thakkar woh apne-apne bistaron mein so gayi. Kamra ab shaant tha, lekin hansi aur masti ki goonj abhi bhi mehsoos ho rahi thi…
Akshat room..
Vahi Akshat ke kamre mein Akshat aur Vineet kamre mein enter hue…
Vineet ne idhar-udhar dekhte hue kaha..
Vineet : "Waah, raja sahab ka kamra to kya hi shaandaar hai! Mere kamre se double bada aur triple aaramdayak…"
Akshat ne takya uthakar uski taraf phenkte hue kaha..
Akshat : "To kya karun? Tujhe apne kamre mein rehne dun? Vaise bhi tu itna failayega ki mujhe jagah hi nahi mileg…"
Vineet ne takya pakad liya aur turant palatwar kiya…
Vineet : “Jagah ki chinta mat kar, raja sahab mai sofe par bhi so sakta hoon. Lekin teri aadaten dekhkar lagta hai, tere bistar par sona kisi army camp mein sona se bhi mushkil hoga..."
Dono bistar par beth gaye. Vineet ne achanak serious hokar kaha..
Vineet : "Akshat, ab tum sach batao. Tumhein school mein koi ladki pasand aayi hai ya nahi..?”
Akshat ne bhauchkka hokar kaha…
Akshat : "Kya!! yeh sawal acchanak kaha se aa gya? aur tu kon hai CID wala??”
Vineet se sharati muskaan ke sath kaha…
Vineet : "CID kyu banu? mai to teri love life ka free ka advisor hun vaise bhi, tu itna boring hai ki ladkiyon ko tujhe notice karne ke liye kam se kam do saal to lagenge…"
Akshat ne takya uthate hue kaha…
Akshat : "Do saal? Tujhe dekhkar to ladkiyan pehli mulaqat mein hi kahengi, 'Are yeh to mere bhai jaisa hai!' aur phir tere saath rakhi bandhne ka plan banan lagengi..."
Vineet ne jhooth-mooth ki narazgi dikhate hue kaha…
Vineet : “Dekh bhai, aisi baatein dil ko lagti hain vaise bhi, tujhse better looks wale bhi mere fan club mein hai.."
Akshat ne thahaka lagate hue kaha..
Akshat : "Fan club? waha ladkiyan nahi, vo sab tere jaise foodie ladke honge, jo tujhse khane ki salah lene aate honge…”
Thodi der ki hansi-mazaak ke baad, Vineet ne apni bazuon ko dikhate hue kaha…
Vineet : "Dekh, ab maine thaan liya hai ki mai strong banunga jab muscles ban jayenge, tab kisi ladki ko propose karunga…"
Akshat ne usse upar se neeche dekhte hue kaha..
Akshat : "Tu strong ban jayega? Pehle tu apni raat ke snacks kam kar nahi to ladki propose karne se pehle hi bol degi, 'Bhai, pehle apne wajan ka kuchh karo…'"
Vineet ne apni imagination mein khote hue kaha..
Vineet : "Maan le, mai school mein ek ladki ko pasand karta hun jaise hi mere abs ban jayenge, mai uske saamne jaaunga, gulab doonga aur kahunga, 'Tum meri queen banogi…?"
Akshat hansi-hansi mein jameen par let gaya usne mazak karte hue kaha..
Akshat : "Fir woh ladki jawab mein kahegi, 'Tumhare abs to achhe hain, par main sirf dost ban sakti hun...'"
Vineet ne takya uthakar uski taraf phekte hue kaha…
Vineet : “Tu har baar meri image kyu kharab karta hai?..."
Akshat ne hassii-hassi mein kaha..
Akshat : "Arrey, image ki chinta mat kar jab tu strong ban jayega, tab main khud tere liye mic lekar proposal speech taiyar karunga…
Lekin ek baat pakki hai, ladki ke han kehne se pehle woh tujhse jaroor puchegi, 'Tum sach mein Akshat ke dost ho?”
Dono jor-jor se hansne lage thodi der baad, Vineet ne muskurate hue kaha…
Vineet : "Bhai, tu bahut accha hai lekin agar kabhi meri image ki band baja, to uska credit tera sar jayega…”
Akshat ne jawab diya..
Akshat : "Aur agar teri image chamki, to uska credit bhi mere naam hoga ab so ja, nahi to subeh phir se jhagda karenge…"
Dono ne ek-dusre ko takya marakar goodnight kaha aur razai mein dubakkar so gaye. Kamre mein ab shaanti thi, lekin unki hansi-mazaak ki goonj abhi bhi dilon mein thi…
Ansh subah jaldi uthkar jogging ke liye nikal gaya. Thandi hawa, sunhari dhup, aur khali sadak par daudte hue woh poori tarah taro taza mehsoos kar raha tha..
Kareeb ek ghante ki daud ke baad, woh halei pasine mai bheega hua aur khushmizaaj hokar ghar laut aaya…
Suryavanshi Hall..
Hall mein Preetam ji aur Ranjeet ji aaram se bethkar chai ki chuskiyan le rahe the. Preetam ji ne chai ka ek ghunt leta hue kaha..
Preetam : “Ranjeet, yah subeh ki chai ka maza hi alag hai. Par ghar ke baaki log to sone ke liye jaise compitition kar rahe hai..”
Ranjeet ji muskurate hue bole..
