• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
134
258
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇


And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
1st evolution ke baad insaan Celestial banta hai uske aage evolve hone ke liye unhe dusre planet jan hoga..

Multiverse jaisa ho sakta hai kyuki angy ki maa ek dusre dimension se hai..
oh..
Yeh secret mission braze ke baare mai pata chalne ke baad shuru hua tha aur kab duniya bhar ke researchers ne milkar yeh mission shuru kara..

And iske baare mai government ko bhi pata hai main head to government hi hai lekin iski jimmedaari kis insaan ko mili hai woh may be mai future update mai show karu..

Thanks bro
👍
 
  • Like
Reactions: Dolar

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
UPDATE-01
MYSTERIOUS LIGHT...

Jesa mene update 0 mai bataya tha yeh story 2030 mai chalegi and iska real world se koi lena dena nahi hoga..

Shaam ke samay ek 6 se 7 saal ka ladka jisne ek black shirt aur ek black pant pehni hui thi uske kapde dikhne mai mahenge lag rahe the aur usne apne kandho pe ek beg liye hua tha aur uski aankhen neele rang ki thi woh ek market mai bas chale ja raha tha aur uski kad kathi kisi 13 ya 14 saal ke bacche jesi thi..

Woh ladka bas yuhi chale ja raha tha..

Shyd us ladke ko khud nahi pata tha woh ja kaha raha hai aur kyu ja raha hai..

Woh ladka dikhne mai bahut sundar tha woh ladka chalte chalte ek jagha ruk jata hai uske samne ek chai ki tapri thi waha mojud samose ko dekh kar woh apna gale se apna thuk nigal leta hai aur apni pant ki pocket mai paise tatolane lagta hai..

Apni pant ko tatolane ke baad usse apni pant ki pocket mai se 500 ke 2 se 3 note milte hai..

Woh ladka us dukaan ke pass jata hai aur chai wale se kehta hai....

Ladka : "chacha yeh samose aur chai kitne ki hai.. "

Chai wala : "Beta yeh samosa ₹15 ka ek hai aur chai 10 ki hai... "

Ladka : "chacha do samose aur ek cup chai dedo.. "

Chaiwala us ladke ko 2 samose aur ek cup chai de deta hai..

Chai aur samosa lekr fir woh ladka wahi beth jata hai aur apni chai aur samose khane lagta hai..

Thodi der mai woh apne samose kha leta hai aur chai bhi pi leta hai fir woh chaiwale ko paise deke wahi betha rehta hai yeh ilaaka Delhi se kuch dur pe tha es jagah pe zada log nahi aate the yeh ek chhota sa town tha jiske piche ek pahaad aur ek chhota sa jungle bhi tha..

Us ladke ko wahi bethe bethe ab raat ke 10 baj gaye the us chai wale ne bhi apni dukaan band karli thi par woh us ladke ko bahut gaur se dekh raha tha..

Us chaiwale ne ek baar us ladke se puchne ki bhi koshish kari lekin us ladke ne thik se koi jawaab nahi diya us chaiwale ne apni dukaan band kari aur uske piche uska ghar tha wahi chala gya uske jane ke baad us ladke ne apne aas pass dekha ab waha aas pass zada log nahi the..

Sabhi dukaanen ek ek karke band ho rahi thi us ladke ne apna beg khola aur usme se ek blanket nikala aur us chaiwale ki dukaan ke aage ek saaf jagha dekh kar wahi apna blanket aud kar woh ladka wahi so jata hai..

Next Morning...

Agli subhe jab woh chai wala waha aaya to usse bahut ajeeb laga kyuki us ladke ke kapde dekh kar lag raha tha woh thode ameer ghar se hai lekin woh raste mai so raha tha woh chaiwale us ladke ke pass aaya aur us ladke ko uthaya..

Chaiwala : "beta kya tum yaha akele ho.."

Us ladke ne bas apna sar han mai hila diya kyuki us ladke ko us chaiwale ki aankhon mai koi khot nazar nahi aa raha raha tha..

Ladka : "chacha mujhe koi kaam ki jarurat hai mai koi bhi kaam karunga.. "

Yeh sun woh chaiwala bola..

Chaiwale : "beta tum abhi bahut chhote ho.. "

Yeh sun woh ladka bola..

Ladka : "chacha aap es baat ki fikr mat kijiye bas mujhe kaam ki jarurat hai.. "

Woh chaiwale bhi duvidha mai pad gya tha yeh dekh woh ladka bola...

Ladka : "chacha aap fikr mat kijiye agar mujhse koi bhi puchega ki mai kon hu to mai bol dunga mai aapka rishtedaar hu aur aapki madad kar raha hu.. "

Wese us ladke ki umar 7 saal ki thi par uski kad kathi 13 saal ke bacche jesi thi mene yeh update ke shuru mai hi bata diya tha..

Us chaiwale ko bhi apni dukaan mai kisi ki jarurat thi isliye usne kaha..

Chaiwale : "accha thik hai yaha aane walo ko samose aur chai paros dena iske badle mai, mein tumhe do time ka khana aur apne ghar mai rehna dunga aur mahine ke ₹5000 de dunga.. "

Yeh sun us ladke ne jhat se han bol diya..

Chaiwale : "wese bacche tumhara naam kya hai..."

Woh ladka kuch soch kar apna naam bata deta ha..

Ladka : "chacha mera naam Ansh hai.."

6 Months Later....

Ansh ko waha kaam karte hue ab 6 mahine ho gaye the Ansh har subhe us chaiwale ki madad karta aur shaam ko apni training karta tha woh kis chij ki training karta tha yeh to hume aage pata chal jayega..

Ansh ne ab isse hi apna routine bana liya tha itni mehnat karne ke baad bhi Ansh Level 1 ke mid mai bhi nahi aa paya tha..

Ansh training karne ke liye us town se 2 km chalkar us pahaad ke paas jata tha aur apni practice karta tha..

Ansh wahi ek patthar pe betha hua apni soch mai ghum tha woh shyd apni kismat ko kosh raha tha kyuki woh itni mehnat karne ke baad bhi Level 1 ke mid mai nahi aa paya..

Woh apne man mai hi sochta hai..

'Agar mene ese hi training karta raha to aane waale 100 saalo mai bhi mein 5 level tak hi pahuch paunga bhagwaan aakhir isme meri galti kya hai...'

Ansh niraasha mai apna sar jhuka leta hai aur apne aap se kehta hai..

"Agar mai taakatvar nahi hua to mere sath galat karne walo ko mai saza kese dunga..."

Yeh soch kar Ansh ki aankhon mai aansu aa gaye the..

Ansh jis jagha pe tha yeh jagha woh pahaad ke niche wala hissa tha yaha koi janwar nahi aata tha Ansh ke 500m par ek road thi aur uske side mai hi yeh khali ground tha jaha Ansh apni training karta tha fir ek dahlaan thi jiske upar se woh pahaad shuru hota tha..

Aaj chand bhi badlo ke bich chhup gya tha Ansh abhi yeh sab soch kar udaas ho hi raha tha ki tabhi usse ek roshni mehsoos hoti hai Ansh apna sar upar karke dekhta hai to usse acchanak pahaad ke upar ek safed roshni dikhai deti hai yeh roshni bahut halki thi lekin jaha Ansh khada tha waha se yeh roshni dekhi ja sakti thi agar Ansh waha khada nahi hota to shyd usse woh roshni dikhai hi nahi deti..

