Update--5
Ladkey ne phr se un ki traf point kia es baad latadad bijliyan un ki traf gir parein jab un ka jism jal k rakh nai ho gya tub tuk yeh silsila chalta raha us k baad mosam bhi theek ho gya aur who Ladka bhi wahan se ghaib ho gya.
Agley Din Neelum aur Alina tyaar ho k Meeting main gaey yahan unhey pata chala k un k mukhalif party ki death ho gai hai esi liey yeh Project pe ek din baad meeting ho gi jab unhey maloom para k kis trhah se death hui hai tou Alina ko jhatka laga kiun k us k Bhai ki Mout bhi bilkul aesay hi hui thi who apney bhai ko yaad kr k phr se dukhi ho gai thi aur yeh baat Neelum ko achi trhah se maloom thi.
Neelum: Kia hua Alina phr se kiun dukhi ho gai.
Alina: Kch nai Neelo kal jo death hui hn bilkul usi trhah merey bhai ki death bhi hui bas who yaad aatey hi Bhai ki yaad bht aa rahi hai.
Neelum: Mujhey tou yeh samjh nai aa raha k aaj tuk aesa nai hua k ek hi jagah pe la tadad Aasmani bijli kesay gir sakti hn matlab ek tou Aasmani Bijli girney ki location alag alag ho hai aur ek hi girti hai magar yahan tou an ginat giri hn How is that even Posible.
Alina: Mujhey kch samjh nai aa raha Neelo mujhey sirf itna pata hai k mein ne apney sab se pyarey bhai ko khoya hai.
Neelum: Ab kal k liey tyaari krni ho gi ab pata nai kon si party aati hai un ki jagah.
Alina: Haan tu theek kehti hai chal krtey hn.
Abhi Alina ne apna Laptop on hi kia tha k usey Mail aaye us ne jab open ki tou us main Presentation thi jisey us ne open kia tou heran ho gai k yeh kis ne bheijh di us ne jab sari presentation deikh li tou Shocked ho gai.
Neelum: Kia hua Alina aankhein phadey kia deikh rahi hai Laptop pe.
Alina: Tu khud deikh le.
Neelum ne bhi jub Presentation deikhi tou usey bhi jhatka laga aur khushi k marey uchalney lagi kiun k Presentation to the point aur best of the best thi.
Neelum: Yeh kab banai tu ne aur mujhey bataya bhi nai.
Alina: Mein ne nai bnayee bulkeh mujhey mail aaye hai unknown adress se.
Neelum: Kia matlab hai kis ne bheiji ho gi tujhey yeh teher mein deikhti hn shaid pata chal jaey.
Neelum ne Alina ka Laptop lia aur us pe kch krney lagi lekin kch hasil nai hua 30 min baad us ne Laptop side pe rakh dia aur apney mobile se kch krney lagi lekin us main bhi us ko koi maloom nai para k yeh kis ne bheiji hai hai.
Alina: Kia hua.
Neelum: Kch nai trace hi nai kr paa rahi hn k kis ne bheiji hai kheir shod yeh sab jis ne bhi bheiji ho kal ka project tou apna hi hai.
Alina: Haan yaar mujhey tou es baat ki khushi hai k Jo project bhai ko hi milta aa raha tha who ab bhi humein hi miley ga mein kitni khush hn bata hi nai sakti tujhey.
Alina aur Neelum lag gaen Presentation ko samjhney main waheen un k kamrey main ek Ladka unhey deikh khush ho raha tha lekin who unhey nazer nai aa raha tha thodi deir un ko deikhney k baad who wahan se ghaib ho gya Agley din jab Neelum aur Alina Meeting main gaen tou wahan doosri party ne pehley presentation di us k baad bari aaye Alina ki us ne bhi presentation di jisey sab k sab shocked they Alina apni presentation de k apni jaga pe aa gai.
Host: Ladies and Gentlemen anounce kch deir k baad kia jaey ga.
30 Min later……..
Host: Yeh hum sab jantey hn k Gov ka yeh project Zavino Company ko milta tha jin k Owner they Zaigham jab un ki death ki khaber aaye tou yeh bht bada jhatka tha humarey liey na sirf humarey liey bulkeh humari Gov k liey bhi kiun k Gov ko sab se zyada Trust Un pe hi tha jis trhah se unho ne Project ko finalized kiey they who kabil e deed they ab yeh socha ja raha tha k yeh project kon hasil karey ga kiun k Zaigham jesa caliber kisi main nai hai lekin aaj phr se Heran kia hai Zavino company ne jin ko ab lead kr rahi hn un ki behan Alina un ki presentation deikh k hum sab heran they kiun k un ki Presentation hu bahu un k Bhai ki trhah hi hai so mujhey yeh btatey huey bht khushi ho rahi hai k yeh Project bhi Zavino Campany ko dia jata hai.