Ranjeet : "Arey, bacchon ko sone do aaj ka camp unke liye kaafi adventures hone wala hai thoda aaraam kar lein, to behtar rahega…”
Subeh ka samay tha, aur hall mein Pritam ji aur Ranjeet ji aaram se chai peete hue baatein kar rahe the…
Tabhi darwaze se Ansh andar aaya woh subeh ki jogging se lautkar pasine se tarbatar tha, lekin uske chehre par ek halki smile thi..
Jaise hi woh andar aaya, Priyaji ne kitchen se aawaz lagai…
Priya : “Ansh, beta! Tum jogging se wapas aa gaye? Kuch piyoge..?"
Ansh ne sar hilate hue kaha…
Ansh : "Maa, ek cup coffee bana do, please…”
Priya ji ne muskurate hue jawab diya..
Priya : "Theek hai, beta bas do minute maj tumhari coffee taiyaar kar deti hoon…"
Tabhi Ranjeet ji ne mazak karte hue kaha..
Ranjeet : "Ansh, subeh-subeh itna kyun bhagte ho? Lagta hai ki jaise tumhe kisi ka peecha karna hai ya koi tumhara peecha kar raha hai…"
Ansh ne shaant lekin teekhe andaz mein jawab diya…
Ansh : "Chacha ji, bhagta isiliye hun taaki meri zindagi mein peecha karne layak koi cheez na rah jaye…
Aur waise bhi, jo log dusron ke peecha samay barbaad karte hain, vo aage badhne ka mauka kho dete hain…”
Ranjeet ji kuchh pal ke liye khamosh reh gaye, jaise unke paas koi jawab na ho. Preetam ji ne apni chai ke cup ko neeche rakhte hue jor se haste hue kaha…
Ansh : “Dad, ye to bas ek warm-up tha asli daud to abhi baki hai..”
Ansh ne sofe par bethe hue apni aankhein band kar li tabhi Priya ji coffee ka cup lekar aayi aur Ansh ko pyar se awaz dete hua kaha..
Ansh : "Lo beta, tumhari coffee ab tum aaram se betho, baki sab to vaise bhi aaj der se uthenge…”
Ansh ne coffee ka pehla ghunt liya aur sar hilate hue kaha..
Ansh : "Thank you mom aap hamesha sahi waqt par sahi cheez lati ho..."
Thodi hi der mein ghar ke baki bacchon ka hungama aur masti shuru ho gayi, aur poora ghar jeevant ho gaya…
Jaise hi subeh ka samay thoda aur aage badha, ghar mein halchal badhne lagi. Ansh apni coffee peete hue hall mein aaram kar raha tha. Preetam ji aur Ranjeet ji halke-phulke mazak mein vyast the…
Aur Priya ji rasoi mein nashte ki taiyaari kar rahi thi. Tabhi upar se achanak ek tezi se cheekh sunai di…
Awaaz : "Angy! Tumne ye kya kiya?"
Yeh Vineet ki aawaz thi..
Hall mein bethkar sabhi ne ek-dusre ki aur dekha. Ranjeet ji ne muskurate hue kaha…
Ranjeet : “Lagta hai, subeh ka show shuru ho gaya hai…”
Preetm ji ne chai rakhte hue kaha..
Preetam : “Chaliye, dekhte hain es baar kaun sa kaand hua hai…
Upar ke room mein Vineet apne bistar par betha tha, aur uska takya aur chadar pani se bheege hue the….
Angy, jo bagal mein khadi thi, apni shararat muskan chhipane ki nakam koshish kar rahi thi…
Usne Vineet ke bistar par pani daal diya tha,Vineet gusse mein ubal pada…
Akshat : "Vineet, thoda shant ho jao. Vaise bhi, tumhein har subeh kuch na kuch chahiye hota hai, jisse tumhara din shuru ho sake. Aaj pani se nahane ko mila hai, vo bhi free mein…."
Ansh, jo ab tak chupchap sab dekh raha tha, halki muskan ke saath bola..
Ansh : "Agar ye sab drama khatam ho gaya hai, to shayad sabko yaad dilaa dun ki humein camp ke liye samay par nikalna hai..”
Vaise Vineet, tum chaho to paani ki baalti saath le ja sakte ho. Shayad vahan kaam aaye…”
Ansh ki yeh baat sunkar Preetam ji aur Ranjeet ji hanste-hanste lotpot ho gaye. Vineet ne jhenpate hue kaha..
Vineet : "Haan, haan, bahut mazak bana lo lekin angy, aaj tum mujhse bach nahi paogi..”
Pure ghar mein thahakon ki goonj sunai deni lag padhi. Is tarah, hungame aur masti ke saath ghar mein subeh ki shuruaat hui…
Yeh scene ek pyaar bhare parivaar ki khushi aur masti ko show karta hai, jahan har koi ek dusre ke saath hasta aur masti karta hai…
Ghar mein hungame aur masti ke baad sabhi neeche nashte ke liye ikattha hue. Priya ji ne sabke liye parathe aur achaar taiyaar kiya tha, aur Meera ji ne garamagaram chai aur coffee ka intezam kiya..
Ranjeet ji aur Preetam ji apni-apni chai lekar hall mein newspaper padhne lage…
Priya : "Jaldi-jaldi khao, bacchon!!"
Priya ji ne sabhi ko toko..
Priya : Tum logon ko camp ke liye der nahi karni chahiye."
Vineet, jo abhi bhi subeh ki ghatna se thoda chida hua tha, haste hue bola..
