• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Evolution~Is not end, Is beginning

Dolar

Member
128
254
64
IMG-20241231-221731

Guys mai ek silent reader hu aur yaha itni mast mast story padhkar mera dil mai bhi ek story likhna ka kar diya mai koi professional writter to nahi hu lekin mai fir bhi aap sabke samne apni ek kaalpanik story rakhna chahta hu es story mai aage kya kya aayega woh sab aapko story padhne se pata chal jayega..

Guys Story ka update 8th update is post niche diye hue link se check kar lena..

👇👇

And kya es platform mai incest story hi zada chalti hai fantasy story nahi? :verysad:
 
Last edited:

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
UPDATE-07
BOON OR CURSE..

Ab tak…

Angy : “Bhai aap kyu nahi jaag rahe hain..?”

Uski aankhon mein se ek aansoo nikal kar Ansh ke chehre par gir gaya, jisse dekh Ansh jo leta hua tha, usne apni shareer ki saari taakat ikattha ki aur apna haath upar uthaya aur usse Angy ke sar par rakh diya…

Ab aage…

Ansh ke Angy ke sar par haath rakhte hi Angy ne apna chehra upar karke dekha to usse Ansh apni aankhein dheere dheere kholta hua dikhai diya…

Yeh dekhkar Angy ek dam se khushi se chillayi aur Ansh ka jo hath usne Angy ke sar par rakha tha us haath ko pakad liya aur jor jor se khushi se bolne lagi…

Angy : "Bhai jaag gaye, bhai jaag gaye! Dada ji, uncle, aunty, Akshat, Akshita, Vineet, Vaanya, dekho bhai jaag gaye!...”

Angy itni khush thi ki uski aankhon se aansu behne lage Akshita bhaag kar aage aayi aur Ansh ka dusra hath pakad kar boli..

Akshita : “Bhai, aakhirkaar aap jaag hi gaye, aapko pata hai aapke aise so jaane se Angy kitna royi thi. Bhai, ab aap jaag gaye hain to hum sab saath mein khelenge aur khub masti karenge…”

Tabhi Adhiraj ji aagaye aur unhone Akshita se kaha…

Adhiraj : "Beta, jara usse poori tarah theek to hone do aur uska haath chhodo. Mujhe usse ek baar check karne do…”

Yeh sun Akshita ne Ansh ka haath chhod diya aur fir Angy bhi Akshita ke saath thoda peeche ho gayi…

Adhiraj ji ne Ansh ki haalat check ki aur kaha…

Adhiraj : "Dar ki koi baat nahi hai, Ansh ab coma se bahar hai, par wo abhi kuch time ke liye wo zyada chal phir nahi sakta hai….

Wo bahut dinon se coma mein tha, isliye wo abhi apne shareer ko zyada hila dula nahi sakta hai 1 mahine mein wo vaapis pehle jaisa ho jaayega...

Angy beta, abhi ke liye apne bhai ko aur pareshan nahi karte hain, usse thodi der aaram karne dete hain aur wo ab hamari baatein sun sakta hai…

Bas wo apne shareer ko hila dula nahi sakta hai. Usne tumhare sar par hath rakhne ke liye bhi apni poori shakti ka istemal kar liya hai, isliye ab wo bahut thak gaya hai. Usse aaram karne do, baad me kabhi aaakar usse mil lena…”

Uske baad sabhi wahan se chale gaye, par Adhiraj ji ne Preetam ji ko apne study room mein bulaya….

Adhiraj ji ka study room bahut bada tha, usmein har taraf books ke rack rakhe the. Ek taraf bahut se paper ek deevar par lage hue the, un par kai ajeeb jaanwaron ki tasveerein bhi thi…

Adhiraj : “Ek mahine baad Ansh poori tarah theek ho jaayega, uske baad sahi mauka dekhte huye Angy aur Ansh ko godh le lene ki baat kar lena…”

Yeh sun Preetam ji ne haan mein sar hilaaya…

Fir aise hi ek mahina nikal gaya. Ansh ne es ek hafte mein hi poori tarah jaag gaya tha, par wo abhi bhi hil dul nahi pa raha tha….

Fir agle hafte mein Ansh dheere dheere bistar par se uthne laga. Karnaveer ji ne uske liye ek trainer ko hire kar liya tha, ab wo Ansh ka roz training karvata tha…

Teesre hafte tak Ansh ab apne kaam khud karne laga tha, haan kabhi kabhi usse chalne phirne mein abhi bhi thodi takleef hoti thi…

Par fir bhi ab Ansh ko kisi aur ki zaroorat nahi thi. 4 hafte mein Ansh ab poori tarah theek ho gaya tha, haan kabhi kabhi kuch problem hoti thi, par fir bhi wo ab poori tarah theek tha…

Is ek mahine mein Ansh ab Suryavanshi Bhavan mein raha tha, Angy din bhar uske saath rehti thi. Usne Preetam ji, Priya ji aur baaki sabhi ko uski chinta aur madad karke dekha tha…

Usne dekha tha Angy kaise un sab se ghulmil gayi hai. Akshat Ansh se ek saal bada tha, aur wahin Vineet aur Ansh ek hi umar ke the….

Ansh Vineet se 2 mahine bada tha. Wahin Akshita Ansh se 1 mahine chhoti thi. Vaanya aur Angy ek hi umar ke the, wo dono hi Ansh se 2 saal chhote the..

Ansh ne es ek mahine mein phir kabhi bhi Blood Sutra ko use nahi kiya. Usne faisla kiya tha ki wo ab aage Blood Sutra ki practice poori tarah theek ho jaane ke baad hi karega…

Ansh ne es ek mahine mein apne poora dhyan apne aap ko puri tarah theek karne mai diya tha…

Is beech Preetam ji aur Priya ji dono usse milne aur use baat karne ke liye aate rehte the. Ansh unka bahut samman karta tha. Ansh ne kai baar Priya ji ko uske liye fikr karte hue dekha tha…

Akshat aur baaki sab bhi Ansh ke saath baat karne ke liye aate the, par Ansh ko sabse jyada Karanveer ji ke saath rehna pasand tha…

Kyuki woh usse alag alag techniques aur dusre planets ke andar ke aliens ke baare mein bahut sari jankari saajha(share) karte the…

Karanveer ji ne Ansh ko KYRIOS planet ke alag-alag bases aur unke aas paas ke ilaake aur aliens ke baare mein bahut si baatein batayi thi, aage chalkar yeh information Ansh ke liye bahut kaam aa sakti thi..

Karnaveer ji ne Ansh ko bataya tha ki KYRIOS pe 30 base hai, par en sabhi bases ko teen parts mein divide kiya gaya hai….

Jaise ki bas 7 hi aise base hai jo sab se safe hai, jo high level base hai. Uske baad medium base hai, jo surakshit to hai, par un base ke 50 se 60 kilometer ke baad bahut powerful aliens hai…

Aur sab se niche level ke base jinme aapki jaan ki koi guarantee nahi hoti hai, wahan aaye din aliens ke hamle ka dar bana rehta hai. Aur un base ke aas paas ke ilaako ki bhi poori tarah jaanch nahi ki gayi hai, isliye wahan chhupe khatron ke baare mein bhi kisi ko nahi pata hai.

Fir Karnaveer ji ne Ansh ko bataya ki sabse high base mein ameer parivaar ke bacche ya usse jude log aur government mein sab se high post ke log hi wahan ja paate hain…

Uske baad jo government mein thodi niche position pe ho aur ameer parivaar mein bhi kuch aise log jo unse jude hain aur side family ke log medium base mein jaate hain…

Aur sab se niche base mein baaki civilians hote hain jo kisi bhi family ya wo aam log jinhen test ke aadhar par is secret mission ke liye chuna jata hai, unhen in base par bheja jata hai. Agar wo log survive karne mein kaamyaab rahe to theek, varna unka koi bhavishya nahi hoga…

Tabhi Ansh Karnaveer ji se kuch puhne wala tha ki tabhi Karnaveer ji ne uski baat ko beech mein kaat diya….

Karanveer : "Ansh, ab so jao, bahut raat ho gayi hai…."

Karnaveer ji Ansh ke kamre mein hi the. Karnaveer ji ke kehne par Ansh bhi aagyaakaari tareeke se so gaya…

Wahi Ansh ke so jaane ke baad, Karnaveer ji Ansh ke kamre se chale gaye. Karnaveer ji seedha Preetam ji ke kamre ki taraf gaye. Unhone darwaza khatakaya, to Priya ji ne darwaza khola…

Priya : “Arey pitaji aap itni raat ko..?"

Priya ji ne pucha…

Preetam ji bhi jo bed par baithe hue the, wo bhi khade ho kar darwaze ke paas aaye..

Preetam : "Pitaji, aap itni raat ko, koi kaam tha..?"