Ansh woh roshni dekh kar apne man mai hi kehta hai..

'Jaha se yeh roshni aa rahi hai us jagah pe to koi nahi jata aur shyd us jagha kuch mines hai lekin us jaghe ki to pehele hi puri tarah se mining ho chuki hai aur waha se saari chijen bhi nikal li gayi thi to fir yeh roshni kaha se aa rahi hai... '

Darasal kaha se woh roshni aa rahi hai wahi woh mines thi jaha se sab kuch mine kar liya gya tha aur yeh baat Ansh ko yaha aane ke baad town ke logo se hi pata chali thi..

Ansh ne dhyan se us roshni ko dekha to usse yeh roshni normal nahi lagi matlab Ansh ko yeh roshni normal torch ki roshni nahi lag rahi thi..

Ansh ko pata nahi kyu andar se esa mehsoos ho raha tha jese waha par kuch hai Ansh apni utsukta nahi rok pa raha tha uski shant neeli aankhon mai yeh janne ki utsukta thi ki woh roshni kesi hai woh roshni kuch der baad gayab ho gayi aur thodi der baad firse dikhai di..

Ansh us roshni ko dekh kar heraan tha aur uski utsukta badhti hi ja rahi thi yeh janne ke liye ki waha kya hai Ansh jaldi se us pahaad ke upar jana shuru kar deta hai Ansh pahaad ke upar jane wale rashte ke bajaay chadhai wale rashte se ja raha tha...

Thodi der mai hi Ansh un mines ke pass pahuch jata hai waha charo taraf jungle the bas kuch jagho pe mining ki gayi thi waha 3 ya 4 gufaaen bhi thi ussi mai se aakhri wali gufa mai se woh roshni aa rahi thi..

Ansh yeh dekh kar apne man mai kehta hai..

'Mai yaha aa to gya lekin ab mujhe waha jane mai pata nahi kyu thoda dar lag raha hai.. '

Ansh himmat karke apne man mai kehta hai..

'Chalo yaha aa to gaye hai ek baad dekhna to banta hai aakhir yeh roshni kesi hai aur kaha se aa rahi hai..'

Ansh apne man yeh thaan kar us roshni wali gufa ki taraf badh jata hai jab woh pass jakar us gufa ke andar dekhta hai to woh puri ki puri gufa roshni se bhari hui thi..


Ansh yeh dekh kar dheere dheere us gufa mai jana shuru karta hai mining karne ke liye us gufa mai jo lights lagai gayi thi woh sabhi ki sabhi lights band thi yeh dekh kar Ansh apne man mai kehta hai..

'Yeh saari lights to band hai fir yeh roshni kaha se aa rahi ha thoda aur andar ja kar dekhta hu shyd es light ka source mil jaye.. '

Ansh bahut dheere dheere chal raha tha taaki uske chalne se koi awaaz na ho aur agar aage koi khatra ho to woh turant us gufa se bhag sake....

Woh gufa aam gufa jesi hi dikh rahi thi lekin us gufa mai ek ajeeb baat thi jab Ansh ne gufa ki ek side ko touch kara to usse bahut thanda feel hua aur gufa ki dusri side ko touch kara to usse bahut garam feel hua..

Gufa ki right side ek dam thandi thi matlab khoon ko bhi jama de itni thandi thi Ansh yeh dekh kar apne man mai kehta hai..

'Aakhir yaha ho kya raha hai Left side ki deevar garam hai aur right side ki deevar itni thandi kuch to gadbad hai es gufa mai kya mujhe wapas chale jana chaiye..'

Lekin Ansh kuch soch kar wese hi gufa mai chalne lagta hai..

Ansh ko ese hi chalte hue takareeban 30 min ho gaye the par Ansh ko us gufa ka koi ant dikhai nahi dikh raha tha Ansh bas chale ja raha tha ki tabhi woh roshni gayab ho gayi yeh dekh kar Ansh bahut zada dar gya..

Aas pass ek dam ghana andhera ho gya tha aas pass kuch bhi dikh nahi raha tha yeh dekh kar Ansh man hi man kehta hai..

'Arre yaar mai kaha fas gya mujhe yaha aana hi nahi chaiye tha.. '

Ansh ek side ki deevar ka sahara le kar kisi tarah aage badh raha tha kareeb aadhe ghante baad woh roshni firse us gufa mai dikhna shuru ho gayi thi ye dekh Ansh ek raahat ki saans leta hai..

Par woh chain ki saans le pata ki kabhi woh roshni bahut zada badh gayi jisse Ansh ko apni aankhen band karni padi aur fir acchanak gufa mai bhukamp aane lage puri gufa joro se hilne lagi aur upar se kuch patthar tut kar niche girne lage..

Ansh yeh dekh kar dar gya aur jameen pe gir gya par usne kisi tarah khud ko himmat di..

'Ansh chal beta tujhe kisi bhi haal mai yaha to nahi marna hai.. '

Yeh sochkar Ansh khada hua aur kisi tarah usne apni aankhen kholne ki koshish kari aur jis disha se woh es gufa mai aaya tha us disha mai woh daudne laga...

Par woh apna ek kadam aage badha pata ki tabhi usse apne piche se ek ajeeb sa ehsaas hua es ehsaas ke kaaran Ansh saans bhi nahi le pa raha tha Ansh abhi es bhayank ehsaas ke baare mai soch bhi pata ki tabhi usse apne peeche se ek jordaar kheenchav mehsoos hota hai..

Jese koi black hole khul gya ho, Ansh ko esa hi mehsoos ho raha tha Ansh ne aas pass dekha aur pass mai hi mojuud ek patthar ko pakad liya..

'Yeh kesa kheenchav mai isse zada der nahi jhel paunga hai bhagwaan kya aap chahte hai mai ese hi mar jau.. '

Ansh ne apni pakad us patthar pe aur kash li par uska koi faida nahi hua woh kheenchav itna taaqatvar tha ki Ansh ke sath sath woh patthar bhi us gufa ke andar ki taraf kheenchta chala gya Ansh ko kuch samajh nahi aa raha tha woh us force ke sath bas kheenchta chala ja raha tha ese hi Ansh kareeb 15 minutes tak us force ke sath kheencha chala gya aur aakhir mai woh kheenchav chala gya aur Ansh jo yaha kheenchta hua ek dusri gufa mai aa gya tha..

Us kheenchav ke jane se Asnh jo kheenchta hua ek alag hi gufa mai aa gya tha woh kheenchav jane se acchanak jameen pe gir jata hai..

Ansh -"Ahhhhhahahaa... "

Ansh apne dard pe kaabu karke khada hota hai aur us taraf dekhta hai jaha se woh aaya tha aur fir apne aas paas dekhta hai Ansh ne apni pocket se ab apna phone nikal liya tha..

Chai ki dukaan mai kaam karte hue Ansh ne yeh phone khareed liya tha..

Woh phone nikal kar uski torch open kar leta hai aur apne aas pass dekhne lagta hai kyuki ab us gufa se woh roshni bhi ek dam gayab ho gayi thi woh firse us taraf dekhta hai jaha se woh aaya tha ab phone ki roshni se usse apne aas pass us gufa ke alawa 5 aur gufa dikhai de rahi thi yeh dekh kar Ansh heraan ho gya aur Ansh jaha khada tha woh jagha 50m ucchi aur 100m chhodi thi Ansh ko phone ki roshni se zada aage ka kuch dikhai nahi de raha tha..