Vineet : "Angy ne to meri subeh hi bigad di. Kam se kam ab mujhe nashta to chain se karne dijiye..."
Angy jo khane ki plate lekar bethi thi, shararati muskan ke saath boli..
Angy : "Bhaiya, maine to aapki subeh special banadi. Aapko to mujhe thanks bolna chahiye…”
Akshita ne Vineet ki aur dekhkar kaha..
Akshita : “Vineet, ab isse maaf kar do. Vaise bhi, camp jaane ke baad aur uske baad dusre planet jane ke baad tumhe Angy ki shararaten miss karne ka mauka nahi milega...”
Akshat ne thahaka lagate hue kaha…
Akshat : "Aur tumhari bhi miss karne wali list lambi hai Vineet lekin chalo jaldi khao, warna Ansh humein chhodkar chale jayega.."
Ansh ne shaant bhav se kaha…
Ansh : "Mai kisi ko chhodne wala nahi hun lekin haan ate hue to main koi zimmedari nahi lunga..”
Sabhi ne jaldi-jaldi nashta khatam kiya aur apne-apne bag tayar kar liye. Thodi hi der mein Ansh, Vineet, Akshat, aur Akshita camp ke liye nikalne ke liye tayar the…
Priya ji aur Meera ji ne sabhi ke bag check kiye, yeh confirm karne ke liye ki sab kuch theek se pack hai…
Angy aur Vaanya darwaze ke paas khadi thi, udasi unke chehre par saaf jhalak rahi thi. Jaise hi Akshita ne darwaze se bahar kadam rakha, Vaanya ki aankhon mein aansoo aa gaye…
Vaanya : "Akshita di, mujhe aapke bina achha nahin lagega..”
Vaanya ne ruanshi hokar kaha…
Akshita ne usse gale lagaya aur pyar se samjhaya…
Akshita : "Arrey, Vaanya, yeh sirf ek mahina hai. Aur phir, tum Angy ke saath khub masti karo gi mere bina tumhe pata bhi nahi chalega ki samay kab beet gaya…”
Vaanya ne subakte hue kaha..
Vaanya : "Lekin aap nahi hongi to maza kaise aayega? Aur Angy bhi mujhe hamesha pareshan karti rehti hai..”
Angy ne Vaanya ko chidhate hue kaha..
Angy : "Arrey, main to tumhare saath hun, tumhein akelapan mehsoos nahi hoga. Vaise bhi, mai tumhein itna tang karunga ki tum bhool jao gi ki Akshita di yahan nahi hai…”
Meera ji ne Vaanya ko samjhaya..
Meera : “"Beta, sab kuch theek hoga. Ek mahina jaldi beet jayega. Tum is dauran nai cheezein seekh sakti ho aur khud ko busy rakh sakti ho…”
Preetam ji ne haste hue kaha..
Preetam : "Aur Ansh, dhyan rakhna ki camp mein tum sab sahi samay par khana khao aur theek se so jao…
Wahan jakar mat bhool jana ki ghar mein tumhari maa tumhari chinta karti hai…"
Ranjeet ji ne Vineet aur Akshat ko halke-phulke andaz mein kaha..
Ranjeet : "Aur tum dono, vahan jakar apni shararaten kam karo. Varna camp se tumhari shikayatein pehle pahunchengi”
Ansh, Vineet, Akshat, aur Akshita sabhi ne vida li aur car mein btey gaye. Vaanya darwaze ke paas khadi thi, uski aankhon mein halki nami saaf jhalak rahi thi car start hui aur sabhi bacche camp ke liye nikal gaye..
(Camp mai zada kuch nahi hoga waha basic survival chijen sikhayi jayengi jese ancient time mai hoti thi..
Like alines ki body mai konsa hisse khane layak hote hai waha konse aag jalana yeh sab..)
1 month later..
Aaj sabhi bacche apne ghar aa chuke the..
Puri family ne sath mai nashta kara aur baccho ko raste ki thakaan mitane ke liye apne room Mai sone ke liye bhej diya..
Ansh apne kamre mein pahunchte hi window ke paas khada ho gaya..
Bahar ki halki hawa mein pedon ki pattiyon jhoom rahi thi. Lekin Ansh ka dhyan kahi aur tha…
Woh apne andar mojuud us jadui duniya ke baare mein soch raha tha jismein aaj pure 6 saal baad ek fruit aane wala tha…
Ansh ke paas yeh locket tab se tha jab woh pehli baar Angy se mila tha. Isse woh hamesha ek normal locket ki tarah pehna karta tha..
Lekin kuch samay pehle, jab usne apne andar ki chhupi shaktiyon ko pehchanana shuru kiya, to yeh locket aur bhi khaas lagna laga. Usse yaad aaya ki kaise anjaane mein, yeh locket uske aur ek mysterious world ke beech ek kadi ban chuka tha….
Lekin ab us locket ke andar woh stone nahi tha lekin Ansh ne woh locket kabhi nahi utara..
