• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

[Extra] Vengeance ~ Revenge is Sweet

ayush01111

Well-Known Member
4,892
7,263
144
Jabard
Extra Update 6
(I want to hear it all from you)
[Recap Special]

Flora's House
Spain ~ 08:47 AM


“Really? You were in that infinite prison for a hundred and thirteen years?”

Vanshika khadi huwi Aarav aur khud ke liye coffee bana rahi thi. Vanshika ke paas he Aarav khidki ke paas rakhe couch par baitha huwa tha. Aarav se Infinite prison ke baare mein sun kar Vanshika ek pal ke liye bilkul khamosh ho gayi.

Uske liye wo 12 saal bilkul bhi aasan nahi the par Aarav ke liye wo 113 saal the. Vanshika ki aankhon mein dikhayi de raha tha ke wo Aarav ke dard ko mehsoos kar sakti thi.

Aarav: Yup.

Aarav ne kisi bhi tarha ki hichkichahat ke Vanshika ke prashn ka uttar de diya. Vanshika ko bhi ab dikhayi de raha tha ke uske saamne baitha Aarav ab purana Aarav nahi tha.

Vanshika (Slight Smile): So, How was it? 113 saal monsters ke beech rehne ke baad human world mein logon ke beech dobara waapis aana kaisa tha?

Aarav: Main tumhe sab dikha sakta hu! I can share my memories... If you want!?

Aarav uski ability Mnemosyne's Gaze ki baat kar raha tha aur Vanshika usko ek baar experience kar chuki thi. Aarav usko apni memories ek pal mein dikha sakta tha.

Lekin Aarav ki offer par Vanshika ne kuch bhi nahi kaha aur coffee bana kar dono cup utha kar Aarav ke paas aa kar khadi ho gayi. Ek cup Aarav ko pakdate huwe Vanshika khud uski tangon ke beech couch par baith gayi aur apni peeth ko Aarav ki chhati ke saath laga liya.

Vanshika (Sip): Hmm ~ Nope! I want to hear it all from you.

Vanshika ne kehte huwe apna sar Aarav ke kandhe par rakh diya. Ek pal ke liye Aarav uski shararaton ko daikh kar muskurata raha aur phir Aarav usko khud uski Infinite prison ke baad ki dastan sunane ke liye taiyar ho gaya.

Aarav (Sip): Actually, I didn’t come straight back to Earth! Infinite prison se main seedhe Level up tower mein aaya tha aur welcome ki baat karu to mere waapis aate he association se Hannah, Mia aur Becky mujhe arres- Nahi, Mujhe hunt karne ke liye aayi thi kyu ke association ko lag raha tha ke main bhi kisi tarha ka monster he tha.

[System Feature (Holographic Training) Activated]

Update 41~ *Pitter-Patter*
Aarav: Hamara Savagat karne ke liye log yahan aa chuke hai! Lekin un ke haatho ke weapons se lagta nahi hai ke wo yahan sirf savagat karne aye hai.


Aarav ki baat sun ker Spirit bhi chaukanni ho gayi, Aarav khara ho gaya aur Pahar se upar ane ke raaste ki taraf chala gaya, Aarav ke saamne he kuch Knight Armor pehne logo ka group uss ki taraf aa raha tha, Group ke saamne ek lady chalte huwe aa rahi thi Aarav samajh gaya ke wo he Group ko lead ker rahi hai.



Aarav: Check!


[System Feature! Level Insight Ability Activated]



[Player Name: Becky Mitchell
Level: ???
Rank: ???]



Aarav aage barhne he wala tha ke Aarav ki taraf ek bara pathar aya, Aarav ne apni Sword nikali aur usse beech se kaat dia, Aarav ne saamne daikha to wahan ek aur Larki bhi khari huwi thi.



Aarav: Check!



[Player Name: Hannah William
Level: ???
Rank: ???]


Aarav ke peeche ek aur Larki apna haath Sword per rakhe huwe opportunity ka intezar ker rahi thi.


*Check*



[Player Name: Mia Murphy
Level: 71
Rank: E]


Update 41 ~ Spirit(Sigh): Tum sach me bohat ajeeb ho! Tumhare shabd aur Emotions kabhi nahi milte, Lekin tum ye sab karna chahte ho to ker lo, Lekin mujhe ek naya naam dena mat bhool jana, Master bane ho to zimedari bhi lo.
Aarav: Chamakne wala Mac-



Spirit (Furious): Main koi machar nahi hu!!! Koi dhang ka naam socho.



*Tshhhhh*



Un ke baat karte huwe he kamre ka Darwaza khula aur ek Aurat andar aa gayi, Aarav khare ho ker usse daikhne laga, 30 ke kareeb wo ek sundar aurat thi.



*Check*



[Player Name: Caroline Garcia
Level: ???
Rank: ???]



Caroline andar aa ker Aarav ke saamne table ke dusri taraf Chair per baith gayi, Uss ki nazre uss ke haath me pakri File per thi, Kuch pal wahan khamooshi chayi rahi kuch samay ke baad Caroline ne he khamoshi ko tora aur baat shuru ki.



Caroline: Aarav Arya! Mera naam Caroline Garcia hai, Special Agent in charge, Abhi Director yahan nahi hai to tumhara Case main daikhu gi.



Caroline(Reading): Hmm! Aarav tumhara kehna hai ke 2013 ko kisi gate ke andar kheenche gye the, tum ne wahan monster's ko hunt kia aur aj 10 Saal baad wapis aye ho? Am i right?


Aarav: Yup! Agar tum 10 saal keh rahi ho to abhi hum 2023 mein ho gye? Aisa hai to tum sahi ho.



Aarav ne batate huwe holographic training se kuch drishya bhi Vanshika ko dikhane shuru kar diye.

Vanshika: Hannah?

Aarav (Nod): Yes, Hannah Barbie ki kid sister bhi hai! Caroline association head Michael ki secretary hai aur Mia Michael ki beti hai aur abhi temporary meri guild ki member bhi hai aur Becky association ki ek senior officer hai.

Vanshika: Mujhe laga he tha ke main ne Hannah ko kanhi daikha tha... Aage?

Aarav: Eventually I convinced them I was a player too! They ran tests, checked everything, and finally gave me a Player ID. Uske baad main ne Akansha ko aur uski tower mein phansi party ko rescue karne mein help ki aur main Akansha se dobara mil gaya.

20231120-215102-0000.png
Update 44 ~ “Aarav Sir”



Hall ke andar se Anna aur Zoe baahir ayi, Aarav ko saamne he daikh ker wo uss ke paas aa gayi, Dono abhi bhi thori sehmi huwi thi.


Zoe: Hum ap ko thanks kehna chahte the aur Sorry bhi! Hamari wajha se ap ko ye sab karna per gaya.


Zoe ne halka bow karte huwe kaha, Lekin Anna abhi bhi sehmi huwi kuch keh nahi rahi thi, Zoe ne usse push kia to wo aage ho gayi aur kaanpti awaaz me bolna shuru huwi.



Anna: T-Thank You and Sorry!



Anna itna keh ker chup ho gayi, Usse daikh ker Aarav ke chehre per muskurahat aa gayi, Aarav aage huwa aur Anna ko apne paas karte huwe usse apni bahon me bhar lia.



Anna aur Zoe dono chaunk gayi aise Achanak se Aarav ne Anna ko gale se kyu laga lia, Lekin un dono se zyada Shock Tinkerbell huwi thi.


Anna pehle to ghabra ker kuch nahi ker saki, Lekin kuch pal waise rehne ke baad uss ke haath khud he Aarav ke gird lipat gye, Aarav se mil raha wo sakoon Anna ko wanhi rehne ke liye majboor ker rahoa tha.



Aarav: Kaisi ho? Darling!



[Check]


[Player Name: Akansha
Level: 37
Rank: F]



Aarav: That’s also where I met Tarun and Malia...! Lekin real Malia tower mein ek Kitsune ko hunt karne ke liye aayi thi. Things went bad. I had to kill her aur Kitsune ko bachane ke liye main ne Kitsune ki soul ko Malia ki body mein transfer kar diya.

Update 42 ~ *Rustle* *Rustle*
Chalte huwe Aarav ko ek indian larka dikhayi dia, Wo ek bag me samaan rakh raha tha, Wo saath khara tha to Aarav samajh gaya ke ye bhi Party member he hai.



Aarav: Check!



[Player Name: Tarun Sharma
Level: 12
Rank: (F)]


Aarav uss ke paas chala gaya, Tarun apne bag me Potions, Food aur Weapons rakh raha tha, Wo ek bara Bag tha aur uss me bohat kuch bhara huwa tha.



Aarav: Ye sab tum uthane wale ho kia?



Tarun(Scared): Shitttt....*Gasping* Sorry, Tum ne Achanak bola to main chaunk gaya!


Tarun apni saanse sambhalne laga, Uss ne bilkul Expect nahi kia tha ke koi uss se baat karne aye ga to wo apne kaam me laga huwa tha.


Spirit: [Itna lamba samay Insanon ke beech na rehne se ye he ho ga! Abhi pehle insanon ke saath rehna seekho]


Spirit ne Aarav ko baat sunane ka mauka haath se nahi jaane dia, Wo ye sab aise keh rahi thi jaise wo khud per bohat proud ho.



Aarav ne usse kuch bhi nahi kaha aur Tarun per dhayan dene laga, Tarun bhi apne haath me pakra samaan neeche rakhne laga.


Tarun(Smile): I'm Tarun Sharma!


Tarun ne apna haath aage badhate huwe kaha, Uss ke chehre per ek energetic aur excitement se bharpur muskurahat thi, Aarav ne bhi uss se haath mila lia.


Aarav: Aarav Arya! Aj ke mission me main bhi join ker raha hu, Waise tum ne bataya nahi ke ye itna sab tum utha ker le jaane wale ho kia?



Tarun: Ye sab mera nahi hai! Lekin, Yup, Ye sab main le jaane wala hu, Party ka ultimate supporter, Mera kaam sabhi ke Weapons aur samaan ko carry karna hai.


“Yahan kia baate karne aye ho tum?”


Aarav aur Tarun baat ker he rahe the ke ek Larki un ke paas aa gayi, Uss ke chehre per dono ko baate karte daikh chirh saaf dikh rahi thi.


*Check*


[Player Name: Malia Hale
Level: ???
Rank: ???]


Malia(Rudely): Ek F rank hote huwe bhi tumhe ek important mission ke liye saath le ja rahe hai! Tumhe nahi lagta ke tumhe tayari per dhayan dena chahiye? Tumhari bewakoofi ya laparwahi se hume kuch bhi huwa to tumhare liye acha nahi ho ga.



Malia ate he Tarun per barasne lagi, Aarav ko samajh aa gayi ke ye un superiority complex wale logo me se ek hai, Malia ne apna ek bag Tarun ko pakra dia.


Malia(Warning): Baate karne me samay barbad mat karo! Ye bag sambhal ker rakho, Agar kuch bhi rakhna bhoole to mujh se bura koi nahi ho ga.



Malia usse warning de ker Aarav ko ghoorte huwe wahan se chali gayi, Tarun bina kuch bole Malia ka samaan bhi apne bag me rakhne laga.



Tarun: Tum miss Malia ki baato ko serious mat lena! Wo sirf sabhi ko safely mission pura karwana chahti hai, Ye to waise bhi mera kaam hai.


Aarav: Hmm, Tumhe koi pareshani nahi hai to mujhe kyu ho gi?