Ansh apne man mai kehta hai..

'Beta Ansh kya jarurat, kya jarueat thi tujhe yaha aane ki ab wapas jau ya gufa mai aage jau agar wapas gya to woh kheenchav shyd firse aa jaye aur mujhe firse ab hawa mai nahi udna hai.. '

Ansh yeh soch kar ek gehri saans leta hai aur us gufa mai badhne lagta hai..

"Jo hoga dekha jayega.. "

Yeh bolkar Ansh apni saanson ko kaabu karke aage badhne lagta hai..

Ansh ne aage jane ke liye abhi ek kadam aage uthaya hi tha ki kabhi woh roshni firse aa gayi roshni ki wajah se Ansh ne apni aankhen firse band karli..

Aur kuch der baad Ansh ne apni aankhen kholi aur roshni ki taraf dekhne laga tabhi Ansh ko jo dikha woh dekh kar to uski aankhen heraani se badi ho gayi darasal yeh roshni ek darwaje se aa rahi thi..

Ansh yeh dekh kar abhi heraani se us darwaja ko dekh hi raha tha ki tabhi woh darwaja aachanak dheere dheere gayab hone laga woh darwaja gayab hota aur dikhai deta esa hi kayi baar hua yeh dekhkar Ansh bahut zada heraan tha Ansh us darwaja ke pass nahi gya bas duur de se hi us ajeebogreeb darwaja ko dekhta raha..

Woh darwaja puraane jamaane jesa lag raha tha lakdi se bana hua aur aadha gol bhi tha uske side mai bahut saare ajeebogreeb chin bhi bane hue the aur kuch ajeebogreeb bhasha mai bhi likha hua tha..

'Mene ese kisi darwaja aur esi kisi bhi bhasha ke baare mai kabhi nahi suna aur nahi dekha hai .. '

Ansh apne man mai yeh soch hi raha tha ki kabhi woh darwaja acchanak jor-jor se hilne laga aur ab woh darwaja gayab bhi nahi ho raha tha..

Ansh yeh dekhkar heraan ho gya aur us darwaja ko dhyan se dekhne laga ab woh darwaja dheere dheere thoda khulne laga tha aur thodi der mai woh darwaja puri tarah se khul gya uske piche pura andhera tha aur Ansh abhi us darwaja ke piche kya hai woh dekh hi raha tha ki kabhi us darwaja mai se achanak koi ud kar bahar aaya aur samne ki deevar se jakar takra gya woh darwaja bhi turant band ho gya aur woh darwaja wapas gayab jese hone laga lekin woh darwaja puri tarah gayab nahi hua tha..


Continue..

[Yeh mera es story ki real starting ka 1st update hai and iski length 2.5k+ words ki hai aab yeh mat puchna mene count kara hai kya, aage aane wale updates mai story ke updates ki length increase karne ki puri koshish karunga..

Ab chalo story ke baare kai thodi baat karlu..

Us darwaja se kon udkar bahar aaya aur kya woh Ansh ke liye koi khatra hoga ya uski puri life yaha se badal jayegi aur Ansh kon hai aur ek 7 saal ke bacche ke sath kisne kya galat kara hai woh bhi ek sawal hai jiska jawaab to yeh story padhne ke baad aap sabhi ko mil jayenge..

And yeh chhota sa update aap sabhi ko kesa laga comments karke bata dijiye..

Kab tak ke liye by.. ]
Nice start😁....to hero ka naam Ansh😁 hai lagta hai usko ghar se nikal diya hai ya fir uske family pe attack hua ho aur vohi sirf bacha ho.....Abhi Ansh kamjor lag raha hai......:reading1:Dekhna🤔 hoga ki white light Ansh ke jivan me kya badlav lati hai🤔agle update me:flybye:✨
 
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
134
258
64
Nice start😁....to hero ka naam Ansh😁 hai lagta hai usko ghar se nikal diya hai ya fir uske family pe attack hua ho aur vohi sirf bacha
Read update 4 and 5
ho.....Abhi Ansh kamjor lag raha hai......:reading1:Dekhna🤔 hoga ki white light Ansh ke jivan me kya badlav lati hai🤔agle update me:flybye:✨
Read update 2

Answer mil jayenge 😀
 
Last edited:

Dolar

Member
134
258
64
UPDATE-06
EXCHANGE..

Ab tak...

10 second..

9…

8…

7…

6…

5…

4…

3…

2…

1…

Dhammmmmm… ..

Ansh apni jagha par hi gir gya....

Ab aage..

Aaj jab Adhiraj ji aur Karanveer ji Ansh ki jaanch kar rahe the, tab unke chehre kuch ajeeb aur gambheer ho gaye. Unhein Ansh ke andar kuch ajeeb laga…

Karanveer : "pitaji, ye Ansh ke saath kya ho raha hai? Mujhe uski chetna bahut mushkil se mehsoos ho rahi hai…”

Adhiraj ji kuch der kisi soch mein gum ho gaye aur unhone Ansh ka haath pakad kar apna poora dhyan uske upar laga diya. Kuch der baad unhone apna haath peeche liya aur Karanveer ji ki taraf dekh kar bole…

Adhiraj : "Tum abhi vapas jao…”

Karanveer : “par pitaji... Ansh…”

Adhiraj : “Wo theek hai, agar kal subah tak usse hosh nahin aaya to samajh lena hum nakamyab hue hain. Tum vapas jao aur us bacchi Angy ko yahaan laao, saath mein baaki bacchon ko bhi lekar aana. Main un sabhi ki condition check karna chahta hoon. Vese Angy ki progress kaisi hai, tumne mujhe bataya nahin… ?”

Ye sun kar Karanveer ji bole…

Karanveer : “Pitaji, wo mujhe bhi nahin pata. Darasal main wahan jitni bhi baar gaya, maine kabhi bhi bacchon ko nahin dekha tha…."

Adhiraj : “Thik hai, unhein yahaan leke aao, unki jaanch main khud karunga…”

Karanveer : “Thik hai, pitaji…”

Iske baad Karanveer ji wahan se chale gaye. Unke jaane ke baad room ka darwaza dheere-dheere khar-khar ki aawaz ke saath bandh ho gaya. Darwaza bandh hone ke baad Adhiraj ji ka chehra jo abhi tak bina emotion ke tha, achanak unke chehre par uljhan aur hairani ke bhav aagaye.

Adhiraj : ‘Ye kaise ho sakta hai? Mujhe pata tha iski aatma bahut kamzor thi, to ye 6 mahino mein itni strong kaise ho gayi? Iski aatma abhi kisi Celestial jitni strong hai, par iska sharir bahut kamzor hai. Par ye kaise ho sakta hai? Ek unevolve insaan ki aatma itni strong kaise ho sakti hai? Maine aaj tak iske baare mein kabhi nahin suna… “

Fir achanak wo hansne lage…

Adhiraj : “hahahah... Haaaann, haan…”

Wo kisi pagal ki tarah has rahe the….

Adhiraj : “Rajvansh parivaar, mujhe nahi pata tumne itne keemti heere ko kaise khoya hai.. “

Fir wo wahan se khade hue aur kamre se bahar nikal gaye. Unhone Jatin jo wahan ke kamron ki dekh-bhaal ka dhyan rakhta tha, usse kaha..