Yeh sun kar Karnaveer ji bole…

Karanveer : "Nahi, koi kaam nahi tha, mai tumhein batane ke liye aaya tha ki kal Ansh se baat kar lena…”

Yeh sun Preetam ji thode sochne lage. Yeh dekh Karanveer ji bole…

Karanveer : “Kya hua, kya tum ab usse godh lene nahi chahte..?”

Yeh sun Preetam ji se pehle Priya ji boli…

Priua : *Pitaji, darasal baat yeh nahi hai, yeh dar rahe hai ki Ansh mana na kar de, isliye hum ab tak usse baat nahi kar paaye…

Pitaji, humne socha tha ki Ansh ko kuch aur mahine yahan rok lenge aur dheere-dheere baat aage badhayenge…”

Yeh sun Karnaveer ji bole..

Karanveer : "Chalo pehle andar chalo, fir baat karenge…"

Kamre mein aakar Karnaveer ji aage bole..

Karanveer : "Tum dono ki baat to sahi hai Ansh mujhse do baar kahe chuka hai ki jab wo theek ho jayega, to wo yahan aur nahi rukega..

Hamara kaam badhane ke liye maine ab tak Ansh ko jitna jana hai aur uske baare mein humein jo information mili hai, usse aisa lagta hai ki usne shayad bahut kuch saha hai…

Maine ab tak usse jyada kisi aur se khul kar kabhi kisi aur se itni baat nahi ki hai. Akshat Ansh se ek saal bada hai, fir bhi Akshat jaise baat karta hai jaise usmein abhi bhi bachpana hai, par Ansh ki awaaz mein mujhe kisi bade jaisi feeling aati hai. Shayad uska bachpana hi gayab ho gaya hai…

Bhale hi Akshat Ansh se ek saal bada hai, par mein pure vishvas ke saath kahe sakta hoon ki Ansh Akshat se bahut jyada samajhdar hai…

Shayad aisa isliye hai kyuki usne jo saha hai aur uske jo anubhav hain…”

Yeh sun Priya ji boli…

Priya : "Pitaji, mujhe bhi aisa hi lagta hai, aur maine uski aankhon mein bahut udasi bhi dekhi hai. Main soch bhi nahi sakti ki ek 8 saal ke bacche ko aisa banne ke liye kaise anubhav se guzarana pada hoga…”

Yeh sun Karnaveer ji bole…

Karanveer : "Shayad iska rahesya Ansh hi humein bata sakta hai, par wo hamein kuch nahi batayega, kyun ki abhi bhi wo hamare itna kareeb nahi hai. Aur rahi baat yaha se jaane ki..

Woh kal hi humse is baare mein baat karega ki usse yahan se ab jaana chahiye. Isliye main chahta hoon ki tum aur Priya usse kisi bhi tarah manao ki wo yahan rahe. Kal tum dono usse akela mein baat kar lena…”

Itana bol kar Karnaveer ji khade hue aur wahan se chale gaye. Wahi peeche Preetam ji bole…

Preetam : "Priya, tumne kya socha hai, hum Ansh se kaise baat karenge…?"

To Priya ji boli…

Priya : “Mujhe nahi pata, hum Ansh se kaise baat karenge, par hume yeh karna hi hoga. Iss se pehle ki Ansh humein yahan se jaane ke baare mein kahe, humein usse pehle hi baat karni hogi…”

Preetam ji ne bhi haan mein sar hilaaya…

Preetam : "Hum kal subah nashte ke baad hi usse baat karenge…”

Wahi dusri taraf Ansh ke kamre mein, Karanveer ji ke jaane ke 5 minute baad, Ansh ne dheere dheere apni aankhein kholi. Ansh apne bistar par uth kar baith gaya aur apne chehre par aaye pasine ko pochhne lage..…

Ansh : "Bach gaya, ek demi god ke saamne natak karna bada mushkil hai. Wo to accha hua dada ji ne apni shakti ko daba liya tha. Warna wo mera natak ek hi jhatke mein pakaa lete…”

Itna bolkar Ansh uth kar beth gya aur usne apne pair cross kar liye aur dhyan ki mudra mein beth gaya fir Ansh ne apne dimag mein Blood Sutra ki saari jaankari uske dimaag mein ek ek karke ghumne lagi…

Ansh ne jis tarah pehla stage likha tha, usne apne body mein energy ko ussi tarah ghumana shuru kar diya. Blood Sutra ka yeh kehna ki Vishwa Virodhi Manual ka pehla stage…

"Body Refining”

Ansh ne ek baar jaise-jaise us manual mein likha tha, waise waise flow ko yaad karne ki koshish ki…

Par Ansh ko kuch bhi ajeeb nahi lag raha tha fir Ansh ne ek baar energy flow ko aur yaad kiya. Blood Sutra ka energy flow bahut hi mushkil tha, Ansh bhi usse theek se yaad nahi kar pa raha tha. Kareeb 3 ghante baad, Ansh ko aakhirkaar wo energy flow pura yaad aa gaya…

Ansh ne apni aankhein kholi, uske chehre par ek chamakili muskaan thi. Ansh ne ek baar ghadi ki taraf dekha, to abhi raat ke 2 baj rahe the….

Ansh : "Chalo, mai abhi sabhi moves ki practice kar hi sakta hoon…"

Itna bol Ansh apni jagah se khada hua..

Ansh ne isliye is 1 mahine es sutra ki practice nahi ki, kyuki is Blood Sutra ko seekhne ke liye energy flow ka istemal kar body ko move karna padta hai….

Aur vese hi alag-alag techniques aazmaani padti hai, tabhi yeh pehla chakra poora hoga…

Ansh ke kamre mein ek kone mein thodi khali jagah thi, jahan par kuch bhi nahi rakha hua tha, kyuki wo jagha meditation aur exercise karne ke liye khali tha….

Ansh wahan bich mein jakar khada ho gaya. Ansh ne ek baar phir se un sabhi moves ko yaad kiya, jisse Ansh ke saamne wo moves tarne lage.

Ansh ne sabse pehle energy flow ko apne right leg aur left hand mein focus kiya. Phir left hand mein se wahi energy flow ko right hand mein le gaya….

Phir aise hi right leg se energy flow ko left leg mein, phir neck mein, phir sar mein. Aise hi Ansh ne us manual mein likhe har ek move ko bade dhyan se karne laga…

Par 3 baar uska energy flow bich mein hi tut jata tha, kyun ki usmein wo haath aur pair mein energy flow theek se flow kar nahi pa raha tha….

Par uske dil ke paas jo energy veins thi, woh us tak theek se energy flow pahuncha nahi pa raha tha…

Kyun ki Ansh ko wahan energy flow lag jaane par dil mein ek sui chubhne jaisa dard hone lagta tha...

Aur vese bhi Ansh ke liye energy flow ko control karna aur bhi mushkil ho raha tha, kyun ki Ansh ki energy meridian janam se hi damage thi. Wo jyada energy bhi ikatha nahi kar pa raha tha…

Par Ansh ne haar nahi maani, wo kisi tarah koshish karta raha….

5 baar,

6 baar,

7 baar,

8 baar,

9 baar,

10 baar,

Ansh asafal raha, par Ansh ne apna aatmvishwas nahi khoya. Wo wahi pair cross karke baith gaya aur sochne laga ki usse kaha-kaha galtiyan ho rahi thi…

Ansh apne aap mai budbudaye..

Ansh : "Jahaan tak mujhe pata hai, kisi bhi skill ko practice karne se pehle usse juda gene fluid peena padta hai. To aisa ho sakta hai mere asafal hone ki wajah yahi ho…"

Ansh ne khud hi apne tark ko nakar diya..

Ansh : "Aisa kaise ho sakta hai? Us manual mein bhi aisa kuch nahi hai, aur us budhe aadmi ne bhi mujhse kuch nahi kaha…

Chalo chhodo, fir Ansh ne fir se us flow ko yaad kiya aur un sabhi moves aur un jagha ko yaad kar liya jismein se energy flow ko bahana hai…

Par Ansh ne phir 10 minute tak dhyan kiya aur apna dimaag focus kiya. Ansh ne un sabhi galtiyon ko yaad kiya jo usne pehle ki thi, phir un sabhi galtiyon ko hata kar wo fir se energy flow karne laga…

Dheere dheere uska energy flow uske dil ke paas jaane laga, par achanak uska wo energy flow vapas pehle ki tarah hi bikhar gaya. Is baar Ansh nirash ho gaya..

Woh wahi beth gya aur khud ko kosne laga..