Malia(Whimpering): P-Plea.....Please Mujhe mat maaro *hiccup* Kia bigara hai....Kia bigara hai main ne tumhara? *Sob* Please mujhe jaane do, Aarav!
Malia ne dard aur dar se kanpati awaaz me Aarav se apni jaan ki bheek maangte huwe kaha, Uss ke saamne Aarav hava me baitha huwa tha.



Aarav Malia per dhayan nahi de raha tha, Uss ka dhayan uss ke saath ghayal Kitsune per tha, Aarav ne wahan logo ko maar to dia tha lekin Kitsune abhi bhi uth nahi raha tha.



Tinkerbell: [Tum ne sab kuch to uss larke ko dikha dia hai! Ab usse baahir nazar rakhne ke liye kiu bheja hai?]



Tinkerbell ne Aarav ke kandhe per baithe huwe uss se pucha, Aarav ne Tarun ko Barrier ke baahir bhej dia tha, Tarun bina kuch kahe uss ki baat maan ker baahir chala gaya tha.



Aarav(Yawn): Usse abhi sab kuch nahi dikha sakta hu! Usse sirf utna dikhaya hai ke wo kisi ke saamne muh bhi khole to mujhe dikkat na ho, Bura larka nahi hai wo aur main aise he kisi ko maarna nahi chahta hu.



Aarav angrayi lete huwe hava se neeche aa gaya, Malia ki saanse bhaari ho gayi, Lekin Aarav uss ki taraf nahi gaya wo Kitsune ke paas chala gaya aur uss ke paas baith gaya.



Kitsune ki halat kharab thi lekin itni bhi nahi ke wo uth na sake, Aarav ne apna haath Kitsune ke sar per rakh dia.



[Unique Ability (Soul Binding) Activated]



Aarav: [Mujhe sun sakti ho kia tum?]


Aarav ne Kitsune ki soul khud se Bind ker ke Telepathy ki madad se uss se baat karni chahi, Kitsune bhi pehli baar apne mann me aise kisi insaan ki awaaz sun ker chaunk gayi.



Kitsune: [*Nod*]



Tinkerbell(Shocked): [Tum Beast se baat bhi ker sakte ho kia?]



Aarav: [Haan! Lekin sirf un se jo baat karna chahte ho, Aise he to Prison me Monster se guardian ki khabar mili thi]



Tinkerbell ko ab samajh me aa rahi thi ke Aarav konse communication ke kabil monster's mile the.



Aarav: [Ab seedhi baat per ata hu! Tum abhi bhi lar sakti ho lekin tum larna nahi chahti h, Kiu ke tum yahan nahi rehna chahti ho?]



Aarav ne ek baar dobara Kitsune ko heraan ker dia, Kitsune ke Chehre per udaasi chaa gayi aur uss ki nazre apne saamne bandhe Baby Kitsune per tik gayi.



Kitsune: Sirf yahan he nahi, Mujh me kanhi rehne ki chahat bhi nahi bachi hai! Varshon se meri prajati hamari tails ki wajha se shikaar banti ayi hai, Meri duniya ke log bhi hamari tails ke liye hamara shikaar karte the, Sirf ek main he meri prajati me se bach gayi thi, Uss duniya se jab mujhe nikala gaya to mujhe laga ke yahan main insanon ke saath mil ker reh saku gi, Lekin har Duniya me insanon ke andar lalach waisi he hoti hai, Ek baar meri shaktiyon ka pata chalne per har din mujhe un se he bach ker rehna parta hai jinhen bachane ki zimedari main ne li thi, Lekin ab aur nahi chup sakti hu main.




Aarav Kitsune ke andar daikh sakta tha, Usse wo dard dikh raha tha jo uss kitsune ne aj tak bardasht kia tha, Kitsune kisi ko hurt bhi nahi karna chahte the.


Lekin un ki apni Duniya ke logo ne he unhen apni lalach ke liye maarna shuru ker dia tha, Kitsune ye soch ker yahan ayi thi ke wo yahan nayi zindagi ki shuruvat ker sake gi, Lekin logo li lalach ne yahan bhi Kitsune ko ek shikar bana dia tha.


Har din apne bache ko bachate huwe Kitsune idhar se udhar he bhaagti rehti thi, Un ki shakti ban'nne wali tail he un ke liye Curse ban gayi thi, Uss ki kahani sun ker Aarav uss ke paas se uth ker Malia ke paas chala gaya.



Malia(Hiccup): Please.....Mujhe ek baar me khatam ker do! Main aur tumhari maar bardasht nahi ker sakti hu.




Tinkerbell: [Ye wali per tumhari Alpha Presence ne gehra Asar kia hai! Tumhare Aura me rehne se ye larki ko marna pasand hai]



[Inventory]



Aarav ne inventory me se healing potion nikala aur Malia ka sar uthate huwe usse pilane laga, Dar aur ashcharya ke saath Malia ne potion pee lia.



[Unique Ability (Soul Binding) Activated]



Malia ke ghav bharne shuru huwe he the ke Aarav ne Malia ki Soul ko bhi Bind ker dia, Malia bhi confuse ho gayi ke Aarav kia chahta hai? Ek bareek thread Malia se nikalte huwe Kitsune se ja ker connect ho raha tha.



Wanhi Aarav se thread nikalte huwe un donon se connect ho raha tha, Un teeno ki Soul Bind ho chuki thi.



Aarav: [Miss Kitsune! Tumhare paas ab 2 raaste hai, Pehla ke tumhari baat maante huwe main tumhe aur tumhare baby kitsune ko abhi yahan maar ker khatam ker sakta hu]



Kitsune ye sun ker he tham ker reh gayi, Marne ka intezar karne aur Marne ke liye haan kehne me bohat antar tha, Ab jab Aarav ne ye option saamne rakha to Kitsune ko uss raaste ka bojh mehsoos huwa.



Kitsune(Gulp): [Aur dusra Option?]



Aarav: [Dusra Option ye hai ke tum mujh per vishwas karo! Main tumhe aur tumhare bache ko yahan se nikal ker insanon ke saath rehne ka chance du ga, Lekin kaise uss per tum koi sawal nahi karo gi, Badle me tumhe hamesha ke liye meri gulam ban ker rehna ho ga]



Kitsune ke saamne Master Servant Contract aa gaya, Aarav bilkul dead serious tha, Kitsune samajh sakti thi ke agar uss ne pehla option lia to Aarav usse maarne ke liye hichkichane bhi nahi wala, Lekin kia Aarav sach me dusra Option sach ker sakta tha.



Kitsune ko ek lambe samay ke baad dobara umeed ki kiran dikhayi di thi, Lekin kia wo umeed sachi thi? Kitsune ye he daikhne ke liye Aarav ko samajhne ki koshis ker rahi thi, Lekin usse Aarav se kuch bhi dikhayi nahi de raha tha.



Kitsune: [Shayad wo insaan sach keh raha tha! Tum insaan bohat ajeeb hote ho, Har ek dusre se bilkul alag lekin ek jaisa he, Lekin tum un sab se alag ho, Sabhi achayi ka dhong rachate huwe andar se danav hote hai, Lekin tum khud ko danav keh bhi rahe ho to tum per vishwas karne ko mann karta hai]



Kitsune ne Aarav ko samajhne se haar maan li, Uss ka bacha usse he umeed bhari nazron se daikh raha tha, Kitsune ne Contract accept ker lia.


Kitsune: [Daikhte hai ke tum hamay kya naya dikhane wale ho, Insaa- Nahi.....Master]



Kitsune Aarav ki servant ban chuki thi, Aarav ne bhi samay barbad nahi kia aur apne kaam per lag gaya.



[Unique Ability (Spiritus Domination) Activated]



Tinkerbell: [Ye kia hai? *Blush* M-Master]



Kitsune ko Aarav ko aise pukarte daikh Tinkerbell bhi khud ko rok na saki, Lekin Aarav abhi uss per dhayan nahi de sakta tha.



Aarav: [Ye ek Unique Ability hai! Ye Ability kisi ko dusre ke sharir ler vash ya usse apna banane me madad karta hai, Main Kitsune ko uss ki body se nikal ker Malia ki body me bhejne wala hu, Lekin usse pehle Malia ki Spirit ko Soul battle me harana ho ga]



Aarav ki baat sun ker Tinkerbell aur Kitsune dono he chaunk gye, Lekin ye he ek raasta tha, Agar Kitsune ko sach me khud ko azad karna tha to usse apni body peeche chorni parne wali thi, Lekin Kitsune uss ke liye bhi tayar thi.



Ye Alpha ki Ability thi, Ye Ability Aarav se larne ke baad Alpha ne Use ki thi, Lekin uss battle me Aarav jeet gaya tha, Avinash ki Soul Binding ki madad se Aarav ye Ability dusro per bhi Use ker sakta tha.



Aise he Kitsune aur Malia ke beech Soul Battle shuru ho gaya, Ab aage ka kaam Kitsune ke upar tha, Kuch samay un ke beech Battle chala lekin ye Aarav aur Alpha ke battle ki tarha lamba nahi gaya, Akhir me Kitsune ki jeet ho gayi.



Vanshika: Poor Kitsune! Wo to sirf khud ke liye aur apne bache ke liye ek shaant jeevan chahati thi... Lekin manushya unke jeevan ko bhi narakh banane ki koshish kar rahe the.

Vanshika ko Kitsune ko daikh kar khud ka bhi dard yaad aa raha tha. Vanshika bhi Kitsune ki tarha he ek shaant aur uski buri yadon se dur jeevan ke liye spain aayi thi.

Aarav: Akansha, Tarun, Malia aur Peter k-

Vanshika: Peter?

Aarav: Main ne Peter ka nahi bataya?

Vanshika: Nahi.

Aarav: Oh, Okay. Peter bhi ek player hai par player se bhi achha wo spy hai! Peter ke paas insect ko tame karne ki ability hai. Shuruaat mein to main sirf Peter ko information ke liye pay karta tha par ab Peter sirf mere liye he kaam karta hai aur baaki sab ke saath wo bhi meri guild ka part hai. Lekin usko sab ke beech rehna pasand nahi hai.

Update 45 ~
Level Up Tower Island
Island Restaurant ~ 9:43 AM



Jahan Aarav table per baitha Akanksha aur Zoe ke saath khaana kha raha tha, Wanhi un se kuch table dur he Malia baithi huwi thi.



Malia ke saamne ek larka baitha huwa tha, Larke ne khud ko cover kia huwa tha, Ye larka Player's me sab se best informer tha, Kuch bhi information chahiye ho iss ke paas se hamesha kuch na kuch mil he jaati thi.



Larka: Miss Malia? Ap ne aj mujhe khud se bula liya?



Malia: Information he kuch aisi khaas chahiye thi, Peter! Lekin tumhe sach me sab kuch pata hai na?



Kitsune ne kal raat he Malia ke pure style ko ache se seekhne ki koshish ki thi, Perfect to nahi lekin wo okay kaam ker rahi thi, Aarav ki taraf se uss ka ye pehla kaam tha.



Peter: Sayani Family? Hmm, Let me remember, Ummm, Kuch information to hai mere paas, Lekin kia keemat utni achi hai ke ye khabar de saku main?

-----

Update 51 ~

*Ring-Ring*



Aarav ke desk ke upar rakhe Phone per call ane lagi, Aarav ne Screen per daikha to uss per Peter ka naam flash ho raha tha, Uss ka naam daikhte he Aarav ne phone utha liya.



Aarav(On Call): Hello!



Peter: Aarav Sir! Kaise ho ap?


Aarav: Badhiya hu! Lekin abhi mujhe call karne ka reason batao gye kya?


Peter(Chuckle): Kya Sir? Kitne din baad baat ho rahi hai, Thoda to pyaar se baat karo na!!!