Us jadui duniya mein ek ped tha, jo behad anokha tha. Uski shakhein raat ke aakaash mein taaron ki tarah chamakti thi, aur uski jadhen zameen ke neeche ek mysterious energy se judi thi…
Yehi ped Ansh ke locket se juda hua tha, par Ansh ko ek baat ajeeb lagti thi ke locket ke andar kabhi raat nahi hoti thi, phir jab bahar ki duniya mein raat hoti to woh ped chamakne lagta…
Aaj voh din tha, jab us ped par pehla fruit aane wala tha. Yeh fruit kisi normal fruit ki tarah nahi tha…
Yeh power, mystery, aur new journey ka sabut tha. Ansh ne locket ki chain ko dekhte hue uski chamak mein badlav mehsoos kiya…
Locket halka garam ho raha tha, aur uski halki si chamak kamre mein ek alag hi mahaul bana rahi thi.
Ansh : “Finally, woh samay aa hi gaya..”
Ansh ne khud se kaha. Uski awaz mein excitement aur ek ajeeb si seriousness thi…
Ansh ne apni aankhein band ki aur us locket ke baare mein socha…
Tabhi usne aankhein kholi, to woh apne kamre mein nahi tha. Woh ab us locket ki duniya mein tha…
Jab locket us din achanak gayab ho gaya tha, tab Ansh ko samajh nahi aaya tha ki kya ho raha hai…
Par phir uase pata chala ki locket uske mind mein hi samaa gaya hai. Ansh aage badha aur us ped ke paas pahuncha. Voh ped apni poori aabha mein chamak raha tha, aur uski ek shakha par chamkile laal rang ka fruit dheere-dheere aakaar mein lehra raha tha…
Achanak, locket se ek dheemi si aawaz aayi, jo keval Ansh hi sun sakta tha…
Awaaz : "Yeh fal tumhara bhagya aur jimmedari ka pratik hai. Lekin ise pana aasan nahi hoga…"
Ansh ke chehre par halki bechaini aa gayi…
Us awaaz ne aage kaha..
“Yeh laal fal fire element ka prateek hai. Iske aage ke element tumhare naseeb par hai ki tumhein woh avsar mil pate hai ki nahi ki tum unhein pa sako…”
Ansh khud ko sambhalte hue apni saanson par kaabu karta hai..
Ansh : "Mujhe pata hai..”
Ansh ne fir dheere se kaha..
Ansh : “Yeh sirf shuruaat hai…”
Kuch der tak khud ko niyantrit karne ke baad, Ansh ne ek lambi saans li aur apni energy ko control kiya…
Fal ab bhi halki chamak mein tha, jaise usse aage badhne ke liye prerit kar raha ho. Ansh ne apne kadam badhaye aur us ped ke paas pahuncha, jiski shakha par voh laal fal jhool raha tha..
Jaise hi Ansh ne fal ko apne haath se chhua, usse apne andar ek garmahat si mehsoos hui. Yeh garmahat aisi thi, jaise kisi jalati hui kadhai par haath rakh diya ho..
Ansh ko apni skin par halki jalan mehsoos ho rahi thi lekin Ansh ki taakat pehle hi level 7 tak pahunch chuki thi…
Uski sahensheelta itni adhik thi ki usne dard ko nazarandaaz kar diya…
Ansh : "To ye hai jadui fal ki asli taakat..”
Ansh ne halki muskan ke saath khud se kaha. Uski aankhon mein confidence jhalak raha tha…
Ansh ne apni ungliyon se fal ko pakad liya. Woh janta tha ki isse todna aasan nahi hoga. Fal apne andar ki energy ke kaaran behad dridh aur majboot tha…
Usne apni taakat ko control kiya aur halka dabav dala. Fal ne ek halki si jhanjhanahat hui, jaise woh apne tode jaane ka virodh kar raha ho...
Lekin Ansh ke liye yeh koi badi chunauti nahi thi. Usne thodi aur taakat lagai aur kuch hi pal mai fal uski hatheli mein tut kar aa gaya…
Fir Ansh wapas apne kamre mein aa gaya, tab bhi voh fal uske haath mein tha. Darasal us locket ki duniya se kuch bhi bahar laya ja sakta hai, par koi bhi cheez andar nahi le ja sakte…
Ansh ne apne kamre mein aate hi darwaza band kar liya aur gehri saans li. Uske haath mein voh fal abhi bhi tha. Kamre ki halki roshni us fal ki chamak ko aur bhi rahasyamay banati thi…
Usne bistar par pair modkar bethne ke baad apne side table se ek sharp knife uthaya…
Ansh ne fal ko dhyan se dekha, uski satah abhi bhi thodi garm thi. Usze yaad aaya ki isse todne mein usne apni aadhi se adhik taakat ka istemaal kiya tha, aur phir bhi es fal ko tutne mein kuch samay laga…
Yeh fal apne aap mein kisi adbhut shakti ka pratik lag raha tha…
Ansh ne savdhani se chaku ko fal ki satah par chalaya. Usze laga ki yeh fal behad kathor hoga, lekin uski umeedon ke ulta, chaku fal par aise chala jaise woh makhhan kaat raha ho….
Ansh : "Yeh to maine socha tha usse bhi jyada ajeeb hai…"
Ansh ne man hi man kaha. Fal ke katte hi uske andar se ek chamakdar laal rang ka liquid bahar nikalne laga. Yeh liquid kisi normal jaisa nahi tha. Iski chamak aur gaadhapann usse alag bana rahe the…
Ansh ne chaku ko neeche rakha aur us fal ke andar jhank kar dekha…
Usne fal ko poori tarah se aadha kar diya aur dhyan se jaancha…
Ansh : "Yahan to andar khane layak kuch bhi nahi hai sirf yeh laal liquid…”
Ansh ne apne haatho ka thoda sa liquid uthaya yeh halka garam aur gaadha tha..