Ansh : “Kyu, kyu main yeh nahi kar pa raha hoon? Maine sab sahi kiya tha, par shayad yeh sab mere energy nerves ke damage hone ke kaaran ho raha hai. Aa, aa, mere saath hi aisa kyu.. “

Ansh nirasha mein chilaaya, Ansh ko samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare. Usne itni jor se mutthi jakdi thi ki uske nakhun uski hatheli mein chubh gaye, jisse wahan se khoon nikalne laga. Par Ansh ko is baat ka bilkul bhi ehsaas nahi tha, wo aaj bahut nirash tha…

Uske aankhon mein aansu aane lage, wo apne haathon ko apne chehre par rakh kar rone laga…

Ansh : "Kyu main yeh nahi kar pa raha hoon? Kyu main apne energy flow ko control nahi kar pa raha hoon? Main kya karoon..?" Ansh ke man mein ye sawal chakkar kha rahe the…

Ansh poori tarah nirash hokar apne ghutnon ke bal beth gaya. Usne wo loket nikaala..

Ansh : “Es cheez ka bhi kya fayda jisse main practice hi nahi kar sakta…”

Ansh ke haathon mein jo nakhun chubhe the, usmein se nikla khoon locket par pada. Dheere-dheere us loket ne us khoon ko soakh liya. Ansh ko iska pata hi nahi chala. Tabhi khoon soakh lene ke baad wo loket achanak chamakne laga…

Ansh jo nirasha mein apna sar neeche jhukaye hue tha, achanak uske haathon mein locket se nikli roshni seedhi uske aankhon mein sama gayi. Ansh ek pal ke liye to chok gaya, phir usne wo locket apne samne kara.

Wo locket safed, laal aur kaali roshni ke saath chamak raha tha…

Ansh : "Yeh kya ho raha hai? Yeh locket ab kyu chamak raha hai…?"

Ansh ne us locket par focus kiya aur apni chetna ko us loket ke andar le gaya. Ansh ne dekha loket ki poori duniya safed, laal aur kaali roshni se jagmagaa rahi hai, aur yeh saari roshni us bich mein janjiron se bandhe crystal mein se aa rahi thi…

Ansh ko ab tak pata nahi chala tha ki es crystal ko janjiron se kyu lock kiya hua hai. Ansh ne kai baar us crystal ki jaanch ki thi, par kabhi bhi usse us crystal mein kuch nahi mila tha….

Woh dheere-dheere us crystal ki taraf aage badhne laga. Ansh jitna us crystal ke paas jata, utna hi woh roshni aur ghani hoti jati…

Ansh ne kuch soch kar us crystal ki jaanch karne ka faisla liya aur apna haath us crystal par rakh diya. Par Ansh kuch bhi soch pata ya kar pata, achanak ek dhamaake ki aawaz aayi aur Ansh ki puri chetna waha hawa mai hi villin (gayab) ho gayi…

Ansh ab poori tarah se ek kali duniya mein tha, uske aas-paas sab kuch kaala tha. Tabhi Ansh ko apne saamne achanak ek roshni dikhai di. Ansh ne dekha, uske samne uski body uske kamre mein hi pair cross karke dhyan ki mudra mein bethii hai…

Ansh : "Yeh kya ho raha hai…?"

Ansh ne yaad karne ki koshish ki. Tabhi Ansh ko yaad aaya, us crystal ko chhute hi safed, laal, aur kaali roshni ne uski chetna aur uski body dono ko cover kar liya tha…

Ansh ne phir apni body ko dekha, to woh hairan ho gaya, kyunki uske shareer ke andar ab laal, safed aur kaali roshni ghum rahi thi. Ansh ki chetna bas bahar se hi dekh sakti thi ki uski body mein wo teeno roshniyan ghoom rahi hain…

Par usse nahi pata tha ki uski body mein kya badlaav ho rahe hain. Par woh dekh sakta tha ki uski body mein andar se kuch badlaav ho rahe hain, aur ye badlaav karne wali wo teeno roshniyan hi thi…

Ab ye badlaav achhe the ya bure, ye to aage hi pata chalega. Ansh bas apni body ko dekhta raha, aur tezi se time nikalta gaya. Dheere-dheere ab subah honi shuru ho gayi thi…

Surya dheere-dheere upar aa raha tha, jisse khidki se hoti hui suraj ki kirnein Ansh ke chehre par padin. Par Ansh abhi tak wese hi betha tha, teeno roshniyan uske pure shareer mein ghoom rahi thin…

Wo ab dheere-dheere feeki padni shuru ho gayi thi. Subah ke 6 bajne hi wale the, Ansh bola..

Ansh : "Agar yeh aur chala aur koi yahan aagaya to main unhein kaise samjhaunga ki yeh sab kya ho raha tha..?"

Ansh abhi issi dar mein tha ki koi aa na jaye, ki tabhi Ansh ke shareer mai se wo saari teeno roshniyan gayab ho gayi. Tabhi Ansh ke sar ke beechon-beech ek teen rangon ka ek nishan dikhai diya…

Jo uski eyebrow se uske aadhe kaan tak phela tha. Tabhi ek pal ke baad wo nishan gayab ho gaya, aur Ansh ka poora shareer kapne laga, saath hi Ansh ki chetna jis andheri jagah par thi, wo bhi kapne lagi…

Ansh ko samajh hi nahi aa raha tha ki yeh sab uske saath kya ho raha hai. Tabhi sabhi cheezein andhere mein badal gayi, aur Ansh ki chetna wapas uske shareer mein chali gayi, aur wo behosh ho gaya.,.

Sab taraf bas andhera ho gaya, aur phir Ansh kab tak behosh raha, usko khud ko bhi nahi pata…

Shaam ko Ansh ko dheere-dheere hosh aane laga. Ansh ne dheere-dheere apni aankhein kholni shuru ki. Ansh ki nazar abhi bhi saaf nahi hui thi ki tabhi uske kaanon mein ek ladki ki chekhne ki aawaz aayi aur uska daaya haath bhi jor-jor se hilane laga…

Dheere-dheere Ansh ki nazar saaf ho gayi aur uski sabhi senses theek se kaam karne lage..

Tab use pata chala wo apne hi kamre ke bistar par hai aur wo cheekh aur kisi ki nahi, Angy ki thi. Jab Ansh behosh tha, tab Angy uske side mein hi bethi thi, uska haath pakad kar…

Tab jab Angy ne mehsus kiya ki Ansh ko hosh aa raha hai, to usne jor se chillaya taki sabhi ko wahan bulaya ja sake..

Baaki sabhi bhi bahar hall mein baithe the. Akshita boli…

Akshita : “Bada dada ji, Ansh bhai ko phir se kya hua hai…?"

Akshita ki roni surat dekh kar wo samajh gaye ki Akshita khud ko doshi maan rahi hai, kyunki wo accident ussi ki wajah se hua tha. Adhiraj ji ne uske sar par thapki di aur kaha…

Adhiraj : "Aapke Ansh bhai bilkul theek hain. Unhone shayad apne body par jyada jor de diya tha, isliye wo thakawat ke kaaran behosh ho gaye the...”

Ismein Adhiraj ji ne jhooth bhi nahi bola tha. Jab subeh Angy Ansh ko bulane ke liye uske kamre mein gayi, tab usse Ansh ek kone mein behosh mila. To usne sabhi parivaar walon ko bhi bulaa liya…

Jab Karanveer ji ne Ansh ko dekha, to uske aas-paas pasina phela hua tha. Ansh ka shareer bhi garam tha, jisse unhone andaza lagaya ki Ansh zaroor kisi prakar ki takat ka istemal kar raha hoga aur body par jyada load dalne se woh behosh ho gaya hai…

Isliye unhone sirf Ansh ke upar-upar se jaanch ki. Unhone uske andaruni hisson ki jaanch nahin ki. Par Adhiraj ji ne Ansh ke andaruni hisson ki jaanch ki thi, tab unhone kuch bahut ajeeb paya…

Par unhone kisi ko bhi kuch nahi bataya aur unhone bhi wahi reason diya jo Karanveer ji ne diya tha…

Tab se lekar Ansh ko shaam ko hosh aaya tha, sabhi bahar hall mein bethe shaam ki chai hi pi rahe the ki sabhi ko Angy ki aawaz sunai di. To sabhi log Ansh ke kamre mein chale gaye…

Ab jab Ansh ki nazrein ek dam saaf dekhne mein kamyab hui, to usne dekha poora Suryavanshi parivaar uske saamne khada hai. Priya ji aage aayi aur Ansh ka haath pakad kar boli…

Priya : Ab kaisa mehsoos ho raha hai Ansh beta? Tumhe kuch ajeeb to nahi lag raha hai..?"

Priya ji ki chinta aur unke usse baat karne ke tarike se Ansh ko apni dadi ki yaad aa gayi. Jab bhi usse chot lagti thi, to uski dadi bhi usse aise hi puchti thi. Ansh ne bade tameej se Priya ji se kaha…

Ansh : "Aunty, mujhe koi chot nahi lagi hai, na hi dard ho raha hai aur na hi kuch ajeeb lag raha hai…”

Ansh ne es situation ko pehle hi samajh liya tha, isliye usne ek kahani banai thi. Usne aage kaha…

Ansh : "Aunty, main bas bahut lambe samay se coma mai tha, isliye main thodi practice karna chahta tha. Par shayad maine apne shareer par thoda jyada jor daal diya…

Jisse main behosh ho gaya. Mai aap sabhi se maafi mangta hoon, meri wajah se aap sabhi log bahut pareshan hue hain….”