Adhiraj : "Ansh ko koi pareshan na kare..."

Fir wo wahan se chale gaye…

Wahi, Ansh jiski chetna behosh ho gayi thi, wo dheere-dheere jaagne lagi….

‘Aa…’

Ansh ne apna sar pakad liya….

‘Ye mere sar mein itna dard kyu kar hai..?’

Dheere-dheere Ansh shaant hua aur usse sab jo hua tha, wo yaad aane laga..

Ansh ne jaldi se apne aapko ek baar dekha. Wo ek dam theek tha. Mai pure 3 ghanton se behosh hun. Fir Ansh ne khud ko shaant kiya aur phir se usne us locket ke bare mein socha…

Ansh ke locket ke baare mein sochte hi uski aankhon ke saamne andhera chha gaya aur kuch der baad usne apni aankhein kholi to es baar uski aankhon mein bahut tej ek roshni giri, isliye usne apni aankhein vapas bandh kar li…

Tabhi Ansh ke kaanon mein ek awaaz gunji. Ye awaaz kisi budhe ki thi, par ismein ek bhari pan aur dabav tha, jaise kisi devta ki awaaz ho. Wo awaaz bahut dheemi thi, par phir bhi wo Ansh par ek dabav bana rahi thi…

Awaaz “Tumne mere test ko pass kar liya hai. Ab tum is mahaan vyakti ke vanshaj ho. Isliye tumhe meri skill milti hai. Meri skill blood ke upar prabhav dalati hai. Ye tumhare blood ko power se bhar degi, jisse tumhe tumhare shareer bhi tumhare balod ke saath strong hota hua mil jaayega…

Meri ye skill bahut khaas hai, par ise samajhne ke liye tumhe khud hi mehnat karni hogi. Agar tum isse nahi samajh paaye to ye is mahaan vyakti ki kismat hogi ki uska vansh aage nahin badh paaya...

Meri ye skill bahut khaas hai. Jab tum iske level 3 mein jaoge to tumhe pata chalega ki meri ye skill kitni khaas hai….”

Us budhe ki awaaz mein apni skill ke liye bahut ahankaar tha, jaise ye pure brahmaand ki sabse takatwar skill ho aur wo sabse mahaan ho aur baaki sabhi log chitiyan…

Ansh jo tej roshni ke kaaran apni aankhein nahin khol pa raha tha, usne gor se pucha…

Ansh : "Aap kaun hain….?”

Par wo awaaz apni aakhri baat bol kar jaise gayab ho gayi thi. Ab Ansh ko kuch nahi sunai de raha tha…

Tabhi dheere dheere wo safed roshni jo Ansh ki aankhon ko band karne par majboor kar rahi thi, wo kam honi lagi, jisse Ansh ne dheere dheere apni aankhein kholi. Par Ansh ne jab apni aankhein poori tarah khol li, tab uske saamne jo tha, usse dekh kar uski aankhein phat gayi…

Ansh ko pehle laga tha ye koi mamuli aatma chhap hogi jo demi god aaram se chhod sakte hain….

Demi god apni skill chhupane aur apne logon ko dene ke liye aatma chhap ka istemaal karte hain, jisse wo jaankari jo wo apni aatma chhap ke saath chhod jaate hain, wo wahin padh sake jo wo chahte hain ki padhe…

Isliye Ansh ko bhi laga usse bhi aatma chhap milegi, par Ansh ne ye kabhi nahin socha jo uske saamne tha…

Ansh ne jab aankhein kholi, tab uske saamne ek bahut bada hara maidan tha, jismein hari ghass aur kai rang ke phool lage hue the….

Ansh ko us maidan ka ant nahin dikh raha tha…

Ansh : "Yeh kaisi jagah hai? Maine aaj tak aisi jagah nahi dekhi hai, aur yeh poori jagah ek locket mein bandh hai. Aisa kaise ho sakta hai?"

Ansh ne apne aas paas dekha, par usse duur duur tak bas hara maidan hi dikh raha tha. Ansh ne upar dekha, to aasmaan ek dam safed tha. Upar koi badal ya aisa kuch nahi tha. Us maidan mein ek bhi ped nahin tha…

Ansh : "Kya us budhe ne nahi kaha tha mujhe koi skill milegi? Yeh kya hai? Yahaan to kuch nahi hai. Kya usne mujhe pagal to nahin banaya diya…?"

Ansh ne socha aur phir se aage badhne ka faisla kiya…

Ansh us hare ghass ke maidan mein chalne laga. Ansh jitna aage jaata, utna usse mehsoos hota ja raha tha ki safed roshni badhti ja rahi hai….

Ansh aage badhta gaya, tabhi usse apne saamne ek tej safed roshni aati hui dikhi, jisse uski aankhein bandh ho gayi… .

Jab Ansh ki aankhein us roshni ko jhelne ki thodi aadi hui, to Ansh ne apni aankhein kholi. Usse apne saamne ek 1 feet lamba crystal dikha, jo black aur red color ka tha. Wo kisi gol platform par rakha hua tha, aur us gol platform ke upar hawa mein ter raha tha…

Ansh ne us crystal aur us gol platform ko dhyan se dekha. Crystal poora laala tha, aur us mein kai jagah par black color ki dhariyan thi….

Poora crystal ek safed rang ki roshni se chamak raha tha. Ansh ne kuch der ke liye us crystal aur us gol platform ko dekha, phir usne apna haath aage badhaya us crystal ko chhune ke liye.

Ansh ne jaise hi us crystal ko chhua, Ansh ko ek bijli ka jhatka laga. Ansh ne turant apna haath peeche kheench liya…

Ansh : "Yeh kya tha…?"

Ansh ka wo haath poora sunn ho gaya tha.

Ansh ne kuch der ke liye socha, aur usne phir se himmat ki. Usne phir se wahi haath aage badhaya, aur us crystal ko haath lagaaya. Par is baar usse koi jhatka nahin laga…..

Ansh : "Yeh kya hua? Mujhe abhi jhatka kyun nahin laga…?”

Tabhi Ansh ko kuch ajeeb mehsoos hua, isliye wo apna haath us crystal se vapas lene laga. Par achanak Ansh ko realize hua ki wo apna haath peeche nahin le pa raha hai. Ye dekh kar Ansh dar gaya.

Ansh tabhi Ansh ko apna haath dheere dheere mehsoos hona bandh hone laga. Ansh ne dhyan diya, tab usse pata chala jis haath ne us crystal ko chhua tha, usmein se uska khoon bahut tezi se uske haath mein se hota hua us crystal ke andar ja raha hai…

Ansh ka khoon bahut tezi se sookha ja raha tha dheere dheere Ansh ka chehra pila padne laga. Ansh ka poora shareer ab sunn hota ja raha tha. Ansh ne apni poori taakat laga di us crystal se duur jaane ki, par wo kuch bhi kare wo apna haath us crystal se hata hi nahin pa raha tha.

Ansh : "Kya main aise hi bina kuch kare maunga..?"

Ansh khud mein hi badbadaaya…

Dheere dheere samay nikalta gaya aur Ansh ka chehra aur pila hota gaya. Ansh ne us crystal se haath chhudane ki poori koshish ki, par Ansh apna haath nahin chhudwa paaya.