Hall main sab taliyan bjaney lagey Alina aur Neelum tou shocked they Alina ki halat aesi thi k usey kch samjh nai aa raha tha k kisi ne usey who presentation bheiji jo k bilkul us k bhai k jesay hi thi us ko yakeen hi nai ho raha tha sab formality puri honey k baad who dono wahan se ghar ki traf chal deen rastey bhar dono khamosh theen unhey kch samjh nai aa raha tha k aaj hua kia hai kesay kisi aur ki di hui Presentation Zaigham se match kr sakti hai kch hi deir main dono ghar pounch gaeen.
Neelum: Alina yeh sab kia hai.
Alina: Mujhey khud kch samjh nai aa rahi Neelo kon hai who jis ne humein hu bahu Bhai k jesi Presentation bheiji.
Neelo: Shaid tumharey bhai ne kisi ko keh rakha ho k yeh sab tumhey bheijney ko.
Alina: Sawal phr wohi hai Neelo bhai ko kesay pata tha k mein yahan aaun gi aur company sambhaloon gi jab who mujhey Pakistan milney aaye they tou achanak hi who sab ho gya tha us k baad un ko jail ho gai kesay unho ne yeh sab kia ho ga.
Neelum: Humein sab se pehley us ka pata lagana hai jis ne tujhey mail bheiji us sey hi pata chal paey ga k majra kia hai.
Alina: Tum theek keh rahi ho lekin kesay pata lagaen tum bhi nai kr paey.
Neelum: Mein utni badi hacker nai hn bas ethical hacker hn humein Unethical hacker ki zaroorat parey gi es kaam k liey.
Alina: Aesa bnda kahan miley ga.
Neelum: Mil jaey ga tu tention na le.
Alina: Mujhey lagta hai baat kch aur hai jo mein nai janti shaid Bhai ka pyaar mujhey yeh sab sochney ko majboor kr raha hai ya kch aur lekin kch tou baat hai jisey mein pehchan nai paa rahi hn.
Neelum: Kia?
Alina: Saber kr mujhey sochney de k mein kia miss kr rahi hn.
Neelum: Ok.
Alina sochney lagi who hall main idher se udher tehal rahi thi aur soch rahi thi who itni soch main gum thi usey maloom hi nai tha k us k aas pass kia ho raha hai who pichli yaadon main chali gai thi jis main us ne Apney bhai k sath pyaar bharey lamhey bitaey they.
Zaigham: Choti yeh apney pass rakh sambhal lekin isey tub hi kholna jab tujhey lagey terey pass aur koi option hi nai hai es sey tujhey ek aesa sach maloom ho ga jisey tu abhi yakeen shaid na kr paey lekin us waqt tujhey yakeen ho jaey ga lekin ek baat ka dhyaan rakhna k yeh baat tumharey elawa sirf aur sirf Neelum hi janey tou behter hai us k elawa koi na janey.
Alina: Yes yaad aa gya.
Alina ne baat uchaltey huey kahi thi Neelum bhi heran thi k Alina ko kia hua Alina dor k apney room main gai aur us cheez ko dhoondney lagi jo us k bhai ne usey di thi bht doondhney k baad akhir usey mil gai aur who le k hall main aa gai aur Sofey pe beith gai sath main Neelum bhi dono usey deikhney lageen.
Neelum: Ab yeh kesay khuley ga.
Alina: Maloom nai.
Alina usey ghour se deikhney lagi lekin usey kch samjh nai aa rahi thi k kesey kholna hai who phr se soch main per gai k shaid us k bhai ne btaya ho k kesey khulna hai lekin koi faida nai lekin achanak us k dimagh main ek baat click hui.
Alina: Neelo ja zara Sugar test machine le k aa.
Neelum: Ab us ka kia krna hai.
Alina: La tou phr btati hn.
Neelum sugar test machine laey us main se Alina ne Pin nikal li kiun k usey sirf usi ki zaroorat thi us ne Pin ko hathon main lia aur apni ek finger main in kia.
Alina: Bhai ne ek baar mujh se blood manga tha shaid yeh sab merey blood se hi khuley.
Us box ki jo upper side thi us main ek thodi si circle jesi side neechay ki traf thi jesa k ek plane surface pe kisi ball ko ek jagah still khada rakhney k liey thodi si side neechay ki traf hoti hai na bilkul wesi hi Aline ki finger se thoda sa blood nikla jisey us ne us box pe us jaga laga dia jis k baad us box main jitney bhi pattern baney huey they us main white color ki roshni nikalney lagi aur deikhtey hi deikhtey who khull gya jab dono ne deikha tou us main ek paper tha Alina ne who nikal lia aur usey khol k perhney lagi sath main Neelum bhi jab dono ne perh lia tou dono sofey se neechay girtey girtey bacheen.
Neelum: Es ka Matlab tumhara bhai.
Alina: God hai

.