Aarav: Huh!!!



Peter: Bata raha hu! Sorry, Ap abhi kahan ho?


Uss ki baat sun ker Aarav desk per daikhne laga, Desk ke upar ek makhi baithi huwi thi-



Aarav: Jab tum mujhe daikh rahe ho to puchne ki kya zaroorat hai? Ab seedhe batao ke kya baat hai?



Peter(Shocked): Ap ko pata tha? Lekin kab se?


Peter ki ability thi Vision Share karne ki, Ability se wo kisi ki bhi nazron se daikh sakta tha, Lekin kisi insaan ke saath vision share karna uss ke liye possible nahi tha.


Aise janwaro aur keede makodon ke saath vision share ker ke wo bina wahan huwe sab per nazar banaye rakh sakta tha, Aarav ne tower se nikalte he uss makhi ko mehsoos ker lia tha.


Ye uss ki ability ki ek weakness thi. Vision share karte samay tamed creature ke saath Mana bhi share hota tha. Lekin small insect type tamed creatures ke saath bohat kam Mana share hota tha to Peter unko he Use karta tha spy work ke liye.


Lekin Aarav ki Senses se utna Mana bhi nahi bachta tha, Kanhi bhi Privacy me jaate huwe Aarav uss makhi se peecha chudwa kar jata tha.




Peter(Sigh) Sorry! Ab aur kuch shararat nahi karu ga, Ap ne mujhe ap ki nayi family per nazar banane ke liye kaha tha na? Aj mujhe ap ki behan ki kuch khaas khabar mili hai.



Vanshika: Hmm.

Aarav: Peter se mujhe Vansh ke baare mein pata lag gaya. Lekin usko baahir nikalne ke liye mujhe ek powerful background chahiye tha... Aur uske liye main Singh parivar ka ek sadasya ban gaya.

Pratap Singh (Head of the Family)
****
Amar Singh - 59 (Pratap's Elder Son)

Radhika Singh- 53 (Amar's Wife)

Kunal Singh- 34 (Amar's Son)


****
Vikram Singh - 56 (Pratap's Second son)

Meera Singh - 52 (Vikram's Wife)

Veer Singh - 23 (Vikram's Son) (Dead)

Aarav Singh - 31 (Vikram's Second Son)

Tanushree Singh - 22 (Vikram's Daughter)


****
Karunesh Singh - 43 (Pratap's Third Son) (Dead)

Priya Singh - 48 (Karunesh's Wife)

Ishika Singh - 29 (Karunesh's Daughter)


****
Ananya Singh - 51 (Pratap's Daughter)

Rohit Verma - 53 (Ananya's Husband)

Riya Verma - 24 (Ananya's Daughter)

----
Update 46 ~

“Ap keh rahi ho ke main ap ka beta ban ker Parivar ka hissa ban jau?”




Aarav ne ek baar dobara Meera ki baat doharate huwe usse bataya ke wo kya keh rahi hai, Lekin Meera ko ache se andaza tha ke wo kya keh rahi hai, Uss ki baat sun ker Vikram aur Pratap bhi heraani me doobe huwe the.



Vikram(Whisper): Ye tum kya keh rahi ho? Hum aise he kisi ko bhi apna beta bana ker sab ke saamne le aye? Agar sab ko vishwas karwa bhi de ke ye hamara beta hai, Lekin kya hum sach me iss larke per bharosa ker bhi sakte hai kya?



Vikram ka reaction bilkul sahi tha, Usse ye samajh nahi aa rahi thi ke Meera ne aisa sujhav saamne rakha bhi kyu hai, Lekin Pratap kuch bhi nahi keh raha tha aur khamooshi se sun raha tha.



Meera: Please, Ek baar mujh per vishwas ker ke sochiye na! Hum aise he to isse kuch nahi de sakte hai na? Lekin agar ye hamara beta ban jaye ga to hume Aarav ko kuch dene me dikkat bhi nahi ho gi.



Vikram ko kuch samajh nahi aa rahi thi, Wo sirf apni patni ko samajhne ki koshish ker raha tha, Meera ke Chehre per bhi nervousness dikh rahi thi.


Vikram: Asli wajha ye nahi hai! Baat kuch aur hai, Lekin tum mujhe batana nahi chah rahi ho?


Vikram ne apni Patni ko aise bechain pehle kabhi nahi daikha tha, Uss ki patni hamesha uss ke saath chalne walo me se thi, Lekin pehli baar wo aise kisi baat per Bechain ho ker Vikram ko mana rahi thi.


Pratap: Vikram! Meera beti ne aj tak kuch bhi bura nahi socha hai, Agar usse lag raha hai ke ye ek acha nirnay hai to hume uss ka saath de ker baat ko samajhne ki koshish karni chahiye.



Vikram: Lekin Papa Ji? Ye koi chhota nirnay nahi hai na? Hum kisi anjan ko apna beta kaise bana sakte hai? Hume to pata bhi nahi hai ke usse chahiye kya hum se?



Vikram awaaz dheeme rakhte huwe baat ker raha tha, Lekin Aarav ko sab kuch sunayi de raha tha, Aarav bhi kuch soch me dooba huwa tha.



Tinkerbell: [Ye ho kya raha hai? Hum to yahan sirf paise lene aye the na? Mujhe ye Aurat sanki lagti hai, Paise lo aur nikalne ki karte hai]



Tinkerbell ne Aarav se kaha lekin Aarav uss ki baat per dhayan nahi de raha tha, Aarav ko sach me uss sujhav per sochte daikh Tinkerbell bhi heraan ho gayi.



Tinkerbell: [Don't tell me! Tum sach me serious ho iss baare me?]



Aarav: [Ye Aurat kisi chal per ho sakti hai! Lekin ye kehna galat nahi ho ga ke ye hamare liye ek acha sujhav hai, Tumhe pata hai ke ye duniya ke liye asli power kya hoti hai?]



Tinkerbell: [Hmm, Paisa?]



Aarav: [Sahi, Lekin sirf Paisa kafi nahi hai! Tumhare paas bohat paisa ho sakta hai, Lekin sirf uss Paise ko power nahi keh sakte]



Tinkerbell: [Phir aur kya hai Power?]



Aarav: [Naam! Ek Powerful Naam ke liye Paisa zaroori hai, Lekin uss naam ko Powerful banane ke liye Samay aur Bal dono lagte hai, Lekin agar wo naam mujhe aise mil sakta hai to mere khel me hum ek saath bohat aage barh sakte hai]



Aarav ke chehre per ek Muskurahat ane lagi thi, Jaise wo khud ko apne maksad ke aur bhi kareeb daikh raha tha, Tinkerbell ko kuch samajh to nahi aa rahi thi, Lekin usse ye Vishwas tha ke Aarav sab kuch soch ker he ye nirnay le raha tha.



Vanshika: Ye Tanu hai?

Update 46 ~ “Koshish bhi mat karna andar kadam rakhne ki!!!”
Aarav ne peeche daikha to sidhiyon ke paas Tanu khari gusse se usse ghoor rahi thi, Aarav wanhi darwaze ke beech me ruk gaya, Tanu tez kadmo ke saath Aarav ke paas aa gayi.


Tanu ki Aankhe rone se laal ho gayi thi, Uss ke gaalo per abhi bhi ansoo ke sukhe nishan the-



Tanu(Furious): Ye kamra Veer bhayia ka hai! Tum na to un ke kamre me aur na he hamare parivar me aa sakte ho, Main tumhe kabhi Veer bhayia ki jagha nahi lene du gi.



Tanu ne Aarav ko pakarte huwe usse baahir khichne lagi, Lekin uss ke jaisi nazuk larki ke khichne se Aarav apni jagha se hil bhi nahi raha tha, Ye baat usse aur bhi chidh-chidha rahi thi.



Tanu: Niklo hamare ghar se! Tum kabhi Veer bhayia ki kisi bhi cheez ko nahi chune wale, Nikal jao ab, Ughhhh!!!



Tanu apni puri takat laga rahi thi, Lekin Aarav ko kuch farak bhi nahi per raha tha, Wo waise he bina hile sirf khara huwa tha.



“Tanu?”


Sidhiyon se upar ati Ishika ne jab Tanu ko daikha to wo chaunk gayi, Bhaagte huwe wo un ke paas aa gayi aur Tanu ko Aarav se alag ker diya, Tanu Ishika ki seene me muh de ker rone lagi.



Tanu(Sobbing): Ishika Di! Ap iss insaan se kaho na ke bhayia ke kamre se nikal jaye, Mujhe nahi chahiye koi aur bhai, Veer bhayia ki jagha kisi aur ko nahi leni chahiye na?



Ishika(Consoling): Tanu, Bari Maa ne abhi tumhe samjhaya hai na? Ye sab Dada Ji ka decision hai aur Veer bhayia ki bhi ye khawahish thi.



Tanu: Mujhe nahi vishwas Maa ki baat ke upar! Ye insaan sab ko pagal bana raha hai, Hum kisi lawyer se baat karte hai na? Ap to jaanti ho gi na kisi ko?

----

Update 91 ~

Aarav: Veer aur main twins nahi hai! Aur na he hamare beech kisi bhi tarha ka khoon ka rishta hai.


Aarav ki baat sun Tanu aur Ishika dono ko he chup lag gayi, Dono he usko hairani se daikh rahi thi, Unhe to jaise uski baat per vishwas he nahi ho raha tha, Lekin Kunal ke uske saath dene se unko ye jhoot bhi nahi lag rahi thi.


Ek bomb ki tarha ye khabar unke sar per phat gayi thi, Aisa nahi tha ke unhe shak nahi huwa tha, Lekin ek samay ke baad unhe apna shak sahi saabit hone ka he dar tha aur aj wo ho gaya tha.


Tanu: Y-Y-YE A.....Ap kya keh rahe ho? Aisa kaise ho sakta hai? Veer bhayia ne khud he unki voice recording me ap ko unka m bhai kaha tha...Ye kaise ho sakta hai?


Tanu ka shareer ab buri tarha se kaanpna shuru ho gaya tha, Kunal ne uske kandhe ko sehlane shuru ker diya, Tanu Kunal ki taraf daikhne lagi jaise puchna chah rahi ho ke ye sab jhoot ha hai na?


Dusri taraf Ishika ka haath bhi Nandini ne pakad liya, Lekin Ishika ne khud ko Tanu se achi tarha sambhala huwa tha.


Aarav(Sigh): Kyu ke Veer mujhe uska bhai he kehta tha! I have something inside me that belongs to his real twin...Ye he kaaran hai ke Veer mujhe uska bhai kehta tha.


Nandini: Like what exactly? Ap organs ya bone marrow ki tarha ka kuch keh rahe ho kya?


Aarav: Kuch aisa he hai! Lekin sach ye he hai ke main Veer ka bhai nahi hu aur sach kahu to yanha main rishte banane aya bhi nahi tha, Yanha main khud ke ek swarth ke kaaran aya tha aur ab sab kuch khatam ho gaya hai.


Aarav uski baat keh ker chup ker ke baith gaya, Uske baar pure kamre me khamoshi chha gayi, Tanu uska sar pakad ker baithi huwi thi, Sab uske he kuch na kuch kehne ka intezar ker rahe the.


Tinkerbell: [Lagta hai ke ab yanha se bhi nikalne ka samay aa gaya hai! Lekin ye ladki achi lagne lagi thi, Bura to lag raha hai...Lekin kya he ker sakte hai, Ek tarha se hum ne usko dhoka he to diya hai]


Aarav: *Sigh*


Aarav uth ker khada ho gaya, Uska udhar kaam khatam ho gaya tha, Uske paas ab rukne ka koi bhi kaaran nahi tha, Pratap ki bimari bhi cure ho gayi thi to uski taraf se bhi deal complete ho gayi thi.


