• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
134
259
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇


And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

MrHandsome

New Member
48
99
19
Bro story achi chal rahi hy. Aur umeed hai k ahge b ahsy hi achi chale gi. Or incest mat use karo. Story isi trha thik hai.
Goodluck for next updates..
 
  • Like
Reactions: Dolar

Dolar

Member
134
259
64
Bro story achi chal rahi hy. Aur umeed hai k ahge b ahsy hi achi chale gi. Or incest mat use karo. Story isi trha thik hai
Ok bro incest use na karne ka main reason pata chal gya hai ki Ansh ki family kesi hai isliye mai isme incest add nahi karna chahta..
Goodluck for next updates..
Next update mai thoda time lagega abhi likhna bhi shuru nahi kara shyd kal ya parso update mil jaye..
 

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
UPDATE-0
INTRODUCTION

Hum insaan es dharti ke sabse viksit prani hai. Hum hamesha do chijon ki taalash karte hai..

Ek taaqat aur dusra paisa, Inke bina hamaari zindagi nahi chalti. En do chijon ko pane ke liye hum apni ka khun bhi baha dete hai. Par, par iske alawa bhi hum insaano mai ek aur chij hai aur woh hai jigyaasa.

Kyuki insaan es duniya, antariksh aur dusri duniyaon mai jee rahi prajati ke baare mai janne ke liye nayi nayi khoj aur jaankari paane ke liye utsuk rehte hai. En experiments se khud ko evolve karne ke alag alag aur tarah tarah ke kadam bhi uthate hai..

Hum es anant brahmand ko samjhne ke liye aaye din naye naye experiment karte rehte hai fir bhi hum insaan es anant brahmand ke kisi bhi rahesyo ko puri tarah se jaan nahi paaye hai...

Fir bhi hum insaan ne kabhi bhi haar nahi maani. Haar jane ke baad bhi hum hamesha firse prayash karte hai taaki hum safal ho jaye..

Isliye insaan dusri prajatiyon aur grahon ke baare mai janne ke liye har hadd paar kar dete hai. Har experiment ke baad insaan ki jigyaasa badhti jaati hai, jisse woh aur adhik prayog karte hai..

Par insaan ki jigyaasa tab paar kar gayi, jab unhe ek aur prajati Braze ke baare mai pata chala, us samay insaan bahut kamzor the lekin Braze ke pass bahut saare aadhunik hathiyaar aur unki khud ki taaqat insaano se kayi zada thi. Jab insaano ko Braze ke baare mai pata chala to puri duniya ke research centers mai hahakar mach gya. Sabhi research centers ne milkar insaano ko aur takatvar banane ka faisla kara aur prayog shuru hue..

Ek din insaano ko safalta hath lagi. Unhone ek ese planet ki khoj kari jisse KYRIOS kaha jata tha. Es planet pe bahut zada aliens rehte the un aliens ko maarne ke baad insaan unse unki energy haasil kar khud ko aur zada taakatvar bana sakte the..

Es duniya mai kayi alag alag tarah ke aliens rehte hai. Insaano ne ek teleportal ka invention kara aur apne 20 logo ki ek team ko us planet pe bheja. Lekin unme se sirf 3 log hi bachkar wapas aa paye..

Woh 3 log the..


1. Vipul Rajvansh
2. Raj Agarwal
3. Aditya Kumar


Fir es tarah ke aur bhi missions chalaye gaye. Iske baad scientists ne KYRIOS ke baare mai aur bhi research ki aur army ke sath milkar kuch jagho pe base banaye gaye aur unhe viksit kara. Dheere dheere waha insaano ko bheja jane laga.

Ab KYRIOS ko khoje hue takareeban 300 saal ho gaye the. Ab prithvi par bahut kuch to nahi, lekin thoda bahut badal gya hai. Aaj Earth pe 2030 chal raha hai. Ab insaano ne technology ke sath jeena seekh liya hai.

Halaki abhi bhi jyadatar chijen pehele jesi hi hai. Bacche school jate hai, sadkon pe traffic hai. Udne wali cars aur dusri technology mojuud hai, lekin unka zada upyog nahi kiya jata. Unhe kewal military aur bade parivaaron ke liye hi istemaal kara jata hai...

Ab baat karte hai KYRIOS ke baare mai..

KYRIOS pe kese jana hoga aur waha kya karna hoga..?

Darasal prithvi pe bacchon ki growth pehle se alag ho chuki hai. Jo log KYRIOS pe gaye the, unke vanshaj samanyo baccho se jyada samajhdaar ho gaye hai.

Udhaaharan ke liye kisi 6 saal ke bacche ka dimaag kisi 10 saal ke bacche ya kisi genius jesa ho sakta hai. Ese mai 6 saal ki umar mai hi unka dimaag aur shareer kisi 14-15 saal ke bacche je
sa ho jayega. Issi wajah se woh chhoti umar mai physically aur mentally dono tarah se majboot hote hai..

Es duniya mai sirf 10% logo ko hi pata hai es secret mission ke baare mai abhi sabhi ko nahi bataya gya hai es mission ke baare mai...


Continue-
[Es story ma dusri duniyaon ke baare mai janne ko hoga aliens honge jinke sath fight hogi and and and aur bhi bahut kuch hoga bas yeh update ek introduction tha taaki story ke plot ka ek basic idea lag jaye baaki chijen aage story ke sath sath pata chal jayegi aur kab tak aap sabhi es intro pe thode bahut comments and likes de sakte hai isse mujhe koi aapatti nahi hogi😋]
Great start......Let's see aage kya hoga.
Kya story sirf do planet per hi ghumegi yaa mutiverse jaisa kuch hoga.
Vaise ye secret mission ka head kon hai?
Yarr koi to introduction ke baare mai batao taaki mujhe bhi lage readers bhi es story ko padhne ke liye interesting hai🥲
a poster that says you can do it with lucas & friends
a cartoon of two penguins standing next to each other with the words best of luck written above them
 
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
134
259
64
Great start......Let's see aage kya hoga.
Kya story sirf do planet per hi ghumegi yaa mutiverse jaisa kuch hoga.
1st evolution ke baad insaan Celestial banta hai uske aage evolve hone ke liye unhe dusre planet jan hoga..

Multiverse jaisa ho sakta hai kyuki angy ki maa ek dusre dimension se hai..
Vaise ye secret mission ka head kon hai?
Yeh secret mission braze ke baare mai pata chalne ke baad shuru hua tha aur kab duniya bhar ke researchers ne milkar yeh mission shuru kara..

And iske baare mai government ko bhi pata hai main head to government hi hai lekin iski jimmedaari kis insaan ko mili hai woh may be mai future update mai show karu..
Thanks bro
 
  • Like
Reactions: A users
Top