Ansh ne apne side mein khadi Angy ke sar par haath phera. Tabhi Priya ji, jo kab se shaant thi, unke chehre par thoda gussa dikha. Unke chehre ke hav-bhav dekh Akshita samajh gayi ab aage kya hone wala hai…

Woh turant Angy ke paas gayi aur uska haath pakad liya. Baaki sabhi ne bhi Priya ji ka chehra dekha tha, wo log bhi samajh gaye the ab aage kya hone wala hai. Tabhi Priya ji ne Ansh se thode gusse mein kaha…

Priya : “Yeh kya mushkil mushkil laga rakha hai, tum hamare liye koi musibat nahi ho, aur woh sab chhodo. Pehle yeh batao, jab tumhe raat ko aaram karne ko kaha tha na…

To batao humne tumse kaha tha na ki tumhe abhi aaraam karna hai. To phir raat ko ullu ki tarah kyu jaag rahe the..?

Priya ji ne Ansh ki poore 10 minute tak class lagaa di. Akshita ne Angy ko side mai kheench liya tha. Sabhi bacche ek side khade Ansh par muh dabakar has rahe the. Unmein se koi bhi jor se hasne ki koshish bhi nahi kar sakta tha, warna Priya ji ki gun kab Ansh se unpar point ho jaye kon janta hai..

Ansh ka chehra Priya ji ki daat sun laal ho gaya tha. Usse Angy aur baaki sabhi ke saamne daat khaane se bahut sharm aa rahi thi. Ansh ne apna sar neeche jhuka liya tha, jisse koi uska laal chehra dekh na sake…

Tabhi Preetam ji dheere se aage aaye aur Priya ji ka haath pakad liya aur kaha…

Preetam : "Priya, shaant ho jao. Baccha abhi behoshi se jaaga hai…”

Phir unhone thoda mazakiya andaz mein kaha…

Preetam : "Usse daat daat kar phir se behosh karne ka irada hai? Jara usse dekho, bechara vese bhi poora laal ho gaya hai…”

Yeh sun Priya ji ne ek teekhi nazar Preetam ji par daali, to unhone apna muh bandh kar liya aur Priya ji ka haath chhod ek kadam peeche hat gaye. Kyunki unhein pata tha jab Priya ji gusse mein hoti hai, woh kisi ki bhi beizzati kar deti hai…

Priya ji kuch bolne hi wali thi ki tabhi Adhiraj ji thode aage aaye aur kaha…

Preetam : "Priya bahu, Preetam sahi keh raha hai. Ansh abhi behoshi se jaaga hai. Pehle usse kuch khila do, phir tum usse phir se daat lena. Warna woh bina khaye Preetam ne jaise kaha woh phir se behosh na ho jaye…”

Adhiraj ji ki baat sun Priya ji ko yaad aaya ki Ansh ne subeh se kuch nahi khaya hai. Phir unhone Ansh se kaha…

Priya : "Tum yahi lete raho, main tumhare liye kuch khane ko laati hoon…”

Itna bol woh room se bahar chali gayi…

Unke jaane ke baad Preetam ji bole…

Preetam : "Ansh, tumhe Priya ki baaton ko dil se lagane ki zaroorat nahi hai…”

Yeh sun Ansh bola..

Ansh : "Nahi, uncle, aunty ek dam sahi hai. Aapko maafi maangne ki zaroorat nahin hai. Aunty mujhe mere bhale ke liye hi daat rahi thi…”

Ansh ki itni samajhdari dekh Adhiraj ji ki aankhon mein chamak aagayi. Thodi der mein Priya ji Ansh ke liye khana le aayi. Unhone Ansh ko apne haathon se khana khilaya. Wahin baaki sabhi log bahar aa gaye the. Andar sirf Angy, Priya ji aur Meera ji ruki thi…

Kuch der baad raat ho gayi. Raat ko sabhi khana khane ke baad apne-apne kamron mein chale gaye. Adhiraj ji jaate hue bole..

Adhiraj : "Kal Ansh ko mere paas le aana. Main Sector mai vapis ja raha hoon aur kuch din baad main wapas Nova Planet par ja raha hoon. Aur tum bhi wahan aao aur Preetam, Priya, Ranjit aur Meera se bhi kaho ki woh jaldi apne gene point pure karein aur jaldi hi Demi God ban jayein…”

Karanveer : "Kya hua pitaji, koi baat hai..?"

Yeh sun Adhiraj ji ne Karanveer ji ko ghur kar dekha aur kaha…

Adhiraj : "Tum bhool rahe ho, bahut jaldi hi sabhi parivaaron aur agency ki meeting hogi aur mujhe aisa lagta hai es baar kuch bada hone wala hai. Isliye humein taiyaar rehna chahiye…"

Itna bol Adhiraj ji chale gaye…

Wahin Ansh ke kamre mein Angy Ansh ke paas bethi hui thi Angy boli…

Angy : , "Bhai, yahan sabhi kitne achche hain..."

Yeh sun Ansh bola..

Ansh : "Haan Angy, yaha sabhi bahut acche hain par Angy, ye mat bhulo, ye hamara parivaar nahi hai. Ek din humein yahan se jaana hi hoga…”

Yeh sun Angy boli…

Angy : “Kyu bhai, Preetam uncle, Priya aunty aur baaki sabhi aur dono dada ji kitne achche hai.."

Tabhi Ansh bola…

Ansh : "Mujhe pata hai Angy, sabhi bahut acche hain, par hum yaha sirf mehmaan hain aur ek din humein yahan se jaana hi hoga…"

Ansh ne shaant aawaz mein kaha..

Angy ne bhi aage kuch nahi kaha, kyunki bhale wo chhoti thi, par uska bhi dimaag kisi bade insaan se kam nahi tha. Woh samajhti thi ki Ansh kya kehna chahta hai. Usse pata tha ki Ansh ki baat sahi hai…

Vahi Ansh ke kamre ke bahar khade Preetam ji aur Priya ji dono bhai-behnon ki baat sun rahe the…

Tabhi Preetam ji ne Priya ji ki aur dekha aur Priya ji ne Preetam ji ki taraf dono ne hi aankhon ke ishare se ek dusre se baat kar li aur phir dono hi kamre ke andar chale gaye..

Darwaza khula, aur Preetam ji aur Priya ji andar aaye. Angy aur Ansh unki aur dekh rahe the. Ansh ne uthne ki koshish ki, lekin Preetam ji ne usse roka aur kaha…

Preetam : “Beta, lete raho. Tumhein abhi aaram ki zaroorat hai…”

Angy ki aankhon mein thoda sankoch tha, lekin Preetam ji ne muskurate hue uski aur dekha….

Preetam : “Angy, beta, tum aur Ansh itne samay se yahan ho. Hum jaante hain ki tum dono kya mehsoos kar rahe ho. Lekin humein tumse ek baat karni hai…”

Ansh ne Priya ji ki aur dekha, jo shaant aur gambheer nazar aa rahi thi..

"Ansh..”

Priya ji ne naram awaaz mein kaha…

Priya : “hum jaante hain ki tum yeh sochte ho ki tum yahan mehmaan ho. Lekin kya tumne kabhi socha hai ki ghar sirf khoon ke rishton se nahi banta? Ghar un logon se banta hai, jo ek-dusre ka saath nibhate hain, har khushi aur gham mein…”

Angy ne excitement mai pucha…

Angy : "To aap kya kehna chaah rahe hain, Priya aunty..?"

Preetam ji ne Angy ko godh mein uthaate hue kaha..

Preetam : "Hum kehna chahte hain ki hum chahte hain, tum aur Ansh hamare bache ban jao. Aadhikarik roop se. Hum tumhein apna naam dena chahte hain aur is ghar ka hissa banana chahte hain…”

Ansh ka chehra gambheer ho gaya…

Ansh : "Preetam uncle, Priya aunty, aap jo kar rahe hain, hum uske liye hamesha aabhaari rahenge. Lekin kya yeh sahi hoga? Hum aapke liye bojh ban sakte hain…”

Priya ji ne Ansh ke paas bethte hue uska haath apne haath mein liya aur kaha..

Priya : "Ansh, koi bhi baccha apne mata-pita ke liye bojh nahi hota. Aur tum hamare liye bojh nahi, balki hamari zimmedari aur khushi ho…

Humne tum dono ke bina apna jeevan adhoora mehsoos kiya hai. Kya tum humein yeh mauka doge ki hum tumhare maa-baap ban sakein.."

Ansh : "Par uncle, aunty, kya Akshat aur Akshita ko aisa na lage ki mai unki jagah le raha hoon..?”

Yeh sun Preetam ji bole….