Jese hi Ansh ne apne hath mai liquid ko uthaya usse apni body mai thodi si sirhan mehsoos hui yeh energy ka sanket tha..
Ansh ne fir soch kar us liquid ko thoda sa pii liya liquid pine ke baad usse apne gale mai bahut zada garmi mehsoos ho rahi thi aur jalan bhi ho rahi thi..
Lekin Ansh ne liquid pina band nahi kara usse smjh aa gya tha ki yahi us fal ki asli chij hai jisse woh apna fire element jaga sakta hai isliye usne us fal ke mojuud saara ka saara red liquid pii liya..
Red liquid pine ke baad Ansh ko apni body hadd se zada garam mehsoos ho rahi thi usne apne jabaan kaatli taki dard se uski cheekh na nikal jaye..
Abhi thand ka mahina tha fir bhi Ansh ke shareer se pani ki tarah paseena beh raha tha..
Woh liquid ansh ke andar bahut zada energy relase kar raha thi aur woh energy Ansh ki chetna ke andar apni ek alag duniya bana rahi thi jo puri laal thi aur woh duniya dheere dheere apna aakar le rahi thi us duniya ka colour abhi orange tha..
Us duniya ko apna aakar lene mai takreeban 3 ya 4 ghante Lage aur woh 3 se 4 ghante Ansh ke liye kisi bure sapne se kam nahi the..
Sab log evolve hone ke baad apna element awaken karte hai lekin Ansh ne bina unevolve hue apna element awaken kara hai isliye uske liye yeh dard asaheniya tha..
Lekin Ansh ki soul pehle hi ek celestial level jitni powerfull thi isliye woh yeh dard sahen kar pa raha tha…
Jese hi us laal duniya ne apna aakar liya Ansh turant behosh ho gya…
Morning..
Subeh jab Ansh ne apni aankhein kholi to usne kuch der apni body ko apne control mai lene ke liye laga liye..
Aur jab uski body uske control mai aayi to usse apni body ke andar kuch changes lag rahe the usse ab zada thand nahi lag rahi thi aur uske senses bhi pehle se zada sharp ho gaye ho Ansh ko esa lag raha tha..
Ansh apne bed par beth gya aur dhyan ki mudra mai bethkar apne shareer ke andar dekhne laga..
Jab usne apni chetna dekhi to usne dekha ki uske chetna ke andar ek nayi duniya aakar le chuki hai jo abhi orange colour se chamak rahi thi..
Ansh ne yeh dekhkar khud se sawal kara..
Ansh : “Kya element awaken karne ke baad element ek duniya ka aakar le leta hai…?”
Ansh ko es baare mai zada nahi pata tha lekin yeh dekh kar usse itna to smjh aa gya tha aage chal kar uski chetna ke andar aur bhi bahut saare esi duniya banne wali hai..
Ansh ne apni chetna se dhyan hataya aur apni locket ki duniya par focus kara..
Agle hi pal jab usne apni aankhein kholi to woh apni locket ki duniya mai mojuud tha..
Ansh ko yaad tha fire element awaken karne ke baad usse fire element se related ek skill di jati isliye woh yaha aaya tha..
Ansh ne us duniya ke charo taraf apni nazarein ghumayi aur us bade se crystal ki taraf apne kadam badha diye kyuki usse waha ek stone tablet dikhai de rahi thi..
Usne aage jakar us stone tablet ko dekha..
Usme shuru mai fire element ke baare mai likha hua tha Ansh ne us bhasha ko padhna shuru Kara…
“Agni tatva, yaani fire element, ek prakritik shakti hai jo apne aap mein bahut hi adhik taakat aur urja ko samaati hai. Yah tatva apne andar mein ek teevr jaln aur urja ko ekattha karta hai, jo isse anya tatvon se alag banati hai…
Agni tatvo ko bhi aage badhaya ja sakta hai..”
Jese hi Ansh ne isse padha woh samjh gya kyuki usne har ek element ke baare mai acche se pata tha..
Usne us tablet mai aage padhna shuru Kara..
“Agni tatvo ko 4 baar evolve kara ja sakta hai..”
Yeh padh kar ansh ki aankhein badi ho gayi kyuki usse acche se pata tha fire element ko bas 2 baar evolve kara ja sakta hai aur yaha 4 baar kaha ja raha hai ye kese mumkin hai ab to Ansh ko apne aap par doubt ho raha tha ki usse elements ke baare mai kuch pata bhi hai ya nahi…
Ansh ne apni soch ko rok ke aage padhna shuru Kara..
“Pehla orange flame jo shuruwati aag hai es flame ko control karne wala zada tapman wali jagho par aaram se reh sakta hai aur uska agni tatva par pura niyantran nahi rehta..
Dusra red flame es flame ko control karne wala aag par aur adhik niyantran kar sakta hai aur woh agni se kuch chijen bhi bana sakta hai lekin uske liye uska apni agni par pura vishwas hona chaiye..