Tanu: Lekin....Agar A-Ap ka swarth pura ho gaya tha aur sab kuch khatam ho gaya tha to ap ye sab batane waapis kyu aye?


Aarav ke kadam ruk gye, Lekin uske paas kehne ke liye kuch bhi nahi tha, Ye Aarav ko bhi nahi pata tha ke wo kis umeed ke sab kuch batane aya tha?


Aarav ne sab he reactions ko expect kiya tha, Lekin Aarav khud konse reaction ko daikhna chahata tha? Ye Aarav ko bhi nahi pata tha, Tanu khadi ho gayi aur Aarav ke paas aa gayi


Tanu Aarav ki aankhon me aankhe daal ker daikh rahi thi, Lekin uski khud ki aankhe he aansuon se bhari huwi thi.


Tanu: Kya ap ke andar abhi bhi Veer bhayia ke twin ka wo kuch hai?


Aarav: *Nod*


Aarav ne uski taraf daikhte huwe haan me sar hila diya, Usko bhi kuch nahi pata tha ke Tanu kya kehna chahati hai, Lekin uske dil ki dhadkane bhi tez ho gayi thi.


Tanu ne Aarav ki taraf daikhte huwe uska haath pakad liya, Aarav usko hairani se daikhne laga, Tanu ne ek rakhi ko Aarav ki kalai per baandh diya.


Uski kalai per Urvi aur Suhani ki Rakhi ke saath he Tanu ki Rakhi bhi thi, Aarav ne ghadi ki taraf daikha to Rakshabandhan khatam hone me samay tha.


Tanu: Ap ke andar agar kuch na bhi hota to koi baat nahi thi! Lekin ap mere bhai ho aur ye ek sachai hai, Agar abhi bhi ye baat samajh nahi ayi hai to issi rakhi se abhi ke abhi ap ka gala bhi ghont sakti hu, Samjhe kya?


Aarav ek pal ke liye Tanu ko daikhta he reh gaya aur agle he lamhe uske chehre per bhi muskurahat aa gayi, Unko daikh baaki sab bhi hansne lage.


Tanu: Hansna baad me hai! Ye batao ke ap samjhe ya nahi samjhe?


Tanu abhi bhi pareshan thi, Aarav ne usko kuch bhi bataya nahi tha, Usko ab bhi dar lag raha tha ke Aarav chala jaye ga.


Aarav(Smile): Yes...!


Tanu(Scared): Kya samjhe?


Aarav(Smile): Ye samjha ke we might not share a blood bond! But we can still forge a bond that’s even stronger than any blood ties.


Aarav ne kehte huwe ek chocolate Tanu ke muh me thuns di, Tanu khadi usko aankhe phaade daikhti he reh gayi, Aarav aur baaki sab usko aise hairan khadi daikh ker hansne lage.


Lekin Tanu ne kisi per thoda bhi dhayan nahi diya aur Aarav se lipat gayi, Aarav ne bhi usko banhon me bhar liya aur uski peeth thapthapane laga.


Aarav: Happy Rakshabandhan...!


Aarav (Nod): Yes!

Vanshika: She's Cute... Urvi ki absence mein bhi tumhare paas Tanu ki shakal mein ek aur Urvi thi? *Smile*

Aarav: Nahi... Tanu ya koi bhi kabhi Urvi ki jagah nahi le sakta... Lekin Tanu ko kisi aur ki jagah lene ki zaroorat bhi nahi hai. Uske liye meri jagah mein uski khud ki ek special place hai *Smile*

Aarav ne Tanu ke hologram ki taraf daikhte huwe kaha aur uske chehre par muskurahat aa gayi.

Aarav (Continue): After that, I created the Eterna Power Generator and launched it through Singh Enterprises! Project ki funding ke bahane main ne Sonia ke kareeb ho gaya. I didn’t really ask her to join me. I made her join me.

Update 53 ~ Aarav: Miss Sonia? Mujhe laga nahi tha ke itni jaldi ap ko dobara daikh saku ga!
Sonia: Aisa kya? Lekin jab saamne wala ap ke jaisa dilchasp insaan ho to milne ka mann karta rehta hai.


Aarav muskurate huwe apni chair per baith gaya, Sonia uss ke saamne baith gayi.



Aarav: Kya le gi ap?



Sonia: Actually mujhe ek aur meeting attend karni hai! Agar hum seedhe business per aa sakte to mujhe zyada khushi hoti.


Aarav: Sure! kahiye ap ko kya kehna hai?


Sonia: Mr.Aarav, Yahan aj mere ane ka maksad Blue Moon project se related hai! Main Blue Moon project ko sponsor karne me interested hu.


Aarav: Hmm! Meri secretary ne ap ko sabhi conditions bata di ho gi?


Aarav ki baat sun ker Sonia ne apne bag me se ek Envelope baahir nikal liya, Envelope daikhte huwe uss ne Aarav ki taraf khisaka diya.


Sonia: Ye meri conditions hai! Ek baar padh len.


Aarav ne envelope se contract nikal ker usse padhne laga, Sonia ki company project me bohat zada Shares maang rahi thi, Aarav ne usse waapis table per rakh diya.



Aarav: Nope! Ye demands acceptable nahi hai.


Sonia: Mr Aarav, Shayad ap situation ko samajh nahi rahe! Ap ki company ki reputation Sachin Malhotra ki wajha se bohat kharab huwi huwi hai, Ap jo shares offer ker rahe ho uss per sponsor milna bohat mushkil hai, Shayad koi aye bhi nahi.


Aarav: To main puch sakta hu kya? Miss Sonia, Phir ap yahan kya ker rahi hai?


Aarav chair per relax hote huwe kaha, Sonia ko aise javab ki he umeed thi, Sonia ke aage bade bade log dab gaye the, Lekin Aarav uss ki aankhon me Aankhen daal ker baat ker raha tha.


Aarav: Wo log yahan nahi aye gye kyu ke wo ye project deserve nahi karte! Lekin hum dono ek he tarha se soch rahe hai, Un sabhi logo ka vision sirf Eternapower tak seemit hai, Lekin tum yahan aage ka soch ker ayi ho, Lekin tumhe Blue Moon ka future dikh raha hai!


Aarav ne beech me ap se tum kehna shuru ker diya, Sonia usse dhayan se observe karte huwe uss ki sabhi baate sun rahi thi, Lekin wo andar he andar Aarav se impress hoti ja rahi thi.


Sonia(Smile): Bilkul jaisa mujhe laga tha! Tumhari target shuru se main thi? Baaki sab sirf promotion ke liye wahan the!


Aarav uss ki baat sun ker muskura diya, Blue Moon project ko Sponsor karne ki power sirf kuch logo ke paas thi, Un me se ek Sonia thi.


Aarav ne drawer khola aur ek naya Envelope nikal ker table per rakh diya.


Aarav: Ye ek nayi offer hai! Conditions abhi bhi Wohi hai, Lekin ab ye contract sirf Eternapower ke kiye nahi pure Blue Moon project ke liye hai, Mujhe 10 bewakoof sponsor se tumhare jaisa ek Strong partner saath rakhna acha lage ga.


Aarav ki offer sun ker Sonia muskuaye bina nahi reh sakti thi, Aarav kitne risky decisions le raha tha ye dono ko pata tha ke ye bewakoofi hai, Lekin Aarav ki offer dikhane ka andaz he usse alag bana raha tha, Sonia khud ko rok nahi sakti thi.


Sonia(Smile): Tumhare saath kaam ker ke acha lage ga! Main sach me daikhna chahti hu ke tum mujhe kya kuch naya dikhane wale ho, Mr. Aarav Singh!!!



Aarav: Tum bilkul bhi disappoint nahi ho gi! Bohat kuch naya daikhne ko mile ga

----
BHai maza agaya ab main part par bbiaaao
 

ayush01111

Well-Known Member
4,892
7,263
144
Bhai
Extra Update 6
(I want to hear it all from you)
[Recap Special - Part II]



Aarav: Lekin aage kuch bhi karne se pehle mujhe ek aur kaam karna tha... Vengeance! Khud ka badla lene se pehle main ne Akansha ko uska badla uske chacha chachi se lene mein help ki.

*Screeeech*
Rajesh ne ekdum se car ki brake laga di, Rahul aage seat se lagte huwe bacha-


Rahul: Papa kya ker rahe hai Ap? Aise ko-


Rahul chilate huwe aage huwa to usse Car ke saamne andhere me koi khada dikhai diya, Kohare ki wajha se vyakti saaf dikh nahi raha tha, Road ke beech me wo vyakti khara tha.


Wanhi uss ke saath he 2 laal aankhe bhi dikh rahi thi-


Rahul(Frightened): Papa, Ye kon hai?


Rajesh(Furious): Kon hai ye mujhe pata nahi karna! Lekin agar ye mere raaste se nahi hata to aj ye yanhi marne wala hai.


*Vroom*


Rajesh ne accelerator dabate huwe gear daalte huwe car aage badha di, Usse abhi kuch aur nahi sujh raha tha, Usse sirf apna paisa bachana tha, Uss ke saath baithi biwi aur beta usse dar ki nazron se daikh rahe the.


Sushmita(Scream): Rajesh!!


Rajesh(Yell): Shut Up!!!


Rajesh bina kuch sune car aage badhata raha, Lekin saamne khara vyakti apni jagha se hil bhi nahi raha tha, Distance kam hote daikh ab Rajesh bhi darne laga tha.


*Pop*


Ekdum se car ke sabhi tyre phat gye, Car ka balance kharab ho gaya, Rajesh ne usse sambhalna chaha per Car ruk he nahi rahi thi.


*Screeeech*


*Booom*


Car seedhe ek ped se takara gayi, Rajesh ka sar steering wheel per laga, Lekin seat belt lage hone se unhe koi bada ghaav nahi aya, Rajesh uthte huwe tezi ke saath car se baahir aa gaya.



Rajesh(Scream): Madarchod!!


*Bang*

*Bang*

*Bang*

*Bang*


Rajesh ne car se nikalte he gun nikalte huwe uss insani saye ki taraf goliyan chalani shuru ker di, Lekin un me se ek bullet bhi usse chhu bhi nahi saki, Ye daikh ker Rajesh bhi chaunk gaya.


Rajesh ka nishana acha tha, Aise andhere me bhi usse nishana lagane me utni dikkat nahi honi thi, Lekin usse vishwas nahi ho raha tha ke ek bhi bullet saye ko nahi lagi.


*Bang*


*Clang*


Rajesh ne ek aur goli chalayi, Lekin ab ki baar us ne dhayan rakha, Usse andhere me ek talwar dikhayi di, Ye daikh ker Rajesh dar gaya ke bullet ko saamne wala ek talwar se rok raha hai.


*Slash*


Ek pal me saamne wala saya gayab ho gaya, Rajesh usse dhoond he raha tha ke usse dard mehsoos hone laga, Rajesh ne aage daikh to uss ka haath cut chuka tha.


Rajesh(Scream): Aghhhhhh....Mera Haath!! Ughhhhhhh.....B-Bachao....Mera haath.



Rajesh wanhi kalayi pakde baith gaya, Haath se dabate huwe wo khoon rokana chah raha tha, Lekin uss ke haath se khoon nikalte ja raha tha.


Rajesh ne upar daikha to usse kaala libas pehne chehre per daravna mask lagaye Aarav khara dikhayi diya, Usse daikhte he Rajesh ki bachi huwi himmat bhi javab dene lagi.