Preetam : “Uski chinta mat karo, hum pehle hi unse es baare mein baat kar chuke hai.."

Is baar Ansh ke paas bolne ke liye kuch nahin tha…

Ansh ne Angy ki taraf dekha, Angy ki aankhon mein khushi ke aansoo aa gaye the..

Angy ne turant Preetam ji ke gale lagte hue kaha..

Angy : "Kya aap sach mein hamare mummy-papa banne chahte hain..?"

Preetam ji ne muskuraakar kaha…

Preetam : "Haan, beta ab se hum sab ek parivaar honge. Lekin hum tumhare decision ka samman karenge. Agar tum abhi sochne ka samay chahte ho, to humein koi problem nahi hai….”

Ansh kuch pal chup raha, fhir usne Angy ki aur dekha, jiski aankhon mein khushi aur umeed thi...

Ansh : "Agar Angy khush hai, to mujhe bhi koi problem nahi hai…”

Ansh ne aage kaha….

Ansh : "Lekin mujhe ek promise chahiye aap humein kabhi alag nahi karenge, chahe kuch bhi ho jaye…”

Priya ji ki aankhon mein aansoo aa gaye. Unhone Ansh ke sar par haath ferte hue kaha…

Ansh : "Yeh hamara vada hai, ab se tum aur Angy hamesha hamare saath hi rahoge..”

Ansh ne ek baar baari-baari Priya ji aur Preetam ji ko dekha aur Ansh dono ke ek saath gale lag gaya…

Ansh : "Main aapko kabhi nirash nahi karunga…"

Ansh ne aage kaha..

Ansh : "Par mere baare mein bahut kuch hai jo aapko jaanna chahiye..."

Yeh sun Preetam ji ne kaha…

Preetam : "Tumhe hume batane ki zaroorat nahi hai..

Humein pata hai tum Rajvansh parivaar se ho…”

Yeh sun Ansh hairan ho gaya aur unhein dekhta raha…

Preetam : "Par aage ka hume nahi pata…”

Ansh ne kaha…

Ansh : "uncle aunty main aapko abhi kuch nahi bata sakta aur please aap kabhi iske baare mein mat puchhna. Jab waqt aayega to main aapko apne aap bataunga…”

Yeh sun Priya ji aur Preetam ji ne ek baar ek dusre ki taraf dekha aur kaha…

"Theek hai…."

Priya ji ne kaha..

Priya : “Jab tum is cheez ke baare mein baat karna chaho, hum ready hain. Chinta mat karo, chahe jo bhi ho jaye, hum tumara saath nahi chhodenge…*

Fir Preetam ji mazak karte hue bole…

Preetam : "Chahe tumne kisi ko maar bhi kyu na diya ho…."

Yeh sun Priya ji Preetam ji ko ghur ne lage aur aankhon mein hi ishaara karne lagee ki Angy bhi yahi hai soch samajh kar bolo..

Apni biwi ka ishare dekh Preetam ji ne apni baat badal li aur kaha..

Preetam : "Mera matlab tha tumne kisi ke saath fight hi kyu na ki ho…”

Kuch der Ansh ke saath baat karne ke baad Priya ji aur Preetam ji vahan se chale gaye aur Angy bhi Akshita ke kamre mein chali gayi. Dono saath-saath rehte the, isliye Ansh ab kamre mein akela tha…

Ansh bas Priya ji aur Preetam ji ke baare mein hi soch raha tha ki tabhi usse yaad aaya ki usne apni jaanch hi nahi ki uske behosh hone se pehle uske saath kya hua tha…

Ansh :"Yeh locket bahut ajeeb hai..”

Itna bol Ansh apne us locket ko pakadne gaya, par Ansh ke haath mein ek chain aayi jo khali thi…

Ansh ye dekh hairan ho gaya. Darasal voh locket us chain ke saath juda hua tha, par ab vahan sirf chain thi aur locket gayab tha. Ansh ne apne aas-paas us locket ko bahut khoja, par use voh locket kahin nahi mila.

Ansh haar maan kar vapas apne bistar par beth gaya…

Ansh : "Chalo chhodo us locket ko, main subeh khojunga shayad woh Angy ke paas ho..

Pehle main yeh check kar leta hoon ki mere andar kya change hua hai. Jab se main jaga hoon, tab se halka mehsoos ho raha hai… “

Ansh ne apne pair cross kiye aur dhyan ki mudra mein baith gaya aur apne andar jhaakne laga par tabhi Ansh ki chetna achanak ek sunheri roshni mein bandh ho gayi aur jab woh sunhari roshni hati, tab Ansh ek alag hi duniya mein tha…

Jahan har taraf ek ghaas ka khaali maidan tha, upar aasmaan ek dam neela tha. Vahan koi suraj nahi tha, phir bhi sab taraf ek roshni pheli hui thi. Aur wahi beech mein voh locket ke andar ka voh crystal wese hi janjiro se jakada hua tha…

Par is baar kuch alag baat thi, kyunki us crystal ke piche ab ek ped khada tha jo dikhne mein na jyada bada tha na hi jyada chhota. Ansh ne dhyan se dekha, woh ped kam se kam 8 ya 9 feet ka hoga… .

Woh bahut ghana ped tha, par Ansh ko jo baat hairan kar rahi thi, voh thi us ped par lage patte alag-alag rang ke the jo bina hawa ke hi lehra rahe the. Ansh ko yeh sab bahut ajeeb lag raha tha…

Ansh : "Mai kaha aa gaya hun? Kya yeh locket ki duniya hai? Par yeh baar itni alag kyun hai? Aur voh locket kahan hai…?"

Fir Ansh ne in sab baaton ko side mein jaane diya aur phir se us crystal aur us ped par focus karne laga…

Ansh ne dekha us ped ke neeche ek stone tablet hai aur us par kuch likha hua tha. Ansh ne apne kadam aage badhaye aur us stone tablet ke paas chala gaya. Ansh ne us ped ko dekha, woh ped bahut khubsurat tha jaise kisi ne artificial tarike se banaya ho…

Fir Ansh ne us stone tablet par jo likha tha, voh dekha. Woh likhawat Prithvi ki nahi thi, woh kisi aur hi tarike ki likhawat thi. Par Ansh yeh jaan kar hairan ho gaya ki usne kabhi bhi woh language nahi dekhi thi, phir bhi woh us likhawat ko padh sakta tha..

Yeh jaan kar Ansh hairan ho gaya. Ansh ne fir iske baare mein sochne band kar diya, kyunki vaise bhi jab se usne Rajvansh parivaar choda tha, tab se lekar ab tak uske saath sab kuch ajeeb hi ho raha tha…

Ansh ko woh din bhi yaad aa gaya jis din usne Akshita ki jaan bachayi thi…

Pata nahi kyu par us din Ansh ka dhyan us taraf tha hi nahi. Par achanak uske dimag mein madhumakhiyon ke gun gunane ki awaaz uske dimag mein ghujne lagi, jisse Ansh ka dhyan us taraf gaya aur uske dimag mein us din ek awaaz ghunj gayi thi ki…

“USSE BACHAO…..”

Tab Ansh ne us aawaaz par itna dhyan nahi diya tha, par woh baar-baar Ansh ko us ladki matlab Akshita ko bachane ke liye uksaane lagi thi. Ansh vaise bhi Akshita ko bachane ke liye aage badh gaya tha, aur woh usse bacha bhi leta aur usse chot bhi nahi lagti…

Par Ansh ke dimaag mein aane wali aawaaz itni badh gayi ki woh wahi 4 se 5 second ke liye ek dam jam gaya tha, aur us 4 se 5 second ke antar ke kaaran Ansh ko Akshita ko dhakka dekar door karna pada aur khud us truck ke aage aaya…

Par us din ke baad Ansh ko kabhi bhi woh aawaaz nahi sunayi di thi. Isliye Ansh ne usse apna illusion maan liya tha. Par is locket ke baare mein janne ke baad Ansh ko doubt hone laga tha ki woh aawaaz isme se hi aa rahi hogi..

Ansh ne fir iske baare mein nahi socha aur us stone tablet par jo likha tha, usse padhna shuru kiya…

"Blood Revolution Sutra ka pehla padav khul chuka hai. Iska matlab aapne sky blood ko apne andar poori tarah sama liya hai…"

Yeh padhkar Ansh hairan ho gaya, par usne aage padhna jari rakha. Vaise bhi Ansh ne itna sab kuch dekha tha ki is duniya mein ab kuch hi aisi baatein hai jo usse hairan kar sakti thi..

Ansh ne aage padha..