Ab Ansh ki aankhon ke saamne andhera chhaane lga….

Ansh : “Lagta hai yeh meri maut aise hi likhi hai…”

Ansh khud mein hi badbadaaya. Par Ansh jaise hi himmat haarne wala tha, achanak Ansh ko apne andar kuch garm si energy aati hui dikhai di, jisse Ansh ke andar ek alag hi garmahat bhar gayi…

Pehle jo khoon ki kami ki wajah se Ansh ki haalat kharab thi, chara jo pila tha us par phir se rang aane laga….

Ansh : Ye sab kya hai…?”

Ansh abhi bhi us crystal se apna haath nahi chhudwa pa raha tha, par ab Ansh ke andar us crystal se jo energy aa rahi thi, wo bahut aaramdayak thi, jo Ansh ko andar se shaant kar rahi thi aur Ansh ke dimaag ko bhi ek jagah par focus karne par madad kar rahi thi…

Kuch der tak aisa hi chalta raha, Ansh ab us energy ke saath ek dam shaant ho gaya tha…

Wo vahaan apni aankhein bandh karke khada tha, jaise wo so gaya ho. Tabhi achanak Ansh ko ek joradar jhatka laga, jisse Ansh wahaan se 10 feet door jaa kar giraa. Ansh is jhatke ke liye bilkul taiyaar nahi tha, jisse wo peeth ke bal niche jameen par gir gaya… .

Ansh khada hua aur us crystal ki taraf dekhne laga, jo ab ek lal aur kali roshni mein chamakne laga tha. Ansh ne dhyan se us crystal ko dekha…

Ansh : "Yeh kya ho raha hai? Ab yeh pata nahi isme kya ajeeb cheez hai yeh…?"

Ansh ka sar ghoom raha tha, itni ajeeb cheezein dekh dekh kar. Tabhi wo lal aur kali roshni kam hui, aur hawa mein kale aur lal roshni se kuch shabd banne lage. Hawa mein ab lal aur kale akshar ter rahe the, aur upar sunhari roshni mein ek cheez likhi thi…

Ansh : "Yeh kya hai? Kya yeh koi gene art hai…?”

Ansh khud mein hi badbadaaya. Ansh ne ek gehri saans li aur uski aankhon mein ek chamak dikhai di…

Ansh : "Chalo, jo bhi ho, isse ek aise insaan ne peeche chhoda hai jo ek locket ke andar ek puri duniya bana sakta hai, to jaroor woh bahut taakatwar hoga….

Iska yeh matlab hai agar us vyakti ne is skill ko chupane ke liye itni mehnat ki hai, to yeh jaroor koi acchi gene art hogi…”

Yeh soch kar Ansh aage badha, tabhi Ansh ko ek budhi awaaz sunayi di…

Awaaz : "Yeh gene art maine banayi thi, par main iska vanshaj nahin khoj paaya. Aasha karta hoon tum meri is skill ka theek se istemal karo ge...

Yeh manual 1 ghanta tak hawa mein rahegi. Yeh meri skill ke 3 padaav hain. Jab tum in teeno ko seekh lo, tab is crystal par apni khoon ki ek boond girana, tumhe aage ki skill mil jayegi…..

Aur ek baat, is ek ghante mein yeh skill gayab hone ke baad, yeh phir se nahi dikhai degi. Isliye ab tumhare paas 1 ghanta hai es skill ko poora padhne aur samajhne ke liye. Aasha karta hoon tum isse samajh lo…”

Phir wo awaaz vapas nahin sunayi di. Ansh ko pata tha ab wo kitna bhi chilla le, usse wo awaaz vapas nahi sunayi degi. Isliye usne koshish nahi ki aur wo vahaan apne per mod kar baith gaya aur 2 minute tak aankhein bandh kar khud ko shaant kiya..

Aur phir us safed roshni mein likhe skill ke naam ko padha…

“BLOOD REVOLUTION SUTRA..”

Ansh ne us naam ko padh kar yeh anumaan laga liya tha ki yeh jaroor blood se judi koi skill hai..

‘Maana jaata hai ki koi bhi zinda jeev is duniya mein janam ke saath hi apne shareer ke anukool element lekar paida hota hai, aur wo log apne ussi element ke hisaab se prakritik kshamataon ka pradarshan kar sakte hain ya gene art ka istemaal kar sakte hain…

Par ye purani baatein thi. Abhi ke samay mein, insaan gene fluid ka istemal kar 2 ya 3 element ka istemal kar sakte hain. Koi baccha jyada talented hua to wo 4 ya 5 element ka istemaal kar sakta hai. Par koi bhi jeev duniya ke sabhi element ko seekh sakta, yeh mumkin nahin hai.

Par maine apne jeevan ke balidan par apni ye skill banayi hai, jo sabhi element ko evolve kar sakti hai….’

Jab Ansh ne ye padha, to uski sthir aankhein phati ki phati rahi gayi. Kyonki sabhi element ka istemal ka matlab yeh hai ki es duniya ki koi bhi skill ka istemaal karna, aur sabse taakatwar banna..

Abhi sabhi insaan devil soul par nirbhar hain. Demi god bhi, jo element ki power ka istemaal karte hain, wo jyada der nahi chalti….

Kyonki yeh insaan ki taakat ko bahut jaldi khatam kar deti hai. Par phir bhi, demi god jitne power full honge, unke hamle bhi utne power full honge, jisse wo apne element ka istemaal kar ek secret blood alien ko bhi maar sakte hain…

Ansh ne aage padhna jaari rakha. Usmein likha tha…

‘Agar koi meri is skill mein maharat haasil karta hai, to wo insaan sabhi elements mein apna poora control haasil kar sakta hai. Aur woh agar is skill ko seekhna shuru karta hai, to woh insaan sabhi elements se bhi protect rahega.. ‘

Ansh ne aage padha…

‘Matlab ki jo bhi is skill ko seekhega, uske khoon mein ek badlaav aayega aur meri is takneek ke 3 padhavon mein pahuchne ke baad, us insaan ko uska khoon ek alag hi khoon mein badalta hua mehsoos hoga, jo uski body ko phir se banayega. Jisse us insaan ko ek aisi body haasil hogi jo sabhi elementon ke khilaaf suraksha karegi…’

Ansh ne aage padha…

‘Jaise agar koi insaan paani ke element ko haasil karta hai, to us insaan ko barf, paani aur thaandi hawaon se koi farak nahi padega. Par iske liye us insaan ko meri is skill ka sabse upri padaav paar karna hoga. Warna shuruaat mein yeh aapko ek mamuli insaan se thoda bahut jyada bachayega element ke khilaaf..."

Ansh ne aage aur dilchaspI se padhta gaya, par usmein ek cheez likhi thi jo Ansh ko samajh nahi aayi. Is skill ko practise karne par kisi bhi cheez par pata lage kabze ka kya matlab hai..?

Ansh ne aage padhann

‘Ek baar jab koi is skill ko seekhna shuru karega, tab meri yeh skill usse woh dikhaayegi jo duniya se pare hogi..”