*Wooosh*


“Ahhhh”

Aarav ke peeche se Sushmita ne ek wrench se usse maarna chaha, Lekin Aarav ne usse araam se dodge karte huwe Sushmita ko baalo se pakad liya.



Rajesh(Crying): Madarchod!! Kya bigada hai hum ne tera? Kyu ker raha hai ye sab?


Aarav ne Sushmita ko wanhi Rajesh ke paas phaink diya, Sushmita bhi buri tarha se seham gayi, Aarav aage hote huwe wanhi baith gaya.


Aarav: Karma! Tere kiye sabhi papon ka Karma hu main, Baith ker apne sabhi papon ke baare me soch le.



Rajesh(Groans): Ughh, Kya bigada hai tera main ne? Kyu ker raha hai ye sab?


Aarav: Apne bhai ko maarte samah socha tha kya? Uss ne kya bigada tha tera?


Ek pal me Rajesh ki aatma kaanp uthi, Usse laga tha ke kisi ko bhi ye nahi pata, Lekin abhi uss ke saamne koi Insan usse ye bata raha tha ke wo pakda gaya hai.


Rajesh: M-Main ne kab-



Aarav: Main yahan court room me nahi baitha! Yahan koi safai nahi deni, Yahan ka judge sirf main hu, Aur tumhe sazaye moat di jaati hai.


Aarav ne apne haatho se gun banate huwe Rajesh ke sar per rakh di, Sushmita aur Rajesh dono heraan ho gye.


Aarav: This is gonna fucking Hurt! Bang.


[Wind Bullet]


*Pop*


Rajesh ke sar ke kisi tarbooz ki tarha chithade ud gaye, Ye daikh Sushmita ki Aankhen khul gayi, Usse itna bada jhatka laga ke uss ki awaaz bhi nahi nikal rahi thi.


*Grooowwwwrrrrr*


Aarav ke peeche Shadow ne dahara to Aarav ne ghoom ker daikha, Car ke andar abhi bhi Rahul chupa huwa tha, Shadow ne danto se usse pakada aur ghasitate huwe Aarav ke paas la ker gira diya.


Rahul ki bhi halat kharab ho gayi thi, Wo Seedhe Aarav ke kadmon me gir gaya.


Rahul(Frightened): Please mujhe mat marna! Please mujhe chhod do, Main kisi ko kuch bhi nahi bataunga, Please mujhe jaane do.


Aarav ne usse dhayan se daikha, Wanhi zameen per uss ka mobile gira huwa tha, Uss per abhi bhi Akanksha ki tasveer Select ki huwi thi.


Aarav(Sigh): Huh! Beta baap se kitna he alag ho sakta tha? Hai to tu bhi uss ka khoon he na.


*Thud*


Aarav ne ek laat Rahul ke muh per maar di, Rahul hava me Uthte huwe wanhi gir kee behosh ho gaya.


Sushmita(Scream): Rahul! Main tumhare paon parti hu, Mere bache ko kuch nahi karna, Usse jaane do.


Sushmita wanhi Aarav ke kadmon me gir gayi, Aarav dobara neeche baith gaya, Sushmita ko baalo se pakarte huwe Aarav ne usse utha diya.



Aarav: tch tch! Tumhe abhi kisi aur ki nahi khud ki chinta karni chahiye, Kyu ke tumhare pati ki tarha tumhe asaan maut nahi dene wala main, Bohat shauk hai na tumhe malkin ban'nne ka? Ab tumhe pata lagne wala hai ke gulam kaise rehte hai.


[Unique Ability (Soul Binding) Activated]


Aarav ne haath aage kiya to uss ke haath se soul thread nikalne laga, Dhaga seedhe sushmita ke gale per bandh gaya.


Sushmita(Chocked): Ugh...Ye kya ker rahe ho? Mera dam ghut raha hai, Ughhhh.


Aarav: Aj se tum meri Slave ho! Agar tum ne kuch bhi hoshiyari karne ki sochi bhi to ye thread tumhe itni takleef de gi ke tumhe maut achi lagne lage gi.


Sushmita wanhi gir ker tarapne lagi, Lekin usse ye takleef sirf mehsoos ho rahi thi, Ye usse maarne wali nahi thi, Soul Clan ki ye sab se secret technique me se ek thi.


Sushmita tarap rahi thi, Ye tarap thread owner ke liye nafrat se kasti thi, Sushmita ke andar abhi Aarav ke liye nafrat bhari huwi thi, Usse uss nafrat ko khatam karna parna tha.


*Grrrr*


Shadow peeche se thoda guraya to Aarav ghooma, Shadow Rahul ke upar khara huwa tha, Uss ke paas circle ban'nna shuru ho gaya tha.


Aarav: Haan, Tumhare waapis jaane ka samay ho gaya hai! Hmm, Aisa karo ye ladka apne saath le jao, Ye ladka agar circle survive ker gaya to tum isse rakh sakte ho.


Aarav ye ek experiment ker raha tha, Usse abhi tak Summoning ki utni knowledge nahi thi, Usse Summoning Ability ko powerful karne ke liye usse aur ache se samajhne ki zaroorat thi.



Shadow ne Aarav ke order follow karte huwe Rahul ke upar claws rakh diye, Circle gehra hota gaya aur agle he lamhe wahan se Shadow ke saath Rahul bhi gayab tha.


“Master!!!”


Malia bhi wahan aa gayi, Uss ke haath me bodi pakdi huwi thi, Aarav ne Sushmita ki taraf daikha to wo behosh ho chuki thi.


Aarav: Rajesh ki body ko yahan se le jao! Tumhe kya karna hai tumhe pata he hai na?


Malia: Yes Master!


Malia ne aage hote huwe Rajesh ko bodi me daala aur usse uthaye wahan se chali gayi, Aarav ne car ke andar se paiso ka bag nikal liya.


Paise nikal ker Aarav Sushmita ke paas chala gaya, Sushmita behosh zameen per giri huwi thi.


Aarav: Uthne ka samay ho gaya hai! Abhi se tumhe bohat kaam karne hai, Bitch!



Aarav: Akansha ka badla lene ke baad main Sonia ke thoda aur kareeb hone laga— aur finally Vansh bhi uski bil se baahir aa gaya... Lekin usko main yaad bhi nahi tha.

Sonia: Main to batana he bhool gayi! Ye Aarav Singh hai, Yaad hai ap ko bataya tha? Hamare naye partner? Kal raat barish ki wajha se Aarav yanhi ruk gye the.
Sonia khud ko calm karte huwe situation ko sambhalte huwe kaha, Table per Sonia ne kuch files rakh di thi ke agar koi bhi daikhe to unhen ye he lage ke wo dono kaam ker rahe the.


Sonia's Husband: Barish to sach me bohat tez thi raat ko! Main bhi raat ko yahan ane ke liye nikal nahi saka, By the way nice to meet you Mr. Aarav, Sonia ne ap ke baare me bataya tha, Main-


Aarav: I know you!


Aarav ne beech me he usse kaat ker kaha aur khara ho gaya, Aarav seedhe Sonia ke husband ki aankho me daikhte huwe aage badhne laga, Aarav seedhe uske paas aa ker khara ho gaya.


Aarav: Happy New Year, Vansh!


[Check]

[Player Name: Vansh Sayani ◼️
Level: ???
Rank: ???]



Aarav: Vanshika?

Vanshika haath mein cup pakad kar khamosh ho kar Vansh ko daikhti rahi. Aarav ko andaza tha ke ye Vanshika ke liye hard hai. Lekin Aarav Vanshika se kuch bhi chhupana nahi chahata tha.

Vanshika: I'm ok.... Continue!

Aarav (Nod): Vansh ko uska kiya kuch bhi yaad nahi tha aur mere liye ye kaafi nahi tha! Vansh ko saza dene ke liye usko sab pata hona bohat zaroori tha... Mujhe khud ki strength par to kabhi bhi shak nahi tha... Lekin mujhe bhi pata tha ke sab ko protect karne ke liye main akela kaafi nahi tha aur Vansh sab yaad aane ke baad dobara definitely unko target karne wala tha.

Vanshika ko bhi samajh aa rahi thi ke Aarav aisa kyu soch raha tha aur usko ye bhi pata tha ke Vansh apne svarth ke liye kitna neeche gir sakta tha.

Aarav: Vansh se to main bhi unhen bacha sakta tha. Lekin uske peeche ke logon se unhen bachana mere liye mushkil tha... Ye he soch kar main meri guild ke saath Level up tower ko clear karne ke liye chala gaya. Lekin udhar mujhe Rahul dobara mil gaya par uska wo roop purane Rahul se bilkul alag tha.

Level Up Tower
Floor 39 ~ 1:17 PM


*Grrrrrr*


39th Floor per demon wolves shaanti se ghoom rahe the aur baby wolves khel rahe the, Kuch Wolves shikar ke liye nikle huwe the.


*Shgggg*


Demon wolves ke beech me shadow reverse summon hone laga, Uske saath ki presence sense karte he sabhi Demon wolves uske paas ane lage, Demon Wolves me ek naya josh janam lene laga.


*Awoooo*


Sabhi wolves ek saath howl karne lage aur baaki wolves bhi udhar ane lage, Agle he lamhe unke saamne Shadow ke upar baithe huwe Aarav unke saamne aa gaya.


Sabhi wolves dobara Alpha ko daikh ker khush ho gye, Tower climb karte huwe Wolves unke saamne nahi aye, Lekin ab wo ache se Alpha ka swagat ker sakte the.


Tinkerbell: Ye kitna shor karte hai? Alpha he to aya hai.


Aarav: Tumhe jalan ho rahi hai kya?


Tinkerbell: Buuuu ~


Aarav(Smile): Jaise tumhe sahi lage! Lekin abhi hama-


“Master!!!”


Ek awaaz dur se Aarav ko bulate huwe uski taraf ane lagi, Aarav kisi vyakti ki awaaz sun ker heraan ho gaya, Usko 29th Floor per kisi ke hone ki umeed nahi thi.


*Thud*


*Thud*


Tez kadmon ki awaaz se Aarav chaukanna ho gaya, Uske saamne pedon ke beech se ek hulk ki tarha bada vyakti nikal ker baahir aa gaya, Uske sharir ka har muscle tight aur giant tha.


Tinkerbell: Ye danav kon hai?


Usko daikhte he Tinkerbell bhi ek pal ke liye hil gayi, Lekin uske kareeb ane per Aarav shaant hone laga, Uske saamne ka vyakti bhi uske paas aa ker ruk gaya.


Aarav: Rahul?


Aarav ke muh se naam sun ker Tinkerbell chaunk gayi, Usko khud ki aankhon per vishwas nahi ho raha tha, Uske saamne Rajesh aur Sushmita ka beta Rahul tha.


Rahul ko jab unhone akhri baar daikha tha tab wo haddiyo ka dhancha tha, Lekin abhi unke saamne bilkul he alag vyakti khara huwa tha.


Aarav ko bhi vishwas nahi ho raha tha, Lekin uski senses usse bata rahi thi ke ye Rahul he hai, Lekin ab unke liye dikkat thi ke Rahul chahta kya hai? Kya usko uske baap ka badla chahiye?


Aarav uske reaction ke liye taiyar tha, Usko kuch pal Rahul aise he daikhta raha aur ek pal ke baad uske saamne ghutnon per baith gaya.


“Master”


Aarav: Huh?