"Sky blood ko samaane ke baad aapko ek mahatvapurn chakra poora karna hoga. Tabhi aapko Blood Sutra ki power milegi. Aapko apne shareer ko phir se banana hoga. Iske liye aapko bas apne us blood par focus karna hoga jo aapke andar hai. Ek baar woh jaag gaya to phir voh apna kaam khud kar lega…

Par is prakriya mein aapko athaah dard sahena hoga. Yeh prakriya 5 se 6 ghanto tak chal sakti hai. Is dauran aapko behosh hone ki anumati nahi hai. Varna yeh blood aapko maar dega…”

Yeh padh is baar Ansh ke andar ek thandi sirhan paida ho gayi. Ab usse samajh aa raha tha ki pehle ka woh test shayad iske liye hi rakhe hoga..

Ansh ne fir se us stone tablet par dhyan lagaya…

Us par likha tha..

"Is padaav ko paar karne ke baad hi aap is jadui duniya ke sthar 2 ka istemaal kar sakte hain. Har ek padaav par aapko ek element fruit milega jo aapki shakti ke hisaab se hoga…"

Ansh ne aage padha..

"Sabse pehle aapko ek fire element fruit milega. Uske liye aapko 7 saal aur 1 mahine intezar karna hoga. Jab tak aap 16 saal ke nahi ho jate, aapko woh fruit aur ek fire skill di jayegii jo aapke blood sutra ke saath judi hogi…

Par usse pehle aapko apna mahatvapoorn chakra poora karna hoga. Aur agle padaav par jab aap jayenge, tab aapke shareer ki jaanch ke hisaab se aapko aage ke element power di jayegi…

En fruits ko khane ke baad jis element ka woh fruit hoga, ussi element ko aapke andar jaagrit kiya jayega. Par har element ko aap kaise sambhalte hain, yeh aap ke upar hai. Agar aapne koi bhi jald-baji ya koi bhi bewakoofi ki, to element ke takraavon se aap mar sakte hain…

Isliye aap iska theek se istemal kijiye aur aakhir mein likha tha..

"Blood Revolution Sutra prime dhyan takneek." Uske neeche likha tha..

Sky blood ko kaise apne shareer mein viliin karna hai aur roz kaise usse nikharna hai, jisse woh poori tarah us blood ki power ka istemal kar sake..

Ansh ne voh sab padha, fir aakhir mein ek line likhi thi jise padh kar Ansh ke andar se khushi jaane ka naam hi nahi le rahi thi. Vahan aakhir mein ek line likhi thi..

"Soul container anant soul ko ikatha kar sakta hai…”

Darasal dusri duniya mein insaan skill ka istemal kar aliens ko marte hain aur unhein unki soul ya devil soul milti hai. Yeh ek tarah se un aliens ki aatma ko vash mein karne jaisa hai…

Is duniya mein un devil soul ko ikatha karne ke liye soul container ka istemal hota hai, jo koi locket, ring, bracelet kisi bhi roop mein ho sakta hai. Yeh container soul crystal se bante hain, par unhein banana bahut mushkil hai…

Jitna uchha soul crystal hoga, utni hi devil soul ko usmein rakh sakte hain. Par ab tak jo bade parivaaron ke paas bhi maujood sabse takatwar soul container hai, woh kam se kam 500 ya 1000 devil soul ko hi store kar sakta hai…

In devil soul ka istemaal kisi paltu jaanwar ki tarah kiya ja sakta hai. Jaise koi bhi alien marta hai aur woh apne piche agar koi devil soul chhod jata hai, to us insaan ko us alien ki devil soul milti hai lekin devil soul milne ke chance bahut kam hote hai..

Aur woh devil soul kisi bhi chij mai ho sakti hai jese koi talwaar, armour, ya sirf ek arrow..

Aur jo devil soul unke jeevit hone ke dauran dikhayi deti thi, vesi hi milti hai. To iska matlab hai unka use hum ride karne ke roop mein kar sakte hain. Aur kuch devil soul ek pet ke roop mein bhi milti hai, jinhain evolve karne par woh fight aur ride dono mein use hogi…

Aur prithvi pe sabhi elements ki power kam ho jati hai lekin soul crystal se hum us elements ko powerful karne mai use kar sakte hai..

Par is duniya mein abhi bhi koi samajh nahi paya ki Earth par unki powers kaam kyu nahi karti hain. Haan, woh chhote-mote element attacks kar sakte hain, par voh utne takatvar nahin hote jaise dusri duniya mein…

Next Day..

Agle din nashte ki table par Adhiraj ji ko chhod kar sabhi baithe hue the. Tabhi Preetam ji ne sabhi ko Ansh aur Angy ko godh lene ki baat bata di, jisae sunkar vahan sabhi khush ho gaye…

Tabhi Akshat bola..

Akshat : Vese Ansh, tumhari umar kya hai aur tumhara birthday kaun se mahine mein hai..?"

Yeh sunkar Ansh bola..

Ansh : "Mera birthday 7 November mai aata hai aur abhi mai 8 saal ka hoon, next month mein 9 saal ka ho jaunga…”

[Abhi ke liye October month maan lo]

Yeh sunkar Akshat bola…

Akshat : "To theek hai, main tumse bada hoon…”

Fir Akshat apne chehre par garv ke bhav ke saath bola….

Akshat : "To tum mujhe bade bhai bolna…”

Uska garv bhara chehra dekhkar Ansh ko hassi aagayi…

Akshat : “Arre, tum has kyu rahe ho..??”

Tabhi Priya ji boli..

Priya : "Theek hai, bade bhai bethiye aur khana khaiye aur usse pareshan karna band kijiye..."

Fir sabne nashta finish kiya aur baad mein poori family, court ke liye nikal gayi…

Vahan par Preetam ji aur Priya ji ne kaanooni taur par Ansh aur Angy ko godh le liya aur ab Ansh ke 16 saal ke hone par phir se in papers par sign karne par yeh official ho jayega….

(Bas yeh kalpanik duniya hai, isliye 16 saal likha hai, koi yeh na bole 18 saal ka hota hai...)

Ansh aur Angy ke saath unhone family photo khichwai, jisse Priya ji ne frame karne ke liye de diya. Fir woh log ek mall mein gaye, jahan sabhi ne shopping ki. Angy aur Ansh thoda hichkicha rahe the, par Priya ji ne un dono ko na hichkichane ke liye kaha aur unki shopping bhi unhone ki…

Fir woh sabhi aaj poora din ghume….

Agle din Karanveer ji Ansh ko Adhiraj ji ke paas le gaye. Ek kamre mein Adhiraj ji aur Ansh bethe the. Woh poora kamra safed marble se bana tha. Vahan par bahut acchi tarah se sabhi cheezein rakhi hui thi aur design to aisa tha jaise kisi devdoot ka kamra ho…

Ansh aur Adhiraj ji aamne-samne bethe the. Adhiraj ji ke haathon mein chai ka pyala tha…

Adhiraj : “Ansh ab tumhe itna nervous hone ki zaroorat nahi hai, ab tum bhi mujhe pardada ya bade dadaji bula sakte ho, kyuki tum bhi ab hamare parivaar ka ek hissa ho…”

Yeh sunkar Ansh bola..

Ansh : "Ji bade dada ji…."

Adhiraj : “Ansh, maine aaj tumhe yahan teen cheezon ke liye bulaya hai. Unki baat sunkar Ansh samajh gaya woh kya puchhne wale hain…

Ansh bhale hi chhota tha, par uska dimag pehle se hi ek 17-18 saal ke bacche jaisa evolve tha. Ansh bola…

Ansh : "Mujhe pata hai aap kya janna chahte hain, par main aapko nirash karunga. Main apne baare mein aapko zaroor batunga, kyuki aapne hi meri jaan bachayi hai, bade dada ji….

Par mai Angy ke baare mein aapko kuch bhi nahi bata sakta…*

Ansh ka jawab sunkar Adhiraj ji ne Ansh ko thodi der dekha, fir kaha…

Adhiraj : "Theek hai, har kisi ke apne raaz hote hain, tumhare bhi hain. Par bas main ek Angy se lekar ek sawal ka jawab jaanna chahta hoon….

Uska jawab tumhe bas 'haan' ya 'naa' mein dena hai…”

Ansh : “Thik hai bade dada ji, mai iska jawaab dunga....”

Adhiraj : “Thik hai mujhe batao Angy es duniya se hai aur uska us din Delhi ke paas wale pahaad ke dhamake se koi lena-dena nahi hai..."

Ansh ne ek minute bhi nahi socha, kyon ki usse pehle se hi pata tha ki usse es sawal ka kya jawab dena hai..

Isliye usne "naa" bol diya..

(Ab kuch logo ko sawal samajh nahi aaya hoga, to mai batata hoon…

Adhiraj ji ne Ansh se pucha tha ki Angy es duniya se hai..

Answer : Woh nahin hai…

Aur dusra, Angy ka pahaad ke dhamake se koi lena-dena hai,

Answer : Bhai poora lena dena hai..

Aur dono sawal ka jawab Ansh ne jhuth mai bola..

Agar Ansh haan bolta, to Adhiraj ji ko Angy ke baare kai shyd sab pata chal jata aur Ansh kisi ko bhi kuch nahi batane wala tha…

Chahe usse koi jaan se hi kyu na maar de..)