Ansh jitna aage us skill ko padhta gaya, uska chehra utna hi utsaah se bhar gaya…

Uske chehre par ek aisi khushi thi jo chhupaaye nahi chhup rahi thi. Vaise bhi Ansh ka dimaag abhi kitna bhi train ho gaya ho, bhale hi uska dimaag aur dil har paristhiti mein shaant rahte ho, par fir bhi wo abhi 8 saal ka hi tha aur uski taakat ki chaahat mein usey jo mila tha, wo ek aisi cheez thi jo kisi aur ke paas nahi thi…

Ansh ne un sabhi shabdon ko apne dimaag mein store kar liya. Vaise bhi bachpan se Ansh bahut tej tha, padhai mein wo kisi bhi cheez ko kuch hi der mein yaad kar leta tha. Isliye Ansh ko bhi un sabhi words ko yaad karne mein jyada mushkil nahi hui…

Bhale wo sirf level 3 tak ki takneek thi, par wo bahut badi thi. Ansh ne shaant dimaag ke saath har ek shabd ko word to eord yaad kar liya. Fir Ansh ne apni aankhein bandh ki aur us sabhi cheezon ko apne dimaag mein ek baar yaad karne laga.

Ansh ne us skill ke 3 level ko poori tarah apne dimaag mein utaar liye. Tabhi wo samay bhi khatam ho gaya jab wo manual hawa mein se gayab ho gayi. Tabhi Ansh ko achanak ek jhatka laga aur wo turant apni body mein vapas aagaya.

Ansh ne mehsoos kiya ki ab wo dheere dheere apne shareer ko mehsoos kar pa raha tha, par bahut time se lete rehne ke kaaran uski poori body akaad gayi thi, jisse wo abhi apne haath ko hilaa nahi pa raha tha…

Wahi doosri taraf… .

Adhiraj ji ke kehne par Karnaveer ji sabhi bachchon ko unke paas le aaye the, saath mein Preetam ji, Ranjit ji, Priya ji aur Meera ji bhi wahi aagaye the. Jab Priya ji ne suna ki Ansh ko subah tak hosh aa sakta hai, to unse raha nahi gaya aur wo wahan jaane ki zid karne lagi.

Isliye baaki sab bhi saath aagaye. Wahi abhi dusre kamra..

Yeh kamra ek chhote hall jaisa bada tha, jahaan ek side baithne ki vyavastha thi, ek us kamre ke beech mein ek khali fighting arena jaisa kuch tha wahis par kuch modern machines rakhe hue the, jinka istemaal kisi insaan ki strength, speed, aur power ka pata lagaane ke liye kiya jaata tha….

Wahi Adhiraj ji wahi ek single sofa par baithe the, aur Karnaveer ji unkii doosri taraf wale sofa par baithe the. Baaki sab bade unke samne wale sofa par baithe the, aur sabhi bachche ek line mein khade the…

Angy ne aaj pehli baar Adhiraj ji ko dekha tha, wo unhein tukur tukur dekhe ja rahe the. Tabhi Adhiraj ji jo chai pi rahe the, unhone apna chai ka cup niche rakha aur Angy ko dekhte hue halka sa hasse….

Adhiraj : “Haan haan haan, kitni pyari bacchi hai yahan aao Angy….”

Yeh sun Angy thoda dar gayi, par tabhi Priya ji ne use kaha…

Priya : "Beta jao, wo aapke pardada ji hain..."

Yeh sun Angy aage badhi aur Adhiraj ji ke paas jaa kar khadi ho gayi Adhiraj ji ne apna haath aage badhaya aur pyaar se uske sar par haath phera aur kaha…

Angy : "Tum bahut pyaari ho…"

Yeh sun Angy ne kaha..

Angy : "Aap bhi bahut handsome pardada ji..."

Yeh sunkar Adhiraj ji hasne lage, saath mein Angy bhi khil khilaane lagi..

Wahin un dono ko dekh baaki sab ke chehre par bhi smile aa gayi…

Wahin Akshita, jo sabhi mein sabse jyada jalan khoor aur sabki laadli thi, wo aage badhi aur Angy ke baaju mein jaa kar boli…

Akshita : "Pardada ji, aap aisa nahi kar sakte. Aapne mujhe bhi cute kaha tha. Iska matlab main cute hoon, aur aaj aap Angy ko cute keh rahe hain….

Aaj aapko faisla karna hoga ki hum dono mein se sabse jyada cute kon hai. Warna main aap se naaraaz ho jaungi..”

Yeh bol kar usne apna muh doosri taraf pher liya..

Uski aisi bachkaani harakat dekh sabhi hasne lage. Wahin Akshita ne apna aur muh phula liya. Yeh dekhkar Angy boli..

Angy : "Nahi Akshita didi, aap mujhse bahut cute hain. Pardada ji ne bas mujhe cute kaha, unhone yeh kab kaha ki main Akshita didi se bhi cute hoon…*

Yeh sun Akshita ne Adhiraj ji ki taraf dekha aur kaha..

Akshita : "Sach mai pardada ji, Angy jo bol rahi hai wo sach hai…”

Yeh sunkar Adhiraj ji ne haan mein sar hila diya, jisse Akshita ka sar garv se upar uth gya..

Adhiraj ji Angy ki samajdaari dekh kar hairan the. Wo saaf saad dekh pa rahe the ki Angy apni umar se bahut jyada samajdar hai. Unhone apni aankhein sikodi aur Angy ki shaaririk shakti dekhne ki koshish ki…

Jab Adhiraj ji ne Angy ki shaaririk shakti dekhne ki koshish ki, to wo thode hairan ho gaye. Unke chehre ke hav bhav badal gaye, jisse dekh paas mein baithhe Karnaveer ji bole…

Karanveer : “Pitaji, kya aapko bhi kuch ajeeb laga..?"

Adhiraj ji ne kuch der baad apna chehra normal kar diya aur Karnaveer ji ko koi jawab nahi diya. Uske bajay unhone Angy ke chhote se haath ko pakad liya aur kaha…

Adhiraj : Chalo, apne pardada ko dekhe do ki tumhe kitni practice ki zaroorat hai..”

Itne bolte hi unhone apni shakti se Angy ki andar jaanch karne lage, par kuch der baad unke hav bhav phir se bigad gaye. Unke chehre ke ajeeb hav bhav dekh kar Angy boli…

Angy : "Kya hua pardada ji, koi gadbad hai..?"

Angy ki aawaz sunte hi unhone apna chehra wapas normal kar diya aur kaha…

Adhiraj : "Nahi, kuch nahi hua hai…."

Phir unhone kaha..

Adhiraj : "Chalo, tum sab wahan jao, phir mein ek ek kar tum sab ki power check karunga…”

Yeh sun sabhi bacche wahan jaane lage. Tabhi Angy boli…

Angy : "Par pardada ji..."

Uski aawaz sun Adhiraj ji bole..

Adhiraj : "Humein pata hai, Angy ek baar yeh sab khatam hone ke baad, hum sab tumhare bhai ko dekhne chalenge…”

Angy yeh sun khush ho gayi, kyunki usne bahut samay se apne Ansh bhai ko nahi dekha tha. Wo bhi baaki bacchon ke saath us taraf chali gayi, jahan sabhi machine rakhi thi…

Unke jaane ke baad, Adhiraj ji bole..

Adhiraj : Angy mein kuch to ajeeb hai…."

Yeh sun Karnaveer ji aur baaki sab bhi gambheer ho gaye tabhi Preetam ji bole..