Rahul: Master! Dhanyavad, Yanha ane se pehle mera jeevan bilkul veran tha, Main zinda to tha, Lekin meri zindgi ka kuch bhi uddeshy nahi tha, Lekin yanha ane ke baad mujhe jeene ke liye karan mila hai, Yanha ane se meri zindgi badal gayi hai, Uske liye ap ka bohat shukriya.


Aarav aur Tinkerbell dono he Rahul ki baate sun ker heraan the, Aarav ke liye Rahul sirf ek bali ka bakra tha jise usne summon ability check karne ke liye use kiya tha.


Lekin anjane me he usne Rahul ko bilkul badal diya tha, Uske haatho ki ungaliyon me abhi bhi monster ke khoon ke nishan the.


Aarav: [Ye kya hai?]


Tinkerbell: [I think mujhe pata hai!]


Aarav: [Sach me?]


Tinkerbell: [Haan, Rahul ko yanha aye ek month se upar ho gaya hai! Usko zinda rehne ke liye khaane ki zaroorat rahi ho gi, Mujhe lagta hai ke Rahul ne monsters ko khaya hai]


Aarav: [Hmm ~ Monster's ko khana har koi bardasht nahi ker sakta, Even ke main bhi lambe samay tak chal nahi saka tha monster's khaane ke baad, Lekin agar Rahul ne khaya hai aur usne usko endure ker liya hai to Rahul ab ek sadharan vyakti nahi hai]


Tinkerbell: [Exactly ~ Ye ladka ab sadharan nahi hai, Ye ab ek Beast Human hai, Agar main sahi hu to Rahul abhi kisi B rank player ke barabar hai]


Aarav ne socha tha ke agar Rahul summon survive ker bhi gaya to uske liye tower ke andar survive karna possible nahi ho ga, Lekin usne ye result kabhi bhi nahi socha tha.


Aarav: Good, Aise he shaktishali bante raho! Agar bhavishya me mujhe tumhari zaroorat huwi to tumhe bulaonga.


Aarav ki baat sunte he Rahul khush ho ker uth ker chala gaya, Aarav usko test karna chahta tha, Lekin usko abhi kuch aur kaam tha



Vanshika (Stunned): Ye wohi Rahul hai?

Aarav (Nod): Yeah... Lekin tower mein mujhe sirf Rahul he nahi ek aur bhi powerful subordinate mila tha. 100th floor ka boss monster, Aayush aka Red Dragon!

Update 79 ~ *Grrrrrr*
Aarav ne saamne daikha to uske aage ab original Red dragon tha, Uske paas kuch pillar bane huwe the aur Red dragon ko unke andar qaid kiya gaya tha, Uska bhi ab ek naya stone ban raha tha.


Aarav ki party ke nikalte he Red dragon ka naya stone 100th floor per bhej diya jaane wala tha, Aarav uski energy kam hote huwe mehsoos ker sakta tha.


Aarav ko daikhte he uski aankhe laal ho gayi, Uska gussa badhne laga, Lekin uska sharir hilne ke layak bhi nahi bacha tha.


Aarav: tch tch! Ye sab kya hai? Legendary Red dragon kuch shaktiyon se bandha huwa hai?


Red Dragon: Grrrrrrr!


Aarav: Aise mere per gussa karne se kya mile ga? Kya main ne tumhe yanha bandha hai? Kya main ne tumhari Maa ko tower ka guardian banaya tha?



Tinkerbell: Master! Ye kya ker rahe ho? Uska aise gussa kyu dila rahe ho?


Aarav: Haan, Main ne he tumhari Maa ko maara tha! Lekin hamari ladayi ek dusre se thi, Hum dono me se kisi ne bhi kisi tarha ka bhi chhal kapat nahi kiya tha, Lekin agar tum phir bhi mujhse ladna chahate ho to tum lad sakte ho.


Aarav kehte huwe uski taraf badhne laga, Ye daikh ker Red Dragon bhi heraan ho ker reh gaya, Ab tak koi bhi pillar ke andar nahi aya tha, Lekin Aarav bina kisi dar ke andar aa raha tha.


[You've slayed the guardian! You can now go through the sealed circles]


Aarav: Lekin kya tum aisi halat me ladne ke layak ho? Ye sharir ab sirf ek vishal sa sharir hai, Lekin main tumhe chance de raha hu, Ek nayi body de raha hu.



Aarav ne uske peeche uthaya huwa bag neeche rakh diya, Usne usko khola to uske andar se ek faceless body baahir gir gayi.


Tinkerbell: Eukkkk! Kitni baar bhi daikh lo ye badhi ki badhi he lagti hai.




[The Crimson Ascendant]


[The Crimson Ascendant is an exceptional vessel body that can be obtained from the System Bazaar! It is an SSS-rank item, making it a rare and valuable possession]


[Key features of the Crimson Ascendant]


[Customizable Appearance: The possessing spirit can freely reshape and customize the vessel's physical appearance to their liking, altering features like facial structure and body type]


[High Durability: This body is capable of safely containing and channeling the immense power of red or black rank spirits, without risk of being overwhelmed]


[Ability Integration: When a spirit possesses the Crimson Ascendant, they can fully integrate their own skills, powers, and techniques into the vessel, amplifying their capabilities]


[Transcendent Potential: The body is imbued with a primordial energy that grants the possessor access to extraordinary physical abilities! By training and cultivating this potential, the spirit can ascend to new heights of power.]


[In summary, the Crimson Ascendant is a rare and prestigious vessel body that allows a possessing spirit to customize its appearance, harness its robust constitution, and unlock its inherent transcendent potential, making it a highly sought-after item from the System Bazaar]



यह क्रिमजन Ascendant एक असाधारण वेसल बॉडी है जिसे System Bazaar से प्राप्त किया जा सकता है। यह एक SSS-रैंक आइटम है, जिससे इसे एक दुर्लभ और मूल्यवान वस्तु बनाता है।
Crimson Ascendant की प्रमुख विशेषताएं:

- **अनुकूलनीय Appearance:** कब्जा करने वाला प्राणी वेसल के शारीरिक लक्षणों को अपनी पसंद के अनुसार आकार दे सकता है, जैसे चेहरे का ढांचा और शरीर का प्रकार।

- **उच्च Durability:** यह शरीर लाल या काले रैंक के प्राणियों की अतुलनीय शक्ति को सुरक्षित रूप से समाहित और प्रसारित करने में सक्षम है, बिना किसी खतरे के।

- **क्षमता Integration:** जब कोई प्राणी Crimson Ascendant का कब्जा लेता है, तो वह अपनी कुशलताओं, शक्तियों और तकनीकों को पूरी तरह से वेसल में एकीकृत कर सकता है, अपनी क्षमताओं को बढ़ावा देते हुए।

- **Transcendent Potential:** शरीर में एक प्राचीन ऊर्जा निहित है जो कब्जा करने वाले प्राणी को असाधारण शारीरिक क्षमताओं तक पहुंचने की अनुमति देती है। प्रशिक्षण और प्रसंस्करण के माध्यम से, प्राणी अपने निहित क्षमताओं को खोज और विकसित कर सकते हैं।

संक्षेप में, Crimson Ascendant एक दुर्लभ और प्रतिष्ठित वेसल बॉडी है जो कब्जा करने वाले प्राणी को अपने रूप को अनुकूलित करने, इसकी मजबूत संवैधानिकता का लाभ उठाने और इसके अंतर्निहित उच्च क्षमताओं को खोजने और विकसित करने की अनुमति देता है, जिससे यह System Bazaar से एक अत्यधिक मांगित वस्तु बन जाता है।


Aarav: Agar chahte ho to tum ye body possess ker sakte ho! Uske baad agar tum ladna chaho to lad bhi sakte ho, Lekin agar tum haare to hamesha ke liye mere gulam ban jao gye.


Aarav ki baat sun ker Red Dragon bhi soch me padh gaya, Ye Aarav ki kuch chaal ho sakti thi, Lekin ye bhi sach tha ke agar usne aj ye challenge accept nahi kiya to hamesha ke liye yanhi bandha reh jaye ga.



*Grrrrr*


Red Dragon khud he neeche ho gaya, Usko aise neeche hote daikh Aarav ko uska javab mil gaya tha, Bina samay barbad kiye Aarav ne kaam shuru ker diya.


[Unique Ability (Soul Binding) Activated]


Aarav ne Red Dragon aur vessel ko bind ker diya, Ab tak Red Dragon ko vishwas nahi tha, Lekin uski soul sach me vessel ke andar usko mehsoos hone lagi thi.



*Boooooooom*


Red Dragon ki body neeche gir gayi aur vessel hilne lagi, Uske faceless head me badlav ane shuru ho gye the, Red Dragon ab usko ek roop de raha tha aur daikhte he daikhte Red dragon khada ho gaya.


Red Dragon: Unbelievable! Aisa kuch bhi ho sakta hai kabhi socha nahi tha, Human, Ye sach me ek kamal ki shakti hai.


Red Dragon puri tarha se vessel ko apna chuka tha, Lekin Tinkerbell aur Aarav dono he usko ajeeb nazaron se daikh rahe the.


Tinkerbell: Congratulations! Lekin ek baat bata sakte ho kya?


Red Dragon: Khubsurat Spirit! Kya puchna chahti ho?


Tinkerbell(Blush): Sab kuch acha hai! Lekin tumhe lene ke liye ye chehra he mila tha kya?


Aarav aur Tinkerbell ki heraani ka kaaran Red Dragon ka roop tha, Vessel ne Aarav ka roop le liya tha, Uske aankhe aur kuch baalo me difference tha, Lekin unka chehra height aur awaaz sab same thi.


Red Dragon(Sigh): Huh, Usme tum dono ki he galti hai! Ab mujhe kisi aur human ka chehra yaad nahi tha, Sabhi chehra per kisi tarha ka makhota ya armour pehan ker ate the aur yanha sirf tum dono the.....Ab main ek aurat ka roop to le nahi sakta tha, Ant me ye he roop bacha tha.


Tinkerbell: Ughhhh! Nevermind, Lekin ye chehra le ker aise baate na karo, Daikh ker he raungte khade ho rahe hai.


Red Dragon: Lekin ab main yanha aa gaya hu to shuru karte hai! Human, Ab tumhe hara ker main ek baar dobara shaktishali ho jao ga aur Maa ka bhi badla le lu ga.


Aarav: Lekin tumhe nahi lagta ke ye kuch zyada he jaldi hai?



Red Dragon(Laugh): Hahahahaha! Ye he to tum human ki galat soch hai, tum kaafi shaktishali ho......Lekin kehna ho ga ke ye sharir hamari shaktiyon ko aur bhi badha raha hai, Ye naye sharir ke saath hum tumhe ek vaar me hara sakte hai.


Aarav: I don't mind! Lekin baad me mere saath unfairness ka natak nahi karna.


Red Dragon(Smug): Phir shuru karte hai! Hum tumhe gulam banane ke liye utsuk hai.


*Ka-booooom*



Vanshika (Grin): Nice!

Aarav: Kya huwa?

Vanshika: Nothing, Main sirf ye soch rahi thi ke ab mere paas ek aur Aarav hai *Grin*

Aarav: Naah, Usne sab copy kiya... Lekin original abhi bhi main he hu... He might look like me, but there are still differences ~

Aarav ke kehte he Vanshika ko uske peeche kuch chubne laga.

Vanshika (Giggle): Don't worry... Mujhe bhi sirf original he pasand hai.

Aarav (Smile): Good.

Vanshika: Good, Ab aage batao...!

Aarav: Right, Abhi main Vansh ko sab yaad aane ka intezar he kar raha tha ke kisi ne Eternapower ka Japan se aane wala material chura liya! So I went there to track it down. Lekin Japan mein mujhe material ke saath kuch aur bhi mil gaya... Mera aur Veronica ka beta. Derek!

