Update--31
Tabhi Zaigham main roshni samaney lagi Zaigham ko es sey takleef honey lagi who ghutnon k pal beith gya kch deir k baad roshni khatam hui tou Zaigham uth khara hua us ki Aankhein white roshni main nahayee hui theen aur us k jism k aas pass lightning nikal rahi thi.
Somewhere in the Universe…..
Abaddon: Kch tou kerna parey ga hum yun hi hath pe hath dharey nai beith saktey.
Apollyon: Kia krein hum.
Abaddon: Us ladkey ko koi na koi chout tou pounchani hi ho gi who humarey kamon main rukawaat daal raha hai kch tou krna hi parey ga.
Santan: Kia kr saktey hn hum Hukam ne manah kia hai jab tuk who apni takat nai hasil kr letey hum kch nai krna hai.
Abaddon: Aur jo unho ne krney ko kaha hai who jab who kaam ho ga hi nai tou God hum se khush kesay reh saktey hn humein un ka dia hua kaam bhi tou krna hai wesay bhi ek chance hi tou lena hai who filhal humein marney ki position main nai hai hum tou maar hi saktey hn na usey aur ager hum ne maar dia tou socho God kitna khush hn gey.
Santan: Tum sahi keh rahi ho lekin.
Walied: Ek try krney main kia harj hai.
Santan: Theek hai.
Earth……
Aadmi: Aao aao Zaigham beitho kia lo gey thanda ya coffee.
Zaigham: Coffee.
Aadmi: Hello do coffee bheijh dena ------- Aur sunao yahan kis liey aaye kch kaam tha kia.
Zaigham: Haan kaam hi tha es liey aaya hn.
Aadmi: Ok.
Coffee aa gai dono coffee peetey huey baatein krney lagey coffee khatam ho gai tou Zaigham ne sab se pehley room ko sound proof kia us k baad Aadmi k pass gya aur sab se pehley us k jism pe sheild lagai us k baad apney dono hathon ko us k sir pe rakh dia Zaigham ki aankhein sufaid roshni main theen us k hath se bijli ki choti choti trangein nikal kr us aadmi k sir main ja rahi theen jis sey us aadmi ko dard honey laga aur us ki cheikhein nikalney lageen thodi deir k baad Zaigham ruk gya aur side pe ho gya.
Who Aadmi zor zor se saans leney laga aur jab normal hua tou sab se pehley idher udher deikha us k baad apney samney kisi ko deikh k heran hua.
Aadmi: Mein Zinda hn? aur mein yahan kesay tum kon ho.
Zaigham: (Muskuratey huey) Zaigham.
Aadmi: (Aankhein bari kiey huey) Kia?
Zaigham: Haan Yeh meri traf se chota sa toufa hai aap k liey lekin abhi aap ko yaheen rehna hai esi insaan ki yaaddast k sath.
Aadmi: Theek hai aur thnx mujhey nai pata k tum ne kia kya jis sey main Zinda hn but phr thnx itna kch krney k liey.
Zaigham: Krna para kiun k Aiden ki mujhey zaroorat hai aagey ja k aur mein usey control tabhi kr sakta hn jab us ka maalik usey mujhey sounp de.
Aadmi: Theek hai mein usey tumhey deney ko tyaar hn.
Zaigham: Abhi nai jab time aaye ga tub deikhein gey.
Zaigham ne chutki bjayee tou us Aadmi ko es duniya ki yaaddast bhi mill gai us k baad Zaigham wahan se nikal gya aur ghar aa gya.
Alina: Bhai kahan gaey they aap kab se w8 kr rahey hn hum aap ka.
Zaigham: Kiun kia hua.
Alina: Kch hua nai hai bhai humein shopping pe jana tha.
Zaigham: Tou chaley jatey na.
Alina: Yahan nai bhai abhi bhabhi ne btaya k aap ne usey ek hi din main 3 alag alag Countries se shopping krwayee tou mujhey bhi wesi shopping krni hai.
Zaigham: Theek hai Neelum kahan hai dikh nai rahi.
Alina: Arey bhai who Australia gai hui hai wahan kaam tha usey.
Zaigham: Theek hai tyaar ho jao us k pass ja k usey bhi le lein gey phr chaltey hn mujhey wesay bhi us sey kaam bhi hai.
Alina: Theek hai bhai mein usey bata deti hn k ready rahey.
Zaigham: Theek hai.
Thodi deir k baad Zaigham, Aaysha aur Alina Australia main they ghar k hall main beithey huey they k Neelum tyaar ho k kamrey se bahir nikli tou apney samney teeno ko deikh k shocked ho gai phr muskuratey huey un k pass chali gai.
Neelum: Mujhey tou dara hi dia tha.
Zaigham: Neelum mujhey tujh se kaam hai akeley main phr hum chaltey hn.
Neelum: Theek hai bhai.
Dono ek kamrey main aa gaey Zaigham ne kamrey ko sound proof kia aur kamrey main sheild laga di us k baad Neelum k sir pe hath rakha tou Zaigham k hath se ek roshni nikal k Neelum k sir main janey lagi Neelum ki aankhein bnd ho gaen aur jab Zaigham peechay hata tou Neelum ne aankhein kholeen aur Zaigham ko deikh k us k samney jhuk gai.
Zaigham: Khari ho jao.
Neelum: God merey liey koi hukam.
Zaigham: Bhai hn tumhara yeh sab formality nai chaiey jis kaam k liey chuna gya hai tumhey us ka waqt nazdeek hai khud ko prepare kr lo.
Neelum: G bhai.
Zaigham: Aur kisi ko pata nai chalna chaiey yahan jo kch bhi hua hai.
Neelum: G bhai aesa hi ho ga.