Preetam : "Dada ji, Angy mein sach mein bahut ajeeb cheezein hain aapne abhi dekha hi hoga"

Adhiraj ji ne haan mein sar hilaaya tabhi wo bole…

Adhiraj : "Vese Karnaveer, uski shakti konsa level par hai..?"

Yeh sun Karnaveer ji bole..

Karanveer : “Pitaji, 5 level par hai..."

Yeh sun Adhiraj ji bole…

Adhiraj : "Ek cheez ho sakti hai. Shayad isliye hum koi bhi tarika apnaayein, hum uski shakti pata nahi laga pa rahe. Shayad uski shaktiyon ko kisi aur se bhi uchi energy shakti se seal kiya gaya hai…”

Yeh sun sabhi ke hav bhav gambheer ho gaye, kyon ki poori Prithvi par Adhiraj sabse taakatwar logon mein aate hain. Phir bhi wo keh rahe hain ki Angy ki power ko kisi aur taakatwar energy ne seal kiya hai…

Tabhi Adhiraj ji ne sabhi ko soch mein doobe dekha to wo bole…

Adhiraj : “Es baat ko jaane do bas dhyan rahe Angy par bahar ka koi insaan uske sampark mein na aaye aur vese bhi, maine in bhai bahan ki jodi ke baare mein sochne ka faisla chhod diya hai. Kyunki dono hi koi gehra rahasya chhupa rahe hain…”

Tabhi Karnaveer ji bole…

Karanveer : “Pitaji, shayad aapko yeh baat janni chahiye. Wo jo energy ka dhamaka kuch mahino pehle hua tha vahan par khoj ke dauran yeh pata chala hai ki vahan par dhamake se pehle bahut high element ke tatva the…”

Yeh sun Adhiraj ji bole..

Adhiraj : "Aur wo konse element ke tatva the..?"

Adhiraj ji ne apne man mein kuch soch liya tha, par wo Karnaveer ji se hi sunna chahte the. Yeh sun Karnaveer ji bole…

Karanveer : "Aapne anumaan laga hi liya hoga, shayad par phir bhi mai bata du, ye space tatva the, aur ye tatva bahut high grade ka tha..”

Yeh sun Adhiraj ji bole…

Adhiraj : “ Iska matlab vahan koi aayami surang khuli thi…"

Yeh sun Karnaveer ji ne haan mein sar hilaaya.

Tabhi Karnaveer ji bole..

Karanveer : "Jis din yeh dhamaka hua, ussi din Angy aur Ansh mile, aur itni saari ajeeb cheezein... aapko kuch gadbad nahi lagti..?”

Adhiraj ji aur Karnaveer ji Angy aur Ansh ke baare mein baat kar rahe the aur wahin baaki parivaar waale un dono ki baatein sun rahe the. Tabhi Adhiraj ji ne kaha..

Adhiraj : "Bhool jao yeh sab, jab waqt aayega, tab sach khud ba khud samne aa jayega..”

Phir wo aage badhe aur sabhi bacchon ke paas chale gaye. Baaki sabhi bhi unke peeche nikal liye. Adhiraj ji bacchon ke paas pahunche aur sabse pehle Akshat se un test ko dena ko kaha.

Akshat aage badha aur usne baari baari sabhi test diye. Test khatam hone ke baad..

Adhiraj : “Sach mein tum bahut kaabil ho, Akshat. Level 5 ke peak par sach mein bahut accha hai..

Chalo, ab Vineet aage badho..”

Vineet : “Ji bade dada ji..”

Ina bolte hi Vineet ne test diya…

Adhiraj : Sach mein, is baar Suryavanshi parivaar ki generation sach mein bahut talented hai. Vineet ki umar mai mein sirf level 4 ke peak par tha, par Vineet pehle se hi level 5 mein kadam rakh chuka hai…”

Yeh sun Vineet bola..

Vineet : "Bade dada ji, aapko apni tareef bacha kar rakhni chahiye, kyunki Akshita abhi baaki ha..i."

Yeh sun sabhi muskura diye..

Adhiraj : “Phir Akshitaa, tum jao…”

Yeh sun Akshita aage badhi, uska sar uchha tha, jaise ki kisi maharani ho…

Akshitaa ne bhi sabhi test diye, jiska result dekh Adhiraj ji bahut khush hue…

Adhiraj : “Waah, tum Akshat aur Vineet se bhi chhoti ho, phir bhi tum pehle se hi level 6 par ho…"

Yeh sun Akshita saatve aasmaan mein pahunch gayi..

Phir Vaanya ki baari aayi. Vaanya ka result level 3 ke peak par tha, jisse Vaanya udaas ho gayi. Yeh dekh Karnaveer ji uske sar par haath rakh kar bole…

Karanveer : "Vaanya beta, udaas nahi hote. Bhale hi tumara level kam hai, par yahan sabhi jaante hai hamari Vaanya ko level se zyada research mein zyada interest hai, aur tumhe jo pasand hai, tumhe wahi karna chahiye…

Alag alag grah par research…”

Yeh sun Vaanya khush ho gayi…

Phir Adhiraj ji ne bhi uski thodi bahut tareef ki, jisse uska mood wapas pehle jaisa ho gaya. Phir Adhiraj ji Angy ki taraf mudhe aur kaha..

Adhiraj : "Chalo, Angy beta, ab aap ki baari hai"

Yeh sun Angy bhi aage badhi Angy ne bhi ek ek kar sabhi test dena shuru kiya, par uske result dekh sabhi ki aankhein bahar aane ko thi. Adhiraj ji ne ek gehri saans li aur kaha…

Adhiraj : "Sach mein, mujhe vishwas nahi hota. Itni kam umar mein is level par pahuncha ja sakta hai…”

Karnaveer ji ne bhi haan bhar di. Tabhi Preetam ji bole…

Preetam : "Yeh kaise ho sakta hai? Par maine 3 mahine pehle sabhi ka result dekha tha. Angy level 5 par thi, par ab yeh level 7 ke mid mein hai. Aa, aa, mujhe yakeen hi nahin ho raha hai…"

Baaki sabhi ka reaction bhi aisa hi thi. Tabhi Adhiraj ji ne sabhi se kaha…

Adhiraj : “Yaad rahe, yeh baat hum sab mein se kabhi bahar nahin jani chahiye. Aur tum bacchon, yaad rahe, yeh baat kisi ko bhi nahi batani hai, warna Angy par koi khatra aa sakta hai..."

Yeh sun sabhi ne haan mein sar hilaaya. Akshat aage aakar bola..

Akshat : "Bade dada ji, chinta mat kijiye, hum kisi ko bhi kuch nahi batayenge..."

Akshitaa bhi boli..

Akshita : “Haan, bade dada ji, aap chinta mat kijiye..”

Karnaveer ji aur baaki sabhi ne bhi sar hila diya. Tabhi Ranjit aage aakar bola..

Ranjit : “Chalo, aaj Angy ne bahut accha result diya hai, isliye mene jo gift dene ki baat ki thi, wo Angy ko milega…”

Yeh sun sabhi ne taaliyan bajayi. Ranjit ji ne Angy ke gale mein ek pendant pehnaya aur kaha..

Ranjit : "Angy, yeh hamare khandaan ka pendant hai ismein ek mind crystal hai jo tumhe apna dimaag shaant rakhne mein madad karega….