Update 76 ~

*Ka-booooom*


Abhi Aarav awaz ke kareeb aya he tha ke ek bade dhamake ne sab kuch hila ker rakh diya, Unke paas ki building aur shops bhi dhamake se hilne lagi.


Aarav: Hamay logo ko bachana chahiye! Aisa karo ke tum baahir check karo agar kisi ko help chahiye hai to aur main check karta hu ke andar kya huwa hai.


Mia: Leki-


Aarav: Abhi ke liye logo ko bachana sab se zyada zaroori hai! Main yanha check ker lu ga, Tumhari madad logo ko chahiye hai.


Mia ko uske saath rehne ke orders diye gye the, Lekin usko bhi logo ki fikar ho rahi thi, Usne Aarav ki baat maan li aur baahir ki tarag bhaagne lagi.


Aarav(Sigh): Huh! Ab daikhte hai ke yanha kya chal raha hai.


Aarav ne uske aage ke illusion barrier ko sense ker liya tha, Mia uske kaaran kuch bhi daikh nahi saki aur chali gayi, Aarav bhi barrier ke andar chala gaya aur ek rooftop per chadh gaya.


Har taraf aag lagi huwi thi aur smoke bhi ban gayi thi, Aarav ne dhayan se daikha to usko ek taraf Isabelle dikh gayi.


Tinkerbell: Ye to tumhari purani party ki member hai na? Aur tumhare pack me bhi hai na? Lekin uske saath ye ladka kon hai?



[Check]


[Name: Derek Arya
Level: Journeyman-Level Qi User
Relationship: Son]


Vanshika (Softly): Veronica was a good friend! Wo kehti thi ke wo kabhi khud ko kisi ke liye sacrifice nahi kare gi... But Derek was her son. In the end, it was a mother giving everything for her child.

Aarav (Nod): Yeah… she really loved him! Derek was lucky to have her as his mother, even if he only had her for a little while.

Update 80 ~
Archana: Veronica ko march me he labour pain shuru ho gaya! Ye kaafi chaunka dene wali baat thi, Kyu ki uski pregnancy ko abhi sirf 2 month he huwe the, Lekin main bata sakti thi ke Veronica delivery ke liye bilkul taiyar hai.....Hum ek village me khaali ghar per the, Hamare paas koi bhi aur raasta nahi tha, Hum ne udhar ki he ek aurat ki madad li aur usne Veronica ki delivery ker di.........Mujhe ab bhi yaad hai wo drishya, Veronica uske haatho me tumhare bete ko liye baithe huwe thi, Uski aankhon aansuon se bheegi huwi thi, Lekin uske chehre per khushi ki koi had nahi thi, Uske honton per sirf ek naam tha......Arya!



Archana ke chehre per bhi muskurahat aur gehri ho gayi, Lekin ye zyada samay ke liye aisa nahi raha, Uske saamne jaise kuch dardnak drishya aa gye the, Uski aankhon se aansu behne lage aur sharir kaanpne laga.



Archana: Lekin uski khushiyan kuch zyada lambi nahi thi......! Uski delivery ke kuch he samay ke baad hamay village me Vansh ke logo ke ane ka pata lag gaya........Hum ek baar dobara bhaagne lage the, Lekin ab ki baar Veronica ne inkar ker diya......Uski naa sun ker main chaunk gayi.......Veronica sirf tumhare bete ko daikh rahi thi......Uski aankhon me bache ko daikhte rehne ki bhook thi, Lekin uske saath he ek bebasi bhi thi.



“Aunty! Ab tak to ye log sirf mere peeche he the........Lekin agar main aj yanha se bhaagi to mera bacha bhi unke nishane per ho ga aur ye me kabhi bhi hone nahi de sakti, Aunty! Please mere bache ka dhayan rakhna......Aur Aarav se kehna.........I Love Him”


Archana khamosh ho gayi, Uska pura ka pura chehra aansuon se bheeg gaya huwa tha, Uski nazar uske haatho per thi.


Archana: M-Main tumhare bache ko le ker bhaag gayi! V-Ve....Veronica ne khaali ghar ko aag laga di, Khirki per main Veronica ko daikh sakti thi, Lekin uski ek bhi cheekh baahir nahi ayi.......Apne bache ke liye aisa sacrifice ker ke wo khush thi.....Uski soch sahi thi, Kisi ko bhi shak bhi nahi huwa ke Veronica ne kisi ko janam diya bhi hai aur uske peeche aa rahe sabhi log ruk gye.


Vanshika ne Aarav ka uske kandhe par rakha huwa haath thaam liya. Aarav ne bhi usko peeche se hug kar liya. Vanshika ki aankhon mein aansu bhi the aur dil mein dard bhi tha.

Aarav: Lekin Derek ka pata lagne ke saath kuch aur bhi huwa tha! Vansh ko sab kuch yaad aa gaya tha... Aur jaisa main ne socha tha. Vansh ne sab se pehle meri guild aur family ko he target kiya.


Aarav: Mere unke paas na hote huwe bhi sab bach gye! Lekin ab Vansh ka samay khatam ho gaya tha aur main ne usko pakad kar kutton ki tarha maara har punch gusse se bhara huwa tha par mere andar ki aag shaant nahi ho rahi thi... Isiliye main ne Vansh ko maut se bhi badtar saza di... Uske liye uska har pal aisa kar diya ke wo maut ke liye taras gay-

Update 82 ~
Vansh(Groaning): Y-Ye tha kya tera badla? *Scoff* Aarav, Ye daikh tere saamne ho ker bhi dar nahi raha.....*Cough*......Ek baat batau kya?......Teri behan ko maar ker maza aa gaya tha *Grin* Tera wo chehara abhi bhi yaad hai....Kaise ghutnon per gira huwa tha.....Huh! Uss pal ke liye agar tu maar bhi de to koi pachtawa nahi hai.


Vansh ko ehsaas ho gaya tha ke ab uske bachne ka koi bhi raasta nahi hai, Lekin wo last moments me bhi Aarav ko dard dena chah raha tha.


Aarav: Who says I'm gonna kill you?


Aarav ki baat sun ker Vansh ki muskurahat gayab ho gayi, Aarav Vansh ki aankhon me daikh raha tha, Strong mentality hone ke baad bhi Vansh ke andar ek bhay janam le raha tha.


Vansh: K-Kya matlab?


Aarav: Yaad hai tujhe ke main ne kya kaha tha?......Maut kuch bhi nahi hai! Main tujhe aisa dard du ga ke tu maut ke liye tarse ga bheek mange ga *Smug* Lekin main tujhe marne nahi du ga.


[Inventory]


[Essence of the Healing Monarch]


Aarav ne inventory ke andar se essence of the healing monarch potion ko baahir nikal liya, Vansh usko sirf heraani se daikh raha tha, Aarav ne Vansh ka muh pakad ker khol diya.


Vansh(Resisting): Unghhhhhh! *Gulp*


Lekin Aarav ne pura potion uske gale se neeche utaar diya, Aarav uth ker khada ho gaya, Vansh lambi lambi saanse lene laga.


Vansh: Ye kya th-......Unghhhhh!


Vansh kehne he laga tha ke usko uski body me ek tez dard ki lehar daurne lagi, Uska sharir khinchne sa laga.


[Essence of the Healing Monarch consumed]


[Healing Monarch's blessing bestowed upon you]


[You are invincible for the next 24 hours! Even if your body is shattered, it will regenerate]


[But beware, the pain will remain... ]


Vansh ke haath uski laat regenerate hone lagi, Uski regeneration speed bohat zyada tez thi, Sirf 1-2 Minute ke andar uski body regenerate aur puri tarha se heal ho gayi.


Vansh: *Gasping*


Vansh udhar he gire huwe lambi lambi saanse bharne laga, Usne aisa dard kabhi bhi mehsoos nahi kiya tha, Vansh ne uske haatho ko mehsoos kiya to wo heraan ho gaya, Uska dusra haath 11 saal ke baad regenerate ho gaya tha.


Vansh uth ker baith gaya, Uski puri body he heal ho gayi thi, Vansh regeneration se zyada ye soch ker heraan tha ke Aarav ne usko ye potion kyu diya hai.


Vansh: Aara-


*Grasped*


Aarav ne Vansh ko gale se pakadte huwe utha diya, Vansh ko saans lene bhi mushkil hone lagi, Aarav ne uske haath ko dobara se ukhad diya.


Vansh dobara dard se karahne laga, Aarav ne usko neeche gira diya, Vansh neeche gire huwe dard se karahane laga.


*Booooom*


Aarav ne uske sar par laat maar ker uske sar ko kisi tarbuj ki tarha khol diya, Lekin agle he lamhe uska sar aur haath regenerate hone laga.


Vansh Aarav ki taraf daikhne laga, Aarav ke chehre per muskurahat thi, Vansh ke marne se zyada Aarav uske zinda hone per khush tha, Uski muskan daikh ker Vansh ki rooh kaanp gayi.


Aarav usko sirf ek baar maar ker he khush nahi hone wala tha, Vansh ke muh se kuch bhi nahi nikal raha tha, Uski saanse tham rahi thi, Vansh peeche ko khisakte huwe Aarav se dur jaane laga.


[Deathly Slash]


-----

Update 83 ~

Vansh ka vision dhundhla hone laga, Usko Aarav bhi saaf dikhayi nahi de raha tha aur dheeme dheeme uski aankhon ka aage andhera chhane laga aur Vansh ki aankhe band ho gayi.


“Vansh”


“Vansh!......10 baj rahe hai”


“Vansh”


Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.


Vansh: Sonia?


Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.


Sonia kehne kee baad peeche ho gayi aur jaane lagi, Lekin Vansh ne uske haath ko pakad liya, Sonia uski taraf daikhne lagi.


Sonia(Blush): Vansh? Ab aur nahi! Ye sab kuch din me acha nahi lagta....Ab utho!


Sonia ne Vansh ko khinchate huwe utha diya aur bathroom tak le gayi, Vansh usko hairat se daikhta raha, Usko bathroom ke andar dhaka de diya aur darwaza band ker diya.


Vansh heraan tha, Lekin usne shower liya aur uske liye rakhe huwe kapdon ko pehan liya, Vansh baahir aya to Sonia bhi taiyar ho gayi thi.


Sonia: Chale?


Vansh: Huh? *Nod* Haan!


Sonia ne Vansh ke haath ko pakad liya aur uske saath baahir aa gayi, Baahir servant kaam ker rahe the, Vansh ko le ker Sonia Adarsh ke study room ki taraf ja rahi thi


Vansh: Sonia! Hum papa ke stud-


*Click*


Dono abhi study room ke paas he aye the ke darwaza khul gaya, Vansh ki aankhe aur bho hairat se khulne lagi, Darwaza kholne wali Archana thi.


Archana: Arey, aa gye tum dono? Ab kitna time lagane lage ho? Newly wed ho bhi to thoda dhayan diya karo.


Archana ne muskurate huwe kaha to Sonia sharma gayi, Vansh dono ko sirf daikh he raha tha, Sonia usko le ker study ke andar aa gayi.


Vansh: Huh?


Study ke andar usko Adarsh uski kursi per baitha huwa dikhayi diya, Uske paas he Aakash aur Saanvi baithe the, Dusri taraf Vanshika aur Neel baithe huwe the, Aarti bhi Adarsh ke paas khari huwi ek file khole Adarsh se baat ker rahi thi.


Archana: Adarsh? Family ke time per to ye sab kaam ki baate rehne diya karo.