Teesra blue flame es flame ko control wala har agni se surakshit rehta hai chahe woh kisi bhi jwalamukhi mai kud jaye usse kuch nahi hoga aur usne agar apni agni par pura bharosa rakha to woh apni agni se ek sena ko bhi bana sakta hai lekin woh bas ek agni se surakshit nahi reh sakta aur woh hai black fire…
Chautha black fire jisse narak ki aag bhi kaha jata hai es agni ko kaabu karne wala har ek aag se bacha rahega uspar kisi bhi agni ke hamle ka koi asar nahi hoga aur yeh aag kisi bhi chij ko apne andar sokh sakti hai lekin es aag ko kaabu karne ke liye ek shaktishali shareer ki jarurat hai agar is aag ko istemal karne wale ka shareer shaktishali nahi hua to ye agni ussi hi apne andar sama legi….”
Yeh sab padhne ke baad Ansh ki haalat bahut zada kharab ho gayi thi..
Ansh : “Mujhe to red flame ke baare mai pata hai lekin blue flame aur black flame yeh dono kitne khatarnak hai…
Blue flame se hum khud ki sena bana sakte hai lekin yaha black fire ke baare mai zada kuch nahi likha agar blue flame se hum ek sena bana sakte hai to black flame kaabu karne wala kya kya kar sakta hoga..”
Yeh soch kar hi kisi ke bhi shareer mai thandak phel jayegi..
Ansh ne jese hi woh pura padha us stone tablet pe words apne aap change hone lage…
Yeh dekh kar Ansh heraan ho gya..
Aur ab us platform pe yeh shabd likhe hue the..
“Agni tatva ko kholne ke baad aapko ek skill di jati hai..
“FIRE BALL..”
Ansh ne yeh padha yeh padh kar usse bahut khushi hui..
Yeh padhne ke baad us bade se crystal ke andar se ek halki si laal roshni nikli aur Ansh ke andar sama gayi us roshni ke andar Fire ball ko banane ki saari jankari thi…
Fire ball ko thodi der smjhne ke baad Ansh ki aankhon mai chamak dekhi ja sakti thi..
Ansh ka dhyan us bade se crystal pe gya jo abhi janjiro se bandha hua tha..
Ansh : “es crystal ke andar shyd aur bhi kayi skills mojuud hai aur yeh sabhi shyd es duniya ko banane wali ki thi aur ab mai uska vanshaj hu..
Lekin uske apni sabhi chijen es locket ki duniya mai kyu rakhi aur woh kon hoga? waqt ke sath shyd mujhe iska jawab bhi mil jaye..…”
Fire ball skill milne ke baad us stone platform pe firse shab badalne lage..
“Es duniya ko agle sthar par le jane ke liye..
KYRIOS planet ke 20 basic fire element soul crystal…
0/20..”
Yeh padh kar to Ansh ki dil ki dhadkan ek sec ke liye ruk si gayi..
Kyuki fire element ke soul crystal bahut rare the aur usse fire soul crystal ko paane ke liye fire element se related aliens ko khatam karna hoga..
Aur kisi aliens se soul crystal milne ke chances bhi 60 ya 70 hote hai…
Aur Ansh ko 20 basic fire element soul crystal chaiye matlab usse 300 se zada fire element ke aliens ko maarna hoga ya usse zada..
Ansh : “kya yeh duniya pagal ho gayi hai agle sthar ke liye soul crystal bhala kon leta hai..
Agar mai soul crystal khareedta hu to shyd 1 fire element ke soul crystal ki keemat 30 se 35 lakh hogi aur mujhe 20 chaiye matlab takreeban 60 crore se zada honge...
Kya mai 20 fire soul crystal kisi se khareed lu..”
Ansh ke pass paiso ki koi kami nahi thi Priya ji, Meera ji, Adhiraj ji en sab ne Ansh ke account mai pehla se hi bahut se paise daale hue the..
Ansh business se related Meera ji ki help karta tha aur kuch strategy bhi discuss karta tha..
Usse jo profit hota tha Meera ji uska chhota sa hissa Ansh ke account mai daal deti thi Ansh ne shuru mai to mana Kara tha iske liye lekin Meera ji ke yeh kehne pad ki woh 1 se 10% profit hi daalengi to Ansh iske liye mana nahi kar paya..
Aur Meera ji ne yeh paise Ansh ke dimag aur uski strategy ke liye hi usse diye the..
Aur baaki paiso ki kasar Ansh ki maa matlab Priya ji puri kar deti thi har mahine Ansh ke account mai paise daal kar..
Ansh ne kabhi apna account check nahi kara lekin usse itna to bharosa tha ki uske account mai 100 crore se zada paise to honge…
Lekin Ansh ne fire soul crystal khareedna ka iraada apne dimaag se abhi ke liye nikal diya..
Ansh : “mujhe jald se jald powerfull hona hai uske liye mujhe apne har ek gene points ko pura karna hoga uske liye mujhe zada se zada aliens ko maarna hoga…”
Yeh soch kar Ansh apni chetna ko locket ki duniya se bahar nikalta hai…
Fir Ansh khada hua aur nahane ke liye chala gaya Ansh ne apna poora shareer saaf kiya jo uske pasine se chip chipa ho gaya tha…
Woh bahar aaya, kapde badle, fir usne room clean kiya, apne bistar ki rajai badli. Tabhi Ansh ke room ke darwaze par knock hua, bahar se aawaz aayi…
Awaaz : "Ansh beta, tum so rahe ho…?”
Ansh aawaz sun samaj gaya ki bahar Priya ji hai Ansh ne kaha…
Ansh : "Nahi maa, main abhi utha hun, bas fresh ho raha tha, abhi thodi der mein bahar hi aa raha hun.."