Yeh bahut high level ka nahi hai, kyunki isse maine apni shaktiyon se banaya hai par phir bhi, yeh tumhare bahut kaam aayega…”

Yeh sun Angy ne kaha…

Angy : "Yeh bahut badhiya hai, chacha ji. Yeh bahut sundar hai…”

Yeh sun Ranjit ji smile karne lage aur Preetam ji ki taraf dekhkar kaha…

Ranjit : “Bhai, mujhe aaj sach mein aap se jalan ho rahi hai, kyunki Angy ab aapki beti ban gayi hai…”

Yeh sun Preetam ji smile karne lage aur unka chehra itna chamak raha tha jaise roshni ka diya ho tabhi Priya ji boli…

Priya : "Theek hai, aapko afsos karne ki zaroorat nahi hai…”

Phir Priya ji halki smile ke saath boli…

Priya : "Aisa kijiye, aap Akshat ko rakh lijiye aur humein Vaanya de dijiye kuch to behtar ho jaayega aapke liye…”

Yeh sun Ranjit ji ne kaha..

Ranjit : “Nahin, bilkul nahi main apni Vaanya ko kisi ko nahi dunga. Lene hain to is maa ke laadle ko exchange kar lijiye…”

Wahin apne bado ki baat sun Akshat aur Vineet ka chehra roane jaisa ho gaya. Wahin Vaanya, Akshitaa, aur Angy un dono ka chehra dekhkar hasne lage..

Sabhi log Vineet aur Akshat ke chehre dekhte hue has rahe the, tabhi Angy boli..

Angy : “Dada ji, ab hum bhai se mil sakte hain..?”

Yeh sun Karnaveer ji ne kaha…

Karanveer : "Aaha, haan, hum mil sakte hain. Chalo, ab tumhe tumhare bhai se milwa dete hain. Varana tum kahin yahi chinta mein behosh na ho jao…”

Itana bol Adhiraj ji sabhi ko us room ki taraf le jane lage jaha Ansh ko rakha giya tha. Par tabhi Adhiraj ji bole…

Adhiraj : "Par Angy beta, humein nahi pata Ansh jaag payega ki nahi. Kyunki uske jaagne ka bas ek andaza tha woh ki shayad usse ab tak jaag jaana chahiye…”

Angy : “Main samajhti hoon dada ji theek hai..”

Adhiraj ji ne apne man mai kaha..

‘Bhale hi abhi ke zamane mein sabhi bacche paida hote hi dimaag se bahut tez hote hain. Par Angy ki samajhdaari kisi bade ki tarah hai, jaise usne bahut kuch anubhav kiya ho…’

Phir Adhiraj ji ne kuch nahi kaha aur sabhi ko us room ki taraf le jane lage. Wahi room mein Ansh abhi bhi bistar par leta tha….

Par Ansh ne jab wo skill ko apne dimaag mein ek ek kar samajhna shuru kiya, tab achanak Ansh ek gehre andhere mein dub gaya..

Ansh ko khud samajh mein nahi aaya ki uske saath kya ho raha hai. Ansh ne jab wo shabd apne dimaag mein ukernaa shuru kiya, tab uski aatma achanak ek andhere rasatal mein doob gayi. Ansh achanak ek gehre dhyan mein chala gaya…

Ansh ko achanak apne dimaag mein wahi skill ki jaankari ek ek kar dikhne lagi. Us skill ke har ek shabd uske saamne sunahre rang mein chamak rahe the. Ansh ne ek ek kar un shabdon ko padhna shuru kar diya…

“Vishwa virodhi swargiye manual", jisse Blood Revolution kaha jaata hai. Swarg ke ant mein aur duniya ki gehrai ki ant mein, brahmaand astitva mein aaya aur rasta hamesha ke liye phela hua hai…

Bijli tadap uthi, gadgadahat ruk gayi, thand ne kasht diya, barf nasht ho gayi, hawa vilap karne lagi, badal dukhi ho gaye, parvat dukhi ho gaye, jwala ro padhi. Brahmaand ke tatvon ka nirman hua, jeevan ki shuruaat hui…

Har jeev ka jeevan tatvon se judta gaya, har jeev aur prani tatvon ka istemaal karne laga. Par koi bhi jeev yeh nahi keh sakta ki usne un tatvon ko poori tarah kabu kar liya hai…

Duniya mein har tatva insaan ke upyog mein li gayi takneekon ko strong banane ke liye hai. Par koi kabhi yeh dawa nahi kar sakta ki wo skill puri tatvon ya ek bhi tatva par maharat haasil kar sakta hai… .

Par jaise jaise brahmaand ka uday hua, vaise vaise duniya mein aise kai devta ka janm hua jinka tatvon ka pun niyantran tha. Par jaise jaise samay aage badhta gaya, devtaon ka wajood mitta gaya…

Par brahmaand mein unke kai vanshaj hain jinke ragon mein wahi khoon daudta hai jisse wo apne khoon ki wajah se un tatvon ko istemaal poori tarah kar sakte hain. Par wo kisi aur tatva par maharat haasil nahi kar sakte…

Par yeh Vishwa Virodhi manual jisse Blood Revolution sutra kaha jaata hai, wo insaan ko sabhi tatvon ka gyan pradan karti hai, par kamiyabi us insaan par hai jo is skill ka istemaal kar raha hai. Yeh manual sabhi niyamon ko todti hai….

Fir Ansh jaise jaise us manual ki pehli skill ko samajhne laga, par usse nahi pata tha ki wo jaise jaise us skill ko samajh raha hai, waise waise uski body mein kuch badlaav hone shuru ho gaye the. Ansh ke shareer mein ek sunahre rang ki energy uske pendant se nikal kar uski puri body mein ghum rahi thi…

Dheere dheere Ansh ki body sunahre rang mein chamakne lagi, par yeh chamak abhi phailna shuru hi hui thi ki tabhi…

Achanak jis room mein Ansh tha, us room ka darwaza ek dheemi awaaz ke saath khulne laga, jisse Ansh ko pata bhi nahi chala aur wo vaapis jaag gaya….

Ansh abhi shock mein hi soch raha tha ki abhi uske saath kya hua, ki tabhi wo room ka darwaza poori tarah khul gaya aur kuch log us room mein aa gaye…

Tabhi ek ladki aayi, jaldi jaldi daudi aur Ansh ke paas jakar usse gale laga liya. Ansh abhi bhi bistar par leta hua tha, uski aankhein bandh thi. Ansh mehsoos kar sakta tha ki us room mein aur koi nahi balki Adhiraj ji, Karnaveer ji aur baaki Suryavanshi parivaar andar aaye the…

Aur jo Ansh ko gale laga rahi thi, wo aur koi nahi thi, Angy thi…

Angy : “Bhai aap ab tak kyu nahi jaage, aap Angy ko dukhi kar rahe hain, bhai aap ko ab jaag jaana chahiye..”

Angy bas bole ja rahi thi, tabhi Angy ruwaasi awaaz mein boli..

Angy : “Bhai aap kyu nahi jaag rahe hain..?*

Uski aankhon mein se ek aansoo nikal kar Ansh ke chehre par gir gaya, jisse dekh Ansh jo leta hua tha, usne apni shareer ki saari taakat ikattha ki aur apna haath upar uthaya aur usse Angy ke sar par rakh diya…


Continue~~

[5.6k+ words ka update hai..
likes and comments karke batana yeh update kesa laga baaki ka agle update mai..]
 
Top