Adarsh(Smile): Madam Ji ne kaha hai to ab se aisa he ho ga! Vansh khade kyu ho? Biwi ko bhi khade kiya huwa hai, Uska bhai kya kahe ga ke usne to hamari beti ko khush rakha hai aur hum uski behan ko baithne bhi nahi dete?


Adarsh ki baat ko sun ker sabhi hansne lage, Sonia ne Vansh ko khincha aur saath le ker baith gayi, Archana ne un dono ko chai pakada di.


*Tip*


Vansh ki aankhe bheeg gayi, Usne saamne daikha to sabhi khush ho ker baate ker rahe the, Uske saath Sonia uske haath ko pakade huwe baithi huwi thi.


Vansh(Smile): Sab kuch sirf ek bura sapna tha! Ye sachayi hai......Ye sab kuch sach hai, *Happy* Da- Huh?


Adarsh se baat karne ke liye Vansh uski taraf huwa, Lekin saamne ka drishya daikh ker Vansh ke haath se chai ka cup neeche gir gaya.


Adarsh uski kursi per he baitha huwa tha, Lekin uska sar desk per gira huwa tha aur khoon se latpat tha, Uske paas he ek kaale kapdon me vyakti khada huwa tha.


Vansh: Soni-


Vansh ne Sonia bulane laga, Lekin kamre me Adarsh uske aur kaale kapdon wale ke sivaye aur koi bhi nahi tha, Vansh bhaagte huwe Adarsh ke paas chala gaya.


Vansh: Dad! Dad! Ye kaise? *Weep* Kon ho tum?


Vansh ne usko pakadna ke liye aage badh gaya, Lekin vyakti udhar se baahir ki taraf bhaag gaya, Vansh bhi uske peeche bhaag gaya.


*Click*


Vyakti kamre se baahir nikal gaya, Vansh bhi baahir aa gaya, Lekin baahir ate he uske kadam dobara ruk gye, Uske kadam ladkhadane lage.


Vansh(Shivering): Maa?


Vansh ke saamne Archana ki laash latak rahi thi, Uske gale me fanda tha aur usko dusri taraf se vyakti ne pakda huwa tha.


Vansh(Furious): Stop!


Vansh gusse ke saath dobara uski taraf bhaagne laga, Vyakti upar Vansh ke kamre ke andar chala gaya, Vansh bhi bhaagte huwe andar chala gaya.


“Vansh?”


Vansh ke kamre me ghuste he usko Sonia ki awaaz sunayi di, Vansh ne udhar daikha to uski saanse bhaari hone lagi, Sonia bed per nangi laiti huwi thi, Usne tangen failai huwi thi.


“Vansh?”


Sonia ki tangon ko pakade huwe ek aadmi baith huwa tha, Vansh ne uski taraf daikha to uska gussa badhne laga.


Vansh(Furious): Aaravvvvvvv!


Vansh Aarav ki taraf bhaagne laga, Usne Aarav ko pakad ker bed se utaar diya aur uska gala pakad liya.


*Stab*


Vansh ne Aarav ko pakada he tha ke uski chhati se ek talwar nikal ayi, Vansh peeche ho gaya, talwar ko Sonia ne pakade huwa tha.


*Thud*


Vansh neeche gir gaya, Sonia kaanp rahi thi, Aarav ne aage badh ker usko gale se laga liya usko thapthapane laga, Vansh ki aankhe gusse se laal ho rahi thi.


*Tuck*


*Tuck*


Vansh ko uske paas kisi aur ka bhi ehsaas huwa, Usne udhar daikha to kaale kapdon wala vyakti usko daikh raha tha.


Vansh(Groan): K-Kon h.....ho tum?


Vansh ki baat sun ker vyakti ne uska hood utaar diya, Uska chehra daikh ker Vansh ki halat aur bhi badtar hone lagi, Hood ke peeche ka chehra uska apna he tha.



Vansh khud ko he daikh raha tha, Uski aankho ke aage andhera chhane laga aur uski aankhe band hone lagi.


“Vansh”


“Vansh!......10 baj rahe hai”


“Vansh”


Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.


Vansh: Sonia?


Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.


Sonia peeche hone lagi to Vansh ne usko pakad liya, Sonia usko herani se daikhne lagi.


Vansh: Nahi! Nahi! Sab kuch kharab ho jaye ga, Sonia, Hum neeche nahi jaye gye.


Sonia: Vansh! Kya ho gaya hai? Agar kuch tabiyat theek nahi hai to ap rest ker sakte ho.


Sonia Vansh se alag ho gayi aur Vansh ko herani se daikhne lagi, Vansh buri tarha se kaano raha tha.


Sonia: Ap ruko! Abhi ap ke liye medicine le ker ati hu....Ap tab tak Vanshika ka dhayan rakh sakte ho na?


Vansh: Vanshika?


*Clang-Clang*


Vansh ko paas se he kuch Kharakne ki awaaz sunayi di, Vansh ne saath daikha to Vanshika chains me bandhi huwi neeche giri huwi thi, Vanshika gusse Vansh ko he ghur rahi thi.


Vansh: Vanshika?


Vanshika ke upar kisi ne laat rakhi huwi thi, Vansh ne upar daikha to uske saamne ek baar dobara kaale kapdon me wo khud khada huwa tha, Uske haath me Vanshika ki chains thi.


“No matter what route you took, Vansh! it will always lead to the same end, Your destruction”


Kaale kapdon wale Vansh ne muskurate huwe kaha aur usne Vanshika ki chain ko chhod diya, Vanshika bhaagte huwe Vansh per kud gayi aur daanto se aur nakhunon se usko cheedne faadne lagi.


Vansh(Scream): Aghhhhhhhh!


*Blackout*


“Vansh”


“Vansh!......10 baj rahe hai”


“Vansh”


Aarav kehte kehte ruk gaya. Vansh ne he Vanshika ko barbad kiya tha. Lekin aakhir mein tha to Vansh uska bhai he aur usko aise tadapte daikhna Vanshika ke liye easy nahi tha.

Vanshika (Softly): Aarav ~

Aarav: Yes?

Vanshika: Kya tum Sonia ko sirf Vansh se badla lene ke liye Use kar rahe the? Do you also hate her?

Aarav (Nod): Yes, Shuruaat mein main Sonia ko sirf Vansh se badla lene ke liye he Use kar raha tha! But the more I got to know her, the more I understood... she’s suffered a lot too. Because of Vansh. Because of her own family. I don’t want to hurt her anymore.

Vanshika (Relief): Fuuu ~ Great!

Aarav: Huh?

Vanshika: Ohh, Kya main tum se kuch maang sakti hu?

Aarav: Sure.

Vanshika: So, Main daikh sakti hu ke Sonia has feelings for you... Kya tum... Kya tum sab kuch khatam hone ke baad usko apna sakte ho?

Aarav: What?

Vanshika: I know it sounds strange. But she deserves to be with you too.

Vanshika ne Aarav sar upar kar ke Aarav ki taraf daikhte huwe kaha to Aarav ko bhi pata lag gaya ke Vanshika mazak nahi kar rahi thi.

Aarav (Nod): Actually… I was going to ask you the same thing. I just… didn’t know how to bring it up.

Vanshika (Smile): Great... Lekin iska ye matlab nahi hai ke tum kisi ke saath bhi hamare upar cheat kar sakte ho... Tum sirf mere nahi ho lekin tum har kisi ke bhi nahi ho sakte.

Aarav: Jaisa ap kahen Maharani Ji.

Vanshika (Giggle): Thank You... Oh, Haan. Urvi aur tumhari Mom se dobara mil kar tumhe kaisa laga?

Aarav ne Vanshika ko Urvi aur Varsha (Aarav's Mother) ke baare mein bata diya tha.

Aarav: I don't know. Urvi ko kuch bhi yaad nahi tha aur Varsha ko main Yaad rakhna nahi chahata.


Vanshika: Aarav... I know ke tumhari mom ne bohat galtiyan ki hai. Lekin honey wo tumhari mom hai tum unhen aise he apni life se baahir nahi kar sakte.

Aarav (Sigh): Main jaanta hu ke Varsha ne wo sab kyu kiya tha... Lekin uske baad bhi main sab kuch bhool nahi sakta... Kanhi na kanhi ye baat hamesha mere dil mein rahe gi ke family aur research ke beech unhone family ko chunna. Unhone Dad ke saath jo kiya main unhen uske liye bhi maaf nahi kar sakta... Lekin ab Urvi Varsha ke paas khush hai. Jo Maa mujhe kabhi nahi mil saki wo Urvi ke paas hai aur main Urvi se chenunga nahi.... Lekin main Varsha ko kabhi dobara Maa nahi keh sakta.

Vanshika (Sigh): Huh... Aur Urvi?

Aarav: Soul Urvi ki memories ko waapis la sakta tha! Lekin mujhe nahi lagta ke Urvi ko mere saath hona chahiye. Urvi uski life mein khush hai aur mere liye itna he kaafi hai.

Vanshika: Soul?

Aarav: Right... Soul ka naam bhi Aarav he hai aur wo mera ancestor hai aur abhi Ek monarch hai.

Vanshika: Monarch?

Aarav: Yeah, Lekin mujhe bhi nahi pata ke monarch kon log hai? Lekin Tarun ke Dad bhi ek monarch hai aur mere Dad bhi monarch bane the to main unhen bure log nahi keh sakta. Lekin monarchs mein Stone monarch jaise log bhi hai to main unke upar 100% trust bhi nahi kar sakta.

Vanshika: Uff… that’s a lot. I think my tiny brain can’t handle any more information right now.

Vanshika ne sar par haath rakhte huwe kaha to Aarav bhi hansne laga. Uska mood badalte daikh Vanshika bhi khush ho gayi.

Vanshika: Honey... I know ke mujhe past se jealous nahi hona chahiye... But, What's your body count?

Aarav: Woah... But, Sure!

Vanshika: Great.

Vanshika Aarav se alag ho kar couch par baith gayi aur uski taraf daikhne lagi aur uske batane ka intezar karne lagi.

Aarav: Ek to obviously Veronica hai! Uske baad ek Sonia hai... Aur Ishika.

Vanshika: Ishika?

Aarav: Yes, Lekin wo Ishika ki damage soul ko heal karne ke liye tha! Uske baad kuch casual bhi the.

Veronica: Fair enough.

Aarav: And then there was a little... foreplay with Malia.

Vanshika: Malia? The kitsune?! Seriously?!

*Slap*

Vanshika ne Aarav ke kandhe par thapar maarte huwe kaha.

Aarav: Ouch, Hey, I was just testing my ability!

Vanshika: You’ve been quite the naughty boy… Looks like I have to teach you a lesson.

Vanshika kehte huwe dobara Aarav ke upar baith gayi aur uske sar ke peeche haath rakhte huwe usko kiss karne lagi. Aarav ne bhi bina samay barbad kiye uski kamar par haath rakh diya aur usko kiss karne laga.

*Break*

Vanshika: *Gasping*

Aarav: If this is the lesson, I’m definitely a willing student!

.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update likhna utna hard nahi tha jitna hard purane updates ko dobara padhna tha. Shayad mujhe sirf AddiXtion se context puch lena chahiye tha. Lekin ye recap bhi zaroori tha. Ab story par update aane shuru ho jayenge. Umeed karta hu ke ye update sab ko pasand aya ho ga agar pasand aya hai to like karo. Ab milte hai agle update par aur tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Bhai it was completley outstanding vanshika is not that type of girl ki ki aarav shirf uska hai agar vo demand kare to aarav mana nahi larta par ha vanshika acchi lagi sab ko accept kar liya easily
 
Top