Yeh sun kar Priya ji chali gayi. Fir Ansh kuch der baad hall mein aaya. Ansh ne apne kamre se bahar kadam rakha. Uska chehra pehle se kaafi shaant lag raha tha..
Usne hall mein kadam rakha, jahan pura parivaar pehle se maujood tha…
Karnaveer ji aur Ranjeet ji sofe par bethkar kisi gehri baatcheet mein busy the. Akshat aur Vineet zameen par baithkar game khel rahe the, aur baaki log TV dekh rahe the. Mahaul halka aur aaram dayak tha…
Jaise hi Ansh ne kamre mein entry ki, Karnaveer ji ki nazar us par padi…
Karanveer : "Aao Ansh, idhar baitho..”
Karnaveer ji ne usse apne paas bulaya…
Andh ne dheeme kadmon se unke paas jakar sofe par bethe hue kaha…
Karanveer : “Ji dada ji, aap kaise hai?"
Karanveer ji ne muskurate hue uski taraf dekha…
Karanveer : "Mai to theek hoon beta, par tu kaisa hai? Subeh se tujhe dekha nahi. Sab theek to hai na…?”
Ansh ne halki muskaan ke saath jawab diya..
Ansh : "Ji, mai theek hun bas thodi thakaan thi, isliye der tak so gaya…"
Karanveer ji ne uski baat sunkar sir hilaaya aur kaha…
Karanveer : "Theek hai, lekin dhyan rakha karo, itni der tak sone ki aadat theek nahi.."
Ansh ne sahamati mein sar hilaya aur chupchap unke paas beth gaya. Is beech Akshat aur Vineet apni game mein itne khoye hue the ki unhein kuch aur hosh nahi tha…
Ranjeet ji ne Ansh ki taraf dekha aur muskurate hue kaha..
Ranjeet : "Toh, aaj ka kya plan hai, Ansh? Ya phir pura din aise hi nikal jaayega..?"
Ansh ne jawab diya…
Ansh : "Aaj toh kuch khaas nahi socha tha thodi der mein bahar jaakar workout karu..."
Ranjeet ji ne chutki lete hue kaha…
Ranjeet : "Workout? Wah! Accha hai vaise, ghar par hi rehkar kuch jimmedariyan bhi sambhal liya karo sab kuch game khelne aur sone se nahin chalta…”
Is par Ansh halka hansa aur bola…
Ansh : "Ji chacha ji, aapki baat hamesha yaad rahegi…”
Pura mahaul halka-phulka aur khushnuma tha. Lekin Ansh ke dimag ke kone mein ab bhi us apni skill aur fire crystal ki baatein chal rahi rahi thi…
Usne khud ko shaant rakhne ki koshish ki aur Karnaveer ji ke paas bethkar baaki ki baatcheet mein shaamil ho gaya…
Ansh Karnaveer ji ke paas betha hi tha ki achanak Angy bhagti hui uske paas aayi. Usne maasoomiyat se apni badi-badi aankhon se Ansh ko dekha aur bola…
Angy : “Bhai, maine suna hai ki dada ji keh rahe the ki aap log agle mahine dusre grah par jaane wale hain…”
Angy ne apni chhoti si ungli se Karanveer ji ki or ishara karte hue kaha…
Angy : "Bhai, dada ji keh rahe the ki aapko agle mahine se dusre grah par jaana hai. Aap log chale jaate ho to humein yahaan akele rehna padta hai…”
Ansh ne muskurate hue kaha…
Ansh : “Angy, tum akeli kaha ho? Vaanya tumhare saath hai na aur vaise bhi, yeh mission zaroori hai. Agar main aur team wahaan nahin jaaenge, to hamari raksha kaun karega..?"
Angy ne thodi naakhushi jataai..
Angy : "Lekin fir bhi, aap log chale jaate ho to accha nahin lagta…"
Ansh ne usse pyar se samjhaya…
Ansh : "Suno Angy, tum abhi chhoti ho lekin do saal baad jab tum badi ho jaogi, to tum bhi wahan aa sakti ho fir hum sab saath mein aliens ka mukabla karenge, theek hai…?”
Yeh sunkar Angy ka chehra khil uttha usne excitement mai kaha…
Ansh : "Sach mai? Main bhi jaungi? Fir to mai roz training karungi taki sabse takatvar ban saku!"
Ansh ne haste hue kaha..
Ansh : "Haan, lekin pehle apni padhai puri karo aur haan, khana khaogi ya abhi tak mood nahi hai..?"
Angy ne shararati andaz mei kaha..
Angy : "Mood ban gaya ab mai Vaanya ke saath khaungi lekin bhai, jaldi wapas aana..?"
Ansh ne muskuraakar uska sir thapthapaya..
Ansh : "Pakka, angy tum dono behno ka dhyan rakhna mera sabse bada wada hai…”
Angy khushi-khushi khane ke liye chal padi, aur Ansh ne raahat ki saans li ki usne usse phir se khush kar diya…
Raat ka khaana khatam hote hi dining table par halki-phulki hansi-mazak shuru ho gayi. Akshat aur Vineet kisi purane kisse par thahaake laga rahe the, jabki Karanveer ji ne ek-do chutkule sunaakar mahaul aur halka kar diya…
Ranjeet ji aur Priya ji bhi muskurate hue sabki baaton mein shaamil the…
Angy apni plate khatam karte hue Vaanya se kuch masti bhari baatein kar rahi thi…
Ansh hamesha ki tarah, is halke phulke mahaul ka hissa hote hue bhi thoda alag nazar aa raha tha….