Adhiraj ji ko unka jawab mil gaya tha, isliye unhone aage kuch nahi pucha. Iske bajay unhone baat badal li aur kaha…

Adhiraj : "Mujhe apne baare mein batao..."

Yeh sunkar Ansh ne fir apne baare mein batana shuru kiya…

Usne apne Rajvansh parivaar ke anchaahi aulaad ke roop mein paida hona aur uske saath hue ab tak jo kuch hua, kaise usne ghar chhoda, woh sab bataya. Sirf usne Angy wale haadse ko chhod kar Ansh ne apni puri baat khatam ki…

Ansh sab batane ke baad Gehri saans lene laga..

Yeh sab soch kar hi Ansh ka gussa badhne laga tha…

Thodi der mai hi Ansh ne apne aap ko shant kar liya tha.. ..

Aur kuch der ke liye pure room mai khamoshi chha gayi. Koi kuch nahin bola. Tabhi Ansh ne hi apni chuppi todte hue pucha…

Ansh : "Bade dada ji, yeh aapke do sawal ho gaye, ab aapka aakhri sawal kya hai…?"

Yeh sunkar Adhiraj ji ne apni chuppi todi aur kaha..

Adhiraj : "Mere teesre sawal ka jawab tum dena chahte ho ya nahi, woh tum par hai…”

Ansh ne kaha….

Ansh : "Theek hai, bade dada ji…."

Adhiraj ji ne apne teesra sawal pucha..

Adhiraj : “Mujhe batao, kya tumhara locket aur Angy ka apas mai koi rishta hai ya nahi? Aur tumhari do din pehle ki halat iski wajah se thi..?”

Yeh sunkar Ansh kuch der ke liye chup ho gaya.

Adhiraj : "Dekho Ansh, agar tum batana nahi chahte to koi baat nahi..”

Par tabhi Ansh bola..

Ansh : "Bade dada ji, haan yeh sab is locket ki wajah se tha aur haan yeh usse juda hua hai. Aur parso raat ko mere saath kya hua tha, woh mujhe bhi nahi pata….

Bas mai itna jaanta hoon yeh locket koi bahut anokhi cheez hai aur isse mere andar kya badlaav aayenge, mujhe nahi pata. Aur yeh mere liye koi varadan hai ya shraap, mai yeh bhi main nahi jaanta.. .

Par abhi ke liye yeh mere liye ek varadan hai…”

Yeh sunkar Adhiraj ji ne Ansh ki aankhon mein dekha, jahan unhein ek dridh sankalp aur ek chamak dikhai de rahi thi..

To unhone kaha..

Adhiraj : “Ansh, main bas itna kahunga ki koi bhi cheez varadan mein mili ho, woh hamesha aapko badhayegi...

Par ek samay aayega jab aap phas jayenge, tab aapko voh varadan bekar lagega. Isliye Ansh, hamesha khud par vishwas rakhna seekhna…..

Tumhari iccha shakti aur tumhara dridh sankalp hi tumhara hathyar hoga aur aage badhne ke liye. Yeh cheezein bas tumhein kuch madad hi kar sakti hain. Isliye kabhi bhi in par puri tarah nirbhar mat ho jana…

Tumhe apne khud ke raste khud khojne chahiye…”

Adhiraj ji ki baat Ansh ko samajh aa rahi thi, woh jaanta tha Adhiraj ji usse kya kehna chahte hain, Ansh bola…Ab tak…

Angy : “Bhai aap kyu nahi jaag rahe hain..?”

Uski aankhon mein se ek aansoo nikal kar Ansh ke chehre par gir gaya, jisse dekh Ansh jo leta hua tha, usne apni shareer ki saari taakat ikattha ki aur apna haath upar uthaya aur usse Angy ke sar par rakh diya…

Ansh : “Bade dada ji, main jaanta hoon kabhi bhi bina mehnat ke kuch nahi milta hai mujh par bharosa kijiye, main itni mehnat karunga aur itna takatvar banunga ki mai apne logon ki raksha kar saku…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par smile aa gayi aur voh bole..

Adhiraj : “Tumne kaha apnon ki raksha par, agar tum itne takatvar ho gaye ki sabhi ko apne niche jhuka sako to..."

Yeh sunkar Ansh bola..

Ansh “Bade dada ji, mai kisi ko apne niche dabana nahi chahta, mai bas taqatwar banna chahta hoon jisse main apnon ki raksha kar saku aur koi bhi mujhe dhamka na sake…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par ek smile aa gayi…

Adhiraj : "Theek hai, ab hum bahut time tak nahi milenge asha karta hoon tum apna khayal rakhoge….”

Continue~~

[8.5k+ words ka update hai aage ke 1 ya 2 update ke baad KYRIOS ki journey shuru ho jayegi..

kab tak isme comments and likes kar dena... ]
To aakir me Ansh Suryavanshi family ka hishaa banana ke liye man hi gaya🤗[Angy ki vajhah se varna usne tay kar liya tha ki vo thik hone ke baad vaha se chala jayega].....Vese ye dono ko liye achcha bhi hai...Ansh ko jo pyar samman apni family se nahi mila vo jarur mil jayega.....Angy ko maa-baap ka pyar bhi mil jayega aur Ansh ko aur pwerful banana me bhi Adhiraj ki help bhi mil jayegi aur bad me Kyrios par jane ke liye bhi kyonki waha par aesi hi kisi aam person ko to jaane nahi diya jata hoga.

Dekhte hoga ki es agency ki meeting me kahani me kay naya mod lati hai.

Ansh ka locket ka gayab hogaya mughe lag raha tha Adhiraj ji ne liya hoga :think:jab vo use check karne aaye honge par baad me agle din milne par vo usko nahi diye lekin locket ke baare me sawaal jarur puch liya.:?:

Mujhe bhi ak baar dimak me aaya tha agar Ansh aam logo se jyada takatvar hai:declare:[level 2] to fir truck se lad kaise sakta tha bachate vakt....I mean usko bacha hi lena chahiye thai....ab samajh me vo pareshan tha us awaaz ki vajah se....Aur lagata hai jisse Ansh apna brahm samajh raha hai vo awaaz jarur us locket ke andar [koi aatma ya fir kuch aur] se hi aayi hogi...Ye locket ka rahashya aur hi badhta ja raha hai.

Vese Ansh ko "Soul container" mil gaya hai na pahla level par karne par?....Tab to aage chal kar ye Ansh ke bahut kaam aayegi...jo chij kisi ko nahi mili hogi vo Ansh ke paas sirf 8 saal ki umra me mil gaya.

Good UPDATE :approve:and Wishing you all the best as you work on your next update! :flybye: ✨
 
  • Love
Reactions: Dolar

Adhiraj ji ki baat Ansh ko samajh aa rahi thi, woh jaanta tha Adhiraj ji usse kya kehna chahte hain, Ansh bola
…Ab tak…

Angy : “Bhai aap kyu nahi jaag rahe hain..?”

Uski aankhon mein se ek aansoo nikal kar Ansh ke chehre par gir gaya, jisse dekh Ansh jo leta hua tha, usne apni shareer ki saari taakat ikattha ki aur apna haath upar uthaya aur usse Angy ke sar par rakh diya…

Ansh : “Bade dada ji, main jaanta hoon kabhi bhi bina mehnat ke kuch nahi milta hai mujh par bharosa kijiye, main itni mehnat karunga aur itna takatvar banunga ki mai apne logon ki raksha kar saku…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par smile aa gayi aur voh bole..

Adhiraj : “Tumne kaha apnon ki raksha par, agar tum itne takatvar ho gaye ki sabhi ko apne niche jhuka sako to..."

Yeh sunkar Ansh bola..

Ansh “Bade dada ji, mai kisi ko apne niche dabana nahi chahta, mai bas taqatwar banna chahta hoon jisse main apnon ki raksha kar saku aur koi bhi mujhe dhamka na sake…"

Yeh sunkar Adhiraj ji ke chehre par ek smile aa gayi…

Adhiraj : "Theek hai, ab hum bahut time tak nahi milenge asha karta hoon tum apna khayal rakhoge….”

Continue~~

[8.5k+ words ka update hai aage ke 1 ya 2 update ke baad KYRIOS ki journey shuru ho jayegi..

kab tak isme comments and likes kar dena... ]
Bhai ise jara red part jo mene kiya hai [Last me hai] check karna i think ki galati se phir likha gaya hai.
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Dolar

Dolar

Member
128
254
64
To aakir me Ansh Suryavanshi family ka hishaa banana ke liye man hi gaya🤗[Angy ki vajhah se varna usne tay kar liya tha ki vo thik hone ke baad vaha se chala jayega].....Vese ye dono ko liye achcha bhi hai...