Usne shaanti se khana khatam kiya aur apni nazron se parivaar ko dekha. Uske chehre par ek smile thi, jaise ki woh in chhote-chhote palon ko dil mein samet raha hai…
Karnaveer ji ne Ansh ko notice karte hue kaha.
Karanveer : "Ansh, aaj tum bahut chup ho..”
Ansh : "Kuch nahi dada ji, bas thoda thak gaya hun…”
Ansh ne halki muskaan ke saath jawab diya…
Karanveer : "Theek hai, aaram karo beta…”
Karanveer ji ne kaha, aur phir baaki sabhi apne-apne kamron ki or chale gaye…
Ansh ne table par bache hue glass aur plate ko ek nazar dekha aur kuch der vahi khada raha. Uska man shayad aane wale mission ya apni jimmedariyon ki or tha…
Woh halke kadmon se hall se bahar nikla aur apne kamre ki or badh gaya…
Kamre mein pahunch kar usne darwaja band kiya, apni jacket utari, aur bed par beth gaya. Uski aankhein khidki se bahar tim-timata taron ki or thi usne ek gehri saans li..
Aur khidki ke paas jakar khada ho gaya bahar aasman mein chamakte taare usse hamesha ki tarah sukoon dete the, lekin aaj uska man bechain tha…
Usne dheeme swar mein khud se kaha…
Ansh : "Itne hasi-mazak aur sukoon bhare pal. Shayad ye jyada din nahi rahenge…"
Usne apne baalon mein hath phera aur apni gehri soch mein kho gaya. Uske dimag mein mission ki strategy aur parivaar ke prati uski jimmedariyan ghumne lagi….
Ansh jaanta tha ki uska yeh serious ravaiya aksar parivaar ko khatakta hai, lekin woh unhein is tanav se dur rakhna chahta tha…
Ansh : “Mujhe majboot rehna hoga. Ye sab mere liye nahi, inke liye hai…"
Fir Ansh ne kuch soch kar apne kamre se bahar nikla aur Karnaveer ji ke kamre mai chala gaya…
Wahi Karnaveer ji ke kamre mein Karnaveer ji khidki ke paas hi khade the. Tabhi unke kamre mein knock hua to Karnaveer ji ke chehre par halki smile aagayi…
Karanveer : "Andar aao Ansh…."
Tabhi Ansh andar aaya aur unke saamne jakar khada ho gaya. Karnaveer ji ek sofe par beth gaye the Ansh bola..
Ansh : "Dada ji, aapko pata hai na?"
Yeh sunkar Karanveer ji bole..
Karanveer : "Haan, pata hai tum bhool rahe ho es ghar mein kuch bhi hota hai, voh mujhse nahi chup sakta Ansh, main yeh nahi poochhunga ki us letter mai kya tha aur kisse bheja, par bas tumse itna kahunga…
Ansh, gusse mein kabhi koi faisla mat lena hamesha apne thande dimag se sochna…"
Ansh : "Haan, dada ji, main jaanta hoon mai puchhne aaya tha ki 3 saal baad military camp ke baad jo meeting hai, usmein main tab tak apni pehchaan ujagar nahi karna chahta jab tak iski zaroorat naa padhe…"
Karanveer : " Theek hai, Ansh par mujhe nahi lagta tum sirf yeh batane ke liye aaye ho..”
Yeh sunkar Ansh bola…
Ansh : "Haan, aap sahi hai darasal, main yeh batana chahta tha ki main high base mein nahii jaana chahta…"
Karanveer : "Toh tum kaunse base mein jaana chahte ho, Ansh..?"
Ansh yeh sunkar bola..
Ansh : "Dada ji, main sabse dangerous base mai se ek mein jaana chahta hun.."
Yeh sunkar Karanveer ji jo shaant beth the, woh chok gaye aur bole.
Karanveer : "Par kyun Ansh? Mujhe laga tum middle level base mein kahoge, par tum dangerous level base keh rahe ho..?”
Agar waha tumhein kuch ho gaya toh tumhari maa seedha mera gala pakad lengi..
Nahi, nahi tum waha nahi jaoge…”
Yeh sun Ansh bola..
Ansh : "Dada ji, kisi ko kuch pata nahi chalega aur rahi baat mai waha kyu jana chahta hu kyuki waha par aliens jyada hai..
Aur Agar khatra na liya jaye toh kuch haasil bhi nahi kiya ja sakta isliye aur aap chinta mat kijiye, main waha par safe rahunga…"
Yeh sun Karanveer ji mana karna chahte the, par ant mein unhe maanna pada…
Ansh : "Theek hai, par yaad rahen tumhe iske baare mein kisi ko bhi mat batana…"
Yeh sun Ansh ne kaha..
Ansh : "Theek hai, dada ji mai bas khud ko nikharna chahta hun..."
Karanveer : "Theek hai, theek hai ab jao apne kamre mai kal hum sab sabhi ke liye behtar martial art khojenge…"
Yeh sun Ansh bhi waha se chala gaya…
Continue~~
[Update length 11.9k+ words ki hai and koi word mistake ho to plz bata dena....
family scenes and information ke chakkar mai update bada ho gya and kuch ai pics bhi use kari hai isme...
Ansh ka dangerous base par jana ka decision sahi tha ya nahi sab batana..
likes and comments kar dena baaki agle update mai..]