Ansh ko jo pyar samman apni family se nahi mila vo jarur mil jayega.....
Han bhai next update mai kuch jagah ansh ko bhai behno ka pyaar maa baap ka pyar kesa hota hai woh update uske upar hi likhunga
Angy ko maa-baap ka pyar bhi mil jayega aur Ansh ko aur pwerful banana me bhi Adhiraj ki help bhi mil jayegi aur bad me Kyrios par jane ke liye bhi kyonki waha par aesi hi kisi aam person ko to jaane nahi diya jata hoga.
Waha normal insaan ja sakte hai lekin unhe sabse low base pe bheja jata hai jaha jaan ka khatra hamesha rehta hai..

suryavanshi family ki techniques aur technology ansh ki madad karenge karanveer ji ansh ki KYRIOS ke baare mai batate rehta hai jo ansh ke hi kaam aayegi upar se suryavanshi family ek army family hai..

Dekhte hoga ki es agency ki meeting me kahani me kay naya mod lati hai.
Agency ki meeting mai abhi kuch saal hai en logo ka kuch samay ka matlab kuch saal hote hai...

Adhiraj ji ko hi lelo woh abhi bas 180 saal ke hai lekin demi God level ki wajah se woh bas 60 se 70 ke lagte hai aur isme bas agency nahi bade parivaar bhi aayenge..

Ansh ka locket ka gayab hogaya mughe lag raha tha Adhiraj ji ne liya hoga 
Adhiraj ji esa nahi karenge jab andh coma mai tha kab karanveer ji locket nikalne ke liye kehe rahe the lekin adhiraj ji ne iske liye mana kar diya tha..

jab vo use check karne aaye honge par baad me agle din milne par vo usko nahi diye lekin locket ke baare me sawaal jarur puch liya.:?:
Unke dimaag mai yeh sawaal bahut time se tha kab se woh ansh ka treatment kar rahe the aur apna sawal unhone puch liya lekin abhi unhe ek sawal ka jawab galat mila hai..
Mujhe bhi ak baar dimak me aaya tha agar Ansh aam logo se jyada takatvar hai:declare:[level 2] to fir truck se lad kaise sakta tha bachate vakt....I mean usko bacha hi lena chahiye thai....
Uski speed aam logo se thodi zada hai aur jab kab truck akshita ko takkar maarne wala tha ansh ne dhakka de diya tha lekin awaaz ki wajah se woh 5 sec tak wahi khada raha aur level 2 pe itna time uske liye kaafi hota truck ke samne se hatne ke liye..

Preetam aur priya ke dimaag bhi us samay nahi chal raha tha kyuki unki beti ki jaan khatre mai thi agar waha akshita nahi ansh hota to preetam ke liye 1 sec kaafi hota ansh ko bachane ke liye..
ab samajh me vo pareshan tha us awaaz ki vajah se....Aur lagata hai jisse Ansh apna brahm samajh raha hai vo awaaz jarur us locket ke andar [koi aatma ya fir kuch aur]
Woh to aage hi pata chalega us awaaz ke baare mai..
se hi aayi hogi...Ye locket ka rahashya aur hi badhta ja raha hai.
Es locket ko banane wala bhi bahut powerful hai aur ab ansh locket ki duniya ka maalik ban gya hai bas usse apni body firse recreate karni padegi uske baad asnh ki body ka jo damage hai woh bhi sahi ho jayega..

Wese fire element ansh ko isliye mila hai kyuki Rajvansh family fire element ki wajah se jaani jati hai aur ansh bhi ussi family se hai isliye uske andar bhi fire element ka amount zada tha aur locket ne jab ansh ki body check ki hogi to fire element usse mila..

Lekin yeh dekhne wali baat hogi ki ansh apne first element ko kaha tak lekar ja pata hai..
Vese Ansh ko "Soul container" mil gaya hai na pahla level par karne par?
Woh locket hi ek soul container hai aur uske andar kitni chahe utni souls store kar sakte hai aur badi family ke pass jo soul container hai uski limit ansh ke locket ke samne kuch nahi hai..

....Tab to aage chal kar ye Ansh ke bahut kaam aayegi...jo chij kisi ko nahi mili hogi vo Ansh ke paas sirf 8 saal ki umra me mil gaya.
Han yeh ansh ke hi kaam aayegi ab ansh zada se zada aliens ko maarkar unki soul collect kar sakta hai lekin soul milne ke chances bahut kam hote hai..
Good UPDATE :approve:
Shukriya bhai..
and Wishing you all the best as you work on your next update! :flybye: ✨
Next update 😅 abhi to likhna bhi shuru nahi kara:death:
 
  • Love
Reactions: A users

A users

🕸 SPIDEY 🕷
123
158
43
Han bhai next update mai kuch jagah ansh ko bhai behno ka pyaar maa baap ka pyar kesa hota hai woh update uske upar hi likhunga
Achcha hai👍👍
Waha normal insaan ja sakte hai lekin unhe sabse low base pe bheja jata hai jaha jaan ka khatra hamesha rehta hai..
Aisa kya🧐:hidee:
suryavanshi family ek army family hai..
Ye naya pata chala.🤨😏
Agency ki meeting mai abhi kuch saal hai en logo ka kuch samay ka matlab kuch saal hote hai...
Tab to abhi samay hhai:approve:😑😑
Adhiraj ji ko hi lelo woh abhi bas 180 saal ke hai
😱😱😱😲
Tab to Ansh ke bhi par dada -dadi hone chahiye. ..

Adhiraj ji esa nahi karenge jab andh coma mai tha kab karanveer ji locket nikalne ke liye kehe rahe the lekin adhiraj ji ne iske liye mana kar diya tha..
OK:approve:
Es locket ko banane wala bhi bahut powerful hai aur ab ansh locket ki duniya ka maalik ban gya hai bas usse apni body firse recreate karni padegi uske baad asnh ki body ka jo damage hai woh bhi sahi ho jayega..
Phir to Ansh aur bakiyo me koi antar [body problems thi like vein's jo patli thi] nahi rah jaayega.
Wese fire element ansh ko isliye mila hai kyuki Rajvansh family fire element ki wajah se jaani jati hai aur ansh bhi ussi family se hai isliye uske andar bhi fire element ka amount zada tha aur locket ne jab ansh ki body check ki hogi to fire element usse mila..
Achcha:yesss:🔥
Woh locket hi ek soul container hai aur uske andar kitni chahe utni souls store kar sakte hai aur badi family ke pass jo soul container hai uski limit ansh ke locket ke samne kuch nahi hai..
Ese kahte hai Real Jackpot😎:drunkman::rock1:
Shukriya bhai..
:welcome1::smoking:
Next update 😅 abhi to likhna bhi shuru nahi kara:death:
Koi gal na vaise bhi abhi thand bahut hai to likhne ka man jyada nahi karta hoga....Health is more important than anything.:flybye: ✨
 
Dolar

Member
128
254
64
Achcha hai👍👍

Aisa kya🧐:hidee:

Ye naya pata chala.🤨😏
Update 3 ya 4 mai mention hai jab Ansh suryavanshi family aata hai kab kab karanveer preetam aur priya se baat karte hai ansh ko godh lene se pehle kab mene yeh mention kara tha..

Bas ek line mai tha isliye ah yaad nahi aa raha hoga..
Tab to abhi samay hhai:approve:😑😑
Han lekin mene abhi hi bata diya
😱😱😱😲
Tab to Ansh ke bhi par dada -dadi hone chahiye. ..
Han jese purane head aur woh sabhi apne ghar mai rehte the wese hi rajvansh family ka bhi hai jaha woh sabhi log rehte hai jo abhi demi God hai..

Demi God ki age bahut zada hoti hai kyuki woh 2 baar evolve ho chuke hote hai..

OK:approve:

Phir to Ansh aur bakiyo me koi antar [body problems thi like vein's jo patli thi] nahi rah jaayega.

Ansh ki body mai energy veins damage thi jab ansh ki maa Sunena kahi se aa rahi thi to ek alien ne unki team par attack kar diya tha jo sunena ke pat pe halka sa laga tha us samay Sunena ko pata nahi tha woh pregnant hai check up ke baad pata chala...

Aur us attack ki wajah se ansh ki nerves damage ho gayi thi yeh bhi ek reason tha ki Rakesh ne ansh ko apnane se mana kar diya....

Lekin ansh ka dimag baaki baccho se bahut zada tez tha es baat ko bhulna nahi chaiye..
Achcha:yesss:🔥

Ese kahte hai Real Jackpot😎:drunkman::rock1:
Han yeh bhi ek jackpot hai..
:welcome1::smoking:

Koi gal na vaise bhi abhi thand bahut hai to likhne ka man jyada nahi karta hoga....Health is more important than anything.:flybye: ✨
Han kal aaram se likhna shuru karunga next update ke baad to KYRIOS ki journey shuru ho jayegi and adventure bhi..
 
Last edited:
  • Like
Reactions: A users
Top